Skip to main content

आदम का गुनाह याक़ूब की पत्नियां लिआ राहेल के बेटे युसफ को बेचा इस्मालिओ...

Shalom masih yeshua men aap saboh ki salamati ho …..

Aap masih hain bible padne wale hain to

Is updesh ko sunna apke liye bauht khaas jaroori hai,,

1 Kurinthíoṉ 13:13 (URDR55)

G̣araz ímán, ummed, mahabbat, yih tínoṉ dáimí haiṉ; magar afzal in meṉ mahabbat hai.

 

To bible men

Ek tarah ki dharmikta nahi

Bible men abrahim hai jo khua ke sath iman men chala to ye uske liye dharmikta gina gaya

Uske baad isareliyon ki dharmika

Yani sahriat ki dahrmmikta

Or 10 hukmon ki dharmikta

Or iske baad hai faqihi farisi jo musaa ki shariyat ke ustad hain

Or inki apni alag alag raye hain

Musa ki sharit leke

Or yahudi nishan chahten or yunanai hikmat gyaan ki talash karte hain

Musa ki shariat ki kitab men se ye

Ye jo aaj ka updesh maish yesu ke fazl se hum sab sun pa rahen

Hain is updesh se aap apne bible padne ka dharmik star naap sakte ho,,

Kyu har baat ka ek muqraar waqt hai,,

Kis waqt waqt kis tarah kaonsi awastha men

Hum kaha kis dharmikta men kaise chalana chahiye

Is updesh se bakhubhi jaan pa gao aap

Ki masih dharmikta kya hai or masih dharmikta ka level kya hai or kya huna chahiye

Or ise aap jano ge apne aap men kis is main kis level par hun

 

To hum baat qar  rahen hain faqihi or farisi  ki

Aʻmál 23

;  8Kyúṉki Sadúqí to kahte haiṉ, ki na qiyámat hai, na koí firishta, na rúh; magar Farísí donoṉ ká iqrár karte haiṉ.

 

 

 

1 Kurinthíoṉ 1:22 (URDR55)

Chunáṉchi Yahúdí nishán cháhte haiṉ, aur Yúnání hikmat talásh karte haiṉ;

 

 

Matí 5

; 20Kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Agar tumhárí rástbází faqíhoṉ aur Farísíoṉ kí rástbází se ziyáda na hogí, to tum ásmán kí bádsháhat meṉ hargiz dáḳhil na hoge.

 

 

 

Galatíoṉ 3:6 (URDR55)

Chunáṉchi Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází giná gayá.

 

Yashú‘ 24

; 2Tab Yashú‘ ne un sab logoṉ se kahá, ki Ḳhudáwand Isráíl ká Ḳhudá yúṉ farmátá hai, ki Tumháre ábá, ya‘ní Abrahám, aur Nahúr ká báp, Tárah wag̣aira, qadím zamáne meṉ baṛe daryá ke pár rahte aur dúsre ma‘búdoṉ kí parastish karte the. 3Aur maiṉ ne tumháre báp Abrahám ko baṛe daryá ke pár se lekar Kan‘án ke sáre mulk meṉ us kí rahbarí kí, aur us kí nasl ko baṛháyá, aur use Izháq ‘ináyat kiyá. 4Aur maiṉ ne Izháq ko Ya‘qúb aur ‘Esau baḳhshe: aur ‘Esau ko koh i Sha‘ír diyá, ki wuh us ká málik ho: aur Ya‘qúb apní aulád samet Misr meṉ gayá. 5Aur maiṉ ne Músá aur Hárún ko bhejá, aur Misr par jo jo maiṉ ne us meṉ kiyá, us ke mutábiq merí már paṛí, aur us ke ba‘d maiṉ tum ko nikál láyá. 6Tumháre bápdádá ko maiṉ ne Misr se nikálá: aur tum samundar par áe; tab Misríoṉ ne rathoṉ aur sawároṉ ko lekar bahr i Qulzum tak tumháre bápdádá ká píchhá kiyá. 7Aur jab unhoṉ ne Ḳhudáwand se faryád kí, to us ne tumháre aur Misríoṉ ke darmiyán andherá kar diyá, aur samundar ko un par chaṛhá láyá, aur un ko chhipá diyá; aur tum ne jo kuchh maiṉ ne Misr meṉ kiyá apní áṉkhoṉ se dekhá: aur tum bahut dinoṉ tak biyábán meṉ rahe. 8Phir maiṉ tum ko Amoríoṉ ke mulk meṉ, jo Yardan ke us pár rahte the, le áyá; wuh tum se laṛe, aur maiṉ ne un ko tumháre háth meṉ kar diyá, aur tum ne un ke mulk par qabza kar liyá, aur maiṉ ne un ko tumháre áge se halák kiyá.

Nahamiyáh 9:7 (URDR55)

Tú wuh Ḳhudáwand Ḳhudá hai jis ne Abrám ko chun liyá aur use Kasdíoṉ ke Úr se nikál láyá, aur us ká nám Abrahám rakkhá;

 

Abraham ke naam ibrani men mukashafa hai

Khuda baap jo asmani hai sab kuch paida karne wala

Ye  Abraham ke naam ka mukashafa hai ibarani men

Bible ki mol bhasha hai

Ibrani or yunani yani greec

Sabse pehle kya hai iman

Ki dharmikta

Or wuh kisse hai Abraham se

Jisse alam shuru aat hui

ʻIbrá Níoṉ 11

; 3Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.

 

ʻIbrá Níoṉ 11

1Ab ímán ummed kí húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai. 2Kyúṉki usí kí bábat buzurgoṉ ke haqq meṉ achchhí gawáhí dí gayí.  4Ímán hí se Hábíl ne Qayin se afzal qurbání Ḳhudá ke liye guzrání; aur usí ke sabab us ke rástbáz hone kí gawáhí dí gayí; kyúṉki Ḳhudá ne us kí nazroṉ kí bábat gawáhí dí: aur agarchi wuh mar gayá hai, táham usí ke wasíle se ab tak kalám kartá hai. 5Ímán hí se Hanok uṭhá liyá gayá, táki maut ko na dekhe; aur chúṉki Ḳhudá ne use uṭhá liyá thá, is liye us ká patá na milá: kyúṉki uṭháe jáne se peshtar us ke haqq meṉ yih gawáhí dí gayí thí, ki yih Ḳhudá ko pasand áyá hai: 6aur bagair ímán ke us ko pasand áná námumkin hai: is liye ki Ḳhudá ke pás ánewále ko ímán láná cháhiye, ki wuh maujúd hai, aur apne táliboṉ ko badla detá hai. 7Ímán hí ke sabab se Núh ne un chízoṉ kí bábat, jo us waqt tak nazar na átí thíṉ, hidáyat pákar, Ḳhudá ke ḳhauf se apne gharáne ke bacháo ke liye kishtí banáí; jis se us ne dunyá ko mujrim ṭhahráyá, aur us rástbází ká wáris húá, jo ímán se hai. 8Ímán hí ke sabab se Ibráhím jab buláyá gayá, to hukm mánkar us jagah chalá gayá, jise mírás meṉ lenewálá thá; aur agarchi jántá na thá, ki maiṉ kaháṉ játá húṉ, táham rawána ho gayá. 9Ímán hí se us ne waʻda kiye húe mulk meṉ is tarah musáfirána taur par búd o básh kí, ki goyá gair mulk hai, aur Izháq aur Yaʻqúb samet jo us ke sáth usí waʻde ke wáris the, ḳhaimoṉ meṉ sukúnat kí. 10Kyúṉki wuh us páedár shahr ká ummedwár thá, jis ká miʻmár aur banánewálá Ḳhudá hai. 11Ímán hí se Sáráh ne bhí sinn i yás ke baʻd hámila hone kí táqat páí, is liye ki us ne waʻda karnewále ko sachchá jáná: 12pas ek shaḳhs se jo murda sá thá, ásmán ke sitároṉ ke barábar kasír, aur samundar ke kanáre kí ret ke barábar beshumár aulád paidá húí.

