Skip to main content

पर अब विश्वास, आशा, प्रेम थे तीनों स्थाई है, पर इन में सब से बड़ा प्रेम है।

1 Kurinthíoṉ 13:13 (URDR55)

G̣araz ímán, ummed, mahabbat, yih tínoṉ dáimí haiṉ; magar afzal in meṉ mahabbat hai.

Masih yesu men aap saboh ki salamati ho,,,

Aaj hum ruh l quds ki madad se

Jis vishe par mukashfa ke ruh se raushni dalne ja rahne hain

Wuh hai iman umeed mahabbat yih tinon daimi hain magar afzal in men mahabbat

2 KURINTHÍOṈ 5

; 17 Is liye agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai: purání chízeṉ játí rahíṉ; dekho, wuh nayí ho gayíṉ.

To jo nai masih srisat hai usmen

Iman umeed mahabbat hai,,,

Iman jo hai wuh iman hai

Jo masih yesu se ata hai

Or ye tino hi baten

Srirak aur sansarik aur jismani vishe

Bilkol hi nhi hain

Kalam ka jo bhi visha hai

Wuh ruhani tarakki ke liye hai

Romíoṉ 10:17 (URDR55)

Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

Romíoṉ 10:9 (URDR55)

ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá.

Romíoṉ 10:10 (URDR55)

Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.

Yúhanná 3:18 (URDR55)

Jo us par ímán látá hai, us par sazá ká hukm nahíṉ hotá; jo us par ímán nahíṉ látá, us par sazá ká hukm ho chuká; is liye ki wuh Ḳhudá ke iklaute Beṭe ke nám par ímán nahíṉ láyá.

ʻIbrá Níoṉ 11:1 (URDR55)

Ab ímán ummed kí húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai.

Iman wuh hai jo masih ka kalam sunne se ata hai

Ab iman men jin chizon ki hum umeed rakhte hain

Jo nazar nhi aa rahi,, magar humare iman men hain

To andekhi chizon ka sabut hai

Romíoṉ 8:24 (URDR55)

Chunáṉchi hameṉ ummed ke wasíle se naját milí; magar jis chíz kí ummed hai, jab wuh nazar á jáe, to phir ummed kaisí? kyúṉki jo chíz koí dekh rahá hai, us kí ummed kyá karegá?

Magar masih men ummed konsi andekhi chizon ki rakhni hai

1 KURINTHÍOṈ 14

1Mahabbat ke tálib ho, aur rúhání niʻmatoṉ kí bhí árzú rakkho, ḳhusúsan is kí, ki nubuwwat karo.

1 KURINTHÍOṈ 12

; 31Tum baṛí se baṛí niʻmatoṉ kí árzú rakkho. Lekin âur bhí sab se ʻumda taríqa maiṉ tumheṉ batátá húṉ.

1 KURINTHÍOṈ 13

1Agar maiṉ ádmíoṉ aur firishtoṉ kí zabáneṉ bolúṉ, aur mahabbat na rakkhúṉ, to maiṉ ṭhanṭhanátá húá pítal, yá jhanjhanátí húí jháṉjh húṉ. 2Aur agar mujhe nubuwwat milí, aur sáre bhedoṉ aur kull ʻilm kí wáqifíyat húí, aur merá ímán yaháṉ tak kámil húá ki paháṛoṉ ko haṭá dúṉ, aur mahabbat na rakkhúṉ, to maiṉ kuchh bhí nahíṉ. 3Aur agar apná sárá mál garíboṉ ko khilá dúṉ, yá apná badan jaláne ko de dúṉ, aur mahabbat na rakkhúṉ, to mujhe kuchh bhí fáida nahíṉ. 4Mahabbat sábir hai, aur mihrbán; mahabbat hasad nahíṉ kartí; mahabbat sheḳhí nahíṉ mártí, aur phúltí nahíṉ, 5názebá kám nahíṉ kartí, apní bihtarí nahíṉ cháhtí, jhunjhlátí nahíṉ, badgumání nahíṉ kartí; 6badkárí se ḳhush nahíṉ hotí, balki rástí se ḳhush hotí hai; 7sab kuchh sah letí hai, sab kuchh yaqín kartí hai, sab bátoṉ kí ummed rakhtí hai, sab bátoṉ kí bardásht kartí hai. 8Mahabbat ko zawál nahíṉ; nubuwwateṉ hoṉ, to mauqúf ho jáeṉgí; zabáneṉ hoṉ, to játí raheṉgí; ʻilm ho, to miṭ jáegá. 9Kyúṉki bamárá ʻilm náqis hai, aur hamárí nubuwwat nátamám: 10lekin jab kámil áegá, to náqis játá rahegá.

Jab mahabbat sabad sunte hain to ye jismani zimini srirak sansarik mahabbat ki baat

Nhi ho rahi

Baap ne apni mahbaat bête ke wasile zahir ki

YÚHANNÁ 3

; 16 Kyúṉki Ḳhudá ne dunyá se aisí mahabbat rakkhí, ki us ne apná iklautá Beṭá baḳhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe halák na ho, balki hamesha kí zindagi páe. 17Kyúṉki Ḳhudá ne Beṭe ko dunyá meṉ is liye nahíṉ bhejá, ki dunyá par sazá ká hukm kare, balki is liye ki dunyá us ke wasíle se naját páe.

Aur jab hum bête ke haq men ruh l quds ki madad se

Gawahi dete hain,,, aur lagatar

Uski zindghi ka izahar karte rehten hain ,,,

To hum baap ki us mahobbat ka zikar karten hain

Jo usne apne bête ke wasile zahir ki

1 Yúhanná 4:8 (URDR55)

Jo mahabbat nahíṉ rakhtá, wuh Ḳhudá ko nahíṉ jántá, kyúṉki Ḳhudá mahabbat hai.

1 Yúhanná 4:16 (URDR55)

Jo mahabbat Ḳhudá ko ham se hai, us ko ham ján gaye, aur hameṉ us ká yaqín hai. Ḳhudá mahabbat hai; aur jo mahabbat meṉ qáim rahtá hai, wuh Ḳhudá meṉ qáim rahtá hai, aur Ḳhudá us meṉ qáim rahtá hai.

1 Kurinthíoṉ 8:3 (URDR55)

lekin jo koí Ḳhudá se mahabbat rakhtá hai, us ko Ḳhudá pahchántá hai.

1 Yúhanná 4:11 (URDR55)

Ai ʻazízo, jab Ḳhudá ne ham se aisí mahabbat kí, to ham par bhí ek dúsre se mahabbat karní farz hai.

1 Yúhanná 4:12 (URDR55)

Ḳhudá ko kabhí kisí ne nahíṉ dekhá: agar ham ek dúsre se mahabbat karte haiṉ, to Ḳhudá ham meṉ rahtá hai, aur us kí mahabbat hamáre dil meṉ kámil ho gayí hai.

Romíoṉ 5:5 URDR55

; kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai.

YÚHANNÁ 14

; 26 Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.

Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...