Skip to main content

शरीरक कल्पनाओं ऊंची बात और भावना को मसीह का आज्ञाकारी बना देते हैं

 2 KURINTHÍOṈ 10

; 3Kyúṉki ham agarchi jism meṉ zindagí guzárte haiṉ, magar jism ke taur par laṛte nahíṉ; 4is liye ki hamári laṛáí ke hathyár jismání nahíṉ, balki Ḳhudá ke nazdík qilʻoṉ ke ḍhá dene ke qábil haiṉ; 5chunáṉchi ham tasawwurát, aur har ek úṉchí chíz ko jo Ḳhudá kí pahchán ke barḳhiláf sir uṭháe húe hai, ḍhá dete haiṉ, aur har ek ḳhayál ko qáid karke Masíh ká farmánbardár baná dete haiṉ;

Shalom masih yesu men aap saboh ki salamati

Ho

Aaj ko jo humara updesh hai or aaj ke updesh  ka vishwash hai

Wuh kalpana or  khwahish yani dili icha ke

Bare ye kaise humare ruhani zindghi men kaam karti hain

Ek ruhani shaks ki jo ladai hai wuh shrir yani laho or maas ki ladai nhi

Wuh hai ruhani kalam ki ladai hai jismani kalpna  ke

Sath

Or ruhani khwahish yani icha ki ladia hai

Jismani khwahish yani icha ke sath

Or ladayen ke maidan hain

Dil or dimaag

Agar ap men jismani icha hai

To ladai ka maidan hai dil

Agar jismani kalpana hai

Jo ki thoughts yani vicharo ke dwara

Ladta hai iblis

Yani shaitan

To ladai ka maida hai dimag

Or ye jismani icha

Or jismani kalpana

Apke vishwash

Ko ko hathyaar banate hain

Kalpana men

Or viswwash ko hathya bana kar apke khilaf hi istemal karte hain

Sachc or juth waha nhi hai asliay wahan nhi jo apko dikhai de rahi

Sachch or juth waha

Jo apko apni kalpnaon

Men or khyaal men bataya jar aha

Or batane wala kaun hai

Agar apke man ke jo khyal hain

Lagatar bure ho rahne hain

Kalpnayen to wuh jutha

Shaitan apke man men dala raha hai

Sapne ke jariye

Thoughts ke jariye

Yani vichar

Or apki kalpanyon ke wasile

To wuh juthi kalpnayen or khyaal

Apki zindghi men

Haqeeqat men kaise badalte hain

Apke hi vishwash ke dwara

Kyu usko patta hai

Ki aap iman wale log ho

Jo dil iman late hain or munh se iqrar karte

To jo usne apko juthi kalpnayen dikhai

Or vichar

Diye

Agar uska apne yqini taur par dil se qabool karke juban se

Iqrar kar liya to wuh iman men ho chukka

Or ye wuh karta hai

Khyaalon ke wasile kalpnaon ke wasile’

Sapno ke wasile

 

PAIDÁISH 6

; 5Aur Ḳhudáwand ne dekhá ki zamín par insán kí badí bahut baṛh gayí, aur us ke dil ke tasawwur aur ḳhayál sadá bure hí hote haiṉ. 6Tab Ḳhudáwand zamín par insán ke paidá karne se malúl húá aur dil meṉ g̣am kiyá.

PAIDÁISH 8

ki Insán ke sabab se maiṉ phir kabhí zamín ko la‘nat nahíṉ bhejúṉgá; kyúṉki insán ke dil ká ḳhayál laṛakpan se burá hai; aur na phir sab jándároṉ ko jaisá ab kiyá hai, márúṉgá. '

 

Paidáish 8:21

Or ye kiye kisne shaitan ne  iblish  ne

MATÍ 4

1Us waqt Rúh Yisúʻ ko jangal meṉ le gayí, táki Iblís se ázmáyá jáe.

