Skip to main content

आज्ञा जो जीवन के लिये थी मेरे लिये मृत्यु का कारण ठहरी

Shalom masih yeshua men aap saboh ki salamati ho to aaj ka updesh shuru karne se pehle

1 KURINTHÍOṈ 2

; Jo chízeṉ na áṉkhoṉ ne dekhíṉ, na kánoṉ ne suníṉ,

Na ádmí ke dil meṉ áíṉ,

Wuh sab Ḳhudá ne apne mahabbat rakhnewáloṉ ke liye taiyár kar díṉ

10Lekin ham par Ḳhudá ne un ko Rúh ke wasíle se záhir kiyá: kyúṉki Rúh sárí báteṉ, balki Ḳhudá kí tah kí báteṉ bhí daryáft kar letí hai. 11Kyúṉki insánoṉ meṉ se kaun kisí insán kí báteṉ jántá hai, siwá insán kí apní rúh ke jo us meṉ hai? Isí tarah Ḳhudá kí Rúh ke siwá, koí Ḳhudá kí báteṉ nahíṉ jántá.

ḲHURÚJ 20

1Aur Ḳhudá ne yih sab báteṉ farmáíṉ, ki

2 Ḳhudáwand terá Ḳhudá, jo tujhe mulk i Misr se, aur g̣ulámí ke ghar se nikál láyá, maiṉ húṉ.

3Mere huzúr tú g̣airma‘búdoṉ ko na mánná.

4Tú apne liye koí taráshí húí múrat na banáná; na kisí chíz kí súrat banáná, jo úpar ásmán meṉ, yá níche zamín par, yá zamín ke níche pání meṉ hai. 5Tú un ke áge sijda na karná, aur na un kí ‘ibádat karná; kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand terá Ḳhudá g̣aiyúr Ḳhudá húṉ, aur jo mujh se ‘adáwat rakhte haiṉ, un kí aulád ko tísrí aur chauthí pusht tak bápdádá kí badkárí kí sazá detá húṉ,

 

Ab ibrani yani Hebrew bhasha ka pehla letter hai

Aleph

Vese to aleph silen hai iski koi pictography

Asal men

Lekin  aleph ka matlab matlab hai khuda

To jab aleph kaha ya likha jata hai

Ox ka kyu ki yahudi nishan chaten

बैल का सिर

Yaani ibrani men jab aleph shabad ko describe kiya jata hai

To bail ke sir ki shabi sath dikhai jati hai

Aleph ka mtlab

Or uski image jo dikhai jati hai wuh

Bail ka sir

Jab khuda to ruh hai

To uski image yani sabi

Bail ka sir kyu

Wuh khud to torah men hukam de raha hai

 

4Tú apne liye koí taráshí húí múrat na banáná; na kisí chíz kí súrat banáná, jo úpar ásmán meṉ, yá níche zamín par, yá zamín ke níche pání meṉ hai. 5Tú un ke áge sijda na karná, aur na un kí ‘ibádat karná;

To jab aleph likha jata hai yani khuda to uska nishan

Bail ka sir kyu uski image bail ka dir kyu

Khuda to ruh hai

Or ye image insan khuda ko di

Ye sabi insan khuda ko di

Or on insano ko bhi zahir kare ga mukashafa ka ruh sachchai ka ruh

Khuda to apni shabi insan men se zahir karta hai

To agar aleph ke sath koi pictography huni chahiye ya koi image ‘huni chahiye to insaan ki huni chahiye

PAIDÁISH 1

; 26Phir Ḳhudá ne kahá, ki Ham insán ko apní súrat par apní shabíh kí mánind banáeṉ;

Jo ki padaish is baat ki gawahi deti hai

Khuda ne to insan ko apni surat or apni shabih ki manin bnaya hai

To agar aleph khuda ko address karta hai

To  aleph ki jo pictography hai wuh insan

ISTISNÁ 9

;  16Aur maiṉ ne dekhá ki tum ne Ḳhudáwand apne Ḳhudá ká gunáh kiyá, aur apne liye ek bachhṛá ḍhálkar baná liyá hai, aur bahut jald us ráh se, jis ká hukm Ḳhudáwand ne tum ko diyá thá, bargashta ho gaye.

