Skip to main content

मन में आने वाले बुरे विचार बुरी कल्पनाओं के बारे मसीह उपदेश @YasarimEl

12Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá —

Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr se bahut se ádmí mar gaye

 17Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí;

'Kyúṉki jis tarah ek hí shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre,

Romíoṉ 5:19

 

'G̣araz, jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká hukm thá;

Paidáish 6

1Jab rú e zamín par ádmí bahut baṛhne lage, aur un ke beṭiyáṉ paidá húíṉ, 2to Ḳhudá ke beṭoṉ ne ádmí kí beṭiyoṉ ko dekhá, ki wuh ḳhúbsúrat haiṉ; aur jin ko unhoṉ ne chuná un se biyáh kar liyá. 3Tab Ḳhudáwand ne kahá, ki Merí rúh insán ke sáth hamesha muzáhamat (कठोर परिश्रम करना)

  na kartí rahegí, kyúṉki wuh bhí to bashar hai; taubhí us kí ‘umr ek sau bís baras kí hogí. 

 

Paidáish 6

 aur ba‘d meṉ jab Ḳhudá ke beṭe ádmí kí beṭiyoṉ ke pás gaye, to un ke liye un se aulád húí. Yihí qadím zamáne ke súrmá haiṉ, jo baṛe námwar húe haiṉ. 5Aur Ḳhudáwand ne dekhá ki zamín par insán kí badí bahut baṛh gayí, aur us ke dil ke tasawwur aur ḳhayál sadá bure hí hote haiṉ. 6Tab Ḳhudáwand zamín par insán ke paidá karne se malúl húá aur dil meṉ g̣am kiyá. 

 

4Taubhí us ne hamárí mashaqqateṉ uṭhá líṉ, aur hamáre g̣amoṉ ko bardasht kiyá: par ham ne use Ḳhudá ká márá kúṭá aur satáyá húá samjhá. 5Háláṉki wuh hamárí ḳhatáoṉ ke sabab se gháyal kiyá gayá, aur hamárí badkirdárí ke bá‘is kuchlá gayá: hamárí hí salámatí ke liye us par siyasat húí; táki us ke már kháne se ham shifá páeṉ. 6Ham sab bheṛoṉ kí mánind bhaṭak gaye; ham meṉ se har ek apní ráh ko phirá; par Ḳhudáwand ne ham sab kí badkirdárí us par ládí.

Is napak dil ki wazah se musa ki shariat di gai

Thi

Lúqá 6:45 (URDR55)

Achchhá ádmí apne dil ke achchhe ḳhazáne se achchhí chízeṉ nikáltá hai, aur burá ádmí bure ḳhazáne se burí chízeṉ nikáltá hai; kyúṉki jo dil meṉ bhará hai, wuhí us ke muṉh par átá hai.

 

Matí 15

 ; 18Magar jo báteṉ muṉh se nikaltí haiṉ, wuh dil se nikaltí haiṉ, aur wuhí ádmí ko nápák kartí haiṉ. 19Kyúṉki bure ḳhayál, ḳhúnrezíáṉ, zinákáríáṉ, harámkáríáṉ, choriyáṉ, jhúṭhí gawáhíáṉ, badgoíáṉ díl hí se nikaltí haiṉ. 20Yihí báteṉ haiṉ, jo ádmí ko nápák kartí haiṉ;

 

Matí 5

 ; 27Tum sun chuke ho ki kahá gayá thá, ki Ziná na kar; 28lekin maiṉ tum se yih kahtá húṉ, ki jis kisí ne burí ḳhwáhish se kisí ʻaurat par nigáh kí, wuh apne dil meṉ us ke sáth ziná kar chuká.

 

Ifisíoṉ 2

 ; 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai;

Hawa ki amaldari se ruh l quds ka matlab farihste

ʻIbrá Níoṉ 1

 ; 7 Wuh apne firishtoṉ ko hawáeṉ,

Aur apne ḳhádimoṉ ko ág ke shuʻle banátá hai:

 

Romíoṉ 5

 ; 19Kyúṉki jis tarah ek hí shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre,

1 Yúhanná 3

;  4To koí gunáh kartá hai, wuh sharaʻ kí muḳhálafat kartá hai; aur gunáh sharaʻ kí muḳhálafat hí hai. 

1 Tímuthiyus 1

 ; 9 sharíʻat rástbázoṉ ke liye muqarrar nahíṉ húí, balki besharaʻ aur sarkash logoṉ, aur bedínoṉ, aur gunahgároṉ, aur nápákoṉ, aur rindoṉ, aur máṉ báp ke qátiloṉ, aur ḳhúníoṉ, 10aur harámkároṉ, aur launḍebázoṉ, aur bardafaroshoṉ, aur jhúṭhoṉ, aur jhúṭhí qasam khánewáloṉ, aur in ke siwá sahíh taʻlím ke âur barḳhiláf kám karnewáloṉ ke wáste hai;

Yúhanná 1

;  17Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí;

 

Yarmiyáh 4:14 (URDR55)

Ai Yarúshalem, tú apne dil ko sharárat se pák kar, táki tú riháí páe. Bure ḳhayálát kab tak tere dil meṉ raheṉge?

