Skip to main content

चुंगी लेनेवाला जक्‍कई || मलाकी की पुस्तक| अब्राहम ने मलिकिसिदक को दश...

Shalom masih yeshua men aap saboh ki salmati ho…

Bible men ek naam hai jiske vishe men hum aj ruh l quds ki madad se

Mukashafa ki ruh se sikhne ja rahen hain

Fazl or sachchai ke adhin humari shirkat hai bap or bête ke kalam ke sath

Or wuh naam hai yaqqi or aj ke vishe ka naam hai aaj ke yaqqi

To bible ka yaqi  ajj ke yaqqi ke sath kaise relaite karta hai

Or aaj ka yaqqi bible ke yaqqi ke sath  kaise realite karta hai

Ab aaj ke yaqqi biblike yaqqi ke sath kaise relaite karte hain

Ye jo  aj ke yaqqi hain ye bible ke wuh mahan or  bhade phalosphar hain,,

Jinhon ne  bible  study hi is baat ki hai ki koi bhi yesu naam par vishwash lane wala vaykti jo dukhi bimar lachar  duniya or halat se hara hua masih yesu naam

Se reham or diya chahta hua inke paas aa jata hai or yesu naam or  uske vishwash ki wazah se jo wuh yesu naam par la chukka wuh us mushkil se bahir bhi aa jata hai

Magar uski badkismati ye huti hai ki sansaar se jayda ab ye is bible ke is phalospar

Se pareshaan hune wala  puri umar jiski nigaah humesha dusre 10 percent

Par rehti hai

Or inka main maksad ye huta hai ki dusre ki kamai se  jaib  se chahe wuh mazdoor ho  ya malik chahe wuh naukri wala ho  ya phir kisi ke ghar ka greeb naukar

Inhon ne bible ke un vachno bhed paye hute hain,,  ki ab dusre ko dara kar dhmka kar

Bible ke vachno se 10 percent dene par usko kis tarah mazboor karna hai

Ki wuh  ya to apni khushi se dede ya phir pehle se jayda bimar hune ke dar se

Kyu bible study men vachan hi aise  aise samne rakhe jaten hain

Ki dusra apna ghar bhi bechne ko tyaar ho jaye ..

Kyu in bible ke mahan scholro ne apna ghar banan huta hai

Dikhawe ke liye iphone laina huta hai

Or ya apne bacho ko bahir caneda vegera set karna huta

Kyu ek masih vishwashi mazdoori men se inhen apna

10 percent deta kam karke

Magar inka kam yahi huta hai ki inko koi or kaam hi nahi iske ki  10 percent kaise

Am admi ki jaib se inki jaib men shift huga yesu naam men

Uske liye bible study huti hai or ye10 percent ke bible phelospher hain

Jinko HUMNE  aaj  ka  yaqi kaha hai

 

1 Kurinthíoṉ 3

; 11Kyúṉki siwá us neo ke jo paṛí húí hai, aur wuh Yisúʻ Masíh hai, koí shaḳhs dusrí nahíṉ rakh saktá. 12Aur agar koí us neo par soná, yá chándí, yá beshqímat pattharoṉ, yá lakṛí, yá ghás, yá bhúse ká raddá rakkhe, 13to us ká kám záhir ho jáegá; kyúṉki jo din ág ke sáth záhir hogá, wuh us kám ko batá degá; aur wuh ág ḳhud har ek ká kám ázmá legí, ki kaisá hai. 14Jis ká kám us par baná húá báqí rahegá, wuh ajr páegá. 15Aur jis ká kám jal jáegá, wuh nuqsán uṭháegá; lekin ḳhud bach jáegá, magar jalte jalte.

 

Lúqá 6

;

43Kyúṉki koí achchhá daraḳht nahíṉ, jo burá phal láe, aur na koí burá daraḳht hai, jo achchhá phal láe. 44Har daraḳht apne phal se pahcháná játá hai;

Matí 7

;  16Un ke phaloṉ se tum unheṉ pahchán loge.

To ab ate hain hum bible  ke  yaqqi  par

Lúqá 19

1Wuh Yarího meṉ dákhil hokar já rahá thá. 2Aur dekho, Zakkáí nám ek ádmí thá ibrani men iske naam ka matlab  hai "शुद्ध" या "धार्मिक"  "or greec men zakkai ke naam ka matlab hai  "निर्दोष" jo mahsúl lenewáloṉ ká sardár aur daulatmand thá.

चुंगी लेनेवालों का सरदार और धनी था।

Chugi laina jaise road par safar men nilte hain to wuh road tax kat te hain  humara

Humari car ke fast tak se jisko hum toll  tax ke naam  se jante hain

 

To ye jo zakkai tha unka sardaar tha yani senior officer

 

Aur daultmand  tha

 

 

3Wuh Yisúʻ ke dekhne kí koshish kartá thá, ki kaun sá hai: lekin bhíṛ ke sabab dekh na saktá thá, is liye ki us ká qadd chhoṭá thá. 

Ab jo aj ka yaqqi hai uska  jo ruhani kad  hai  wuh bauht chota hai

Isi liye wuh yesu ko wuh bhi  nahi dekh sakte

Kyu unko armic ankhen band hai or  wuh chungi laine men yani  10 percent laine men mashroof  hainn

Kyu ki unko daultmand huna hai

 

Lúqá 6:20 (URDR55)

Phir us ne apne shágirdoṉ kí taraf nazar karke kahá; Mubárak ho tum jo garíb ho, kyúṉki Ḳhudá kí bádsháhat tumhárí hai.

