Skip to main content

और बपतिस्मों और हाथ रखने, और मरे हुओं के जी उठने, और अन्तिम न्याय की शिक...

 

MARQUS 4

; 35 Usí din jab shám húí, us ne un se kahá; Áo, pár chaleṉ. 36Aur wuh bhíṛ ko chhoṛkar use, jis tarah wuh thá, kishtí par sáth le chale; aur us ke sáth âur bhí kishtíáṉ thíṉ. 37Tab baṛi áṉdhí chalí, aur lahreṉ kishtí par yaháṉ tak lagíṉ, ki kishtí pání se bharí játí thí. 38Aur wuh ḳhud píchhe kí taraf gaddí par sotá thá; pas unhoṉ ne use jagákar kahá; Ai Ustád, kyá tujhe fikr nahíṉ, ki ham halák húe játe haiṉ? 39Us ne uṭhkar hawá ko ḍáṉṭá, aur pání se kahá; Chup rah, tham já: to hawá band ho gayí, aur baṛá amn ho gayá. 40Phir un se kahá; Tum kyúṉ darte ho? Ab tak ímán nahíṉ rakhte? 41Aur wuh niháyat ḍare, aur ápas meṉ kahne lage; Pas yih kaun hai, ki hawá aur pání bhí us ká hukm mánte haiṉ? 35Usí din jab shám húí, us ne un se kahá; Áo, pár chaleṉ. 36Aur wuh bhíṛ ko chhoṛkar use, jis tarah wuh thá, kishtí par sáth le chale; aur us ke sáth âur bhí kishtíáṉ thíṉ. 37Tab baṛi áṉdhí chalí, aur lahreṉ kishtí par yaháṉ tak lagíṉ, ki kishtí pání se bharí játí thí. 38Aur wuh ḳhud píchhe kí taraf gaddí par sotá thá; pas unhoṉ ne use jagákar kahá; Ai Ustád, kyá tujhe fikr nahíṉ, ki ham halák húe játe haiṉ? 39Us ne uṭhkar hawá ko ḍáṉṭá, aur pání se kahá; Chup rah, tham já: to hawá band ho gayí, aur baṛá amn ho gayá. 40Phir un se kahá; Tum kyúṉ darte ho? Ab tak ímán nahíṉ rakhte? 41Aur wuh niháyat ḍare, aur ápas meṉ kahne lage; Pas yih kaun hai, ki hawá aur pání bhí us ká hukm mánte haiṉ?

PEHLI BAAT IMAN KE KAAM BOL KAR HUTE HAIN

2 KURINTHÍOṈ 5

; 17 Is liye agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai: purání chízeṉ játí rahíṉ; dekho, wuh nayí ho gayíṉ. 

 

Romíoṉ 6:6 (URDR55)

Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí gulámí meṉ na raheṉ.

 

 

Ifisíoṉ 4:22 (URDR55)

ki tum apne agle chál chalan kí us purání insáníyat ko utár ḍálo,

 

 

ʻIbrá Níoṉ 6:2 (URDR55)

aur baptismoṉ, aur háth rakhne, aur murdoṉ ke jí uṭhne, aur abadí ʻadálat kí taʻlím kí bunyád dobára na dáleṉ.

 

KULUSSÍOṈ 2

 ; 8 Ḳhabardár, koí shaḳhs tum ko us failsúfí aur láhásil fareb se shikár na kar le, jo insánoṉ kí riwáyat aur dunyawí ibtidáí bátoṉ ke muwáfiq haiṉ, na Masíh ke muwáfiq:

 

 

ʻIbrá Níoṉ 6:1 (URDR55)

Pas áo, Masíh kí taʻlím kí ibtidáí báteṉ chhoṛkar kamál kí taraf qadam baṛháeṉ, aur murda kámoṉ se tauba karne, aur Ḳhudá par ímán láne kí,

 

 

 

2 Kurinthíoṉ 4:13 (URDR55)

Aur chúṉki ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ;

 

 

 

 

ʻIBRÁ NÍOṈ 11

; 3 Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.

 

 

PAIDÁISH 1

1Ḳhudá ne ibtidá meṉ zamín o ásmán ko paidá kiyá.

3Aur Ḳhudá ne kahá, ki Raushní ho já:

 

6Aur Ḳhudá ne kahá, ki Pániyoṉ ke darmiyán fazá ho, táki pání pání se judá ho jáe

9Aur Ḳhudá ne kahá, ki Ásmán ke níche ká pání ek jagah jama‘ ho, ki ḳhushkí nazar áe: aur aisá hí húá.

