Shalom masih yeshua men aap saboh ki salmati ho
Uski mamuri men se hum sab nen paya yani fazl par fazl
Kyu ki fazl or sachchai masih yeshua ki mariffat pauhcnhi
To aj do shabad hain ek hai survive or dusra hai sacrifice
To pehle hum simple sahbdo men survive ke shabad arth ko samjhe gai
"जीवन में जीवित
रहना" का अर्थ केवल जीवित रहना ही नहीं है, बल्कि जीवन की चुनौतियों और कठिनाइयों के बीच आगे बढ़ना,
बदलती परिस्थितियों के साथ तालमेल बिठाते हुए
खुशहाली और उद्देश्य की भावना को बनाए रखना, बाधाओं के बावजूद "समृद्धि" प्राप्त करना है;
यह केवल अस्तित्व में रहने से कहीं अधिक है और
इसमें जीवन के साथ सक्रिय रूप से जुड़ना और कठिनाइयों पर विजय प्राप्त करना शामिल
है।
"ਜ਼ਿੰਦਗੀ ਜੀਉਣ ਲਈ" ਦਾ
ਅਰਥ ਹੈ ਸਿਰਫ਼ ਜ਼ਿੰਦਾ ਰਹਿਣਾ ਹੀ ਨਹੀਂ ਸਗੋਂ ਜ਼ਿੰਦਗੀ ਦੀਆਂ ਚੁਣੌਤੀਆਂ ਅਤੇ ਮੁਸ਼ਕਲਾਂ
ਵਿੱਚੋਂ ਲੰਘਣਾ, ਬਦਲਦੇ ਹਾਲਾਤਾਂ ਦੇ ਅਨੁਕੂਲ
ਬਣਨਾ, ਤੰਦਰੁਸਤੀ ਅਤੇ ਉਦੇਸ਼ ਦੀ
ਭਾਵਨਾ ਨੂੰ ਬਣਾਈ ਰੱਖਣਾ, ਅਸਲ ਵਿੱਚ ਰੁਕਾਵਟਾਂ ਦੇ
ਬਾਵਜੂਦ "ਫੁੱਲਣਾ"; ਇਹ ਸਿਰਫ਼ ਮੌਜੂਦ ਹੋਣ ਤੋਂ
ਪਰੇ ਹੈ ਅਤੇ ਜੀਵਨ ਨਾਲ ਸਰਗਰਮੀ ਨਾਲ ਜੁੜਨਾ ਅਤੇ ਮੁਸ਼ਕਲਾਂ ਨੂੰ ਦੂਰ ਕਰਨਾ ਸ਼ਾਮਲ ਕਰਦਾ ਹੈ।
simple sahbdo men sacrifice
ke shabad arth ko samjhe gai
जीवन में, "बलिदान" का अर्थ सामान्यतः किसी मूल्यवान
वस्तु, जैसे समय, आराम या व्यक्तिगत इच्छाओं का त्याग करना होता
है, ताकि किसी और की सहायता
की जा सके या कोई महान् कार्य किया जा सके, जिसे अक्सर आपकी अपनी तात्कालिक आवश्यकताओं से अधिक महत्वपूर्ण
माना जाता है; मूलतः, स्वयं की अपेक्षा दूसरों की भलाई को प्राथमिकता
देने का निःस्वार्थ निर्णय लेना।
In life, "sacrifice" generally means giving up
something valuable to you, like time, comfort, or personal desires, in order to
help someone else or achieve a greater good, often considered more important
than your own immediate needs; essentially, making a selfless choice to
prioritize the well-being of others over your own.