 Iblisha yani jismani

Khyal

Jismani kalpnayen

Jismani

Vicharo se azamyaa jaye

Or ye ho kaha raha hai

Yeh ladai ho kaha raha hai

Ladai ka maidan

Hai dil

Or dimag

Dil men

Khwahish hai

Or

Dimag men kalpana

2Aur chálís din aur chálís rát fáqa karke, áḳhir ko use bhúk lagí. 3Aur ázmánewále ne pás ákar us se kahá, ki Agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to farmá ki yih patthar roṭiyáṉ ban jáeṉ. 4Us ne jawáb meṉ kahá; Likhá hai, ki Ádmí sirf rotí hí se jítá na rahegá, balki har bát sé, jo Ḳhudá ke muṉh se nikaltí hai. 5Tab Iblís use muqaddas shahr meṉ le gayá, aur haikal ke kangure par khaṛá karke us se kahá, ki 6Agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to apne taíṉ níche girá de; kyúṉki likhá hai, ki

Wuh terí bábat apne firishtoṉ ko hukm degá;

Aur wuh tujhe háthoṉ par uṭhá leṉge,

Aisá na ho, ki tere páṉw ko patthar ki ṭhes lage.

7Yisúʻ ne us se kahá; Yih bhí likhá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá ki ázmáish na kar. 8Phir Iblís use ek bahut úṉche paháṛ par le gayá, aur dunyá ki sárí badsháhateṉ aur un kí shán o shaukat use dikháí, 9aur us se kahá, ki Agar tú jhukkar mujhe sijḍa kare, to yih sab kuchh tujhe de dúṉgá. 10Yisúʻ ne us se kahá; Ai Shaitán, dúr ho, ḳyúṉki likhá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá ko sijda kar, aur sirf usi kí ʻibádat kar.

 

 

MATÍ 16

; 21Us waqt se Yisúʻ apne shágirdoṉ par záhir karne lagá, ki Mujhe zarúr hai, ki Yarúshalem ko jáúṉ, aur buzurgoṉ aur sardár káhinoṉ aur faqíhoṉ kí taraf se bahut dukh uṭháúṉ, aur qatl kiyá jáúṉ, aur tísre din jí uṭhúṉ. 22Is par Patras us ko alag le jákar use malámat karne lagá, ki Ai Ḳhudáwand, Ḳhudá na kare; yih tujh par hargiz nahíṉ hone ká. 23Us ne phirkar Patras se kahá; Ai Shaitán, mere sámne se dúr ho: tú mere liye ṭhokar ká báʻis hai; kyúṉki tú Ḳhudá kí bátoṉ ká nahíṉ, balki ádmíoṉ kí bátoṉ ká ḳhayál rakhtá hai. 24Us waqt Yisúʻ ne apne shágirdoṉ se kahá, ki Agar koí mere píchhe áná cháhe, to apní ḳhudí se inkár kare, aur apní salíb uṭháe aur mere píchhe ho le.

 

To yeh patras ke dwara shaitan uski kalpnao dwara khyaal dwara yesu

Ko malamat kar raha hai

3Aur Shaitán Yahúdáh meṉ samáyá, jo Iskariyotí kahlátá, aur un bárah meṉ shumár kiyá játá thá. 4Us ne jákar sardár káhinoṉ aur sipáhíoṉ ke sardároṉ se saláh kí, ki us ko kis tarah un ke hawále kare. 5Wuh ḳhush húe, aur use rupaye dene ká iqrár kiyá. 6Us ne mán liyá, aur mauqaʻ ḍhúṉḍhne lagá, ki use bagair hangáme ke un ke hawále kará de.

31Shamaʻún, Shamaʻún, dekh, Shaitán ne tum logoṉ ko máṉg liyá, táki gehúoṉ kí tarah phaṭke;

 

Yaha kya ho raha hai yesu ki kalpana men shaitan ne kya dala

Yesu ne apni kalpana men shaitan ke dwara

Gehon ki tarah  shagirdon ko phatkte hoye dekha

Or shaitan ne

Kalpna men dikhaya

'lekin maiṉ ne tere liye duʻá máṉgí, ki terá ímán játá na rahe: aur jab tú rujúʻ kare, to apne bháiyoṉ ko mazbút karná. '

 

Lúqá 22:32

YÚHANNÁ 13

; 26Yisúʻ ne jawáb diyá, ki Jise maiṉ nawála duboke de dúṉgá, wuhí hai. Phir us ne nawála ḍubóyá, aur leke Shamaʻún Iskariyotí ke beṭe Yahúdáh ko de diyá; 27aur is nawále ke baʻd Shaitán us meṉ samá gayá. Pas Yisúʻ ne us se kahá, ki Jo kuchh tú kartá hai, jald kar le.

