Skip to main content

उत्पति बाइबिल की पहली किताब के नाम में से यीशु मसीह का प्रकाशन Bereshi...


 

                                               FAzl or sachchai se mamur kalisiya maish yeshua men aap saboh ki salamati ho

Aaj ka jo updesh hai jo bible ki pehli kitab hai jika naam hai utpat gensis

Padiash

Us kitab men se nhi us ke naam men se updesh yani ruh l quds ki madad se sikhne ja rahen

Bible ki pehle kitab hai jo

Usko ibrani men kehte hain  bereshit

Is naam men hare k word ka shabad lafz alphabet ka

Ek mtlab jo tasveer ke wasile zahir huta hai

Or hare k shabad ki numerical value hai

Pehle bet hai

Bible ki pehli kitab ke naam ka  ibrani men Hebrew men pehla shabad hai

Bêt

 Bet  ka matlab hai

Ghar

ʻIbrá Níoṉ 3

1Pas, ai pák bháiyo, tum jo ásmání buláwe meṉ sharík ho, us Rasúl aur Sardár Káhin Yisúʻ par gaur karo, jis ká ham iqrár karte haiṉ; 2jo apne muqarrar karnewále ke haqq meṉ diyánatdár thá, jis tarah ki Músá us ke sáre ghar meṉ thá. 3Kyúṉki wuh Músá se is qadr ziyáda ʻizzat ke láiq samjhá gayá, jis qadr ghar ká banánewálá ghar se ziyáda ʻizzatdár hotá hai. 4Chunáṉchi har ek ghar ká koí na koí banánewálá hotá hai, magar jis ne sab chízeṉ banáíṉ, wuh Ḳhudá hai. 5Músá to us ke sáre ghar meṉ ḳhádim kí tarah diyánatdár rahá, táki áyanda bayán honewálí bátoṉ kí gawáhí de; 6lekin Masíh beṭe kí tarah us ke ghar ká muḳhtár hai

 

Paidáish 1

1Ḳhudá ne ibtidá meṉ zamín o ásmán ko paidá kiyá.

 

Phir hai resh

Or uska nishan hai tasveer hai admi ka sir

Paidáish 1

; 27Aur Ḳhudá ne insán ko apní súrat par paidá kiyá, Ḳhudá ki súrat par us ko paidá kiyá; nar o nárí un ko paidá kiyá. 

26Phir Ḳhudá ne kahá, ki Ham insán ko apní súrat par apní shabíh kí mánind banáeṉ;

1 Kurinthíoṉ 11:3 (URDR55)

Pas maiṉ tumheṉ ágáh karná cháhtá húṉ, ki har mard ká sir Masíh  aur Masíh ká sir Ḳhudá hai.

 

 

Or panchwa shabad hai

Yud hai yud ka and hai 10

Or uska nishan hai bhada hua hath

Zabúr 118:16 (URDR55)

Ḳhudáwand ká dahiná háth baland húá hai; Ḳhudáwand ká dahiná háth diláwarí kartá hai.

Zabúr 139:10 (URDR55)

To waháṉ bhí terá háth merí rahnumáí karegá, Aur terá dahiná háth mujhe sambhálegá.

Zabúr 89:13 (URDR55)

Terá bázú qudratwálá hai: Terá háth qawí aur terá dahiná háth baland hai.

'tú mat ḍar, kyúṉki maiṉ tere sáth húṉ: hirásán na ho, kyúṉki maiṉ terá Ḳhudá húṉ: maiṉ tujhe zor baḳhshúṉgá: yaqínan maiṉ terí madad karúṉgá: aur maiṉ apní sadáqat ke dahine háth se tujhe sambhálúṉgá. '

 

Yasa‘iyáh 41:10

ʻIbrá Níoṉ 10

; Yisúʻ Masíh ke jism ke ek hí bár qurbán hone ke wasíle se pák kiye gaye haiṉ. 11Aur har ek káhin to khaṛe hokar har roz ʻibádat kartá hai, aur ek hí tarah kí qurbáníáṉ bár bár guzrántá hai, jo hargiz gunáhoṉ ko dúr nahíṉ kar saktíṉ: 12lekin yih shaḳhs hamesha ke liye gunáhoṉ ke wáste ek hí qurbání guzránkar, Ḳhudá kí dahiní taraf já baiṭhá

Romíoṉ 8

; 34kaun hai jo mujrim ṭhahráegá? Masíh Yisúʻ wuh hai jo mar gayá, balki murdoṉ meṉ se jí bhí uṭhá, aur Ḳhudá kí dahiní taraf hai, aur hamárí shafáʻat bhí kartá hai.

 1 Patras 3

; 22wuh ásmán par jákar Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá hai; aur firishte aur iḳhtiyárát aur qudrateṉ us ke tábiʻ kí gayí haiṉ.

