Skip to main content

इस्राएल के घराने की खोई हुई भेड़ों को बारे में बाइबिल में से अनुग्रह और ...


YÚHANNÁ 1

;  11 Wuh apne ghar áyá, aur us ke apnoṉ ne use qubúl na kiyá.

masih yesu men aap saboh ki salamati ho

or masih yesu ke fazl or sachchai

ki marfita

raushni dalne ja rahen hain

bete or baap ke kalam ke sath

fazl or sachchai youtube

channel ke madhyam se

main ho yasarim el

lagatar sunte rahen,,

or humare apke apne channel

ko subscribe karna na buliye ga

taki aap

hum sab es channel ke jariye

roz bar raoz ikatha hute rahen

Kaun the uske apne yeshua maish ke apne

Jinhon ne use qubul na kiya tha

YÚHANNÁ 1

 ; 1Aur maiṉ to use pahchántá na thá; magar is liye pání se baptisma detá húá áyá, ki wuh Isráíl par záhir ho jáe. 32Aur Yúhanná ne yih gawáhí dí,

MATÍ 15

; 24Us ne jawáb meṉ kahá, ki Maiṉ Isráíl ke gharáne kí khoí húí bheṛoṉ ke siwá âur kisí ke pás nahíṉ bhejá gayá

Lekin  israiel ke gharane ki bhede khoi kaise thi or kinho ne kho di thi

 YÚHANNÁ 10

 ; 12 Mazdúr jo na charwáhá hai, na bheṛoṉ ká málik, bheṛiye ko áte dekhkar bheṛoṉ ko chhoṛke bhág játá hai, aur bheṛiyá un ko pakaṛtá aur paráganda kartá hai. 13Wuh is liye bhág játá hai, ki mazdúr hai, aur us ko bheṛoṉ kí fikr nahíṉ.

8Jitne mujh se pahle áe, sab chor aur ḍákú haiṉ; magar bheṛoṉ ne un kí na suní. 

'Achchhá charwáhá maiṉ húṉ: achchhá charwáhá bheṛoṉ ke liye apní ján detá hai. '

 

Yúhanná 10:11

https://www.bible.com/bible/1553/JHN.10.11

 

Isráíl ke gharáne

Bare men jante hain

 

 

 

PAIDÁISH 32

; 24Aur Ya‘qúb akelá rah gayá; aur pau phaṭne ke waqt tak ek shaḳhs waháṉ us se kushtí laṛtá rahá. 25Jab us ne dekhá, ki wuh us par g̣álib nahíṉ hotá, to us kí rán ko andar kí taraf se chhúá; aur Ya‘qúb kí rán kí nas us ke sáth kushtí karne meṉ chaṛh gayí. 26Aur us ne kahá, Mujhe jáne de, kyúṉki pau phaṭ chalí. Ya‘qúb ne kahá, ki Jab tak tú mujhe barakat na de, maiṉ tujhe jáne nahíṉ dúṉgá. 27Tab us ne us se púchhá, ki Terá kyá nám hai? Us ne jawáb diyá, Ya‘qúb. 28Us ne kahá, ki Terá nám áge ko Ya‘qúb nahíṉ, balki Isráíl hogá; kyúṉki tú ne Ḳhudá aur ádmíoṉ ke sáth zorázmáí kí, aur g̣álib húá. 29Tab Ya‘qúb ne us se kahá, ki Maiṉ terí minnat kartá húṉ, tú mujhe apná nám batá de. Us ne kahá, ki Tú merá nám kyúṉ púchhtá hai? Aur us ne use waháṉ barakat dí.

'Chunáṉchi Ya‘qúb sát baras tak Ráḳhil kí ḳhátir ḳhidmat kartá rahá; par wuh use Ráḳhil kí mahabbat ke sabab se chand dinoṉ ke barábar ma‘lúm húe. '

 

Paidáish 29:20

https://www.bible.com/bible/1553/GEN.29.20

21Aur Ya‘qúb ne Lában se kahá, ki Merí muddat púrí ho gayí, so merí bíwí mujhe de, táki maiṉ us ke pás jáúṉ.

