Skip to main content

देह व्यभिचार के लिये नहीं प्रभु के लिये और प्रभु देह के लिये है।

1 Kurinthíoṉ 6

;  Magar badan harámkárí ke liye nahíṉ, balki Ḳhudáwand ke liye hai, aur Ḳhudáwand badan ke liye:

Paidáish 39

 

 ; Aur Yúsuf ḳhúbsúrat aur hasín thá. 7In bátoṉ ke ba‘d yúṉ húá, ki us ke áqá kí bíwí kí áṉkh Yúsuf par lagí, aur us ne us se kahá, ki Mere sáth hambistar ho. 8Lekin us ne inkár kiyá, aur apne áqá kí bíwí se kahá, ki Dekh, mere áqá ko ḳhabar bhí nahíṉ, ki is ghar meṉ mere pás kyá kyá hai, aur us ne apná sab kuchh mere háth meṉ chhoṛ diyá hai. 9Is ghar meṉ mujh se baṛá koí nahíṉ: aur us ne, tere siwá, koí chíz mujh se báz nahíṉ rakkhí, kyúṉki tú us kí bíwí hai; so bhalá, maiṉ kyúṉ aisí baṛí badí karúṉ, aur Ḳhudá ká gunahgár banúṉ? 10Aur wuh harchand roz Yúsuf ke sir hotí rahí, par us ne us kí bát na mání ki us se hambistar hone ke liye us ke sáth leṭe. 11Aur ek din yúṉ húá, ki wuh apná kám karne ke liye ghar meṉ gayá; aur ghar ke ádmíoṉ meṉ se koí bhí andar na thá. 12Tab us ‘aurat ne us ká pairáhan pakaṛkar kahá, ki Mere sáth hambistar ho. Wuh apná pairáhan us ke háth meṉ chhoṛkar bhágá, aur báhar nikal gayá.

1 Kurinthíoṉ 6:18 (URDR55)

Harámkári se bhágo. Jitne gunáh ádmí kartá hai, wuh badan se báhar haiṉ; magar harámkár apne badan ká bhí gunahgár hai.

1 Thissaluníkíoṉ 4:3 (URDR55)

Chunáṉchi Ḳhudá kí marzí yih hai, ki tum pák bano, yaʻní harámkárí se bache raho;

1 Kurinthíoṉ 10:8 (URDR55)

Aur ham harámkárí na kareṉ, jis tarah un meṉ se baʻz ne kí, aur ek hí din meṉ teís hazár máre gaye.

Paidáish 39

1Aur Yúsuf ko Misr meṉ láe, aur Fútífár Misrí ne, jo Fir‘aun ká ek hákim aur jilaudároṉ ká sardár thá, us ko Ismá‘ílíoṉ ke háth se, jo use waháṉ le gaye the, ḳharíd liyá. 

 

Quzát 16

; 3Aur Samsún ádhí rát tak leṭá rahá, aur ádhí rát ko uṭhkar shahr ke pháṭak ke donoṉ palloṉ aur donoṉ bázúoṉ ko pakaṛkar beṉḍe samet ukkáṛ liyá, aur un ko apne kandhoṉ par rakhkar us paháṛ kí choṭí par jo Habrún ke sámne hai le gayá.

