Shalom masih yeshua
men ap saboh ki salamati ho ,, to agar aap pehli bhar facebook page
Ya youtube channel ke madhiam baap or bête ke kalam ko sun
pa rahen hain
Fazl or sachchai ke adhin,,
To lagatar naye vishe par kalam sunne ke liye facebook page ko follow karle youtube
channel ko subscribe
Kar sakten hain ,,,or
diye gaye link ke dwara aap humare whatsapp channel ke sath jod sakte
hain,,
Or agar iske ilawa digital plaitfarm user hain yani jaise ke
spotify amazon music jio saavan
To is par bhi aap
sabhi bible ke vishe sun sakte
hain,,, or apne nazdikiyon ko bhi shamil kar sakten hain,, share kiye jane ka
dwara
To ruh l quds ki madad se or mukshafa ki ruh ki madad se ajj
ka visha shuru karte hain,,
To agar isse pehle apne masih yesu ko khudawand nhi qabool
kiya
To ye bauht asaan hain,, bus iske liye apko dil se aman lana
hog yani vishwash
Or munh se bolna huga,, ki yesu masih hai yesu khuda ka
pyaara beta hai,,
Yesu khudawand hai or wuh mere gunah ki khatir mua or tisre
din murdo men se ji utha,,
Taki ki main usmen uski dharmikta se jo vishwash se bakhsihs
ke taur par muft di jati hai,,
Rastbaaz thero amen,,,
To ab aap masih men nai shrisht ,, gunah ka tum ikhtyaar na
huga ,,,
Jo koi masih men wuh nayi shrisht hai,,
Masih ki deh men apka
sawagat hai,,,
7 stare
Sansarik taur par ye
sat sitaro ka samoh
प्लीएडेस ke naam se jana jata hai
जिसे सेवन सिस्टर्स
के नाम से भी जाना जाता है , वृषभ तारामंडल के उत्तर-पश्चिम में युवा बी-प्रकार के तारों वाले एक खुले तारा समूह का एक तारामंडल है
Bible ke mutabik
Purnae ahd name men
Yasa‘iyáh 14
; 13Tú to apne dil meṉ kahtá
thá, Maiṉ ásmán par chaṛh jáúṉgá, maiṉ apne taḳht ko Ḳhudá ke sitároṉ se bhí
úṉchá karúṉgá, aur maiṉ shimálí atráf meṉ jamá‘at ke paháṛ par baiṭhúṉgá: 14maiṉ
bádaloṉ se bhí úpar chaṛh jáúṉgá; maiṉ Ḳhudá Ta‘álá kí mánind húṉgá.
‘Ámús 5
; 8wuhí
Suraiyá aur Jabbár sitároṉ ká ḳháliq hai, jo maut ke sáye ko matla‘ e núr aur
roz i raushan ko shab i díjúr baná detá hai, aur samundar ke pání ko bulátá,
aur rú e zamín par phailátá hai: jis ká nám Ḳhudáwand hai;
Aiyúb 9
;
7Wuh áftáb ko hukm kartá hai, aur wuh tulú‘
nahíṉ hotá;
Aur
sitároṉ par muhr lagá detá hai.
8Wuh ásmánoṉ ko akelá tán detá hai,
Aur
samundar kí lahroṉ par chaltá hai.
9Us ne Banátu’n na‘sh, aur Jabbár, aur Suraiyá,
Aur
junúb ke burjoṉ ko banáyá.
Aiyúb 38
;
31Kyá tú ‘aqd i Suraiyá ko báṉdh saktá,
Yá
Jabbár ke bandhan khol saktá hai?
32Kyá tú Mintaqatu’l burúj ko un ke waqtoṉ par nikál
saktá hai?
Yá
Binátu’n na‘sh kí un kí saheliyoṉ ke sáth rahbarí kar saktá hai?
33Kyá tú ásmán ke qawánín ko jántá hai?
Aur
zamín par un ká iḳhtiyár qáim kar saktá hai?