ਜ਼ਿੰਦਗੀ ਵਿੱਚ,
"ਕੁਰਬਾਨੀ" ਦਾ ਆਮ ਤੌਰ 'ਤੇ ਮਤਲਬ ਹੈ ਕਿਸੇ ਹੋਰ ਦੀ ਮਦਦ ਕਰਨ ਜਾਂ ਵੱਡਾ ਭਲਾ
ਪ੍ਰਾਪਤ ਕਰਨ ਲਈ, ਜੋ ਅਕਸਰ ਤੁਹਾਡੀਆਂ ਆਪਣੀਆਂ
ਤੁਰੰਤ ਜ਼ਰੂਰਤਾਂ ਨਾਲੋਂ ਜ਼ਿਆਦਾ ਮਹੱਤਵਪੂਰਨ ਮੰਨਿਆ ਜਾਂਦਾ ਹੈ, ਤੁਹਾਡੇ ਲਈ ਕੀਮਤੀ ਚੀਜ਼, ਜਿਵੇਂ ਕਿ ਸਮਾਂ, ਆਰਾਮ, ਜਾਂ ਨਿੱਜੀ ਇੱਛਾਵਾਂ ਨੂੰ
ਛੱਡ ਦੇਣਾ; ਅਸਲ ਵਿੱਚ, ਦੂਜਿਆਂ ਦੀ ਭਲਾਈ ਨੂੰ ਆਪਣੀਆਂ ਨਾਲੋਂ ਤਰਜੀਹ ਦੇਣ ਲਈ
ਇੱਕ ਨਿਰਸਵਾਰਥ ਚੋਣ ਕਰਨਾ।
Or ab hum sacrifice shabad ko according to bible yan
kitab muqdass or kalam haq ke mutabik samjhe ge
Khas kar ke masih yesu ka jeevan
1 Yúhanná 4
; 10Mahabbat is
meṉ nahíṉ, ki ham ne Ḳhudá se mahabbat kí, balki is meṉ hai, ki us ne ham se
mahabbat kí, aur hamáre gunáhoṉ ke kaffáre ke liye apne Beṭe ko bhejá. 11Ai ʻazízo,
jab Ḳhudá ne ham se aisí mahabbat kí, to ham par bhí ek dúsre se mahabbat karní
farz hai. 12Ḳhudá ko kabhí kisí ne nahíṉ dekhá: agar ham ek
dúsre se mahabbat karte haiṉ, to Ḳhudá ham meṉ rahtá hai, aur us kí mahabbat
hamáre dil meṉ kámil ho gayí hai. 13Chúṉki us
ne apní Rúh meṉ se hameṉ diyá hai, is se ham jánte haiṉ, ki ham us meṉ qáim
rahte haiṉ, aur wuh ham meṉ. 14Aur ham ne
dekh liyá hai, aur gawáhí dete haiṉ, ki Báp ne Beṭe ko dunyá ká Munjí karke
bhejá hai. 15Jo koí iqrár kartá hai, ki Yisúʻ Ḳhudá ká Beṭá
hai, Ḳhudá us meṉ rahtá hai, aur wuh Ḳhudá meṉ. 16Jo mahabbat
Ḳhudá ko ham se hai, us ko ham ján gaye, aur hameṉ us ká yaqín hai. Ḳhudá
mahabbat hai; aur jo mahabbat meṉ qáim rahtá hai, wuh Ḳhudá meṉ qáim rahtá hai,
aur Ḳhudá us meṉ qáim rahtá hai. 17Isí sabab
se manabbat ham meṉ kámil ho gayí hai, táki hameṉ ʻadálat ke din dilerí ho; kyúṉki
jaisá wuh hai, waise hí dunyá meṉ ham bhí haiṉ.
Yúhanná 3
; 16Kyúṉki Ḳhudá
ne dunyá se aisí mahabbat rakkhí, ki us ne apná iklautá Beṭá baḳhsh diyá, táki
jo koí us par ímán láe halák na ho, balki hamesha kí zindagi páe. 17Kyúṉki Ḳhudá
ne Beṭe ko dunyá meṉ is liye nahíṉ bhejá, ki dunyá par sazá ká hukm kare, balki
is liye ki dunyá us ke wasíle se naját páe. 18Jo us par
ímán látá hai, us par sazá ká hukm nahíṉ hotá; jo us par ímán nahíṉ látá, us
par sazá ká hukm ho chuká; is liye ki wuh Ḳhudá ke iklaute Beṭe ke nám par ímán
nahíṉ láyá. 19Aur sazá ke hukm ká sabab yih hai, ki núr dunyá
meṉ áyá hai, aur ádmíoṉ ne táríkí ko núr se ziyáda pasand kiyá, is liye ki un
ke kám bure the. 20Kyúṉki jo koí badi kartá hai, wuh núr se dushmaní
rakhtá hai, aur núr ke pás nahíṉ átá, aisá na ho ki us ke kámoṉ par malámat kí
jáe. 21Magar jo sachcháí par ʻamal kartá hai, wuh núr ke
pás átá hai, táki us ke kám záhir hoṉ, ki wuh Ḳhudá meṉ kiye gaye haiṉ.
ʻIbrá Níoṉ 10
1Kyúṉki sharíʻat
jis meṉ áyanda kí achchhí chízoṉ ká ʻaks hai, aur un chízoṉ kí aslí súrat
nahíṉ, un ek hí tarah kí qurbáníoṉ se, jo har sál bilánága guzrání játí haiṉ,
pás ánewáloṉ ko hargiz kámil nahíṉ kar saktí. 2Warna un ká guzránná kyúṉ
mauqúf na ho játá? Is liye ki jab ʻibádat karnewále ek bár pák ho játe, to phir
un ká dil unheṉ gunahgár na ṭhahrátá. 3Balki wuh
qurbáníáṉ sál ba sál gunáhoṉ ko yád dilátí haiṉ. 4Kyúṉki mumkin nahíṉ ki
bailoṉ aur bakroṉ ká ḳhún gunáhoṉ ko dúr kare. 5Isí liye wuh dunyá meṉ áte
waqt kahtá hai, ki
Tú ne qurbání aur nazr ko pasand na kiyá,
Balki mere liye ek badan taiyár kiyá;
6Púrí soḳhtaní
qurbáníoṉ aur gunáh kí qurbáníoṉ se tú ḳhush na húá:
7Us waqt maiṉ ne
kahá, ki Dekh maiṉ áyá húṉ,
(Kitáb ke warqoṉ meṉ merí nisbat likhá húá hai,)
Táki, ai Ḳhudá, terí marzí púrí karúṉ.
