Skip to main content

परमेश्वर के पुत्र कौन हैं,जिन्होने मनुष्यों की पुत्रियों से विवाह किए उत...

masih yesu men aap saboh ki salamati ho aaj hum rauhsni

dalne ja rahen

jismani aur ruhani

aurat aur mard ke rishte par

yani shadi biyah ke concept par

ruh l quds men or ruhani khayal

baap ke kalam ke sath bane rahen

ROMÍOṈ 8

; 14 Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ.

PAIDÁISH 6


; 2 to Ḳhudá ke beṭoṉ ne ádmí kí beṭiyoṉ ko dekhá, ki wuh ḳhúbsúrat haiṉ; aur jin ko unhoṉ ne chuná un se biyáh kar liyá.

4Un dinoṉ meṉ zamín par jabbár the; aur ba‘d meṉ jab Ḳhudá ke beṭe ádmí kí beṭiyoṉ ke pás gaye, to un ke liye un se aulád húí. Yihí qadím zamáne ke súrmá haiṉ, jo baṛe námwar húe haiṉ.

Khuda ke bête jitne rih l qudus ki hidayat se chalten hain

Admi ki betiyan jo pehle adam ki santan hain yani

Adam or hawa ki

YÚHANNÁ 3

; 6 Jo jism se paidá húá hai, jism hai, aur jo Rúh se paidá húá hai, rúh hai.

1 KURINTHÍOṈ 15


; 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání hai, waise hi âur ásmání bhí haiṉ.

Admi ki betiyan jo jism se paida huin

Aur jo jism se paida huta hai ruh ke begair wuh darkht apne phal se pehchana jata hai

Galatíoṉ 5:19 (URDR55)


Ab jism ke kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí,

nápákí, shahwatparastí, 20butparastí, jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz, nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind: in kí bábat tumheṉ pahle se kahe detá húṉ, jaisá ki peshtar jatá chuká húṉ, ki aise kám karnewále Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris na hoṉge.

Aur ye sab admi yani jism ki auladen hain nasl hai

22Magar Rúh ká phal mahabbat, ḳhushí, itmínán, tahammul, mihrbá-ní, nekí, ímándárí, 23hilm, parhezgárí hai: aise kámoṉ kí koí sharíʻat muḳhálif nahíṉ. 24Aur jo Masíh Yisúʻ ke haiṉ, unhoṉ ne jism ko us kí ragbatoṉ aur ḳhwáhishoṉ samet salíb par kheṉch diyá hai.

25Agar ham Rúh ke sabab se zinda haiṉ, to Rúh ke muwáfiq chalná bhí cháhiye.

Aur ye sab ruh ki santan hai

Ab ruh kya hai or hum ruh se kaise paida huten hain

Ruh hai masih yesu ka kalam aur yesu ka kalam hai naya ahd nama

YÚHANNÁ 6


; 63 Zinda karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ

YÚHANNÁ 14


; 26 Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.

Paidáish 2:7 (URDR55)


Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne zamín kí miṭṭí se insán ko banáyá, aur us ke nathnoṉ meṉ zindagí ká dam phúṉká; to insán jítí ján húá.

Paidáish 2:22 (URDR55)


aur Ḳhudáwand Ḳhudá us paslí se, jo us ne Ádam men se nikálí thí, ek ‘aurat banákar use Ádam ke pás láyá.

18Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne kahá, ki Ádam ká akelá rahná achchhá nahíṉ; maiṉ us ke liye ek madadgár us kí mánind banáúṉgá.

YAʻQÚB 1


; 15 Phir ḳhwáhish hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab baṛh chuká to maut paidá kartá hai.

Aur ek baat saaf taur par kalam ki gawahi se sidi aur saaf lafzo men zahir karta hun

Aurat ko khuda ne is liye nhi bnaya tha ki adam haramkari ke adheshe use sahdi kare

Aur aulad ko paida kare

Khuda ne aurat ko madadgar ke taur par sahayak ke taur par diya hai

1 KURINTHÍOṈ 7


; 14 Kyúṉki jo shauhar bá ímán nahíṉ wuh bíwí ke sabab se pák ṭhahrtá hai, aur jo bíwí bá ímán nahíṉ wuh Masíhí shauhar ke báʻis pák ṭhahrtí hai: warna tumháre farzand nápák hote; magar ab pák haiṉ. 15Lekin mard jo bá ímán na ho agar wuh ʻaláhida ho, to ʻaláhida hone do: aisí hálat meṉ koí bháí yá bahin páband nahíṉ: aur Ḳhudá ne ham ko mel miláp ke liye buláyá hai. 16Kyúṉki, ai ʻaurat, tujhe kyá ḳhabar hai, ki sháyad tú apne shauhar ko bachá le? Aur ai mard, tujh ko kyá ḳhabar hai, ki sháyad tú apní bíwí ko bachá le?

Romíoṉ 5:12 (URDR55)


Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 

1 TÍMUTHIYUS 2


; 13 Kyúṉki pahle Ádam banáyá gayá, us ke baʻd Hawwá; 14aur Ádam ne fareb nahíṉ kháyá, balki ʻaurat fareb khákar gunáh meṉ paṛ gayí.

Jaise ke zindghi se maut aur usi maut se zindghi bhi ayi saleeb par masih yesu ke jan dene se qurbaan hune se

Kyu zindghi ki maut ki ruh se ek huye saleeb par to maut ki ruh se

Ruh l quds ki madad se aur baap ke jalal ke wasile

Zindghi ko paida kaya

Romíoṉ 5:17 (URDR55)


Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí; to jo log fazl aur rástbází kí baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní Yisúʻ Masíh ke wasíle se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge.

Ifisíoṉ 2:15 (URDR55)


chunáṉchi us ne apne jism ke zaríʻe se dushmaní, yaʻní wuh sharíʻat jis ke hukm zábitoṉ ke taur par the, mauqúf kar dí; táki donoṉ se apne áp meṉ ek nayá insán paidá karke sulh kará de;

2 Kurinthíoṉ 5:17 (URDR55)


Is liye agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai: purání chízeṉ játí rahíṉ; dekho, wuh nayí ho gayíṉ.

Kulussíoṉ 3:10 (URDR55)


aur nayí insáníyat ko pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí játí hai:

Ifisíoṉ 4:24 (URDR55)


aur nayí insáníyat ko pahino, jo Ḳhudá ke mutábiq sachcháí kí rástbází aur pákízagí meṉ paidá kí gayí hai.



Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...