23Aur jab shám húí to apní beṭí Leáh ko us ke pás le áyá, aur Ya‘qúb us se hamág̣osh húá. 24Aur Lában ne apní lauṉḍí Zilfah apní beṭí Leáh ke sáth kar dí, ki us kí lauṉḍí ho. 25Jab subh ko ma‘lúm húá ki Yih to Leáh hai, tab us ne Lában se kahá, ki Tú ne mujh se yih kyá kiyá? Kyá maiṉ ne jo terí ḳhidmat kí, wuh Ráḳhil kí ḳhátir na thí? Phir tú ne kyúṉ mujhe dhoká diyá? 

27Tú is ká hafta púrá kar de, phir ham dúsrí bhí tujhe de deṉge, jis kí ḳhátir tujhe sát baras âur merí ḳhidmat karní hogí. 28Ya‘qúb ne aisá hí kiyá, ki Leáh ká hafta púrá kiyá; tab Lában ne apní beṭí Ráḳhil bhí use biyáh dí, 29aur apní lauṉḍí Bilháh apní beṭí Ráḳhil ke sáth kar dí, ki us kí lauṉḍí ho. 30So wuh Ráḳhil se bhí hamág̣osh húá, aur wuh Leáh se ziyáda Ráḳhil ko cháhtá thá, aur sát baras âur sáth rahkar Lában kí ḳhidmat kí.

Is tarah Jacob yani israiel

4 biwiyan huin

Ek ko hasil karne ke chakar vese bhi ye ruhani mukashafa ki baten hain

Or nafsani admi ise qabool nhi kar sakta

Kyu ki ye ruh ke dwara parkhi jati hain

 22Aur Isráíl ke us mulk meṉ rahte húe yúṉ húá, ki Rúbin ne jákar apne báp kí haram Bilháh se mubásharat kí, aur Isráíl ko yih ma‘lúm ho gayá.

Us waqt Ya‘qúb ke bárah beṭe the. 23Leáh ke beṭe yih the; Rúbin, Ya‘qúb ká pahlauṭhá, aur Shama‘ún, aur Láwí, aur Yahúdáh, aur Ishkár, aur Zabúlún. 24Aur Ráḳhil ke beṭe Yúsuf aur Binyamín the. 25Aur Ráḳhil kí lauṉḍí Bilháh ke beṭe Dán aur Naftálí the. 26Aur Leáh kí lauṉḍí Zilfah ke beṭe Jadd aur Áshar the. Yih sab Ya‘qúb ke beṭe haiṉ, jo Faddán Arám meṉ paidá húe. 

Imen se age inse jitni sanaten hain unko maish ne kaha

Yani inki jaat or gaut men se aine  wale

Wuh sab isareil ki khui huin bhede hain

Jiska jikar masih yesu ne kiya

 

PAIDÁISH 46

; 20Aur Yúsuf se mulk i Misr meṉ On ke pujárí Fotífira‘ kí beṭí Ásináth ke Munassí aur Ifráím paidá hué. 21Aur baní Binyamín yih haiṉ: Bála‘, aur Bakr, aur Ashbel, aur Jirá, aur Na‘mán, Aḳhí, aur Ros, Muffím, aur Huffím, aur Arad. 22Yih sab Ya‘qúb ke un beṭoṉ kí aulád haiṉ, jo Ráḳhil se paidá húe. Yih sab shumár meṉ chaudah the. 23Aur Dán ke beṭe ká nám Hashím thá. 24Aur baní Naftálí yih haiṉ: Yahasíel, aur Júní, aur Yisr, aur Salím. 25Yih sab Ya‘qúb ke un beṭoṉ kí aulád haiṉ, jo Bilháh lauṉḍí se paidá húe, jise Lában ne apní betí Ráḳhil ko diyá thá. In ká shumár sát thá. 26Ya‘qúb ke sulb se, jo log paidá húe aur us ke sáth Misr meṉ áe, wuh us kí bahúoṉ ko chhoṛkar shumár meṉ chhiyásaṭh the. 27Aur Yúsuf ke do beṭe the, jo Misr meṉ paidá húe: so Ya‘qúb ke gharáne ke jo log Misr meṉ áe wuh sab milkar sattar húe.

 

ḲHURÚJ 12

; 40Aur baní Isráíl ko, Misr meṉ búdobásh karte húe, chár sau tís baras húe the. 41Aur un chár sau tís barasoṉ ke guzar jáne par, ṭhík usí roz Ḳhudáwand ká sárá lashkar mulk i Misr se nikal gayá.

