kislev month
yani novmber deceber
ka mahina
yani 25 decmber
jis waqt sansaar men
log christmas celibraite kar rahe huta
hai
jiska jikar tak bible
men nahi hai
or jo likha hai
is waqt ke mutabik
us baat ko hum jante
nahi hain
'yaʻní un beímánoṉ ke
wáste, jin kí ʻaqloṉ ko is jahán ke ḳhudá ne andhá kar diyá hai, táki Masíh jo
Ḳhudá kí súrat hai, us ke jalál kí ḳhushḳhabarí kí raushní un par na paṛe. '
2 Kurinthíoṉ 4:4
Yúhanná 4
22Tum jise nahíṉ jánte, us
kí parastish karte ho; ham jise jánte haiṉ, us kí parastish karte haiṉ;
logo ne samrion ki tarah
jise wuh nahi jante wuh
kiya
jise jan kar karna
chahiye
wuh nahi karte
jiska jikar bible men hai
happy hannukah
hanukkah
kya
pehle hum bible ke
mutbik samjhe ge
or phit ruhani taure
par jane
ge
ruh l quds ki madad
se
or
kalam haq ki hidyat se
or in bato ko janna
samjhna
ek sachche masih
vishwshi ke liye bauht keemti hai
हनुक्काह आठ रातों और
दिनों के लिए मनाया जाता है,[5] जो हिब्रू कैलेंडर के
अनुसार किस्लेव के 25वें दिन से शुरू होता है, जो ग्रेगोरियन कैलेंडर
में 28 नवंबर से 27 दिसंबर तक कभी भी हो सकता है। इस अनूठी मोमबत्ती को शमश (שַׁמָּשׁ, "परिचारक") कहा जाता
है।
Yúhanná 10
; 22Yarúshalem
meṉ ʻÍd i Tajdíd húí; aur jáṛe ká mausim thá: 23aur Yisúʻ
haikal ke andar Sulaimání barámade meṉ ṭahal rahá thá. 24Pas Yahúdíoṉ
ne us ke gird jamaʻ hokar us se kahá; Tú kab tak hamáre dil ko ḍáṉwáḍol
rakkhegá? agar tú Masíh hai, to ham se sáf kah de. 25Yisúʻ ne
unheṉ jawáb diyá, ki Maiṉ ne to tum se kah diyá, magar tum yaqín nahíṉ karte;
jo kám maiṉ apne Báp ke nám se kartá húṉ, wuhí mere gawáh haiṉ. 26Lekin tum
is liye yaqín nahíṉ karte, kí meri bheṛoṉ meṉ se nahíṉ ho. 27Merí bheṛeṉ
merí áwáz suntí haiṉ, aur maiṉ unheṉ jántá húṉ, aur wuh mere píchhe píchhe
chaltí haiṉ: 28aur maiṉ unheṉ hamesha kí zindagí baḳhshtá húṉ;
aur wuh abad tak kabhí halák na hoṉgí, aur koí unheṉ mere háth se chhín na
legá. 29Merá Báp, jis ne mujhe wuh dí haiṉ, sab se baṛá
hai; aur koí unheṉ Báp ke háth se nahíṉ chhín saktá. 30Maiṉ aur
Báp ek haiṉ. 31Yahúdíoṉ ne use saṉgsár karne ke liye phir
patthar uṭháe. 32Yísúʻ ne unheṉ jawáb diyá, kí Maiṉ ne tum ko Báp
kí taraf se bahutere achchhe kám dikháe haiṉ; un meṉ se kis kám ke sabab mujhe
saṉgsár karte ho? 33Yahúdíoṉ ne use jawáb diyá, ki Achchhe kám ke
sabab nahíṉ, balki kufr ke sabab tujhe saṉgsár karte haiṉ, aur is liye kí tú
ádmí hokar apne áp ko Ḳhudá banátá hai. 34Yísúʻ ne
unheṉ jawáb diyá; Kyá tumhárí sharíʻat meṉ yih nahíṉ likhá hai ki Maiṉ ne kahá;
Tum ḳhudá ho? 35Jab ki us ne unheṉ ḳhudá kahá, jin ke pás Ḳhudá
ká kalám áyá, (aur kitáb i muqaddas ká bátil honá mumkin nahíṉ;) 36áyá tum us
shaḳhs se jise Báp ne muqaddas karke dunyá meṉ bhejá, kahte ho ki Tú kufr baktá
hai, is liye ki maiṉ ne kahá; Maiṉ Ḳhudá ká Beṭá húṉ? 37Agar maiṉ
apne Báp ke kám nahíṉ kartá, to merá yaqín na karo. 38Lekin agar
maiṉ kartá húṉ, to go merá yaqín na karo, magar un kamoṉ ká to yaqín karo; táki
tum jáno aur samjho ki Báp mujh meṉ hai, aur maiṉ Báp meṉ. 39Unhoṉ ne
phir us ke pakaṛne kí koshish kí, lekin wuh un ke háth se nikal gayá.
