aaj HUMARA JO focus HAI insani dil par hai, khas tor par us dil par jo
buri khwahishon mein uljha hua hai, aur jo insani zindagi ko tabah kar raha
hai.
JISKA BIG RESION HAI KI WUH DIL KALAM SE DOOR HAI
KYU KALAM MEN LIKHA USNE PURI QUDRAT KAYE NAAT KO
APNE QUDRAT KE KALAM SE SBHALA HUA
TO JIS KALAM NE PURI QUDRAT OR QAYNAT KO DEKHI ANDEKHI
QUDRAT KE HISE BA HISE KO SABHALA HUA WUH
APKI ZINDGHI KI BHI HIFAZAT KARTA HAI
BASHARTE KI AP KALAM KI HIFAZAT MEN MEHSOOS REHNA
CHAHTE HAI
INSAN ZINDGHI MEN KUCH BHI JO KUCH BHI BIGDA YA BE
SAMJHI MEN YA ANJANE MEN HO RAHA HAI
USKA KARAN YAHI HAI KI INSAAN ZINDGHI KE KALAM SE
DOOR HAI
AGAR APKE DIL MEN ZEHAN MEN KALAM HUGA TO WUH APKO
HAR HALAT MEN MEHFOOZ RKHTA HAI OR UMAR DARAAZ KARTA HAI
KYU KI JAB PURI QUDRAT QYANAT USKE HUKAM KE TABE
HAI TO
PHIR INSAN KA DIL KAIS BURI KHAWAHISHO KE BAS MEN
HAI
INSAAN KA DIMAG KAISE BURI SOCHO KE BAS MEN
INSAAN KA BADAN KAISE BURAI MEN BEQABO HAI
INSAAN KI ANKH KYU BURAI KO DEKHTI HAI
INSAN KI JUBAN KYU BURAI BOLTI HAI
KARAN EK HI
KALAM SE
DOORI HAI
KALAM KO NHI JANTA
AISA INSAAN
मत्ती 6:22–23
“आँख शरीर का दीया है। इसलिए, यदि तुम्हारी आँख
स्वस्थ है, तो तुम्हारा सारा शरीर उजियाला होगा, लेकिन यदि तुम्हारी
आँख बुरी है, तो तुम्हारा सारा शरीर अन्धकार से भरा होगा। इसलिए यदि तुम्हारे भीतर का
उजियाला अन्धकार है, तो अन्धकार कितना बड़ा है!
2 Kurinthíoṉ 4
; 3Aur agar
hamári ḳhushḳhabarí par parda paṛá hai, to halák honewáloṉ hí ke wáste paṛá
hai: 4yaʻní un beímánoṉ ke
wáste, jin kí ʻaqloṉ ko is jahán ke ḳhudá ne andhá kar diyá hai, táki Masíh jo Ḳhudá
kí súrat hai, us ke jalál kí ḳhushḳhabarí kí raushní un par na paṛe. 5Kyúṉki ham
apní nahíṉ, balki Masíh Yisúʻ kí manádí karte haiṉ,
'Zinda karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida
nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ. '
Yúhanná 6:63
Zabúr 91
; 2Maiṉ Ḳhudáwand ke báre meṉ kahúṉgá, Wuhí
merí panáh aur merá gaṛh hai:
Wuh merá Ḳhudá hai, jis par merá tawakkul hai.
3Kyúṉki wuh tujhe
saiyád ke phande se,
Aur muhlik wabá se chhuṛáegá.
4Wuh tujhe apne
paroṉ se chhipáegá,
Aur tujhe us ke bázúoṉ ke níche panáh milegí:
Us kí sachcháí ḍhál aur sipar hai.
5Tú na rát kí
haibat se daṛegá,
Na din ko uṛnewále tír se;
6Na us wabá se jo
andhere meṉ chaltí hai,
Na us halákat se jo do pahar ko wírán kartí hai.
