Skip to main content

शमूएल ने शाऊल से कहा यहोवा ने तुझे इस्राएल का राजा होने के लिये तुच्छ जा...

Masih yeshua men aap saboh ki salamati ho

Ajj hum sikhne ja rahen

Shaul or daud

Inki zindghi men se

Hum shariat yani musa ki vivstha 10 hukam

Or fazl or sachcha ki tamail pai jati hai

Shaul ki mang ki gai

Daud bakshish men anugreh ki tamsil hai

Is tarah shariat musa ki marifat di gai..

Yani shaul jiski jo sharait ki tamsil hai

Fazl or anugreh masih yesu ki marfit pauhnchi

Yani jiski tamsil daud hai..

1 Samúel 8:2–8 URDR55

[2] Us ke pahlauṭhe ká nám Yúel, aur us ke dúsre beṭe ká nám Abiyáh thá: wuh donoṉ Baírsaba‘ meṉ qází the. [3] Par us ke beṭe us kí ráh par na chale, balki wuh nafa‘ ke lálach se rishwat lete, aur insáf ká ḳhún kar dete the. [4] Tab sab Isráílí buzurg jama‘ hokar Rámah meṉ Samúel ke pás áe; [5] aur us se kahne lage, Dekh, tú za‘íf hai, aur tere beṭe terí ráh par nahíṉ chalte: ab tú kisí ko hamárá bádsháh muqarrar kar de jo âur qaumoṉ kí tarah hamárí ‘adálat kare. [6] Lekin jab unhoṉ ne kahá, ki Ham ko koí bádsháh de jo hamárí ‘adálat kare, to yih bát Samúel ko burí lagí, aur Samúel ne Ḳhudáwand se du‘á kí. [7] Aur Ḳhudáwand ne Samúel se kahá, ki Jo kuchh yih log tujh se kahte haiṉ, tú us ko mán; kyúṉki unhoṉ ne terí nahíṉ, balki merí hiqárat kí hai, ki maiṉ un ká bádsháh na rahúṉ. [8] Jaise kám wuh us din se, jab se maiṉ un ko Misr se nikál láyá, áj tak karte áe haiṉ, ki mujhe tark karke âur ma‘búdoṉ kí parastish karte rahe haiṉ, waisá hí wuh tujh se karte haiṉ.

[11] Aur us ne kahá, ki Jo bádsháh tum par saltanat karegá, us ká taríqa yih hogá, ki wuh tumháre beṭoṉ ko lekar apne rathoṉ ke liye aur apne risále meṉ naukar rakkhegá, aur wuh us ke rathoṉ ke áge áge dauṛeṉge.

Galatíoṉ 3:19 URDR55

[19] Pas sharíʻat kyá rahí? Wuh náfarmáníoṉ ke sabab se baʻd meṉ dí gayí, ki us nasl ke áne tak rahe jis se waʻda kiyá gayá thá; aur wuh firishtoṉ ke wasíle se ek darmiyání kí maʻrifat muqarrar kí gayí.

Yúhanná 1:17 URDR55

[17] Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí;

1 Samúel 10:19 URDR55

[19] Par tum ne áj apne Ḳhudá ko jo tum ko tumhárí sab musíbatoṉ aur taklífoṉ se riháí baḳhshtá hai haqír jáná; aur us se kahá, Hamáre liye ek bádsháh muqarrar kar.

1 Samúel 15:9 URDR55

[9] Lekin Sáúl ne aur un logoṉ ne Ajáj ko, aur achchhí achchhí bheṛ bakriyoṉ, gáe bailoṉ, aur moṭe moṭe bachchoṉ, aur barroṉ ko, aur jo kuchh achchhá thá, use jítá rakkhá, aur un ko nest karná na cháhá; lekin unhoṉ ne har ek chíz ko jo náqis aur nikammí thí nest kar diyá.