1Aur Ḳhudá ne kahá, ki Zamín ghás, aur bíjdár búṭiyoṉ ko, aur phaldár daraḳhtoṉ ko, jo apní apní jins ke muwáfiq phaleṉ, aur jo zamín par apne áp hí meṉ bíj rakkheṉ, ugáe: aur aisá hí húá. 

14Aur Ḳhudá ne kahá, ki Falak par naiyir hoṉ, ki din ko rát se alag kareṉ; aur wuh nishánoṉ, aur zamánoṉ, aur dinoṉ, aur barasoṉ kí imtiyáz ke liye hoṉ; 

20Aur Ḳhudá ne kahá, ki Pání jándároṉ ko kasrat se paidá kare, aur parande zamín ke úpar fazá meṉ uṛeṉ.

24Aur Ḳhudá ne kahá, ki Zamín jándároṉ ko, un kí jins ke muwáfiq, chaupáye, aur reṉgnewále jándár, aur janglí jánwar, un kí jins ke muwáfiq, paidá kare: aur aisá hí húá. 

26Phir Ḳhudá ne kahá, ki Ham insán ko apní súrat par apní shabíh kí mánind banáeṉ;

LÚQÁ 1

 ; 26 Chhaṭe mahíne Jibraíl firishta Ḳhudá kí taraf se Galíl ke ek shahr meṉ jis ká nám Násarat thá, ek kuṉwárí ke pás bhejá gayá, 27jis kí maṉgní Dáúd ke gharáne ke ek mard Yúsuf nám se húí thí; aur us kuṉwárí ká nám Maryam thá. 28Aur firishte ne us ke pás andar áke kahá; Salám tujh ko, jis par fazl húá hai! Ḳhudáwand tere sáth hai. 29Wuh is kalám se bahut ghabrá gayí aur sochne lagí, ki yih kaisá salám hai. 30Firishte ne us se kahá; Ai Maryam, ḳhauf na kar, kyúṉki Ḳhudá kí taraf se tujh par fazl húá hai; 31aur dekh, tú hámila hogí aur beṭá janegí; us ká nám Yisúʻ rakhná. 32Wuh buzurg hogá; aur Ḳhudá Taʻálá ká Beṭá kahláegá, aur Ḳhudáwand Ḳhudá us ke báp Dáúd ká taḳht use degá, 33aur wuh Yaʻqúb ke gharáne par abad tak bádsháhí karegá, aur us kí bádsháhí ká áḳhir na hogá. 34Maryam ne firishte se kahá; Yih kyúṉkar hogá, jis hál meṉ ki maiṉ mard ko nahíṉ jántí? 35Aur firishte ne jawáb meṉ us se kahá, ki Rúhuʼl Quds tujh par názil hogá, aur Ḳhudá Taʻálá kí qudrat tujh par sáya ḍálegí, aur is sabab se wuh pákíza jo paidá honewálá hai Ḳhudá ká Beṭá kahláegá. 36Aur dekh, terí rishtadár Ilíshibaʻ ke bhí buṛhápe meṉ beṭá honewálá hai; aur ab us ko, jo báṉjh kahlátí thí, chhaṭá mahína hai. 37Kyúṉki jo qaul Ḳhudá kí taraf se hai, wuh hargiz betásír na hogá. 38Maryam ne kahá; Dekh, maiṉ Ḳhudáwand kí bandí húṉ; mere liye tere qaul ke muwáfiq ho. Phir firishta us ke pás se chalá gayá.

1 Yúhanná 5:4 (URDR55)

Jo koí Ḳhudá se paidá húá hai, wuh dunyá par gálib átá hai; aur wuh galaba, jis se dunyá maglúb húí hai, hamárá ímán hai.

Mukáshafa 3:13 (URDR55)

Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.

 

Romíoṉ 1:17 (URDR55)

Is wáste ki us meṉ Ḳhudá kí rástbází ímán se aur ímán ke liye záhir hotí hai, jaisá likhá hai, ki Rástbáz ímán se jítá rahegá.

Romíoṉ 10:17 (URDR55)

Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

 

LUQA 8;18 Pas ḳhabardár raho, ki tum kis tarah sunte ho:

 

 Amsál 18;15 Hoshyár ká dil ‘ilm hásil kartá hai, Aur dáná ke kán ‘ilm ke tálib haiṉ.

 

Marqus kí Injíl 4;24 Phir us ne un se kahá; Ḳhabardár raho, ki kyá sunte ho;

 

 Yasa‘iyáh 55;3 Kán lagáo, aur mere pás áo; suno, aur tumhárí ján zinda rahegí;

 

Yaʻqúb 1:22 Lekin kalám par ʻamal karnewále bano, na mahz sunnewále jo apne áp ko dhoká dete haiṉ.