ISTISNÁ 31

; 9Aur Músá ne is sharí‘at ko likhkar use káhinoṉ ke, jo baní Láwí aur Ḳhudáwand ke ‘ahd ke sandúq ke uṭhánewále the, aur Isráíl ke sab buzurgoṉ ke supurd kiyá. 10Phir Músá ne un ko yih hukm diyá, ki Har sát baras ke áḳhir meṉ, chhuṭkáre ke sál ke mu‘aiyan waqt par, ‘íd i ḳhayám meṉ, 11jab sab Isráílí Ḳhudáwand tumháre Ḳhudá ke huzúr, us jagah ákar házir hoṉ, jise wuh ḳhud chunegá, to tum is sharí‘at ko paṛhkar sab Israílíoṉ ko sunáná. 12Tum sáre logoṉ ko, ya‘ní mardoṉ aur ‘auratoṉ, aur bachchoṉ, aur apní bastiyoṉ ke musáfiroṉ ko jama‘ karná, táki wuh suneṉ, aur síkheṉ aur Ḳhudáwand tumháre Ḳhudá ká ḳhauf máneṉ, aur is sharí‘at kí sab bátoṉ par ihtiyát rakhkar ‘amal kareṉ; 13aur un ke laṛke, jin ko kuchh ma‘lúm nahíṉ, wuh bhí suneṉ, aur jab tak tum us mulk meṉ jíte raho, jis par qabza karne ko tum Yardan pár játe ho, tab tak wuh barábar Ḳhudáwand tumháre Ḳhudá ká ḳhauf mánná síkheṉ.

 

MATÍ 3

; 13Us waqt Yisúʻ Galíl se Yardan ke kanáre Yúhanná ke pás us se baptisma lene áyá. 14Magar Yúhanná yih kahkar use manaʻ karne lagá, ki Maiṉ áp tujh se baptisma lene ká muhtáj húṉ, aur tú mere pás áyá hai? 15Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá, ki Ab to hone hí de; kyúṉki hameṉ isí tarah sárí rástbází púrí karní munásib hai. Is par us ne hone diyá. 16Aur Yisúʻ baptisma lekar fiʼlfaur pání ke pás se úpar gayá; aur dekho, us ke liye ásmán khul gayá, aur us ne Ḳhudá kí Rúh ko kabútar kí mánind utarte, aur apne úpar áte dekhá. 17Aur dekho, ásmán se yih áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ.

GALATÍOṈ 4

; 4lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le,

MATÍ 23

1Us waqt Yisúʻ ne bhíṛ se aur apne shágirdoṉ se yih báteṉ kahíṉ, ki 2Faqíh aur Farísí Músá kí gaddí par baiṭhe haiṉ; 3pas jo kuchh wuh tumheṉ batáeṉ, wuh sab karo aur máno, lekin un ke se kám na karo, kyúṉki wuh kahte haiṉ, aur karte nahíṉ. 4Wuh aise bhári bojh, jin ká uṭháná mushkil hai, báṉdhkar logoṉ ke kandhoṉ par rakhte haiṉ, magar áp unheṉ apní unglí se bhí hiláná nahíṉ cháhte. 5Wuh apne sab kám logoṉ ke dikháne ko karte haiṉ, kyúṉki apne taʻwíz baṛe banáte, aur apní poshák ke kanáre chauṛe rakhte haiṉ; 6aur ziyáfatoṉ meṉ sadrnishíní, aur ʻibádatḳhánoṉ meṉ aʻlá darje ki kursíáṉ, 7aur bázároṉ meṉ salám, aur ádmíoṉ se Rabbí kahláná pasand karte haiṉ. 8Magar tum Rabbí na kahláo; kyúṉki tumhárá ustád ek hí hai, aur tum sab bháí ho. 9Aur zamín par kisí ko apná báp na kaho; kyúṉki tumhárá Báp ek hí hai, jo ásmání hai. 10Aur na tum hádi kahláo; kyúṉki tumhárá hádí ek hí hai, yaʻní Masíh. 11Lekin jo tum meṉ baṛá hai, wuh tumhárá ḳhádim bane. 12Aur jo koí apne áp ko baṛá banáegá, wuh chhoṭá kiyá jáegá; aur jo apne áp ko chhoṭá banáegá, wuh baṛá kiyá jáegá.