7Tere ás pás ek
hazár gir jáeṉge,
Aur tere dahine háth kí taraf das hazár,
Lekin wuh tere nazdík na áegí.
8Lekin tú apní
áṉkhoṉ se nigáh karegá,
Aur sharíroṉ ke anjám ko dekhegá.
9Par tú, ai Ḳhudáwand, merí panáh hai:
Amsál 8
; 29Jab us ne samundar kí hadd ṭhahráí,
Táki pání us ke hukm ko na toṛe;
ʻIbrá Níoṉ 1
1Agle zamáne meṉ
Ḳhudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabíoṉ kí maʻrifat kalám
karke, 2is zamáne ke áḳhir meṉ ham
se Beṭe kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízoṉ ká wáris ṭhahráyá, aur
jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau,
aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízoṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai
Paidáish 1
; 2Aur zamín wírán aur sunsán
thí; aur gahráo ke úpar andherá thá:
ZAMIN KA MUKSHAFA HAI
INSAAN KA DIL
AUR ZAMIN WIRAN AUR
SUNSAAN KYU HAI YANI INSAAN KA DIL
OR INSAAAN KE DIL KE GAHRA MEN ANDHERA KYU
HAI
KYU MASIH YES KA KALAM E
MUQDAS NHI
Paidáish 6
; 5Aur Ḳhudáwand ne dekhá ki zamín par
insán kí badí bahut baṛh gayí, aur us ke dil ke tasawwur aur ḳhayál sadá bure
hí hote haiṉ.
उत्पत्ति 6
; 3तब यहोवा ने कहा, “मेरा आत्मा मनुष्य से सदा लों
विवाद करता न रहेगा, क्योंकि मनुष्य भी शरीर ही है
Kulussíoṉ 3
; 5Pas apne un
aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur
shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke
sabab se Ḳhudá ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum
bhí, jis waqt un bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte
the. 8Lekin ab tum bhí in sab ko, yaʻní gussa, aur
qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná chhoṛ do: 9ek dúsre se
jhúṭh na bolo, kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá,
Galatíoṉ 5
; 19Ab jism ke
kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí, nápákí, shahwatparastí, 20butparastí,
jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz,
nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind: in kí bábat tumheṉ pahle se kahe
detá húṉ, jaisá ki peshtar jatá chuká húṉ, ki aise kám karnewále Ḳhudá kí
bádsháhat ke wáris na hoṉge.
1 Patras 2
; 11Ai piyáro,
maiṉ tumhárí minnat kartá húṉ, kí tum apne áp ko pardesí aur musáfir jánkar un
jismání ḳhwáhishoṉ se parhez karo, jo rúh se laṛáí rakhtí haiṉ:
Galatíoṉ 5
; 17Kyúṉki jism
Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai, aur Rúh jism ke ḳhiláf; aur yih ek dúsre ke
muḳhálif haiṉ; táki jo tum cháhte ho, wuh na karo.
Yaʻqúb 4
1Tum meṉ laṛáiyáṉ
aur jhagṛe kaháṉ se á gaye? Kyá un ḳhwáhishoṉ se nahíṉ, jo tumháre aʻzá meṉ
fasád kartí haiṉ?
Romíoṉ 6
; 19Maiṉ
tumhárí insání kam-zorí ke sabab insání taur par kahtá húṉ: jis tarah tum ne
apne aʻzá badkárí karne ke liye nápákí aur badkárí kí gulámí ke hawále kiye
the, usí tarah ab apne aʻzá pák hone ke liye rástbází kí gulámí ke hawále kar
do. 20Kyúṉki jab tum gunáh ke gulám the, to rástbází ke
iʻtibár se ázád the. 21Pas jin bátoṉ se tum ab sharminda ho, un se tum
us waqt kyá phal páte the? kyúṉki un ká anjám to maut hai. 22Magar ab
gunáh se ázád, aur Ḳhudá ke gulám hokar, tum ko apná phal milá, jis se pákízagí
hásil hotí hai, aur is ká anjám hamesha kí zindagí hai. 23Kyúṉki
gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish hamáre Ḳhudáwand Masíh
Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.
