Romíoṉ 5:12 (URDR55)
Pas
jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí,
aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá —
Romíoṉ
5; 14 तौभी आदम से लेकर मूसा तक मृत्यु ने उन लोगों पर भी राज्य किया, जिन्हों ने उस आदम के अपराध की नाईं जो उस आने वाले का चिन्ह है, पाप न किया।
क्योंकि व्यवस्था के दिए जाने तक पाप जगत में तो था, परन्तु जहां व्यवस्था नहीं, वहां पाप गिना नहीं जाता।
Pehle gunah aur maut ayi
Lekin musa ki shriat ke diye jane se pehle
gunah ki ginti nho huti thi yani gunah
gina nhi jata tha
Romíoṉ 5
; 20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr
ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá, waháṉ fazl us se bhí niháyat
ziyáda húá:
Galatíoṉ 3
; 19Pas
sharíʻat kyá rahí? Wuh náfarmáníoṉ ke sabab se baʻd meṉ dí gayí, ki us nasl ke
áne tak rahe jis se waʻda kiyá gayá thá; aur wuh firishtoṉ ke wasíle se ek
darmiyání kí maʻrifat muqarrar kí gayí. 20Ab
darmiyání ek ká nahíṉ hotá; magar Ḳhudá ek hí hai.
Wá‘iz 3
1Har chíz ká ek mauqa‘, aur har kám ká, jo ásmán ke níche hotá hai,
ek waqt hai.
Ab adam se lekar musa tak
Gunah or maut ne badshahat ki ye bhi ek waqt hai
Or phir musa se lekar yuhana baptismia dene wale tak
Gunah maut or shariat ne badshsahat ki ye bhi ek waqt hai
Lúqá 16
; 16Sharíʻat aur ambiyá Yúhanná tak rahe;
Ab gunaho
ki mufai sharita ke adhin kaise thi
ʻIbrá Níoṉ 9
1G̣araz, pahle ʻahd meṉ bhí ʻibádat ke ahkám the, aur aisá maqdis
jo dunyawí thá;
2yaʻní ek ḳhaima
banáyá gayá thá; agle meṉ chirágdán, aur mez, aur nazr kí roṭiyáṉ thíṉ; aur use
Pák makán kahte haiṉ. 3Aur dúsre parde ke píchhe wuh ḳhaima thá, jise
Páktarín kahte haiṉ; 4us meṉ sone ká ʻúdsoz, aur chároṉ taraf sone se
maṉḍhá húá ʻahd ká sandúq thá; is meṉ mann se bhará húá ek sone ká martabán,
aur phúlá phalá húá Hárún ká ʻasá, aur ʻahd kí taḳhtíáṉ thíṉ; 5aur us ke
úpar jalál ke karúbí the, jo kaffáragáh par sáya karte the: in bátoṉ ke
mufassal bayán karne ká yih mauqaʻ nahíṉ. 6Jab yih
chízeṉ ís tarah ban chukíṉ, to pahle ḳhaime meṉ to káhin har waqt dáḳhil hote,
aur ʻibádat ká kám anjám dete haiṉ. 7Magar dúsre
meṉ sirf sardár káhin hi sál bhar meṉ ek bár játá hai; aur bagair ḳhún ke nahíṉ
játá; jise apne wáste aur ummat kí bhúl chúk ke wáste guzrántá hai. 8Is se
Rúhuʼl Quds ká yih ishára hai, ki jab tak pahlá ḳhaima khaṛá hai, pák makán kí
ráh záhir nahíṉ húí. 9Wuh ḳhaima maujúda zamáne ke liye ek misál hai;
aur is ke bamújib aisí nazreṉ aur qurbáníáṉ guzrání játí thíṉ, jo ʻibádat
karnewále ko dil ke iʻtibár se kámil nahíṉ kar saktíṉ; 10is liye ki
wuh sirf kháne píne, aur tarah tarah ke gusloṉ kí biná par jismání ahkám haiṉ,
jo isláh ke waqt tak muqarrar kiye gaye haiṉ.
