Masih
yeshu men aap saboh ki salamati ajj hum ruh l qudus ki madad se isi vishe par
baat kare ge
YÚHANNÁ 8
; 3 Aur faqíh
aur Farísí ek ʻaurat ko láe, jo ziná meṉ pakṛí gayí thí, aur use bích meṉ khaṛá
karke Yisúʻ se kahá;
Zina men
pakri magar kiske sath iska jikar nhi diya ye hum ruh l qudus se sikhe ge
Bech men
khara kiya magar sirf aurat ko mard ka
phir jikar nhi
4Ai ustád,
yih ʻaurat ziná meṉ ʻain fiʻl ke waqt pakṛí gayí hai.
Ain fil
ka matlab usi waqt bilkol amne samne range hathi
Ain fil
uske or kaun tha
Wuh aurat
kiske sath jina kati pakri gai uska naam
ya jikar phir nhi
Hai
5Tauret meṉ
Músá ne ham ko hukm diyá ki aisí ʻauratoṉ ko saṉgsár kareṉ; pas tú is ʻaurat kí
nisbat kyá kahtá hai? 6Unhoṉ ne
use ázmáne ke liye yih kahá, táki us par ilzám lagáne ká koí sabab nikáleṉ.
Magar Yisúʻ jhukkar unglí se zamín par likhne lagá. 7Jab wuh
us se suwál karte hí rahe, to us ne sídhe hokar un se kahá, ki Jo tum meṉ
begunáh ho, wuhí pahle us ke patthar máre. 8Aur phir
jhukkar zamín par unglí se likhne lagá. 9Wuh yih
sunkar baṛoṉ se lekar chhoṭoṉ tak ek ek karke nikal gaye,
Eska
matlab barror se lekar chhton tak sab ne zina kiya tha
Ab wuh ek
yahi aurat ho ya dusri koi aur
Kyu ki
zina to aurat ke sath kiya jata hai auart to aurat hi huti hai
Sabs
pehle pathar faqih or farison men se
kisne phenka
Ya ye
kahe ilzam lagane walo men kisne phenka baro men se
To uske
sath jina karne wala bhi un baro men se koi ek tha
Jo musa
ki shara ke anusar jab uske sath pakra
Giya to
apni baradrana izat ko bachane ke liye
aurat hi ko dhoshi therana Chaha ki agar mera naam sath
men aye ga to puri faqih or farision ki
Baradari
hi badnaam ho jaye gi
नीतिवचन 14:34
·
जाति की बढ़ती धर्म ही से होती है, परन्तु पाप से देश के लोगों का अपमान होता है।
Aur kaun
they faqihi aur Farisi men pehchaan ke taur par apko batana chaho ga
Or ajj ke
faqihi farisi wuhi hain jinme inke se kaam hain
2Faqíh aur
Farísí Músá kí gaddí par baiṭhe haiṉ; 3pas jo
kuchh wuh tumheṉ batáeṉ, wuh sab karo aur máno, lekin un ke se kám na karo, kyúṉki
wuh kahte haiṉ, aur karte nahíṉ. 4Wuh aise
bhári bojh, jin ká uṭháná mushkil hai, báṉdhkar logoṉ ke kandhoṉ par rakhte haiṉ,
magar áp unheṉ apní unglí se bhí hiláná nahíṉ cháhte. 5Wuh apne
sab kám logoṉ ke dikháne ko karte haiṉ, kyúṉki apne taʻwíz baṛe banáte, aur
apní poshák ke kanáre chauṛe rakhte haiṉ; 6aur ziyáfatoṉ
meṉ sadrnishíní, aur ʻibádatḳhánoṉ meṉ aʻlá darje ki kursíáṉ, 7aur
bázároṉ meṉ salám, aur ádmíoṉ se Rabbí kahláná pasand karte haiṉ
Aur yesu
ne kaha faqiho or farison se kaha
Jo tum meṉ
begunáh ho, wuhí pahle us ke patthar máre.
MATÍ 5
; 20 Kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Agar tumhárí rástbází
faqíhoṉ aur Farísíoṉ kí rástbází se ziyáda na hogí, to tum ásmán kí bádsháhat
meṉ hargiz dáḳhil na hoge.