 

ʻIbrá Níoṉ 10

1Kyúṉki sharíʻat jis meṉ áyanda kí achchhí chízoṉ ká ʻaks hai, aur un chízoṉ kí aslí súrat nahíṉ, un ek hí tarah kí qurbáníoṉ se, jo har sál bilánága guzrání játí haiṉ, pás ánewáloṉ ko hargiz kámil nahíṉ kar saktí. 2Warna un ká guzránná kyúṉ mauqúf na ho játá? Is liye ki jab ʻibádat karnewále ek bár pák ho játe, to phir un ká dil unheṉ gunahgár na ṭhahrátá. 3Balki wuh qurbáníáṉ sál ba sál gunáhoṉ ko yád dilátí haiṉ. 4Kyúṉki mumkin nahíṉ ki bailoṉ aur bakroṉ ká ḳhún gunáhoṉ ko dúr kare.

 

 

 

Zabúr 51

 ; 10Ai Ḳhudá, mere andar pák dil paidá kar,

Hizqíel 36

 ; 26Aur maiṉ tum ko nayá dil baḳhshúṉgá, aur nayí rúh tumháre bátin meṉ ḍálúṉgá, aur tumháre jism meṉ se saṉgín dil ko nikál ḍálúṉgá, aur goshtín dil tum ko ‘ináyat karúṉgá. 27Aur maiṉ apní rúh tumhárí bátin meṉ ḍálúṉgá, aur tum se apne áín kí pairawí karáúṉgá, aur tum mere ahkám par ‘amal karoge, aur un ko bajá láoge.

 

Amsál 20

 ; 30Koṛoṉ ke zaḳhm se badí dúr hotí hai,

Aur már kháne se dil sáf hotá hai.

 

Yasa‘iyáh 53

 ; 7Wuh satáyá gayá, taubhí us ne bardasht kí aur muṉh na kholá; jis tarah barra jise zabh karne ko le játe haiṉ, aur jis tarah bheṛ apne bál katarnewáloṉ ke sámne bezabán hai, usí tarah wuh ḳhámosh rahá. 8Wuh zulm karke aur fatwá lagákar use le gaye; par us ke zamáne ke logoṉ meṉ se kis ne ḳhayál kiyá, ki wuh zindoṉ kí zamín se káṭ ḍálá gayá? mere logoṉ kí ḳhatáoṉ ke sabab se us par már paṛí. 9Us kí qabr bhí sharíroṉ ke darmiyán ṭhahráí gayí, aur wuh apní maut meṉ daulatmandoṉ ke sáth húá; háláṉki us ne kisí tarah ká zulm na kiyá, aur us ke muṉh meṉ hargiz chhal na thá.

10Lekin Ḳhudáwand ko pasand áyá, ki use kuchle; us ne use g̣amgín kiyá: jab us kí ján gunáh kí qurbání ke liye guzrání jáegí, to wuh apní nasl ko dekhegá, us kí umr daráz hogí, aur Ḳhudá kí marzí us ke háth ke wasíle se púrí hogí. 11Apní ján hí ká dukh uṭhákar wuh use dekhegá, aur ser hogá: apne hí ‘irfán se merá sádiq ḳhádim bahutoṉ ko rastbáz ṭhahráegá: kyúṉki wuh un kí badkirdárí ḳhud uṭhá legá.

Hizqíel 36:25 (URDR55)

Tab tum par sáf pání chhiṛkúṉgá, aur tum pák sáf hoge: aur maiṉ tum ko tumhárí tamám gandagí se, aur tumháre sab butoṉ se, pák karúṉgá.

 

ʻIbrá Níoṉ 10

 ; 19Pas ai bháiyo, chúṉkí hameṉ Yisúʻ ke ḳhún ke sabab us nayí aur zinda ráh se pák makán meṉ dáḳhil hone kí dilerí hai; 20jo us ne parde yaʻní apne jism meṉ se hokar, hamáre wáste maḳhsús kí hai; 21aur chúṉki hamárá aisá baṛá káhin hai, jo Ḳhudá ke ghar ká muḳhtár hai; 22to áo, ham sachche dil aur púre ímán ke sáth, aur dil ke ilzám ko dúr karne ke liye diloṉ par chhíṉṭe lekar, aur badan ko sáf pání se dhulwákar, Ḳhudá ke pás chaleṉ:

 

Matí 5

 ; 8Mubárak haiṉ wuh jo pákdil haiṉ, kyúṉki wuh Ḳhudá ko dekheṉge.

