Skip to main content

क्योंकि पवित्र आत्मा जो हमें दिया गया है उसके द्वारा परमेश्वर का प्रेम ह...

1 YÚHANNÁ 4

1Ai ʻazízo, har ek rúh ká yaqín na karo, balki rúhoṉ ko ázmáo, ki wuh Ḳhudá kí taraf se haiṉ yá nahíṉ;

Shalom masih yeshua men aap saboh ki salamati ho

Ajj hum bible men se kuch ruhon ki janch karne ja rahen hain ki wuh khuda ke tarf se han ya nhi

Wuh ruhen jo masih yehsua ke sath rahi

Kyu ki likha hai

Lúqá 6:44 (URDR55)

Har daraḳht apne phal se pahcháná játá hai;

AʻMÁL 5

1Aur ek shaḳhs Hananyáh nám, aur us kí bíwí Saffíra ne jáedád bechí; 2aur us ne apní bíwí ke jánte húe, qímat meṉ se kuchh rakh chhoṛá; aur ek hissa lákar rasúloṉ ke páṉwoṉ meṉ rakh diyá. 3Magar Patras ne kahá; Ai Hananyáh! kyúṉ Shaitán ne tere dil meṉ yih bát ḍál dí, ki tú Rúhuʼl Quds se jhúṭh bole, aur zamín kí qímat meṉ se kuchh rakh chhoṛe? 4Kyá jab tak wuh tere pás thí, terí na thí? aur jab bechí gayí, to tere iḳhtiyár meṉ na rahí? Tú ne kyúṉ apne dil meṉ is bát ká ḳhayál báṉdhá? Tú ádmíoṉ se nahíṉ, balki Ḳhudá se jhúṭh bolá. 5Yih báteṉ sunte hí Hananyáh gir paṛá, aur us ká dam nikal gayá: aur sab sunnewáloṉ par baṛá ḳhauf chhá gayá. 6Phir jawánoṉ ne uṭhkar use kafnáyá, aur báhar le jákar dafn kiyá.

7Jab tín ek ghanṭe guzre, to us kí bíwí, is májare se beḳhabar, andar áí. 8Patras ne us se kahá; Mujhe batá to, kyá tum ne itne hí ko zamín bechí thí? Us ne kahá; Háṉ, itne hí ko. 9Patras ne us se kahá; Tum ne kyúṉ Ḳhudáwand kí Rúh ko ázmáne ke liye eká kiyá? Dekh, tere shauhar ke dafn karnewále darwáze par khaṛe haiṉ, aur tujhe bhí báhar le jáeṉge. 10Wuh usí dam us ke qadamoṉ par gir paṛí, aur us ká dam nikal gayá: aur jawánoṉ ne andar áke use murda páyá, aur báhar le jáke us ke shauhar ke pás dafn kar diyá. 11Aur sárí kalísiyá, balki in bátoṉ ke sab sunnewáloṉ par, baṛá ḳhauf chhá gayá.

Magar yeshua maish ne to kaha tah jab jism ke hawale shagirdo ke sath

Tha

YÚHANNÁ 12

; 44Yisúʻ ne pukárke kahá, ki Jo mujh par ímán látá hai, wuh mujh par nahíṉ, balki mere bhejnewále par ímán látá hai. 45Aur jo mujhe dekhtá hai, wuh mere bhejnewále ko dekhtá hai. 46Maiṉ núr hokar dunyá meṉ áyá húṉ, táki jo koí mujh par ímán láe andhere meṉ na rahe. 47Agar koí merí báteṉ sunkar un par ʻamal na kare, to maiṉ us ko mujrim nahíṉ ṭhahrátá; kyúṉki maiṉ dunyá ko mujrim ṭhahráne nahíṉ, balki dunyá ko naját dene áyá húṉ

LÚQÁ 5

; 31Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Tandurustoṉ ko hakím darkár nahíṉ, balki bímároṉ ko. 32Maiṉ rástbázoṉ ko nahíṉ, balki gunahgároṉ ko táuba ke liye buláne áyá húṉ

2 Kurinthíoṉ 3:6 (URDR55)

jis ne ham ko naye ʻahd ke ḳhádim hone ke láiq bhí kiyá: lafzoṉ ke ḳhádim nahíṉ, balki rúh ke; kyúṉki lafz már ḍálte haiṉ, magar rúh zinda kartí hai.