13Yih sab ímán kí hálat meṉ mare, aur waʻda kí húí chízeṉ na páíṉ, magar dúr hí se unheṉ dekhkar ḳhush húe, aur iqrár kiyá, ki ham zamín par pardesí aur musáfir haiṉ. 14Jo aisí báteṉ kahte haiṉ, wuh záhir karte haiṉ, ki ham apne watan kí talásh meṉ haiṉ. 15Aur jis mulk se wuh nikal áe the, agar us ká ḳhayál karte, to unheṉ wápas jáne ká mauqaʻ thá. 16Magar haqíqat meṉ wuh ek bihtar, yaʻní ásmání, mulk ke mushtáq the. Isí liye Ḳhudá un se, yaʻní un ká Ḳhudá kahláne se, sharmáyá nahíṉ: chunáṉchi us ne un ke liye ek shahr taiyár kiyá.

17Ímán hí se Ibráhím ne ázmáish ke waqt Izháq ko nazr guzráná: aur jis ne waʻdoṉ ko sach mán liyá thá, wuh us iklaute ko nazr karne lagá, 18jis kí bábat yih kahá gayá thá, ki Izháq hí se terí nasl kahláegí: 19kyúṉki wuh samjhá, ki Ḳhudá murdoṉ meṉ se jiláne par bhí qádir hai; chunáṉchi un hí meṉ se tamsíl ke taur par wuh use phir milá. 20Ímán hí se Izháq ne honewálí bátoṉ kí bábat bhí Yaʻqúb aur ʻEsáú donoṉ ko duʻá dí. 21Ímán hí se Yaʻqúb ne marte waqt Yúsuf ke donoṉ beṭoṉ meṉ se har ek ko duʻá dí, aur apne ʻasá ke sire par sahárá lekar sijda kiyá. 22Ímán hí se Yúsuf ne, jab wuh marne ke qaríb thá, baní Isráíl ke ḳhurúj ká zikr kiyá, aur apní haḍḍiyoṉ kí bábat hukm diyá. 23Ímán hí se Músá ke máṉ báp ne us ke paidá hone ke baʻd tín mahíne tak us ko chhipáe rakkhá; kyúṉki unhoṉ ne dekhá ki bachcha ḳhúbsúrat hai, aur wuh bádsháh ke hukm se na ḍáre. 24Ímán hí se Músá ne baṛe hokar Firʻaun kí beṭí ká beṭá kahláne se inkár kiyá; 25is liye ki us ne gunáh ká chandroza lutf uṭháne kí nisbat, Ḳhudá kí ummat ke sáth meṉ badsulúkí ká bardásht karná ziyáda pasand kiyá; 26aur Masíh ke liye laʻn taʻn uṭháne ko Misr ke ḳhazánoṉ se baṛí daulat jáná; kyúṉki us kí nigáh ajr páne par thí. 27Ímán hí se us ne, bádsháh ke gusse ká ḳhauf na karke, Misr ko chhoṛ diyá, is liye ki wuh andekhe ko goyá dekhkar sábitqadam rahá. 28Ímán hí se us ne Fasah karne aur ḳhún chhiṛakne par ʻamal kiyá, táki pahlauṭhoṉ ká halák karnewálá baní Isráíl ko háth na lagáe. 29Ímán hí se wuh Bahr i Qulzum se is tarah guzar gaye, jaise ḳhushk zamín par se, aur jab Misríoṉ ne yih qasd kiyá to dúb gaye. 30Ímán hí se Yarího kí shahrpanáh, jab sát din tak us ke gird phir chuke, to gir paṛí. 31Ímán hí se Ráháb fáhisha náfarmánoṉ ke sáth halák na húí, kyúṉki us ne jásúsoṉ ko amn se rakkhá thá. 32Ab âur kyá kahúṉ? Itní fursat kaháṉ ki Gidʻon, aur Báráq, aur Shimshon, aur Yiftah, aur Dáúd, aur Samwíl, aur âur nabíoṉ ká ahwál bayán karúṉ? 33Unhoṉ ne ímán hí ke sabab se bádsháhatoṉ ko maglúb kiyá, rástbází ke kám kiye, waʻda kí húí chízoṉ ko hásil kiyá, sheroṉ ke muṉh band kiye, 34ág kí tezí ko bujháyá, talwár kí dhár se bach nikle, kamzorí meṉ zoráwar húe, laṛáí meṉ bahádur bane, gairoṉ kí faujoṉ ko bhagá diyá. 35ʻAuratoṉ ne apne murde phirke zinda páe; baʻz már kháte kháte mar gaye, magar riháí manzúr na kí, táki un ko bihtar qiyámat nasíb ho; 36baʻz ṭhaṭṭhoṉ meṉ uṛáe jáne, aur koṛe kháne, balki zanjíroṉ meṉ báṉdhe jáne aur qaid meṉ paṛne se ázmáe gaye; 37saṉgsár kiye gaye; áre se chíre gaye; ázmáish meṉ paṛe; talwár se máre gaye; bheṛoṉ aur bakriyoṉ kí khál oṛhe húe, muhtájí meṉ, musíbat meṉ, badsulúkí kí hálat meṉ máre máre phire; 38dunyá un ke láiq na thí; wuh jangaloṉ, aur paháṛoṉ, aur gároṉ, aur zamín ke gaṛhoṉ meṉ áwára phirá kiye. 39Aur agarchi in sab ke haqq meṉ ímán ke sabab se achchhí gawáhí dí gayí, táham unheṉ waʻda kí húí chíz na milí; 40is liye ki Ḳhudá ne peshbíní karke hamáre liye koí bihtar chíz tajwíz kí thí, táki wuh hamáre bagair kámil na kiye jáeṉ.

