- नये दाखरस को पुरानी मश्कों में कोई नहीं रखता, नहीं तो दाखरस मश्कों को फाड़ देगा, और दाखरस और मश्कें दोनों नष्ट हो जाएंगी; परन्तु दाख का नया रस नई मश्कों में भरा जाता है॥
Aur nayí mai ko purání mashkoṉ meṉ koí nahíṉ bhartá; nahíṉ to mashkeṉ mai se phaṭ jáeṉgí, aur mai aur mashkeṉ donoṉ barbád ho jáeṉgí: balki nayí mai ko nayí mashkoṉ meṉ bharte haiṉ.
Masih yesu men aap saboh ki salamati ho
Masih yesu ke fazl se sachchai ki ruh se ruh l quds ki madad se
Aur mukashafa ke ruh se
Nayi mai huamri bible ke mutabik naya ahd nama
Fazl aur sachchai ka kalaam
YÚHANNÁ 1
; 16 magar fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi.
Purani mashk hain puarni vacha ke adhin chalne wale log
17Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí;
Bible ke mutabi yahudi aur yunani log ko
Faqihi or farisi log
Nai mai aur nai mashken hain
Anugreh ke adhin vishwashi
Fazl aur sachchai ke adhin
Lúqá 22:20 (URDR55)
Aur isí tarah kháne ke baʻd piyála yih kahkar diyá, ki Yih piyála mere us ḳhún meṉ nayá ʻahd hai, jo tumháre wáste baháyá játá hai.
ʻIbrá Níoṉ 8:13 (URDR55)
Jab us ne nayá ʻahd kahá, to pahle ko puráná ṭhahráyá. Aur jo chíz purání aur muddat kí ho játí hai, wuh miṭne ke qaríb hotí hai.
ʻIbrá Níoṉ 8:8 (URDR55)
Pas wuh un ke nuqs batákar kahtá hai, ki Ḳhudáwand farmátá hai, Dekh, wuh din áte haiṉ, Ki maiṉ Isráíl ke gharáne, aur Yahúdáh ke gharáne se ek nayá ʻahd báṉdhúṉgá;
1 Kurinthíoṉ 11:25 (URDR55)
Isí tarah us ne kháne ke baʻd piyála bhí liyá, aur kahá, ki Yih piyála mere ḳhún meṉ nayá ʻahd hai:
LÚQÁ 5
; 37 Aur koí shaḳhs nayí mai purání mashkoṉ meṉ nahíṉ bharta; nahíṉ to nayí mai mashkoṉ ko pháṛkar ḳhud bhí bah jáegí, aur mashkeṉ bhí barbád ho jáeṉgí. 38Balki nayí mai nayí mashkoṉ meṉ bharní cháhiye. 39Aur koí ádmí purání mai píkar nayí kí ḳhwáhish nahíṉ kartá, kyúṉki kahtá hai, ki Purání hí achchhí hai.
YÚHANNÁ 2
1Phir tísre din Qáná e Galíl meṉ ek shádí húí; aur Yisúʻ kí máṉ waháṉ thí: 2aur Yisúʻ aur us ke shágirdoṉ kí bhí us shádí meṉ daʻwat thí. 3Aur jab mai ho chukí, Yisúʻ kí máṉ ne us se kahá, ki Un ke pás mai nahíṉ rahí. 4Yisúʻ ne us se kahá; Ai ʻaurat, mujhe tujh se kyá kám hai? Abhí merá waqt nahíṉ áyá. 5Us kí máṉ ne ḳhádimoṉ se kahá; Jo kuchh yih tum se kahe, wuh karo. 6Waháṉ Yahúdíoṉ kí tahárat ke dastúr ke muwáfiq patthar ke chha maṭke rakkhe the, aur un meṉ do do, tín tín man kí gunjáish thí
7Yisúʻ ne un se kahá; Maṭkoṉ meṉ pání bhar do. Pas unhoṉ ne un ko lab á lab bhar diyá. 8Phir us ne un se kahá, ki Ab nikálkar mír majlis ke pás le jáo. Pas wuh le gaye. 9Jab mír majlis ne wuh pání chakkhá, jo mai ban gayá thá, aur na jántá thá, ki yih kaháṉ se áí hai, (magar ḳhádim, jinhoṉ ne pání nikálá thá, jánte the,) to mír majlis ne dulhá ko bulakar us se kahá; 10Har shaḳhs pahle achchhí mai pesh kartá hai, aur náqis us waqt jab píkar chhak gaye; magar tú ne achchhí mai ab tak rakh chhoṛí hai. 11Yih pahlá muʻjiza Yisúʻ ne Qáná e Galíl meṉ dikhákar apná jalal záhir kiyá, aur us ke shágird us par ímán láe.
2 Kurinthíoṉ 3:6 (URDR55)
jis ne ham ko naye ʻahd ke ḳhádim hone ke láiq bhí kiyá: lafzoṉ ke ḳhádim nahíṉ, balki rúh ke; kyúṉki lafz már ḍálte haiṉ, magar rúh zinda kartí hai.
2 Kurinthíoṉ 5:17 (URDR55)
2 Kurinthíoṉ 5:16 (URDR55)
Pas ab se ham kisí ko jism kí haisíyat se na pahcháneṉge; háṉ, agarchi Masíh ko bhí jism kí haisíyat se jáná thá, magar ab se nahíṉ jáneṉge.
Is liye agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai: purání chízeṉ játí rahíṉ; dekho, wuh nayí ho gayíṉ.