 

 Matí kí Injíl 7;24 Pas jo koí merí yih báteṉ suntá, aur un par ʻamal kartá hai, wuh us ʻaqlmand ádmí ki mánind thahregá, jis ne chaṭán par apná ghar banáyá;

 Amsál 16:20 Jo kalám par tawajjuh kartá hai bhaláí dekhegá:Aur jis ká tawakkul ḲHUDÁWAND par hai mubárak hai.

YÚHANNÁ 10

; 7 Merí bheṛeṉ merí áwáz suntí haiṉ,

YÚHANNÁ 10

; . 11 Achchhá charwáhá maiṉ húṉ: achchhá charwáhá bheṛoṉ ke liye apní ján detá hai. 12Mazdúr jo na charwáhá hai, na bheṛoṉ ká málik, bheṛiye ko áte dekhkar bheṛoṉ ko chhoṛke bhág játá hai, aur bheṛiyá un ko pakaṛtá aur paráganda kartá hai. 13Wuh is liye bhág játá hai, ki mazdúr hai, aur us ko bheṛoṉ kí fikr nahíṉ. 14Achchhá charwáhá maiṉ húṉ; jis tarah Báp mujhe jántá hai, aur maiṉ Báp ko jántá húṉ,

YÚHANNÁ 15

; 14 Jo kuchh maiṉ tum ko hukm detá húṉ, agar tum use karo, to mere dost ho. 15Ab se maiṉ tumheṉ naukar na kahúṉgá, kyúṉki naukar nahíṉ jántá ki us ká málik kyá karta hai; balki tumheṉ maiṉ ne dost kahá hai, is liye ki jo báteṉ maiṉ ne apne Báp se suniṉ, wuh sab tum ko batá díṉ

 13 Is se ziyáda mahabbat koí shaḳhs nahíṉ kartá, ki apní ján apne dostoṉ ke liye de de.

 

YÚHANNÁ 15

; 7 Kisí rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá

ʻIBRÁ NÍOṈ 10

; 9 aur phir yih kahtá hai, ki Dekh, maiṉ áyá húṉ, táki terí marzí púrí karúṉ; garaz wuh pahle ko mauqúf kartá hai, táki dúsre ko qáim kare. 10Usí marzí ke sabab ham Yisúʻ Masíh ke jism ke ek hí bár qurbán hone ke wasíle se pák kiye gaye haiṉ. 11Aur har ek káhin to khaṛe hokar har roz ʻibádat kartá hai, aur ek hí tarah kí qurbáníáṉ bár bár guzrántá hai, jo hargiz gunáhoṉ ko dúr nahíṉ kar saktíṉ: 12lekin yih shaḳhs hamesha ke liye gunáhoṉ ke wáste ek hí qurbání guzránkar, Ḳhudá kí dahiní taraf já baiṭhá;

 

IFISÍOṈ 2

1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the: — 4magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, 5jab qusúroṉ ke sabab murda hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí hai,) 6aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá; 7táki wuh apní us mihrbání se, jo Masíh Yisúʻ meṉ ham par hai, ánewále zamánoṉ meṉ apne fazl kí beniháyat daulat dikháe: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: 9aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare. 10Kyúṉ-ki ham usí kí karígarí haiṉ, aur Masíh Yisúʻ meṉ un nek ʻamál ke wáste maḳhlúq húe, jin ko Ḳhudá ne pahle se hamáre karne ke liye taiyár kiyá thá.