 

 

 

4Pas use dekhne ke liye áge dauṛkar ek gúlar ke peṛ par chaṛh gayá; kyúṉki wuh usí ráh se jáne ko thá. 5Jab Yisúʻ us jagah pahuṉchá, to úpar nigáh karke us se kahá; Ai Zakkáí, jald utar á; kyúṉki áj mujhe tere ghar rahná zarúr hai.

Ab yesu  to unke ghar rehna chahata hai ghar yani

Jo khuda ka ghar hai wuh humara badan hai

Magar us ghar men burai ki jad ko lagay hua hai

1 Tímuthiyus 6

; 10kyúṉki rupaye ki mahabbat har qism kí buráí kí ek jaṛ hai; jis kí árzú meṉ baʻz ne ímán se gumráh hokar apne diloṉ ko tarah tarah ke gamoṉ se chhalní kar liyá.

'Lekin jo daulatmand honá cháhte haiṉ, wuh aisí ázmáish aur phande aur bahut sí behúda aur nuqsán pahuṉchánewálí ḳhwáhishoṉ meṉ phaṉste haiṉ, jo ádmíoṉ ko tabáhí aur halákat ke daryá meṉ garq kar detí haiṉ; '

 

1 Tímuthiyus 6:9

 8pas agar hamáre pás kháne pahinne ko hai, to usí par qanáʻat kareṉ.

'kyúṉki na ham dunyá meṉ kuchh láe, aur na kuchh us meṉ se le já sakte haiṉ; '

 

1 Tímuthiyus 6:7

11Magar, ai mard i Ḳhudá, tú in bátoṉ se bhág: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho. 12Ímán kí achchhí kushtí laṛ, us hamesha kí zindagí par qabza kar le jis ke liye tú buláyá gayá thá, aur bahut se gawáhoṉ ke sámne achchhá iqrár kiyá thá.

Aʻmál 7

; 48Lekin Bárí Taʻála háth ke banáe húe gharoṉ meṉ nahíṉ rahtá; 

. 1 Kurinthíoṉ 6

;  19Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká maqdis hai, jo tum meṉ basá húá hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai? aur tum apne nahíṉ; 20kyúṉki qímat se ḳharíde gaye ho: pas apne badan se Ḳhudá ká jalál záhir karo.

2 Kurinthíoṉ 5

1Kyúṉki ham jánte haiṉ, ki jab hamárá ḳhaime ká ghar jo zamín par hai giráyá jáegá, to ham ko Ḳhudá kí taraf se ásmán par ek aisí ʻimárat milegí, jo háth ká baná húá ghar nahíṉ, balki abadí hai. 

 

 

 6Wuh jald utarke us ko ḳhushí se apne ghar le gayá. 7Jab logoṉ ne yih dekhá, to sab buṛbuṛákar kahne lage, ki Wuh to ek gunahgár shaḳhs ke háṉ já utrá. 8Aur Zakkáí ne khaṛe hokar Ḳhudáwand se kahá; Ai Ḳhudáwand, dekh, maiṉ apná ádhá mál garíboṉ ko detá húṉ; aur agar kisí ká kuchh náhaqq le liyá hai, to us ko chauguná adá kartá húṉ. 9Yisúʻ ne us se kahá, ki Áj is ghar meṉ naját áí hai, is liye ki yih bhí Ibráhím ká beṭá hai. 10Kyúṉki Ibn i Ádam khoe húoṉ ko ḍhúṉḍhne aur naját dene áyá hai.

 

Ab jo 10 percent  ikatha Karne wale bible phelospar

Ye logo ko yani kalam sunne walon ko

Jin vachno se  manipulate  karte haingumarah karte hain or darate hain

Taki wuh apni kamai hui  mehnatt ka dus percent inko de

Taki ye  apni isho ishrat men  usko kharach

Us kalam  ko hum ruhani gehrai se jane ge  or samjh gey

Ab jo sabse pehla vachan jo ye 10 percente ke liye uski manadi karte

Wuh purane ahd ki  jo Purana ahd musa ki shariat ke adhin Israel

Ki qaum yani Israel ke barah gutro ki di gai yani 10 hukam

Purane ahd ki akhri kitab malaki ki kitab jismen se ye kalam

Quote kia  jata hai

Malákí 3

;  8Kyá koí ádmí Khudá ko ṭhagegá? Par tum mujh ko ṭhagte ho, aur kahte ho, Ham ne kis bát meṉ tujhe ṭhagá? Dahyakí aur hadye meṉ. 9Pas tum sakht mal‘ún húe, kyúṉki tum ne balki tamám qaum ne mujhe ṭhagá. 10Púrí dahyakí zaḳhíraḳháne meṉ láo, táki mere ghar meṉ ḳhurák ho, aur isí se merá imtihán karo, Rabb u’l afwáj farmátá ja hai, ki maiṉ tum par ásmán ke daríchoṉ ko kholkar barakat barsátá húṉ, ki nahíṉ, yaháṉ tak ki tumháre pás us ke liye jagah na rahe. 11Aur maiṉ, tumhárí ḳhátir ṭiḍḍí ko ḍáṉṭúṉgá, aur wuh tumhárí zamín ke hásil ko barbád na karegí, aur tumháre tákistánoṉ ká phal kachchá na jhaṛ jáegá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 12Aur sab qaumeṉ tum ko mubárak kaheṉgí, kyúṉki tum dilkushá mamlukat hoge, Rabb u’l afwáj farmátá hai.

