Maut ká ḍank gunáh hai; aur gunáh ká zor sharíʻat hai:
Bible ke mutabik musa ki shariat yani vivstha yani 10 hukmo ke mutabik
Gunah hai,, kya
रोमियो 5:13
· क्योंकि व्यवस्था के दिए जाने तक पाप जगत में तो था, परन्तु जहां व्यवस्था नहीं, वहां पाप गिना नहीं जाता।
· Saaf saaf likha hai jaha musa ke dus hukam nhi waha paap gina nhi jata
· Or jaha kahi dus hukmo ki palna ki dharmikta ki talim di ja rahi hai
· Waha apke paap gine ja rahen hain
· Yani apko apne aap ninga kiya ja raha hai
· Yani nek o bad ki pehcand ke darkht ka phal khilaya ja rahe hai
· Jiski babat khuda ne adam ko kaha tha
· Musa ke 10 hukam vivstha muat or gunah ke dastawez
2 KURINTHÍOṈ 3
· ; 6jis ne ham ko naye ʻahd ke ḳhádim hone ke láiq bhí kiyá: lafzoṉ ke ḳhádim nahíṉ, balki rúh ke; kyúṉki lafz már ḍálte haiṉ, magar rúh zinda kartí hai.
· 7Aur jab maut ká wuh ʻahd jis ke hurúf pattharoṉ par khode gaye the, aisá jalálwálá húá, ki baní Isráíl Músá ke chihre par, us jalál ke sabab se jo us ke chihre par thá, gaur se nazar na kar sake; háláṉki wuh ghaṭtá játá thá;
· 9Kyúṉki jab mujrim thahránewálá ʻahd jalálwálá thá, to rástbází ká ʻahd to zarúr hí jalálwálá hogá.
Paidáish 2:17 (URDR55)
lekin nek o bad kí pahchán ke daraḳht ká kabhí na kháná: kyúṉki jis roz tú ne us meṉ se kháyá, tú mará.
·
· Ab pehle adam or hawa se lekar musa tak
· Gunah paap to huta tha,, magar musa ki vivstha yani dus
· Hukam na hune ke karan adam jad jismani jina paap nhi gina jata tha
· Or jo vivstha hai musa ke 10 hukam ye bauht dair baad diye gaye musa ke dwara
· Musa ko diye farishton ne
Isiliye likha hai
गलातियों 1:8
· परन्तु यदि हम या स्वर्ग से कोई दूत भी उस सुसमाचार को छोड़ जो हम ने तुम को सुनाया है, कोई और सुसमाचार तुम्हें सुनाए, तो श्रापित हो।
गलातियों 1:7
· परन्तु वह दूसरा सुसमाचार है ही नहीं: पर बात यह है, कि कितने ऐसे हैं, जो तुम्हें घबरा देते, और मसीह के सुसमाचार को बिगाड़ना चाहते हैं।
Romíoṉ 5:14 (URDR55)
Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá.
