Skip to main content

मूसा की व्यवस्था और मसीह यीशु की अनुग्रह और सच्चाई के अधीन लहु और मास ...

masih yesu men aap saboh ki salamati ho aaj ko

jo humara updesh hai

wuh hai khun or ghost ke par

hai

yani

laho or mas

par

or laho or mass

ke bare hum musa

ki sahriat ke adhin

masih yesu ke fazal

or sachchai ke mukashafa

ke ruh se

or masih yesu ke fazl or sachchai

ki marfita

raushni dalne ja rahen hain

bete or baap ke kalam ke sath

fazl or sachchai youtube

channel ke madhyam se

main ho yasarim el

lagatar sunte rahen,,

or humare apke apne channel

ko subscribe jaroor karen

 

ab musa ki shariat

padaish yani utpat yani gensis

9;uski 3 ayat men likha hai

PAIDÁISH 9

; 3Har chaltá phirtá jándár tumháre kháne ko hogá,

Or phir levticus yani leviya di puthi uski 19 baab 28 ayat yani verse men likha hai

AHBÁR 19

; 28Tum murdoṉ ke sabab se apne jism ko zaḳhmí na karná, aur na apne úpar kuchh gudwáná. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ.

Or phir bavistha sar di puthi yani deutornomy 12;23 ayat men likh hai

ISTISNÁ 12

; 23Faqat itní ihtiyát zarúr rakhná, ki tum ḳhún ko na kháo, kyúṉki ḳhún hí to ján hai; so tum gosht ke sáth ján ko hargiz na kháná;

 

Ab masih yesu ke fazl or sachchai ke adhin naye ahd name men khun or gosth ke bare men masih yehsua kehte hain

YÚHANNÁ 6

; 51Maiṉ húṉ wuh zindagí kí roṭí jo ásmán se utrí: agar koí is roṭí meṉ se kháe, to abad tak zinda rahegá; balki jo roṭí maiṉ jahán kí zindagí ke liye dúṉgá, wuh merá gosht hai.

52Pas Yahúdí yih kahkar ápas meṉ jhagaṛne lage, ki Yih shaḳhs apná gosht hameṉ kyúṉkar kháne ko de saktá hai? 53Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jab tak tum Ibn i Ádam ká gosht na kháo, aur us ká ḳhún na piyo, tum meṉ zindagí nahíṉ. 54Jo merá gosht khátá, aur merá ḳhún pítá hai, hamesha kí zindagí us kí hai, aur maiṉ use áḳhirí din phir zinda karúṉgá. 55Kyúṉki merá gosht fiʼlhaqíqat kháne kí chíz aur merá ḳhún fiʼlhaqíqat píne kí chíz hai. 56Jo merá gosht khátá aur merá ḳhún pítá hai, wuh mujh meṉ qáim rahtá hai, aur maiṉ us meṉ. 57Jis tarah zinda Báp ne mujhe bhejá, aur maiṉ Báp ke sabab se zinda húṉ; isí tarah wuh bhí jo mujhe kháegá mere sabab se zinda rahegá. 58Jo roṭí ásmán se utrí yihí hai: bápdádá kí tarah nahíṉ ki kháyá, aur mar gaye; jo yih roṭí kháegá, wuh abad tak zinda rahegá.

 

यूहन्ना 1:14

·         और वचन देहधारी हुआ;

और अनुग्रह और सच्चाई से परिपूर्ण होकर हमारे बीच में डेरा किया,

Ab yesu masih ka badan

Kya hai yesu masih ka vachan

Or wuh usmen khun konsa

Anugreh or sachchai

Jo vachan jo kalam hai yeshua masih ka wuhi yesu masih kid eh hai maas

Hai roti hai

Jo koi vachan ko padata nhi suntan nhi samjhta nhi

Iman nhi lata wuh uske mass or khun men shrik nhi

Or wuh kabhi zindghi men dakhil nhi ho sakta

Gost yani maas yani zindghi ki roti kisse bhari hui hai

Anugreh or sachchai ke khun se

·         और हम ने उस की ऐसी महिमा देखी, जैसी पिता के एकलौते की महिमा।

मत्ती 20:28

·         जैसे कि मनुष्य का पुत्र, वह इसलिये नहीं आया कि उस की सेवा टहल करी जाए, परन्तु इसलिये आया कि आप सेवा टहल करे

aur apní ján bahuteroṉ ke badle fidye meṉ de.

इब्रानियों 2:14

·         इसलिये जब कि लड़के मांस और लोहू के भागी हैं, तो वह आप भी उन के समान उन का सहभागी हो गया; ताकि मृत्यु के द्वारा उसे जिसे मृत्यु पर शक्ति मिली थी, अर्थात शैतान को निकम्मा कर दे।

1 कुरिन्थियों 10:17

·         इसलिये, कि एक ही रोटी है सो हम भी जो बहुत हैं, एक देह हैं: क्योंकि हम सब उसी एक रोटी में भागी होते हैं।

यूहन्ना 1:16

·         क्योंकि उस की परिपूर्णता से हम सब ने प्राप्त किया अर्थात अनुग्रह पर अनुग्रह।

