Skip to main content

पवित्र आत्मा के द्वारा परमेश्वर का प्रेम हमारे मन में डाला गया है।

Ḳhurúj 20:13 (URDR55)

Tú ḳhún na karná.

 

1 YÚHANNÁ 3

; 13 Ai bháiyo, agar dunyá tum se ʻadáwat kartí hai, to taʻajjub na karo. 14Ham jánte haiṉ ki maut se nikalkar zindagí meṉ dáḳhil ho gaye, kyúṉki ham bháiyoṉ se mahabbat rakhte haiṉ. Jo mahabbat nahíṉ rakhtá, wuh maut kí hálat meṉ rahtá hai. 15Jo koí apne bháí se ʻadáwat rakhtá hai, wuh ḳhúní hai: aur tum jánte ho, ki kisí ḳhúní meṉ hamesha kí zindagí maujúd nahíṉ rahtí. 16Ham ne mahabbat ko isí se jáná hai, ki us ne hamáre wáste apní ján de dí: aur ham par bhí bháiyoṉ ke wáste ján dení farz hai. 

 

 Masih yeshu men aap saboh ki salamati ho

Ajj ka humara jo visha hai ki mahobbat jo hai ruh l quds ke wasile humare dilon

Yani wuh dil jismen masih ki ruh hai dali gai

Kyu khuda humen ruh isliye nhi dete ki hum bauht dharma hai ya bauht unki ardhana

Karte hai..

Ya ye jankar ki ye jo koi admi hai zamin par isne mere naam ki khatir bauht kuch kiya ya bauht dhukh jhale

Bilkol bhi nhi agar aisa apke man men bharam hai

To nikal di jiye

Khuda baap humen sab kuch apne bête ke roop men masih jankar yesu men dete hain

Wuh humen masih yesu men dekhte hain or yesu masih ko humen

Jo unka ek lauta puter hai,,

Or masih yesu pehle wuh humen adam men dekhte te or adam ko hum men

To visha hai

Ruh l quds ke vasile khuda ki mahobbat humare dil men dali gai

Ab ruh kya hai

Masih yeshua ki sikhai hui baten

Yúhanná 14:21 (URDR55)

Jis ke pás mere hukm haiṉ, aur wuh un par ʻamal kartá hai, wuhí mujh se mahabbat rakhtá hai; aur jo mujh se mahabbat rakhtá hai, wuh mere Báp ká piyárá hogá, aur maiṉ us se mahabbat rakkhúṉgá, aur apne áp ko us par záhir karúṉgá.

1 Tímuthiyus 1:5 URDR55

Hukm ká maqsad yih hai, ki pák dil aur nek níyat aur beriyá ímán se mahabbat paidá ho.

 

ROMÍOṈ 5

; 5 kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai.

Ruh l quds humen kiske wasile baksha gaya

Masih yesu ke naam ke wasile

GALATÍOṈ 5

 ; 22Magar Rúh ká phal mahabbat, ḳhushí, itmínán, tahammul, mihrbá-ní, nekí, ímándárí, 23hilm, parhezgárí hai: 

 

Ifisíoṉ 5:2 (URDR55)

aur mahabbat se chalo, jaise Masíh ne tum se mahabbat kí, aur hamáre wáste apne áp ko ḳhushbú kí mánind Ḳhudá kí nazr karke qurbán kiyá.

 

ROMÍOṈ 5

 ; 7Kisí rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá.

 

Romíoṉ 8:9 (URDR55)

Lekin tum jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai. Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ.

 

Romíoṉ 13:8 (URDR55)

Ápas kí mahabbat ke siwá, kisí chíz meṉ kisí ke qarzdár na ho; kyúṉki jo dúsre se mahabbat rakhtá hai, us ne sharíʻat par púrá ʻamal kiyá.

 

YÚHANNÁ 14

; 26Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.

LÚQÁ 4

; 18Ḳhudáwand kí Rúh mujh par hai,

Is liye ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá;

Us ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,

Aur andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,

Kuchle húoṉ ko ázád karúṉ,

19Aur Ḳhudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karúṉ.