Romíoṉ
13:12 (URDR55)
Rát
bahut guzar gayí, aur din nikalnewálá hai: pas ham táríkí ke kámoṉ ko tark
karke, raushní ke hathyár báṉdh leṉ.
13Jaisá din
ko dastúr hai, sháistagí se chaleṉ; na ki náchrang aur nashebází se, na
zinákárí aur shahwatparastí se, aur na jhagṛe aur hasad se; 14balki Ḳhudáwand
Yisúʻ Masíh ko pahin lo, aur jism kí ḳhwáhishoṉ ke liye tadbíreṉ na karo.
2 Kurinthíoṉ 10
;4is liye ki
hamári laṛáí ke hathyár jismání nahíṉ, balki Ḳhudá ke nazdík qilʻoṉ ke ḍhá dene
ke qábil haiṉ; 5chunáṉchi ham tasawwurát, aur har ek úṉchí chíz
ko jo Ḳhudá kí pahchán ke barḳhiláf sir uṭháe húe hai, ḍhá dete haiṉ, aur har
ek ḳhayál ko qáid karke Masíh ká farmánbardár baná dete haiṉ;
Ifisíoṉ 6
;10G̣araz, Ḳhudáwand
meṉ aur us kí qudrat ké zor meṉ mazbút bano. 11Ḳhudá ke
sab hathyár báṉdh lo, táki tum Iblís ke mansúboṉ ke muqábale meṉ qáim rah
sako; 12kyúṉki hameṉ ḳhún aur gosht se kushtí nahíṉ karní
hai, balki hukúmatwáloṉ aur iḳhtiyárwáloṉ, aur is dunyá kí táríkí ke hákimoṉ
aur sharárat kí un rúhání faujoṉ se, jo ásmání maqámoṉ meṉ haiṉ. 13Is wáste
tum Ḳhudá ke sáre hathyár báṉdh lo, táki bure din meṉ muqábalá kar sako, aur
sab kámoṉ ko anjám dekar qáim rah sako. 14Pas
sachcháí se apní kamar kaskar, aur rástbází ká baktar lagákar, 15aur páṉwoṉ
meṉ sulh kí ḳhushḳhabarí kí taiyárí ke júte pahinkar, 16aur un sab
ke sáth ímán kí sipar lagákar, qáim raho, jis se tum us sharír ke sáre jalte
húe tíroṉ ko bujhá sako; 17aur naját
ká ḳhod aur Rúh kí talwár, jo Ḳhudá ká kalám hai, le lo; 18aur har
waqt aur har tarah se Rúh meṉ duʻá aur minnat karte raho; aur isí garaz se
jágte raho, ki sab muqaddasoṉ ke wáste bilánága duʻá máṉgá karo;
Amsál 4:23 (URDR55)
Apne
dil kí ḳhúb hifázat kar; Kyúṉki zindagí ká sarchashma wuhí hai.
Titus 1:15 (URDR55)
Pák
logoṉ ke liye sab chízeṉ pák haiṉ; magar gunáhálúda aur beímán logoṉ ke líye
kuchh bhí pák nahíṉ balki un kí ʻaql aur dil donoṉ gunáhálúda haiṉ.
1 Patras 1:16 (URDR55)
kyúṉki
likhá hai, ki Pák ho, is liye ki maiṉ pák húṉ.
Yúhanná
17:17 (URDR55)
Unheṉ
sachcháí ke wasíle se muqaddas kar: terá kalám sachcháí hai.