ʻIbrá Níoṉ 1

; 2is zamáne ke áḳhir meṉ ham se Beṭe kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízoṉ ká wáris ṭhahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízoṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáhoṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já baiṭhá;

Aʻmál 7

; 54Jab unhoṉ ne yih báteṉ suníṉ to jí meṉ jal gaye, aur us par dáṉt písne lage. 55Magar us ne Rúhuʼl Quds se maʻmúr hokar, ásmán kí taraf gaur se nazar kí, aur Ḳhudá ká jalál, aur Yisúʻ ko Ḳhudá kí dahiní taraf khaṛá dekhkar 56kahá, ki Dekho, maiṉ ásmán ko khulá húá, aur Ibn i Ádam ko Ḳhudá kí dahiní taraf khaṛá dekhtá húṉ. 

Aʻmál 2

; 31us ne peshíngoí ke taur par Masíh ke jí uṭhne ká zikr kiyá, ki na wuh ʻálam i arwáh meṉ chhoṛá gayá, na us ke jism ke saṛne kí naubat pahuṉchí. 32Isí Yisúʻ ko Ḳhudá ne jiláyá, jis ke ham sab gawáh haiṉ. 33Pas Ḳhudá ke dahine háth se sarbaland hokar, aur Báp se wuh Rúhuʼl Quds hásil karke, jis ká waʻda kiyá gayá thá, us ne yih názil kiyá, jo tum dekhte aur sunte ho. 

Or chatta or akhri shabad hai tav jo salib ka nishan hai

 Galatíoṉ 3

; 13Masíh jo hamáre liye laʻnatí baná, us ne hameṉ mol lekar sharíʻat kí laʻnat se chhuṛáyá: kyúṉki likhá hai, ki Jo koí lakṛí par laṭkáyá gayá, wuh laʻnatí hai: 14táki Masíh Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.

Aʻmál 2

; 36Pas Isráíl ká sárá gharáná yaqín ján le, ki Ḳhudá ne usí Yisúʻ ko jise tum ne salíb dí, Ḳhudáwand bhí kiyá aur Masíh bhí.

1 Kurinthíoṉ 1

; 18Kyúṉki salíb ká paigám halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík Ḳhudá kí qudrat hai.

 

Tazub or hairanagi ki baat ye hai

Ki

Bereshit ke ibrani shabad  6 hain

27Aur Ḳhudá ne insán ko apní súrat par paidá kiyá, Ḳhudá ki súrat par us ko paidá kiyá; nar o nárí un ko paidá kiyá.

Paidáish 1

; 31Aur Ḳhudá ne sab par, jo us ne banáyá thá, nazar kí, aur dekhá, ki bahut achchhá hai. Aur shám húí aur subh húí. So chhaṭá din húá.

'Chha din kám káj karná, lekin sátweṉ din árám karná; hal jotne aur fasl káṭne ke mausim meṉ bhí árám karná. '

 

Ḳhurúj 34:21

ʻIbrá Níoṉ 4

;  10Kyúṉki jo us ke árám meṉ dáḳhil húá, us ne bhí Ḳhudá kí tarah apne kámoṉ ko púrá karke árám kiyá. 

ʻIbrá Níoṉ 4

; 3Aur ham jo ímán láe, us árám meṉ dáḳhil hote haiṉ

Wá‘iz 3

1Har chíz ká ek mauqa‘, aur har kám ká, jo ásmán ke níche hotá hai, ek waqt hai.

2 Kurinthíoṉ 6:2 (URDR55)

kyúṉki wuh kahtá hai, ki Maiṉ ne qubúlíyat ke waqt terí sun lí, Aur naját ke din terí madad kí: dekho, ab qubúlíyat ká waqt hai; dekho, yih naját ká din hai:

Romíoṉ 10:9 (URDR55)

ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá.

Romíoṉ 10:10 (URDR55)

Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.

Paidáish 2

1So ásmán aur zamín aur un ke kull lashkar ká banáná ḳhatm húá. 2Aur Ḳhudá ne apne kám ko, jise wuh kartá thá sátweṉ din ḳhatm kiyá, aur apne sáre kám se jise wuh kar rahá thá sátweṉ din fárig̣ húá. 3Aur Ḳhudá ne sátweṉ din ko barakat dí, aur use muqaddas ṭhahráyá; kyúṉki us meṉ Ḳhudá sárí káinát se jise us ne paidá kiyá aur banáyá fárig̣ húá.

