ज़िन्दगी का दम
पैदाइश 2
; 7 और ख़ुदावन्द ख़ुदा ने ज़मीन की मिट्टी से इंसान को बनाया और उसके नथनों में ज़िन्दगी का दम फूंका इंसान जीती जान हुआ।
रोमि 1
; 17 इस वास्ते कि उसमें ख़ुदा की रास्तबाज़ी ईमान से “और ईमान के लिए ज़ाहिर होती है जैसा लिखा है रास्तबाज़ ईमान से जीता रहेगा”
नोहा 4:20 (IRVUrd)
हमारी ज़िन्दगी का दम ख़ुदावन्द का मम्सूह, उनके गढ़ों में गिरफ़्तार हो गया; जिसकी वजह हम कहते थे, कि उसके साये तले हम क़ौमों के बीच ज़िन्दगी बसर करेंगे।
Mitti ke hum hain,, masih yesu humari zindghi ka dum hai
Zindghi ka dum hai masih yesu yani vishwash
यूहन्ना 5
; 39 तुम किताब — ए — मुक़द्दस में ढूँडते हो, क्यूँकि समझते हो कि उसमें हमेशा की ज़िन्दगी तुम्हें मिलती है, और ये वो है जो मेरी गवाही देती है; 40फिर भी तुम ज़िन्दगी पाने के लिए मेरे पास आना नहीं चाहते।
यूहन्ना 1:4 (IRVUrd)
उसमें ज़िन्दगी थी और वो ज़िन्दगी आदमियों का नूर थी।
To agar dhamri men vishwash nhi ho to wuh kya hai murda
या’क़ूब 2
; 26 ग़रज़ जैसे बदन बग़ैर रूह के मुर्दा है वैसे ही ईमान भी बग़ैर आ’माल के मुर्दा है।
Aiyúb 32:8 (URDR55)
Lekin insán meṉ rúh hai, Aur Qádir i mutlaq ká dam ḳhirad baḳhshtá hai.
रोमि 10
; 17 पस ईमान सुनने से पैदा होता है और सुनना मसीह के कलाम से।
ʻIBRÁ NÍOṈ 12
2 aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá.
Ab zinda rehna matlab fani duniya men jism ke mutabik jab tak hain maish yesu ko takte huye vishwash men jite rehna,,
Vishwashi ki zindghi ka dum hai masih ka vishwash
Yúhanná 3:36 (URDR55)
Jo Beṭe par ímán látá hai, hamesha kí zindagi us kí hai;
1 Yúhanná 5:12 (URDR55)
Jis ke pás Beṭá hai, us ke pás zindagí hai; aur jis ke pás Ḳhudá ká Beṭá nahíṉ, us ke pás zindagí bhí nahíṉ.
1 Yúhanná 2:25 (URDR55)
Aur jis ká us ne ham se waʻda kiyá, wuh hamesha kí zindagí hai.
Amsál 8:35 (URDR55)
Kyúṉki jo mujh ko pátá hai zindagí pátá hai, Aur wuh Ḳhudáwand ká maqbúl hogá.
Yúhanná 5:24 (URDR55)
Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo merá kalám suntá, aur mere bhejnewále ká yaqín kartá hai, hamesha kí zindagí us kí hai, aur us par sazá ká hukm nahíṉ hotá, balki wuh maut se nikalkar zindagí meṉ dáḳhil ho gayá hai.
2 Kurinthíoṉ 4:11 (URDR55)
Kyúṉki ham jíte jí Yisúʻ kí ḳhátir hamesha maut ke hawále kiye játe haiṉ, táki Yisúʻ kí zindagí bhí hamáre fání jism meṉ záhir ho.
1 Yúhanná 5:11 (URDR55)
Aur wuh gawáhí yih hai, ki Ḳhudá ne hameṉ hamesha kí zindagí baḳhshí, aur yih zindagí us ke Beṭe meṉ hai.
Yaʻqúb 1:12 (URDR55)
Mubárak wuh shaḳhs hai, jo ázmáish kí bardásht kartá hai: kyúṉki jab maqbúl ṭhahrá, to zindagí ká wuh táj hásil karegá, jis ká Ḳhudáwand ne apne mahabbat karnewáloṉ se waʻda kiyá hai.
Yúhanná 8:12 (URDR55)
Yisúʻ ne phir un se muḳhátib hokar kahá; Dunyá ká núr maiṉ húṉ; jo merí pairawí karegá, wuh andhere meṉ na chalegá, balki zindagí ká núr páegá.
1 Yúhanná 5:13 (URDR55)
Maiṉ ne tum ko, jo Ḳhudá ke Beṭe ke nám par ímán láe ho, yih báteṉ is liye likhíṉ, ki tumheṉ maʻlúm ho ki hamesha kí zindagí rakhte ho.
Yúhanná 6:47 (URDR55)
Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo ímán látá hai, hamesha kí zindagí us kí hai.
Masih ke iman men jina mtlab humesha ki zindghi jina
Masih ke iman ke begair jina mtlab kuch dair ki zindghi jina
Jo hum aam insane jismani nafsani zindghi jite hain or sari duniya bhi jisme shamil hai
Jo masih ke iman ke begair jiten hain
Yúhanná 5:26 (URDR55)
Kyúṉki jis tarah Báp apne áp meṉ zindagí rakhtá hai, usí tarah us ne Beṭe ko bhí yih baḳhshá, ki apne áp meṉ zindagí rakkhe;
ʻIBRÁ NÍOṈ 11
1Ab ímán ummed kí húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai. 2Kyúṉki usí kí bábat buzurgoṉ ke haqq meṉ achchhí gawáhí dí gayí. 3Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.
Kulussíoṉ 3:3 (URDR55)
kyúṉ ki tum mar gaye, aur tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai.
1 Yúhanná 1:2 (URDR55)
(yih zindagí záhir húí, aur ham ne use dekhá, aur us kí gawáhí dete haiṉ, aur isí hamesha kí zindagí kí tumheṉ ḳhabar dete haiṉ jo Báp ke sáth thí, aur ham par záhir húí);
Comments
Post a Comment