Skip to main content

आकाश में और पृथ्वी पर बहुत से ईश्वर कहलाते हैं, (जैसा कि बहुत से ईश्वर ओ...

Masih yesu men aap sabki salamati ho,,

Ajj hum masih yeshua ke fazl se sachchai ki ruh se ruh  l quds ki madad

Se sikhne ja rahen hain,,

Masih par iman lane sabab se hum bête hune haq hasil karte hain

Aur bête hune ka haq jo hai wuh itna asani nhi mila

Hum jo kalam ko sunne padne janne wale masih hain

Wuh ache se masih yesu ki kurbani ko jante hain

Balki salibi maut ka to pura sansaar hi duniya hi gawah hai

Lekin sachche gawah wuhi hain jo use duniya men zinda zahir karte hain

Apne jismani zindghi ke dawara,,

To ajj bhi jo masih yesu ke fazl aur anugreh ke dwara jo baap ko nhi janta

Wuh elohim ke naam se janta hai

1 KURINTHÍOṈ 8

5Agarchi ásmán o zamín meṉ bahút se ḳhudá kahláte haiṉ; (chunáṉchi bahutere ḳhudá aur bahutere ḳhudáwand haiṉ); 6lekin hamáre nazdík to ek hí Ḳhudá hai, yaʻní Báp, jis kí taraf se sárí chízeṉ haiṉ, aur ham usí ke liye haiṉ; aur ek hí Ḳhudáwand hai, yaʻní Yisúʻ Masíh, jis ke wasíle se sárí chízeṉ maujúd húíṉ, aur ham bhí usí ke wasíle se haiṉ. 7Lekin sab ko yih ʻilm nahíṉ, balki baʻz ko ab tak butparastí kí ʻádat hai; is liye us gosht ko but kí qurbání jánkar kháte haiṉ, aur un ká dil chúṉki kamzor hai álúda ho játá hai.

 

Yúhanná 6:46 (URDR55)

Yih nahíṉ, ki kisí ne Báp ko dekhá hai, magar jo Ḳhudá kí taraf se hai, usí ne Báp ko dekhá hai.

Yúhanná 1:18 (URDR55)

Ḳhudá ko kisí ne kabhí nahíṉ dekhá; iklautá Beṭá, jo Báp kí god meṉ hai, usí ne záhir kiyá.

MATÍ 11

; 25 Us waqt Yisúʻ ne kahá; Ai Báp, ásmán aur zamín ke Ḳhudáwand, maiṉ terí hamd kartá húṉ, ki tú ne yih báteṉ dánáoṉ aur ʻaqlmandoṉ se chhipáíṉ, aur bachchoṉ par záhir kíṉ. 26Háṉ, ai Báp; kyúṉki aisá hí tujhe pasand áyá. 27Mere Báp kí taraf se sab kuchh mujhe sauṉpá gayá, aur koí Beṭe ko nahíṉ jántá, siwá Báp ke; aur koí Báp ko nahíṉ jántá, siwá Beṭe ke, aur us ke, jis par Beṭá use záhir karná cháhe.

Ab hum kaya karte hain  usko bhade ghamand men apni swe dharmikta ko apni insane zimini jismani niyat ki bewkofi se alag namo se unche sur men pukarte hunge ki shyd usko meri ibadit bauht pasand ati hugi 

Usko sarirak or sansarik tarike se  alag alag namo se pukarte hain bhade fakr se

Ki hum apni sweddharmikta or abhimanki ghamndi dharmik jeevan ko namon

Ka tle charahte hain dharmik jeevan zahir Karen ke liye

Likha hai

Yúhanná 15:5 (URDR55)

Maiṉ angúr ká daraḳht húṉ, tum dáliyáṉ ho; jo mujh meṉ qáim rahtá hai, aur maiṉ us meṉ, wuhí bahut phal látá hai; kyúṉki mujh se judá hokar tum kuchh nahíṉ kar sakte.

1 Yúhanná 4:2 (URDR55)

Ḳhudá kí Rúh ko tum is tarah pahchán sakte ho, ki jo koí rúh iqrár kare ki Yisúʻ Masíh mujassam hokar áyá hai, wuh Ḳhudá kí taraf se hai:

 

ROMÍOṈ 8

1Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par sazá ká hukm nahíṉ.

 

ROMÍOṈ 8

; 9 Lekin tum jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai. Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ. 

 

 

PAIDÁISH 1

1Ḳhudá ne ibtidá meṉ zamín o ásmán ko paidá kiyá.

