Skip to main content

विश्वास के द्वारा उस आत्मा को प्राप्त करें जिस की प्रतिज्ञा हुई है

26Chhaṭe mahíne Jibraíl firishta Ḳhudá kí taraf se Galíl ke ek shahr meṉ jis ká nám Násarat thá, ek kuṉwárí ke pás bhejá gayá,

 28Aur firishte ne us ke pás andar áke kahá; Salám tujh ko, jis par fazl húá hai! Ḳhudáwand tere sáth hai

29Wuh is kalám se bahut ghabrá gayí aur sochne lagí, ki yih kaisá salám hai. 30Firishte ne us se kahá; Ai Maryam, ḳhauf na kar, kyúṉki Ḳhudá kí taraf se tujh par fazl húá hai; 31aur dekh, tú hámila hogí aur beṭá janegí; us ká nám Yisúʻ rakhná. 32Wuh buzurg hogá; aur Ḳhudá Taʻálá ká Beṭá kahláegá,

'Maryam ne firishte se kahá; Yih kyúṉkar hogá, jis hál meṉ ki maiṉ mard ko nahíṉ jántí? '

 

Lúqá 1:34

Kunwari miriyam aurat tamsil hai

Iman wali kalisiya ki

Romíoṉ 4:16 (URDR55)

Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par ho, aur wuh waʻda kull nasl ke liye qáim rahe;, jo Ibráhím kí mánind ímánwálí hai; wuhí ham sab ká báp hai

 

Mere kehne ka mtlab ye hai ki aap jo jitney bhi iman wale

Aap wait kar koi humen masah kare wuh purane ahd name ke adhin shriat yani musa

Ki vacha ke adhin hota tha

Ab aisa nhi hai

Mariyam kya keh rahin hain

; Yih kyúṉkar hogá, jis hál meṉ ki maiṉ mard ko nahíṉ jántí? '

 

Mtlab marad ke begair ye kaise ho sakta hai

ab sarah ke paas kya uska marad nhi tha abraham

kya ilishba ke paas uska mard nhi tha zachkkriya

or wuh to kahin tha

or ye bhi likha hai ki wuh  

LÚQÁ 1

; 5Yahúdiya ke bádsháh Herodes ke zamáne meṉ Abiyyáh ke faríq meṉ se Zakaryáh nám ek káhin thá, aur us kí bíwí Hárún kí aulád meṉ se thí, aur us ká nám Ilíshibaʻ thá. 6Aur wuh donoṉ Ḳhudá ke huzúr rástbáz aur Ḳhudáwand ke sáre hukmoṉ aur qánúnoṉ par beʻaib chalnewále the.

Wuh rastbaaz to the magar iman ki shariat se nhi  iman ki  ruh se nhi

Balki musa ki shariat men  jo 10 hukmon ki dharmikta hai badan ki dharmikta men

Rastbaz

Filippíoṉ 3:9 (URDR55)

aur us meṉ páyá jáúṉ; na apní us rástbází ke sáth, jo sharíʻat kí taraf se hai, balki us rástbází ke sáth, jo Masíh par imán láne ke sabab hai, aur Ḳhudá kí taraf se ímán par miltí hai:

 

Galatíoṉ 2:16 (URDR55)

táham yih jánkar ki ádmí sharíʻat ke aʻmál se nahíṉ, balki sirf Yisúʻ Masíh par ímán láne se rástbáz ṭhahrtá hai, ḳhud bhí Masíh Yisúʻ par ímán láe, táki ham Masíh par ímán láne se rástbáz ṭhahreṉ, na ki sharíʻat ke aʻmál se; kyúṉki sharíʻat ke aʻmál se koí bashar rástbáz na ṭhahregá.

 

 

Ilishiba or sarah ke paas mard hote hoye bhi

Ye ruh l quds se hamila na thi

Men khehne ki koshish kya

Kar raha

Ye aurat

Sarah to ahd hai bhi or kalsisiya bhi 

Or ilishba musa ki shariat ke kalsiya

Or

Mariyam kalisiya hai jiske mard nhi

Khuda ka fazl hai

Haq tala ki qudrat ka saya hai

Or ruh l quds

Jis par iman se nazil hai

Ye wuh kilsiya hai

Jo iman ke wasil ruh l quds or haq tala ki

Qudrat or khuda ka fazl jis par

Ab suniye iman walo apko mard ko janne jaroat nhi

Kyu jitne iman wale hain

Galatíoṉ 3:9 (URDR55)

Pas jo ímánwále haiṉ, wuh ímándár Ibráhím ke sáth barakat páte haiṉ.