Yúhanná 1
1Ibtidá meṉ Kalám
thá, aur Kalám Ḳhudá ke sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá. 2Yihí ibtidá meṉ Ḳhudá ke
sáth thá. 3Sárí chízeṉ us ke wasíle
se paidá húíṉ; aur jo kuchh paidá húá hai, us meṉ se koí chíz bhí us ke bagair
paidá nahíṉ húí. 4Us meṉ zindagí thí; aur
wuh zindagí ádmíoṉ ká núr thá. 5Aur núr táríkí meṉ
chamaktá hai:
14Aur Kalám
mujassam húá, aur fazl aur sachcháí se maʻmúr hokar hamáre darmiyán rahá, aur
ham ne us ká aisá jalál dekhá, jaisá Báp ke iklaute ká jalál.
YE INSAN KE DIL KI BAAT HO RAHI HAI
JO KALAM SE KHALI HAI USKA DIL OR ZINDGHI DONO
GUNAH ALUDA HAI AQL TAQWWUR OR KHYAAL
GUNAH ALUDA HAIN
2Aur zamín
(YANI INSAAN KA DIL )wírán aur sunsán HAI JISMEN DIL MASIH YESU KA KALAM NAHI ;
aur DIL KI gahráo ke úpar andherá thá:
WUH KUNSA ANDHERA HAI
Marqus 7
; 20Phir us ne
kahá; Jo ádmí meṉ se nikaltá hai, wuhí ádmí ko nápák kartá hai. 21Kyúṉki
andar se, yaʻni ádmí ke dil se, bure ḳhayál, harámkáríáṉ, 22choriyáṉ, ḳhúnrezíáṉ,
zinákáríáṉ, lálach, badíáṉ, makr, shahwatparastí, badnazarí, badgoí, sheḳhí,
bewuqúfí nikaltí hai; 23yih sab burí báteṉ andar
se nikalkar ádmí ko nápák kartí haiṉ.
ʻIbrá Níoṉ 11
1Ab ímán ummed kí
húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai. 2Kyúṉki usí kí bábat
buzurgoṉ ke haqq meṉ achchhí gawáhí dí gayí. 3Ímán hí se ham maʻlúm
karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar
átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.
Romíoṉ
10:17 (URDR55)
Pas
ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.
ʻIbrá Níoṉ
10:22 (URDR55)
to
áo, ham sachche dil aur púre ímán ke sáth, aur dil ke ilzám ko dúr karne ke
liye diloṉ par chhíṉṭe lekar, aur badan ko sáf pání se dhulwákar, Ḳhudá ke pás
chaleṉ:
ʻIbrá Níoṉ 12:2 (URDR55)
aur
ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye
jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh
sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá.
Zabúr 119
;105Terá kalám mere qadamoṉ ke liye chirág̣
Aur merí ráh ke liye raushní hai.
Paidáish 1
;3Aur Ḳhudá
ne kahá, ki Raushní ho já: aur raushní ho gayí. 4Aur Ḳhudá
ne dekhá ki raushní achchhí hai; aur Ḳhudá ne raushní ko táríkí se judá kiyá.
भजन 4:6
बहुत से लोग कहते हैं, “कौन हमें कुछ अच्छा दिखाएगा?
हे प्रभु, अपने मुख का प्रकाश हम पर चमका!”
भजन 36:9
क्योंकि तेरे पास जीवन का सोता है;
तेरे प्रकाश में हम प्रकाश देखते हैं।
भजन 43:3
अपना प्रकाश और अपना सत्य भेज;
वे मेरी अगुआई करें;
वे मुझे तेरे पवित्र पर्वत पर
और तेरे निवास पर ले आएँ!