 

Aʻmál 7

; Ai bháiyo, aur buzurgo, suno. Ḳhudá e Zuʼl jalál hamáre báp Ibráhím par us waqt záhir húá, jab wuh Hárán meṉ basne se peshtar Masopatámiya meṉ thá; 3aur us se kahá, ki Apne mulk aur apne kunbe se nikalkar us mulk meṉ chalá já, jisé maiṉ tujhe dikháúṉgá. 4Is par wuh Kasdíoṉ ke mulk se nikalkar Hárán meṉ já basá; aur waháṉ se, us ke báp ke marne ke baʻd, Ḳhudá ne us ko is mulk meṉ lákar basá diyá, jis men tum ab baste ho. 5Aur Us ko kuchh mírás, balki qadam rakhne kí bhí us meṉ jagah na dí: magar waʻda kiyá, ki maiṉ yih zamín tere, aur tere baʻd terí nasl ke qabze meṉ kar dúṉgá; háláṉki us ke aulád na thí. 6Aur Ḳhudá ne yih farmáyá, ki Terí nasl gair mulk meṉ pardesí hogí; wuh un ko gulámí meṉ rakkheṉge, aur chár sau baras tak un se badsulúkí kareṉge. 7Phir Ḳhudá ne kahá, ki Jis qaum kí wuh gulámí meṉ raheṉge, us ko maiṉ sazá dúṉgá: aur us ke baʻd wuh nikalkar isí jagah merí ʻibádat kareṉge. 8Aur us ne us se ḳhatne ká ʻahd báṉdhá; aur isí hálat meṉ Ibráhím se Izháq paidá húá, aur áṭhweṉ din us ká ḳhatna kiyá gayá; aur Izháq se Yaʻqúb, aur Yaʻqúb se bárah qabíloṉ ke buzurg paidá húe. 9Aur buzurgoṉ ne hasad meṉ ákar Yúsuf ko bechá, ki Misr meṉ pahuṉch jáe: magar Ḳhudá us ke sáth thá, 10aur us kí sab musíbatoṉ se us ko chhuṛáyá, aur Misr ke bádsháh Firʻaun ke nazdík us ko maqbúlíyat aur hikmat baḳhshí, aur us ne use Misr aur apne sáre ghar ká sardár kar diyá. 11Phir Misr ke sáre mulk aur Kanʻán meṉ kál paṛá, aur baṛí musíbat áí; aur hamáre bápdádá ko kháná na miltá thá. 12Lekin Yaʻqúb ne yih sunkar, ki Misr meṉ anáj hai, hamáre bápdádá ko pahlí bár bhejá. 13Aur dúsrí bár Yúsuf apne bháiyoṉ par záhir ho gayá, aur Yúsuf kí qaumíyat Firʻaun ko maʻlúm ho gayí. 14Phir Yúsuf ne apne báp Yaʻqúb aur sáre kunbe ko, jo pachhattar jáneṉ thíṉ, bulá bhejá. 15Aur Yaʻqúb Misr meṉ gayá; waháṉ wuh aur hamáre bápdádá mar gaye. 16Aur wuh shahr Shikim meṉ pahuṉcháe gaye, aur us maqbare meṉ dafn kiye gaye, jis ko Ibráhím ne Shikim meṉ rupaya dekar baní Hamor se mol liyá thá. 17Lekin jab us waʻde kí míʻád púrí hone ko thí, jo Ḳhudá ne Ibráhím se farmáyá thá, to Misr meṉ wuh ummat baṛh gayí, aur un ká Shumár ziyáda hotá gayá, 18us waqt tak ki dúsrá bádsháh Misr par hukmrán húá, jo Yúsuf ko na jántá thá. 19Us ne hamárí qaum se chálákí karke hamáre bápdádá ke sáth yaháṉ tak badsulúkí kí, ki unheṉ apne bachche pheṉkne paṛe, táki zinda na raheṉ. 20Is mauqaʻ par Músá paidá húá, jo niháyat ḳhúbsúrat thá; wuh tín mahíne tak apne báp ke ghar meṉ pálá gayá. 21Magar jab pheṉk diyá gayá, to Firʻaun kí beṭí ne use uṭhá liyá, aur apná beṭá karke pálá. 22Aur Músa ne Misríoṉ ke tamám ʻulúm kí taʻlím páí; aur wuh kalám aur kám meṉ quwwatwálá thá. 23Aur jab wuh chálís baras ke qaríb húá, to us ke jí meṉ áyá, ki maiṉ apne baní Isráíl bháiyoṉ ká hál dekhúṉ. 24Chunáṉchi un meṉ se ek ko zulm uṭháte dekhkar us kí himáyat kí, aur Misrí ko márkar mazlúm ká badla liyá. 25Us ne to ḳhayál kiyá, ki mere bháí samajh leṉge, ki Ḳhudá mere háthoṉ unheṉ chhuṭkárá degá; magar wuh na samjhe. 26Phir dúsre din wuh un meṉ se do laṛte húoṉ ke pás á niklá, aur yih kahkar unheṉ sulh karne kí targíb dí, ki Ai jawáno, tum to bháí bháí ho; kyúṉ ek dúsre par zulm karte ho? 27Lekin jo apne paṛausí par zulm kar rahá thá, us ne yih kahkar use haṭá diyá, ki Tujhe kis ne ham par hákim aur qází muqarrar kiyá? 28Kyá tú mujhe bhí qatl karná cháhtá hai, jis tarah kal us Misrí ko qatl kiyá thá? 29Músá yih bát sunkar bhág gayá, aur Midyán ke mulk meṉ pardesí rahá kiyá, aur waháṉ us ke do beṭe paidá húe. 30Aur jab púre chálís baras ho gaye, to Koh i Síná ke biyábán meṉ, jaltí húí jháṛí ke shuʻle ke bích, us ko ek firishta dikháí diyá. 31Jab Músá ne us par nazar kí, to us nazzáre se taʻajjub kiyá; aur jab dekhne ko nazdík gayá, to Ḳhudáwand kí áwáz ái, 32ki Maiṉ tere bápdádá ká Ḳhudá, yaʻní Ibráhím, aur Izháq, aur Yaʻqúb ká Ḳhudá húṉ. Tab to Músá káṉp gayá, aur us ko dekhne kí jurʼat na rahí. 33Ḳhudáwand ne us se kahá, ki Apne páṉwoṉ se jútí utár le: kyúṉki jis jagah tú khaṛá hai, wuh pák zamín hai. 34Maiṉ ne wáqaʻí apní us ummat kí musíbat dekhí, jo Misr meṉ hai, aur un ká áh o nála suná; pas unheṉ chhuṛáne utrá húṉ: ab á, maiṉ tujhe Misr meṉ bhejúṉgá. 35Jis Músá ká unhoṉ ne yih kahkar inkár kiyá thá, ki Tujhe kis ne hákim aur qází muqarrar kiyá? usí ko Ḳhudá ne hákim aur chhuṛánewálá ṭhahrákar us firishte ke zaríʻe se bhejá, jo use jháṛí meṉ nazar áyá thá. 36Yihí shaḳhs unheṉ nikál láyá, aur Misr, aur Bahr i Qulzum, aur biyábán meṉ chálís baras tak ʻajíb kám aur nishán dikháe. 37Yih wuhí Músá hai, jis ne baní Isráíl se kahá, ki Ḳhudá tumháre bháiyoṉ meṉ se tumháre liye mujh sá ek nabí paidá karegá. 38Yih wuhí hai, jo biyábán kí kalísiyá meṉ us firishte ke sáth, jo Koh i Síná par us se hamkalám húá, aur hamáre bápdádá ke sáth thá. Usí ko zinda kalám milá, ki ham tak pahuṉchá de; 39magar hamáre bápdádá ne us ká farmánbardár honá na cháhá, balki us ko haṭá diyá, aur un ke dil Misr kí taraf máil húe; 40aur unhoṉ ne Hárún se kahá, ki Hamáre liye aise maʻbúd baná, jo hamáre áge áge chaleṉ: ḳyúṉki yih Músá jo hameṉ Misr ke mulk se nikál láyá, ham nahíṉ jánte ki wuh kyá húá. 41Aur un dinoṉ meṉ unhoṉ ne ek bachhṛá banáyá, aur us but ko qurbání chaṛháí, aur apne háthoṉ ke kámoṉ kí ḳhushí manáí. 42Pas Ḳhudá ne muṉh moṛkar unheṉ chhoṛ diyá, ki ásmání fauj ko pújeṉ;