 

Sidi juban men khudawand ki ruh yani khudawand diya parmeshar diya gallan

Kalaam paviter gallan ruhani gallan

Te khuda diya gallan di pehchanna ki hai khudawand diya ruhani gallan di pehchan ki hai

garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá;

Us ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,

Aur andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,

Kuchle húoṉ ko ázád karúṉ,

19Aur Ḳhudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karúṉ.

Ye khuda ki ruh ki pehchan hai jispar bhi yesu masih ke fazl se

Khudawand ki ruh uspar hai

 

YÚHANNÁ 6

 ; 63Zinda karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ.

YÚHANNÁ 7

; 38Jo mujh par ímán láegá, us ke andar se, jaisá ki kitáb i muqaddas meṉ áyá hai, zindagí ke pání kí nadiyáṉ járí hoṉgí

 

1 Tímuthiyus 3:9 (URDR55)

aur ímán ke bhed ko pák dil meṉ hifázat se rakkheṉ.

Titus 1:15 (URDR55)

Pák logoṉ ke liye sab chízeṉ pák haiṉ; magar gunáhálúda aur beímán logoṉ ke líye kuchh bhí pák nahíṉ balki un kí ʻaql aur dil donoṉ gunáhálúda haiṉ.

 

Ab pak dil ka matlab ye nhi hai jo bhadi achi baten apne dil rakhta hai apni tarf se

Ya bhada acha acha umda vichar rakhta hai

Paak dil ka matlab hai jiske dil men masih ki sikhai gai bato ke wasile

Khuda ki paak baten uske dil niyat irade men hai

Uska dil paak hai

Uska dil paak nhi

Jo apne irade se dil ko bura mehsoos karne men ruke rakhta hai

Iska siddha matlab hai ki apne badan ki dharmikta par ghamand karna

Paak nen niyat beriya iman se mahobbat wuh jo  masih yesu ke fazl or sachchai

Ke wasile shabdo ke jariye yani masih ke shabdo ke vachno ke jariye

Humare dilon men dali gai,,

Ye nhi ki koi apne apse khud se hi apne man men soche or dusre logo ke beech ghamand Karen

Agar aisa hai khuda ke vachn ke mutabik utpat se hi padaish se

Insaan ke dil ke irade humesha bure hi rehte hain

To jismen masih yesu ke vachan nhi dil men niyat men irade men

To uske aj bhi dil ke irade humesha bure rahenge

PAIDÁISH 6

;5Aur Ḳhudáwand ne dekhá ki zamín par insán kí badí bahut baṛh gayí, aur us ke dil ke tasawwur aur ḳhayál sadá bure hí hote haiṉ. 6Tab Ḳhudáwand zamín par insán ke paidá karne se malúl húá aur dil meṉ g̣am kiyá. 

 

LÚQÁ 6

 ; 32Agar tum apne mahabbat rakhnewáloṉ hí se mahabbat rakkho, to tumhárá kyá ihsán hai? kyúṉki gunahgár bhí apne mahabbat rakhnewáloṉ se mahabbat rakhte haiṉ.

 

1 KURINTHÍOṈ 13

 ; 4Mahabbat sábir hai, aur mihrbán; mahabbat hasad nahíṉ kartí; mahabbat sheḳhí nahíṉ mártí, aur phúltí nahíṉ,

1 Yúhanná 4:18 (URDR55)

Mahabbat meṉ ḳhauf nahíṉ hotá: balki kámil mahabbat ḳhauf ko dúr kar detí hai, kyúṉki ḳhauf se ʻazáb hotá hai; aur koí ḳhauf karnewálá mahabbat meṉ kámil nahíṉ húá.

Yúhanná 15:9 (URDR55)

Jaise Báp ne mujh se mahabbat rakkhí, waise hí maiṉ ne tum se mahabbat rakkhí; tum merí mahabbat meṉ qáim raho.

1 Yúhanná 4:8 (URDR55)

Jo mahabbat nahíṉ rakhtá, wuh Ḳhudá ko nahíṉ jántá, kyúṉki Ḳhudá mahabbat hai.

1 Yúhanná 4:10 (URDR55)

Mahabbat is meṉ nahíṉ, ki ham ne Ḳhudá se mahabbat kí, balki is meṉ hai, ki us ne ham se mahabbat kí, aur hamáre gunáhoṉ ke kaffáre ke liye apne Beṭe ko bhejá.