8Úpar to wuh kahtá hai, ki
Na tú ne qurbáníoṉ aur nazroṉ aur púrí soḳhtaní qurbáníoṉ, aur gunáh kí
qurbáníoṉ ko pasand kiyá, aur na un se ḳhush húá; háláṉki wuh qurbáníáṉ
sharíʻat ke muwáfiq guzrání játí haiṉ; 9aur phir yih kahtá
hai, ki Dekh, maiṉ áyá húṉ, táki terí marzí púrí karúṉ; garaz wuh pahle ko
mauqúf kartá hai, táki dúsre ko qáim kare. 10Usí marzí ke sabab
ham Yisúʻ Masíh ke jism ke ek hí bár qurbán hone ke wasíle se pák kiye gaye
haiṉ. 11Aur har ek káhin to khaṛe
hokar har roz ʻibádat kartá hai, aur ek hí tarah kí qurbáníáṉ bár bár guzrántá
hai, jo hargiz gunáhoṉ ko dúr nahíṉ kar saktíṉ: 12lekin yih shaḳhs hamesha
ke liye gunáhoṉ ke wáste ek hí qurbání guzránkar, Ḳhudá kí dahiní taraf já
baiṭhá; 13aur usí waqt se muntazir
hai, ki us ke dushman us ke páṉwoṉ tale kí chaukí baneṉ; 14kyúṉki us ne ek hí qurbání
chaṛháne se un ko hamesha ke liye kámil kar diyá hai, jo pák kiye játe
haiṉ. 15Aur Rúhuʼl Quds bhí ham ko
yihí batátá hai; kyúṉki yih kahne ke baʻd, ki
16Ḳhudáwand farmátá
hai;
Jo ʻahd maiṉ un dinoṉ ke baʻd un se báṉdhúṉgá, wuh yih
hai, ki
Maiṉ apne qánún un ke diloṉ par likhúṉgá,
Aur un ke zihn meṉ dálúṉgá;
17phir wuh yih kahtá hai, ki
Un ke gunáhoṉ aur bedíníoṉ ko phir kabhí yád na karúṉgá.
18Aur jab in kí muʻáfí ho
gayí hai, to phir gunáh kí qurbání nahíṉ rahí.
19Pas ai bháiyo,
chúṉkí hameṉ Yisúʻ ke ḳhún ke sabab us nayí aur zinda ráh se pák makán meṉ
dáḳhil hone kí dilerí hai; 20jo us ne parde
yaʻní apne jism meṉ se hokar, hamáre wáste maḳhsús kí hai; 21aur chúṉki hamárá aisá
baṛá káhin hai, jo Ḳhudá ke ghar ká muḳhtár hai; 22to áo, ham sachche dil aur
púre ímán ke sáth, aur dil ke ilzám ko dúr karne ke liye diloṉ par chhíṉṭe
lekar, aur badan ko sáf pání se dhulwákar, Ḳhudá ke pás chaleṉ: 23aur apní ummed ke iqrár ko
mazbútí se tháme raheṉ; kyúṉki jis ne waʻda kiyá hai, wuh sachchá hai: 24aur mahabbat aur nek kámoṉ
kí targíb dene ke liye ek dúsre ká liház rakkheṉ; 25aur ek dúsre ke sáth jamaʻ
hone se báz na áeṉ, jaisá baʻz logoṉ ká dastúr hai, balki ek dúsre ko nasíhat
kareṉ; aur jis qadr us din ko nazdík hote húe dekhte ho usí qadr ziyáda kiyá
karo.
26Kyúṉki haqq kí
pahchán hásil karne ke baʻd agar ham ján bújhkar gunáh kareṉ, to gunáhoṉ kí koí
âur qurbání báqí nahíṉ rahí; 27háṉ, ʻadálat ká ek
haulnák intizár aur gazabnák átish báqí hai, jo muḳhálifoṉ ko khá legí. 28Jab Músá kí sharíʻat ká na
mánnewálá do yá tín shaḳhsoṉ kí gawáhí se, bagair rahm kiye márá játá
hai, 29to ḳhayál karo ki wuh
shaḳhs kis qadr ziyáda sazá ke láiq ṭhahregá, jis ne Ḳhudá ke Beṭe ko pámál
kiyá, aur ʻahd ke ḳhún ko, jis se wuh pák húá thá, nápák jáná, aur fazl kí Rúh
ko beʻizzat kiyá. 30Kyúṉki use ham jánte haiṉ,
jis ne kahá, ki Intiqám lená merá kám hai, badla maiṉ hí dúṉgá: aur phir yih,
ki Ḳhudáwand apní ummat kí ʻadálat karegá. 31Zinda Ḳhudá ke
háthoṉ meṉ paṛná haulnák bát hai.