Ḳhurúj 10
;20Par Ḳhudáwand ne Fir‘aun ke dil ko
saḳht kar diyá, aur us ne baní Isráíl ko jáne na diyá.
21Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, kí Apná
háth ásmán kí taraf baṛhá, táki mulk i Misr meṉ táríkí chhá jáe; aisí táríkí
jise ṭaṭol sakeṉ. 22Aur Músá ne apná háth
ásmán kí taraf baṛháyá; aur tín din tak sáre mulk i Misr meṉ gahrí táríkí
rahí. 23Tín din tak na to kisí ne
kisí ko dekhá, aur na koí apní jagah se hilá: par sab baní Isráíl ke makánoṉ
meṉ ujálá rahá.
Yúhanná 8
; 12Yisúʻ ne
phir un se muḳhátib hokar kahá; Dunyá ká núr maiṉ húṉ; jo merí pairawí karegá,
wuh andhere meṉ na chalegá, balki zindagí ká núr páegá. 13Farísíoṉ ne
us se kahá; Tú apní gawáhí áp detá hai; terí gawáhí sachchí nahíṉ.
Matí 5:15 (URDR55)
aur
chirág jalákar paimáne ke níche nahíṉ, balki chirágdán par rakhte haiṉ, to us
se ghar ke sab logoṉ ko raushní pahuṉchtí hai.
Lúqá 11:33 (URDR55)
Koí shaḳhs chirág jalákar tahḳháne meṉ yá paimáne ke níche nahíṉ
rakhtá, balki chirágdán par rakhtá hai, táki andar ánewáloṉ ko raushní dikháí
de.
Lúqá 8:16 (URDR55)
Koí shaḳhs chirág jalákar bartan se nahíṉ chhipátá, na palang ke
níche rakhtá hai, balki chirágdán par rakhtá hai, táki andar ánewáloṉ ko
raushní dikháí de.
13Ai baní Ádam, Ḳhudáwand ke huzúr ḳhámosh raho;
kyúṉki wuh apne muqaddas maskan se uṭhá hai.