GALATÍOṈ 3

; 2Maiṉ tum se sirf yih daryáft karná cháhtá húṉ, ki tum ne sharíʻat ke aʻmál se Rúh ko páyá, yá ímán ke paigám se? 

GALATÍOṈ 3

; 5Pas jo tumheṉ Rúh baḳhshtá, aur tum meṉ muʻjize záhir kartá hai, kyá wuh sharíʻat ke aʻmál se aisá kartá hai, yá ímán ke paigám se? 6Chunáṉchi Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází giná gayá. 7Pas ján lo, ki jo ímánwále haiṉ, wuhí Ibráhím ke farzand haiṉ. 8Aur kitáb i muqaddas ne peshtár se yih jánkar, kí Ḳhudá gairqaumoṉ ko ímán se rástbáz ṭhahráegá, pahle hí se Ibráhím ko yih ḳhushḳhabarí suná dí, ki Tere báʻis sárí qaumeṉ barakat páeṉgí. 9Pas jo ímánwále haiṉ, wuh ímándár Ibráhím ke sáth barakat páte haiṉ.

'Aur yih bát záhir hai, kí sharíʻat ke wasíle se koí shaḳhs Ḳhudá ke nazdík rástbáz nahíṉ ṭhahrtá: kyúṉki likhá hai, kí Rástbáz ímán se jítá rahegá: '

 

Galatíoṉ 3:11

18Kyúṉki agar mírás sharíʻat ke sabab se milí hai, to waʻde ke sabab se na húí: magar Ibráhím ko Ḳhudá ne waʻde hí kí ráh se baḳhshí.

'táham yih jánkar ki ádmí sharíʻat ke aʻmál se nahíṉ, balki sirf Yisúʻ Masíh par ímán láne se rástbáz ṭhahrtá hai, ḳhud bhí Masíh Yisúʻ par ímán láe, táki ham Masíh par ímán láne se rástbáz ṭhahreṉ, na ki sharíʻat ke aʻmál se; kyúṉki sharíʻat ke aʻmál se koí bashar rástbáz na ṭhahregá. '

 

Galatíoṉ 2:16

Romíoṉ 6:14 (URDR55)

Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.

Galatíoṉ 5:4 (URDR55)

Tum jo sharíʻat ke wasíle se rástbáz ṭhahrná cháhte ho, Masíh se alag ho gaye, aur fazl se mahrúm.

Galatíoṉ 5:5 (URDR55)

Kyúṉki ham Rúh ke báʻis ímán se rástbází kí ummed bar áne ke muntazir haiṉ.

Galatíoṉ 2:21 (URDR55)

Maiṉ Ḳhudá ke fazl ko bekár nahíṉ kartá: kyúṉki rástbází agar sharíʻat ke wasíle se miltí, to Masíh ká marná ʻabas hotá.

Galatíoṉ 3:14

; aur ham ímán ke wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.

Mariyam ne kya kaha jo mard ko nhi janti or jiske tak khushkhabri paunhci fazl ki

Ye kyu kar hoga

LÚQÁ 1

; 34Maryam ne firishte se kahá; Yih kyúṉkar hogá, jis hál meṉ ki maiṉ mard ko nahíṉ jántí? 35Aur firishte ne jawáb meṉ us se kahá, ki Rúhuʼl Quds tujh par názil hogá, aur Ḳhudá Taʻálá kí qudrat tujh par sáya ḍálegí, aur is sabab se wuh pákíza jo paidá honewálá hai Ḳhudá ká Beṭá kahláegá. 36Aur dekh, terí rishtadár Ilíshibaʻ ke bhí buṛhápe meṉ beṭá honewálá hai; aur ab us ko, jo báṉjh kahlátí thí, chhaṭá mahína hai. 37Kyúṉki jo qaul Ḳhudá kí taraf se hai, wuh hargiz betásír na hogá. 38Maryam ne kahá; Dekh, maiṉ Ḳhudáwand kí bandí húṉ; mere liye tere qaul ke muwáfiq ho.

Zabúr 127:3 (URDR55)

Dekho, aulád Ḳhudáwand kí taraf se mírás hai; Aur peṭ ká phal usí kí taraf se ajr hai.

 

 

Bachcha shabad hai jo ye ruh l quds ke gawahi deta hai

Romíoṉ 4:16 (URDR55)

Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par ho, aur wuh waʻda kull nasl ke liye qáim rahe; na sirf us nasl ke liye jo sharíʻatwálí hai, balki us ke liye bhí, jo Ibráhím kí mánind ímánwálí hai; wuhí ham sab ká báp hai

 

Romíoṉ 10:10 (URDR55)

Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.