4Is ke ba‘d Súriq kí wádí meṉ ek ‘aurat se jis ká nám Dalílah thá, use ‘ishq ho gayá. 5Aur Filistíoṉ ke sardároṉ ne us ‘aurat ke pás jákar us se kahá, ki Tú use phuslákar daryáft kar le, ki us kí shahzorí ká bhed kyá hai, aur ham kyúṉkar us par g̣álib áeṉ, táki ham use báṉdhkar us ko azíyat pahuṉcháeṉ: aur ham meṉ se har ek gyárah sau chándí ke sikke tujhe degá. 6Tab Dalílah ne Samsún se kahá, ki Mujhe to batá de, ki terí shahzorí ká bhed kyá hai aur tujhe azíyat pahuṉcháne ke liye kis chíz se tujhe báṉdhná cháhiye? 7Samsún ne us se kahá, ki Agar wuh mujh ko sát harí harí bedoṉ se jo sukháí na gayí hoṉ báṉdheṉ, to maiṉ kamzor hokar âur ádmíoṉ kí tarah ho jáúṉgá. 8Tab Filistíoṉ ke sardár sát harí harí bedeṉ jo sukháí nahíṉ gayí thíṉ us ‘aurat ke pás le áe, aur us ne Samsún ko un se báṉdhá. 9Aur us ‘aurat ne kuchh ádmí andar kí koṭhr meṉ ghát meṉ biṭhá liye the, so us ne Samsún se kahá, ki Ai Samsún, Filistí tujh par chaṛh áe! Tab ne un bedoṉ ko aisá toṛá, jaise san ká sút ág páte hí ṭúṭ játá hai. So us kí táqat ká bhed na khulá. 10Tab Dalílah ne Samsún se kahá, Dekh, tú ne mujhe dhoká diyá, aur mujh se jhúṭh bolá. Ab to zará mujh ko batá de, ki tú kis chíz se báṉdhá jáe. 11Us ne us se kahá, Agar wuh mujhe nayí nayí rassiyoṉ se jo kabhí kám meṉ na áí hoṉ báṉdheṉ, to maiṉ kamzor hokar âur ádmíoṉ kí tarah ho jáúṉgá. 12Tab Dalílah ne nayí rassiyáṉ lekar us ko un se báṉdhá, aur us se kahá, Ai Samsún, Filistí tujh par chaṛh áe! Aur ghátwále andar kí koṭhrí meṉ ṭhahre hí húe the. Tab us ne apne bázúoṉ par se dháge kí tarah un ko toṛ ḍálá. 13So Dalílah Samsún se kahne lagí, Ab tak tú ne mujhe dhoká hí diyá, aur mujh se jhúṭh bolá. Ab to batá de, ki tú kis chíz se baṉdh saktá hai? Us ne use kahá, Agar tú mere sir kí sátoṉ laṭeṉ táne ke sáth bun de. 14Tab us ne khúṉṭe se use kaskar báṉdh diyá, aur us se kahá, Ai Samsún, Filistí tujh par chaṛh áe! Tab wuh níṉd se jág uṭhá, aur ballí ke khúṉṭe ko táne ke sáth ukháṛ ḍálá. 15Phir wuh us se kahne lagí, Tú kyúṉkar kah saktá hai, ki Maiṉ tujhe cháhtá húṉ, jab ki terá dil mujh se lagá nahíṉ? Tú ne tínoṉ bár mujhe dhoká hí diyá, aur na batáyá, ki terí shahzorí ká bhed kyá hai. 16Jab wuh use roz apní bátoṉ se tang aur majbúr karne lagí, yaháṉ tak ki us ká dam nák meṉ á gayá; 17to us ne apná dil kholkar use batá diyá, ki Mere sir par ustura nahíṉ phirá hai, is liye ki maiṉ apní máṉ ke peṭ hí se Ḳhudá ká nazír húṉ: so agar merá sir múṉḍá jáe, to merá zor mujh se játá rahegá, aur maiṉ kamzor hokar âur ádmíoṉ kí tarah ho jáúṉgá. 18Jab Dalílah ne dekhá, ki us ne dil kholkar sab kuchh batá diyá, to us ne Filistíoṉ ke sardároṉ ko kahlá bhejá, ki Is bár âur áo, kyúṉki us ne dil kholkar mujhe sab kuchh batá diyá hai. Tab Filistíoṉ ke sardár us ke pás áe, aur rupaye apne háth meṉ lete áe. 19Tab us ne use apne zánúoṉ par sulá liyá, aur ek ádmí ko bulwákar sátoṉ laṭeṉ jo us ke sir par thíṉ muṉḍwá ḍálíṉ; aur use azíyat dene lagí, aur us ká zor us se játá rahá. 20Phir us ne kahá, Ai Samsún, Filistí tujh par chaṛh áe! Aur wuh níṉd se jágá; aur kahne lagá, ki Maiṉ âur daf‘a kí tarah báhar jákar apne ko jhaṭkúṉgá; lekin use ḳhabar na thí, ki Ḳhudáwand us se alag ho gayá hai. 21Tab Filistíoṉ ne use pakaṛkar us kí áṉkheṉ nikál ḍálíṉ, aur use G̣azzah meṉ le áe, aur pítal kí beṛiyoṉ se use jakṛá; aur wuh qaidḳháne meṉ chakkí písá kartá thá

Quzát 16

; 28Tab Samsún ne Ḳhudáwand se faryád kí, aur kahá, Ai Málik Ḳhudáwand, maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki mujhe yád kar; aur maiṉ terí minnat kartá húṉ, ai Ḳhudá, faqat is daf‘a âur tú mujhe zor baḳhsh, táki maiṉ yakbáragí Filistíoṉ se apní donoṉ áṉkhoṉ ká badla lúṉ. 29Aur Samsún ne donoṉ darmiyání sutúnoṉ ko, jin par ghar qáim thá, pakaṛkar ek par dahine háth se aur dúsre par báeṉ se zor lagáyá. 30Aur Samsún kahne lagá, ki Filistíon ke sáth mujhe bhí marná hí hai. So wuh apne sáre zor se jhuká, aur wuh ghar un sardároṉ aur sab logoṉ par jo us meṉ the gir paṛá. Pas wuh murde jin ko us ne apne marte dam márá un se bhí ziyáda the jin ko us ne jíte jí qatl kiyá. 31Tab us ke bháí aur us ke báp ká sárá gharáná áyá, aur wuh use uṭhákar le gaye, 