Ḳhurúj 25
; 31Aur ḳhális sone ká ek sham‘adán banáná. Wuh sham‘adán aur us ká páya aur
ḍanḍí sab ghaṛkar banáe jáeṉ, aur us kí piyáliyáṉ aur laṭṭú aur us ke phúl sab
ek hí ṭukṛe ke bane hoṉ. 32Aur us ke donoṉ
pahlúoṉ se chha sháḳheṉ báhar ko nikaltí hoṉ. Tín sháḳheṉ sham‘adán ke ek pahlú
se nikleṉ aur tín dúsre pahlú se. 33Ek sháḳh meṉ bádám
ke phúl kí súrat kí tín piyáliyáṉ, ek laṭṭú aur ek phúl ho, aur dúsrí sháḳh meṉ
bhí bádám ke phúl kí súrat kí tín piyáliyáṉ, ek laṭṭú aur ek phúl ho. Isí tarah
sham‘adán kí chhaoṉ sháḳhoṉ meṉ yih sab lagá húá ho. 34Aur ḳhud sham‘adán meṉ
bádám ke phúl kí súrat kí chár piyáliyáṉ apne apne laṭṭú aur phúl samet
hoṉ. 35Aur do sháḳhoṉ ke níche ek
laṭṭú, sab ek hí ṭukṛe ke hoṉ, aur phir do sháḳhoṉ ke níche ek laṭṭú, sab ek hí
ṭukṛe ke hoṉ, aur phir do sháḳhoṉ ke níche ek laṭṭú; sab ek hí ṭukṛe ke hoṉ.
Sham‘adán kí chhaoṉ báhar ko niklí húí sháḳheṉ aisí hí hoṉ. 36Ya‘ní laṭṭú aur sháḳheṉ
aur sham‘adán, sab ek hí ṭukṛe ke bane hoṉ. Yih sab ká sab ḳhális sone ke ek hí
ṭukṛe se ghaṛkar banáyá jáe. 37Aur tú us ke liye
sát chirág̣ banáná: yihí chirág̣ jaláí jáeṉ táki sham‘adán ke sámne raushní
ho. 38Aur us ke gulgír aur
guldán ḳhális sone ke hoṉ.
39Sham‘adán aur yih
sab zurúf ek qintár ḳhális sone ke banáe húe hoṉ. 40Aur dekh, tú in ko ṭhík in
ke namúne ke mutábiq, jo tujhe paháṛ par dikháyá gayá hai, banáná.
Zakariyáh 4:2 (URDR55)
aur púchhá, Tú kyá dekhtá hai? Aur maiṉ ne kahá, ki Maiṉ ek sone
ká sham‘adán dekhtá húṉ, jis ke sir par ek kaṭorá hai, aur us ke úpar sát
chirág̣ haiṉ, aur un sát chirág̣oṉ kí sát sát naliyáṉ.
Mukáshafa 4:5 (URDR55)
Aur
us taḳht meṉ se bijliyáṉ aur áwázeṉ aur garajeṉ paidá hotí haiṉ; aur us taḳht
ke sámne ág ke sát chirág jal rahe haiṉ; yih Ḳhudá kí sát rúheṉ haiṉ;
Mukáshafa 5
: 6Aur maiṉ ne us taḳht aur
chároṉ jándároṉ aur un buzurgoṉ ke bích meṉ, goyá zabh kiyá húá ek Barra khaṛá
dekhá; us ke sát síṉg aur sát áṉkheṉ thíṉ: yih Ḳhudá kí sátoṉ rúheṉ haiṉ, jo
tamám rú e zamín par bhejí gayí haiṉ.
Yasa‘iyáh 11
: 2aur Ḳhudáwand kí rúh us par ṭhahregí,
hikmat aur ḳhirad kí rúh, maslahat aur qudrat kí rúh, ma‘rifat aur Ḳhudáwand ke ḳhauf kí rúh; 3aur us kí
shádmání Ḳhudáwand ke ḳhauf
meṉ hogí, aur wuh na apní áṉkhoṉ ke dekhne ke mutábiq insáf karegá, aur na apne
kánoṉ ke sunne ke muwáfiq faisala karegá: 4balki wuh
rástí se miskínoṉ ká insáf karegá, aur ‘adl se zamín ke ḳháksároṉ ká faisala
karegá: aur wuh apní zabán ke ‘asá se zamín ko máregá, aur apne laboṉ ke dam se
sharíroṉ ko faná kar ḍálegá. 5Us kí kamar
ká paṭká rástbází hogí, aur us ke pahlú par wafádárí ká paṭká hogá.