 

Iman ki dhatmikta men hi khudawand khuda ne Abraham se wade kiye

Paidáish 12

1Aur Ḳhudáwand ne Abrám se kahá, ki Tú apne watan aur apne nátedároṉ ke bích se, aur apne báp ke ghar se nikalkar us mulk meṉ já jo maiṉ tujhe dikháúṉgá. 2Aur maiṉ tujhe ek baṛí qaum banáúṉgá, aur barakat dúṉgá, aur terá nám sarfaráz karúṉgá, so tú bá‘is i barakat ho; 3jo tujhe mubárak kaheṉ, un ko maiṉ barakat dúṉgá; aur jo tujh par la‘nat kare, us par maiṉ la‘nat karúṉgá; aur zamín ke sab qabíle tere wasíle se barakat páeṉge. 4So Abrám, Ḳhudáwand ke kahne ke mutábiq, chal paṛá; aur Lút us ke sáth gayá; aur Abrám pachhattar baras ká thá, jab wuh Hárán se rawána húá. 5Aur Abrám ne apní bíwí Sáraí aur apne bhatíje Lút ko aur sab mál ko, jo unhoṉ ne jama‘ kiyá thá, aur un ádmíoṉ ko, jo un ko Hárán meṉ mil gaye the, sáth liyá; aur wuh mulk i Kan‘án ko rawána húe aur mulk i Kan‘án meṉ áe.

Paidáish 15

1In bátoṉ ke ba‘d Ḳhudáwand ká kalám royá meṉ Abrám par názil húá aur us ne farmáyá, Ai Abrám, tú mat ḍar: maiṉ terí sipar aur terá bahut baṛá ajr húṉ. 2Abrám ne kahá, ki Ai Ḳhudáwand Ḳhudá, tú mujhe kyá degá? kyúṉki maiṉ to beaulád játá húṉ, aur mere ghar ká muḳhtár Damishqí Ilí‘azar hai. 3Phir Abrám ne kahá, ki Dekh, tú ne mujhe koí aulád nahíṉ dí: aur dekh, merá ḳhánazád merá wáris hogá. 4Tab Ḳhudáwand ká kalám us par názil húá aur us ne farmáyá: Yih terá wáris na hogá, balki wuh jo tere sulb se paidá hogá, wuh terá wáris hogá. 5Aur wuh us ko báhar le gayá, aur kahá, ki Ab ásmán kí taraf nigáh kar, aur agar tú sitároṉ ko gin saktá hai, to gin: aur us se kahá, ki Terí aulád aisí hí hogí. 6Aur wuh Ḳhudáwand par ímán láyá: aur ise us ne us ke haqq meṉ rástbází shumár kiyá. 7Aur us ne us se kahá, ki Maiṉ Ḳhudáwand húṉ, jo tujhe Kasdíoṉ ke Úr se nikál láyá, ki tujh ko yih mulk mírás meṉ dúṉ

13Aur us ne Abrám se kahá, ki Yaqín ján ki terí nasl ke log aise mulk meṉ, jo un ká nahíṉ, pardesí hoṉge, aur waháṉ ke logoṉ kí g̣ulámí kareṉge, aur wuh chár sau baras tak un ko dukh deṉge; 14lekin maiṉ us qaum kí ‘adálat karúṉgá, jis kí wuh g̣ulámí kareṉge, aur ba‘d meṉ wuh baṛí daulat lekar waháṉ se nikal áeṉge. 15Aur tú sahíh salámat apne bápdádá se já milegá, aur niháyat pírí meṉ dafn hogá. 16Aur wuh chauthí pusht meṉ, yaháṉ lauṭ áeṉge; kyúṉki Amoríoṉ ke gunáh ab tak púre nahíṉ húe

Paidáish 17

1Jab Abrám ninánawe baras ká húá, tab Ḳhudáwand Abrám ko nazar áyá, aur us se kahá, ki Maiṉ Ḳhudá e Qádir húṉ; tú mere huzúr meṉ chal, aur kámil ho. 2Aur maiṉ apne aur tere darmiyán ‘ahd báṉdhúṉgá, aur tujhe bahut ziyáda baṛháúṉgá. 3Tab Abrám sarnigún ho gayá, aur Ḳhudá ne us se hamkalám hokar farmáyá, 4ki Dekh, merá ‘ahd tere sáth hai; aur tú bahut qaumoṉ ká báp hogá. 5Aur terá nám phir Abrám nahíṉ kahláegá, balki terá nám Abrahám hogá; kyúṉki maiṉ ne tujhe bahut qaumoṉ ká báp ṭhahrá diyá hai. 6Aur maiṉ tujhe bahut baromand karúṉgá, aur qaumeṉ terí nasl se hoṉgí, aur bádsháh terí aulád meṉ se barpá hoṉge. 7Aur maiṉ apne aur tere darmiyán, aur tere ba‘d terí nasl ke darmiyán un kí sab pushtoṉ ke liye, apná ‘ahd, jo abadí ‘ahd hogá, báṉdhúṉgá, táki maiṉ terá aur tere ba‘d terí nasl ká Ḳhudá rahúṉ. 8Aur maiṉ tujh ko, aur tere ba‘d terí nasl ko, Kan‘án ká tamám mulk, jis meṉ tú pardesí hai aisá dúṉgá, ki wuh dáimí milkíyat ho jáe; aur maiṉ un ká Ḳhudá húṉgá. 9Phir Ḳhudá ne Abrahám se kahá, ki Tú mere ‘ahd ko mánná, aur tere ba‘d terí nasl pusht dar pusht use máne. 10Aur merá ‘ahd, jo mere aur tere darmiyán, aur tere ba‘d terí nasl ke darmiyán hai, aur jise tum mánoge, so yih hai, ki tum meṉ se har ek farzand i narína ká ḳhatna kiyá jáe. 11Aur tum apne badan kí khalṛí ká ḳhatna kiyá karná; aur yih us ‘ahd ká nishán hogá, jo mere aur tumháre darmiyán hai. 12Tumháre háṉ pusht dar pusht har laṛke ká ḳhatna, jab wuh áṭh roz ká ho, kiyá jáe, ḳhwáh wuh ghar meṉ paidá ho, ḳhwáh use kisí pardesí se ḳharídá ho, jo terí nasl se nahíṉ. 13Lázim hai, ki tere ḳhánazád aur tere zarḳharíd ká ḳhatna kiyá jáe, aur merá ‘ahd tumháre jism meṉ abadí ‘ahd hogá. 14Aur wuh farzand i narína, jis ká ḳhatna na húá ho, apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáe, kyúṉki us ne merá ‘ahd toṛá.