 

2 Samúel 11

; 2Aur shám ke waqt Dáúd apne palang par se uṭhkar bádsháhí mahall kí chhat par ṭahalne lagá: aur chhat par se us ne ek ‘aurat ko dekhá jo nahá rahí thí; aur wuh ‘aurat niháyat ḳhúbsúrat thí. 3Tab Dáúd ne log bhejkar us ‘aurat ká hál daryáft kiyá: aur kisí ne kahá, Kyá wuh Ili‘ám kí beṭí Batsaba‘ nahíṉ jo Hittí Úriyáh kí bíwí hai? 4Aur Dáúd ne log bhejkar use bulá liyá; wuh us ke pás áí, aur us ne us se suhbat kí, kyúṉki wuh apní nápákí se pák ho chukí thí: phir wuh apne ghar ko chalí gayí. 5Aur wuh ‘aurat hámila ho gayí; so us ne Dáúd ke pás ḳhabar bhejí, ki Maiṉ hámila húṉ. 6Aur Dáúd ne Yoáb ko kahlá bhejá, ki Hittí Úriyáh ko mere pás bhej de: so Yoáb ne Úriyáh ko Dáúd ke pás bhej diyá. 7Aur jab Úriyáh áyá, to Dáúd ne púchhá, ki Yoáb kaisá hai, aur logoṉ ká kyá hál hai, aur jang kaisí ho rahí hai? 8Phir Dáúd ne Úriyáh se kahá, ki Apne ghar já, aur apne páṉw dho. Aur Úriyáh bádsháh ke mahall se niklá, aur bádsháh kí taraf se us ke píchhe píchhe ek ḳhwán bhejá gayá. 9Par Úriyáh bádsháh ke ghar ke ástáne par apne málik ke âur sab ḳhádimoṉ ke sáth soyá, aur apne ghar na gayá. 10Aur jab unhoṉ ne Dáúd ko yih batáyá, ki Úriyáh apne ghar nahíṉ gayá, to Dáúd ne Úriyáh se kahá, Kyá tú safar se nahíṉ áyá? pas tú apne ghar kyúṉ na gayá? 11Úriyáh ne Dáúd se kahá, ki Sandúq, aur Isráíl, aur Yahúdáh jhoṉpṛiyoṉ meṉ rahte haiṉ; aur merá málik Yoáb, aur mere málik ke ḳhádim khule maidán meṉ ḍere ḍále húe haiṉ; to kyá maiṉ apne ghar jáúṉ, aur kháúṉ píúṉ, aur apní bíwí ke sáth soúṉ? terí hayát aur terí ján kí qasam, mujh se yih bát na hogí. 12Phir Dáúd ne Úriyáh se kahá, ki Áj bhí tú yahíṉ rah já; kal maiṉ tujhe rawána kar dúṉgá. So Úriyáh us din aur dúsre din bhí Yarúshalem meṉ rahá. 13Aur jab Dáúd ne use buláyá, to us ne us ke huzúr kháyá píyá; aur us ne use pilákar matwálá kiyá: aur shám ko wuh báhar jákar apne málik ke âur ḳhádimoṉ ke sáth apne bistar par so rahá, par apne ghar meṉ na gayá. 14Subh ko Dáúd ne Yoáb ke liye ek ḳhatt likhá, aur use Úriyáh ke háth bhejá. 15Aur us ne ḳhatt meṉ yih likhá, ki Úriyáh ko ghumsán meṉ sab se áge rakhná, aur tum us ke pás se haṭ jáná, táki wuh márá jáe, aur ján bahaqq ho. 16Aur yúṉ húá, ki jab Yoáb ne us shahr ká muláhaza kar liyá, to us ne Úriyáh ko aisí jagah rakkhá, jaháṉ wuh jántá thá, ki bahádur mard haiṉ. 17Aur us shahr ko log nikle, aur Yoáb se laṛe, aur waháṉ Dáúd ke ḳhádimoṉ meṉ se thoṛe se log kám áe, aur Hittí Úriyáh bhí mar gayá.

 26Jab Úriyáh kí bíwí ne suná, ki us ká shauhar Úriyáh mar gayá, to wuh apne shauhar ke liye mátam karne lagí. 27Aur jab sog ke din guzar gaye, to Dáúd ne use bulwákar us ko apne mahall meṉ rakh liyá, aur wuh us kí bíwí ho gayí, aur us se us ke ek laṛká húá. Par us kám se jise Dáúd ne kiyá thá, Ḳhudáwand náráz húá.