 

 

Ap men jitno ne ya kalam  ko  suna    huga or is kalam se gumrah ho kar

Black mail hokar apni mehnat ki kamai ka 10  percent dete aa raha  hunge

Apne shyd hi  kabhi kaha hoga ki hum Israeli nahi masih hain

Hum  purane ahd name  ke adhin   musa ke 10 hukam ke adhin nahi

Balki naye ahd ke   adhin hain jo masih yesu ke khun men banda gaya jo fazl  or sachchai  ke  adhin masih yesu ki marifat pauhnchi

Hum masih men nai shrishat hain,,,purani chizen  jati  rahin

Dekho wuh nayi  ho  gai 

Ap men  se shyd kisi ne  kaha ho

Yúhanná 10

; 7Pas Yisúʻ ne un se phir kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Bheṛoṉ ká darwáza maiṉ húṉ 8Jitne mujh se pahle áe, sab chor aur ḍákú haiṉ;

Magar shyd hi kisi ne is malacki ki pustak ke bare men sucha

Ho ki ye kalam kyu or kinko or kis wazah se likh gaya

Yahi hum ruhani gehrai men baat karne wale

Kyu ki kalam to kalam hai

Magar sunne   or iman lane wala or sunane wala

Kis niyat aur irade or  ruh  se

 Suna raha hai os sunne wala kis ruh niyat

Irade se sun raha hai

Insani ruh se jo duniya ki khwahisho se ghiri hui hai

Yahudiyon ki ruh unani ki ruh se

Depend karta hai uski mazuda satuation

Par,,,

Ya phir fazl or sachchai ke  adhin

Ruh l quds ki madad or hidayat se

Ruh or sachchai masih ki ruh se 

Kyu hum masih hain

                                                             

TO JO MALACKI KI KITAB HAI BIBLE KE PURANE AHD NAME KI AKHRI KITAAB

HAI JO

ISRAIELION KA JIVAN OR ARADHNA  MEN ITNE LAPRWAAH HO CHUKE THE OR SARE KAM SHARIAT KE ULAT KAR RAHE THEY

JO MUSA MARIFAT SHARIAT MEN LIHE GAYE THE

SAB EK DUSRE KE SATH DHOKHA DETE OR DOKHA KHATE HOYE BIGRTE JA RAHA THEY SAB NE MALKE KHUDAWAND KHUDA KI RAHON  KO BIGAD DIYA THA

TO JO MAIN BAAT IS MILAKI KI KITAB MEN RAUSHAN KI GAI

HAI

YUHANA  BAPTISMA DENE WALA OR  MASIH  YESU KE HAQ MEN

KO JO KHUDAWAND  KI RAH SAB NE MILKE BAGADI HAI

YANI KAHIN OR LOG SAB NE

LEKIN KHUDAWAND  APNE  LOGON KA INSAAF  KARNE  OR  UNHEN PAAK  KARNE  KE LIYE AYEGA  PAR  ISSE PESHTAR  WUH  APNI RAAH TIYAAR  KARNE  OR APNE  AHD   KI MANADI  KARNE  KE LIYE

APNA PAGAIMBER BHEJE GA

YANI YUHANA BAPTISMA DENE WALA

Matí 3

1Un dinoṉ meṉ Yúhanná baptisma denewálá áyá, aur Yahúdiya ke biyábán meṉ yih manádí karne lagá, kí 2Tauba karo; kyúṉki ásmán kí bádsháhat nazdík á gayí hai. 3Yih wuhí hai jis ká zikr Yashaʻyáh nabí kí maʻrifat yúṉ húá, ki

Biyábán meṉ pukárnewále kí áwáz átí hai, ki

Ḳhudáwand kí ráh taiyár karo,

Us ke ráste sídhe banáo.

4Yih Yúhanná úṉṭ ke báloṉ kí poshák pahine, aur chamṛe ká paṭká apní kamar se báṉdhe rahtá thá, aur is kí ḳhurák ṭiḍḍiyáṉ aur janglí shahd thá. 

 

 

KHUDAWAND   KI TARAF  SE MALAKI  KI MARIFAT 

ISRAEL  KE BAR AAY NABUWAT

Rabb ul afwáj farmátá hai, Maiṉ tum se ḳhush nahíṉ húṉ, aur tumháre háth ká hadya hargiz qubúl na karúṉgá. '

 

Malákí 1:10

 

2 Ḳhudáwand farmátá hai, Maiṉ ne tum se mahabbat rakkhí, taubhí tum kahte ho, Tú ne kis bát meṉ ham se mahabbat záhir kí? Ḳhudáwand farmátá hai, Kyá ‘Esau Ya‘qúb ká bháí na thá? lekin maiṉ ne Ya‘qúb se mahabbat rakkhí, 3aur ‘Esau se ‘adáwat rakkhí, aur us ke paháṛoṉ ko wírán kiyá, aur us kí mírás biyábán ke gídaṛoṉ ko dí.