YARMIYÁH 3

; 17Us waqt Yarúshalem Ḳhudáwand ká taḳht kahláegá; aur us meṉ, ya‘ní Yarúshalem meṉ, sab qaumeṉ Ḳhudáwand ke nám se jama‘ hoṉgí: aur wuh phir apne bure dil kí saḳhtí kí pairawí na kareṉge. 

 

ʻIbrá Níoṉ 3:12 (URDR55)

Ai bháiyo, ḳhabardár, tum meṉ se kisí ká aisá burá aur beímán dil na ho, jo zinda Ḳhudá se phir jáe:

 

7Pas jis tarah ki Rúhuʼl Quds farmátá hai,

Agar áj tum us kí áwáz suno,

8To apne diloṉ ko saḳht na karo, jis tarah ki gussa diláne ke waqt

Ázmáish ke din jangal meṉ kiyá thá;

9Jaháṉ tumháre bápdádá ne mujhe jáṉchá aur ázmáyá,

Aur chálís baras tak mere kám dekhe.

10Isí liye maiṉ us pusht se náráz húá,

Aur kahá, ki In ke dil hamesha gumráh hote rahte haiṉ;

Aur inhoṉ ne merí ráhoṉ ko nahíṉ pahcháná;

11Chunáṉchi maiṉ ne apne gazab meṉ qasam kháí,

Ki yih mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge.

'Ai bháiyo, ḳhabardár, tum meṉ se kisí ká aisá burá aur beímán dil na ho, jo zinda Ḳhudá se phir jáe: '

 

ʻIbrá Níoṉ 3:12

 

Hizqíel 38:10 (URDR55)

Ḳhudáwand Ḳhudá yúṉ farmátá hai, ki Us waqt yúṉ hogá, ki bahut se mazmún(jugti palain, niti,) tere dil meṉ áeṉge, aur tú ek burá mansúba báṉdhegá:

 

Lúqá 6:45 (URDR55)

Achchhá ádmí apne dil ke achchhe ḳhazáne se achchhí chízeṉ nikáltá hai, aur burá ádmí bure ḳhazáne se burí chízeṉ nikáltá hai; kyúṉki jo dil meṉ bhará hai, wuhí us ke muṉh par átá hai.

 

MATÍ 9

; 3Aur dekho, baʻz faqíhoṉ ne apne dil meṉ kahá; Yih kufr baktá hai. 4Yisúʻ ne un ke ḳhayál maʻlúm karke kahá, ki Tum kyúṉ apne diloṉ meṉ bure ḳhayál láte ho? 5Ásán kyá hai, yih kahná, ki Tere gunáh muʻáf húe, yá yih kahná, ki Uṭh aur chal phir? 6Lekin is liye ki tum ján lo, ki Ibn i Ádam ko zamín par gunáhoṉ ke muʻáf karne ká iḳhtiyár hai, (us ne maflúj se kahá;) Uṭh: apní chárpáí uṭhá, aur apne ghar chalá já. 7Wuh uṭhkar apne ghar chalá gayá.

HIZQÍEL 36

; 26Aur maiṉ tum ko nayá dil baḳhshúṉgá, aur nayí rúh tumháre bátin meṉ ḍálúṉgá, aur tumháre jism meṉ se saṉgín dil ko nikál ḍálúṉgá, aur goshtín dil tum ko ‘ináyat karúṉgá. 

