Skip to main content

पृथ्वी के सब प्रकार के चौपाए और रेंगने वाले जन्तु और आकाश के पक्षी थे

Paidáish 1

1Ḳhudá ne ibtidá meṉ zamín o ásmán ko paidá kiyá.

'Aur Ḳhudá ne un ko barakat dí, aur kahá, ki Phalo, aur baṛho, aur zamín ko ma‘múr o mahkúm karo: aur samundar kí machhliyoṉ, aur hawá ke parandoṉ, aur kull jánwaroṉ par jo zamín par chalte haiṉ, iḳhtiyár rakkho. '

 

Khudwand inke jariye kuch logo ke bare men baat kar rahne

Jis baat ka kholasa

Agar aap akhri tak is kalam ko sunne men

Bane rahen ge  to samjh jaye ge

Jiska khulasa ruh l quds men patras par kiya jata hai

To is kalam ke sath bête ki marifir hai

Or baap ke marfit hai

Or ruh l quds ke wasile se mukashafa

Ki ruh ki marfit masih yeshua ke fazal or sachchai

Ki marfit iman walon ke liye pauhncha

Fazl or sachchai se mamur kalsiya aap saboh ki salamati ho

Shalom

Ahbár 11

Ahbár 11

1Phir Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún se kahá,

 

 ; 13Aur parandoṉ meṉ, jo makrúh hone ke sabab se kabhí kháe na jáeṉ, aur jin se tumheṉ karáhiyat karní hai, so yih haiṉ: ‘uqáb aur ustuḳhánḳhor aur lagaṛ, 14aur chíl, aur har qism ká báz, 15aur har qism ke kauwe, 16aur shuturmurg̣, aur chug̣ad, aur kokil, aur har qism ke sháhín, 17aur búm, aur haṛgílá, aur ullú, 18aur qáz, aur hawásil, aur giddh, 19aur laqlaq, aur sab qism ke bagle aur hudhud, aur chamgádaṛ.

46Haiwánát, aur parandoṉ, aur ábí jánwaroṉ, aur zamín par ke sab reṉgnewále jándároṉ ke báre meṉ shara‘ yihí hai;

Paidáish 1:28

 

Yasa‘iyáh 40

; 31lekin Ḳhudáwand ká intizár karnewále az sar i nau zor hásil kareṉge: wuh ‘uqáboṉ kí mánind bál o par se uṛeṉge: 

 

Aiyúb 38

; 41Paháṛí kauwe ke liye kaun ḳhurák muhaiyá kartá hai,

Jab us ke bachche Ḳhudá se faryád karte,

Aur ḳhurák na milne se uṛte phirte haiṉ?

 

Lúqá 12

; 24Kauwoṉ par gaur karo, ki na bote haiṉ, na káṭte; na un ke khattá hotá hai, na koṭhí; taubhí Ḳhudá unheṉ khilátá hai; tumhárí qadr to parandoṉ se kahíṉ ziyáda hai. 25Tum meṉ aisá kaun hai, jo fikr karke apní ʻumr meṉ ek ghaṛí baṛhá sake? 26Pas jab sab se chhoṭí bát bhí nahíṉ kar sakte, to báqí chízoṉ kí kyúṉ fikr karte ho? 

Matí 10

; 16Dekho, maiṉ tumheṉ bhejtá húṉ, goyá bheṛoṉ ko bheṛiyoṉ ke bích meṉ; pas sáṉpoṉ kí mánind hoshyár, aur kabútaroṉ kí mánind bhole bano.

 

Matí 10

; 28Jo badan ko qatl karte haiṉ, aur rúh ko qatl nahíṉ kar sakte, un se na daro; balki usí se ḍaro, jo rúh aur badan donoṉ ko jahannam meṉ halák kar saktá hai. 29Kyá paise kí do chiṛiyáṉ nahíṉ biktíṉ? Aur un meṉ se ek bhí tumháre Báp kí marzí bagair zamín par nahíṉ gir saktí; 30balki tumháre sir ke bál bhí sab gine húe haiṉ. 31Pas daro nahíṉ; tumhárí qadr to bahut sí chiṛiyoṉ se ziyáda hai.