 

6 Rabb u’l afwáj farmátá hai, Ai mere nám kí tahqír karnewále káhino, beṭá apne báp kí, aur naukar apne áqá kí ta‘zím kartá hai: pas agar maiṉ báp húṉ, to merí ‘izzat kaháṉ hai? aur agar áqá húṉ, to merá ḳhauf kaháṉ hai? Par tum kahte ho, Ham ne kis bát meṉ tere nám ki tahqír ki? 7Tum mere mazbah par nápák rotí guzránte ho, aur kahte ho, ki Ham ne kis bát meṉ terí tauhín kí? Isí meṉ jo kahte ho, Ḳhudáwand kí mez haqír hai. 8Jab tum andhe kí qurbání karte ho, to kuchh buráí nahíṉ! Aur jab laṉgṛe aur bímár ko guzránte ho, to kuchh nuqsán nahíṉ! Ab yihí apne hákim kí nazr kar; kyá wuh tujh se ḳhush hogá, aur tú us ká manzúr i nazar hogá? Rabb u’l afwáj farmátá hai. 9Ab zará Ḳhudá ko manáo, táki wuh ham par rahm farmáe; tumháre hí háthoṉ ne yih guzráná hai; kyá tum us ke manzúr i nazar hoge? Rabb u’l afwáj farmátá hai. 10Kásh ki tum meṉ koí aisá hotá, jo darwáze band kartá, aur tum mere mazbah par ‘abas ág na jaláte! Rabb ul afwáj farmátá hai, Maiṉ tum se ḳhush nahíṉ húṉ, aur tumháre háth ká hadya hargiz qubúl na karúṉgá. 11Kyúṉki áftáb ke tulú‘ se g̣urúb tak qaumoṉ meṉ mere nám kí tamjíd hogí; aur har jagah mere nám par baḳhúr jaláeṉge, aur pák hadye guzráneṉge: kyúṉki qaumoṉ meṉ mere nám ki tamjíd hogí, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 12Lekin tum is bát meṉ us kí tauhín karte ho, ki tum kahte ho, Ḳhudáwand kí mez par kyá hai! Us par ke hadye behaqíqat haiṉ. 13Tum ne kahá, Yih kaisí zahmat hai! aur us par nák chaṛháí, Rabb u’l afwáj farmátá hai. Phir tum lúṭ ká mál, zabíhe aur laṉgṛe aur bímár láe; aur isí tarah ke hadye guzráne, Kyá maiṉ in ko tumháre háth se’ qubúl karún? Ḳhudáwand farmátá hai. 14La‘nat us dag̣ábáz par jis ke galle meṉ nar hai, par Ḳhudáwand ke liye ‘aibdár jánwar ko nazr mánkar guzrántá hai; kyúṉki maiṉ sháh i ‘azím húṉ, aur qaumoṉ meṉ merá nám muhíb hai, Rabb u’l afwáj farmátá hai.

 

Malákí 2

1Aur ab, ai káhino, tumháre liye yih hukm hai. 2Rabb u’l afwaj farmátá hai, Agar tum shanawá na hoge, aur mere nám ki tamjíd ko madd i nazar na rakkhoge, to maiṉ tum ko, aur tumhárí ni‘matoṉ ko mal‘ún karúṉgá, balki is liye ki tum ne use madd i nazar na rakkhá, maiṉ mal‘ún kar chuká húṉ. 3Dekho, maiṉ tumháre bázú bekár kar dúṉgá, aur tumháre muṉh par najásat, ya‘ní tumhárí qurbáníoṉ kí najásat pheṉkúṉgá, aur tum usí ke sáth pheṉk diye jáoge. 4Aur tum ján loge ki maiṉ ne tum ko yih hukm is liye diyá hai ki merá ‘ahd Láwí ke sáth qáim rahe, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 5Us ke sáth merá ‘ahd zindagí aur salámatí ká thá, aur maiṉ ne use zindagí aur salámatí is liye baḳhshí, ki wuh ḍartá rahe; chunáṉchi wuh mujh se ḍará, aur mere nám se tarsán rahá. 6Sachcháí kí sharí‘at us ke muṉh meṉ thí, aur us ke laboṉ par nárástí na páí gayí: wuh mere huzúr salámatí aur rásti se chaltá rahá, aur wuh bahutoṉ ko badí kí ráh se wápas láyá. 7Kyúṉki lázim hai, ki káhin ke lab ma‘rifat ko mahfúz rakkheṉ; aur log us ke muṉh se shara‘í masáil púchheṉ; kyúṉki wuh Rabb u’l afwáj ká rasúl hai. 8Par tum ráh se munharif ho gaye, tum sharí‘at meṉ bahutoṉ ke liye ṭhokar ká bá‘is húe; tum ne Láwí ke ‘ahd ko ḳharáb kiyá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 9Pas maiṉ ne tum ko sab logoṉ kí nazar meṉ zalíl aur haqír kiyá, kyúṉki tum merí ráhoṉ par qáim na rahe, balki tum ne shara‘í mu‘ámalát meṉ rúdárí kí.