ʻIbrá Níoṉ 9
; 11Lekin jab Masíh áyanda kí
achchhí chízoṉ ká sardár káhin hokar áyá, to us buzurgtar aur kámiltar ḳhaime
kí ráh se jo háthoṉ ká baná húá, yaʻní is dunyá ká, nahíṉ; 12aur bakroṉ aur bachhṛoṉ ká
ḳhún lekar nahíṉ, balki apná hí ḳhún lekar, pák makán meṉ ek hí bár dáḳhil ho
gayá, aur abadí ḳhalásí karáí. 13Kyúṉki jab bakroṉ
aur bailoṉ ke ḳhún aur gáe kí rákh nápákoṉ par chhiṛke jáne se záhirí pákízagí
hásil hotí hai; 14to Masíh ká ḳhún jís ne
apne áp ko azalí Rúh ke wasíle Ḳhudá ke sámne beʻaib qurbán kar diyá, tumháre
diloṉ ko murda kámoṉ se kyúṉ na pák karegá, táki zinda Ḳhudá kí ʻibádat
kareṉ. 15Aur isí sabab se wuh naye
ʻahd ká darmiyání hai, táki us maut ke wasíle se jo pahle ʻahd ke waqt ke
qusúroṉ kí muʻáfí ke liye húí hai, buláe húe log waʻde ke bamújib abadí mírás
ko hásil kareṉ. 16Kyúṉki jaháṉ wasíyat hai,
waháṉ wasíyat karnewále kí maut bhí sábit honí zarúr hai. 17Is liye ki wasíyat maut ke
baʻd hí járí hotí hai, aur jab tak wasíyat karnewálá zinda rahtá hai, us ká
ijrá nahíṉ hotá. 18Isí liye pahlá ʻahd bhí
bagair ḳhún ke nahíṉ báṉdhá gayá. 19Chunáṉchi jab Músá
tamám ummat ko sharíʻat ká har ek hukm suná chuká, to bachhṛoṉ aur bakroṉ ká
ḳhún lekar, pání, aur lál ún, aur zúfá ke sáth, us kitáb aur tamám ummat par
chhiṛak diyá, 20aur kahá, ki Yih us ʻahd
ká ḳhún hai, jis ká hukm Ḳhudá ne tumháre liye diyá hai. 21Aur isí tarah us ne ḳhaime
aur ʻibádat ki tamám chízoṉ par ḳhún chhiṛká. 22Aur taqríban sárí chízeṉ
sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí
nahíṉ hotí.
23Pas zarúr thá, ki
ásmání chízoṉ ki naqleṉ to in ke wasíle se pák kí jáeṉ; magar ḳhud ásmání
chízeṉ in se bihtar qurbáníoṉ ke wasíle se. 24Kyúṉki Masíh us
háth ke banáe húe pák makán meṉ dáḳhil nahíṉ húá, jo haqíqí pák makán ká namúna
hai, balki ásmán hí meṉ dáḳhil húá; táki ab Ḳhudá ke rúbarú hamárí ḳhátir házir
ho: 25yih nahíṉ ki wuh apne áp
ko bár bár qurbán kare, jis tarah ki sardár káhin pák makán meṉ har sál dúsre
ká ḳhún lekar játá hai; 26warna biná e ʻálam
se lekar us ko bár bár dukh uṭháná zarúr hotá: magar ab zamánoṉ ke áḳhir meṉ ek
bár záhir húá, táki apne áp ko qurbán karne se gunáh ko miṭá de. 27Aur jis tarah ádmíoṉ ke
liye ek bár marná aur us ke baʻd ʻadálat ká honá muqarrar hai; 28isí tarah Masíh bhí ek bár
bahut logoṉ ke gunáh uṭháne ke liye qurbán hokar, dúsrí bár bagair gunáh ke,
naját ke liye un ko dikháí degá, jo us kí ráh dekhte haiṉ.
Romíoṉ 3
12Rát bahut
guzar gayí, aur din nikalnewálá hai: pas ham táríkí ke kámoṉ ko tark karke,
raushní ke hathyár báṉdh leṉ. 13Jaisá din
ko dastúr hai, sháistagí se chaleṉ; na ki náchrang aur nashebází se, na
zinákárí aur shahwatparastí se, aur na jhagṛe aur hasad se; 14balki Ḳhudáwand
Yisúʻ Masíh ko pahin lo, aur jism kí ḳhwáhishoṉ ke liye tadbíreṉ na karo.