भजन 119:130
तेरे वचनों का प्रकट होना प्रकाश देता है;
यह सरल लोगों को समझ प्रदान करता है।
Yasa‘iyáh 60
1Uṭh, munawwar ho; kyúṉki
terá núr á gayá, aur Ḳhudáwand ká
jalál tujh par záhir húá. 2Kyúṉki dekh,
táríkí zamín par chhá jáegí, aur tíragí ummatoṉ par; lekin Ḳhudáwand tujh par táli‘ hogá, aur
us ká jalál tujh par numáyáṉ hogá. 3Aur qaumeṉ terí
raushní kí taraf áeṉgí, aur salátín tere tulú‘ kí tajallí meṉ chaleṉge. 4Apní áṉkheṉ uṭhákar chároṉ
taraf dekh, wuh sab ke sab ikaṭṭhe hote haiṉ, aur tere pás áte haiṉ;
'Wuhí gahrí aur poshída chízoṉ ko záhir kartá
hai, aur jo kuchh andhere meṉ hai, use jántá hai; aur núr usí ke sáth hai. '
Dáníel 2:22
https://www.bible.com/bible/1553/DAN.2.22
2 Kurinthíoṉ 4:6 (URDR55)
Is
liye ki Ḳhudá hí hai, jis ne farmáyá, ki Táríkí meṉ se núr chamke; aur wuhí
hamáre diloṉ meṉ chamká, táki Ḳhudá ke jalál kí pahchán ká núr Yisúʻ Masíh ke
chihre se jalwagar ho.
Ifisíoṉ 1
; 17ki hamáre Ḳhudáwand
Yisúʻ Masíh ká Ḳhudá, jo jalál ká Báp hai, tumheṉ apní pahchán meṉ hikmat aur
mukáshafe kí rúh baḳhshe; 18aur tumháre
dil kí áṉkheṉ raushan ho jáeṉ, táki tum ko maʻlúm ho, ki us ke buláne se kaisí
kuchh ummed hai, aur us kí mírás ke jalál kí daulat muqaddasoṉ meṉ kaisí kuchh
hai;
Mukáshafa 1
1Yisúʻ Masíh ká
mukáshafa, jo use Ḳhudá kí taraf se is liye húá ki apne bandoṉ ko wuh báteṉ
dikháe, jin ká jald honá zarúr hai:
Yúhanná 8
; 12Yisúʻ ne
phir un se muḳhátib hokar kahá; Dunyá ká núr maiṉ húṉ; jo merí pairawí karegá,
wuh andhere meṉ na chalegá, balki zindagí ká núr páegá.
Yúhanná 12
; 46Maiṉ núr
hokar dunyá meṉ áyá húṉ, táki jo koí mujh par ímán láe andhere meṉ na rahe.
Ifisíoṉ 5
; 11aur táríkí ke
bephal kámoṉ meṉ sharík na ho, balki un par malámat hí kiyá karo; 12kyúṉki un ke poshída kámoṉ
ká zikr bhí karná sharm kí bát hai. 13Aur jin chízoṉ par
malámat hotí hai, wuh sab núr se záhir hotí haiṉ: kyúṉki jo kuchh záhir kiyá
játá hai, wuh raushan ho játá hai. 14Is liye wuh kahtá
hai, ki Ai sonewále, jág, aur murdoṉ meṉ se jí uṭh, to Masíh ká núr tujh par
chamkegá.
15Pas gaur se dekho,
ki kis tarah chalte ho; nádánoṉ kí tarah nahíṉ, balki dánáoṉ kí mánind
chalo; 16aur waqt ko ganímat jáno,
kyúṉki din bure haiṉ. 17Is sabab se nádán
na bano, balki Ḳhudáwand kí marzí ko samjho, ki kyá hai. 18Aur sharáb meṉ matwále na
bano, kyúṉki is se badchalní wáqiʻ hotí hai; balki Rúh se maʻmúr hote jáo;
Yasa‘iyáh 60
; 19Phir terí raushní na din ko súraj se hogí, na chánd ke
chamakne se; balki Ḳhudáwand terá
abadí núr, aur terá Ḳhudá terá jalál hogá. 20Terá súraj phir kabhí na ḍhalegá, aur tere chánd ko zawál
na hogá; kyúṉki Ḳhudáwand terá
abadí núr hogá, aur tere mátam ke din ḳhatm ho jáeṉge. 21Aur tere log sab ke sab rástbáz hoṉge; wuh abad tak mulk
ke wáris hoṉge, ya‘ní merí lagáí húí sháḳh aur merí dastkárí ṭhahreṉge, táki
merá jalál záhir ho.