Aʻmál 2
1Jab ʻÍd i Pintekust ká din áyá, to wuh sab
ek jagah jamaʻ the; 2ki yakáyak ásmán se aisí áwáz áí, jaise zor
kí áṉdhí ká sannáṭá hotá hai, aur us se sárá ghar jaháṉ wuh baiṭhe the, gúṉj
gayá. 3Aur unheṉ ág ke shuʻle kí sí phaṭtí húí
zabáneṉ dikháí díṉ; aur un meṉ se har ek par á ṭhahríṉ. 4Aur wuh sab Rúhuʼl Quds se
bhar gaye, aur gair zabáneṉ bolne lage, jis tarah Rúh ne unheṉ bolne kí táqat
baḳhshí.
Romíoṉ 12
6Aur chúṉki
us taufíq ke muwáfiq jo ham ko dí gayí, hameṉ tarah tarah kí niʻmateṉ milíṉ, is
liye jis ko nubuwwat milí ho, wuh ímán ke andáze ke muwáfiq nubuwwat
kare; 1
7agar ḳhidmat
milí ho, to ḳhidmat meṉ lagá rahe; 2
agar koí muʻallim ho, to
taʻlím meṉ mashgúl rahe;
3
8aur agar
násih ho, to nasíhat meṉ: 4
ḳhairát báṉṭnewálá saḳháwat
se báṉṭe; 5
peshwá sargarmí se peshwáí
kare; 6
rahm karnewálá ḳhushí ke sáth rahm kare. 7
Mukáshafa 22:5 (URDR55)
Aur
phir rát na hogí; aur wuh chirág aur súraj kí raushní ke muhtáj na hoṉge;
kyúṉki Ḳhudáwand Ḳhudá un ko raushan karegá, aur wuh abaduʼl ábád bádsháhí
kareṉge.
Lúqá 11:36 (URDR55)
Pas
agar terá sárá badan raushan ho, aur koí hissa tárík na rahe, to wuh tamám aisá
raushan hogá, jaisá us waqt hotá hai, jab chirág apní chamak se tujhe raushan
kartá hai.
Zabúr
119:105 (URDR55)
Terá
kalám mere qadamoṉ ke liye chirág̣ Aur merí ráh ke liye raushní hai.
2 Patras 1:19 (URDR55)
Aur
hamáre pás nabíoṉ ká wuh kalám hai, jo ziyáda muʻtabar ṭhahrá; aur tum achchhá
karte ho, jo yih samajhkar us par gaur karte ho, ki wuh ek chirág hai, jo andherí
jagah meṉ raushní baḳhshtá hai, jab tak pau na phaṭe, aur subh ká sitára
tumháre diloṉ meṉ na chamke:
2 Kurinthíoṉ 4
; 6Is liye ki Ḳhudá
hí hai, jis ne farmáyá, ki Táríkí meṉ se núr chamke; aur wuhí hamáre diloṉ meṉ
chamká, táki Ḳhudá ke jalál kí pahchán ká núr Yisúʻ Masíh ke chihre se jalwagar
ho.
Matí 5:16 (URDR55)
Isí
tarah tumhárí raushní ádmíoṉ ke sámne chamke, táki wuh tumháre nek kámoṉ ko
dekhkar tumháre Báp kí, jo ásmán par hai, baṛáí kareṉ.
Filippíoṉ 2
; 14Sab kám
shikáyat aur takrár bagair kiyá karo; 15táki tum
beʻaib aur bhole hokar, ṭeṛhe aur kajrau logoṉ meṉ Ḳhudá ke benuqs farzand bane
raho, (jin ke darmiyán tum dunyá meṉ chirágoṉ kí tarah dikháí dete ho, 16aur zindagí
ká kalám pesh karte ho,) táki Masíh ke din mujhe faḳhr ho, ki na merí dauṛ dhúp
befáida húí, na merí mihnat akárath gayí.