 

'Tum kitáb i muqaddas meṉ ḍhúṉḍhte ho; kyúṉki samajhte ho ki us meṉ hamesha kí zindagí tumheṉ miltí hai; aur yih wuh hai, jo merí gawáhí deti hai; '

 

Yúhanná 5:39

Lúqá 24

; 13Aur dekho, usí din un meṉ se do ádmí us gaṉw kí taraf já rahe the, jis ká nám Immáús hai; wuh Yarúshalem se koí sát míl ke fásile par hai. 14Aur wuh in sab bátoṉ kí bábat, jo wáqiʻ húí thíṉ, ápas meṉ bátchít karte játe the. 15Jab wuh bátchít aur púchhpáchh kar rahe the, to aisá húá ki Yisúʻ áp nazdík ákar un ke sáth ho liyá. 16Lekin un kí áṉkheṉ band kí gayí thíṉ, ki us ko na pahcháneṉ. 17Us ne un se kahá; Yih kyá báteṉ haiṉ, jo tum chalte chalte ápas meṉ karte ho? Wuh gamgín se khaṛe ho gaye. 18Phir ek ne jis ká nám Kliyupás thá, jawáb meṉ us se kahá; Kyá tú Yarúshalem meṉ akelá musáfir hai jo nahíṉ jántá, ki in dinoṉ us meṉ kyá kyá húá hai? 19Usne un se kahá; Kyá húá hai? Unhoṉ ne us se kahá; Yisúʻ Násarí ká májará, jo Ḳhudá aur sárí ummat ke nazdík kám aur kalám meṉ qudratwálá nabí thá; 20aur sardár káhinoṉ aur hamáre hákimoṉ ne us ko pakaṛwá diyá, táki us par qatl ká hukm diyá jae; aur use salíb diláí; 21lekin ham ko ummed thí, ki Isráíl ko maḳhlasí yihí degá. Aur ʻaláwa in sab bátoṉ ke, is májare ko áj tísrá din ho gayá; 22aur ham meṉ se chand ʻauratoṉ ne bhí ham ko hairán kar diyá hai, jo sawere hí qabr par gayí thíṉ: 23aur jab us kí lásh na páí, to yih kahtí húí áíṉ, ki Ham ne royá meṉ firishtoṉ ko bhí dekhá: unhoṉ ne kahá, ki wuh zinda hai. 24Aur baʻz hamáre sáthiyoṉ meṉ se qabr par gaye, aur jaisá ʻauratoṉ ne kahá thá, waisá hí páyá, magar us ko na dekhá. 25Us ne un se kahá, ki Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 26Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá? 27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ

 

Lúqá 24

; 44Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí. 48Tum in bátoṉ ke gawáh ho. 49Aur dekho, jis ká mere Báp ne waʻda kiyá hai, maiṉ us ko tum par názil karúṉgá; lekin, jab tak ʻálam i bálá par se tum ko quwwat ká libás na mile, is shahr meṉ ṭhahre raho.

 

1 Kurinthíoṉ 15

 3Chunáṉchi maiṉ ne sab se pahle tum ko wuhí bát pahuṉchá dí, jo mujhe pahuṉchí thí, ki Masíh kitáb i muqaddas ke bamújib hamáre gunáhoṉ ke liye múá; 4aur dafn húá; aur tísre din kitáb i muqaddas ke bamújib jí uṭhá; 5aur Kefá ko, aur us ke baʻd un bárah ko dikháí diyá; 6phir páṉch sau se ziyáda bháiyoṉ ko ek sáth dikháí diyá, jin meṉ se aksar ab tak maujúd haiṉ, aur baʻz so gaye; 7phir Yaʻqúb ko dikháí diyá; phir sáre rasúloṉ ko; 8aur sab se píchhe mujh ko, jo goyá adhúre dinoṉ kí paidáish húṉ, dikháí diyá.

 

1 Kurinthíoṉ 1

; 18Kyúṉki salíb ká paigám halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík Ḳhudá kí qudrat hai.

 Kulussíoṉ 1

; 15wuh andekhe Ḳhudá kí súrat aur tamám maḳhlúqát se pahle maulúd hai; 16kyúṉki usí meṉ sárí chízeṉ paidá kí gayíṉ, ásmán kí hoṉ, yá zamín kí, dekhí hoṉ, yá andekhí, taḳht hoṉ, yá riyásateṉ, yá hukúmateṉ, yá iḳhtiyárát; sárí chízeṉ usí ke wasíle se, aur usí ke wáste paidá húí haiṉ; 17aur wuh sab chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí chízeṉ qáim rahtí haiṉ. 18Aur wuhí badan, yaʻní kalísiyá, ká sir hai; wuhí mabdá hai, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ meṉ pahlauṭhá, táki sab bátoṉ meṉ us ká awwal darja ho; 19kyúṉki Báp ko yih pasand áyá, ki sárí maʻmúrí usí meṉ sukúnat kare; 20aur us ke ḳhún ke sabab jo salíb par bahá sulh karke, sab chízoṉ ká usí ke wasíle se apne sáth mel kar le, ḳhwáh wuh zamín kí hoṉ, ḳhwáh ásmán kí.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...