; 0kyúṉki
sharíʻat ke aʻmál se koí bashar us ke huzúr rástbáz nahíṉ ṭhahregá, is liye ki
sharíʻat ke wasíle se to gunáh kí pahchán hí hotí hai. 21Magar ab
sharíʻat ke bagair Ḳhudá kí ek rástbází záhir húí hai, jis kí gawáhí sharíʻat
aur nabíoṉ se hotí hai; 22yaʻní Ḳhudá
kí wuh rástbází, jo Yisúʻ Masíh par ímán láne se sab ímán lánewáloṉ ko hásil
hotí hai; kyúṉki kuchh farq nahíṉ; 23is liye ki
sab ne gunáh kiyá, aur Ḳhudá ke jalál se mahrúm haiṉ; 24magar us ke
fazl ke sabab, us maḳhlasí ke wasíle se jo Masíh Yisúʻ meṉ hai, muft rástbáz ṭhahráe
játe haiṉ: 25use Ḳhudá ne us ke ḳhún ke báʻis ek aisá kaffára ṭhahráyá,
jo ímán láne se fáidamand ho; táki jo gunáh peshtar ho chuke the, aur jin se Ḳhudá
ne tahammul karke tarah dí thí, un ke báre meṉ wuh apní rást-bází záhir
kare; 26balki isí waqt us kí rástbází záhir ho: táki wuh ḳhud
bhí ʻádil rahe, aur jo Yisúʻ par ímán láe, us ko bhí rástbáz ṭhahránewálá
ho. 27Pas faḳhr kaháṉ rahá? Is kí gunjáish hí nahíṉ.
Kaun sí sharíʻat ke sabab se? kyá aʻmál kí sharíʻat se? Nahíṉ: balki ímán kí
sharíʻat se. 28Chunáṉchi ham yih natíja nikálte haiṉ, ki insán
sharíʻat ke aʻmál ke bagair ímán ke sabab se rástbáz ṭhahrtá hai. 29Kyá Ḳhudá sirf
Yahúdíoṉ hí ká hai; gairqaumoṉ ká nahíṉ? Beshakk, gairqaumoṉ ká bhí hai:
1 Patras 2
1Pas har tarah kí
badḳhwáhí, aur sáre fareb, aur riyákárí, aur hasad, aur har tarah kí badgoí ko
dúr karke, 2nauzád bachchoṉ kí mánind
ḳhális rúhání dúdh ke mushtáq raho, táki us ke zaríʻe se naját hásil karne ke
liye baṛhte jáo; 3agar tum ne Ḳhudáwand ke
mihrbán hone ká maza chakkhá hai: 4us ke, yaʻní
ádmíoṉ ke radd kiye húe, par Ḳhudá ke chune húe aur qímatí zinda patthar ke pás
ákar, 5tum bhí zinda pattharoṉ kí
tarah rúhání ghar bante játe ho, táki káhinoṉ ká muqaddas firqa bankar, aisí
rúhání qurbáníáṉ chaṛháo, jo Yisúʻ Masíh ke wasíle se Ḳhudá ke nazdík maqbúl
hotí haiṉ.
Matí 12
; 5Yá tum ne
Tauret meṉ nahíṉ paṛhá, ki káhin Sabt ke din haikal meṉ Sabt kí behurmatí karte
haiṉ, aur bequsúr rahte haiṉ? 6Main tum se
kahtá húṉ, ki yaháṉ wuh hai, jo haikal se bhí baṛá hai. 7Lekin agar
tum is ke maʻní jánte, ki Maiṉ qurbání nahíṉ, balki rahm pasand kartá húṉ, to
bequsúroṉ ko qusúrwár na ṭhahráte. 8Kyúṉki Ibn
i Ádam Sabt ká málik hai.
Romíoṉ 12
1Pas, ai bháiyo,
maiṉ Ḳhudá kí rahmateṉ yád dilákar, tum se iltimás kartá húṉ, ki apne badan
aisí qurbání hone ke liye nazr karo, jo zinda, aur pák, aur Ḳhudá ko pasandída
ho; yihí tumhárí maʻqúl ʻibádat hai. 2Aur is jahán ke
hamshakl na bano, balki ʻaql nayí ho jáne se apní súrat badalte jáo; táki Ḳhudá
kí nek aur pasandída aur kámi! marzí tajribe se maʻlúm karte raho.
Romíoṉ 6:3 (URDR55)
Kyá tum nahíṉ jánte, ki ham jitnoṉ ne Masíh Yisúʻ meṉ shámil hone
ká baptisma liyá, to us kí maut meṉ shámil hone ká baptisma liyá?
Romíoṉ 6:4 (URDR55)
Pas maut meṉ shámil hone ke baptisma ke wasíle se ham us ke sáth
dafn húe; táki jis tarah Masíh Báp ke jalál ke wasíle se murdoṉ meṉ se jiláyá
gayá, usí tarah ham bhí nayí zindagí kí ráh chaleṉ.
Galatíoṉ 5
; 24Aur jo
Masíh Yisúʻ ke haiṉ, unhoṉ ne jism ko us kí ragbatoṉ aur ḳhwáhishoṉ samet salíb
par kheṉch diyá hai.
1 Patras 2
; 24wuh áp
hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ
ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár se jíeṉ; aur usí ke már kháne se tum
ne shifá páí.
Ifisíoṉ 2
1Aur us ne tumheṉ
bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá
kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí
pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab
pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde
púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the:
Kulussíoṉ 3
1Pas jab tum Masíh
ke sáth jiláe gaye, to ʻálam i bálá kí chízoṉ kí talásh meṉ raho, jaháṉ Masíh
maujúd hai, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá hai. 2ʻÁlam i bálá kí chízoṉ ke
ḳhayál meṉ raho, na zamín par kí chízoṉ ke; 3kyúṉ ki tum mar
gaye, aur tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí
zindagí hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye
jáoge.