15Aur Ḳhudá ne Abrahám se kahá, ki Sáraí jo terí bíwí hai, so us ko Sáraí na pukárná; us ká nám Sárah hogá. 16Aur maiṉ use barakat dúṉgá, aur us se bhí tujhe ek beṭá baḳhshúṉgá; yaqínan maiṉ use barakat dúṉgá, ki qaumeṉ us kí nasl se hoṉgí aur ‘álam ke bádsháh us se paidá hoṉge. 17Tab Abrahám sarnigún húá, aur haṉskar dil meṉ kahne lagá, ki Kyá sau baras ke buḍḍhe se beṭá hogá; aur kyá Sárah ke jo nawwe baras kí hai, aulád hogí? 18Aur Abrahám ne Ḳhudá se kahá, ki Kásh Ismá‘íl tere huzúr jítá rahe! 19Tab Ḳhudá ne farmáyá, ki Beshakk terí bíwí Sárah ke tujh se beṭá hogá; tú us ká nám Izháq rakhná; aur maiṉ us se, aur phir us kí aulád se, apná ‘ahd, jo abadí ‘ahd hai, báṉdhúṉgá. 20Aur Ismá‘íl ke haqq meṉ bhí maiṉ ne terí du‘á suní: dekh, maiṉ use barakat dúṉgá, aur use baromand karúṉgá, aur use bahut baṛháúṉgá; aur us se bárah sardár paidá hoṉge, aur maiṉ use baṛí qaum banáúṉgá. 21Lekin maiṉ apná ‘ahd Izháq se báṉdhúṉgá, jo agle sál isí waqt i mu‘aiyan par, Sárah se paidá hogá. 22Aur jab Ḳhudá Abrahám se báteṉ kar chuká, to us ke pás se úpar chalá gayá. 23Tab Abrahám ne apne beṭe Ismá‘íl ko aur sab ḳhánazádoṉ, aur apne sab zarḳharídoṉ ko, ya‘ní apne ghar ke sab mardoṉ ko liyá aur usí roz Ḳhudá ke hukm ke mutábiq un ká ḳhatna kiyá. 24Abrahám ninánawe baras ká thá jab us ká ḳhatna húá. 25Aur jab us ke beṭe Ismá‘íl ká ḳhatna húá to wuh terah baras ká thá. 26Abrahám aur us ke bete Ismá‘íl ká ḳhatna ek hí din húá. 27Aur us ke ghar ke sab mardoṉ ká ḳhatna, ḳhánazádoṉ aur un ká bhí jo pardesíoṉ se ḳharíde gaye the, us ke sáth húá.

 

Yaʻqúb 2

;  23aur yih nawishta púrá húá, ki Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbázi giná gayá, aur wuh Ḳhudá ká dost kahláyá.

Galatíoṉ 3

;  6Chunáṉchi Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází giná gayá. 7Pas ján lo, ki jo ímánwále haiṉ, wuhí Ibráhím ke farzand haiṉ. 8Aur kitáb i muqaddas ne peshtár se yih jánkar, kí Ḳhudá gairqaumoṉ ko ímán se rástbáz ṭhahráegá, pahle hí se Ibráhím ko yih ḳhushḳhabarí suná dí, ki Tere báʻis sárí qaumeṉ barakat páeṉgí. 9Pas jo ímánwále haiṉ, wuh ímándár Ibráhím ke sáth barakat páte haiṉ.

Ab sirf iman ki dharmikta hai jo wuh hai Abraham ke dwara or jitney iman wale

Hain wuh Abraham ke farzand hain

Galatíoṉ 3

; 16Pas Ibráhím aur us kí nasl se waʻde kiye gaye. Wuh yih nahíṉ kahtá, ki nasloṉ se, jaisá bahutoṉ ke wáste kahá játá hai; balki jaisá ek ke wáste, ki Terí nasl ko; aur wuh Masíh hai.

 

Galatíoṉ 3

; 17Merá yih matlab hai, ki Jis ʻahd kí Ḳhudá ne pahle se tasdíq kí thí, us ko sharíʻat chár sau tís baras ke baʻd ákar bátil nahíṉ kar saktí, ki wuh waʻda láhásil ho.

Uske baad 430 saal baad ayi jism ki dharmikta

Jo Israel jiska naam yaqub tha

Uski jo nasle thi 12 gutaro men se

Phir shariat di gai musa ke dwara

Yani 10 hukam

Yúhanná 1:17 (URDR55)

Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí;

Di kinku  gai

Yaqub jiska naam baad men isarel hua

Uske jo barah bête hain,, unko naslo men

Se jo koi bhi hai,, unko

Or ye sari ki sari jismani dharmikta hai

10 hukmon ki dharmikta

 

 

Galatíoṉ 3:12 (URDR55)

aur sharíʻat ko ímán se kuchh wásta nahíṉ;

 

Galatíoṉ 3

;  19Pas sharíʻat kyá rahí? Wuh náfarmáníoṉ ke sabab se baʻd meṉ dí gayí, ki us nasl ke áne tak rahe jis se waʻda kiyá gayá thá; aur wuh firishtoṉ ke wasíle se ek darmiyání kí maʻrifat muqarrar kí gayí.

 

Romíoṉ 5:14 (URDR55)

Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá.

 

Romíoṉ 5

; 20Aur bích meṉ sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe;

1 Tímuthiyus 1

; 9yaʻní yih samajhkar ki sharíʻat rástbázoṉ ke liye muqarrar nahíṉ húí, balki besharaʻ aur sarkash logoṉ, aur bedínoṉ, aur gunahgároṉ, aur nápákoṉ, aur rindoṉ, aur máṉ báp ke qátiloṉ, aur ḳhúníoṉ, 10aur harámkároṉ, aur launḍebázoṉ, aur bardafaroshoṉ, aur jhúṭhoṉ, aur jhúṭhí qasam khánewáloṉ, aur in ke siwá sahíh taʻlím ke âur barḳhiláf kám karnewáloṉ ke wáste hai;

ʻIbrá Níoṉ 7:19 (URDR55)

(kyúṉki sharíʻat ne kisí chíz ko kámil nahíṉ kiyá),

 

Romíoṉ 4:15 (URDR55)

Kyúṉki sharíʻat to gazab paidá kartí hai;

 

Romíoṉ 7:5 (URDR55)

Kyúṉki jab ham jismání the, to gunáh kí ragbateṉ, jo sharíʻat ke báʻis paidá hotí thíṉ, maut ká phal paidá karne ke liye hamáre aʻzá meṉ tásír kartí thíṉ.

 

maut ká wuh ʻahd jis ke hurúf pattharoṉ par khode gaye the,

2 Kurinthíoṉ 3:7

 

Galatíoṉ 4

; 4lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le, aur ham ko lepálak hone ká darja mile.

Yani isarel ke barah gutro ki  baat ho rahi jinko iman se kuch vasta nhi

Matí 15

; 24Us ne jawáb meṉ kahá, ki Maiṉ Isráíl ke gharáne kí khoí húí bheṛoṉ ke siwá âur kisí ke pás nahíṉ bhejá gayá

Lúqá 24

; 44Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ.

Lúqá 24

;  27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ.