10Kyá ham sab ká ek hí báp nahíṉ? kyá ek hí Ḳhudá ne ham sab ko paidá nahíṉ kiyá? phir kyúṉ ham apne bháiyoṉ se bewafáí karke, apne bápdádá ke ‘ahd ki behurmatí karte haiṉ: 11Yahúdáh ne bewafáí kí, Isráíl aur Yarúshalem meṉ makrúh kám húá hai; Yahúdáh ne Ḳhudáwand ki qudsíyat ko, jo us ko ‘aziz thí, behurmat kiyá, aur ek g̣airma‘búd ki beṭí biyáh láyá. 12Ḳhudáwand aisá karnewále se zinda aur jawábdahinda, aur Rabb u’l afwáj ke huzúr qurbání guzránnewále Ya‘qúb ke ḳhaimoṉ se munqata’ kar degá. 13Phir tumháre a‘mál ke sabab se Ḳhudáwand ke mazbah par áh o nála, aur áṉsúoṉ ki aisí kasrat hai, ki wuh na tumháre hadye ko dekhegá, aur na tumháre háth kí nazr ko ḳhushí se qubúl karegá. 14Taubhí tum kahte ho, ki Sabab kyá hai? Sabab yih hai, ki Ḳhudáwand tere aur terí jawání kí bíwí ke darmiyán gawáh hai; tú ne us se bewafáí kí hai, agarchi wuh terí rafíq aur mankúha bíwí hai. 15Aur kyá us ne ek hí ko paidá nahíṉ kiyá, báwujúde ki us ke pás âur arwáh maujúd thíṉ? Phir kyúṉ ek hí ko paidá kiyá? Is liye ki ḳhudátars nasl paidá ho. Pas tum apne nafs se ḳhabardár raho, aur koí apní jawání kí bíwí se bewafáí na kare. 16Kyúṉki Ḳhudáwand Isráíl ká Ḳhudá farmátá hai, Maiṉ taláq se bezár húṉ, aur us se bhí jo apní bíwí par zulm kartá hai: is liye tum apne nafs se ḳhabardár raho, táki bewafáí na karo.

17Tum ne apní bátoṉ se Ḳhudáwand ko bezár kar diyá. Taubhí tum kahte ho, Kis bát meṉ ham ne use bezár kiyá? Isi meṉ jo kahte ho, ki Har shaḳhs jo buráí kartá hai Ḳhudáwand ki nazar meṉ nek hai, aur wuh us se ḳhush hai, aur yih, ki ‘adl ká Ḳhudá kaháṉ hai?

 

Malákí 3

1Dekho, maiṉ apne rasúl ko bhejúṉgá, aur wuh mere áge ráh durust karegá, aur Ḳhudáwand, jis ke tum tálib ho, nágahán apní haikal meṉ á maujúd hogá; háṉ, ‘ahd ká rasúl, jis ke tum muntazir ho, áegá, Rabb u’l afwáj farmátá hai.

 

 2Par us ke áne ke din kí kis meṉ táb hai? Aur jab us ká zuhúr hogá, to kaun khaṛá rah sakegá? Kyúṉki wuh sunár ki ág aur dhobí ke sabún kí mánind hai; 3aur wuh chándí ko táne aur sáf karnewále ki mánind baiṭhegá, aur baní Láwí ko sone aur chándí ki mánind sáf karegá, táki wuh rástbází se Ḳhudáwand ke huzúr hadye guzráneṉ. 4Tab Yahúdáh aur Yarúshalem ká hadya Ḳhudáwand ko pasand áegá, jaisá aiyám i qadím aur guzashta zamáne meṉ. 5Aur maiṉ ‘adálat ke liye tumháre nazdík áúṉgá, aur jádúgaroṉ, aur badkároṉ, aur jhúṭhí qasam khánewáloṉ ke ḳhiláf, aur un ke ḳhiláf bhí, jo mazdúroṉ ko mazdúrí nahíṉ dete, aur bewáoṉ, aur yatímoṉ par sitam karte, aur musáfiroṉ ki haqqtalafí karte, haiṉ, aur mujh se nahíṉ ḍarte, musta‘id gawáh húṉgá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 6Kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand látabdíl húṉ, isí liye, ai baní Ya‘qúb, tum nest nahíṉ húe.

7Tum apne bápdádá ke aiyám se mere áín se munharif rahe, aur un ko nahíṉ máná. Tum merí taraf rujú‘ ho, to maiṉ tumhárí taraf rujú‘ húṉgá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. Lekin tum kahte ho, ki Ham kis bát meṉ rujú‘ hoṉ? 8Kyá koí ádmí Khudá ko ṭhagegá? Par tum mujh ko ṭhagte ho, aur kahte ho, Ham ne kis bát meṉ tujhe ṭhagá? Dahyakí aur hadye meṉ. 9Pas tum sakht mal‘ún húe, kyúṉki tum ne balki tamám qaum ne mujhe ṭhagá. 10Púrí dahyakí zaḳhíraḳháne meṉ láo, táki mere ghar meṉ ḳhurák ho, aur isí se merá imtihán karo, Rabb u’l afwáj farmátá ja hai, ki maiṉ tum par ásmán ke daríchoṉ ko kholkar barakat barsátá húṉ, ki nahíṉ, yaháṉ tak ki tumháre pás us ke liye jagah na rahe. 11Aur maiṉ, tumhárí ḳhátir ṭiḍḍí ko ḍáṉṭúṉgá, aur wuh tumhárí zamín ke hásil ko barbád na karegí, aur tumháre tákistánoṉ ká phal kachchá na jhaṛ jáegá, Rabb u’l afwáj farmátá hai. 12Aur sab qaumeṉ tum ko mubárak kaheṉgí, kyúṉki tum dilkushá mamlukat hoge, Rabb u’l afwáj farmátá hai.