5Pas apne un aʻzá
ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur
burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá
ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum bhí, jis waqt un
bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte the. 8Lekin ab tum bhí in sab
ko, yaʻní gussa, aur qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná
chhoṛ do: 9ek dúsre se jhúṭh na bolo,
kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí insáníyat ko
pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí
játí hai: 11waháṉ na Yúnáni rahá, na
Yahúdí, na ḳhatna, na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám, na ázád: sirf
Masíh sab kuchh aur sab meṉ hai.
Galatíoṉ 5
;
16Magar maiṉ yih kahtá húṉ,
ki Rúh ke muwáfiq chalo, to jism kí ḳhwáhish ko hargiz púrá na karoge. 17Kyúṉki jism
Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai, aur Rúh jism ke ḳhiláf; aur yih ek dúsre ke
muḳhálif haiṉ; táki jo tum cháhte ho, wuh na karo.
Zabúr 51
; 17Shikasta rúh Ḳhudá kí qurbání hai,
Ai Ḳhudá, tú shikasta aur ḳhasta dil ko haqír na jánegá.
ʻIbrá Níoṉ 5
1Kyúṉki har sardár
káhin ádmíoṉ meṉ se muntaḳhab hokar ádmíoṉ hí ke liye un bátoṉ ke wáste
muqarrar kiyá játá hai, jo Ḳhudá se ʻiláqa rakhtí haiṉ, táki nazreṉ aur gunáhoṉ
kí qurbáníáṉ guzráne: 2aur wuh nádánoṉ
aur gumráhoṉ se narmí ke sáth pesh áne ke qábil hotá hai, is liye ki wuh ḳhud
bhí kamzorí meṉ mubtalá rahtá hai; 3aur isí sabab se
us par farz hai, ki gunáhoṉ kí qurbání jis tarah ummat kí taraf se guzráne, usí
tarah apní taraf se bhí chaṛháe. 4Aur koí shaḳhs
apne áp yih ʻizzat iḳhtiyár nahíṉ kartá, jab tak Hárún kí tarah Ḳhudá kí taraf
se buláyá na jáe. 5Isí tarah Masíh ne bhí
sardár káhin hone kí buzurgí apne taíṉ nahíṉ dí, balki usí ne dí, jis ne us se
kahá thá, ki
Tú merá Beṭá hai,
Áj tú mujh se paidá húá:
6chunáṉchi wuh dúsre maqám
par bhí kahtá hai, ki
Tú Malik i Sidq ke taríqe ká
Abad tak káhin hai.
7Us ne apní basharíyat ke
dinoṉ meṉ, zor zor se pukárkar aur áṉsú bahá bahákar, usí se duʻáeṉ aur
iltijáeṉ kíṉ, jo us ko maut se bachá saktá thá, aur ḳhudátarsí ke sabab us kí
suní gayí; 8aur báwujúd Beṭá hone ke
us ne dukh uṭhá uṭhákar farmánbardárí síkhí; 9aur kámil bankar apne sab
farmánbardároṉ ke liye abadí naját ká báʻis húá; 10aur use Ḳhudá kí taraf se
Malik i Sidq ke taríqe ke sardár káhin ká ḳhitáb milá.
Ab hum bible ke mutabik
survive shabad ko sikhe gen or
samjhen
Yani masih jeevan men hum kaise survive karte hai zindghi
guzarte hain
'kyúṉki Masíh kí ḳhátir tum par yih fazl húá, ki na faqat us
par ímán láo, balki us kí ḳhátir dukh bhí saho: '
Filippíoṉ 1:29
https://www.bible.com/bible/1553/PHP.1.29
Romíoṉ 5
1Pas jab ham ímán
se rástbáz ṭhahre, to Ḳhudá ke sáth apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se
sulh rakkheṉ; 2jis ke wasíle se ímán ke
sabab us fazl tak hamárí rasáí bhí húí, jis par qáim haiṉ; aur Ḳhudá ke jalál
kí ummed par faḳhr kareṉ. 3Aur sirf yihí
nahíṉ, balki musíbatoṉ meṉ bhí faḳhr kareṉ; yih jánkar, ki musíbat se sabr
paidá hotá hai; 4aur sabr se puḳhtagí; aur
puḳhtagí se ummed paidá hotí hai: 5aur ummed se
sharmindagí hásil nahíṉ hotí, kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us
ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai.
