Skip to main content

पवित्र आत्मा वह तुम्हें सब बातें सिखाएगा वह सब तुम्हें स्मरण कराएगा।

Ai ʻazízo, har ek rúh ká yaqín na karo, balki rúhoṉ ko ázmáo, ki wuh Ḳhudá kí taraf se haiṉ yá nahíṉ;

I Yúhanná 4:1 URDR55

G̣araz, Ḳhudáwand meṉ aur us kí qudrat ké zor meṉ mazbút bano. Ḳhudá ke sab hathyár báṉdh lo, táki tum Iblís ke mansúboṉ ke muqábale meṉ qáim rah sako; kyúṉki hameṉ ḳhún aur gosht se kushtí nahíṉ karní hai, balki hukúmatwáloṉ aur iḳhtiyárwáloṉ, aur is dunyá kí táríkí ke hákimoṉ aur sharárat kí un rúhání faujoṉ se, jo ásmání maqámoṉ meṉ haiṉ.

Ifisíoṉ 6:10-12 URDR55

Dekho, maiṉ ne tum ko iḳhtiyár diyá, ki sáṉpoṉ aur bichchhúoṉ ko kuchlo, aur dushman kí sárí qudrat par gálib áo; aur tum ko hargiz kisí chíz se zarar na pahuṉchegá. Taubhí is se ḳhush na ho, ki rúheṉ tumháre tábiʻ haiṉ; balki is se ḳhush ho, ki tumháre nám ásmán par likhe húe haiṉ.

Lúqá kí Injíl 10:19-20 URDR55

  Tú is bát par ímán rakhtá hai, ki Ḳhudá ek hi hai; ḳhair, achchhá kartá hai: shayátin bhí ímán rakhte, aur thartharáte haiṉ.

Yaʻqúb 2:19 URDR55

19 तुझे विश्वास है कि एक ही परमेश्वर है: तू अच्छा करता है: दुष्टात्मा भी विश्वास रखते, और थरथराते हैं।

याकूब 2:19

Ab saaf taur par ye likha hua agar hum yesu masih vishwash men chal rahen hain,,

Magar chinta preshani ki ab kya huga kal kya huga,, matlab darte huye or tharate hue

Vishwash me chal rahen hain,, to dushat atma ke dawara khuda men vishwash rakhte hue chal rahen hain

Darte or thartharte hue khuda men chal rahen hain

Romíoṉ 8:15 (URDR55)

Kyúṉki tum ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; 

 balki lepálak hone kí rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ.

Dar ki or ghulami ki ruh pehli bar ai kaise or kiske dwara ai

Pehle adam ke

PAIDÁISH 3

; 9 Tab Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam ko pukárá, aur us se kahá, ki Tú kaháṉ hai? 10Us ne kahá, Maiṉ ne bág̣ meṉ terí áwáz suní, aur maiṉ ḍará, kyúṉki maiṉ nangá thá; aur maiṉ ne apne áp ko chhipáyá. 11Us ne kahá, Tujhe kis ne batáyá ki tú nangá hai? Kyá tú ne us daraḳht ká phal kháyá, jis kí bábat maiṉ ne tujh ko hukm diyá thá, ki use na kháná? 12Ádam ne kahá, ki Jis ‘aurat ko tú ne mere sáth kiyá hai, us ne mujhe us daraḳht ká phal diyá, aur maiṉ ne kháyá.

16Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam ko hukm diyá aur kahá, ki Tú bág̣ ke har daraḳht ká phal be rok ṭok khá saktá hai: 17lekin nek o bad kí pahchán ke daraḳht ká kabhí na kháná: kyúṉki jis roz tú ne us meṉ se kháyá, tú mará.

Or dar ruh yani tharthrane ki ruh yani dushat atma bhi khuda men vishwash rakhti hai

Wuh pehle adam ke dwara dar or dushatatma yani dar or bhay ki atama ke dwara khuda men vishwash men chalna shuru hua

Isiliye jab tak masih yesu ki salebi maut or tisri din murdo se jinda hune tak yahi kahte aye

Ki daro mat daro mat

Yasa‘iyáh 41:10 (URDR55)

tú mat ḍar, kyúṉki maiṉ tere sáth húṉ: hirásán na ho, kyúṉki maiṉ terá Ḳhudá húṉ: maiṉ tujhe zor baḳhshúṉgá: yaqínan maiṉ terí madad karúṉgá: aur maiṉ apní sadáqat ke dahine háth se tujhe sambhálúṉgá.

 

Yasa‘iyáh 41:13 (URDR55)

Kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand , terá Ḳhudá, terá dahiná háth pakaṛkar kahúṉgá, Mat ḍar; maiṉ terí madad karúṉgá.