ʻIBRÁ NÍOṈ 9

·         ; 11Lekin jab Masíh áyanda kí achchhí chízoṉ ká sardár káhin hokar áyá, to us buzurgtar aur kámiltar ḳhaime kí ráh se jo háthoṉ ká baná húá, yaʻní is dunyá ká, nahíṉ; 12aur bakroṉ aur bachhṛoṉ ká ḳhún lekar nahíṉ, balki apná hí ḳhún lekar, pák makán meṉ ek hí bár dáḳhil ho gayá, aur abadí ḳhalásí karáí. 13Kyúṉki jab bakroṉ aur bailoṉ ke ḳhún aur gáe kí rákh nápákoṉ par chhiṛke jáne se záhirí pákízagí hásil hotí hai; 14to Masíh ká ḳhún jís ne apne áp ko azalí Rúh ke wasíle Ḳhudá ke sámne beʻaib qurbán kar diyá, tumháre diloṉ ko murda kámoṉ se kyúṉ na pák karegá, táki zinda Ḳhudá kí ʻibádat kareṉ. 15Aur isí sabab se wuh naye ʻahd ká darmiyání hai, táki us maut ke wasíle se jo pahle ʻahd ke waqt ke qusúroṉ kí muʻáfí ke liye húí hai, buláe húe log waʻde ke bamújib abadí mírás ko hásil kareṉ. 16Kyúṉki jaháṉ wasíyat hai, waháṉ wasíyat karnewále kí maut bhí sábit honí zarúr hai. 17Is liye ki wasíyat maut ke baʻd hí járí hotí hai, aur jab tak wasíyat karnewálá zinda rahtá hai, us ká ijrá nahíṉ hotá. 18Isí liye pahlá ʻahd bhí bagair ḳhún ke nahíṉ báṉdhá gayá. 19Chunáṉchi jab Músá tamám ummat ko sharíʻat ká har ek hukm suná chuká, to bachhṛoṉ aur bakroṉ ká ḳhún lekar, pání, aur lál ún, aur zúfá ke sáth, us kitáb aur tamám ummat par chhiṛak diyá, 20aur kahá, ki Yih us ʻahd ká ḳhún hai, jis ká hukm Ḳhudá ne tumháre liye diyá hai. 21Aur isí tarah us ne ḳhaime aur ʻibádat ki tamám chízoṉ par ḳhún chhiṛká. 22Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.

·         23Pas zarúr thá, ki ásmání chízoṉ ki naqleṉ to in ke wasíle se pák kí jáeṉ; magar ḳhud ásmání chízeṉ in se bihtar qurbáníoṉ ke wasíle se. 24Kyúṉki Masíh us háth ke banáe húe pák makán meṉ dáḳhil nahíṉ húá, jo haqíqí pák makán ká namúna hai, balki ásmán hí meṉ dáḳhil húá; táki ab Ḳhudá ke rúbarú hamárí ḳhátir házir ho: 25yih nahíṉ ki wuh apne áp ko bár bár qurbán kare, jis tarah ki sardár káhin pák makán meṉ har sál dúsre ká ḳhún lekar játá hai; 26warna biná e ʻálam se lekar us ko bár bár dukh uṭháná zarúr hotá: magar ab zamánoṉ ke áḳhir meṉ ek bár záhir húá, táki apne áp ko qurbán karne se gunáh ko miṭá de. 27Aur jis tarah ádmíoṉ ke liye ek bár marná aur us ke baʻd ʻadálat ká honá muqarrar hai; 28isí tarah Masíh bhí ek bár bahut logoṉ ke gunáh uṭháne ke liye qurbán hokar, dúsrí bár bagair gunáh ke, naját ke liye un ko dikháí degá, jo us kí ráh dekhte haiṉ.

 

masih yesu ne badan ke wasile jo kuch bhi kiya musa ki shariat ke adhin kiya

GALATÍOṈ 4

; o Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le, aur ham ko lepálak hone ká darja mile. 6Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai. 7Pas ab tú gulám nahíṉ, balki beṭá hai; aur jab beṭá húá, to Ḳhudá ke sabab wáris bhí húá.

'Tum kitáb i muqaddas meṉ ḍhúṉḍhte ho; kyúṉki samajhte ho ki us meṉ hamesha kí zindagí tumheṉ miltí hai; aur yih wuh hai, jo merí gawáhí deti hai; '

 

Yúhanná 5:39

https://www.bible.com/bible/1553/JHN.5.39MATÍ 5

; 17Yih na samjho, ki maiṉ Tauret yá nabíoṉ kí kitáboṉ ko mansúḳh karne áyá húṉ; mansúḳh karne nahíṉ, balki púrá karne áyá húṉ

 

LÚQÁ 24

; Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 26Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá? 27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ.

LÚQÁ 24

; 44Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí.

 

 

 

ROMÍOṈ 6

; 14Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.

Romíoṉ 8:9 (URDR55)

Lekin tum jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai. Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ.

Romíoṉ 8:10 (URDR55)

Aur agar Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh rástbází ke sabab se zinda hai.

 

Romíoṉ 8:6 (URDR55)

Aur jismání níyat maut hai; magar rúhání níyat zindagí aur itmínán hai:

Romíoṉ 8:5 (URDR55)

Kyúṉki jo jismání haiṉ, wuh jismání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ; lekin jo rúhání haiṉ, wuh rúhání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ.

Romíoṉ 8:8 (URDR55)

aur jo jismání haiṉ, wuh Ḳhudá ko ḳhush nahíṉ kar sakte.

Romíoṉ 8:7 (URDR55)

is liye ki jismání níyat Ḳhudá kí dushmaní hai; kyúṉki na to Ḳhudá kí sharíʻat ke tábiʻ hai, na ho saktí hai:

Galatíoṉ 6:2 (URDR55)

Tum ek dúsre ká bár uṭháo, aur yúṉ Masíh kí sharíʻat ko púrá karo.

Kulussíoṉ 3:16 (URDR55)

Masíh ke kalám ko apne diloṉ meṉ kasrat se basne do; aur kamál dánáí se ápas meṉ taʻlím aur nasíhat karo,

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...