Skip to main content

धर्मी हाबिल से लेकर बिरिक्याह के पुत्र जकरयाह तक, जिसे तुम ने मन्दिर और ...

MATÍ 23

; 29Ai riyákár faqího aur Farísío, tum par afsos hai! ki nabíoṉ kí qabreṉ banáte, aur rástbázoṉ ke maqbare árásta karte ho, 30aur kahte ho, ki Agar ham apne bápdádá ke zamáne meṉ hote, to nabíoṉ ke ḳhún meṉ un ke sharík na hote. 31Is tarah tum apní nisbat gawáhí dete ho, ki ham nabíoṉ ke qátiloṉ ke farzand haiṉ. 32G̣araz apne bápdádá ká paimána bhar do. 33Ai sáṉpo, ai afaʻí ke bachcho, tum jahannam kí sazá se kyúṉkar bachoge? 34Is liye dekho maiṉ nabíoṉ aur dánáoṉ aur faqíhoṉ kó tumháre pás bhetjá húṉ; un meṉ se baʻz ko qatl karoge, aur salíb par chaṛháoge, aur baʻz ko apne ʻibádatḳhánoṉ meṉ koṛe mároge, aur shahr ba shahr satáte phiroge; 35táki sab rástbázoṉ ká ḳhún, jo zamín par baháyá gayá, tum par áe; rástbáz Hábíl ke ḳhún se lekar Birikyáh ke beṭe Zakaryáh ke ḳhún tak, jise tum ne maqdis aur qurbángáh ke darmiyán qatl kiyá. 36Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Yih sab kuchh is zamáne ke logoṉ par áegá.

Masih yesu men aap saboh ki salamati ho

To main aap jo maish sunn rahen hain

To apko kalam ki ayaten padkar suna nhi raha

Balki samjh raha ki iske piche ruh l quds ka kya mukashafa hai

Yaha par saaf  kya keh rahen masih yesu

Jo musa ki vivstha ki dharmikta sikhate hain

Sunate or samjhate hain

Ki tum rast habal ke khun yani usko qaurban gah ke darmiyan qatl kiya

Main apke samjhane ke liye btato

Habal ko pata kisne qatal kiya tha

Qain ne or qain kiski aulad tha shaitan ki

 PAIDÁISH 4

; 8Aur Qáin ne apne bháí Hábil ko kuchh kahá: aur jab wuh donoṉ khet meṉ the, to yúṉ húá, ki Qáin ne apne bháí Hábil par hamla kiyá, aur use qatl kar ḍálá.

 

1 YÚHANNÁ 3

; 12 aur Qayin kí mánind na baneṉ, jo us sharír se thá, aur jis ne apne bháí ko qatl kiyá. Aur us ne kis wáste use qatl kiyá? Is wáste ki us ke kám bure the, aur us ke bháí ke kám rástí ke the.

Or qain kiski aulad men se tha haw ka pehla beta

Shaitan yani sharir se  tha

Kalam ke sath aaj ke yahudi or faqiho sunlo jo log musa ki vivstha

10 hukmon ki dharmikta men chal rahem hain chala rahen

Seekh rahen hain sikha rahen hain

Wuh apne baap iblise se hain unka baap shaitan hai

Or  musa ke 10 hukmo ki dharmikta sikhane or sikhne or rakhne

Ki wazah se tum apni man shariat yani vivstah ke bête ke ho

Jiski tamsil hazara hai  jo koh I sinna syun pahar ki tamsil hai

Jis pahad par musa ko sharit di gai pathar ki takhtian luhen

Or tum qain ke sage bhai ho

2 TAWÁRÍḲH 24

;  17Aur Yahoyada‘ ke marne ke ba‘d Yahúdáh ke sardár ákar bádsháh ke huzúr kornish bajá láe. Tab bádsháh ne un kí suní. 18Aur wuh Ḳhudáwand apne bápdádá ke Ḳhudá ke ghar ko chhoṛkar Yasíratoṉ aur butoṉ kí parastish karne lage; aur un kí is ḳhatá ke bá‘is Yahúdáh aur Yarúshalem par g̣azab názil húá. 19Taubhí Ḳhudáwand ne nabíoṉ ko un ke pás bhejá, táki un ko us kí taraf pher láeṉ; aur wuh un ko ilzám dete rahe, par unhoṉ ne kán na lagáyá. 20Tab Ḳhudá kí rúh Yahoyada‘ káhin ke beṭe Zakariyáh par názil húí; so wuh logoṉ se baland jagah par khaṛá hokar kahne lagá, Ḳhudá yúṉ farmátá hai, ki Tum kyúṉ Ḳhudáwand ke hukmoṉ se báhar játe ho, ki yúṉ ḳhushhál nahíṉ rah sakte? chúṉki tum ne Ḳhudáwand ko chhoṛá hai, us ne bhí tum ko chhoṛ diyá. 21Tab unhoṉ ne us ke ḳhiláf sázish kí, aur bádsháh ke hukm se Ḳhudáwand ke ghar ke sahn meṉ use saṉgsár kar diyá. 22Yúṉ Yúás bádsháh ne us ke báp Yahoyada‘ ke ihsán ko, jo us ne us par kiyá thá, yád na rakkhá, balki us ke beṭe ko qatl kiyá. 