Matí 13

; 31Us ne ek âur tamsíl un ke sámne pesh karke kahá, ki Ásmán kí bádsháhat us ráí ke dáne kí mánind hai, jise kisí ádmí ne lekar apne khet meṉ bo diyá: 32wuh sab bíjoṉ se chhoṭá to hai, magar jab baṛh játá hai, to sab tarkáriyoṉ se baṛá hotá hai, aur aisá daraḳht ho játá hai, ki hawá ke parande ákar us kí ḍáliyoṉ par baserá karte haiṉ.

Istisná 22

; 6Agar ráh chalte ittifáqan kisí parande ká ghoṉslá daraḳht yá zamín par bachchoṉ yá anḍoṉ samet tum ko mil jáe, aur máṉ bachchoṉ yá anḍoṉ par baiṭhí húí ho, to tum bachchoṉ ko máṉ samet na pakaṛ lená; 7bachchoṉ ko tum lo, to lo, par máṉ ko zarúr chhoṛ dená, táki tumhárá bhalá ho, aur tumhárí ‘umr daráz ho.

Amsál 27

 8Apne makán se áwára insán

Usí chiṛiyá kí mánind hai jo apne áshiyáne se bhaṭak jáe.

 

Matí 23

; 37Ai Yarúshalem, ai Yarúshalem, tú jo nabíoṉ ko qatl kartí hai, aur jo tere pás bheje gaye, unheṉ saṉgsár kartí hai! kitní hí bár maiṉ ne cháha, ki jis tarah murgí apne bachchoṉ ko paroṉ tale jamaʻ kar letí hai, usí tarah maiṉ bhí tere laṛkoṉ ko jamaʻ kar lúṉ, magar tum ne na cháhá! 

 

Yaʻqúb 3

;7Kyúṉki har qism ke chaupáe, aur parand, aur kíṛe makauṛe, aur daryáí jánwar to insán ke qábú meṉ á sakte haiṉ, aur áe bhí haiṉ:

Paidáish 8

1Phir Ḳhudá ne Núh ko, aur kull jándároṉ aur kull chaupáyoṉ ko, jo us ke sáth kishtí meṉ the, yád kiyá: aur Ḳhudá ne zamín par ek hawá chaláí, aur pání ruk gayá. 2Aur samundar ke sote, aur ásmán ke daríche, band kiye gaye, aur ásmán se jo bárish ho rahí thí tham gayí; 3aur pání zamín par se ghaṭte ghaṭte ek sau pachás din ke ba‘d kam húá. 4Aur sátweṉ mahíne kí sattrahwín táríḳh ko kishtí Arárát ke paháṛoṉ par ṭik gayí. 5Aur pání dasweṉ mahíne tak barábar ghaṭtá rahá: aur dasweṉ mahíne kí pahlí táríḳh ko paháṛoṉ kí choṭiyáṉ nazar áíṉ. 6Aur chálís din ke ba‘d yúṉ húá, ki Núh ne kishtí kí khiṛkí, jo us ne banáí thí, kholí. 7Aur us ne ek kawwe ko uṛá diyá; so wuh niklá, aur jab tak ki zamín par se pání súkh na gayá, idhar udhar phirtá rahá. 8Phir us ne ek kabútarí apne pás se uṛá dí, táki dekhe, ki zamín par pání ghaṭá yá nahíṉ; 9par kabútarí ne panja ṭekne kí jagah na páí, aur us ke pás kishtí ko lauṭ áí; kyúṉki tamám rú e zamín par pání thá: tab us ne háth baṛhákar use le liyá, aur apne pás kishtí meṉ rakkhá. 10Aur sát din ṭhahrkar us ne us kabútarí ko phir kishtí se uṛá diyá; 11aur wuh kabútarí shám ke waqt us ke pás lauṭ áí; aur dekhá to zaitún kí ek táza pattí us kí choṉch meṉ thí. Tab Núh ne ma‘lúm kiyá, ki pání zamín par se kam ho gayá. 12Tab wuh sát din âur ṭhahrá; is ke ba‘d phir us kabútarí ko uṛáyá, par wuh us ke pás phir kabhí na lauṭí.