Ab ye sangin dil konsa hai jis dil men bure khyaal hai

Jis dil par dus hukm likhe huye hain wuh dil ke khyaal or taswur yani kalpanaye aksar buri hi huti hain

Or wuh dil konsa hai jis dil 10 hukam likhhen huye hain jo apne dil men dus hukam rakhte hain

Or unka dil pathar ki thakiyan hain

Or unke hi dil jo baten or kalpanyen niklti hain wuh buri hoten hain unke hi lafz maut ke lafz hai unki hi juban narak men jalti rehti hai humesha

Or unki zuban men maut hai

2 KURINTHÍOṈ 3

; 2Hamárá jo ḳhatt hamáre diloṉ par likhá húá hai, wuh tum ho, aur use sab ádmí jánte aur paṛhte haiṉ: 3záhir hai, ki tum Masíh ká wuh ḳhatt ho, jo ham ne ḳhádimoṉ ke taur par likhá; siyáhí se nahíṉ, balki zinda Ḳhudá kí Rúh se; patthar kí taḳhtíoṉ par nahíṉ, balki gosht kí, yáʻní dil kí taḳhtíoṉ par. 4Ham Masíh kí maʻrifat Ḳhudá par aisá hí bharosá rakhte haiṉ: 5yih nahíṉ ki bazát i ḳhud ham is láiq haiṉ, ki apní taraf se kuchh ḳhayál bhí kar sakeṉ; balki hamárí liyáqat Ḳhudá kí taraf se hai; 6jis ne ham ko naye ʻahd ke ḳhádim hone ke láiq bhí kiyá: lafzoṉ ke ḳhádim nahíṉ, balki rúh ke; kyúṉki lafz már ḍálte haiṉ, magar rúh zinda kartí hai. 7Aur jab maut ká wuh ʻahd jis ke hurúf pattharoṉ par khode gaye the, aisá jalálwálá húá, ki baní Isráíl Músá ke chihre par, us jalál ke sabab se jo us ke chihre par thá, gaur se nazar na kar sake; háláṉki wuh ghaṭtá játá thá; 8to rúh ká ʻahd to zarúr hí jalálwálá hogá. 9Kyúṉki jab mujrim thahránewálá ʻahd jalálwálá thá, to rástbází ká ʻahd to zarúr hí jalálwálá hogá.

MARQUS 7

; 20Phir us ne kahá; Jo ádmí meṉ se nikaltá hai, wuhí ádmí ko nápák kartá hai. 21Kyúṉki andar se, yaʻni ádmí ke dil se, bure ḳhayál, harámkáríáṉ, 22choriyáṉ, ḳhúnrezíáṉ, zinákáríáṉ, lálach, badíáṉ, makr, shahwatparastí, badnazarí, badgoí, sheḳhí, bewuqúfí nikaltí hai; 23yih sab burí báteṉ andar se nikalkar ádmí ko nápák kartí haiṉ.

Ye kaunsa dil hai pathar ka dil

Jinke dil ki  takhti par wuh dus ahkam likhe hoye hain

Musa ki vivstha ‘

MATÍ 5

; 27Tum sun chuke ho ki kahá gayá thá, ki Ziná na kar; 28lekin maiṉ tum se yih kahtá húṉ, ki jis kisí ne burí ḳhwáhish se kisí ʻaurat par nigáh kí, wuh apne dil meṉ us ke sáth ziná kar chuká.

 

Yaʻqúb 1:15 (URDR55)

Phir ḳhwáhish hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab baṛh chuká to maut paidá kartá hai.

1 Yúhanná 2:16 (URDR55)

Kyúṉki jo kuchh dunyá meṉ hai, yaʻní jism kí ḳhwáhish, aur áṉkhoṉ kí ḳhwáhish, aur zindagí kí sheḳhí, wuh Báp kí taraf se nahíṉ, balki dunyá kí taraf se hai.