 

1 KURINTHÍOṈ 12

; , 3Pas maiṉ tumheṉ jatátá húṉ, ki jo koí Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se boltá hai, wuh nahíṉ kahtá, ki Yisúʻ malʻún hai; aur na koí Rúhuʼl Quds ke bagair kah saktá hai, ki Yisúʻ Ḳhudáwand hai.koí Rúhuʼl Quds ke bagair kah saktá hai, ki Yisúʻ Ḳhudáwand hai.

 

Kehna ka matlab ye jo koi yesu ke khudwand hune ka iqrar krta hai iman

Ke wasile wuh khud se apni aql niyat irade se nhi kehta ki yesu khudawand

Yesu khuda ka beta

Balki ruh l quds ke wasile kehta hai

 

Ab iske baad karna kya ruh l quds hasil karne ke baad

Yani iman

Le ain eke baad yarushalem se bahir nhi jana yani

Shanti se shalom kiske shalom

Se

Masih yesuha ke shalom se

LÚQÁ 24

; 48Tum in bátoṉ ke gawáh ho. 49Aur dekho, jis ká mere Báp ne waʻda kiyá hai, maiṉ us ko tum par názil karúṉgá; lekin, jab tak ʻálam i bálá par se tum ko quwwat ká libás na mile, is shahr meṉ ṭhahre raho.

 

Ab quwat ka libas kaise milte hai

YÚHANNÁ 14

; 16aur maiṉ Báp se darḳhwást karúṉgá, to wuh tumheṉ dúsrá Madadgár baḳhshegá, ki abad tak tumháre sath rahe, 17yaʻní sachcháí kí Rúh, jise dunyá hásil nahíṉ kar saktí, kyúṉki na use dekhtí, aur na jántí hai: tum use jánte ho; kyúṉki wuh tumháre sáth rahtí hai, aur tumháre andar hogí.

YÚHANNÁ 15

; 26Lekin jab wuh Madadgár áegá, jis ko maiṉ tumháre pás Báp kí taraf se bhejúṉgá, yaʻní Sachcháí kí Rúh, jo Báp kí taraf se nikaltí hai, to wuh merí gawáhí degí: 27aur tum bhí gawáh ho, kyúṉki shurúʻ se mere sáth ho.

 

Tab tak humen yani iman wale ko kya karna hai apni bible pakni hai

Khuda ke sath yani masih yesu ke sath akele men baithna hai

 

27Maiṉ tumheṉ itmínán diye játá húṉ; apná itmínán tumheṉ detá húṉ: jis tarah dunyá detí hai, maiṉ tumheṉ us tarah nahíṉ detá. Tumhárá dil na ghabráe aur na ḍare

 

Ye jo itminan shabad hai

Wuh wuhi shabad hai ki yarushalem men there rehna

Yani

Meri shanti men there rehna

Tum meri shanti men raho

Men tumhare baap se darkhwast karuga

 

Tab tak mere itmnan men thehre raho

Or mera itmina tum men thera raha hai

 

 

 YÚHANNÁ 14

 

26Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.

 

Tab tak sekhna ruh l quds ki madad se

Kisi insan se nhi kisi

Khun ghost nhi yesu ki baton men se

 

Kyu khuda ki ruh yesu par hai

To humen khuda ki ruh se sekhna hai

'Zinda karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ. '

 

Yúhanná 6:63

 

 

 

1 YÚHANNÁ 2

; 26Maiṉ ne yih báteṉ tumheṉ un kí bábat likhí haiṉ, jo tumheṉ fareb dete haiṉ. 27Aur tumhárá wuh masah jo us kí taraf se kiyá gayá, tum meṉ qáim rahtá hai, aur tum is ke muhtáj nahíṉ, ki koí tumheṉ sikháe; balki jis tarah wuh masah jo us kí taraf se kiyá gayá, tumheṉ sab báteṉ sikhátá hai, aur sachchá hai, aur jhúṭhá nahíṉ, aur jis tarah us ne tumheṉ sikháyá, usí tarah tum us meṉ qáim rahte ho

Romíoṉ 10:9 (URDR55)

ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá.

Romíoṉ 10:11 (URDR55)

Chunáṉchi kitáb i muqaddas yih kahtí hai, ki Jo koí us par ímán láegá, wuh sharminda na hogá.

 

LÚQÁ 1

; 24In dinoṉ ke baʻd us kí bíwí Ilíshibaʻ hámila húí; aur us ne páṉch mahíne tak apne taíṉ yih kahke chhipáe rakkhá, ki 25Jab Ḳhudáwand ne merí ruswáí logoṉ meṉ se dúr karne ke liye mujh par nazar kí, un dinoṉ meṉ us ne mere liye aisá kiyá.