 

Lúqá 3

; Jab sab logoṉ ne baptisma liyá, aur Yisúʻ bhí baptisma pákar duʻá máṉg rahá thá, to aisá húá ki ásmán khul gayá, 22aur Rúhuʼl Quds jismání súrat meṉ kabútar kí mánind us par utrá, aur ásmán se áwáz áí, ki Tú merá piyárá Beṭá hai; tujh se maiṉ ḳhush húṉ.

Yúhanná 2

 ; 13Yahúdíoṉ kí ʻÍd i Fasah nazdík thí, aur Yisúʻ Yarúshalem ko gayá. 14Us ne haikal meṉ bail aur bheṛ aur kabútar ke bechnewáloṉ ko, aur sarráfoṉ ko baiṭhe húe páyá; 15aur rassiyoṉ ká koṛá banákar sab ko, yaʻní bheṛoṉ aur bailoṉ ko, haikal se nikál diyá, aur sarráfoṉ ke paise bikher diye, aur taḳhte ulaṭ diye; 16aur kabútar faroshoṉ se kahá; In ko yaháṉ se le jáo: mere Báp ke ghar ko tijárat ká ghar na banáo. 17Us ke shágirdoṉ ko yád áyá, ki likhá hai; Tere ghar kí gairat mujhe khá jáegí. 18Pas Yahúdíoṉ ne jawáb meṉ us se kahá; Tú jo in kámoṉ ko kartá hai, hameṉ kaun sá nishán dikhátá hai? 19Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Is maqdis ko ḍhá do, to maiṉ use tín din meṉ khaṛá kar dúṉgá.

Yúhanná 1:32 (URDR55)

Aur Yúhanná ne yih gawáhí dí, ki Maiṉ ne Rúh ko kabútar kí tarah ásmán se utarte dekhá hai, aur wuh us par ṭhahr gayí.

Ahbár 1:14 (URDR55)

Aur agar us ká chaṛháwá Ḳhudáwand ke liye parandoṉ kí soḳhtaní qurbání ho, to wuh qumríoṉ yá kabútar ke bachchoṉ ká chaṛháwá chaṛháe.

Húsí‘a 11

 ; 10Wuh Ḳhudáwand kí pairawí kareṉge, jo sher i babar kí tarah garjegá; kyúṉki wuh garjegá, aur us ke farzand mag̣rib kí taraf se káṉpte húe áeṉge. 11Wuh Misr se parande kí tarah aur Asúr ke mulk se kabútar kí mánind káṉpte húe áeṉge, aur maiṉ un ko un ke gharoṉ meṉ basáúṉgá, Ḳhudáwand farmátá hai.

Aʻmál 10

 ; 9Dúsre din, jab wuh ráh meṉ the, aur shahr ke nazdík pahuṉche to Patras do pahar ke qaríb koṭhe par duʻá máṉgne chaṛhá. 10Aur use bhúk lagí, aur kuchh kháná cháhtá thá: lekin jab log taiyár kar rahe the, to us par beḳhudí chhá gayí; 11aur us ne dekhá, ki ásmán khul gayá, aur ek chíz, baṛí chádar kí mánind chároṉ konoṉ se laṭaktí húí, zamín kí taraf utar rahí hai, 12jis meṉ zamín ke sab qism ke chaupáe, aur kíṛe makauṛe, aur hawá ke parande haiṉ. 13Aur use ek áwáz áí, ki Ai Patras, uṭh, zabh kar, aur khá. 14Magar Patras ne kahá; Ai Ḳhudáwand, hargiz nahíṉ; kyúṉki maiṉ ne kabhí koí harám yá nápák chíz nahín kháí. 15Phir dúsrí bár use áwáz áí, ki Jin ko Ḳhudá ne pák ṭhahráyá hai, tú unheṉ harám na kah. 16Tín bár aisá hí húá; aur fiʼlfaur wuh chíz ásmán par uṭhá lí gayí.