13Ai riyákár faqího aur Farísío, tum par afsos hai! ki ásmán kí bádsháhat logoṉ par band karte ho; kyúṉki na to áp dáḳhil hote ho, aur na dáḳhil honewáloṉ ko dáḳhil hone dete ho.

[14Ai riyákár faqího aur Farisio, tum par afsos hai! ki tum bewa ʻauratoṉ ke gharoṉ ko dabá baiṭhte ho,

 

MATÍ 10

1Phir us ne apne bárah shágirdoṉ ko pás bulákar, unheṉ nápák rúhoṉ par iḳhtiyár baḳhshá, ki un ko nikáleṉ, aur har tarah kí bimárí aur har tarah kí kamzorí ko dúr kareṉ.

2Aur bárah rasúloṉ ke nám yih haiṉ: pahlá, Shamaʻún, jo Patras kahlátá hai, aur us ká bháí Andriyás; Zabdí ká beṭá Yaʻqúb, aur us ká bháí Yúhanná; 3Filippus, aur Bar-Tulmáí; Tomá aur Matí mahsúl lenewálá; 4Halfaí ká beṭá Yaʻqúb aur Taddí; Shamaʻún Qanʼání, aur Yahúdáh Iskariyotí, jis ne use; pakarwá bhí diyá. 5In bárah ko Yisúʻ ne bhejá, aur unheṉ hukm deke kahá, ki

G̣airqaumoṉ kí taraf na jáná, aur Sámaríoṉ ke kisí shahr meṉ dáḳhil na honá; 6balki Isráíl ke gharáne kí khoí húi bheṛoṉ ke pás jáná. 7Aur chalte chalte yih manádí karná ki Ásmán kí bádsháhat nazdík á gayi hai.

 

 

 

AʻMÁL 2

 ; 14Lekin Patras un gyárah ke sáth khaṛá húá, aur apní áwáz baland karke logoṉ se kahá, ki Ai Yahúdío, aur ai Yarúshalem ke sab rahnewálo, yih ján lo, aur kán lagákar merí báteṉ suno;36Pas Isráíl ká sárá gharáná yaqín ján le, ki Ḳhudá ne usí Yisúʻ ko jise tum ne salíb dí, Ḳhudáwand bhí kiyá aur Masíh bhí.

 

'aur ádmí ke dushman us ke ghar hí ke log hoṉge. '

 

Matí 10:36

https://www.bible.com/bible/1553/MAT.10.36

 YÚHANNÁ 4

; 54Yih dúsrá muʻjiza hai, jo Yisúʻ ne Yahúdiya se Galíl meṉ ákar dikháyá.

Matí 4:15 (URDR55)

Zabúlún ká ʻiláqa, aur Naftálí ká ʻiláqa, Daryá kí ráh Yardan ke pár, G̣airqaumoṉ kí Galíl,

 

GAIRYAHUDION KI GALIL

ISRELIYON KE ILIAWA JITNI GAIRQAUMON THI WUH GALIL MEN REHTE THE

LÚQÁ 1

 ; 26Chhaṭe mahíne Jibraíl firishta Ḳhudá kí taraf se Galíl ke ek shahr meṉ jis ká nám Násarat thá, ek kuṉwárí ke pás bhejá gayá, 27jis kí maṉgní Dáúd ke gharáne ke ek mard Yúsuf nám se húí thí; aur us kuṉwárí ká nám Maryam thá.

 

MARQUS 1

 ; 28Aur fiʼlfaur us kí shuhrat Galíl kí us tamám nawáhí meṉ har jagah phail gayí.

 

 

Romíoṉ 9:30 (URDR55)

Pas ham kyá kaheṉ? Yih, ki gairqaumoṉ ne, jo rástbází kí talásh na kartí thíṉ, rástbází hásil kí, yaʻní wuh rástbází jo ímán se hai:

Galatíoṉ 3:14 (URDR55)

táki Masíh Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.

Galatíoṉ 3:8 (URDR55)

Aur kitáb i muqaddas ne peshtár se yih jánkar, kí Ḳhudá gairqaumoṉ ko ímán se rástbáz ṭhahráegá, pahle hí se Ibráhím ko yih ḳhushḳhabarí suná dí, ki Tere báʻis sárí qaumeṉ barakat páeṉgí.

 

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...