Shalom masih yesu men aap saboh ko salamati
ho
YÚHANNÁ 1
; 16Kyúṉki us kí maʻmúrí meṉ se ham sab ne páyá, yaʻní fazl par fazl.
17Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí; magar fazl aur sachcháí
Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi
Aaj hum sikhne ja rahen
Vivstha kya hai or fazl or sachchai kya
hai
Vivstha musa ki marifat di
Gai,
Fazl or sachchai masih yesu ki marifat
puhnchi
2 KURINTHÍOṈ 3
; 7 Aur jab maut ká wuh ʻahd jis ke hurúf pattharoṉ par khode gaye the, aisá
jalálwálá húá, ki baní Isráíl Músá ke chihre par, us jalál ke sabab se jo us ke
chihre par thá, gaur se nazar na kar sake; háláṉki wuh ghaṭtá játá thá;
musa koh I sina pahari se utra uska jalal ghat ta jata tha..
musa jalAl pa kar mara
masih ne mar ke jalaal paya
] : or jalal pakar marne men or marke jalal
pane men fark hai
] : agar hum shariat yani musa ke dus hukmo
ke adhin hai to jalal pakar marte hain..jo din prti prti din ght ta jate tha.
] : magar fazl or sachchai ke adhin hum mar
ke jalal pate hain
[: or musa men hum jalal pakar asmaan yani
pahar koh isina se niche zamin par ate hai..
masih men hum jalal pakar zamin se upar asmaan
ko jate hain
or baap ke sath masih men takht ki dahini
tarf baithte hain
] : musa men hum sirf khuda ki pith hi dekh
sakten hain
: musa men jalal paten hai to wuh ghatta
jata hai
] : masih men jala pate hain to wuh bhadta
hai.
: masih men hum wuh jalal hasl karte hain
azlon ke sath humara baap ke sath jalal tha
] : lekin marne je baad
: musa men humen jismani taur se zinda hute hain
Magar
gunah ke sabab mar jate hain
masih men hum ruhani taur par zinda hute hain
: kyu ki badan to gunah ke sabab se murda..
ruh rastbazi ke sabab se zinda hau
musa men hum khuda ko gairo ki tarah naamo
se pukarten hain
: magar masih men hum bete ke iktyaar se
abba yani eh baap keh keh kar pukarten hain
] : musa men khuda humen pehle adam ke
wasile jismani taur par jante hain
: masih men khuda baap ke wasile..
ruh ke taur par jante hain
musa men khuda humen pehle adam ke
wasile jism ke sabab jante.or hum khuda
ko zamin o asmaan ko paida krne wala khuda ki hasiyat se jante hain
magar masih men hum khuda ki ruh ke
wasile baap ke ikhtyaar se jante hai or bAap humen bete ke iktyaar ss..
musa men khuda humen jism ke hasiyat se
zinda dekhte hain..
: ruh ki hasiyat se murdaa pehle adam ke
sabab
magar masih men humen..
jism ke sabab murda or ruh ke sabab jinda
dekhten hain
kyu ki masih men badan gunah ke sabab se
murda hai .
ruh rastbazi ke sabab se zinda hai
masih men ruh rastbaazi ke saban se murda
hai.. badan gunah ke sabab se zinda hai
masih men iman sunne se ata hai
or musa men shariat ko iman se kuch vasta
nhi
: musa men aap dar or ghulam ki ruh ko
payen ge
masih men hum mahobbat qudrat or tarbiat ki
ruh ko payen ge
masih men daleri ki ruh ko hasil karte hain
: musa men hum hukmon ki mushqat uthate
hain
masih men hukmon ki mushqat se aram pate
hain
musa men karahna hai duhai hai.
masih men shukar guzari.amen hai
musa men humari bahiri ankhen gunah ke prti
khulti hain
masih men humari androni ankhen
paakizgi prti raushni huti hain..
musa men gehrayen hain or andhera hai
: masih men raushni hai..
musa men hum pani pite to hain, magar phir pyase hute hun
magar masih men hum masih ke sath ek chasma
bn jate hain
yani ke pilane wale ban jate hain
musa men hum.khate hain phir bhuke ho jate
hain or mar jate hain
masih men khate hain or phir khilane wale
ban jate hain
musa men khate hain mar jate hain
masih men khate hai abadi jeevan paten
hain.. or phir khilane wale ban jate hain
: musa men hum apni jan bachate hain.
dusri ki jan gawate hain
masih men hum apni jan khote hain dusre ki
jan bachate hain
musa men hum badan ke wasile ghulam hai..
masih men hum ruh ke wasile azad
musa men koh i sina hai jaha par khuda ki
hum pith dekh sakte hain..
yani narzagi gusa..
: masih men yarushslem..
yani khuda ke sath salib ke wasile sulah
Psalm 36:6 KJV
[6] Thy righteousness is like the great
mountains
musa men apni marzi ko khuda men puri hute
huye dekhna chahten hain..
masih men khuda apni marzi humen puri huti
hui dekhte hain
musa men dus hukmon pura karne ke baad
dharmikta ko hasil karte hain.. ek hukam ko pura na kar sake to lanti
therte hain
magar masih men iman ke vasile dharmikta
bakshish men muft di jati hai..
Comments
Post a Comment