27Tum sun
chuke ho ki kahá gayá thá, ki Ziná na kar; 28lekin maiṉ
tum se yih kahtá húṉ, ki jis kisí ne burí ḳhwáhish se kisí ʻaurat par nigáh kí,
wuh apne dil meṉ us ke sáth ziná kar chuká. 29Pas agar
terí dahiní áṉkh tujhe ṭhokar khiláe, to use nikálkar apne pás se pheṉk de; kyúṉki
tere liye yihí bihtar hai, ki tere aʻzá meṉ se ek játá rahe, aur terá sárá
badan jahannam meṉ na ḍálá jáe. 30Aur agar
terá dahiná háth tujhe ṭhokar khiláe, to us ko káṭkar apne pás se pheṉk de; kyúṉki
tere liye yihí bihtar hai, ki tere aʻzá meṉ se ek játá rahe, aur terá sárá
badan jahannam meṉ na jáe 31Yih bhí
kahá gayá thá, ki Jo koí apní bíwí ko chhoṛe, use taláqnáma likh de. 32Lekin maiṉ
tum se yih kahtá húṉ, ki jo koí apní bíwí ko harámkárí ke siwá kisi âur sabab
se chhoṛ de, wuh us se ziná karátá hai; aur jo koí us chhoṛí húí se biyáh kare,
wuh ziná kartá hai.
YÚHANNÁ 1
17 Is liye
ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí;
Aur musa
ne hi shriat men likha hai
Ḳhurúj 20:13 (URDR55)
Tú ḳhún na karná.
ḲHURÚJ 2
; 11 Itne meṉ
jab Músá baṛá húá, to báhar apne bháiyoṉ ke pás gayá, aur un kí mashaqqatoṉ par
us kí nazar paṛí aur us ne dekhá, ki ek Misrí us ke ek ‘Ibrání bháí ko már rahá
hai. 12Phir us ne idhar udhar nigáh kí, aur jab dekhá ki
waháṉ koí dúsrá ádmí nahíṉ hai, to us Misrí ko ján se márkar use ret meṉ chhipá
diyá.
6Aur Músá
and Hárún jamá‘at ke pás se jákar ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par auṉdhe muṉh
gire: tab Ḳhudáwand ká
jalál un par záhir húá. 7Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki 8Us láṭhí
ko le, aur tú aur terá bháí Hárún, tum donoṉ jamá‘at ko ikaṭṭhá karo, aur un kí
áṉkhoṉ ke sámne us chaṭán se kaho, ki wuh apná pání de; aur tú un ke liye chaṭán
hí se pání nikálná; yúṉ jamá‘at ko aur un ke chaupáyoṉ ko piláná. 9Chunáṉchí
Músá ne Ḳhudáwand ke
huzúr se, usí ke hukm ke mutábiq wuh láṭhí lí. 10Aur Músá
aur Hárún ne jamá‘at ko us chaṭán ke sámne ikaṭṭhá kiyá, aur us ne un se kahá,
Suno, ai bág̣ío, kyá ham tumháre liye isí chaṭán se pání nikáleṉ? 11Tab Músá
ne apná háth uṭháyá, aur us chaṭán par do bár láṭhí márí: aur kasrat se pání
bah niklá, aur jamá‘at ne aur un ke chaupáyoṉ ne piyá.
musa se
khuda ne ye nahi kaha ki lathi leke chatan par maran
musa se
kaha lathi leke chatan se kehna ki apna
de
lekin
musa ne kaya kiya chatan par do bar mara
ROMÍOṈ 10
6 Magar jo
rástbází ímán se hai, wuh yúṉ kahtí hai,
8Balki kyá
kahtí hai? yih, ki Kalám tere nazdík hai, balki tere muṉh aur tere dil meṉ hai:
yih wuhí ímán ká kalám hai, jis kí ham manádí karte haiṉ; 9ki agar
tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán
láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá. 10Kyúṉki
rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se
kiyá játá hai.
2 KURINTHÍOṈ 4
; 13 Aur chúṉki
ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur
isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ;
ʻIBRÁ NÍOṈ 11
; 3 Ímán hí
se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki
jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.