11Pas yád karo, ki tum jo jism ke rú se gairqaumwále ho — aur wuh log jo jism meṉ háth se kiye húe ḳhatne ke sabab maḳhtún kahláte haiṉ, tum ko námaḳhtún kahte haiṉ — 12agle zamáne meṉ Masíh se judá, aur Isráíl kí saltanat se ḳhárij, aur waʻde ke ʻahdoṉ se náwáqif, aur náummed, aur dunyá meṉ Ḳhudá se ʻaláhida the. 13Magar tum jo pahle dúr the, ab Masíh Yisúʻ meṉ Masíh ke ḳhún ke sabab se nazdík ho gaye ho. 14Kyúṉki wuhí hamárí sulh hai, jis ne donoṉ ko ek kar liyá, aur judáí kí díwár ko jo bích meṉ thí, ḍhá diyá; 15chunáṉchi us ne apne jism ke zaríʻe se dushmaní, yaʻní wuh sharíʻat jis ke hukm zábitoṉ ke taur par the, mauqúf kar dí; táki donoṉ se apne áp meṉ ek nayá insán paidá karke sulh kará de; 16aur salíb par dushmaní ko miṭákar, aur us ke sabab se donoṉ ko ek tan banákar, Ḳhudá se miláe; 17aur us ne ákar, tumheṉ jo dúr the, aur unheṉ jo nazdík the, donoṉ ko sulh kí ḳhushḳhabarí dí: 18kyúṉki us hí ke wasíle se ham donoṉ kí ek hí Rúh meṉ Báp ke pás rasáí hotí hai. 19Pas ab tum pardesí aur musáfir nahíṉ rahe, balki muqaddasoṉ ke hamwatan aur Ḳhudá ke gharáne ke ho gaye, 20aur rasúloṉ aur nabíoṉ kí neo par, jis ke kone ke sire ká patthar ḳhud Masíh Yisúʻ hai, taʻmír kiye gaye ho; 21usí meṉ har ek ʻimárat mil milákar Ḳhudáwand meṉ ek pák maqdis bantí játí hai; 22aur tum bhí us meṉ báham taʻmír kiye játe ho, táki Rúh meṉ Ḳhudá ká maskan bano.

 

ʻIbrá Níoṉ 8:13 (URDR55)

Jab us ne nayá ʻahd kahá, to pahle ko puráná ṭhahráyá. Aur jo chíz purání aur muddat kí ho játí hai, wuh miṭne ke qaríb hotí hai.

Marqus 2:22 (URDR55)

Aur nayí mai ko purání mashkoṉ meṉ koí nahíṉ bhartá; nahíṉ to mashkeṉ mai se phaṭ jáeṉgí, aur mai aur mashkeṉ donoṉ barbád ho jáeṉgí: balki nayí mai ko nayí mashkoṉ meṉ bharte haiṉ.

 

KULUSSÍOṈ 2

 ; 20 Jab tum Masíh ke sáth dunyawí ibtidáí bátoṉ kí taraf se mar gaye, to phir un kí mánind jo dunyá meṉ zindagí guzárte haiṉ, ádmíoṉ ke hukmoṉ aur taʻlímoṉ ke muwáfiq, aise qáʻidoṉ ke kyúṉ páband hote ho, 21ki Ise na chhúná, use na chakhná, use háth na lagáná, 22(kyúṉki yih sárí chízeṉ kám meṉ láte láte faná ho jáeṉgí)? 23In bátoṉ meṉ apní íjád kí húí ʻibádat, aur ḳháksárí, aur jismání riyázat ke iʻtibár se hikmat kí súrat to hai, magar jismání ḳhwáhishoṉ ke rokne meṉ in se kuchh fáida nahíṉ hotá.

 

KULUSSÍOṈ 2

; 9 kyúṉki Ulúhíyat kí sárí maʻmúrí usí meṉ mujassam hokar sukúnat kartí hai, 10aur tum usí meṉ maʻmúr ho gaye ho, jo sárí hukúmat aur iḳhtiyár ká sir hai: 11usí meṉ tumhárá aisá ḳhatna húá, jo háth se nahíṉ hotá, yaʻní Masíh ká ḳhatna, jis se jismání badan utárá játá hai; 12aur usí ke sáth baptisma meṉ dafn húe, aur is meṉ Ḳhudá kí quwwat par ímán lákar, jis ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, us ke sáth jí bhí uṭhe. 13Aur us ne tumheṉ bhí, jo apne qusúroṉ aur jism kí námakhtúní ke sabab se murda the, us ke sáth zinda kiyá, aur hamáre sab qusúr muʻáf kiye; 14aur hukmoṉ kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá diyá: 15us ne hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se utárkar un ká barmalá tamásha banáyá, aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká shádiyána bajáyá.

16Pas kháne píne, yá ʻíd, yá naye chánd, yá sabt kí bábat koí tum par ilzám na lagáe: 17kyúṉki yih ánewálí chízoṉ ká sáya haiṉ, magar asl chízeṉ Masíh kí haiṉ. 18Koí shaḳhs ḳháksárí aur firishtoṉ kí ʻibádat pasand karke, tumheṉ dauṛ ke inʻám se mahrúm na rakkhe; aisá shaḳhs apní jismání ʻaql par befáida phúlkar, dekhí húí chízoṉ meṉ masrúf rahtá hai, 19aur us Sir ko pakṛe nahíṉ rahtá, jis se sárá badan joṛoṉ aur paṭṭhoṉ ke wasíle se parwarish pákar, aur báham paiwasta hokar, Ḳhudá kí taraf se baṛhtá játá hai.