1 Patras 1:16 (URDR55)

kyúṉki likhá hai, ki Pák ho, is liye ki maiṉ pák húṉ.

 

Aʻmál 11

;  4Patras ne shurúʻ se wuh amr tartíbwár un se bayán kiyá, ki 5Maiṉ Yáfá shahr meṉ duʻá máṉg rahá thá: aur beḳhudí kí hálat meṉ ek royá dekhí, ki koí chíz, baṛí chádar kí tarah chároṉ konoṉ se laṭaktí húí, ásmán se utarkar mujh tak áí: 6us par jab maiṉ ne gaur se nazar kí, to zamín ke chaupáe, aur janglí jánwar, aur kíṛe makauṛe, aur hawá ke parande dekhe; 7aur yih áwáz bhí suní, ki Ai Patras, uṭh; zabh kar aur khá. 8Lekin maiṉ ne kahá, ki Ai Ḳhudáwand, hargiz nahíṉ; kyúṉki kabhí koí harám yá nápák chíz mere muṉh meṉ nahíṉ gayí. 9Is ke jawáb meṉ dúsrí bár ásmán se áwáz áí, ki Jin ko Ḳhudá ne pák ṭhahráyá hai, tú unheṉ harám na kah. 10Tín bár aisá hí húá: phir wuh sárí chízeṉ ásmán kí taraf kheṉch lí gayíṉ.

Aʻmál 11

;  15Jab maiṉ kalám karne lagá, to Rúhuʼl Quds un par is tarah názil húá, jis tarah shurúʻ meṉ ham par názil húá thá. 16Aur mujhe Ḳhudáwand kí wuh bát yád áí, jo us ne kahí thí, ki Yúhanná ne to pání se baptisma diyá; magar tum Rúhuʼl Quds se baptisma páoge. 17Pas jab Ḳhudá ne un ko bhí wuhí niʻmat dí jo ham ko Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh par ímán lákar milí thí, to maiṉ kaun thá, ki Ḳhudá ko rok saktá? 18Wuh yih sunkar chup rahe, aur Ḳhudá kí baṛáí karke kahá; To beshakk Ḳhudá ne gairqaumoṉ ko bhí zindagí ke liye tauba kí taufíq dí hai.

Romíoṉ 3:29 (URDR55)

Kyá Ḳhudá sirf Yahúdíoṉ hí ká hai; gairqaumoṉ ká nahíṉ? Beshakk, gairqaumoṉ ká bhí hai:

Romíoṉ 11:13 (URDR55)

Maiṉ yih báteṉ tum gairqaumoṉ se kahtá húṉ. Chúṉki maiṉ gairqaumoṉ ká rasúl húṉ, is liye apní ḳhidmat kí baṛáí kartá húṉ:

Lúqá 21:24 (URDR55)

Aur wuh talwár ká luqma ho jáeṉge, aur asír hokar sab qaumoṉ meṉ pahuṉcháe jáeṉge, aur jab tak gairqaumoṉ kí míʻád púrí na ho, Yarúshalem gairqaumoṉ se pámál hotí rahegí.

Lúqá 2:32 (URDR55)

Táki gairqaumoṉ ko raushní denewálá núr Aur terí ummat Isráíl ká jalál bane.

Matí 4:15 (URDR55)

Zabúlún ká ʻiláqa, aur Naftálí ká ʻiláqa, Daryá kí ráh Yardan ke pár, G̣airqaumoṉ kí Galíl,

Romíoṉ 9:24 (URDR55)

yaʻní hamáre zaríʻe se, jinheṉ us ne na faqat Yahúdíoṉ meṉ se, balki gairqaumoṉ meṉ se bhí buláyá.