1 Patras 4
; 12Ai piyáro,
jo musíbat kí ág tumhárí ázmáish ke liye tum meṉ bhaṛkí hai, yih samajhkar us
se taʻajjub na karo, ki yih ek anokhí bát ham par wáqiʻ húí hai: 13balki Masíh
ke dukhoṉ meṉ jyúṉ jyúṉ sharík ho, ḳhushí karo; táki us ke jalál ke zuhúr ke
waqt bhí niháyat ḳhush o ḳhurram ho. 14Agar Masíh
ke nám ke sabab tumheṉ malámat kí játí hai, to tum mubárak ho; kyúṉki jalál ká
Rúh, yaʻní Ḳhudá ká Rúh, tum par sáya kartá haí. 15Tum meṉ se
koí shaḳhs ḳhúní, yá chor, yá badkár, yá auroṉ ke kám meṉ dastandáz hokar dukh
na páe: 16lekin agar Masíhí hone ke báʻis koí shaḳhs dukh
páe, to sharmáe nahíṉ, balki is nám ke sabab se Ḳhudá ki baṛáí kare.
2 Tímuthiyus 3
;
12Balki jitne
Masíh Yisúʻ meṉ díndárí ke sáth zindagí guzárná cháhte haiṉ, wuh sab satáe jáeṉge.
Matí 5
; 10Mubárak haiṉ
wuh jo rástbází ke sabab satáe gaye haiṉ, kyúṉki ásmán kí bádsháhat unhíṉ kí
hai. 11Jab mere sabab log tumheṉ laʻn taʻn kareṉge, aur
satáeṉge, aur har tarah kí burí báteṉ tumhárí nisbat náhaqq kaheṉge, to tum
mubárak hoge. 12Ḳhushí karná, aur niháyat shádmán honá, kyúṉki
ásmán par tumhárá ajr baṛá hai, is liye ki logoṉ ne un nabíoṉ ko bhí jo tum se
pahle the, isí tarah satáyá thá.
1 Yúhanná 3:3 (URDR55)
Aur
jo koí us se yih ummed rakhtá hai, apne áp ko waisá hí pák kartá hai, jaisá wuh
pák hai.
1 Yúhanná 4
jaisá wuh hai, waise hí dunyá meṉ ham bhí haiṉ
Filippíoṉ 2
; 5Waisá hí
mizáj rakkho, jaisá Masíh Yisúʻ ká bhí thá: 6us ne
agarchi Ḳhudá kí súrat par thá, Ḳhudá ke barábar hone ko qabze meṉ rakhne kí
chíz na samjhá, 7balki apne áp ko ḳháli kar diyá, aur ḳhádim kí
súrat iḳhtiyár kí, aur insánoṉ ke mushábih ho gayá; 8aur insání
shakl meṉ záhir hokar apne áp ko past kar diyá, aur yaháṉ tak farmánbardár
rahá, ki maut, balki salíbí maut, gawárá kí. 9Isí wáste Ḳhudá
ne bhí use bahut sarbaland kiyá, aur use wuh nám baḳhshá jo sab námoṉ se aʻlá
hai; 10táki Yisúʻ ke nám par har ek ghuṭná ṭike, ḳhwáh
ásmáníoṉ ká ho, ḳhwáh zamíníoṉ ká, ḳhwáh un ká jo zamín ke níche haiṉ; 11aur Ḳhudá
Báp ke jalál ke liye har ek zabán iqrár kare, ki Yisúʻ Masíh Ḳhudáwand hai.
1 Patras 2
; 19Kyúṉki agar
koí Ḳhudá ke ḳhayál se, beinsáfí ke báʻis dukh uṭhákar, taklífoṉ kí bardásht
kare, to yih pasandída hai. 20Is liye ki
agar tum ne gunáh karke mukke kháe, aur sabr kiyá, to kaun sá faḳhr hai? háṉ,
agar nekí karke dukh páte, aur sabr karte ho, to yih Ḳhudá ke nazdík pasandída
hai. 21Aur tum isí ke liye buláe gaye ho: kyúṉki Masíh
bhí tumháre wáste dukh uṭhákar tumheṉ ek namúna de gayá hai, táki us ke naqsh i
qadam par chalo. 22Na us ne gunáh kiyá, aur na us ke muṉh se koí
makr kí bát niklí: 23na wuh gáliyáṉ khákar gálí detá thá; aur na dukh
pákar kisí ko dhamkátá thá; balki apne áp ko sachche ínsáf karnewále ke supurd
kartá thá: 24wuh áp hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe
salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár
se jíeṉ; aur usí ke már kháne se tum ne shifá páí. 25Kyúṉki
pahle tum bheṛoṉ kí tarah bhaṭakte phirte the; magar ab apní rúhoṉ ke Gallabán
aur Nigahbán ke pás phir á gaye ho.
