Skip to main content

Galatíoṉ 5;19 works of the flesh | #sing7gurpreet

Galatíoṉ 5;19 Ab jism ke kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí, nápákí, shahwatparastí, butparastí, jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, bugz, nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind:


Zabúr 1;5  Is liye sharír ‘adálat meṉ qáim na raheṉge,

 

I Kurinthíoṉ 15;50 Ai bháiyo, merá matlab yih hai, ki gosht aur ḳhún Ḳhudá kí bádsháhat ká wáris nahíṉ ho saktá,
I Kurinthíoṉ 10;2 Pas jo koí apne áp ko qáim samajhtá hai, wuh ḳhabardár rahe, ki gir na paṛe.

Ifisíoṉ 5;15 Pas gaur se dekho, ki kis tarah chalte ho; nádánoṉ kí tarah nahíṉ, balki dánáoṉ kí mánind chalo;
17 Is sabab se nádán na bano, balki Ḳhudáwand kí marzí ko samjho, ki kyá hai.
I Patras 5;8 Tum hoshyár aur bedár raho: tumhárá muḳhálif Iblís garajnewále sher i babar kí tarah ḍhúṉḍhtá phirtá hai, ki kis ko pháṛ kháe:

Romíoṉ 12;2 Aur is jahán ke hamshakl na bano, balki ʻaql nayí ho jáne se apní súrat badalte jáo; táki Ḳhudá kí nek aur pasandída aur kámi! marzí tajribe se maʻlúm karte raho.
Zabúr 1;1 Mubárak hai wuh ádmí jo sharíroṉ kí saláh par nahíṉ chaltá,
Aur ḳhatákároṉ kí ráh meṉ khaṛá nahíṉ hotá,
Aur ṭhaṭṭhebázoṉ kí majlis meṉ nahíṉ baiṭhtá.
2Balki ḲHUDÁWAND kí sharí‘at meṉ us kí ḳhushnúdí hai;
Aur usí kí sharí‘at par din rát us ká dhyán rahtá hai.
3Wuh us daraḳht kí mánind hogá, jo pání kí nadiyoṉ ke pás lagáyá gayá hai;
Jo apne waqt par phaltá hai,
Aur jis ká pattá bhí nahíṉ murjhátá;
So jo kuchh wuh kare bárwar hogá.

ਅਫ਼ਸੀਆਂ 5:16
ਆਪਣੇ ਲਈ ਸਮੇਂ ਨੂੰ ਲਾਭਦਾਇਕ ਕਰੋ ਇਸ ਲਈ ਜੋ ਦਿਨ ਬੁਰੇ ਹਨ

ਕੁਲੁੱਸੀਆਂ 4:5
ਤੁਸੀਂ ਸਮੇਂ ਨੂੰ ਲਾਹਾ ਜਾਣ ਕੇ ਬਾਹਰਲਿਆਂ ਦੇ ਅੱਗੇ ਹੋਸ਼ ਨਾਲ ਚੱਲੋ

ਪਰਕਾਸ਼ ਦੀ ਪੋਥੀ 1:3
ਕਿਉਂ ਜੋ ਸਮਾ ਨੇੜੇ ਹੈ।।
ਰੋਮੀਆਂ 13:11 ਅਤੇ ਤੁਸੀਂ ਸਮਾ ਜਾਣਦੇ ਹੋ




Comments