LÚQÁ 12

; 6Tum mazbút ho jáo, aur hausala rakkho; ḍaro mat, aur na un se ḳhauf kháo; ISTISNÁ 31

; 6 kyúṉki Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá ḳhud hí tumháre sáth játá hai; wuh tum se dastbardár nahíṉ hogá, aur na tum ko chhoṛegá.32Ai chhoṭe galle, na ḍar; kyúṉki tumháre Báp ko pasand áyá, ki tumheṉ bádsháhat de. 

YÚHANNÁ 6

;  19 Pas jab wuh kheté khete tín chár míl ke qaríb nikal gaye, to unhoṉ ne Yisúʻ ko jhíl par chalte, aur kishtí ke nazdík áte dekhá, aur ḍar gaye. 20Magar us ne un se kahá, ki Maiṉ húṉ; ḍaro nahíṉ.

To darte hue khuda men chalna matlab dushtatma ke dwara vishwash rakhte hue khuda men chalna

Galatíoṉ 1:7 (URDR55)

magar wuh dúsrí nahíṉ: albatta baʻz aise haiṉ, jo tumheṉ ghabrá dete, aur Masíh kí ḳhushḳhabarí bigáṛná cháhte haiṉ.

Galatíoṉ 1:8 (URDR55)

Lekin agar ham, yá ásmán ká koí firishta bhí, us ḳhushḳhabarí ke siwá jo ham ne tumheṉ sunáí, koí âur ḳhushḳhabarí tumheṉ sunáe, to malʻún ho.

2 TÍMUTHIYUS 1

 ; 7 Kyúṉki Ḳhudá ne hameṉ dahshat kí rúh nahíṉ, balki qudrat, aur mahabbat, aur tarbiyat kí rúh dí hai.

1 Kurinthíoṉ 10:21 (URDR55)

Tum Ḳhudáwand ke piyále aur shayátín ke piyále donoṉ meṉ se nahíṉ pí sakte: Ḳhudáwand ke dastarḳhwán aur shayátín ke dastarḳhwán donoṉ par sharík nahíṉ ho sakte.

1 कुरिन्थियों 10:21

·         तुम प्रभु के कटोरे, और दुष्टात्माओं के कटोरे दोनों में से नहीं पी सकते! तुम प्रभु की मेज और दुष्टात्माओं की मेज दोनों के साझी नहीं हो सकते।

·         1 तीमुथियुस 4

1

परन्तु आत्मा स्पष्टता से कहता हैकि आने वाले समयों में कितने लोग भरमाने वाली आत्माओं

और दुष्टात्माओं की शिक्षाओं पर मन लगाकर विश्वास से बहक जाएंगे।

प्रकाशित वाक्य 16:14

·         ये चिन्ह दिखाने वाली दुष्टात्मा हैं, जो सारे संसार के राजाओं के पास निकल कर इसलिये जाती हैं, कि उन्हें सर्वशक्तिमान परमेश्वर के उस बड़े दिन की लड़ाई के लिये इकट्ठा करें। 

प्रकाशित वाक्य 18:2

·         उस ने ऊंचे शबद से पुकार कर कहा, कि गिर गया बड़ा बाबुल गिर गया है: और दुष्टात्माओं का निवास, और हर एक अशुद्ध आत्मा का अड्डा, और एक अशुद्ध और घृणित पक्षी का अड्डा हो गया।

·      PAIDÁISH 11

·         1Aur tamám zamín par ek hí zabán aur ek hí bolí thí. 2Aur aisá húá ki mashriq kí taraf safar karte karte un ko mulk i Sin‘ár meṉ ek maidán milá, aur wuh waháṉ bas gaye. 3Aur unhoṉ ne ápas meṉ kahá, Áo, ham íṉṭeṉ banáeṉ aur un ko ág meṉ ḳhúb pakáeṉ. So unhoṉ ne patthar kí jagah íṉṭ se aur chúne kí jagah gáṛe se kám liyá. 4Phir wuh kahne lage, ki Áo, ham apne wáste ek shahr aur ek burj, jis kí choṭí ásmán tak pahuṉche banáeṉ, aur yaháṉ apná nám kareṉ, aisá na ho, ki ham tamám rú e zamín par paragánda ho jáeṉ. 5Aur Ḳhudáwand is shahr aur burj ko, jise baní Ádam banáne lage, dekhne ko utrá. 6Aur Ḳhudáwand ne kahá, Dekho, yih log sab ek haiṉ aur in sabhoṉ kí ek hí zabán hai. Wuh jo yih karne lage haiṉ, to ab kuchh bhí jis ká wuh iráda kareṉ, un se báqí na chhúṭegá. 7So áo, ham waháṉ jákar un kí zabán meṉ iḳhtiláf ḍáleṉ, táki wuh ek dúsre kí bát samajh na sakeṉ. 8Pas Ḳhudáwand ne un ko waháṉ se tamám rú e zamín meṉ paráganda kiyá: so wuh us shahr ke banáne se báz áe. 9Is liye us ká nám Bábul húá; kyúṉki Ḳhudáwand ne waháṉ sárí zamín kí zabán meṉ iḳhtiláf ḍálá: aur waháṉ se Ḳhudáwand ne un ko tamám rú e zamín par paráganda kiyá.