13 Ḳhudáwand farmátá hai, Tumhárí báteṉ mere ḳhiláf bahut saḳht haiṉ. Taubhí tum kahte ho, Ham ne terí muḳhálafat meṉ kyá kahá? 14Tum ne to kahá, Ḳhudá ki ‘ibádat karná ‘abas hai: Rabb u’l afwáj ke ahkám par ‘amal karná, aur us ke huzúr mátam karná láhásil hai. 15Aur ab ham mag̣rúroṉ ko nekbaḳht kahte haiṉ; sharír baromand hote haiṉ, aur Ḳhudá ko ázmáne par bhí riháí páte haiṉ. 16Tab ḳhudátarsoṉ ne ápas meṉ guftogú ki, aur Ḳhudáwand ne mutawajjih hokar suná, aur un ke liye, jo Ḳhudáwand ne se ḍarte aur us ke nám ko yád karte the, us ke huzúr yádgár ká daftar likhá gayá. 17Rabb u’l afwáj farmátá hai, Us roz wuh mere log balki merí ḳháss milkíyat hoṉge, aur maiṉ un par aisá rahím húṉgá, jaisá báp apne ḳhidmatguzár bete par hotá hai. 18Tab tum rujú‘ láoge, aur sádiq aur sharír meṉ, aur Ḳhudá ki ‘ibádat karnewále aur na karnewále meṉ imtiyáz karoge.

 

4Tum mere bande Músá ki sharí‘at, ya‘ní un faráiz o ahkám ko, jo maiṉ ne Horib par tamám baní Isráíl ke liye farmáe, yád rakkho. 5Dekho, Ḳhudáwand ke buzurg aur haulnák din ke áne se peshtar maiṉ Íliyáh nabí ko tumháre pás bhejúṉgá. 6Aur wuh báp ká dil beṭe kí taraf, aur beṭe ká báp ki taraf máil karegá; mabádá maiṉ áúṉ, aur zamín ko mal‘ún karúṉ.

 

AB  DUSRA KALAM HAI JO  APKO APNI  KAMAI KA  DUS PERCENT HISSA

AJJ  KE YAQQIYON KO DENE KE LIYE MAZBOOR KIYA  JATA HAI

Aʻmál 5

1Aur ek shaḳhs Hananyáh nám, aur us kí bíwí Saffíra ne jáedád bechí; 2aur us ne apní bíwí ke jánte húe, qímat meṉ se kuchh rakh chhoṛá; aur ek hissa lákar rasúloṉ ke páṉwoṉ meṉ rakh diyá. 3Magar Patras ne kahá; Ai Hananyáh! kyúṉ Shaitán ne tere dil meṉ yih bát ḍál dí, ki tú Rúhuʼl Quds se jhúṭh bole, aur zamín kí qímat meṉ se kuchh rakh chhoṛe? 4Kyá jab tak wuh tere pás thí, terí na thí? aur jab bechí gayí, to tere iḳhtiyár meṉ na rahí? Tú ne kyúṉ apne dil meṉ is bát ká ḳhayál báṉdhá? Tú ádmíoṉ se nahíṉ, balki Ḳhudá se jhúṭh bolá. 5Yih báteṉ sunte hí Hananyáh gir paṛá, aur us ká dam nikal gayá: aur sab sunnewáloṉ par baṛá ḳhauf chhá gayá. 6Phir jawánoṉ ne uṭhkar use kafnáyá, aur báhar le jákar dafn kiyá.

7Jab tín ek ghanṭe guzre, to us kí bíwí, is májare se beḳhabar, andar áí. 8Patras ne us se kahá; Mujhe batá to, kyá tum ne itne hí ko zamín bechí thí? Us ne kahá; Háṉ, itne hí ko. 9Patras ne us se kahá; Tum ne kyúṉ Ḳhudáwand kí Rúh ko ázmáne ke liye eká kiyá? Dekh, tere shauhar ke dafn karnewále darwáze par khaṛe haiṉ, aur tujhe bhí báhar le jáeṉge. 10Wuh usí dam us ke qadamoṉ par gir paṛí, aur us ká dam nikal gayá: aur jawánoṉ ne andar áke use murda páyá, aur báhar le jáke us ke shauhar ke pás dafn kar diyá. 11Aur sárí kalísiyá, balki in bátoṉ ke sab sunnewáloṉ par, baṛá ḳhauf chhá gayá.

 

 

32Aur ímándároṉ kí jamáʻat ek dil aur ek ján thí, aur kisí ne bhí apne mál ko apná na kahá, balki un kí sab chízeṉ mushtarak thíṉ. 33Aur rasúl baṛí qudrat se Ḳhudáwand Yisúʻ ke jí uṭhne kí gawáhí dete rahe, aur un sab par baṛá fazl thá. 34Kyúṉki un meṉ koí bhí muhtáj na thá; is liye ki jo log zamínoṉ yá gharoṉ ke málik the, un ko bech bechkar, bikí húí chízoṉ kí qímat láte, 35aur rasúloṉ ke páṉwoṉ meṉ rakh dete the; phir har ek ko us kí zarúrat ke muwáfiq báṉṭ diyá játá thá.