1 Samúel 15:10–11 URDR55

[10] Tab Ḳhudáwand ká kalám Samúel ko pahuṉchá, ki [11] Mujhe afsos hai, ki maiṉ ne Sáúl ko bádsháh hone ke liye muqarrar kiyá; kyúṉki wuh merí pairawí se phir gayá hai, aur us ne mere hukm nahíṉ máne. Pas Samúel ká g̣ussa bhaṛká, aur wuh sárí rát Ḳhudáwand se faryád kartá rahá.

[17] Samúel ne kahá, Go tú apní hí nazar meṉ haqír thá, taubhí kyá tú baní Isráíl ke qabíloṉ ká sardár na banáyá gayá? Aur Ḳhudáwand ne tujhe masah kiyá táki tú baní Isráíl ká bádsháh ho. [18] Aur Ḳhudáwand ne tujhe safar par bhejá, aur kahá, ki Já, aur gunahgár ‘Amálíqíoṉ ko nest kar, aur jab tak wuh faná na ho jáeṉ un se laṛtá rah. [19] Pas tú ne Ḳhudáwand kí bát kyúṉ na mání, balki lúṭ par ṭúṭkar wuh kám kar guzrá jo Ḳhudáwand kí nazar meṉ burá hai?

Wá‘iz 3:15 URDR55

[15] Jo kuchh hai wuh pahle ho chuká; aur jo kuchh hone ko hai, wuh bhí ho chuká;

Paidáish 3:9–13 URDR55

[9] Tab Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam ko pukárá, aur us se kahá, ki Tú kaháṉ hai? [10] Us ne kahá, Maiṉ ne bág̣ meṉ terí áwáz suní, aur maiṉ ḍará, kyúṉki maiṉ nangá thá; aur maiṉ ne apne áp ko chhipáyá. [11] Us ne kahá, Tujhe kis ne batáyá ki tú nangá hai? Kyá tú ne us daraḳht ká phal kháyá, jis kí bábat maiṉ ne tujh ko hukm diyá thá, ki use na kháná? [12] Ádam ne kahá, ki Jis ‘aurat ko tú ne mere sáth kiyá hai, us ne mujhe us daraḳht ká phal diyá, aur maiṉ ne kháyá. [13] Tab Ḳhudáwand Ḳhudá ne ‘aurat se kahá, ki Tú ne yih kyá kiyá? ‘Aurat ne kahá, ki Sáṉp ne mujh ko bahkáyá, to maiṉ ne kháyá.

https://bible.com/bible/1553/gen.3.9.URDR55

https://bible.com/bible/1553/ecc.3.15.URDR55

https://bible.com/bible/1553/1sa.15.11.URDR55

Yasa‘iyáh 1:11–14 URDR55

[11] Ḳhudáwand farmátá hai, Tumháre zabíhoṉ kí kasrat se mujhe kyá kám? maiṉ meṉḍhoṉ kí soḳhtaní qurbáníoṉ se aur farbih bachhṛoṉ kí charbí se bezár húṉ, aur bailoṉ aur bheṛoṉ aur bakroṉ ke ḳhún meṉ merí ḳhushnúdí nahíṉ. [12] Jab tum mere huzúr ákar mere dídár ke tálib hote ho, to kaun tum se yih cháhtá hai, ki merí bárgáhoṉ ko rauṉdo? [13] Áyande ko bátil hadye na láná, baḳhúr se mujhe nafrat hai, naye chánd aur sabt aur ‘ídí jamá‘at se bhí; kyúṉki mujh meṉ badkirdárí ke sáth ‘íd kí bardásht nahíṉ. [14] Mere dil ko tumháre naye chándoṉ aur tumhárí muqarrara ‘ídoṉ se nafrat hai: wuh mujh par bár haiṉ; maiṉ un kí bardásht nahíṉ kar saktá.

https://bible.com/bible/1553/isa.1.11.URDR55

Shariat kya krti jo tumhare pas sab se acha hai use apne paas rakh leti hai..

Or musa ki vivstha achi chizon ko umda chizon rakh leti hai..