ʻIbrá Níoṉ 7
; 28Is liye ki sharíʻat to kamzor ádmíoṉ ko sardár
káhin muqarrar kartí hai;
11Aur har ek
káhin to khaṛe hokar har roz ʻibádat kartá hai, aur ek hí tarah kí qurbáníáṉ
bár bár guzrántá hai, jo hargiz gunáhoṉ ko dúr nahíṉ kar saktíṉ: 12lekin yih
shaḳhs hamesha ke liye gunáhoṉ ke wáste ek hí qurbání guzránkar, Ḳhudá kí
dahiní taraf já baiṭhá;
13aur usí
waqt se muntazir hai, ki us ke dushman us ke páṉwoṉ tale kí chaukí baneṉ; 14kyúṉki us
ne ek hí qurbání chaṛháne se un ko hamesha ke liye kámil kar diyá hai, jo pák
kiye játe haiṉ.
19Pas ai bháiyo, chúṉkí hameṉ Yisúʻ ke ḳhún ke
sabab us nayí aur zinda ráh se pák makán meṉ dáḳhil hone kí dilerí hai;
Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr
se bahut se ádmí mar gaye, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí,
yaʻní Yisúʻ Masíh ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se
názil húí.
magar jaháṉ
gunáh ziyáda húá, waháṉ fazl us se bhí niháyat ziyáda húá: 21táki jis tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí
kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí
zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se bádsháhí kare.
Romíoṉ 6
14Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki
tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.
8Yád karke
tú sabt ká din pák mánná. 9Chha din
tak tú mihnat karke apná sárá kám káj karná;
11kyúṉki Ḳhudáwand ne
chha din meṉ ásmán, aur zamín, aur samundar, aur jo kuchh un meṉ hai, wuh sab
banáyá, aur sátweṉ din árám kiyá: is liye Ḳhudáwand ne
sabt ke din ko barakat dí, aur use muqaddas ṭhahráyá.
To agar hum
shariat ke adhin hain
Iska matlab
hum kam ke 6 din men hain
Iska matlab
hum jismani hai
6 ank hi
zamini jismani mushqata ki drashata hai
Ab jisma ke
kam to zahir hain
1 Yúhanná 3
; 4To koí
gunáh kartá hai, wuh sharaʻ kí muḳhálafat kartá hai; aur gunáh sharaʻ kí muḳhálafat
hí hai. 5Aur tum jánte ho ki wuh is liye záhir húá thá, ki
gunáh-oṉ ko uṭhá le jáe; aur us kí zát meṉ gunáh nahíṉ. 6Jo koí us
meṉ qáim rahtá hai, wuh gunáh nahiṉ kartá: jo koí gunáh kartá hai, na us ne use
dekhá hai, aur na jáná hai.
Leki joi fazl or sachchai ke adhin hai
Wuh uske araam ke din men
Dakhil ho chukka
Aram ka din hai yeshua masih
Yani fazl or sachchai yesu masih ki marfit
pauhcnhi
Romíoṉ 8:9 (URDR55)
Lekin
tum jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí
hai. Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ.
2 Kurinthíoṉ 5
; 15aur wuh is
liye sab ke wáste múá, ki jo jíte haiṉ, wuh áge ko apne liye na jíeṉ, balki us
ke liye jo un ke wáste múá, aur phir jí uṭhá. 16Pas ab se
ham kisí ko jism kí haisíyat se na pahcháneṉge; háṉ, agarchi Masíh ko bhí jism
kí haisíyat se jáná thá, magar ab se nahíṉ jáneṉge. 17Is liye
agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai: purání chízeṉ játí rahíṉ;
dekho, wuh nayí ho gayíṉ.
Romíoṉ 6:14 (URDR55)
Is
liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ,
balki fazl ke mátaht ho.
Romíoṉ 8:10 (URDR55)
Aur
agar Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh
rástbází ke sabab se zinda hai.
Romíoṉ 6:11 (URDR55)
Isí
tarah tum bhí apne áp ko gunáh ke iʻtibár se murda, magar Ḳhudá ke iʻtibár se
Masíh Yisúʻ meṉ zinda samjho.