Galatíoṉ 2:14 (URDR55)

Jab maiṉ ne dekhá, ki wuh ḳhushḳhabarí kí sachcháí ke muwáfiq sídhí chál nahíṉ chalte, to maiṉ ne sab ke sámne Kefá se kahá, ki Jab tú, báwujúd Yahúdí hone ke, gairqaumoṉ kí tarah zindagí guzártá hai, na Yahúdíoṉ kí tarah, to gairqaumoṉ ko Yahúdíoṉ kí tarah chalne par kyúṉ majbúr kartá hai?

Aʻmál 15:19 (URDR55)

Pas merá falsala yih hai, ki jo gairqaumoṉ meṉ se Ḳhudá kí taraf rujúʻ hote haiṉ, ham un ko taklíf na deṉ;

Galatíoṉ 2:8 (URDR55)

(kyúṉki jis ne maḳhtúnoṉ kí risálat ke liye Patras meṉ asar paidá kiyá, usí ne gairqaumoṉ ke liye mujh meṉ bhí asar paidá kiyá);

Ifisíoṉ 3:8 (URDR55)

Mujh par, jo sab muqaddasoṉ meṉ chhoṭe se chhoṭá húṉ, yih fazl húá, ki maiṉ gairqaumoṉ ko Masíh kí beqiyás daulat kí ḳhushḳhabarí dúṉ;

Romíoṉ 9:30 (URDR55)

Pas ham kyá kaheṉ? Yih, ki gairqaumoṉ ne, jo rástbází kí talásh na kartí thíṉ, rástbází hásil kí, yaʻní wuh rástbází jo ímán se hai:

Galatíoṉ 1

  15Lekin jis Ḳhudá ne mujhe merí máṉ ke peṭ hí se maḳhsús kar liyá, aur apne fazl se bulá liyá, jab us kí yih marzí húí, 16ki apne Beṭe ko mujh meṉ záhir kare, táki maiṉ gairqaumoṉ meṉ us kí ḳhushḳhabarí dúṉ; to na maiṉ ne gosht aur ḳhún se saláh lí:

Galatíoṉ 3:14 (URDR55)

táki Masíh Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.

1 Tímuthiyus 2:7 (URDR55)

Maiṉ sach kahtá húṉ, jhúṭh nahíṉ boltá, ki maiṉ isí garaz se manádí karnewálá aur rasúl aur gairqaumoṉ ko ímán aur sachcháí kí báteṉ sikhánewálá muqarrar húá.

Aʻmál 26:23 (URDR55)

ki Masíh ko dukh uṭháná zarúr hai, aur sab se pahle wuhí murdoṉ meṉ se zinda hokar is ummat ko aur gairqaumoṉ ko bhí núr ká ishtihár degá.

Aʻmál 13:47 (URDR55)

Kyúṉki Ḳhudáwand ne hameṉ yih hukm diyá hai, ki Maiṉ ne tujh ko gairqaumoṉ ke liye núr muqarrar kiyá, Táki tú zamín kí intiha tak naját ká báʻis ho.

Romíoṉ 15:9 (URDR55)

aur gairqaumeṉ bhí rahm ke sabab Ḳhudá ki baṛáí kareṉ; chunáṉchi likhá hai ki, Is wáste maiṉ gairqaumoṉ meṉ terá iqrár karúṉgá, Aur tere nám ke gít gáúṉgá.

Romíoṉ 11:11 (URDR55)

Pas maiṉ kahtá húṉ, ki Kyá unhoṉ ne aisí ṭhokar kháí ki gir paṛeṉ? Hargiz nahíṉ! Balki un kí lagzish se gairqaumoṉ ko naját milí, táki unheṉ gairat áe.

Matí 12:18 (URDR55)

Dekho, yih merá ḳhádim hai, jise maiṉ ne chuna, Merá piyárá, jis se merá dil ḳhush hai; Maiṉ apní Rúh is par dálúṉgá; Aur yih gairqaumoṉ ko insáf kí ḳhabar degá.