Aʻmál 13
; . 47Kyúṉki Ḳhudáwand
ne hameṉ yih hukm diyá hai, ki
Maiṉ ne tujh ko gairqaumoṉ ke liye núr muqarrar kiyá,
Táki tú zamín kí intiha tak naját ká báʻis ho.
2 Kurinthíoṉ 6
; 14Beímánoṉ ke sáth náhamwár júe meṉ na juto: kyúṉki rástbází aur bedíní meṉ
kyá mel jol? yá raushní aur táríkí meṉ kyá shirákat? 15Masíh ko Balíyaʻal ke sáth
kyá muwáfaqat? Yá ímándár ká beímán se kyá wásta? 16Aur Ḳhudá ke maqdis ko
butoṉ se kyá munásabat hai? kyúṉki ham zinda Ḳhudá ká maqdis haiṉ; chunáṉchi
Ḳhudá ne kahá hai, ki Maiṉ un meṉ basúṉgá, aur un meṉ chalúṉ phirúṉgá; aur maiṉ
un ká Ḳhudá húṉgá, aur wuh merí ummat hoṉge. 17Is wáste Ḳhudáwand farmátá
hai, ki
Un meṉ se nikalkar ʻaláhida raho,
Aur nápák chíz ko na chhúo;
To maiṉ tum ko qubúl kar lúṉgá,
18Aur tumhárá Báp
húṉgá,
Aur tum mere beṭe beṭiyáṉ hoge:
yih Ḳhudáwand
Qádir i mutlaq ká qaul hai.
Filippíoṉ 2
; 14Sab kám shikáyat aur takrár bagair kiyá
karo; 15táki tum beʻaib aur bhole hokar, ṭeṛhe aur kajrau
logoṉ meṉ Ḳhudá ke benuqs farzand bane raho, (jin ke darmiyán tum dunyá meṉ
chirágoṉ kí tarah dikháí dete ho, 16aur zindagí ká kalám pesh karte ho,) táki Masíh ke din
mujhe faḳhr ho,
1 Patras 2
; 9Lekin tum ek barguzída nasl, sháhí káhinoṉ ká
firqa, muqaddas qaum, aur aisí ummat ho, jo Ḳhudá kí ḳháss milkíyat hai, táki
us kí ḳhúbíáṉ záhir karo, jis ne tumheṉ táríkí se apní ʻajíb raushní meṉ buláyá
hai: 10pahle tum koí ummat na the, magar ab Ḳhudá kí
ummat ho: tum par rahmat na húí thí, magar ab tum par rahmat húí.
Yaʻqúb 1
; 17Har achchhí baḳhshish, aur har kámil inʻám úpar
se hai, aur núroṉ ke Báp kí taraf se miltá hai, jis meṉ na koí tabdílí ho saktí
hai, aur na gardish ke sabab us par sáya paṛtá hai. 18Us ne apní marzí se hameṉ kalám i haqq ke wasíle se paidá
kiyá, táki us kí maḳhlúqát meṉ se ham ek tarah ke pahle phal hoṉ.
Matí 5
; 14Tum dunyá
ke núr ho; jo shahr paháṛ par basá húá hai, wuh chhip nahíṉ saktá; 15aur chirág
jalákar paimáne ke níche nahíṉ, balki chirágdán par rakhte haiṉ, to us se ghar
ke sab logoṉ ko raushní pahuṉchtí hai. 16Isí tarah
tumhárí raushní ádmíoṉ ke sámne chamke, táki wuh tumháre nek kámoṉ ko dekhkar
tumháre Báp kí, jo ásmán par hai, baṛáí kareṉ.