 

OR TISRA  HAI

Paidáish 14

; 20aur mubárak hai Ḳhudá Ta‘álá, jis ne tere dushmanoṉ ko tere háth meṉ kar diyá. Tab Abrám ne sab ká daswáṉ hissa us ko diyá. 

 

AB SUNAANE  WALE  OR SUNNE WALE YE VACHAN TO PAD DETE HAIN

10 PERCENT KE LIYE MAGAR IS VACHAN KI ASAL HAQIQAT KYA HAI

WUH NHI BATATE

SOCHNE WALI BAAT YE HAI KI ABRAM KE PAAS PAISA AYA KAHA SE 

SAB SE PEHLE BAAT

OR USNE MALIK SADIQ KO HI KYU DIYA

ISKE PICHE BAUHT BHADI WAZA HAI

PEHLE AJ KE WAQT KE MUTABIK

MANLO AAP KE GHAR CHORI HUI OR CHOR AYE OR APKA SAB KUCH LUT KE LEGIYE  PAISA SONA YANI SAB KUCH

OR AP PHIR LAKDAR SAB KUCH VAPIS LEKAR AYEN

OR APKE KOI ADMI APKI DEKH BHAL KE LIYE APKE LIYE JAROORAT KI CHIZEN LAYEN JAIS KI ROTI OR KAPDA

TO US ADMI KO PHIR AAP USMEN  SE 10  PERCENT DEN

JO APKE LIYE APKI IS SITUATION MEN MUHSKIL SATUATION APKE

LIYE JARORAT KI CHIZEN LEKE AYA HO

AGAR APEN KHOA BHI KUCH NHI

OR APKE PICHE AYA BHI KOI

OR YE EK BAR HI HAI

HAR MAHINE NAHI LEKIN 10 PERCENT WALE HAE MAHINE APSE

APKI  KAMAI  KA 10 PRCENT LETE HAIN

YE KALAM SUNA SUNA KAR

HALA KI AGAR KHUDA KE FAZL SE MKASHAFA KI RUH HO

TO SAB  RUHNE MUKASHAFEN HAIN

OR AGAR ISKO ORIGNAL JUBAN MEN RUH KI HIDAYA SE SAMJHNE GEN YANNI IBRANI MEN

TO KALAM OR BHI BUAHT GEHRAI HAI

LEKIN MAIN BUS APKO AWARE KAR RAHA HUN

 

 

5Aur chaudahweṉ baras Kidarlá‘umr, aur us ke sáth ke bádsháh, áe, aur Rifáíoṉ ko ‘Istárát Qarnaim meṉ, aur Zúzíoṉ ko Hám meṉ, aur Aimím ko Sawíqaryataim meṉ, 6aur Horíoṉ ko un ke Koh i Sha‘ír meṉ márte márte El Fárán tak, jo biyábán se lagá húá hai áe. 7Phir wuh lauṭkar ‘Ain i Misfát, ya‘ní Qádis, pahuṉche, aur ‘Amálíqíoṉ ke tamám mulk ko aur Amoríoṉ ko, jo Hasesún Tamar meṉ rahte the, márá. 8Tab Sadúm ká bádsháh, aur ‘Amúrah ká bádsháh, aur Adamah ká bádsháh, aur Ziboím ká bádsháh, aur Bála‘ ya‘ní Zug̣r ká bádsháh, nikle: aur unhoṉ ne Siddím kí wádí meṉ ma‘rika áráí kí; 9táki ‘Ailám ke bádsháh Kidarlá‘umr, aur Joím ke bádsháh Tid‘ál, aur Sin‘ár ke bádsháh Amráfil, aur Illásar ke bádsháh Aryúk se jang kareṉ: yih chár bádsháh un páṉchoṉ ke muqábale meṉ the. 10Aur Siddím kí wádí meṉ já ba já naft ke gaṛhe the; aur Sadúm aur ‘Amúrah ke bádsháh bhágte bhágte waháṉ gire; aur jo bache paháṛ par bhág gaye. 11Tab wuh Sadúm aur ‘Amúrah ká sab mál, aur waháṉ ká sab anáj lekar chale gaye; 12aur Abrám ke bhatíje Lút ko aur us ke mál ko bhí le gaye, kyúṉki wuh Sadúm meṉ rahtá thá. 13Tab ek ne, jo bach gayá thá, jákar Abrám ‘Ibrání ko ḳhabar dí, jo Iskál aur ‘Áner ke bháí Mamre Amorí ke balútoṉ meṉ rahtá thá; aur yih Abrám ke ham‘ahd the. 14Jab Abrám ne suná ki us ká bháí giriftár húá, to us ne apne tín sau aṭhárah mashsháq ḳhánazádoṉ ko lekar Dán tak un ká ta‘áqqub kiyá. 15Aur rát ko us ne aur us ke ḳhádimoṉ ne g̣ol g̣ol hokar un par dháwá kiyá aur un ko márá, aur Ḳhúbah tak, jo Damishq ke báeṉ háth hai, un ká píchhá kiyá. 16Aur wuh sáre mál ko, aur apne bháí Lút ko aur us ke mál, aur ‘auratoṉ ko bhí aur âur logoṉ ko wápas pher láyá. 17Aur jab wuh Kidarlá‘umr aur us ke sáth ke bádsháhoṉ ko márkar phirá, to Sadúm ká bádsháh us ke istiqbál ko Sawí kí wádí tak, jo bádsháhí wádí hai, áyá. 18Aur Malik i Sidq, Sálim ká bádsháh, roṭí aur mai láyá; aur wuh Ḳhudá Ta‘álá ká káhin thá; 19aur us ne us ko barakat dekar kahá, ki Ḳhudá Ta‘álá kí taraf se, jo ásmán aur zamín ká málik hai, Abrám mubárak ho;