Matí 10
; 16Dekho, maiṉ
tumheṉ bhejtá húṉ, goyá bheṛoṉ ko bheṛiyoṉ ke bích meṉ; pas sáṉpoṉ kí mánind
hoshyár, aur kabútaroṉ kí mánind bhole bano. 17Magar ádmíoṉ
se ḳhabardár raho, kyúṉki wuh tumheṉ ʻadálatoṉ ke hawále kareṉge, aur apne
ʻibádatḳhánoṉ meṉ tumháre koṛe máreṉge; 18aur tum
mere sabab hákimoṉ aur bádsháhoṉ ke sámne házir kiye jáoge, táki un ke aur
gairqaumoṉ ke liye gawáhí ho. 19Lekin jab
wuh tumheṉ pakaṛwáeṉ, to fikr na karná ki ham kis tarah kaheṉ yá kyá kaheṉ; kyúṉki
jo kuchh kahná hogá, usí ghaṛí tumheṉ batáyá jáegá. 20Kyúṉki
bolnewále tum nahíṉ, balki tumháre Báp kí Rúh hai jo tum meṉ boltí hai. 21Bháí ko
bháí qatl ke liye hawále karegá, aur beṭe ko báp; aur beṭe apne máṉ báp ke barḳhiláf
khaṛe hokar unheṉ marwá dáleṉge. 22Aur mere
nám ke báʻis sab log tum se ʻadáwat kareṉge; magar jo áḳhir tak bardásht
karegá, wuhí naját páegá. 23Lekin jab
tumheṉ ek shahr meṉ satáeṉ, to dúsre ko bhág jáo, kyúṉki maiṉ tum se sach kahtá
húṉ, ki tum Isráíl ke sab shahroṉ meṉ na phir chukoge, ki Ibn i Ádam á jáegá.
Romíoṉ 8
; 35Kaun ham ko Masíh ki mahabbat se judá karegá? Musíbat, yá tangí, yá zulm,
yá kál, yá naṉgápan, yá ḳhatra, yá talwár? 36Chunáṉchi likhá
hai, ki
Ham terí ḳhátir din bhar ján se máre játe haiṉ;
Ham to zabh honewálí bheṛoṉ ke barábar gine gaye.
37Magar in sab hálatoṉ meṉ,
us ke wasíle se jis ne ham se mahabbat kí, ham ko fath se bhí baṛhkar galaba
hásil hotá hai. 38Kyúṉki mujh ko yaqín hai,
ki Ḳhudá kí jo mahabbat hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hai, us se ham ko na
maut judá kar sakegí, na zindagí, 39na firishte, na
hukúmateṉ, na hál kí, na istiqbál kí chizeṉ, na qudrateṉ, na balandí, na pastí,
na koí âur maḳhlúq.
2 Kurinthíoṉ 4
; 7Lekin
hamáre pás yih ḳhazána miṭṭí ke bartanoṉ meṉ rakkhá hai, táki yih hadd se
ziyáda qudrat hamárí taraf se nahíṉ, balki Ḳhudá kí taraf se maʻlúm ho. 8Ham har
taraf se musíbat to uṭháte haiṉ, lekin láchár nahíṉ hote; hairán to hote haiṉ,
magar náummed nahíṉ hote; 9satáe to
játe haiṉ, magar akele nahíṉ chhoṛe játe; giráe to játe haiṉ, lekin halák nahíṉ
hote; 10ham har waqt apne badan meṉ Yisúʻ kí maut liye
phirte haiṉ, táki Yisúʻ kí zindagí bhí hamáre badan meṉ záhir ho. 11Kyúṉki ham
jíte jí Yisúʻ kí ḳhátir hamesha maut ke hawále kiye játe haiṉ, táki Yisúʻ kí
zindagí bhí hamáre fání jism meṉ záhir ho.
Filippíoṉ 3
;7Lekin jitní
chízeṉ mere nafaʻ kí thíṉ, unhíṉ ko maiṉ ne Masíh kí ḳhátir nuqsán samajh liyá
hai. 8Balki maiṉ apne Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ kí pahchán
kí baṛí ḳhúbí ke sabab sab chízoṉ ko nuqsán samajhtá húṉ: jis kí ḳhátir maiṉ ne
sárí chízoṉ ká nuqsán uṭháyá, aur un ko kúṛá samajhtá húṉ, táki Masíh ko hásil
karúṉ, 9aur us meṉ páyá jáúṉ; na apní us rástbází ke
sáth, jo sharíʻat kí taraf se hai, balki us rástbází ke sáth, jo Masíh par imán
láne ke sabab hai, aur Ḳhudá kí taraf se ímán par miltí hai: 10aur maiṉ us
ko aur us ke jí uthne kí qudrat ko, aur us ke sáth dukhoṉ meṉ sharík hone ko
maʻlúm karúṉ, aur us kí maut se mushábahat paidá karúṉ; 11táki kisí
tarah murdoṉ meṉ se jí uṭhne ke darje tak pahuṉchúṉ.
1 Patras 4
;19Pas jo Ḳhudá
kí marzí ke muwáfiq dukh páte haiṉ, wuh nekí karke apní jánoṉ ko wafádár Ḳháliq
ke supurd kareṉ.
'aur shágirdoṉ ke diloṉ ko mazbút karte, aur yih nasíhat
dete the, ki imán par qáim raho, aur kahte the; Zarúr hai ki ham bahut musíbateṉ
sahkar Ḳhudá kí bádsháhat meṉ dáḳhil hoṉ. '
Aʻmál 14:22
https://www.bible.com/bible/1553/ACT.14.22
Comments
Post a Comment