 

 

Romíoṉ 5:5 (URDR55)

aur ummed se sharmindagí hásil nahíṉ hotí, kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai.

 

ʻIBRÁ NÍOṈ 11

1Ab ímán ummed kí húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai. 2Kyúṉki usí kí bábat buzurgoṉ ke haqq meṉ achchhí gawáhí dí gayí. 3Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.

 11Ímán hí se Sáráh ne bhí sinn i yás ke baʻd hámila hone kí táqat páí, is liye ki us ne waʻda karnewále ko sachchá jáná: 12pas ek shaḳhs se jo murda sá thá, ásmán ke sitároṉ ke barábar kasír, aur samundar ke kanáre kí ret ke barábar beshumár aulád paidá húí.

Romíoṉ 10:17 (URDR55)

Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

 ʻIBRÁ NÍOṈ 12

; 2aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá.

 

16Kyúṉki us kí maʻmúrí meṉ se ham sab ne páyá, yaʻní fazl par fazl. 

'Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí; magar fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi. '

 

Yúhanná 1:17

GALATÍOṈ 4

1Maiṉ yíh kahtá húṉ, ki wáris jab tak bachcha hai, agarchi wuh sab ká málik hai, magar us meṉ aur gulám meṉ farq nahíṉ; 2balki jo míʻád báp ne muqarrar kí, us waqt tak sarparastoṉ aur muḳhtároṉ ke iḳhtiyár meṉ rahtá hai. 3Isí tarah ham bhí jab bachche the, to dunyawí ibtidáí bátoṉ ke páband hokar gulámí kí hálat meṉ rahe: 4lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le, aur ham ko lepálak hone ká darja mile. 6Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai. 7Pas ab tú gulám nahíṉ, balki beṭá hai; aur jab beṭá húá, to Ḳhudá ke sabab wáris bhí húá.

 

Ab kalsiya wuh jo iman wali hai

Or masih yesu ke fazal or sachchai se mamur hai

Jiske pas ruh l quds hai

Jiske paas sachchai ki ruh ki bakhsish hai

Or ye kisi ki mehnat mushtak par

Depend hi

Ye khuda ki qudrat hai jise chahe apni marzi se deta

Na kisi ke hath rakhn par

Na kisi khaas talim par

Na koi bhi khaas practice par

Jo jismani log

Badan ke wasile karte hai

Kyu badan gunah ke sabab se murda hai

Ruh rastbazi ke sabab jina hai

Jo jismani hai wuh jismani baton ke khyaal men rehte han

Jo ruhani hai

Wuh ruhani baton ke khyaal men rehte hain

Jo jism se paida hua wuh jisma hai

Yani shariat ke adhin

Hai jo musa ke dus hkmon ki rastabzi par tika hua hai

Jo ruh se paida hua wuh ruh hai

Yani masih yesi ki talim yani

YÚHANNÁ 6

; 64Magar tum meṉ se baʻz aise haiṉ jo ímán nahíṉ láe. Kyúṉki Yisúʻ shurúʻ se jántá thá ki jo ímán nahíṉ láte, wuh kaun haiṉ, aur kaun mujhe pakaṛwáegá. 65Phir us ne kahá; Isí liye maiṉ ne tum se kahá thá, ki mere pás koí nahíṉ á saktá, jab tak Báp kí taraf se use yih taufíq na dí jáe.

 

43Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Ápas meṉ na buṛbuṛáo. 44Koí mere pás nahíṉ á saktá, jab tak Báp, jis ne mujhe bhejá hai, use kheṉch na le;

45Nabíoṉ ke sahífoṉ meṉ yih likhá hai, ki Wuh sab Ḳhudá kí taraf se taʻlím páe húe hoṉge. Jis kisí ne Báp se suná aur sikhá hai, wuh mere pás átá hai.

 

Or kilisiya wuh

Jiske paas ruh hai

Ruhani man hai ruhani kaan

Jinki dil ankhe khuda ki tarf se raushan

Ki insan ki tarf se nhi

प्रकाशित वाक्य 2:11

·         जिस के कान हों, वह सुन ले कि आत्मा कलीसियाओं से क्या कहता है

2 Kurinthíoṉ 3:17 (URDR55)

Aur wuh Ḳhudáwand Rúh hai: aur jaháṉ kahíṉ Ḳhudáwand kí Rúh hai, waháṉ ázádí hai.

Romíoṉ 8:16 (URDR55)

Rúh ḳhud hamárí rúh ke sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ.

·          

·         Humen kisi ki gawahi ki jaroorat bhi nhi

Romíoṉ 8:15 (URDR55)

Kyúṉki tum ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ.