. 1 Patras 2
: 9Lekin tum
ek barguzída nasl, sháhí káhinoṉ ká firqa, muqaddas qaum, aur aisí ummat ho, jo
Ḳhudá kí ḳháss milkíyat hai, táki us kí ḳhúbíáṉ záhir karo, jis ne tumheṉ
táríkí se apní ʻajíb raushní meṉ buláyá hai
1 Thissaluníkíoṉ 5
; 5kyúṉki tum
sab núr ke farzand, aur din ke farzand ho;
'Har achchhí baḳhshish, aur har kámil inʻám úpar se hai, aur
núroṉ ke Báp kí taraf se miltá hai, jis meṉ na koí tabdílí ho saktí hai, aur na
gardish ke sabab us par sáya paṛtá hai. '
Yaʻqúb 1:17
https://www.bible.com/bible/1553/JAS.1.17
1 Yúhanná 2
; 8Phir tumheṉ
ek nayá hukm likhtá húṉ, aur yih bát us par aur tum par sádiq átí hai; kyúṉki
táríkí miṭtí játí hai, aur haqíqí núr chamakná shurúʻ ho gayá hai. 9Jo koí yih
kahtá hai, ki maiṉ núr meṉ húṉ, aur apne bháí se ʻadáwat rakhtá hai, wuh abhí
tak táríkí hí meṉ hai. 10Jo koí apne bháí se mahabbat rakhtá hai, wuh núr
meṉ rahtá hai, aur ṭhokar nahíṉ kháne ká.
Mukáshafa 21
; 23Aur us
shahr meṉ súraj yá chánd kí raushní kí kuchh hájat nahíṉ; kyúṉki Ḳhudá ke jalál
ne use raushan kar rakkhá hai, aur Barra us ká chirág hai. 24Aur qaumeṉ
us kí raushní meṉ chaleṉ phireṉgí; aur zamín ke bádsháh apní shán o shaukat ká
sámán us meṉ láeṉge.
Mukáshafa 22
; 5Aur phir
rát na hogí; aur wuh chirág aur súraj kí raushní ke muhtáj na hoṉge; kyúṉki Ḳhudáwand
Ḳhudá un ko raushan karegá, aur wuh abaduʼl ábád bádsháhí kareṉge.
Yúhanná
12:46 (URDR55)
Maiṉ
núr hokar dunyá meṉ áyá húṉ, táki jo koí mujh par ímán láe andhere meṉ na rahe.
Yúhanná
12:36 (URDR55)
Jab
tak núr tumháre sáth hai, núr par ímán láo, táki núr ke farzand bano.
Yúhanná 9:5 (URDR55)
Jab tak maiṉ dunyá meṉ húṉ, dunyá ká núr húṉ.
Yúhanná 3:20 (URDR55)
Kyúṉki jo koí badi kartá hai, wuh núr se dushmaní rakhtá hai, aur
núr ke pás nahíṉ átá, aisá na ho ki us ke kámoṉ par malámat kí jáe.
Yúhanná 1:4 (URDR55)
Us
meṉ zindagí thí; aur wuh zindagí ádmíoṉ ká núr thá.
Yúhanná 3:19 (URDR55)
Aur
sazá ke hukm ká sabab yih hai, ki núr dunyá meṉ áyá hai, aur ádmíoṉ ne táríkí
ko núr se ziyáda pasand kiyá, is liye ki un ke kám bure the.
1 Yúhanná 1:7 (URDR55)
lekin
agar ham núr meṉ chaleṉ, jis tarah ki wuh núr meṉ hai, to hamárí ápas meṉ
shirákat hai, aur us ke Beṭe Yisúʻ ká ḳhún hameṉ tamám gunáh se pák kartá haí.
Ifisíoṉ 5:9 (URDR55)
(is
liye ki núr ká phal har tarah kí nekí aur rástbází aur sachcháí hai),
1 Yúhanná 2:10 (URDR55)
Jo
koí apne bháí se mahabbat rakhtá hai, wuh núr meṉ rahtá hai, aur ṭhokar nahíṉ
kháne ká.
