Skip to main content

यदि कोई पाप करे, तो पिता के पास हमारा एक सहायक है, अर्थात धार्मिक यीशु म...

YÚHANNÁ 14

; 26 Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.

Ab ak hum ruh l quds ki madad masih yesu ke fazl or sachchi ki ruh se

Is kalam par rauhsni dalne ja rahen mukashafa ki ruh se

Ki madadgar to hai jise baap masih yesu ke naam se bajega

Lekin madad gaar hai kin log ke

Dharma logo ke liye gunahgaar logo ke

Dharma log wuh jo musa ki shariat ke adhin

10 hukmo ki agaye ka palna karte huye

Swedharmi yani subawaik dharmikta men ji rahen hain

Gunah gar log wuh hai jo musa ke 10 hukmo ki palna karne

Men kamzoor hain

Yan nhi kar pate

 

1 YÚHANNÁ 3

; 9 Jo koí Ḳhudá se paidá húá hai, wuh gunáh nahíṉ kartá; kyúṉki us ká tuḳhm us meṉ baná rahtá hai: balki wuh gunáh kar hí nahíṉ saktá, kyúṉki Ḳhudá se paidá húá hai.

1 YÚHANNÁ 2

1Ai mere bachcho, yih báteṉ maiṉ tumheṉ is liye likhtá húṉ ki tum gunáh na karo. Aur agar koí gunáh kare, to Báp ke pás hamárá ek Madadgár maujúd hai, yaʻní Yisúʻ Masíh rástbáz; 2aur wuhí hamáre gunáhoṉ ká kaffára hai, aur na sirf hamáre hí gunáhoṉ ká, balki tamám dunyá ke gunáhoṉ ká bhí

 

YÚHANNÁ 14

; 26 Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.

LÚQÁ 5

; 30Aur Farísí aur un ke faqíh us ke shágirdoṉ se yih kahkar buṛbuṛáne lage, ki Tum kyúṉ mahsúl lenewáloṉ aur gunahgároṉ ke sáth kháte píte ho? 31Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Tandurustoṉ ko hakím darkár nahíṉ, balki bímároṉ ko. 32Maiṉ rástbázoṉ ko nahíṉ, balki gunahgároṉ ko táuba ke liye buláne áyá húṉ. 33Aur unhoṉ ne us se kahá, ki Yúhanná ke shágird aksar roza rakhte aur duʻáeṉ máṉgá karte haiṉ, aur isí tarah Farísíoṉ ke bhí; magar tere shágird kháte píte haiṉ. 34Yisúʻ ne un se kahá; Kyá tum barátiyoṉ se, jab tak dulhá un ke sáth rahe, roza rakhwá sakte ho? 35Magar wuh din áeṉge: aur jab dulhá un se judá kiyá jáegá, tab un dinoṉ meṉ wuh roza rakkheṉge. 36Aur us ne un se ek tamsíl bhí kahí, ki Koí ádmí nayí poshák meṉ se pháṛkar purání poshák meṉ paiwand nahíṉ lagátá; warna nayí bhí phaṭegi, aur us ká paiwand purání meṉ mel bhí na kháegá. 37Aur koí shaḳhs nayí mai purání mashkoṉ meṉ nahíṉ bharta; nahíṉ to nayí mai mashkoṉ ko pháṛkar ḳhud bhí bah jáegí, aur mashkeṉ bhí barbád ho jáeṉgí. 38Balki nayí mai nayí mashkoṉ meṉ bharní cháhiye. 39Aur koí ádmí purání mai píkar nayí kí ḳhwáhish nahíṉ kartá, kyúṉki kahtá hai, ki Purání hí achchhí hai.

 

ROMÍOṈ 8

; 26 Isí tarah Rúh bhí hamárí kamzorí meṉ madad kartí hai, kyúṉki jis taur se ham ko duʻá máṉgní cháhiye wuh nahíṉ átí; magar Rúh ḳhud aisí áheṉ bhar bharke hamárí shafáʻat kartí hai, jin ká bayán nahíṉ ho saktá. 27Aur diloṉ ká parakhnewálá jántá hai, ki Rúh kí kyá níyat hai: kyúṉki wuh Ḳhudá kí marzí ke muwáfiq muqaddasoṉ kí shafáʻat kartá hai.

 

ʻIbrá Níoṉ 13:6 (URDR55)

Is wáste ham dilerí ke sáth kahte haiṉ, ki Ḳhudáwand merá madadgár hai; maiṉ ḳhauf na karúṉgá: Insán merá kyá karegá?