 

1 Yúhanná 4:19 (URDR55)

Ham is liye mahabbat karte haiṉ, ki pahle us ne ham se mahabbat kí.

1 Yúhanná 2:15 (URDR55)

Na dunyá se mahabbat rakkho, na un chízoṉ se jo dunyá meṉ haiṉ. Jo koí dunyá se mahabbat rakhtá hai, us meṉ Báp kí mahabbat nahíṉ.

1 Yúhanná 4:7 (URDR55)

Ai ʻazízo, áo ham ek dúsre se mahabbat rakkheṉ: kyúṉki mahabbat Ḳhudá kí taraf se hai, aur jo koí mahabbat rakhtá hai, wuh Ḳhudá se paidá húá hai, aur Ḳhudá ko jántá hai.

 

Yúhanná 13:34 (URDR55)

Maiṉ tumheṉ ek nayá hukm detá húṉ, ki ek dúsre se mahabbat rakkho; ki jaise maiṉ ne tum se mahabbat rakkhí, tum bhí ek dúsre se mahabbat rakkho.

 

1 Yúhanná 4:11 (URDR55)

Ai ʻazízo, jab Ḳhudá ne ham se aisí mahabbat kí, to ham par bhí ek dúsre se mahabbat karní farz hai.

1 Yúhanná 4:16 (URDR55)

Jo mahabbat Ḳhudá ko ham se hai, us ko ham ján gaye, aur hameṉ us ká yaqín hai. Ḳhudá mahabbat hai; aur jo mahabbat meṉ qáim rahtá hai, wuh Ḳhudá meṉ qáim rahtá hai, aur Ḳhudá us meṉ qáim rahtá hai.

 

 

1 KURINTHÍOṈ 15

; 21Kyúṉki jab ádmí ke sabab se maut áí, to ádmí hí ke sabab se murdoṉ kí qiyámat bhí áí; 22aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge.

 

ROMÍOṈ 5

; 11aur sirf yihí nahíṉ, balki apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke sabab, jis ke wasíle se ab hamárá Ḳhudá ke sáth mel ho gayá, Ḳhudá par faḳhr bhí karte haiṉ.

12Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 13kyúṉki sharíʻat ke diye jáne tak dunyá meṉ gunáh to thá: magar jaháṉ sharíʻat nahíṉ, waháṉ gunáh mahsúb nahíṉ hotá. 14Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá. 15Lekin qusúr ká jo hál hai, wuh fazl kí niʻmat ká nahíṉ. Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr se bahut se ádmí mar gaye, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí, yaʻní Yisúʻ Masíh ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se názil húí. 16Aur jaisá ek shaḳhs ke gunáh karne ká anjám húá, baḳhshish ká waisá hál nahíṉ; kyúṉki ek hí ke sabab se wuh faisala húá, jis ká natíja sazá ká hukm thá: magar bahutere qusúroṉ se aisí niʻmat paidá húí, jis ká natíja yih húá ki log rástbáz ṭhahre. 17Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí; to jo log fazl aur rástbází kí baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní Yisúʻ Masíh ke wasíle se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge. 18G̣araz, jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká hukm thá; waisá hí rástbází ke ek kám ke wasíle se sab ádmíoṉ ko wuh niʻmat milí, jis se rástbáz ṭhahrke zindagí páeṉ. 19Kyúṉki jis tarah ek hí shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre, usí tarah ek kí farmánbardárí se bahut se log rástbáz ṭhahreṉge. 20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá, waháṉ fazl us se bhí niháyat ziyáda húá: 21táki jis tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se bádsháhí kare.

 

1 Thissaluníkíoṉ 3:12 (URDR55)

aur Ḳhudáwand aisá kare ki jis tarah ham ko tum se mahabbat hai, usí tarah tumhárí mahabbat bhí, ápas meṉ aur sab ádmíoṉ ke sáth, ziyáda ho aur baṛhe;

1 Kurinthíoṉ 16:24 (URDR55)

Merí mahabbat Masíh Yisúʻ meṉ tum sab se rahe. Ámín.

 

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...