ḲHURÚJ 32

1Aur jab logoṉ

 ne dekhá, ki Músá ne paháṛ se utarne meṉ der lagáí, to wuh Hárún ke pás jama‘ hokar us se kahne lage, ki Uṭh, hamáre liye deotá baná de, jo hamáre áge áge chale; kyúṉki ham nahíṉ jánte ki is mard Músá ko, jo ham ko mulk i Misr se nikálkar láyá, kyá ho gayá. 2Hárún ne un se kahá, Tumhárí bíwiyoṉ aur laṛkoṉ, aur laṛkiyoṉ ke kánoṉ meṉ jo sone kí báliyáṉ haiṉ, un ko utárkar mere pás le áo. 3Chunáṉchi sab log un ke kánoṉ se sone kí báliyáṉ utár utárkar un ko Hárún ke pás le áe. 4Aur us ne un ko un ke háthoṉ se lekar ek ḍhálá húá bachhṛá banáyá, jis kí súrat chhení se ṭhík kí. Tab wuh kahne lage, Ai Isráíl, yihí tumhárá wuh deotá hai, jo tum ko mulk i Misr se nikálkar láyá. 5Yih dekhkar Hárún ne us ke áge ek qurbángáh banáí; aur us ne i‘lán kar diyá, ki Kal Ḳhudáwand ke liye ‘íd hogí.

To yahi wuh log jinho ne bachra banaya

Yahi wuh log hain yani  Israel ki bhede  yaqub ki nasalen

Yani 12 gutar 

Yani yahudi jinhon ne

Khuda ko yani aleph ki

Shabi ko ek bail ke sir ke sath

Sambodir kiya

Magar khuda ne apne aap ko insan ke sath sabodit kiya

 

 

Abh ek alpeh wuh hai jo huamara asmani pita hai

Humare masih yesu ka baap wuh aleph ek hi hia jisne zamin

O asmaan ko paida kiya

Ek aleph wuh hain jo bauht se hain

1 Tímuthiyus 2:5 (URDR55)

Kyúṉki Ḳhudá ek hai, aur Ḳhudá aur insánoṉ ke bích meṉ darmiyání bhí ek, yaʻní Masíh Yisúʻ jo insán hai;

 

 

To bauht se khuda  or khuwando ko zinkar karna

Hai

To aleph ke sath iski numerical value

hai 1000

Kyu ki alpeh hi ek hai

Or aleph hi hazar hain

1 KURINTHÍOṈ 8

; 5Agarchi ásmán o zamín meṉ bahút se ḳhudá kahláte haiṉ; (chunáṉchi bahutere ḳhudá aur bahutere ḳhudáwand haiṉ)

 

To ek aleph wuh kaun hai

1 KURINTHÍOṈ 8

; 6lekin hamáre nazdík to ek hí Ḳhudá hai, yaʻní Báp, jis kí taraf se sárí chízeṉ haiṉ, aur ham usí ke liye haiṉ; aur ek hí Ḳhudáwand hai, yaʻní Yisúʻ Masíh, jis ke wasíle se sárí chízeṉ maujúd húíṉ, aur ham bhí usí ke wasíle se haiṉ.

 

Jo humare asmani baap ko aleph ke sath kehna ya  bolna

Ho to uski numerical value hai

Or silen

Or koi pictography yani aleph ka koi nishan nhi  kyu ki khuda ruh hai

2 PATRAS 3

; 8Ai ʻazízo, yih ḳháss bát tum par poshída na rahe, ki Ḳhudáwand ke nazdík ek din hazár baras ke barábar hai, aur hazár baras ek din ke barábar.

Ye jo hazar or din ki baat ki gai hai

Wuh aleph ki baat ho rahi yani khuda ki

Ek or 1000

; 5Agarchi ásmán o zamín meṉ bahút se ḳhudá kahláte haiṉ; (chunáṉchi bahutere ḳhudá aur bahutere ḳhudáwand haiṉ)

Or ye ho kaha raha hai saleeb par yeshua masih ke sath

Yeshua masih ko zamin khuda or khudawand ghere hoye

Yani bauht aleph jiski pictography hai bail ka sir yani bauht se sand

 

 

ZABÚR 22

; 12Bahut se sáṉḍoṉ ne mujhe gher liyá hai:

 

Yani bauht se aleph yani 1000 hazar aleph

Bauht se sand aleph ko kiski pictography ke sath

Dikhaya jata hai bail ke sir

Yani sand

Bauht se sand yani bauht khuda or khudawand

Yani 1000 alpeh

 

Basan ke zoráwar sáṉḍ mujhe ghere húe haiṉ.

13Wuh pháṛne aur garajnewále babar kí tarah

Mujh par apná muṉh pasáre húe haiṉ.

 

 1 PATRAS 5

; 8Tum hoshyár aur bedár raho: tumhárá muḳhálif Iblís garajnewále sher i babar kí tarah ḍhúṉḍhtá phirtá hai, ki kis ko pháṛ kháe: 9tum ímán meṉ mazbút hokar, aur yih jánkar us ká muqábala karo, ki tumháre bháí jo dunyá meṉ haiṉ, aise hí dukh bhar rahe haiṉ.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...