·
गलातियों 3:17
· पर मैं यह कहता हूं की जो वाचा परमेश्वर ने पहिले से पक्की की थी, उस को व्यवस्था चार सौ तीस बरस के बाद आकर नहीं टाल देती, कि प्रतिज्ञा व्यर्थ ठहरे।
गलातियों 3:19
· तब फिर व्यवस्था क्यों दी गई? वह तो अपराधों के कारण बाद में दी गई, कि उस वंश के आने तक रहे, जिस को प्रतिज्ञा दी गई थी, और वह स्वर्गदूतों के द्वारा एक मध्यस्थ के हाथ ठहराई गई।
गलातियों 3:20
· मध्यस्थ तो एक का नहीं होता, परन्तु परमेश्वर एक ही है।
गलातियों 3:21
· तो क्या व्यवस्था परमेश्वर की प्रतिज्ञाओं के विरोध में है? कदापि न हो क्योंकि यदि ऐसी व्यवस्था दी जाती जो जीवन दे सकती, तो सचमुच धामिर्कता व्यवस्था से होती।
गलातियों 3:22
· परन्तु पवित्र शास्त्र ने सब को पाप के आधीन कर दिया, ताकि वह प्रतिज्ञा जिस का आधार यीशु मसीह पर विश्वास करना है, विश्वास करने वालों के लिये पूरी हो जाए॥
गलातियों 3:26
· क्योंकि तुम सब उस विश्वास करने के द्वारा जो मसीह यीशु पर है, परमेश्वर की सन्तान हो।
गलातियों 3:12
· पर व्यवस्था का विश्वास से कुछ सम्बन्ध नहीं;
ROMÍOṈ 6
1Pas ham kyá kaheṉ? Kyá gunáh karte raheṉ, táki fazl ziyáda ho? 2Hargiz nahíṉ! Ham jo gunáh ke iʻtibár se mar gaye, kyúṉkar us meṉ áyanda ko zindagí guzáreṉ? 3Kyá tum nahíṉ jánte, ki ham jitnoṉ ne Masíh Yisúʻ meṉ shámil hone ká baptisma liyá, to us kí maut meṉ shámil hone ká baptisma liyá? 4Pas maut meṉ shámil hone ke baptisma ke wasíle se ham us ke sáth dafn húe; 4Pas maut meṉ shámil hone ke baptisma ke wasíle se ham us ke sáth dafn húe; táki jis tarah Masíh Báp ke jalál ke wasíle se murdoṉ meṉ se jiláyá gayá, usí tarah ham bhí nayí zindagí kí ráh chaleṉ. 5Kyúṉki jab ham us kí maut kí mushábahat se us ke sáth paiwasta ho gaye, to beshakk us ke jí uṭhne kí mushábahat se bhí us ke sáth paiwasta hoṉge. 6Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí gulámí meṉ na raheṉ. 7Kyúṉki jo múá, wuh gunáh se barí húá.
·
ROMÍOṈ 7
; 7 Pas ham kyá kaheṉ? Kyá sharíʻat gunáh hai? Hargiz nahíṉ! Balkí bagair sharíʻat ke maiṉ gunáh ko na pahchántá; masalan, agar sharíʻat yih na kahtí, ki Tú lálach na kar, to maiṉ lálach ko na jántá: 8magar gunáh ne mauqaʻ pákar, hukm ke zaríʻe se mujh meṉ har tarah ká lálach paidá kar díyá: kyúṉki sharíʻat ke bagair gunáh murda hai. 9Ek zamáne meṉ shariʻat ke bagair maiṉ zinda thá; magar jab hukm áyá, to gunáh zinda ho gayá, aur maiṉ mar gayá; 10aur jis hukm ká manshá zindagí thá, wuhí mere haqq meṉ maut ká báʻis ban gayá: 11kyúṉki gunáh ne mauqaʻ pákar, hukm ke zaríʻe se mujhe bahkáyá, aur usí ke zaríʻe se mujhe már bhí ḍálá. 12Pas sharíʻat pák hai, aur hukm bhí pák, aur rást, aur achchhá hai. 13Pas jo chíz achchhí hai, kyá wuh mere liye maut ṭhahrí? Hargiz nahíṉ! Balki gunáh ne, achchhí chíz ke zaríʻe se mere liye maut paidá karke, mujhe már ḍálá; táki us ká gunáh honá záhir ho, aur hukm ke zaríʻe se gunáh hadd se ziyáda makrúh maʻlúm ho.
Romíoṉ 5:12 (URDR55)
Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá —
Romíoṉ 3:23 (URDR55)
is liye ki sab ne gunáh kiyá, aur Ḳhudá ke jalál se mahrúm haiṉ;
Romíoṉ 8:2 (URDR55)
Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá.
3Is liye ki jo kám shariʻat, jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ. 5Kyúṉki jo jismání haiṉ, wuh jismání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ; lekin jo rúhání haiṉ, wuh rúhání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ. 6Aur jismání níyat maut hai; magar rúhání níyat zindagí aur itmínán hai: 7is liye ki jismání níyat Ḳhudá kí dushmaní hai; kyúṉki na to Ḳhudá kí sharíʻat ke tábiʻ hai, na ho saktí hai: 8aur jo jismání haiṉ, wuh Ḳhudá ko ḳhush nahíṉ kar sakte. 9Lekin tum jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai. Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ. 10Aur agar Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh rástbází ke sabab se zinda hai.