YÚHANNÁ 8

 

 

31Pas Yisúʻ ne un Yahúdíoṉ se kahá, jinhoṉ ne us ká yaqín kiyá thá, ki Agar tum mere kalám par qáim rahoge, to haqíqat meṉ mere shágird ṭhahroge, 32aur sachcháí se wáqif hoge, aur sachcháí tum ko ázád karegí. 33Unhoṉ ne use jawáb diyá; Ham to Ibráhím kí nasl se haiṉ, aur kabhí kisí kí gulámí meṉ nahíṉ rahe: tú kyúṉkar kahtá hai, ki Tum ázád kiye jáoge? 34Yisúʻ ne unheṉ jawáb diyá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo koí gunáh kartá hai, gunáh ká gulám hai. 35Aur gulám abad tak ghar meṉ nahíṉ rahtá; beṭá abad tak rahtá hai. 36Pas agar Beṭá tumheṉ ázád karegá, to tum wáqaʻí ázád hoge. 37Maiṉ jántá húṉ ki tum Ibráhím kí nasl se ho; taubhí mere qatl kí koshish meṉ ho, kyúṉki merá kalám tumháre dil meṉ jagah nahíṉ kartá. 38Maiṉ ne Jo apne Báp ke háṉ dekhá hai, wuh kahtá húṉ; aur tum ne jo apne báp se suná hai, wuh karte ho. 39Unhoṉ ne jawáb meṉ us se kahá; Hamárá báp to Ibráhím hai. Yisúʻ ne un se kahá; Agar tum Ibráhím ke farzand hote, to Ibráhím ke se kám karte. 40Lekin ab tum mujh jaise shaḳhs ke qatl kí koshish meṉ ho, jis ne tum ko wuhí haqq bát batáí jo Ḳhudá se suní. Ibráhím ne to yih nahíṉ kiyá thá. 41Tum apne báp ke se kám karte ho. Unhoṉ ne us se kahá; Ham harám se paidá nahíṉ húe; hamárá ek Báp hai, yaʻní Ḳhudá. 42Yisúʻ ne un se kahá; Agar Ḳhudá tumhárá Báp hotá, to tum mujh se mahabbat rakhte; is liye ki maiṉ Ḳhudá meṉ se niklá aur áyá húṉ; kyúṉki maiṉ áp se nahíṉ áyá, balki usí ne mujhe bhejá. 43Tum merí báteṉ kyúṉ nahíṉ samajhte? Is liye ki merá kalám sun nahíṉ sakte. 44Tum apne báp Iblís se ho, aur apne báp kí ḳhwáhishoṉ ko púrá karná cháhte ho. Wuh shurúʻ hí se ḳhúní hai, aur sachcháí par qáim nahíṉ rahá, kyúṉki us meṉ sachcháí hai nahíṉ. Jab wuh jhúṭh boltá hai, to apní hí si kahtá hai; kyúṉki wuh jhúṭhá hai, balki jhúṭh ká báp hai. 

 

Romíoṉ 1:17 (URDR55)

Is wáste ki us meṉ Ḳhudá kí rástbází ímán se aur ímán ke liye záhir hotí hai, jaisá likhá hai, ki Rástbáz ímán se jítá rahegá.

 

Jis tarah qain ne habal ko qatl kiya usi tarah yahudiyon ne yesu maish ko

YÚHANNÁ 1

; 11Wuh apne ghar áyá, aur us ke apnoṉ ne use qubúl na kiyá.

YÚHANNÁ 3

; 19Aur sazá ke hukm ká sabab yih hai, ki núr dunyá meṉ áyá hai, aur ádmíoṉ ne táríkí ko núr se ziyáda pasand kiyá, is liye ki un ke kám bure the. 20Kyúṉki jo koí badi kartá hai, wuh núr se dushmaní rakhtá hai, aur núr ke pás nahíṉ átá, aisá na ho ki us ke kámoṉ par malámat kí jáe. 21Magar jo sachcháí par ʻamal kartá hai, wuh núr ke pás átá hai, táki us ke kám záhir hoṉ, ki wuh Ḳhudá meṉ kiye gaye haiṉ.

 

ʻIBRÁ NÍOṈ 12

;  24aur naye ʻahd ke darmiyání Yisúʻ, aur chhiṛkáo ke us ḳhún ke pás áe ho, jo Hábíl ke ḳhún kí nisbat bihtar báteṉ kahtá hai.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...