Paidáish 11
1Aur tamám zamín par ek hí zabán aur ek hí
bolí thí. 2Aur aisá húá ki mashriq kí taraf safar
karte karte un ko mulk i Sin‘ár meṉ ek maidán milá, aur wuh waháṉ bas
gaye. 3Aur unhoṉ ne ápas meṉ kahá, Áo, ham íṉṭeṉ
banáeṉ aur un ko ág meṉ ḳhúb pakáeṉ. So unhoṉ ne patthar kí jagah íṉṭ se aur
chúne kí jagah gáṛe se kám liyá. 4Phir wuh kahne lage, ki Áo,
ham apne wáste ek shahr aur ek burj, jis kí choṭí ásmán tak pahuṉche banáeṉ,
aur yaháṉ apná nám kareṉ, aisá na ho, ki ham tamám rú e zamín par paragánda ho
jáeṉ. 5Aur Ḳhudáwand is
shahr aur burj ko, jise baní Ádam banáne lage, dekhne ko utrá. 6Aur Ḳhudáwand ne kahá, Dekho, yih log
sab ek haiṉ aur in sabhoṉ kí ek hí zabán hai. Wuh jo yih karne lage haiṉ, to ab
kuchh bhí jis ká wuh iráda kareṉ, un se báqí na chhúṭegá. 7So áo, ham waháṉ jákar un kí
zabán meṉ iḳhtiláf ḍáleṉ, táki wuh ek dúsre kí bát samajh na sakeṉ. 8Pas Ḳhudáwand ne un ko waháṉ se tamám
rú e zamín meṉ paráganda kiyá: so wuh us shahr ke banáne se báz áe. 9Is liye us ká nám Bábul húá;
kyúṉki Ḳhudáwand ne waháṉ
sárí zamín kí zabán meṉ iḳhtiláf ḍálá: aur waháṉ se Ḳhudáwand ne un ko tamám rú e zamín
par paráganda kiyá.
आज दुनिया में 7,000
से अधिक भाषाएँ बोली जाती हैं, हालाँकि सटीक संख्या लगातार बदलती रहती है
भाषाओं की संख्या
लगभग 90% भाषाएँ 100,000 से कम लोगों द्वारा बोली जाती हैं।
केवल 150-200 भाषाएँ दस लाख से ज़्यादा लोगों द्वारा बोली
जाती हैं।
46 भाषाओं को सिर्फ़ एक ही
वक्ता बोलता है।
लगभग 44% भाषाएँ लुप्तप्राय हैं, और बोलने वालों की संख्या 1,000 से भी कम बची है।
कोइन ग्रीक का उदय:
कोइन ग्रीक हेलेनिस्टिक काल
(लगभग 300 ईसा पूर्व से 300 ईस्वी) में एक आम भाषा के रूप में उभरी, जब सिकंदर महान की विजयों ने पूरे भूमध्य सागर और निकट पूर्व में ग्रीक
संस्कृति और भाषा का प्रसार किया।
कोइन ग्रीक:
नया नियम कोइन ग्रीक में लिखा
गया था, जो पहली शताब्दी ईस्वी से रोमन भूमध्यसागरीय दुनिया में व्यापक रूप से बोली
जाने वाली भाषा थी।
Shalom masih yeshua men aap saboh ki salamati ho
Aj jo fazl or sachchai ke ahin mukashafa hai
Wuh hai khuda ek hai
Khuda ek to hai magar ek kaise hai
Or agar wuh ek hai to wuh ek kaun hai
Yahi aaj ka humara mukashafa hai akhir tak bane rahen
Pameshar . khuda God Elohim Adonai theos Eli
Ek hai
Khuda ruh hai hai khuda mahobbat hai
Khuda sachchai hai
Mukáshafa 5
; 9Aur wuh yih
nayá gít gáne lage, ki Tú hí is kitáb ke lene, aur us kí muhreṉ kholne ke láiq
hai, kyúṉki tú ne zabh hokar apne ḳhún se har ek qabíle, aur ahl i zabán, aur
ummat, aur qaum meṉ se Ḳhudá ke wáste logoṉ ko ḳharíd liyá; 10aur un ko
hamáre Ḳhudá ke liye ek bádsháhat aur káhin baná diyá;
Wuh kalam kaun hai kya hai kiya hai kalam kalam ki gehrai
lambhai chudai unchahi
Ruhani Mukashafa

Ab jo bible ki mol bhasha hai wuh nishan ki bhasha hai
Or jo old testament hai hai wuh ibrani men likha hai yani
Hebrew men
Or khas kar torah or wuh likha kisne musa ne
Yani kehne ka matlab musa ke
upar us kalam ka mukashfa
Ibrani juban aleph or tav ke taur par hua
Jismen number ginti bhi bauht ahm khaas mol sathan rakhti
hai
Aleph ka matlab hai khuda
ek hai
Or tav hai 400
Tav ka nishan hai saleebb
Or isi aleph tav ka mukshafa yuhana par zahir hua
Matí 5
;18Kyúṉki maiṉ
tum se sach kahtá húṉ, ki jab tak ásmán aur zamín ṭal na jáeṉ, ek nuqta yá ek
shosha Tauret se hargiz na ṭalegá, jab tak sab kuchh púrá na ho jáe.