Or naqis aur nikammi chizon ko nest kar deti hai…

Ye ek shaul ki nhi balki har ek jo apne dil men musa ki shariat rakhta hai

Bible har ek musa ki shariat rakhne wale ki baat bible ki gawahiyon ke wasile zahir yani raushan karti hai..

1 Tímuthiyus 1:6–7 URDR55

[6] In ko chhoṛkar baʻz shaḳhs behúda bakwás kí taraf mutawajjih ho gaye; [7] aur sharíʻat ke muʻallim banná cháhte haiṉ, háláṉki jo báteṉ kahte haiṉ, aur jin ká yaqíní taur se daʻwá karte haiṉ, un ko samajhte bhí nahíṉ.

[9] yaʻní yih samajhkar ki sharíʻat rástbázoṉ ke liye muqarrar nahíṉ húí, balki besharaʻ aur sarkash logoṉ, aur bedínoṉ, aur gunahgároṉ, aur nápákoṉ, aur rindoṉ, aur máṉ báp ke qátiloṉ, aur ḳhúníoṉ, [10] aur harámkároṉ, aur launḍebázoṉ, aur bardafaroshoṉ, aur jhúṭhoṉ, aur jhúṭhí qasam khánewáloṉ, aur in ke siwá sahíh taʻlím ke âur barḳhiláf kám karnewáloṉ ke wáste hai;

https://bible.com/bible/1553/1ti.1.6.URDR55

Romíoṉ 2:17–24 URDR55

[17] Pas agar tú Yahúdí kahlátá, aur sharíʻat par takya aur Ḳhudá par faḳhr kartá hai, [18] aur us kí marzí jántá, aur sharíʻat kí taʻlím pákar ʻumda ʻumda báteṉ pasand kartá hai; [19] aur agar tujh ko is bát par bhí bharosá hai, ki maiṉ andhoṉ ká rahnumá, aur andhere meṉ paṛe húoṉ ke liye raushní, [20] aur nádánoṉ ká tarbíyat karnewálá, aur bachchoṉ ká ustád húṉ, aur ʻilm aur haqq ká jo namúna sharíʻat meṉ hai, wuh mere pás hai; [21] pas tú jo auroṉ ko sikhátá hai, apne áp ko kyúṉ nahíṉ sikhátá? Tú jo waʻz kartá hai ki chorí na karná, áp ḳhud kyúṉ chorí kartá hai? [22] Tú jo kahtá hai ki ziná na karná, áp ḳhud kyúṉ ziná kartá hai? Tú jo butoṉ se nafrat rakhtá hai, áp ḳhud kyúṉ mandiroṉ ko lúṭtá hai? [23] Tú jo sharíʻat par faḳhr kartá hai, sharíʻat ke ʻudúl se Ḳhudá kí kyúṉ beʻizzatí kartá hai? [24] Kyúṉki Tumháre sabab se gairqaumoṉ meṉ Ḳhudá ke nám par kufr baká játá hai; chunáṉchi yih likhá bhí hai.

https://bible.com/bible/1553/rom.2.17.URDR55

Lúqá 11:43 URDR55

[43] Ai Farísío, tum par afsos hai! ki tum ʻibádatḳhánoṉ meṉ aʻlá darje kí kursíáṉ aur bázároṉ meṉ salám cháhte ho.

Lúqá 11:44 URDR55

[44] Tum par afsos hai! kyúṉki tum un poshída qabroṉ kí mánind ho, jin par ádmí chalte haiṉ, aur un ko is bát kí ḳhabar nahíṉ.

https://bible.com/bible/1553/luk.11.44.URDR55

https://bible.com/bible/1553/luk.11.43.URDR55

Lúqá 11:46–48 URDR55

[46] Us ne kahá; Ai sharaʻ ke ʻálimo, tum par bhí afsos hai! ki tum aíse bojh, jin ká uṭháná mushkil hai, ádmíoṉ par ládte ho, aur áp ek unglí bhí un bojhoṉ ko nahíṉ lagáte. [47] Tum par afsos hai! ki tum to nabíoṉ kí qabroṉ ko banáte ho, aur tumháre bápdádá ne un ko qatl kiyá thá. [48] Pas tum gawáh ho, aur apne bápdádá ke kámoṉ ko pasand karte ho; kyúṉki unhoṉ ne to un ko qatl kiyá thá, aur tum un kí qabreṉ banáte ho.