 

Titus 1

 ; 15Pák logoṉ ke liye sab chízeṉ pák haiṉ; magar gunáhálúda aur beímán logoṉ ke líye kuchh bhí pák nahíṉ balki un kí ʻaql aur dil donoṉ gunáhálúda haiṉ. 16Wuh Ḳhudá kí pahchán ká daʻwá to karte haiṉ, magar apne kámoṉ se us ká inkár karte haiṉ, kyúṉki wuh makrúh aur náfarmán haiṉ, aur kisí nek kám ke qábil nahíṉ.

14aur wuh Yahúdíoṉ kí kahániyoṉ aur un ádmíoṉ ke hukmoṉ par tawajjuh na kareṉ, jo haqq se gumráh hote haiṉ.

 

Aʻmál 1

 ; 15Aur unhíṉ dinoṉ Patras bháiyoṉ meṉ, jo taḳhmínan ek sau bís shaḳhsoṉ kí jamáʻat thí,

Aʻmál 2

1Jab ʻÍd i Pintekust ká din áyá, to wuh sab ek jagah jamaʻ the; 2ki yakáyak ásmán se aisí áwáz áí, jaise zor kí áṉdhí ká sannáṭá hotá hai, aur us se sárá ghar jaháṉ wuh baiṭhe the, gúṉj gayá. 3Aur unheṉ ág ke shuʻle kí sí phaṭtí húí zabáneṉ dikháí díṉ; aur un meṉ se har ek par á ṭhahríṉ. 4Aur wuh sab Rúhuʼl Quds se bhar gaye, aur gair zabáneṉ bolne lage, jis tarah Rúh ne unheṉ bolne kí táqat baḳhshí.

 

 

5Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum bhí, jis waqt un bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte the. 8Lekin ab tum bhí in sab ko, yaʻní gussa, aur qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná chhoṛ do: 9ek dúsre se jhúṭh na bolo, kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí insáníyat ko pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí játí hai: 11waháṉ na Yúnáni rahá, na Yahúdí, na ḳhatna, na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám, na ázád: sirf Masíh sab kuchh aur sab meṉ hai.

6balki yih wuh bát hai, jo Yoel nabí kí maʻrifat kahí gayí hai, ki

17Ḳhudá farmátá hai, ki aḳhirí dinoṉ meṉ aisá hogá,

Ki maiṉ apní Rúh meṉ se har bashar par ḍálúṉgá;

Aur tumháre beṭe aur tumhárí beṭiyáṉ nubuwwat kareṉgí;

Aur tumháre jawán royá,

Aur tumháre buḍḍhe ḳhwáb dekheṉge:

18Balki maiṉ apne bandoṉ aur apní bandíoṉ par bhí

Un diṉoṉ meṉ apní Rúh meṉ se ḍálúṉgá, aur wuh nubuwwat kareṉgí.

21Aur yih hogá, ki jo koí Ḳhudáwand ká nám legá naját páegá.

 

 

Kulussíoṉ 3

1Pas jab tum Masíh ke sáth jiláe gaye, to ʻálam i bálá kí chízoṉ kí talásh meṉ raho, jaháṉ Masíh maujúd hai, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá hai. 2ʻÁlam i bálá kí chízoṉ ke ḳhayál meṉ raho, na zamín par kí chízoṉ ke; 3kyúṉ ki tum mar gaye, aur tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí zindagí hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye jáoge.

1 Tímuthiyus 3:9 (URDR55)

aur ímán ke bhed ko pák dil meṉ hifázat se rakkheṉ.

Titus 1:15 (URDR55)

Pák logoṉ ke liye sab chízeṉ pák haiṉ; magar gunáhálúda aur beímán logoṉ ke líye kuchh bhí pák nahíṉ balki un kí ʻaql aur dil donoṉ gunáhálúda haiṉ.

 