 

Matí 5

; 17Yih na samjho, ki maiṉ Tauret yá nabíoṉ kí kitáboṉ ko mansúḳh karne áyá húṉ; mansúḳh karne nahíṉ, balki púrá karne áyá húṉ.

 

Galatíoṉ 3

;  11Aur yih bát záhir hai, kí sharíʻat ke wasíle se koí shaḳhs Ḳhudá ke nazdík rástbáz nahíṉ ṭhahrtá: kyúṉki likhá hai, kí Rástbáz ímán se jítá rahegá: 12aur sharíʻat ko ímán se kuchh wásta nahíṉ; balki likhá hai, ki Jis ne in par ʻamal kiyá, wuh in ke sabab se jítá rahegá. 13Masíh jo hamáre liye laʻnatí baná, us ne hameṉ mol lekar sharíʻat kí laʻnat se chhuṛáyá: kyúṉki likhá hai, ki Jo koí lakṛí par laṭkáyá gayá, wuh laʻnatí hai: 14táki Masíh Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.

 

Kulussíoṉ 2

; 9kyúṉki Ulúhíyat kí sárí maʻmúrí usí meṉ mujassam hokar sukúnat kartí hai, 10aur tum usí meṉ maʻmúr ho gaye ho, jo sárí hukúmat aur iḳhtiyár ká sir hai: 11usí meṉ tumhárá aisá ḳhatna húá, jo háth se nahíṉ hotá, yaʻní Masíh ká ḳhatna, jis se jismání badan utárá játá hai; 12aur usí ke sáth baptisma meṉ dafn húe, aur is meṉ Ḳhudá kí quwwat par ímán lákar, jis ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, us ke sáth jí bhí uṭhe. 13Aur us ne tumheṉ bhí, jo apne qusúroṉ aur jism kí námakhtúní ke sabab se murda the, us ke sáth zinda kiyá, aur hamáre sab qusúr muʻáf kiye; 14aur hukmoṉ kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá diyá: 15us ne hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se utárkar un ká barmalá tamásha banáyá, aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká shádiyána bajáyá.

Ifisíoṉ 2

1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the,

Galatíoṉ 5

;  14Kyúṉki sárí sharíʻat par ek hí bát se púrá ʻamal ho játá hai, yaʻní is se, ki Tú apne paṛausí se apní mánind mahabbat rakh. 15Lekin agar tum ek dúsre ko káṭte aur pháṛe kháte ho, to ḳhabardár rahná, ki ek dúsre ká satyanás na kar do.

Matí 22

; 38Baṛá aur pahlá hukm yihí hai. 39Aur dúsrá us kí mánind yih hai, ki Apne paṛausí se apne barábar mahabbat rakh. 40In hí do hukmoṉ par tamám Tauret aur ambiyá ke sahífoṉ ká madár hai.

Romíoṉ 13

; 8Ápas kí mahabbat ke siwá, kisí chíz meṉ kisí ke qarzdár na ho; kyúṉki jo dúsre se mahabbat rakhtá hai, us ne sharíʻat par púrá ʻamal kiyá. 9Kyúṉki yih báteṉ, ki Ziná na kar, Ḳhún na kar, Chorí na kar, Lálach na kar, aur in ke siwá âur jo koí hukm ho, un sab ká ḳhulása is bát meṉ páyá játá hai, ki Apne paṛausí se apní mánind mahabbat rakh. 10Mahabbat apne paṛausí se badí nahíṉ kartí; is wáste mahabbat sharíʻat kí taʻmíl hai.

Romíoṉ 5:8 (URDR55)

Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá.

Romíoṉ 8

; 2Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá. 3Is liye ki jo kám shariʻat, jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ.

Yúhanná 3

; 16Kyúṉki Ḳhudá ne dunyá se aisí mahabbat rakkhí, ki us ne apná iklautá Beṭá baḳhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe halák na ho, balki hamesha kí zindagi páe.

 

Ifisíoṉ 5

1Pas ʻazíz farzandoṉ kí tarah Ḳhudá kí mánind bano; 2aur mahabbat se chalo, jaise Masíh ne tum se mahabbat kí, aur hamáre wáste apne áp ko ḳhushbú kí mánind Ḳhudá kí nazr karke qurbán kiyá.

1 Tímuthiyus 1:5 (URDR55)

Hukm ká maqsad yih hai, ki pák dil aur nek níyat aur beriyá ímán se mahabbat paidá ho.

 

https://www.bible.com/bible/1553/2CO.3.7

ye dharmikta rahi

Lúqá 16:16 (URDR55)

Sharíʻat aur ambiyá Yúhanná tak rahe;

us waqt se Ḳhudá kí bádsháhat kí ḳhushḳhabarí dí játí hai, aur har ek zor márkar us meṉ dáḳhil hotá hai.

 

Yuhana jo baptisma dene wala hai waha tak

 

Phir 3 dharmikta hai  fazl or sachchai ki dharmikta

Jo masih yesu par iman lane se muft rastbaazi di jati hai

Yúhanná 1:17 (URDR55)

magar fazl aur sachcháí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat pahuṉchi.

 

 

Yeh masih yesu ki dharmikta

Yani khuda baap ki dharmikta

Ab hum last men baat kar rahen hain masih zindghi jisko

Hum chrtinity kehte hain masah ki zindghi

Aʻmál 11

; aur shágird pahle Antákiya hí meṉ Masíhí kahláe.

To chirtinity ki masihiyat ki shuruat hoti hai

Masih yesu se magar kis waqt or kaha se  jis din se masih yesu tisre din murdo men se ji uthe ruh l quds ki madad se or baap ke jalal men

 

ʻIbrá Níoṉ 1

1Agle zamáne meṉ Ḳhudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabíoṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke áḳhir meṉ ham se Beṭe kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízoṉ ká wáris ṭhahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízoṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáhoṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já baiṭhá; 4aur firishtoṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás meṉ un se afzal nám páyá. 5Kyúṉki firishtoṉ meṉ se us ne kab kisí se kahá, ki

Tú merá Beṭá hai,

Áj tú mujh se paidá húá?

 

1 Kurinthíoṉ 15

; 3Chunáṉchi maiṉ ne sab se pahle tum ko wuhí bát pahuṉchá dí, jo mujhe pahuṉchí thí, ki Masíh kitáb i muqaddas ke bamújib hamáre gunáhoṉ ke liye múá; 4aur dafn húá; aur tísre din kitáb i muqaddas ke bamújib jí uṭhá; 5aur Kefá ko, aur us ke baʻd un bárah ko dikháí diyá; 6phir páṉch sau se ziyáda bháiyoṉ ko ek sáth dikháí diyá, jin meṉ se aksar ab tak maujúd haiṉ, aur baʻz so gaye; 7phir Yaʻqúb ko dikháí diyá; phir sáre rasúloṉ ko; 8aur sab se píchhe mujh ko, jo goyá adhúre dinoṉ kí paidáish húṉ, dikháí diyá.

Aʻmál 2

1Jab ʻÍd i Pintekust ká din áyá, to wuh sab ek jagah jamaʻ the; 2ki yakáyak ásmán se aisí áwáz áí, jaise zor kí áṉdhí ká sannáṭá hotá hai, aur us se sárá ghar jaháṉ wuh baiṭhe the, gúṉj gayá. 3Aur unheṉ ág ke shuʻle kí sí phaṭtí húí zabáneṉ dikháí díṉ; aur un meṉ se har ek par á ṭhahríṉ. 4Aur wuh sab Rúhuʼl Quds se bhar gaye, aur gair zabáneṉ bolne lage, jis tarah Rúh ne unheṉ bolne kí táqat baḳhshí.