[50] táki sab nabíoṉ ke ḳhún kí, jo biná e ʻálam se baháyá gayá, is zamáne ke logoṉ se bázpurs kí jáe; [51] Hábíl ke ḳhún se lekar us Zakaryáh ke ḳhún tak, jo qurbángáh aur maqdis ke bích meṉ halák húá; maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Isí zamáne ke logoṉ se sab kí bázpurs kí jáegí. [52] Ai sharaʻ ke ʻálimo, tum par afsos hai! ki tum ne maʻrifat kí kunjí chhín lí: tum áp bhí dáḳhil na húe, aur dáḳhil honewáloṉ ko bhí roká.

Lúqá 6:24 URDR55

[24] Magar afsos tum par jo daulatmand ho, kyúṉki tum apní tasallí pá chuke.

Yasa‘iyáh 5:21 URDR55

[21] Un par afsos jo apní nazar meṉ dánishmand aur apní nigáh meṉ sáhib i imtiyáz haiṉ!

Matí 23:15 URDR55

[15] Ai riyákár faqího aur Farísío, tum par afsos hai! ki ek muríd karne ke liye tarí aur ḳhushkí ká daura karte ho, aur jab wuh muríd ho chuktá hai, to use apne se dúná jahannam ká farzand baná dete ho.

Matí 23:28 URDR55

[28] Isí tarah tum bhí záhir meṉ to logoṉ ko rástbáz dikhái dete ho, magar bátin meṉ riyákárí aur bedíní se bhare húe ho.

Yasa‘iyáh 5:20 URDR55

[20] Un par afsos jo badí ko nekí, aur nekí ko badí kahte haiṉ; aur jo núr kí jagah táríkí ko, aur táríkí kí jagah núr ko dete haiṉ; aur shíríní ke badle talḳhí, aur talḳhí ke badle shíríní rakhte haiṉ!

Matí 23:24 URDR55

[24] Ai andhe ráh batánewálo, jo machchhar ko to chhánte ho, aur úṉṭ ko nigal játe ho.

Matí 18:7 URDR55

[7] Thokaroṉ ke sabab dunyá par afsos hai; kyúṉki ṭhokaroṉ ká lagná zarúr hai, lekin us ádmí par afsos hai, jis ke báʻis se ṭhokar lage.

1 Samúel 13:13–14 URDR55

[13] Samúel ne Sáúl se kahá, Tú ne bewuqúfí kí; tú ne Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke hukm ko jo us ne tujhe diyá, nahíṉ máná, warna Ḳhudáwand terí saltanat baní Isráíl meṉ hamesha tak qáim rakhtá. [14] Lekin ab terí saltanat qáim na rahegí; kyúṉki Ḳhudáwand ne ek shaḳhs ko jo us ke dil ke mutábiq hai, talásh kar liyá hai, aur Ḳhudáwand ne use apní qaum ká peshwá ṭhahráyá hai, is liye ki tú ne wuh bát nahíṉ mání jis ká hukm Ḳhudáwand ne tujhe diyá thá.

1 Samúel 16:1 URDR55

[1] Aur Ḳhudáwand ne Samúel se kahá, Tú kab tak Sáúl ke liye g̣am khátá rahegá, jis hál ki maiṉ ne use baní Isráíl ká bádsháh hone se radd kar diyá hai?

1 Kurinthíoṉ 6:9 (URDR55)

10na chor, na lálchí, na sharábí, na gáliyáṉ baknewále, na zálim. 11Aur baʻz tum meṉ aise hí the bhí; magar tum Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke nám se, aur hamáre Ḳhudá kí Rúh se dhul gaye, aur pák húe, aur rástbáz bhí ṭhahre.