 

 

मत्ती 26:41

आत्मा तो तैयार है, परन्तु शरीर दुर्बल है।

Mat 9:35

   

    और यीशु सब नगरों और गांवों में फिरता रहा और उन की सभाओं में उपदेश करता, और राज्य का सुसमाचार प्रचार करता, और हर प्रकार की बीमारी और दुर्बलता को दूर करता रहा।

Rom 8:3

   

    क्योंकि जो काम व्यवस्था शरीर के कारण दुर्बल होकर कर सकी, उस को परमेश्वर ने किया, अर्थात अपने ही पुत्र को पापमय शरीर की समानता में, और पाप के बलिदान होने के लिये भेजकर, शरीर में पाप पर दण्ड की आज्ञा दी।

1 Kurinthíoṉ 1:25 (URDR55)

Kyúṉki Ḳhudá kí bewuqúfí ádmíoṉ kí hikmat se ziyáda hikmatwálí hai, aur Ḳhudá kí kamzorí ádmíon ke zor se ziyáda zoráwar hai.

 

1 KURINTHÍOṈ 15

; 42

Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: 43behurmatí ki hálat meṉ boyá játá hai; aur jalál kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: 44nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání hai, waise hi âur ásmání bhí haiṉ. 49Aur jis tarah ham is ḳhákí kí súrat par húe, usí tarah us ásmání kí súrat par bhí hoṉge.

ROMÍOṈ 6

1Pas ham kyá kaheṉ? Kyá gunáh karte raheṉ, táki fazl ziyáda ho? 2Hargiz nahíṉ! Ham jo gunáh ke iʻtibár se mar gaye, kyúṉkar us meṉ áyanda ko zindagí guzáreṉ? 3Kyá tum nahíṉ jánte, ki ham jitnoṉ ne Masíh Yisúʻ meṉ shámil hone ká baptisma liyá, to us kí maut meṉ shámil hone ká baptisma liyá? 4Pas maut meṉ shámil hone ke baptisma ke wasíle se ham us ke sáth dafn húe; táki jis tarah Masíh Báp ke jalál ke wasíle se murdoṉ meṉ se jiláyá gayá, usí tarah ham bhí nayí zindagí kí ráh chaleṉ. 5Kyúṉki jab ham us kí maut kí mushábahat se us ke sáth paiwasta ho gaye, to beshakk us ke jí uṭhne kí mushábahat se bhí us ke sáth paiwasta hoṉge. 6Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí gulámí meṉ na raheṉ. 7Kyúṉki jo múá, wuh gunáh se barí húá. 8Pas jab ham Masíh ke sáth múe, to hameṉ yaqín hai ki us ke sáth jíeṉge bhí; 9kyúṉki yih jánte haiṉ ki Masíh jab murdoṉ meṉ se jí uṭhá hai to phir nahíṉ marne ká; maut ká phir us par iḳhtiyár nahíṉ hone ká. 10Kyúṉki Masíh jo múá, gunáh ke iʻtibár se ek bár múá: magar ab jo jitá hai, Ḳhudá ke iʻtibár se jítá hai. 11Isí tarah tum bhí apne áp ko gunáh ke iʻtibár se murda, magar Ḳhudá ke iʻtibár se Masíh Yisúʻ meṉ zinda samjho. 12Pas gunáh tumháre fání badan meṉ bádsháhí na kare, ki tum us kí ḳhwáhishoṉ ke tábiʻ raho. 13Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo, aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo. 14Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.

15Pas kyá húá? kyá ham is liye gunáh kareṉ, ki sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht haiṉ? Hargiz nahíṉ! 16Kyá tum nahíṉ jánte, ki jis kí tábiʻdárí ke liye apne áp ko gulámoṉ kí tarah hawále kar dete ho, usí ke gulám ho, jis ke tábiʻdár ho; ḳhwáh gunáh ke, jis ká anjám maut hai; ḳhwáh tábiʻdárí ke, jis ká anjám rástbází hai. 17Lekín Ḳhudá ká shukr hai, ki agarchi tum gunáh ke gulám the, táham dil se us taʻlím ke tábiʻdár ho gaye, jis ke sáṉche meṉ tum ḍhále gaye the; 18aur gunáh se ázád hokar rástbází ke gulám ho gaye. 19Maiṉ tumhárí insání kam-zorí ke sabab insání taur par kahtá húṉ: jis tarah tum ne apne aʻzá badkárí karne ke liye nápákí aur badkárí kí gulámí ke hawále kiye the, usí tarah ab apne aʻzá pák hone ke liye rástbází kí gulámí ke hawále kar do. 20Kyúṉki jab tum gunáh ke gulám the, to rástbází ke iʻtibár se ázád the. 21Pas jin bátoṉ se tum ab sharminda ho, un se tum us waqt kyá phal páte the? kyúṉki un ká anjám to maut hai. 22Magar ab gunáh se ázád, aur Ḳhudá ke gulám hokar, tum ko apná phal milá, jis se pákízagí hásil hotí hai, aur is ká anjám hamesha kí zindagí hai. 23Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...