Ab is haramkari ka natija kya nikla

2 Samúel 12

; 7 Ḳhudáwand Isráíl ká Ḳhudá yúṉ farmátá hai, ki Maiṉ ne tujhe masah karke Isráíl ká bádsháh banáyá, aur maiṉ ne tujhe Sáúl ke háth se chhuṛáyá; 8aur maiṉ ne tere áqá ká ghar tujhe diyá, aur tere áqá kí bíwiyáṉ terí god meṉ kar díṉ, aur Isráíl aur Yahúdáh ká gharáná tujh ko diyá; aur agar yih sab kuchh thoṛá thá, to maiṉ tujh ko âur âur chízeṉ bhí detá. 9So tú ne kyúṉ Ḳhudáwand kí bát kí tahqír karke us ke huzúr badí kí? tú ne Hittí Úriyáh ko talwár se márá, aur us kí bíwí le lí, táki wuh terí bíwí bane, aur us ko baní ‘Ammon kí talwár se qatl karwáyá. 10So ab tere ghar se talwár kabhí alag na hogí, kyúṉki tú ne mujhe haqír jáná, aur Hittí Úriyáh kí bíwí le lí, táki wuh terí bíwí ho. 11So Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Dekh, maiṉ sharr ko tere hí ghar se tere ḳhiláf uṭháúṉgá, aur maiṉ terí bíwiyoṉ ko lekar terí áṉkhoṉ ke sámne tere hamsáye ko dúṉgá, aur wuh din daháṛe terí bíwiyoṉ se suhbat karegá. 12Kyúṉki tú ne to chhipkar yih kiyá: par maiṉ sáre Isráíl ke rúbarú din daháṛe yih karúṉgá. 13Tab Dáúd ne Nátan se kahá, Maiṉ ne Ḳhudáwand ká gunáh kiyá. Nátan ne Dáúd se kahá, ki Ḳhudáwand ne bhí terá gunáh baḳhshá, tú maregá nahíṉ. 14Taubhí, chúṉki tú ne is kám se Ḳhudáwand ke dushmanoṉ ko kufr bakne ká baṛá mauqa‘ diyá hai, is liye wuh laṛká bhí jo tujh se paidá hogá, mar jáegá.

Humen jo badan mila hai or hum jo khun ki keemat se kharide gaye

Ye badan khuda ka jalal zahir karne ke liye mila hai

Badan jo hai wuh waqt ke adhin hai

Yani agar badan mila hai yani jitney waqt tak hum men badan hai

Utna hi humare paas khuda ka jalal zahir karne ke liye waqt hai

1 Kurinthíoṉ 6

; 19Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká maqdis hai, jo tum meṉ basá húá hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai? aur tum apne nahíṉ; 20kyúṉki qímat se ḳharíde gaye ho: pas apne badan se Ḳhudá ká jalál záhir karo.

Or humare badan men ang hain aza hai yani indriyan hain

Romíoṉ 6

; 10Kyúṉki Masíh jo múá, gunáh ke iʻtibár se ek bár múá: magar ab jo jitá hai, Ḳhudá ke iʻtibár se jítá hai. 11Isí tarah tum bhí apne áp ko gunáh ke iʻtibár se murda, magar Ḳhudá ke iʻtibár se Masíh Yisúʻ meṉ zinda samjho. 12Pas gunáh tumháre fání badan meṉ bádsháhí na kare, ki tum us kí ḳhwáhishoṉ ke tábiʻ raho. 13Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo, aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo. 1

Matí 5

; 27Tum sun chuke ho ki kahá gayá thá, ki Ziná na kar; 28lekin maiṉ tum se yih kahtá húṉ, ki jis kisí ne burí ḳhwáhish se kisí ʻaurat par nigáh kí, wuh apne dil meṉ us ke sáth ziná kar chuká. 

Apni kalpnayon apni niyat men apne irado men


Amsál 6

; 12Ḳhabís o badkár ádmí

Ṭeṛhí tirchhí zabán liye phirtá hai;

13Wuh áṉkh mártá hai, wuh páṉwoṉ se báteṉ,

Aur ungliyoṉ se ishára kartá hai;

14Us ke dil meṉ kají hai, wuh buráí ke mansúbe báṉdhtá rahtá hai;

Wuh fitnaangez hai.

15Is liye áfat us par nágahán á paṛegí;

 

Galatíoṉ 6

; 8Jo koi apne jism ke liye botá hai, wuh jism se halákat kí fasl káṭegá; aur jo Rúh ke liye botá hai, wuh Rúh se hamesha kí zindagí kí fasl káṭegá.


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...