1 Kurinthíoṉ 4:20 (URDR55)

Kyúṉki Ḳhudá kí bádsháhat bátoṉ par nahíṉ, balki qudrat par mauqúf hai.

1 Samúel 16:1; tú apne síṉg meṉ tel bhar, aur já; maiṉ tujhe Baitlahmí Yassí ke pás bhejtá húṉ: kyúṉki maiṉ ne us ke beṭoṉ meṉ se ek ko apní taraf se bádsháh chuná hai

to jo shaul tha wuh khuda ki tarf se na tha

balki Israel ne mang ki thi

isi tarah musa ki shariat farishton ke wasile

di gai

magar fazl or sachchai masih yesu ki marifat pauhnchi

Yúhanná 3:16 (URDR55)

Kyúṉki Ḳhudá ne dunyá se aisí mahabbat rakkhí, ki us ne apná iklautá Beṭá baḳhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe halák na ho, balki hamesha kí zindagi páe.

1 Samúel 16:1; ; 6Jab wuh áe, to wuh Ilíáb ko dekhkar kahne lagá, Yaqínan Ḳhudáwand ká mamsúh us ke áge hai. 7Par Ḳhudáwand ne Samúel se kahá, ki Tú us ke chihre, aur us ke qadd kí balandí ko na dekh, is liye ki maiṉ ne use nápasand kiyá hai; kyúṉki Ḳhudáwand insán kí mánind nazar nahíṉ kartá, is liye ki insán záhirí súrat ko dekhtá hai, par Ḳhudáwand dil par nazar kartá hai.

Amsál 4:23 (URDR55)

Apne dil kí ḳhúb hifázat kar; Kyúṉki zindagí ká sarchashma wuhí hai.

Matí 6:21 (URDR55)

kyúṉki jaháṉ terá mál hai, wahíṉ terá dil bhí lagá rahegá.

1 SAMÚEL 16

; 11Phir Samúel ne Yassí se púchhá, Kyá tere sab laṛke yihí haiṉ? Us ne kahá, Sab se chhoṭá abhí rah gayá; wuh bheṛ bakriyáṉ charátá hai. Samúel ne Yassí se kahá, Use bulá bhej; kyúṉki jab tak wuh yaháṉ na á jáe, ham nahíṉ baiṭheṉge. 12So wuh use bulwákar andar láyá. Wuh surḳhrang, aur ḳhúbsúrat, aur hasín thá. Aur Ḳhudáwand ne farmáyá, Uṭh, aur use masah kar; kyúṉki wuh yihí hai.

13Tab Samúel ne tel ká síṉg liyá, aur use us ke bháiyoṉ ke darmiyán masah kiyá: aur Ḳhudáwand kí rúh us din se áge ko Dáúd par názil hotí rahí.

Yasa‘iyáh 11:1 (URDR55)

Aur Yassí ke tane se ek koṉpal niklegá, aur us kí jaṛoṉ se ek báráwar sháḳh paidá hogí:

2aur Ḳhudáwand kí rúh us par ṭhahregí, hikmat aur ḳhirad kí rúh, maslahat aur qudrat kí rúh, ma‘rifat aur Ḳhudáwand ke ḳhauf kí rúh; 3aur us kí shádmání Ḳhudáwand ke ḳhauf meṉ hogí, aur wuh na apní áṉkhoṉ ke dekhne ke mutábiq insáf karegá, aur na apne kánoṉ ke sunne ke muwáfiq faisala karegá: 4balki wuh rástí se miskínoṉ ká insáf karegá, aur ‘adl se zamín ke ḳháksároṉ ká faisala karegá: aur wuh apní zabán ke ‘asá se zamín ko máregá, aur apne laboṉ ke dam se sharíroṉ ko faná kar ḍálegá. 5Us kí kamar ká paṭká rástbází hogí, aur us ke pahlú par wafádárí ká paṭká hogá

MATÍ 3

; 16 Aur Yisúʻ baptisma lekar fiʼlfaur pání ke pás se úpar gayá; aur dekho, us ke liye ásmán khul gayá, aur us ne Ḳhudá kí Rúh ko kabútar kí mánind utarte, aur apne úpar áte dekhá. 17Aur dekho, ásmán se yih áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ.