2 Kurinthíoṉ 3

 ; 2Hamárá jo ḳhatt hamáre diloṉ par likhá húá hai, wuh tum ho, aur use sab ádmí jánte aur paṛhte haiṉ: 3záhir hai, ki tum Masíh ká wuh ḳhatt ho, jo ham ne ḳhádimoṉ ke taur par likhá; siyáhí se nahíṉ, balki zinda Ḳhudá kí Rúh se; patthar kí taḳhtíoṉ par nahíṉ, balki gosht kí, yáʻní dil kí taḳhtíoṉ par. 4Ham Masíh kí maʻrifat Ḳhudá par aisá hí bharosá rakhte haiṉ: 5yih nahíṉ ki bazát i ḳhud ham is láiq haiṉ, ki apní taraf se kuchh ḳhayál bhí kar sakeṉ; balki hamárí liyáqat Ḳhudá kí taraf se hai; 6jis ne ham ko naye ʻahd ke ḳhádim hone ke láiq bhí kiyá: lafzoṉ ke ḳhádim nahíṉ, balki rúh ke; kyúṉki lafz már ḍálte haiṉ, magar rúh zinda kartí hai. 7Aur jab maut ká wuh ʻahd jis ke hurúf pattharoṉ par khode gaye the, aisá jalálwálá húá, ki baní Isráíl Músá ke chihre par, us jalál ke sabab se jo us ke chihre par thá, gaur se nazar na kar sake; háláṉki wuh ghaṭtá játá thá; 8to rúh ká ʻahd to zarúr hí jalálwálá hogá. 9Kyúṉki jab mujrim thahránewálá ʻahd jalálwálá thá, to rástbází ká ʻahd to zarúr hí jalálwálá hogá. 10Balki is súrat meṉ wuh jalálwálá is baṛe hí jalál ke sabab se bejalál ṭhahrá. 11Kyúṉki jab miṭnewálí chíz jalálwálí thí, to báqí rahnewálí chíz to zarúr hí jalálwálí hogí.

12Pas ham aisí ummed karke, baṛí dilerí se bolte haiṉ; 13aur Músá kí tarah nahíṉ haiṉ, jis ne apne chihre par niqáb ḍálí, táki baní Isráíl us miṭnewálí chíz ke anjám ko na dekh sakeṉ: 14lekin un ke ḳhayálát kasíf ho gaye: kyúṉki áj tak puráne ʻahdnáme ke paṛhte waqt, un ke diloṉ par wuhí parda paṛá rahtá hai; aur wuh Masíh meṉ uṭh játá hai. 15Magar áj tak jab kábhí Músá kí kitáb paṛhí játí hai, to un ke dil par parda paṛá rahtá hai. 16Lekin jab kabhí un ká dil Ḳhudáwand kí taraf phiregá, to wuh parda uth jáegá. 17Aur wuh Ḳhudáwand Rúh hai: aur jaháṉ kahíṉ Ḳhudáwand kí Rúh hai, waháṉ ázádí hai. 18Magar jab ham sab ke beniqáb chihroṉ se Ḳhudáwand ká jalál is tarah munʻakis hotá hai, jis tarah áíne meṉ, to us Ḳhudáwand ke wasíle se jo Rúh hai, ham usí jalálí súrat meṉ darja ba darja badalte játe haiṉ.

 

1 Tímuthiyus 1:5 (URDR55)

Hukm ká maqsad yih hai, ki pák dil aur nek níyat aur beriyá ímán se mahabbat paidá ho.

6In ko chhoṛkar baʻz shaḳhs behúda bakwás kí taraf mutawajjih ho gaye; 7aur sharíʻat ke muʻallim banná cháhte haiṉ, háláṉki jo báteṉ kahte haiṉ, aur jin ká yaqíní taur se daʻwá karte haiṉ, un ko samajhte bhí nahíṉ.

2 Tímuthiyus 2:21 (URDR55)

Pas jo koí in se ʻaláhida hokar apne taíṉ pák karegá, wuh ʻizzat ká bartan, aur muqaddas banegá, aur Málik ke kám ke láiq, aur har nek kám ke liye taiyár hogá.

 

Aʻmál 15:9 (URDR55)

aur ímán ke wasíle se un ke dil pák karke, ham meṉ aur un meṉ kuchh farq na rakkhá.

Amsál 16:2 (URDR55)

Insán kí nazar meṉ us kí sab rawisheṉ pák haiṉ: Lekin Ḳhudáwand rúhoṉ ko jáṉchtá hai.

1 Patras 1:16 (URDR55)

kyúṉki likhá hai, ki Pák ho, is liye ki maiṉ pák húṉ.

 

Amsál 20:9 (URDR55)

Kaun kah saktá hai ki Maiṉ ne apne dil ko sáf kar liyá hai, Aur maiṉ apne gunáh se pák ho gayá húṉ?

1 Patras 1:22 (URDR55)

Chúṉki tum ne haqq kí tábiʻdárí se apne diloṉ ko pák kiyá hai, jis se bháiyoṉ kí beriyá mahabbat paidá húí, is liye dil o ján se ápas meṉ bahut mahabbat rakkho;

2 Kurinthíoṉ 7:1 (URDR55)

Pas ai ʻazízo, chúṉki ham se aise waʻde kiye gaye, to áo, apne áp ko har tarah kí jismání aur rúhání álúdagí se pák kareṉ, aur Ḳhudá ke ḳhauf ke sáth pákízagí ko kamál tak pahuṉcháeṉ.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...