 

Elohim yani creator wuh jisne zamin o asman ko paida kiya

Elohim ibrani shabad hai, aur aise hi alag alag jabaan men

Shrishti, karta,, aise or bhi jubano men ,, esi sabad ke dawara

Jante hain,

Koi use urja kehta hai,, alhida alahida se jitne bhi qudrat ke kaaamon ke wasile

Usko sansaar pehnchANTA HAI

 

yahweh

yani khudawand khuda

 

 

PAIDÁISH 2

; 4Yih hai ásmán aur zamín kí paidáish, jab wuh ḳhalq húe, jis din Ḳhudáwand Ḳhudá ne zamín aur ásmán ko banáyá.

 

Tisra hai ibrani men adonai el elyon

Yani jitne bhi khudawand khuda hain

Un sab men se sabse takat war sarb sakti maan khuda

PAIDÁISH 14

; 22 Par Abrám ne Sadúm ke bádsháh se kahá, ki Maiṉ ne Ḳhudáwand Ḳhudá Ta‘álá, ásmán aur zamín ke málik kí qasam kháí hai, 

 

PAIDÁISH 15

; 2 Abrám ne kahá, ki Ai Ḳhudáwand Ḳhudá, tú mujhe kyá degá? kyúṉki maiṉ to beaulád játá húṉ, aur mere ghar ká muḳhtár Damishqí Ilí‘azar hai.

Is hawale ke mutabik ibrani men, mol shabad hai

 

Adonai

PAIDÁISH 16

; 13 Aur Hájirah ne Ḳhudáwand ká, jis ne us se báteṉ kíṉ Attá El Roí nám rakkhá, ya‘ní Ai Ḳhudá, tú basír hai, kyúṉki us ne kahá, Kyá maiṉ ne yaháṉ bhí apne dekhnewále ko játe húe dekhá? 

Hajirah jo hi wuh misri aurat thi,

Agar ap unmen se hain jo khuda ko adonai naam se ijzat mahima jalal dene men se ek hain

To phir hum hajirah se hain yani misri aurat se hain misri auart ki ibadat ko apna rahen hain

Or hum gulam hain or gulami ki halat men  gulam ki aulad banker  ibadat karten  hain bête or waris ki tarah nhi,,

 

Paidáish 21:9 (URDR55)

Aur Sárah ne dekhá, ki Hájirah Misrí ká beṭá, jo us ke Abrahám se húá thá, ṭhaṭṭhe mártá hai.

Paidáish 16:1 (URDR55)

Aur Abrám kí bíwí Sáraí ke koí aulád na húí. Us kí ek Misrí lauṉḍí thí, jis ká nám Hájirah thá.

Paidáish 25:12 (URDR55)

Yih nasabnáma Abrahám ke beṭe Ismá‘íl ká hai, jo Abrahám se Sárah kí lauṉḍí Hájirah Misrí ke batn se paidá húá.

 

Galatíoṉ 4:24 (URDR55)

In bátoṉ meṉ tamsíl páí játí hai: is liye ki yih ʻaurateṉ goyá do ʻahd haiṉ; ek Koh i Síná par ká, jis se gulám hí paidá hote haiṉ, aur wuh Hájira hai.

 25Aur Hájira ʻArab ká Koh i Síná hai;

kyúṉki wuh apne laṛkoṉ samet gulámí meṉ hai.

28Pas, ai bháiyo, ham Izháq kí tarah waʻde ke farzand haiṉ. 29Aur jaise us waqt jismání paidáishwálá rúhání paidáishwále ko satátá thá, waise hí ab bhí hotá hai. 30Magar kitáb i muqaddas kyá kahtí hai? Yih, ki Lauṉḍí aur us ke beṭe ko nikál de, kyúṉki lauṉḍí ká beṭá ázád ke beṭe ke sáth hargiz wáris na hogá. 31Pas, ai bháiyo, ham lauṉḍí ke farzand nahíṉ, balki ázád ke haiṉ.

Aʻmál 2:34 (URDR55)

Kyúṉki Dáúd to ásmán par nahíṉ chaṛhá: lekin wuh ḳhud kahtá hai, ki Ḳhudáwand ne mere Ḳhudáwand se kahá; Merí dahiní taraf baiṭh,

29Ai bháiyo, maiṉ qaum ke buzurg Dáúd ke haqq meṉ tum se dilerí ke sáth kah saktá húṉ, ki wuh múá aur dafn bhí húá, aur us kí qabr áj tak ham meṉ maujúd hai.