LÚQÁ 4

; 18 Ḳhudáwand kí Rúh mujh par hai,

Is liye ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá;

Us ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,

Aur andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,

Kuchle húoṉ ko ázád karúṉ,

19Aur Ḳhudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karúṉ.

YÚHANNÁ 5

; 30 Maiṉ apne áp se kuchh nahíṉ kar saktá: jaisá suntá húṉ, ʻadálat kartá húṉ, aur merí ʻadálat rást hai; kyúṉki maiṉ apní marzí nahíṉ, balki apne bhejnewále kí marzí cháhtá húṉ.

IFISÍOṈ 2

1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the: — 4magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, 5jab qusúroṉ ke sabab murda hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí hai,) 6aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá; 7táki wuh apní us mihrbání se, jo Masíh Yisúʻ meṉ ham par hai, ánewále zamánoṉ meṉ apne fazl kí beniháyat daulat dikháe: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: 9aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare.

1 KURINTHÍOṈ 1

; 18Kyúṉki salíb ká paigám halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík Ḳhudá kí qudrat hai. 19Kyúṉki likhá hai, ki

Maiṉ hakímoṉ kí hikmat ko nest,

Aur ʻaqlmandoṉ kí ʻaql ko radd karúṉgá.

20Kaháṉ ká hakím? kaháṉ ká faqíh? kaháṉ ká is jahán ká bahs karnewálá? kyá Ḳhudá ne dunyá kí hikmat ko bewuqúfí nahíṉ ṭhahráyá? 21Is liye ki jab Ḳhudá kí hikmat ke mutábiq dunyá ne apní hikmat se Ḳhudá ko na jáná, to Ḳhudá ko yih pasand áyá, ki is manádí kí bewuqúfí ke wasíle se ímán lánewáloṉ ko naját de. 22Chunáṉchi Yahúdí nishán cháhte haiṉ, aur Yúnání hikmat talásh karte haiṉ; 23magar ham us Masíh i maslúb kí manádí karte haiṉ, jo Yahúdíoṉ ke nazdík ṭhokar, aur gairqaumoṉ ke nazdík bewuqúfí hai; 24lekin jo buláe húe haiṉ, Yahúdí hoṉ, yá Yúnání, un ke nazdík Masíh Ḳhudá kí qudrat, aur Ḳhudá kí hikmat hai. 25Kyúṉki Ḳhudá kí bewuqúfí ádmíoṉ kí hikmat se ziyáda hikmatwálí hai, aur Ḳhudá kí kamzorí ádmíon ke zor se ziyáda zoráwar hai. 26Ai bháiyo, apne buláe jáne par to nigáh karo, ki jism ke liház se bahut se hakím, bahut se iḳhtiyárwále, bahut se ashráf nahíṉ buláe gaye: 27balki Ḳhudá ne dunyá ke bewuqúfoṉ ko chun liyá, ki hakímoṉ ko sharminda kare; aur Ḳhudá ne dunyá ke kamzoroṉ ko chun liyá, ki zoráwaroṉ ko sharminda kare; 28aur Ḳhudá ne dunyá ke kamínoṉ aur haqíroṉ ko, balki bewujúdoṉ ko chun liyá ki maujúdoṉ ko nest kare, 29táki koí bashar Ḳhudá ke sámne faḳhr na kare. 30Lekin tum us kí taraf se Masíh Yisúʻ meṉ ho, jo hamáre liye Ḳhudá kí taraf se hikmat ṭhahrá, yaʻní rástbází, aur pákízagí, aur maḳhlasí: 31táki jaisá likhá hai, waisá hí ho, ki Jo faḳhr kare, wuh Ḳhudáwand par faḳhr kare.

Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...