 

Ab babul ka burj kya hai apna naam bnana

Isliye masih yesu ne kaha

YÚHANNÁ 5

 ; 43 Maiṉ apne Báp ke nám se áyá húṉ, aur tum mujhe qubúl nahíṉ karte; agar koí âur apne hí nám se áe, to use qubúl kar loge. 44Tum jo ek dúsre se ʻizzat cháhte ho, aur wuh ʻizzat jo Ḳhudá e Wáhid kí taraf se hotí hai nahíṉ cháhte, kyúṉkar ímán lá sakte ho? 45Yih na samjho ki maiṉ Báp se tumhárí shikáyat karúṉgá: tumhárí shikáyat karnewálá to hai, yaʻní Músá, jis par tum ne ummed lagá rakkhí hai. 46Kyúṉki agar tum Músá ká yaqín karte, to merá bhí yaqín karte, is liye ki us ne mere haqq meṉ likhá hai. 47Lekin jab tum us ke nawishtoṉ ká yaqín nahíṉ karte, to merí bátoṉ ká kyúṉkar yaqín karoge?

LÚQÁ 24

;

 25Us ne un se kahá, ki Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 

 हे निर्बुद्धियों, और भविष्यद्वक्ताओं की सब बातों पर विश्वास करने में मन्दमतियों!

26Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá?

27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ.

YÚHANNÁ 5

 ; 39 Tum kitáb i muqaddas meṉ ḍhúṉḍhte ho; kyúṉki samajhte ho ki us meṉ hamesha kí zindagí tumheṉ miltí hai; aur yih wuh hai, jo merí gawáhí deti hai;

LÚQÁ 24

;

; 44 Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí. 48Tum in bátoṉ ke gawáh ho. 49Aur dekho, jis ká mere Báp ne waʻda kiyá hai, maiṉ us ko tum par názil karúṉgá; lekin, jab tak ʻálam i bálá par se tum ko quwwat ká libás na mile, is shahr meṉ ṭhahre raho.

1 Kurinthíoṉ 2:11 (URDR55)

Kyúṉki insánoṉ meṉ se kaun kisí insán kí báteṉ jántá hai, siwá insán kí apní rúh ke jo us meṉ hai? Isí tarah Ḳhudá kí Rúh ke siwá, koí Ḳhudá kí báteṉ nahíṉ jántá.

Yúhanná 4:24 (URDR55)

Ḳhudá rúh hai

1 Yúhanná 5:7 (URDR55)

aur jo gawáhí detá hai, wuh Rúh hai, kyúṉki Rúh sachcháí hai.

 

LÚQÁ 4

; 18 Ḳhudáwand kí Rúh mujh par hai,

Is liye ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá;

Us ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,

Aur andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,

Kuchle húoṉ ko ázád karúṉ,

19Aur Ḳhudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karúṉ.

 

 

YÚHANNÁ 6

; 63Zinda karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ.

YÚHANNÁ 14

; 26 Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.

 YÚHANNÁ 14

; 16 aur maiṉ Báp se darḳhwást karúṉgá, to wuh tumheṉ dúsrá Madadgár baḳhshegá, ki abad tak tumháre sath rahe, 17yaʻní sachcháí kí Rúh, jise dunyá hásil nahíṉ kar saktí, kyúṉki na use dekhtí, aur na jántí hai: tum use jánte ho; kyúṉki wuh tumháre sáth rahtí hai, aur tumháre andar hogí. 

Yúhanná 15:26 (URDR55)

Lekin jab wuh Madadgár áegá, jis ko maiṉ tumháre pás Báp kí taraf se bhejúṉgá, yaʻní Sachcháí kí Rúh, jo Báp kí taraf se nikaltí hai, to wuh merí gawáhí degí:

ʻIbrá Níoṉ 5:4 (URDR55)

Aur koí shaḳhs apne áp yih ʻizzat iḳhtiyár nahíṉ kartá, jab tak Hárún kí tarah Ḳhudá kí taraf se buláyá na jáe.

Romíoṉ 8:14 (URDR55)

Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...