Amsál 6:23 (URDR55)
Kyúṉki
farmán chirág̣ hai, aur ta‘lím núr; Aur tarbiyat kí malámat hayát kí ráh hai:
Yasa‘iyáh 60:1 (URDR55)
Uṭh,
munawwar ho; kyúṉki terá núr á gayá, aur Ḳhudáwand ká jalál tujh par záhir húá.
1 Yúhanná 1:5 (URDR55)
Us
se sunkar jo paigám ham tumheṉ dete haiṉ, wuh yih hai, ki Ḳhudá núr hai, aur us
meṉ zará bhí táríkí nahíṉ.
Ifisíoṉ 5:14 (URDR55)
Is
liye wuh kahtá hai, ki Ai sonewále, jág, aur murdoṉ meṉ se jí uṭh, to Masíh ká
núr tujh par chamkegá.
Ifisíoṉ 1
; 17ki hamáre Ḳhudáwand
Yisúʻ Masíh ká Ḳhudá, jo jalál ká Báp hai, tumheṉ apní pahchán meṉ hikmat aur
mukáshafe kí rúh baḳhshe; 18aur tumháre
dil kí áṉkheṉ raushan ho jáeṉ, táki tum ko maʻlúm ho, ki us ke buláne se kaisí
kuchh ummed hai, aur us kí mírás ke jalál kí daulat muqaddasoṉ meṉ kaisí kuchh
hai;
Zabúr
89:15 (URDR55)
Mubárak hai wuh qaum jo ḳhushí kí lalkár ko pahchántí hai: Wuh, ai
Ḳhudáwand , jo tere chihre ke núr meṉ chalte haiṉ.
Ifisíoṉ 5:13 (URDR55)
Aur jin chízoṉ par malámat hotí hai, wuh sab núr se záhir hotí
haiṉ: kyúṉki jo kuchh záhir kiyá játá hai, wuh raushan ho játá hai.
Yúhanná 3:21 (URDR55)
Magar
jo sachcháí par ʻamal kartá hai, wuh núr ke pás átá hai, táki us ke kám záhir
hoṉ, ki wuh Ḳhudá meṉ kiye gaye haiṉ.
Aiyúb 29:3 (URDR55)
Jab
us ká chirág̣ mere sir par raushan rahtá thá, Aur maiṉ andhere meṉ us ke núr ke
zarí‘e se chaltá thá;
Kyu ki nur tariki men
chamkta hai
Matí 17
1Chha din ke baʻd Yisúʻ ne Patras aur Yaʻqúb
aur us ke bháí Yúhanná ko hamráh liyá, aur unheṉ ek úṉche pahár par alag le
gayá; 2aur un ke sámne us kí súrat badal gayí; aur
us ká chihra súraj kí mánind chamká, aur us kí poshák núr kí mánind safed ho
gayí. 3Aur dekho, Músá aur Eliyyáh us ke sáth báteṉ
karte húe unheṉ dikhái diye. 4Patras ne Yisúʻ se kahá; Aí Ḳhudáwand,
hamárá yaháṉ rahná achchhá hai; marzí ho, to maiṉ yaháṉ tín ḍere banáúṉ, ek
tere liye, ek Músá ke liye, ek Eliyyáh ke liye. 5Wuh bol hí rahá thá, ki
dekho, ek núrání bádal ne un par sáya kar liyá, aur dekho, us bádal meṉ se áwáz
áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ; is kí suno. 6Shágird yih sunkar muṉh ke
bal gire, aur bahut hí dare. 7Yisúʻ ne pás ákar unheṉ
chhúá, aur kahá, ki Uṭho, aur ḍaro nahíṉ. 8Jab unhoṉ ne apní áṉkheṉ uṭháíṉ,
to ek Yisúʻ ke siwá âur kisí ko na dekhá.
Comments
Post a Comment