1 Patras 5
; 8Tum hoshyár
aur bedár raho: tumhárá muḳhálif Iblís garajnewále sher i babar kí tarah ḍhúṉḍhtá
phirtá hai, ki kis ko pháṛ kháe:
Galatíoṉ 5
; 5Lekin agar
tum ek dúsre ko káṭte aur pháṛe kháte ho, to ḳhabardár rahná, ki ek dúsre ká
satyanás na kar do.
muḳhálif Iblís garajnewále sher i babar
hai ghamand
Amsál 16
; 18Halákat
se pahle takabbur,
Aur
zawál se pahle ḳhudbíní.
नीतिवचन 16:18
·
विनाश से पहिले गर्व, और ठोकर खाने से पहिले घमण्ड होता है।
Yúhanná 10
; aur bheṛiyá un ko pakaṛtá aur paráganda
kartá hai.
Paidáish 11
1Aur tamám zamín par ek hí zabán aur ek hí
bolí thí. 2Aur aisá húá ki mashriq kí taraf safar
karte karte un ko mulk i Sin‘ár meṉ ek maidán milá, aur wuh waháṉ bas
gaye. 3Aur unhoṉ ne ápas meṉ kahá, Áo, ham íṉṭeṉ
banáeṉ aur un ko ág meṉ ḳhúb pakáeṉ. So unhoṉ ne patthar kí jagah íṉṭ se aur
chúne kí jagah gáṛe se kám liyá. 4Phir wuh kahne lage, ki Áo,
ham apne wáste ek shahr aur ek burj, jis kí choṭí ásmán tak pahuṉche banáeṉ,
aur yaháṉ apná nám kareṉ, aisá na ho, ki ham tamám rú e zamín par paragánda ho
jáeṉ. 5Aur Ḳhudáwand is
shahr aur burj ko, jise baní Ádam banáne lage, dekhne ko utrá. 6Aur Ḳhudáwand ne kahá, Dekho, yih log
sab ek haiṉ aur in sabhoṉ kí ek hí zabán hai. Wuh jo yih karne lage haiṉ, to ab
kuchh bhí jis ká wuh iráda kareṉ, un se báqí na chhúṭegá. 7So áo, ham waháṉ jákar un kí
zabán meṉ iḳhtiláf ḍáleṉ, táki wuh ek dúsre kí bát samajh na sakeṉ. 8Pas Ḳhudáwand ne un ko waháṉ se tamám
rú e zamín meṉ paráganda kiyá: so wuh us shahr ke banáne se báz áe. 9Is liye us ká nám Bábul húá;
kyúṉki Ḳhudáwand ne waháṉ
sárí zamín kí zabán meṉ iḳhtiláf ḍálá: aur waháṉ se Ḳhudáwand ne un ko tamám rú e zamín
par paráganda kiyá.
Ḳhudá
magrúroṉ ká muqábala kartá hai,
Yaʻqúb
4:6
'Kyúṉki Rabb u’l afwáj ká din tamám mag̣rúroṉ, balandnazaroṉ,
aur mutakabbiroṉ par áegá, aur wuh past kiye jáeṉge. '
Yasa‘iyáh 2:12
Matí 6
; 10terí
bádsháhat áe;
Matí 12
; 25 Jis
kisí bádsháhat meṉ phúṭ paṛtí hai, wuh wírán ho játí hai, aur jis kisí shahr yá
ghar meṉ phúṭ paṛegí, wuh qáim na rahegá;
tumhárá muḳhálif Iblís garajnewále sher i babar
kí tarah ḍhúṉḍhtá phirtá hai, ki kis ko pháṛ kháe:
Amsál 11
; 2Takabbur ke
hamráh ruswáí átí hai:
Amsál
13:10 (URDR55)
Takabbur
se sirf jhagṛá paidá hotá hai:
Amsál 21:4 (URDR55)
Balandnazarí
aur dil ká takabbur, Aur sharíroṉ kí iqbálmandí gunáh hai.
Amsál
18:12 (URDR55)
Ádmí
ke dil meṉ takabbur halákat ká peshrau hai,
Amsál
21:24 (URDR55)
Mutakabbir
o mag̣rúr shaḳhs, jo ṭhaṭṭhebáz kahlátá hai, Bahut takabbur se kám kartá hai.
Zabúr 10:4 (URDR55)
Sharír
apne takabbur meṉ kahtá hai ki Wuh bázpurs nahíṉ karegá: Us ká ḳhayál sarásar
yihí hai, ki Koí ḳhudá nahíṉ.
Yasa‘iyáh 2:11 (URDR55)
Insán
kí úṉchí nigáh níchí kí jáegí, aur baní Ádam ká takabbur past ho jáegá
Safaniyáh 2:10 (URDR55)
Yih
sab kuchh un ke takabbur ke sabab se un par áegá;
Yasa‘iyáh 16:6 (URDR55)
Ham
ne Moáb ke ghamanḍ kí bábat suná hai, ki wuh baṛá ghamanḍí hai; us ká takabbur
aur ghamanḍ aur qahr bhí suná hai; us kí sheḳhí hech hai.
Amsál 14:3 (URDR55)
Ahmaq
meṉ se g̣urúr phúṭ nikaltá hai:
Comments
Post a Comment