 

El shaddai  matlab  Ḳhudá e Qádir

PAIDÁISH 17

1Jab Abrám ninánawe baras ká húá, tab Ḳhudáwand Abrám ko nazar áyá, aur us se kahá, ki Maiṉ Ḳhudá e Qádir húṉ; tú mere huzúr meṉ chal, aur kámil ho.

 

El Olam  abadí Ḳhudá

PAIDÁISH 21

 ; 33Tab Abrahám ne Baír Saba‘ meṉ jháú ká ek daraḳht lagáyá, aur waháṉ us ne Ḳhudáwand se, jo abadí Ḳhudá hai, du‘á kí.

 

 

yahowa yarih

mohiya karne wala

the lord who provides

PAIDÁISH 22

 ; 14 Aur Abrahám ne us maqám ká nám Yahowáh Yarí rakkhá: chunáṉchi áj tak yih kaháwat hai, ki Ḳhudáwand ke paháṛ par muhaiyá kiyá jáegá.

 

 

shiloh ka matlab hai peacemaker

shannti karne wala

PAIDÁISH 49

 ; 10Yahúdáh se saltanat nahíṉ chhúṭegí,

Aur na us kí nasl se hukúmat ká ‘asá mauqúf hogá,

Jab tak Shíloh na áe;

Aur qaumeṉ us kí mutí‘ hoṉgí.

 

 

ahyah asher ahyah

MAIṈ JO HÚṈSO MAIṈ HÚṈ

ḲHURÚJ 3

 ; 14 Ḳhudá ne Músá se kahá, MAIṈ JO HÚṈSO MAIṈ HÚṈ. So tú baní Isráíl se yúṉ kahná, ki MAIṈ JO HÚṈ ne mujhe tumháre pás bhejá hai.

 

 

 

 

LEKIN MASIH MEN HUM KHUDA KO BAAP KE TAUR PAR IMAN KE WASILE

MASIH NE HUM PAR YANI ADAM JAAD PAR ZAHIR KIYA

RAUSHNI KIYA

Adonai avinu  khudawand humara baap

YASA‘IYÁH 64

;  8 Taubhí, ai Ḳhudáwand, tú hamárá báp hai; ham miṭṭí haiṉ, aur tú hamárá kumhár hai; aur ham sab ke sab terí dastkárí haiṉ.

Yahweh Tsidkenu

Khudawand  humari dharmikt hai

 

 

YARMIYÁH 23

 ; 5 Dekh, wuh din áte haiṉ, Ḳhudáwand farmátá hai, ki maiṉ Dáúd ke liye ek sádiq Sháḳh paidá karúṉgá, aur us kí bádsháhí mulk meṉ iqbálmandí aur ‘adálat aur sadáqat ke sáth hogí. 6Us ke aiyám meṉ Yahúdáh naját páegá, aur Isráíl salámatí se sukúnat karegá: aur us ká nám yih rakkhá jáegá, Ḳhudáwand hamárí sadáqat. 

Romíoṉ 1:17 (URDR55)

Is wáste ki us meṉ Ḳhudá kí rástbází ímán se aur ímán ke liye záhir hotí hai, jaisá likhá hai, ki Rástbáz ímán se jítá rahegá.

Romíoṉ 10:10 (URDR55)

Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.

Galatíoṉ 3:6 (URDR55)

Chunáṉchi Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází giná gayá.

 

Is tarah se puarne ahd name men khuda ne  bauht se  namo se zahir kiya

Magar

AʻMÁL 4

;  12 Aur kisí dúsre ke wasíle se naját nahíṉ; kyúṉki ásmán ke tale ádmíoṉ ko koí dúsrá nám nahíṉ baḳhshá gayá, jis ke wasíle se ham naját pá sakeṉ.

Masih yesu

 

 

ʻIBRÁ NÍOṈ 1

1Agle zamáne meṉ Ḳhudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabíoṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke áḳhir meṉ ham se Beṭe kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízoṉ ká wáris ṭhahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízoṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáhoṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já baiṭhá; 4aur firishtoṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás meṉ un se afzal nám páyá. 5Kyúṉki firishtoṉ meṉ se us ne kab kisí se kahá, ki

Tú merá Beṭá hai,

Áj tú mujh se paidá húá?

Aur phir yih, ki

Maiṉ us ká Báp húṉgá,

Aur wuh merá Beṭá hogá?