15Pas kyá
húá? kyá ham is liye gunáh kareṉ, ki sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke
mátaht haiṉ? Hargiz nahíṉ! 16Kyá tum
nahíṉ jánte, ki jis kí tábiʻdárí ke liye apne áp ko gulámoṉ kí tarah hawále kar
dete ho, usí ke gulám ho, jis ke tábiʻdár ho; ḳhwáh gunáh ke, jis ká anjám maut
hai; ḳhwáh tábiʻdárí ke, jis ká anjám rástbází hai. 17Lekín Ḳhudá
ká shukr hai, ki agarchi tum gunáh ke gulám the, táham dil se us taʻlím ke
tábiʻdár ho gaye, jis ke sáṉche meṉ tum ḍhále gaye the; 18aur gunáh
se ázád hokar rástbází ke gulám ho gaye. 19Maiṉ
tumhárí insání kam-zorí ke sabab insání taur par kahtá húṉ: jis tarah tum ne
apne aʻzá badkárí karne ke liye nápákí aur badkárí kí gulámí ke hawále kiye
the, usí tarah ab apne aʻzá pák hone ke liye rástbází kí gulámí ke hawále kar
do. 20Kyúṉki jab tum gunáh ke gulám the, to rástbází ke
iʻtibár se ázád the. 21Pas jin bátoṉ se tum ab sharminda ho, un se tum
us waqt kyá phal páte the? kyúṉki un ká anjám to maut hai. 22Magar ab
gunáh se ázád, aur Ḳhudá ke gulám hokar, tum ko apná phal milá, jis se pákízagí
hásil hotí hai, aur is ká anjám hamesha kí zindagí hai. 23Kyúṉki
gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish hamáre Ḳhudáwand Masíh
Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.
ʻIbrá Níoṉ 1
1Agle zamáne meṉ Ḳhudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba
tarah nabíoṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke áḳhir meṉ ham
se Beṭe kí maʻrifat kalám kiyá,
. 2Kyúṉki jo kalám firishtoṉ kí maʻrifat farmáyá
gayá thá, jab wuh qáim rahá, aur har qusúr aur náfarmání ká ṭhík ṭhík badla
milá: 3to itní baṛí
naját se gáfil rahkar ham kyúṉkar bach sakte haiṉ? jis ká bayán pahle Ḳhudáwand
ke wasíle se húá, aur sunnewáloṉ se hameṉ páya e subút ko pahuṉchá; 4aur sáth hí Ḳhudá bhí apní marzí ke muwáfiq,
nishánoṉ, aur ʻajíb kámoṉ, aur tarah tarah ke muʻjizoṉ, aur Rúhuʼl Quds kí
niʻmatoṉ ke zaríʻe se us kí gawáhí detá rahá.
ʻIbrá Níoṉ 2
; 4Pas jis
súrat meṉ ki laṛke ḳhún aur gosht meṉ sharík haiṉ, to wuh ḳhud bhí un kí tarah
un meṉ sharík húá; táki maut ke wasíle se us ko jise maut par qudrat hásil thí,
yaʻní Iblís ko, tabáh kar de; 15aur jo ʻumr
bhar maut ke ḍar se gulámí meṉ giriftár rahe, unheṉ chhuṛá le. 16Kyúṉki
wáqiʻ meṉ wuh firishtoṉ ká nahíṉ, balki Ibráhím kí nasl ká sáth detá hai. 17Pas us ko
sab bátoṉ meṉ apne bháiyoṉ kí mánind banná lázim húá; táki ummat ke gunáhoṉ ká
kaffára dene ke wáste, un bátoṉ meṉ jo Ḳhudá se ʻiláqa rakhtí haiṉ, ek rahmdil
aur diyánatdár sardár káhin bane. 18Kyúṉki jis
súrat meṉ us ne ḳhud hí ázmáish kí hálat meṉ dukh uṭháyá, to wuh un kí bhí
madad kar saktá hai, jin kí ázmáish hotí hai.
Galatíoṉ 3
; 26Kyúṉki tum sab us ímán ke wasíle se jo Masíh
Yisúʻ meṉ hai, Ḳhudá ke farzand ho.
29Aur agar tum Masíh ke ho, to Ibráhím kí nasl, aur
waʻde ke mutábiq wáris ho.
Comments
Post a Comment