Galatíoṉ 5:25 (URDR55)
Agar ham Rúh ke sabab se zinda haiṉ, to Rúh ke muwáfiq chalná bhí cháhiye.
Romíoṉ 10:4 (URDR55)
Kyúṉki har ek ímán lánewále kí rástbází ke liye Masíh sharíʻat ká anjám hai.
1 YÚHANNÁ 3
; 4 To koí gunáh kartá hai, wuh sharaʻ kí muḳhálafat kartá hai; aur gunáh sharaʻ kí muḳhálafat hí hai.
1 Yúhanná 5:16 (URDR55)
16Agar koí apne bháí ko aisá gunáh karte dekhe, jis ká natíja maut na ho, to duʻá máṉge; Ḳhudá us ke wasíle se zindagí baḳhshegá; unhí ko jinhoṉ ne aisá gunáh nahíṉ kiyá jis ká natíja maut ho. Gunáh aisá bhí hai, jis ká natíja maut hai: is kí bábat duʻá máṉgne ko maiṉ nahíṉ kahtá. 17Hai to har tarah kí nárástí gunáh; magar aisá gunáh bhí hai, jis ká natíja maut nahíṉ.
18Ham jánte haiṉ, ki jo koí Ḳhudá se paidá húá hai, wuh gunáh nahíṉ kartá; balki us kí hifázat wuh kartá hai, jo Ḳhudá se paidá húá, aur wuh sharír use chhúne nahíṉ pátá. 19Ham jánte haiṉ, ki ham Ḳhudá se haiṉ; aur sárí dunyá us sharír ke qabze meṉ paṛí húi hai. 20Aur yih bhí jánte haiṉ, kí Ḳhudá ká Beṭá á gayá hai, aur us ne hameṉ samajh baḳhshí hai, táki us ko jo haqíqí hai jáneṉ; aur ham us meṉ jo haqíqí hai, yaʻní us ke Beṭe Yisúʻ Masíh meṉ haiṉ.
2 KURINTHÍOṈ 5
; 20 Pas ham Masíh ke elchí haiṉ; goyá hamáre wasíle se Ḳhudá iltimás kartá hai: ham Masíh kí taraf se minnat karte haiṉ, ki Ḳhudá se mel miláp kar lo. 21Jo gunáh se wáqif na thá, usí ko us ne hamáre wáste gunáh ṭhahráyá, táki ham us meṉ hokar Ḳhudá kí rástbází ho jáeṉ.
ʻIbrá Níoṉ 9:28 (URDR55)
isí tarah Masíh bhí ek bár bahut logoṉ ke gunáh uṭháne ke liye qurbán hokar, dúsrí bár bagair gunáh ke, naját ke liye un ko dikháí degá, jo us kí ráh dekhte haiṉ.
1 Yúhanná 2:1 (URDR55)
Ai mere bachcho, yih báteṉ maiṉ tumheṉ is liye likhtá húṉ ki tum gunáh na karo. Aur agar koí gunáh kare, to Báp ke pás hamárá ek Madadgár maujúd hai, yaʻní Yisúʻ Masíh rástbáz;
Romíoṉ 5:21 (URDR55)
táki jis tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se bádsháhí kare.
Romíoṉ 6:23 (URDR55)
Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.
Romíoṉ 6:22 (URDR55)
Magar ab gunáh se ázád, aur Ḳhudá ke gulám hokar, tum ko apná phal milá, jis se pákízagí hásil hotí hai, aur is ká anjám hamesha kí zindagí hai.
Romíoṉ 6:17 (URDR55)
Lekín Ḳhudá ká shukr hai, ki agarchi tum gunáh ke gulám the, táham dil se us taʻlím ke tábiʻdár ho gaye, jis ke sáṉche meṉ tum ḍhále gaye the;
Yúhanná 8:34 (URDR55)
Yisúʻ ne unheṉ jawáb diyá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo koí gunáh kartá hai, gunáh ká gulám hai.
Yúhanná 8:35 (URDR55)
Aur gulám abad tak ghar meṉ nahíṉ rahtá; beṭá abad tak rahtá hai.
Comments
Post a Comment