Skip to main content

शरीर को लालसाओं और अभिलाषाओं समेत क्रूस पर चढ़ा दिया है॥ मसीह यीशु के हैं

Lúqá 23:21 (URDR55)

Lekin wuh chillákar bole, ki Is ko salíb de, salíb.

Matí 10:38 (URDR55)

Aur jo koí apní salíb na uṭháe aur mere píchhe na chale, wuh mere láiq nahíṉ.

Lúqá 14:27 (URDR55)

Jo koí apní salíb na uṭháe aur mere píchhe na áe, wuh merá shágird nahíṉ ho saktá.

Kulussíoṉ 2:15 (URDR55)

us ne hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se utárkar un ká barmalá tamásha banáyá, aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká shádiyána bajáyá.

Kulussíoṉ 2:14 (URDR55)

aur hukmoṉ kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá diyá:

Kulussíoṉ 1:20 (URDR55)

aur us ke ḳhún ke sabab jo salíb par bahá sulh karke, sab chízoṉ ká usí ke wasíle se apne sáth mel kar le, ḳhwáh wuh zamín kí hoṉ, ḳhwáh ásmán kí.

Romíoṉ 6:6 (URDR55)

Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí gulámí meṉ na raheṉ.

1 Patras 2:24 (URDR55)

wuh áp hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár se jíeṉ; aur usí ke már kháne se tum ne shifá páí.

ʻIbrá Níoṉ 12:2 (URDR55)

aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá.

 

GALATÍOṈ 5

 ; 24Aur jo Masíh Yisúʻ ke haiṉ, unhoṉ ne jism ko us kí ragbatoṉ aur ḳhwáhishoṉ samet salíb par kheṉch diyá hai.

Kya apne apne jism ko ragbaton aur khwahishon samet salib par khench diya hai ya nhi

Kyu jo yesu men badan salib par kencha gaya

Wuh wuh badan wuh unka badan jo jinhone ne

Jism ko uski ragbaton aur khwahishon samet salib par khench diya hai

To kya jo aap is waqt jo is kalam ko khuda ki marzi se sun pa rahne hain

Kya ap ne ab jism ko us ki ragbaton aur khwahishon samet salib par khench diya hai ya nahi

Magar swaal ye man

Paida hota hoga

Ki jism ko uski ragbaton aur khwahishon samet salib par khenche to khenche kaise

Uske liye kya kare

To iska asaan sa tarika ye hai

Bauht asaan

16Magar maiṉ yih kahtá húṉ, ki Rúh ke muwáfiq chalo, to jism kí ḳhwáhish ko hargiz púrá na karoge. 25Agar ham Rúh ke sabab se zinda haiṉ, to Rúh ke muwáfiq chalná bhí cháhiye. 26Ham bejá faḳhr karke, na ek dúsre ko chiṛáen, na ek dúsre se jaleṉ.

 

Romíoṉ 8:9 (URDR55)

Lekin tum jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai. Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ.

Romíoṉ 8:10 (URDR55)

Aur agar Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh rástbází ke sabab se zinda hai.

GALATÍOṈ 5

; 17Kyúṉki jism Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai, aur Rúh jism ke ḳhiláf; aur yih ek dúsre ke muḳhálif haiṉ; táki jo tum cháhte ho, wuh na karo

ROMÍOṈ 8

; 11Aur agar usí kí Rúh tum meṉ basí húí hai, jis ne Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá, to jis ne Masíh Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá, wuh tumháre fání badanoṉ ko bhí apní us Rúh ke wasíle se zinda karegá, jo tum meṉ basí húí hai.

12Pas, ai bháiyo, ham qarzdár to haiṉ, magar jism ke nahíṉ, ki jism ke mutábiq zindagí guzáreṉ. 13Kyúṉki agar tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr maroge. Aur agar rúh se badan ke kámoṉ ko nest o nábúd karoge, to jíte rahoge.

14Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ.

15Kyúṉki tum ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ.

16Rúh ḳhud hamárí rúh ke sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ. 17Aur agar farzand haiṉ, to wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás; basharte ki ham us ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ.

18Kyúṉki merí dánist meṉ is zamáne ke dukh dard is láiq nahíṉ, ki us jalál ke muqábil ho sakeṉ, jo ham par záhir honewálá hai.

 

'Kyúṉki maḳhlúqát kamál árzú se Ḳhudá ke beṭoṉ ke záhir hone kí ráh dekhtí hai. '

 

Romíoṉ 8:19

1 Yúhanná 2:16 (URDR55)

Kyúṉki jo kuchh dunyá meṉ hai, yaʻní jism kí ḳhwáhish, aur áṉkhoṉ kí ḳhwáhish, aur zindagí kí sheḳhí, wuh Báp kí taraf se nahíṉ, balki dunyá kí taraf se hai.

1 Yúhanná 4:4 (URDR55)

Ai bachcho, tum Ḳhudá se ho, aur un par gálib á gaye ho; kyúṉki jo tum meṉ hai, wuh us se baṛá hai jo dunyá meṉ hai.

1 KURINTHÍOṈ 2

; 12Magar ham ne na dunyá kí rúh, balki wuh rúh páí, jo Ḳhudá kí taraf se hai; táki un bátoṉ ko jáneṉ, jo Ḳhudá ne hameṉ ʻináyat kí haiṉ. 13Aur ham ín bátoṉ ko un alfáz meṉ nahíṉ bayán karte, jo insání hikmat ne ham ko sikháe hoṉ, balki un alfáz meṉ, jo Rúh ne sikháe haiṉ; aur rúhání bátoṉ ká rúhání bátoṉ se muqábala karte haiṉ.