PAIDÁISH 1
; 3Aur Ḳhudá
ne kahá, ki Raushní ho já: aur raushní ho gayí. 4Aur Ḳhudá
ne dekhá ki raushní achchhí hai;
ROMÍOṈ 7
; 1 (maiṉ un se kahtá húṉ jo sharíʻat se wáqif
haiṉ,) ki jab tak ádmí jítá hai, usí waqt tak sharíʻat us par iḳhtiyár rakhtí
hai?
YAʻQÚB 2
; 10 Kyúṉki
jis ne sárí sharíʻat par ʻamal kiyá, aur ek hí bát meṉ ḳhatá kí, wuh sárí bátoṉ
meṉ qusúrwár ṭhahrá. 11Is liye
ki jis ne yih kahá, ki Ziná na kar, usí ne yih bhí kahá, ki Ḳhún na kar. Pas
agar tú ne ziná to na kiyá, magar ḳhún kiyá, taubhí tú sharíʻat ká ʻudúl
karnewálá ṭhahrá.
ROMÍOṈ 3
; 23 is liye
ki sab ne gunáh kiyá,
1 YÚHANNÁ 1
; 8 Agar ham
kaheṉ, ki ham begunáh haiṉ, to apne áp ko fareb dete haiṉ, aur ham meṉ sachcháí
nahíṉ.
MARQUS 7
;20 Jo
ádmí meṉ se nikaltá hai, wuhí ádmí ko nápák kartá hai. 21Kyúṉki
andar se, yaʻni ádmí ke dil se, bure ḳhayál, harámkáríáṉ, 22choriyáṉ,
ḳhúnrezíáṉ, zinákáríáṉ, lálach, badíáṉ, makr, shahwatparastí, badnazarí,
badgoí, sheḳhí, bewuqúfí nikaltí hai; 23yih sab
burí báteṉ andar se nikalkar ádmí ko nápák kartí haiṉ.
GALATÍOṈ 5
; 19 Ab jism
ke kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí, nápákí, shahwatparastí, 20butparastí,
jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz,
nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind:
ROMÍOṈ 8
;
10 badan to gunáh ke sabab se murda hai
GALATÍOṈ 3
; 22 Magar kitáb
i muqaddas ne sab ko gunáh ká mátaht kar diyá,
Dharm
pustak ne paviter shashter ne purane niyam ne
ROMÍOṈ 5
; 20
táki qusúr ziyáda ho jáe;
1 KURINTHÍOṈ 10
; 12 Pas jo
koí apne áp ko qáim samajhtá hai, wuh ḳhabardár rahe, ki gir na paṛe. 13Tum kisí
aisí ázmáish meṉ nahíṉ paṛe, jo insán kí bardásht se báhar ho.
ROMÍOṈ 2
1Pas ai ilzám lagánewále, tú koí kyúṉ na ho, tere pás koí ʻuzr nahíṉ;
kyúṉki jis bát ká tú dúsre par ilzám lagátá hai, usí ká tú apne áp ko mujrim ṭhahrátá
hai; is liye ki tú jo ilzám lagátá hai, ḳhud wuhí kám kartá hai. 2Aur
ham jánte haiṉ ki aise kám karnewáloṉ kí ʻadálat Ḳhudá kí taraf se haqq ke
mutábiq hotí hai. 3Ai insán, tú jo aise kam karnewáloṉ par ilzám lagátá hai, aur ḳhud wuhí
kám kartá hai, kyá yih samajhtá hai, ki tú Ḳhudá kí ʻadálat se bach jáegá?
aur Yisúʻ akelá rah gayá, aur ʻaurat wahíṉ
bích meṉ rah gayí. 10Yisúʻ ne sídhe hokar us se kahá; Ai ʻaurat yih log
kaháṉ gaye? Kyá kisí ne tujh par hukm nahíṉ lagáyá? 11Us ne kahá;
Ai Ḳhudáwand, kisí ne nahíṉ. Yisúʻ ne kahá; Maiṉ bhí tujh par hukm nahíṉ
lagátá; já, phir gunáh na karná.]
Comments
Post a Comment