34Kyá tú bádaloṉ tak apní áwáz baland kar saktá
hai,
Táki
pání kí firáwání tujhe chhipá le?
Paidáish 15
; 5Aur wuh us
ko báhar le gayá, aur kahá, ki Ab ásmán kí taraf nigáh kar, aur agar tú sitároṉ
ko gin saktá hai, to gin: aur us se kahá, ki Terí aulád aisí hí hogí. 6Aur
wuh Ḳhudáwand par ímán
láyá: aur ise us ne us ke haqq meṉ rástbází shumár kiyá.
Galatíoṉ 3
;
13Masíh jo hamáre liye laʻnatí baná, us ne hameṉ
mol lekar sharíʻat kí laʻnat se chhuṛáyá: kyúṉki likhá hai, ki Jo koí lakṛí par
laṭkáyá gayá, wuh laʻnatí hai: 14táki Masíh Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat
gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ,
jis ká waʻda húá hai.
15Ai bháiyo, maiṉ insán ke taur par kahtá húṉ: ki
agarchi ádmí hí ká ʻahd ho, jab us kí tasdíq ho gayí, to koí us ko bátil nahíṉ
kartá, aur na us par kuchh baṛhátá hai. 16Pas Ibráhím aur us kí nasl se waʻde kiye gaye.
Wuh yih nahíṉ kahtá, ki nasloṉ se, jaisá bahutoṉ ke wáste kahá játá hai; balki
jaisá ek ke wáste, ki Terí nasl ko; aur wuh Masíh hai.
Mukáshafa 1
13aur un chirágdánoṉ ke bích
meṉ ádamzád sá ek shaḳhs dekhá, jo páṉwoṉ tak ká jáma pahíne, aur sone ká
sínaband síne par báṉdhe húe thá. 14Us ká sir
aur bál safed ún, balki barf kí mánind safed the; aur us kí áṉkheṉ ág ke shuʻle
kí mánind thíṉ; 15aur us ke páṉw us ḳhális
pítal ke se the, jo bhaṭṭí meṉ tapáyá gayá ho; aur us kí áwáz zor ke pání kí sí
thí. 16Aur us ke dahine háth meṉ
sát sítáre the:
Aur us ne
yih kahkar mujh par apná dahiná háth rakkhá, ki Ḳhauf na kar; maiṉ awwal, aur áḳhir, 18aur Zinda
húṉ; maiṉ mar gayá thá, aur dekh, abaduʼl ábád zinda rahúṉgá, aur maut aur
ʻálam i arwáh kí kunjiyáṉ mere pás haiṉ. 19Pas jo báteṉ
tú ne dekhíṉ, aur jo haiṉ, aur jo in ke baʻd honewálí haiṉ, un sab ko likh
le; 20yaʻní un sát sitároṉ ká bhed, jinheṉ tú ne mere
dahine háth meṉ dekhá thá, Wuh sát sitáre to sát kalísiyáoṉ ke firishte haiṉ:
aur wuh sát chirágdán sát kalísiyáeṉ haiṉ.
Yasa‘iyáh 11
; 2aur Ḳhudáwand kí rúh us par ṭhahregí,
Matí 3
; 16Aur Yisúʻ
baptisma lekar fiʼlfaur pání ke pás se úpar gayá; aur dekho, us ke liye ásmán
khul gayá, aur us ne Ḳhudá kí Rúh ko kabútar kí mánind utarte, aur apne úpar
áte dekhá. 17Aur dekho, ásmán se yih áwáz áí, ki Yih merá
piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ.
Lúqá 4
; 18Ḳhudáwand
kí Rúh mujh par hai,
Yasa‘iyáh 11
; hikmat aur ḳhirad kí rúh, maslahat aur qudrat
kí rúh, ma‘rifat aur Ḳhudáwand ke
ḳhauf kí rúh;
Is
liye ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá;
Us
ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,
Aur
andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,
Kuchle
húoṉ ko ázád karúṉ,
19Aur Ḳhudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karúṉ.
Comments
Post a Comment