Kulussíoṉ 3:5 (URDR55)

Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai;

Yaʻqúb 4:2 (URDR55)

Tum ḳhwáhish karte ho, aur tumheṉ miltá nahíṉ: ḳhún aur hasad karte ho, aur kuchh hásil nahíṉ kar sakte; tum jhagaṛte aur laṛte ho; tumheṉ is liye nahíṉ miltá, ki máṉgte nahíṉ;

Yaʻqúb 1:15 (URDR55)

Phir ḳhwáhish hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab baṛh chuká to maut paidá kartá hai.

YAʻQÚB 1

; 14háṉ, har shaḳhs apní hí ḳhwáhishoṉ meṉ khiṉchkar aur phaṉskar ázmáyá játá hai.

17Har achchhí baḳhshish, aur har kámil inʻám úpar se hai, aur núroṉ ke Báp kí taraf se miltá hai, jis meṉ na koí tabdílí ho saktí hai, aur na gardish ke sabab us par sáya paṛtá hai. 18Us ne apní marzí se hameṉ kalám i haqq ke wasíle se paidá kiyá, táki us kí maḳhlúqát meṉ se ham ek tarah ke pahle phal hoṉ.

1 YÚHANNÁ 2

; 15Na dunyá se mahabbat rakkho, na un chízoṉ se jo dunyá meṉ haiṉ. Jo koí dunyá se mahabbat rakhtá hai, us meṉ Báp kí mahabbat nahíṉ. 16Kyúṉki jo kuchh dunyá meṉ hai, yaʻní jism kí ḳhwáhish, aur áṉkhoṉ kí ḳhwáhish, aur zindagí kí sheḳhí, wuh Báp kí taraf se nahíṉ, balki dunyá kí taraf se hai. 17Dunyá aur us kí ḳhwáhish donoṉ miṭtí játí haiṉ, lekin jo Ḳhudá kí marzí par chaltá hai, wuh abad tak qáim rahegá.

MATÍ 6

; 31Is liye fikrmand hokar yih na kaho, kí Ham kyá kháeṉge? yá kyá píeṉge? yá kyá pahineṉge? 32kyúṉki in sab chízoṉ kí talásh meṉ gairqaumeṉ rahtí haiṉ; aur tumhárá ásmání Báp jántá hai, ki tum in sab chízoṉ ke muhtáj ho; 33balki tum pahle us kí bádsháhat aur us kí rástbází kí talásh karo, to yih sab chízeṉ bhí tumheṉ mil jáeṉgí. 34Pas kal ke liye fikr na karo, kyúṉki kal ká din apne liye áp fikr kar legá. Áj ke liye áj hí ká dukh káfí hai.

1 TÍMUTHIYUS 6

;  6Háṉ, díndárí qanáʻat ke sáth baṛe nafaʻ ká zaríʻa hai; 7kyúṉki na ham dunyá meṉ kuchh láe, aur na kuchh us meṉ se le já sakte haiṉ; 8pas agar hamáre pás kháne pahinne ko hai, to usí par qanáʻat kareṉ. 9Lekin jo daulatmand honá cháhte haiṉ, wuh aisí ázmáish aur phande aur bahut sí behúda aur nuqsán pahuṉchánewálí ḳhwáhishoṉ meṉ phaṉste haiṉ, jo ádmíoṉ ko tabáhí aur halákat ke daryá meṉ garq kar detí haiṉ; 10kyúṉki rupaye ki mahabbat har qism kí buráí kí ek jaṛ hai; jis kí árzú meṉ baʻz ne ímán se gumráh hokar apne diloṉ ko tarah tarah ke gamoṉ se chhalní kar liyá.

11Magar, ai mard i Ḳhudá, tú in bátoṉ se bhág: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho. 12Ímán kí achchhí kushtí laṛ, us hamesha kí zindagí par qabza kar le jis ke liye tú buláyá gayá thá, aur bahut se gawáhoṉ ke sámne achchhá iqrár kiyá thá

 

IFISÍOṈ 2

1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the: — 4magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, 5jab qusúroṉ ke sabab murda hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí hai,) 6aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá; 7táki wuh apní us mihrbání se, jo Masíh Yisúʻ meṉ ham par hai, ánewále zamánoṉ meṉ apne fazl kí beniháyat daulat dikháe: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai:

9aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare.

 

2 TÍMUTHIYUS 2

; 22Jawání kí ḳhwáhishoṉ se bhág, aur jo pák dil ke sáth Ḳhudáwand se duʻá máṉgte haiṉ, un ke sáth rástbází, aur ímán, aur mahabbat, aur sulh ká tálib ho.

1 Kurinthíoṉ 6:18 (URDR55)

Harámkári se bhágo. Jitne gunáh ádmí kartá hai, wuh badan se báhar haiṉ; magar harámkár apne badan ká bhí gunahgár hai.

1 Thissaluníkíoṉ 4:3 (URDR55)

Chunáṉchi Ḳhudá kí marzí yih hai, ki tum pák bano, yaʻní harámkárí se bache raho;

1 Kurinthíoṉ 10:8 (URDR55)

Aur ham harámkárí na kareṉ, jis tarah un meṉ se baʻz ne kí, aur ek hí din meṉ teís hazár máre gaye.

1 Kurinthíoṉ 6:19 (URDR55)

Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká maqdis hai, jo tum meṉ basá húá hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai? aur tum apne nahíṉ;

20kyúṉki qímat se ḳharíde gaye ho: pas apne badan se Ḳhudá ká jalál záhir karo.


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...