Yasa‘iyáh 55
; 11usí tarah
merá kalám, jo mere muṉh se nikaltá hai, hogá: wuh beanjám mere pás wápas na
áegá, balki jo kuchh merí ḳhwáhish hogí, wuh use púrá karegá, aur us kám meṉ
jis ke liye maiṉ ne use bhejá mu’assir hogá.
Mukáshafa
19:13 (URDR55)
Aur
wuh ḳhún kí chhíṛkí húí poshák pahine húe hai: aur us ká nám Kalám i Ḳhudá
kahlátá hai.
Aʻmál 4
; 12Aur kisí
dúsre ke wasíle se naját nahíṉ; kyúṉki ásmán ke tale ádmíoṉ ko koí dúsrá nám
nahíṉ baḳhshá gayá, jis ke wasíle se ham naját pá sakeṉ.
Kulussíoṉ 1
‘; 15wuh andekhe
Ḳhudá kí súrat aur tamám maḳhlúqát se pahle maulúd hai; 16kyúṉki usí
meṉ sárí chízeṉ paidá kí gayíṉ, ásmán kí hoṉ, yá zamín kí, dekhí hoṉ, yá
andekhí, taḳht hoṉ, yá riyásateṉ, yá hukúmateṉ, yá iḳhtiyárát; sárí chízeṉ usí
ke wasíle se, aur usí ke wáste paidá húí haiṉ; 17aur wuh sab
chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí chízeṉ qáim rahtí haiṉ.
Yúhanná 1
; 29Dúsre din us ne Yisúʻ ko apní taraf áte dekhkar
kahá; Dekho, yih Ḳhudá ká Barra hai, jo dunyá ká gunáh uṭhá le játá hai.
36Us ne Yisúʻ par, jo já rahá thá, nigáh karke
kahá, Dekho, yih Ḳhudá ká Barra hai!
1 Yúhanná 2
; ; 2aur wuhí
hamáre gunáhoṉ ká kaffára hai, aur na sirf hamáre hí gunáhoṉ ká, balki tamám
dunyá ke gunáhoṉ ká bhí
2 Kurinthíoṉ 5
; 21Jo gunáh se wáqif na thá,
usí ko us ne hamáre wáste gunáh ṭhahráyá, táki ham us meṉ hokar Ḳhudá kí
rástbází ho jáeṉ.
Yúhanná 1
1Ibtidá meṉ Kalám
thá, aur Kalám Ḳhudá ke sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá. 2Yihí ibtidá meṉ Ḳhudá ke
sáth thá. 3Sárí chízeṉ us ke wasíle
se paidá húíṉ; aur jo kuchh paidá húá hai, us meṉ se koí chíz bhí us ke bagair
paidá nahíṉ húí.