Ye hai masih zindghi ki shuru aat

Or yaha se

Yani ruh l quds  se

2 Kurinthíoṉ 5:17 (URDR55)

Is liye agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai: purání chízeṉ játí rahíṉ; dekho, wuh nayí ho gayíṉ.

2 Kurinthíoṉ 5:18 (URDR55)

Aur sab chízeṉ Ḳhudá kí taraf se haiṉ, jis ne Masíh ke wasíle se apne sáth hamárá mel miláp kar liyá, aur mel miláp kí ḳhidmat hamáre supurd kí;

Romíoṉ 8:10 (URDR55)

Aur agar Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh rástbází ke sabab se zinda hai.

Romíoṉ 6:11 (URDR55)

Isí tarah tum bhí apne áp ko gunáh ke iʻtibár se murda, magar Ḳhudá ke iʻtibár se Masíh Yisúʻ meṉ zinda samjho.

Romíoṉ 8:9 (URDR55)

Lekin tum jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai. Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ.

Romíoṉ 8:11 (URDR55)

Aur agar usí kí Rúh tum meṉ basí húí hai, jis ne Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá, to jis ne Masíh Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá, wuh tumháre fání badanoṉ ko bhí apní us Rúh ke wasíle se zinda karegá, jo tum meṉ basí húí hai.

Ab masih ki sachci zindghi ki shuraat kaha se or kaise Karen ya kaise huti hai paak or saaf lafzo men

ʻIbrá Níoṉ 12:2 (URDR55)

aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá.

Romíoṉ 10:17 (URDR55)

Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

 

Yúhanná 6

; 63Zinda karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ.

Yúhanná 14

; 26Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá. 27Maiṉ tumheṉ itmínán diye játá húṉ; apná itmínán tumheṉ detá húṉ:

16aur maiṉ Báp se darḳhwást karúṉgá, to wuh tumheṉ dúsrá Madadgár baḳhshegá, ki abad tak tumháre sath rahe, 17yaʻní sachcháí kí Rúh, jise dunyá hásil nahíṉ kar saktí, kyúṉki na use dekhtí, aur na jántí hai: tum use jánte ho; kyúṉki wuh tumháre sáth rahtí hai, aur tumháre andar hogí.

'Lekin jab wuh Madadgár áegá, jis ko maiṉ tumháre pás Báp kí taraf se bhejúṉgá, yaʻní Sachcháí kí Rúh, jo Báp kí taraf se nikaltí hai, to wuh merí gawáhí degí: '

 

Yúhanná 15:26

https://www.bible.com/bible/1553/JHN.15.26

Yúhanná 16

;  13Lekin jab wuh, yaʻní Sachcháí kí Rúh, áegí, to tum ko tamám sachcháí kí ráh dikháegí: is liye ki wuh apní taraf se na kahegí; lekin jo kuchh sunegí, wuhí kahegí, aur tumheṉ áyanda kí ḳhabareṉ degí. 14Wuh merá jalál záhir karegí; is liye ki mujh hí se hásil karke tumheṉ ḳhabareṉ degí. 15Jo kuchh Báp ká hai, wuh sab merá hai; is liye maiṉ ne kahá, ki wuh mujh hí se hásil kartí hai, aur tumheṉ ḳhabareṉ degí.

Yúhanná 17

;  17Unheṉ sachcháí ke wasíle se muqaddas kar: terá kalám sachcháí hai. 18Jis tarah tú ne mujhe dunyá meṉ bhejá, usí tarah maiṉ ne bhí unheṉ dunyá meṉ bhejá. 19Aur un kí ḳhátir maiṉ apne áp ko muqaddas kartá húṉ, táki wuh bhí sachcháí ke wasíle se muqaddas kiye jáeṉ.

Romíoṉ 8:12 (URDR55)

Pas, ai bháiyo, ham qarzdár to haiṉ, magar jism ke nahíṉ, ki jism ke mutábiq zindagí guzáreṉ.

Romíoṉ 8:13 (URDR55)

Kyúṉki agar tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr maroge. Aur agar rúh se badan ke kámoṉ ko nest o nábúd karoge, to jíte rahoge.

2 Kurinthíoṉ 5:16 (URDR55)

Pas ab se ham kisí ko jism kí haisíyat se na pahcháneṉge; háṉ, agarchi Masíh ko bhí jism kí haisíyat se jáná thá, magar ab se nahíṉ jáneṉge.

Romíoṉ 7:4 (URDR55)

Pas ai mere bháiyo, tum bhí Masíh ke badan ke wasíle se sharíʻat ke iʻtibár se is liye murda ban gaye, ki us dúsre ke ho jáo, jo murdoṉ meṉ se jiláyá gayá, táki ham sab Ḳhudá ke liye phal paidá kareṉ.

Ab akhir

Men agar masih men hai to

Sirf iman men hi chal rahen hai

To aap masih men hute hoye bhi

Ibrahimic zindghi ji rahen hain ,,

Yani jir tarah Abraham ne sirf iman hi men

Zindghi guzari

 

Agar masih men hokar

 

10 hukmon men hi zindghi  guzar

Rahne ya chaliye ja rahin

 

Phir to apko iman se kuch vasta hi nhi

Ifisíoṉ 2:12 (URDR55)

Masíh se judá, aur Isráíl kí saltanat se ḳhárij, aur waʻde ke ʻahdoṉ se náwáqif, aur náummed, aur dunyá meṉ Ḳhudá se ʻaláhida the.

गलातियों 5

; 4तुम जो व्यवस्था के द्वारा धर्मी ठहरना चाहते हो, मसीह से अलग और अनुग्रह से गिर गए हो।

Yani yahudi dharmic jeevan

Ji rahen

Agar musa ki vivstha ke adhin zindghi yan 10 hukmon ke adhin

 

To phir aap aj ke isariliyon ki tarah zindghi ji rahe  or usi waqt

Men ,, beech ke waqt ki zindghi bita rahe ho aaj bhi

Jab ki ap nasal se isarali ho bhi nhi bus israili dkehne ke liye isarlili hune ke liye musa ki sharita ke adhin gunah or maur ki shariat ke adhin

Zindghi guzar rahe ho apne dil ko pathar karne ke liye

Mukáshafa 3

; 9Dekh, maiṉ Shaitán ke un jamáʻatwáloṉ ko tere qábú meṉ kar dúṉgá, jo apne áp ko Yahúdí kahte haiṉ, aur haiṉ nahíṉ, balki jhúṭh bolte haiṉ; dekh, maiṉ aisá karúṉgá, ki wuh ákar tere páṉwoṉ meṉ sijda kareṉge, aur jáneṉge ki mujhe tujh se mahabbat hai. 10Chúṉki tú ne mere sabr ke kalám par ʻamal kiyá hai, is liye maiṉ bhí ázmáish ke us waqt terí hifázat karúṉgá, jo zamín ke rahnewáloṉ ke ázmáne ke liye tamám dunyá par ánewálá hai.