Kulussíoṉ 3:5 (URDR55)

Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai;

Yaʻqúb 4:2 (URDR55)

Tum ḳhwáhish karte ho, aur tumheṉ miltá nahíṉ: ḳhún aur hasad karte ho, aur kuchh hásil nahíṉ kar sakte; tum jhagaṛte aur laṛte ho; tumheṉ is liye nahíṉ miltá, ki máṉgte nahíṉ;

Yaʻqúb 1:14 (URDR55)

háṉ, har shaḳhs apní hí ḳhwáhishoṉ meṉ khiṉchkar aur phaṉskar ázmáyá játá hai

Yaʻqúb 4:1 (URDR55)

Tum meṉ laṛáiyáṉ aur jhagṛe kaháṉ se á gaye? Kyá un ḳhwáhishoṉ se nahíṉ, jo tumháre aʻzá meṉ fasád kartí haiṉ?

Marqus 4:24 (URDR55)

Phir us ne un se kahá; Ḳhabardár raho, ki kyá sunte ho; jis paimáne se tum nápte ho, usí se tumháre wáste nápá jáegá, aur tumheṉ ziyáda diyá jáegá.

Lúqá 8:18 (URDR55)

Pas ḳhabardár raho, ki tum kis tarah sunte ho: kyúṉki jis ke pás hai, use diyá jáegá; aur jis ke pás nahíṉ hai, us se wuh bhí le liyá jáegá jo apná samajhtá hai.

Ifisíoṉ 5:15 (URDR55)

Pas gaur se dekho, ki kis tarah chalte ho; nádánoṉ kí tarah nahíṉ, balki dánáoṉ kí mánind chalo;

Lúqá 11:35 (URDR55)

Pas dekhná, jo raushní tujh meṉ hai táríkí to nahíṉ.

1 Patras 3:10 (URDR55)

Chunáṉchi Jo koí zindagí se ḳhush honá, Aur achchhe din dekhná cháhe, Wuh zabán ko badí se, Aur hoṉṭhoṉ ko makr kí bát kahne se báz rakkhe:

AMSÁL 20

 ; 22Tú yih na kahná, ki Maiṉ badí ká badla lúṉgá;

Ḳhudáwand kí ás rakh, aur wuh tujhe bacháegá.

'aur ummed se sharmindagí hásil nahíṉ hotí, kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai. '

 

Romíoṉ 5:5

AMSÁL 4

 ; 23Apne dil kí ḳhúb hifázat kar;

Kyúṉki zindagí ká sarchashma wuhí hai.

 

1 Tímuthiyus 3:9 (URDR55)

aur ímán ke bhed ko pák dil meṉ hifázat se rakkheṉ.

Titus 1:15 (URDR55)

Pák logoṉ ke liye sab chízeṉ pák haiṉ; magar gunáhálúda aur beímán logoṉ ke líye kuchh bhí pák nahíṉ balki un kí ʻaql aur dil donoṉ gunáhálúda haiṉ.

1 Tímuthiyus 1:5 (URDR55)

Hukm ká maqsad yih hai, ki pák dil aur nek níyat aur beriyá ímán se mahabbat paidá ho.

Aʻmál 15:9 (URDR55)

aur ímán ke wasíle se un ke dil pák karke, ham meṉ aur un meṉ kuchh farq na rakkhá.

2 Tímuthiyus 2:22 (URDR55)

Jawání kí ḳhwáhishoṉ se bhág, aur jo pák dil ke sáth Ḳhudáwand se duʻá máṉgte haiṉ, un ke sáth rástbází, aur ímán, aur mahabbat, aur sulh ká tálib ho.

ʻIBRÁ NÍOṈ 6

 ; 4Kyúṉki jin logoṉ ke dil ek bár raushan ho gaye, aur wuh ásmání baḳhshish ká maza chakh chuke, aur Rúhuʼl Quds meṉ sharík ho gaye, 5aur Ḳhudá ke ʻumda kalám, aur áyanda jahán kí quwwatoṉ ká záiqa le chuke, 6agar wuh bargashta ho jáeṉ, to unheṉ tauba ke liye phir nayá banáná námumkin hai, is liye ki wuh Ḳhudá ke Beṭe ko apní taraf se dobára salíb dekar ʻalániya zalíl karte haiṉ. 

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...