1 Patras 4:3 (URDR55)

Is wáste ki gairqaumoṉ kí marzí ke muwáfiq kám karne, aur shahwatparastí, burí ḳhwáhishoṉ, maiḳhwáríoṉ, náchrang, nashebázíoṉ, aur makrúh butparastíoṉ meṉ jis qadr ham ne pahle waqt guzárá, wuhí bahut hai:

Mukáshafa 11:2 (URDR55)

Aur us sahn ko jo maqdis ke báhar hai, ḳhárij kar de, aur use na náp; kyúṉki wuh gairqaumoṉ ko de diyá gayá hai;

Kulussíoṉ 1:27 (URDR55)

jin par Ḳhudá ne záhir karná cháhá, ki gairqaumoṉ meṉ us bhed ke jalál kí daulat kaisí kuchh hai, aur wuh yih hai, ki Masíh jo jalál kí ummed hai tum meṉ rahtá hai:

Aʻmál 14:27 (URDR55)

Waháṉ pahuṉchkar unhoṉ ne kalísiyá ko jamaʻ kiyá, aur un ke sámne bayán kiyá, ki Ḳhudá ne hamárí maʻrifat kyá kuchh kiyá, aur yih ki us ne gairqaumoṉ ke liye ímán ká darwáza khol diyá.

Romíoṉ 15:15 (URDR55)

Táham maiṉ ne baʻz jagah ziyáda dilerí ke sáth yád diláne ke taur par is liye tum ko likhá, ki mujh ko Ḳhudá kí taraf se gairqaumoṉ ke liye Masíh Yisúʻ ke ḳhádim hone kí taufíq milí hai;

Romíoṉ 15:18 (URDR55)

Kyúṉki mujhe âur kisí bát ke zikr karne kí jurʼat nahíṉ, siwá un bátoṉ ke jo Masíh ne gairqaumoṉ ke tábiʻ karne ke liye, qaul aur fiʻl se, nishánoṉ aur muʻjizoṉ kí táqat se, aur Rúhuʼl Quds kí qudrat se merí wisátat kíṉ;

1 Tímuthiyus 3:16 (URDR55)

Is meṉ kalám nahíṉ, ki díndárí ká bhed baṛá hai, yaʻní wuh jo jism meṉ záhir húá, aur rúh meṉ rástbáz ṭhahrá, aur firishtoṉ ko dikháí diyá, aur gairqaumoṉ meṉ us kí manádí húí, aur dunyá meṉ us par ímán láe, aur jalál meṉ úpar uṭháyá gayá.

Galatíoṉ 2:2 (URDR55)

Aur merá jáná mukáshafe ke mutábiq húá: aur jis ḳhushḳhabarí kí gairqaumoṉ meṉ manádí kartá húṉ, wuh un se bayán kí, magar ʻaláhidagí meṉ un hí logoṉ se jo kuchh samjhe játe the, aisá na ho ki merí is waqt kí yá aglí dauṛ dhúp befáida jáe.

Galatíoṉ 2:9 (URDR55)

aur jab unhoṉ ne us taufíq ko maʻlúm kiyá, jo mujhe milí thí, to Yaʻqúb aur Kefá aur Yúhanná ne, jo kalísiyá ke rukn samjhe játe the, mujhe aur Bar Nabá ko dahiná háth dekar sharík kar liyá, táki ham gairqaumoṉ ke pás jáeṉ, aur wuh maḳhtúnoṉ ke pás;

Romíoṉ 3:30 (URDR55)

kyúṉki ek hí Ḳhudá hai, jo maḳhtúnoṉ ko bhí ímán se, aur námaḳhtúnoṉ ko bhí ímán hí ke wasíle se rástbáz ṭhahráegá.

Romíoṉ 3:28 (URDR55)

Chunáṉchi ham yih natíja nikálte haiṉ, ki insán sharíʻat ke aʻmál ke bagair ímán ke sabab se rástbáz ṭhahrtá hai.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...