1 Kurinthíoṉ 2:12 (URDR55)

Magar ham ne na dunyá kí rúh, balki wuh rúh páí, jo Ḳhudá kí taraf se hai; táki un bátoṉ ko jáneṉ, jo Ḳhudá ne hameṉ ʻináyat kí haiṉ.

Romíoṉ 8:14 (URDR55)

Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ.

MATÍ 3

; 17Aur dekho, ásmán se yih áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ.

 

'aur bagair ímán ke us ko pasand áná námumkin hai: is liye ki Ḳhudá ke pás ánewále ko ímán láná cháhiye, ki wuh maujúd hai, aur apne táliboṉ ko badla detá hai. '

 

ʻIbrá Níoṉ 11:6

To yah ape saaf saaf likha hai

Atma kalisayion se kehte hai

Or kilsiyaen

Or he atma se gumrah hain

Ifisíoṉ 4:4 (URDR55)

Ek hí badan hai, aur ek hí Rúh; chunáṉchi tumheṉ jo buláe gaye the, apne buláe jáne se ummed bhí ek hí hai;

Ab kalsiyan iman wali hai aurat hai

1 Kurinthíoṉ 11:3 (URDR55)

Pas maiṉ tumheṉ ágáh karná cháhtá húṉ, ki har mard ká sir Masíh, aur ʻaurat ká sir mard, aur Masíh ká sir Ḳhudá hai.

IFISÍOṈ 1

; 23yih us ká badan hai, aur usí kí maʻmúrí jo har tarah se sab ká maʻmúr karnewálá hai.

1 Kurinthíoṉ 7:4 (URDR55)

Bíwí(yani kilsiya) apne badan kí muḳhtár nahíṉ, balki shauhar(yani Masih) muḳhtár hai: isí tarah shauhar (masih) bhí apne badan ká muḳhtár nahíṉ, balki bíwí.(yani Kalisiya ka )

 

Ajj masih ki aurat

Gumrah hai

 

Wuh gair mard ke sath khush hai

 

Konsa aisa aaj ke zamane men

Shauhar hai jo

Apni biwi kisi gair mard ke hath kar de

Or kaunsi aise biwi hai

Jo apne shauhar ki wafdar hai

Or apne aap ko gair mard ke hath de

Agar gair mard haith to wuh

Biwi zina kar hai

 

Mard ke yani masih ke hote hoye bhi

 

Gintí 5:20 (URDR55)

Lekin agar tú apne shauhar kí hotí húí gumráh hokar nápák ho gayí hai, aur tere shauhar ke siwá kisí dúsre shaḳhs ne tujh se suhbat kí hai,

 

 

ROMÍOṈ 7

; 2Chunáṉchi jis ʻaurat ká shauhar maujúd hai, wuh sharíʻat ke muwáfiq apne shauhar kí zindagí tak us ke band meṉ hai; 3Pas agar shauhar ke jíte jí dúsre mard kí ho jáe, to zániya kahláegí; 

1 Kurinthíoṉ 7:39 (URDR55)

Jabtak kiʻaurat ká shauhar jítá hai, wuh us kí páband hai; 

1 Kurinthíoṉ 7:14 

;

aur jo bíwí bá ímán nahíṉ wuh Masíhí shauhar ke báʻis pák ṭhahrtí hai:

Ifisíoṉ 5:23 (URDR55)

Kyúṉkí shauhar bíwí ká sir hai, jaise ki Masíh kalísiyá ká sír hai, aur wuh ḳhud badan ká bachánewálá hai.

 

Ab kuch kalisiya samri aurat ki tarah hai

YÚHANNÁ 4

; 16Yisúʻ ne us se kahá; Já, apne shauhar ko yaháṉ bulá lá. 17ʻAurat ne jawáb meṉ us se kahá, ki Maiṉ beshauhar húṉ. Yisúʻ ne us se kahá, ki Tú ne ḳhúb kahá; Maiṉ beshauhar húṉ; 18kyúṉki tú páṉch shauhar kar chukí hai; aur jis ke pás tú ab hai, wuh terá shauhar nahíṉ; yih tú ne sach kahá.

24Ḳhudá rúh hai, aur zarúr hai ki us ke parastár rúh aur sachcháí se parastish kareṉ. 25ʻAurat ne us se kahá; Maiṉ jántí húṉ, ki Masíh, jo Ḳhristus kahlátá hai, ánewálá hai; jab wuh áegá, to hameṉ sab báteṉ batá degá. 26Yísúʻ ne us se kahá; Maiṉ jo tujh se bol rahá húṉ, wuhí húṉ.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...