6Aur jab pahlauṭhe ko dunyá meṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳhudá ke sab firishte use sijda kareṉ. 7Aur firishtoṉ kí bábat yih kahtá hai, ki

Wuh apne firishtoṉ ko hawáeṉ,

Aur apne ḳhádimoṉ ko ág ke shuʻle banátá hai:

8Magar Beṭe kí bábat kahtá hai, ki

Ai Ḳhudá, terá taḳht abaduʼl ábád rahegá;

Aur terí bádsháhat ká ʻasá rástí ka ʻasá hai.

9Tú ne rástbází se mahabbat, aur badkárí se ʻadáwat rakkhí;

Isí sabab se Ḳhudá, yaʻní tere Ḳhudá ne ḳhushí ke tel se,

Tere sáthiyoṉ kí banisbat tujhe ziyáda masah kiyá.

10Aur yih, ki

Ai Ḳhudáwand, tú ne ibtidá meṉ zamín kí neo dálí,

Aur ásmán tere háth kí kárígarí haiṉ:

11Wuh nest ho jáeṉge; magar tú báqí rahegá:

Aur wuh sab poshák kí mánind puráne ho jáeṉge:

12Tú unheṉ chádar kí tarah lapeṭegá.

Aur wuh poshák kí tarah badal jáeṉge:

Magar tú wuhí hai,

Aur tere baras ḳhatm na hoṉge.

13Lekin us ne firishtoṉ meṉ se kisí ke báre meṉ kab kahá, ki

Tú merí dahiní taraf baiṭh,

Jab tak maiṉ tere dushmanoṉ ko tere páṉwoṉ tale kí chaukí na kar dúṉ?

 

 YÚHANNÁ 1

;10Wuh dunyá meṉ thá, aur dunyá us ke wasíle se paidá húí, aur dunyá ne use na pahcháná. 11Wuh apne ghar áyá, aur us ke apnoṉ ne use qubúl na kiyá. 12Lekin jitnoṉ ne use qubúl kiyá, us ne unheṉ Ḳhudá ke farzand banne ká haqq baḳhshá, yaʻní unheṉ jo us ke nám par ímán láte haiṉ. 13Wuh na ḳhún se, na jism kí ḳhwáhish se, na insán ke iráde se, balki Ḳhudá se paidá húe. 14Aur Kalám mujassam húá, aur fazl aur sachcháí se maʻmúr hokar hamáre darmiyán rahá, aur ham ne us ká aisá jalál dekhá, jaisá Báp ke iklaute ká jalál.

 

IFISÍOṈ 1

; 5 aur us ne apní marzí ke nek iráde ke muwáfiq hameṉ apne liye peshtar se muqarrar kiyá, ki Yisúʻ Masíh ke wasíle us ke lepálak beṭe hoṉ, 6táki us ke us fazl ke jalál kí sitáish ho, jise hameṉ us ʻAzíz meṉ muft baḳhshá: 7ham ko us meṉ us ke ḳhún ke wasíle se maḳhlasí, yaʻní qusúroṉ kí muʻáfí, us ke us fazl kí daulat ke muwáfiq hásil hai, 8jise us ne har tarah kí hikmat aur dánáí ke sáth kasrat se ham par názil kiyá; 9chunáṉchi us ne apní marzí ke bhed ko apne us nek iráde ke muwáfiq ham par záhir kiyá, jise apne áp meṉ ṭhahrá liyá thá: 10táki zamánoṉ ke púre hone ká aisá intizám ho, ki Masíh meṉ sab chízoṉ ká majmúʻa ho jáe, ḳhwáh wuh ásmán kí hon, ḳhwáh zamín kí; 11usí meṉ ham bhí us ke iráde ke muwáfiq, jo apní marzí kí maslahat se sab kuchh kartá hai, peshtar se muqarrar hokar mírás bane; 12táki ham jo pahle se Masíh kí ummed meṉ the, us ke jalál kí sitáish ke báʻis hoṉ: 13aur usí meṉ tum par bhí, jab tum ne kalám i haqq ko suná, jo tumhárí naját kí ḳhushḳhabarí hai, aur us par ímán láe, pák mauʻúda Rúh kí muhr lagí; 14wuhí Ḳhudá kí milkíyat kí maḳhlasí ke liye, hamárí mírás ká baiʻána hai, táki us ke jalál kí sitáish ho.

ROMÍOṈ 8

; 14 Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ. 15Kyúṉki tum ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ. 16Rúh ḳhud hamárí rúh ke sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ. 17Aur agar farzand haiṉ, to wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás; basharte ki ham us ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...