 

 

Paidáish 14

1Aur Sin‘ár ke bádsháh Amráfil, aur Illásar ke bádsháh Aryúk, aur ‘Ailám ke bádsháh Kidarlá‘umr, aur Joím ke bádsháh Tid‘ál ke aiyám meṉ 2yúṉ húá, ki unhoṉ ne Sadúm ke bádsháh Bara‘, aur ‘Amúrah ke bádsháh Birsha‘, aur Adamah ke bádsháh Sinniab, aur Ziboím ke bádsháh Shimebar, aur Bála‘ ya‘ní Zug̣r ke bádsháh se jang kí. 3Yih sab Siddím, ya‘ní daryá e shor kí wádí meṉ, ikaṭṭhe húe. 4Bárah baras tak wuh Kidarlá‘umr ke mutí‘ rahe, par terahweṉ baras unhoṉ ne sarkashí kí. 

 

Matí 19

; 16Aur dekho, ek shaḳhs ne pás ákar us se kahá; Ai ustád, maiṉ kaun sí nekí karúṉ, táki hamesha kí zindagí páúṉ? 17Us ne us se kahá, ki Tú mujh se nekí kí bábat kyúṉ púchhtá hai? nek to ek hí hai; lekin agar tú zindagí meṉ dáḳhil honá cháhtá hai, to hukmoṉ par ʻamal kar. 18Us ne us se kahá; Kaun se hukmoṉ par? Yisúʻ ne kahá; Yih, ki Ḳhún na kar; Ziná na kar; Chorí na kar; Jhúṭhí gawáhí na de; 19Apne báp kí aur máṉ kí ʻizzat kar; aur apne paṛausí se apní mánind mahabbat rakh. 20Us jawán ne us se kahá, ki Maiṉ ne in sab par ʻamal kiyá hai; ab mujh meṉ kis bát kí kamí hai? 21Yisúʻ ne us se kahá; Agar tú kámil honá cháhtá hai, to já, apná mál o asbáb bechkar garíboṉ ko de; tujhe ásmán par ḳhazána milegá; aur ákar mere píchhe ho le. 22Magar wuh jawán yih bát sunkar gamgín hoke chalá gayá, kyúṉki baṛá máldár thá.

23Aur Yisúʻ ne apne shágirdoṉ se kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki daulatmand ká ásmán kí bádsháhat meṉ dáḳhil honá mushkil hai. 24Aur phir tum se kahtá húṉ, ki úṉṭ ká súí ke náke meṉ se nikal jáná is se ásán hai, ki daulatmand Ḳhudá kí bádsháhat meṉ dáḳhil ho.

 

Marqus 6

; 7Aur us ne un bárah ko pás bulákar unheṉ do do karke bhejná shurúʻ kiyá; aur unheṉ nápák rúhoṉ par iḳhtiyár diyá; 8aur hukm diyá, ki ráste ke liye, siwá láṭhí ke, kuchh na lo; na roṭí, na jholí, na apne kamarband meṉ paise; 9magar jútiyáṉ pahino, aur do kurte na pahino. 10Aur us ne un se kahá; Jaháṉ tum kisí ghar meṉ dáḳhil ho, to usí meṉ raho, jab tak waháṉ se rawána na ho. 11Aur jis jagah ke log tumheṉ qubúl na kareṉ, aur tumhárí na suneṉ, waháṉ se chalte waqt apne talwoṉ kí gard jháṛ do, táki un par gawáhí ho.

. Matí 17

;  24Aur jab Kafarnahúm meṉ áe, to nim misqál lenewáloṉ ne Patras ke pás ákar kahá; Kyá tumhárá ustád ním misqál nahíṉ detá? 25Us ne kahá; Háṉ, detá hai. Aur jab wuh ghar meṉ áyá, to Yisúʻ ne us ke bolne se pahle hí kahá; Ai Shamaʻún, tú kyá samajhtá hai? Dunyá ke bádsháh kin se mahsúl yá jizya lete haiṉ? apne beṭoṉ se, yá gairoṉ se? 26Jab us ne kahá, ki Gairoṉ se; to Yisúʻ ne us se kahá; Pas beṭe barí húe. 

Galatíoṉ 4

1Maiṉ yíh kahtá húṉ, ki wáris jab tak bachcha hai, agarchi wuh sab ká málik hai, magar us meṉ aur gulám meṉ farq nahíṉ; 2balki jo míʻád báp ne muqarrar kí, us waqt tak sarparastoṉ aur muḳhtároṉ ke iḳhtiyár meṉ rahtá hai. 3Isí tarah ham bhí jab bachche the, to dunyawí ibtidáí bátoṉ ke páband hokar gulámí kí hálat meṉ rahe: 4lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá, 5tákí sharíʻat ke mátahtoṉ ko mol lekar chhuṛá le, aur ham ko lepálak hone ká darja mile. 6Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai. 7Pas ab tú gulám nahíṉ, balki beṭá hai; aur jab beṭá húá, to Ḳhudá ke sabab wáris bhí húá.

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...