LÚQÁ 9

; 51Jab wuh din nazdík áe ki wuh úpar uṭháyá jáe, to aisá húá ki us ne Yarúshalem ke jáne ko kamar báṉdhí, 52aur apne áge qásíd bheje; wuh jákar Sámaríoṉ ke ek gáṉw meṉ dáḳhil húe, táki us ke liye taiyárí kareṉ. 53Lekin unhoṉ ne us ko ṭikne na diyá, kyúṉki us ká ruḳh Yarúshalem kí taraf thá. 54Yih dekhkar us ke shágird Yaʻqúb aur Yúhanná ne kahá; Ai Ḳhudáwand, kyá tú cháhtá hai ki ham hukm deṉ, ki ásmán se ág názil hokar unheṉ bhasam kar de [jaisá Eliyyáh ne kiyá]? 55Magar us ne phirkar unheṉ jhiṛká, [aur kahá, Tum nahíṉ jánte ki tum kaisí rúh ke ho. Kyúṉki Ibn i Ádam logoṉ kí ján barbád karne nahíṉ, balki bacháne áyá].

LÚQÁ 9

; 28Phir in bátoṉ ke koí áṭh roz baʻd aisá húá, ki wuh Patras aur Yúhanná aur Yaʻqúb ko hamráh lekar paháṛ par duʻá máṉgne gayá. 29Jab wuh duʻá máṉg rahá thá, to aisa húá ki us ke chihre kí súrat badal gayí, aur us kí poshák safed barráq ho gayí. 30Aur dekho, do shaḳhs, yaʻní Músá aur Eliyyáh, us se báteṉ kar rahe the; 31yih jalál meṉ dikháí diye, aur us ke intiqál ká zikr karte the, jo Yarúshalem meṉ wáqiʻ hone ko thá. 32Magar Patras aur us ke sáthí níṉd meṉ bhare the: aur jab achchhí tarah bedár húe, to us ke jalál ko aur un do shaḳhsoṉ ko dekhá, jo us ke sáth khaṛe the. 33Jab wuh us se judá hone lage, to aisá húá ki Patras ne Yisúʻ se kahá; Ai Sáhib, hamárá yaháṉ rahná achchhá hai: pas ham tín ḍere banáeṉ; ek tere liye, ek Músá ke liye, ek Eliyyáh ke liye: lekin wuh jántá na thá, ki kyá kahtá hai. 34Wuh yih kahtá hí thá, ki bádal ne ákar un par sáya kar liyá; aur jab wuh bádal meṉ ghirne lage, to dar gaye. 35Aur bádal meṉ se ek áwáz áí, ki Yih merá barguzída Beṭá hai; is kí suno. 36Yih áwáz áte hí Yisúʻ akelá páyá gayá. Aur wuh chup rahe, aur jo báteṉ dekhí thíṉ, un dinoṉ meṉ kisí ko un kí kuchh ḳhabar na dí.

To side lafzo men baat ko samjhe ki jo yesu ke shagird they wuh khud

Ko apne aapko jo purine ahd name ke kahdim they unke sath compaire karke

Unke jaise banana chahte they or unke jaise kaam karne yani zahir karna chahte they

Shagirdo men koi eliyah ke jaisa banna chahat tha koi musa ke jaisa

Magar ye bilkol janna nhi chahte they ki maish humen kaisa dekhna chahten hain

Yesu unhen masih hute dekhna chahte they

Masih ko yani khuda ke masah ki yani baap ki mahobbat

Unke dilon men dekhna chahte they unki zindghi men dekhna chahte they unke subaw men dekhna chahte they or

Romíoṉ 8:5 (URDR55)

Kyúṉki jo jismání haiṉ, wuh jismání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ; lekin jo rúhání haiṉ, wuh rúhání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ.

Aj ke din apko bhi yesu masih hute dekhna chahte hain

Yani wuh jisnme ruh l quds ke wasile baap ki mahobbat hai

ROMÍOṈ 5

; 5aur ummed se sharmindagí hásil nahíṉ hotí, kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai.

AʻMÁL 11

; 26 aur shágird pahle Antákiya hí meṉ Masíhí kahláe.

Kehne kya mtlab hum sab masih hain jinme ruh l quds ke waile baap ki mahobbat hai

Or masih men ek hain

1 Kurinthíoṉ 12:29 (URDR55)

Kyá sab rasúl haiṉ? kyá sab nabí haiṉ? kyá sab ustád haiṉ? kyá sab muʻjiza dikhánewále haiṉ?

Galatíoṉ 3:28 (URDR55)

Na koí Yahúdí raha, na Yúnání; na koí gulám, na ázád; na koí mard, na ʻaurat: kyúṉki tum sab Masíh Yisúʻ meṉ ek ho.

Yani masih

1 Kurinthíoṉ 6:19 (URDR55)

Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká maqdis hai, jo tum meṉ basá húá hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai? aur tum apne nahíṉ;

Jinsmen khuda ko mahobbat hai

Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...