1 Yúhanná 1
; 5Us se
sunkar jo paigám ham tumheṉ dete haiṉ, wuh yih hai, ki Ḳhudá núr hai, aur us meṉ
zará bhí táríkí nahíṉ. 6Agar ham kaheṉ, ki hamárí us ke sáth shirákat
hai, aur phir táríkí meṉ chaleṉ, to ham jhúṭhe haiṉ, aur haqq par ʻamal nahíṉ
karte; 7lekin agar ham núr meṉ chaleṉ, jis tarah ki wuh
núr meṉ hai, to hamárí ápas meṉ shirákat hai, aur us ke Beṭe Yisúʻ ká ḳhún hameṉ
tamám gunáh se pák kartá haí.
Kulussíoṉ 1
; ki tum kamál rúhání hikmat aur samajh ke sáth
us kí marzí ke ʻilm se maʻmúr ho jáo; 10táki
tumhárá chál chalan Ḳhudáwand ke láiq ho, aur us ko har tarah se pasand áe, aur
tum meṉ har tarah ke nek kám ká phal lage, aur Ḳhudá kí pahchán meṉ baṛhte
jáo; 11aur us ke jalál kí qudrat ke muwáfiq har tarah kí
quwwat se qawí hote jáo, táki ḳhushí ke sáth har súrat se sabr aur tahammul kar
sako; 12aur Báp ká shukr karte raho, jis ne ham ko is
láiq kiyá, ki núr meṉ muqaddasoṉ ke sáth mírás ká hissa páeṉ; 13usí ne ham
ko táríkí ke qabze se chhuṛákar apne ʻazíz Beṭe kí bádsháhat meṉ dáḳhil
kiyá; 14jis meṉ ham ko maḳhlasí, yaʻní gunáhoṉ kí muʻáfí,
hásil hai: 15wuh andekhe Ḳhudá kí súrat aur tamám maḳhlúqát se
pahle maulúd hai; 16kyúṉki usí meṉ sárí chízeṉ paidá kí gayíṉ, ásmán
kí hoṉ, yá zamín kí, dekhí hoṉ, yá andekhí, taḳht hoṉ, yá riyásateṉ, yá
hukúmateṉ, yá iḳhtiyárát; sárí chízeṉ usí ke wasíle se, aur usí ke wáste paidá
húí haiṉ; 17aur wuh sab chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí
chízeṉ qáim rahtí haiṉ. 18Aur wuhí
badan, yaʻní kalísiyá, ká sir hai; wuhí mabdá hai, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ
meṉ pahlauṭhá, táki sab bátoṉ meṉ us ká awwal darja ho; 19kyúṉki Báp
ko yih pasand áyá, ki sárí maʻmúrí usí meṉ sukúnat kare; 20aur us ke ḳhún
ke sabab jo salíb par bahá sulh karke, sab chízoṉ ká usí ke wasíle se apne sáth
mel kar le, ḳhwáh wuh zamín kí hoṉ, ḳhwáh ásmán kí. 21Aur us ne
ab us ke jismání badan meṉ maut ke wasíle se tumhárá bhí mel kar liyá, 22jo pahle ḳhárij,
aur bure kámoṉ ke sabab dil se dushman the, táki wuh tum ko muqaddas, beʻaib,
aur beilzám banákar, apne sámne házir kare: 23basharte ki
tum ímán kí bunyád par qáim aur puḳhta raho, aur us ḳhushḳhabarí kí ummed ko
jise tum ne suná, na chhoṛo, jis kí manádí ásmán ke níche ke tamám maḳhlúqát meṉ
kí gayí;
Mukáshafa 21
; 23Aur us
shahr meṉ súraj yá chánd kí raushní kí kuchh hájat nahíṉ; kyúṉki Ḳhudá ke jalál
ne use raushan kar rakkhá hai, aur Barra us ká chirág hai. 24Aur qaumeṉ
us kí raushní meṉ chaleṉ phireṉgí;
Mukáshafa 22
; 5Aur phir
rát na hogí; aur wuh chirág aur súraj kí raushní ke muhtáj na hoṉge; kyúṉki Ḳhudáwand
Ḳhudá un ko raushan karegá, aur wuh abaduʼl ábád bádsháhí kareṉge.
Comments
Post a Comment