 

KULUSSÍOṈ 3

1Pas jab tum Masíh ke sáth jiláe gaye, to ʻálam i bálá kí chízoṉ kí talásh meṉ raho, jaháṉ Masíh maujúd hai, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá hai. 2ʻÁlam i bálá kí chízoṉ ke ḳhayál meṉ raho, na zamín par kí chízoṉ ke; 3kyúṉ ki tum mar gaye, aur tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí zindagí hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye jáoge.

 

KULUSSÍOṈ 1

; 12 aur Báp ká shukr karte raho, jis ne ham ko is láiq kiyá, ki núr meṉ muqaddasoṉ ke sáth mírás ká hissa páeṉ; 13usí ne ham ko táríkí ke qabze se chhuṛákar apne ʻazíz Beṭe kí bádsháhat meṉ dáḳhil kiyá; 14jis meṉ ham ko maḳhlasí, yaʻní gunáhoṉ kí muʻáfí, hásil hai: 15wuh andekhe Ḳhudá kí súrat aur tamám maḳhlúqát se pahle maulúd hai; 16kyúṉki usí meṉ sárí chízeṉ paidá kí gayíṉ, ásmán kí hoṉ, yá zamín kí, dekhí hoṉ, yá andekhí, taḳht hoṉ, yá riyásateṉ, yá hukúmateṉ, yá iḳhtiyárát; sárí chízeṉ usí ke wasíle se, aur usí ke wáste paidá húí haiṉ; 17aur wuh sab chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí chízeṉ qáim rahtí haiṉ. 18Aur wuhí badan, yaʻní kalísiyá, ká sir hai; wuhí mabdá hai, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ meṉ pahlauṭhá, táki sab bátoṉ meṉ us ká awwal darja ho; 19kyúṉki Báp ko yih pasand áyá, ki sárí maʻmúrí usí meṉ sukúnat kare; 20aur us ke ḳhún ke sabab jo salíb par bahá sulh karke, sab chízoṉ ká usí ke wasíle se apne sáth mel kar le, ḳhwáh wuh zamín kí hoṉ, ḳhwáh ásmán kí.

 

KULUSSÍOṈ 2

; 2  aur Ḳhudá ke bhed, yaʻní Masíh ko pahcháneṉ, 3jis meṉ hikmat aur maʻrifat ke sáre ḳhazáne chhipe húe haiṉ. 4Yih maiṉ is liye kahtá húṉ, ki koí ádmí lubhánewálí bátoṉ se tumheṉ dhoká na de.

1 THISSALUNÍKÍOṈ 1

;  3 aur apne Ḳhudá aur Báp ke huzúr tumháre ímán; ke kám, aur mahabbat kí mihnat, aur us ummed ke sabr ko bilánága yád karte haiṉ, jo hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí bábat hai; 4aur ai bháiyo, Ḳhudá ke piyáro, ham ko maʻlúm hai ki tum barguzída ho; 5is liye ki hamárí ḳhushḳhabarí tumháre pás na faqat lafzí taur par pahuṉchí, balki qudrat aur Rúhuʼl Quds aur púre iʻtiqád ke sáth bhí; chunáṉchi tum jánte ho, ki ham tumhárí ḳhátir tum meṉ kaise ban gaye the. 6Aur tum kalám ko baṛí musíbat meṉ Rúhuʼl Quds kí ḳhushí ke sáth qubúl karke, hamárí aur Ḳhudáwand kí mánind bane; 7yaháṉ tak kí Makiduniya aur Aḳhaya ke sáre ímándároṉ ke liye namúna bane. 

 

1 THISSALUNÍKÍOṈ 2

;  3 Kyúṉki hamárí nasíhat na gumráhí se hai, na nápákí se, na fareb ke sáth: 4balki jaise Ḳhudá ne ham ko maqbúl karke ḳhushḳhabarí hamáre supurd kí, waise hí ham bayán karte haiṉ; ádmíoṉ ko nahíṉ, balki Ḳhudá ko ḳhush karne ke liye, jo hamáre diloṉ ko ázmátá hai. 5Kyúṉki tum ko maʻlúm hí hai ki na kabhí hamáre kalám meṉ ḳhushámad páí gayí, na wuh lálach ká parda baná; Ḳhudá is ká gawáh hai; 6aur ham ádmíoṉ se ʻizzat nahíṉ cháhte the; na tum se, na auroṉ se; 

 

1 THISSALUNÍKÍOṈ 4

 ; 8 Pas jo nahíṉ mántá, wuh ádmí ko nahíṉ, balki Ḳhudá ko nahíṉ mántá, jo tum ko apní Pák Rúh detá hai.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...