 

 

Romíoṉ 9

; Is liye ki jo Isráíl kí aulád haiṉ, wuh sab Isráílí nahíṉ. 7Aur na Ibráhím kí nasl hone ke sabab se sab farzand ṭhahre; balki yih likhá hai, ki Izháq hí se terí nasl kahláegí: 8yaʻní jismání farzand Ḳhudá ke farzand nahíṉ; balki waʻde ke farzand nasl gine játe haiṉ. 9Kyúṉki waʻde ká qaul yih hai, ki Maiṉ is waqt ke mutábiq áúṉgá, aur Sáráh ke beṭá hogá. 10Aur sirf yihí nahíṉ, balki Ribqáh bhí ek shaḳhs, yaʻní hamáre báp Izháq se hámila thí; 11aur abhí tak na to laṛke paidá húe the, aur na unhoṉ ne nekí yá badí kí thí; ki us se kahá gayá, ki Baṛá chhoṭe kí ḳhidmat karegá; 12tákí Ḳhudá ká iráda, jo barguzídagí par mauqúf hai, aʻmál par mabní na ṭhahre, balki bulánewále par. 13Chunáṉchi likhá hai, ki Maiṉ ne Yaʻqúb se to mahabbat kí, magar ʻEsau se nafrat.

14Pas ham kyá kaheṉ? Kyá Ḳhudá ke háṉ beinsáfí hai? Hargiz nahíṉ! 15Kyúṉki wuh Músá se kahtá hai, ki Jis par rahm karná manzúr hai, us par rahm karúṉgá; aur jis par tars kháná manzúr hai, us par tars kháúṉgá. 16Pas yih na iráda karnewále par munhasar hai, na dauṛ dhúp karnewále par, balki rahm karnewále Ḳhudá par. 17Kyúṉki kitáb i muqaddas meṉ Firʻaun se kahá gayá hai, ki Maiṉ ne isí liye tujhe khaṛá kiyá hai, ki terí wajh se apní qudrat záhir karúṉ, aur merá nám tamám rú e zamín par mashhúr ho. 18Pas wuh jis par cháhtá hai rahm kartá hai, aur jise cháhtá hai use saḳht kar detá hai.

 

To ab masih yesu ke naam par iman la chuke

Khun or ghost men shamil kiye or uske badan yani kalisiya ka hissa hoye

Magar aab kis tarah chal rahen hain,,  ,maasih

Ibrani hai yahudi hai unani hai,,

Or Christianity hai

To kis tarah se chal rahe ho

Chalaye ja rahe ho

Kis tarah se vachan sun rahe pad rahe ho samjha rahe ho

 

 

Ifisíoṉ 5

; 15Pas gaur se dekho, ki kis tarah chalte ho; nádánoṉ kí tarah nahíṉ, balki dánáoṉ kí mánind chalo; 16aur waqt ko ganímat jáno, kyúṉki din bure haiṉ. 17Is sabab se nádán na bano, balki Ḳhudáwand kí marzí ko samjho, ki kyá hai.

 

Wá‘iz 3

1Har chíz ká ek mauqa‘, aur har kám ká, jo ásmán ke níche hotá hai, ek waqt hai.

; ; Ḳhabardár raho, ki kyá sunte ho;

Lúqá 8:18 (URDR55)

Pas ḳhabardár raho, ki tum kis tarah sunte ho:

 

Mukáshafa 1

1Yisúʻ Masíh ká mukáshafa, jo use Ḳhudá kí taraf se is liye húá ki apne bandoṉ ko wuh báteṉ dikháe, jin ká jald honá zarúr hai: aur us ne apne firishte ko bhejkar, us kí maʻrifat unheṉ apne bande Yúhanná par záhir kiyá,

 

To ye jo mukasha ki kitab ye use yesu ki gawahi jo baap ki dhaini taraf baita huyen hain ,,

Or aj humara waqt bhi yahi hai

Or yahi ala darje ki dharmikta hai jiske liye humko bulahat

Hai ur isi bulahat men hum maish ke wasile isi pehchaan men age bhadana

Hai

,, tabi hum apne badan ke wasile jalal ko zahir kar sakte hain ruh l quds ke wasile,,

 

Mukáshafa 3:21 (URDR55)

Jo gálib áe, maiṉ use apne sáth apne taḳht par biṭháúṉgá, jis tarah maiṉ gálib ákar apne Báp ke sáth us ke taḳht par baiṭh gayá.

Mukáshafa 2:26 (URDR55)

Jo gálib áe, aur jo mere kámoṉ ke muwáfiq áḳhir tak ʻamal kare, maiṉ use qaúmoṉ par iḳhtiyár dúṉgá:

Mukáshafa 17:14 (URDR55)

Wuh Barre se laṛeṉge, aur Barra un par gálib áegá; kyúṉki wuh ḳhudáwandoṉ ká Ḳhudáwand, aur bádsháhoṉ ká Bádsháh hai; aur jo buláe húe, aur barguzída, aur wafádár us ke sáth haiṉ, wuh bhí gálib áeṉge.

Mukáshafa 21:7 (URDR55)

Jo gálib áe, wuhí in chízoṉ ká wáris hogá; aur maiṉ us ká Ḳhudá húṉgá, aur wuh merá beṭá hogá.

1 Yúhanná 4:4 (URDR55)

Ai bachcho, tum Ḳhudá se ho, aur un par gálib á gaye ho; kyúṉki jo tum meṉ hai, wuh us se baṛá hai jo dunyá meṉ hai.

Mukáshafa 2:11 (URDR55)

Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai. Jo gálib áe, us ko dúsrí maut se nuqsán na pahuṉchegá.

1 Yúhanná 5:4 (URDR55)

Jo koí Ḳhudá se paidá húá hai, wuh dunyá par gálib átá hai; aur wuh galaba, jis se dunyá maglúb húí hai, hamárá ímán hai.

 

Ifisíoṉ 3

; 14Is sabab se maiṉ us Báp ke áge ghuṭne ṭektá húṉ, 15jis se ásmán aur zamín ká har ek ḳhándán námzad hai; 16ki wuh apne jalál kí daulat ke muwáfiq tumheṉ yih ʻínáyat kare, ki tum us kí Rúh se apni bátiní insáníyat meṉ bahut hí zoráwar ho jáo; 17aur ímán ke wasíle se Masíh tumháre diloṉ meṉ sukúnat kare; táki tum mahabbat meṉ jaṛ pakaṛke, aur bunyád qáim karke, 18sab muqaddasoṉ samet baḳhúbí maʻlúm kar sako, ki us kí chauṛáí, aur lambáí, aur úṉcháí, aur gahráí kitní hai, 19aur Masíh ki us mahabbat ko ján sako, jo jánne se báhar hai, táki tum Ḳhudá kí sárí maʻmúrí tak maʻmúr ho jáo. 20Ab jo aisá qádir hai, ki us qudrat ke muwáfiq jo ham meṉ tásír kartí hai, hamárí darḳhwást aur ḳhayál se bahut ziyáda kám kar sakta hai; 21kalísiyá meṉ aur Masíh Yisúʻ meṉ pusht dar pusht, aur abaduʼl ábád us kí tamjíd hotí rahe. Ámín.


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...