Titus 3:5 (URDR55)
to us ne ham ko naját dí, magar rástbází ke kámoṉ ke sabab nahíṉ, jo ham ne ḳhud kiye, balki apní rahmat ke mutábiq nayí paidáish ke gusl aur Rúhuʼl Quds ke hameṉ nayá banáne ke wasíle se,
2 KURINTHÍOṈ 3
; 12 Pas ham aisí ummed karke, baṛí dilerí se bolte haiṉ; 13aur Músá kí tarah nahíṉ haiṉ, jis ne apne chihre par niqáb ḍálí, táki baní Isráíl us miṭnewálí chíz ke anjám ko na dekh sakeṉ: 14lekin un ke ḳhayálát kasíf ho gaye: kyúṉki áj tak puráne ʻahdnáme ke paṛhte waqt, un ke diloṉ par wuhí parda paṛá rahtá hai; aur wuh Masíh meṉ uṭh játá hai. 15Magar áj tak jab kábhí Músá kí kitáb paṛhí játí hai, to un ke dil par parda paṛá rahtá hai. 16Lekin jab kabhí un ká dil Ḳhudáwand kí taraf phiregá, to wuh parda uth jáegá. 17Aur wuh Ḳhudáwand Rúh hai: aur jaháṉ kahíṉ Ḳhudáwand kí Rúh hai, waháṉ ázádí hai. 18Magar jab ham sab ke beniqáb chihroṉ se Ḳhudáwand ká jalál is tarah munʻakis hotá hai, jis tarah áíne meṉ, to us Ḳhudáwand ke wasíle se jo Rúh hai, ham usí jalálí súrat meṉ darja ba darja badalte játe haiṉ.
ʻIbrá Níoṉ 8:7 (URDR55)
Kyúṉki agar pahlá ʻahd benuqs hotá, to dúsre ke liye mauqaʻ na ḍhúṉḍhá játá.
ʻIbrá Níoṉ 8:9 (URDR55)
Yih us ʻahd kí mánind na hogá, jo maiṉ ne un ke bápdádá se us din báṉdhá thá, Jab mulk i Misr se nikál láne ke liye un ká háth pakṛá thá; Is wáste ki wuh mere ʻahd par qáim nahíṉ rahe, Aur Ḳhudáwand farmátá hai, ki Maiṉ ne un kí taraf kuchh ta-wajjuh na kí.
ʻIbrá Níoṉ 8:10 (URDR55)
Phir Ḳhudáwand farmátá hai, ki Jo ʻahd Isráíl ke gharáne se Un dinoṉ ke baʻd báṉdhúṉgá, wuh yih hai, ki Maiṉ apne qánún un ke zihn meṉ dálúṉgá, Aur un ke diloṉ par likhúṉgá; Aur maiṉ un ká Ḳhudá húṉgá, Aur wuh merí ummat hoṉge:
ʻIbrá Níoṉ 10:15 (URDR55)
Aur Rúhuʼl Quds bhí ham ko yihí batátá hai;
KULUSSÍOṈ 3
1Pas jab tum Masíh ke sáth jiláe gaye, to ʻálam i bálá kí chízoṉ kí talásh meṉ raho, jaháṉ Masíh maujúd hai, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá hai. 2ʻÁlam i bálá kí chízoṉ ke ḳhayál meṉ raho, na zamín par kí chízoṉ ke; 3kyúṉ ki tum mar gaye, aur tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí zindagí hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye jáoge.
5Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum bhí, jis waqt un bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte the. 8Lekin ab tum bhí in sab ko, yaʻní gussa, aur qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná chhoṛ do: 9ek dúsre se jhúṭh na bolo, kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí insáníyat ko pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí játí hai:
Romíoṉ 6:6 (URDR55)
Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí gulámí meṉ na raheṉ.
7Kyúṉki jo múá, wuh gunáh se barí húá.
10Kyúṉki Masíh jo múá, gunáh ke iʻtibár se ek bár múá: magar ab jo jitá hai, Ḳhudá ke iʻtibár se jítá hai. 11Isí tarah tum bhí apne áp ko gunáh ke iʻtibár se murda, magar Ḳhudá ke iʻtibár se Masíh Yisúʻ meṉ zinda samjho. 12Pas gunáh tumháre fání badan meṉ bádsháhí na kare, ki tum us kí ḳhwáhishoṉ ke tábiʻ raho. 13Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo, aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo. 14Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.
15Pas kyá húá? kyá ham is liye gunáh kareṉ, ki sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht haiṉ? Hargiz nahíṉ! 16Kyá tum nahíṉ jánte, ki jis kí tábiʻdárí ke liye apne áp ko gulámoṉ kí tarah hawále kar dete ho, usí ke gulám ho, jis ke tábiʻdár ho; ḳhwáh gunáh ke, jis ká anjám maut hai; ḳhwáh tábiʻdárí ke, jis ká anjám rástbází hai. 17Lekín Ḳhudá ká shukr hai, ki agarchi tum gunáh ke gulám the, táham dil se us taʻlím ke tábiʻdár ho gaye, jis ke sáṉche meṉ tum ḍhále gaye the; 18aur gunáh se ázád hokar rástbází ke gulám ho gaye. 19Maiṉ tumhárí insání kam-zorí ke sabab insání taur par kahtá húṉ: jis tarah tum ne apne aʻzá badkárí karne ke liye nápákí aur badkárí kí gulámí ke hawále kiye the, usí tarah ab apne aʻzá pák hone ke liye rástbází kí gulámí ke hawále kar do. 20Kyúṉki jab tum gunáh ke gulám the, to rástbází ke iʻtibár se ázád the. 21Pas jin bátoṉ se tum ab sharminda ho, un se tum us waqt kyá phal páte the? kyúṉki un ká anjám to maut hai. 22Magar ab gunáh se ázád, aur Ḳhudá ke gulám hokar, tum ko apná phal milá, jis se pákízagí hásil hotí hai, aur is ká anjám hamesha kí zindagí hai. 23Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.
Comments
Post a Comment