To kalam to hai
Wuh kalam kya hai
Aleph tav ibrani
Hebrew
Alpha omega greec
unani
Ek onkar
Islam
Om
Kalam to hai
Kalam ka huna kalam ka gayan
Or kalam ka mukshafa yani parkashan
इक ओंकार मूल मंत्र के पहले
शब्द हैं। पहला प्रतीक "इक" वास्तव में एक शब्द नहीं बल्कि संख्या 1 के लिए पंजाबी प्रतीक है।
Ibrani men aleph hai
Jiski numerical value ek hai
Or unani men greec men alpha hai
इक ओंकार मूल मंत्र का
आरंभिक वाक्य है, जो गुरु ग्रंथ साहिब
में आरंभिक वाक्य के रूप में मौजूद है, तथा sri गुरु नानक ji की पहली रचना, मूल मंत्र जपजी साहिब की शुरुआत में है,
"इक ओंकार" (ੴ), जिसका अर्थ है
"एक ईश्वर", और यह मूल मंत्र का पहला भाग है, जो एक आधारभूत
प्रार्थना है, जिसे गुरु नानक देव ji ने 15वीं शताब्दी में
प्रस्तुत किया था।
Kehne ka matlab ye hai
Ki SHRI GURU NANAK DEV JI KO 15 SHATABDI MEN SHABAD KA
PARKASHAN HUA
YANI KHUDA KA PARKASHAN MIILA GOD KA PARKASHAN MILA
"इक ओंकार" एक ईश्वर, NISHAN HAI सर्वव्यापी सृष्टिकर्ता में विश्वास का प्रतीक
है।
Shema Yisrael:
The phrase "Shema Yisrael"
Adonai
Eloheinu Adonai Echad
(theos heis)
GOD IS ONE KHUDA EK HAI
ॐ शान्ति:
शान्ति: शान्ति
ISLAAM
OR SHALOM
"ओम" को आदि
ध्वनि माना जाता है जिससे अन्य सभी ध्वनियाँ और सृष्टि उत्पन्न होती हैं।
ISLAM
OR SHALOM
IBRANI MEN HAI
SHALOM AL E CHEAM
YANI
TUMAHRE DILO MEN SHANTI THEHRI RAHE
YANI YE MUKASHAFA HAI
HAI RUHANI SHANI ITMINAN KAR
AGAR HUM IBRANI MEN
SHALAOM KAHEN
YANI SHANTI KAHEN
SHA EL OM
ISLAM
IN RUHANI SHABDO
KA MUKASHFA
HAI
KI KHUDA SHANNTI
HAI
PEACE HAI
Galatíoṉ 5
; 22Magar Rúh ká phal
mahabbat, ḳhushí, itmínán, tahammul, mihrbá-ní, nekí, ímándárí, 23hilm,
parhezgárí hai: aise kámoṉ kí koí sharíʻat muḳhálif nahíṉ. 2
PYAAR MAHOBBAT AHAVA LOVE
AGAPEY
1 Kurinthíoṉ 13
; 4Mahabbat
sábir hai, aur mihrbán; mahabbat hasad nahíṉ kartí; mahabbat sheḳhí nahíṉ
mártí, aur phúltí nahíṉ, 5názebá kám
nahíṉ kartí, apní bihtarí nahíṉ cháhtí, jhunjhlátí nahíṉ, badgumání nahíṉ
kartí; 6badkárí se ḳhush nahíṉ
hotí, balki rástí se ḳhush hotí hai; 7sab kuchh
sah letí hai, sab kuchh yaqín kartí hai, sab bátoṉ kí ummed rakhtí hai, sab
bátoṉ kí bardásht kartí hai. 8Mahabbat ko
zawál nahíṉ; nubuwwateṉ hoṉ, to mauqúf ho jáeṉgí; zabáneṉ hoṉ, to játí raheṉgí;
ʻilm ho, to miṭ jáegá. 9Kyúṉki bamárá ʻilm náqis
hai, aur hamárí nubuwwat nátamám: 10lekin jab
kámil áegá, to náqis játá rahe
13G̣araz ímán, ummed,
mahabbat, yih tínoṉ dáimí haiṉ; magar afzal in meṉ mahabbat hai.
1 Yúhanná 4:8 (URDR55)
Jo
mahabbat nahíṉ rakhtá, wuh Ḳhudá ko nahíṉ jántá, kyúṉki Ḳhudá mahabbat hai.
1 Yúhanná 4
; 9Jo mahabbat Ḳhudá ko ham se hai, wuh is se záhir
húí, ki Ḳhudá ne apne iklaute Beṭe ko dunyá meṉ bhejá hai, táki ham us ke sabab
se zinda raheṉ.
Romíoṉ 5
; 5aur ummed
se sharmindagí hásil nahíṉ hotí, kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai,
us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai. 6Kyúṉki jab
ham kamzor hí the, to ʻain waqt par Masíh bedínoṉ kí ḳhátir múá. 7Kisí
rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí
ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá
apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the,
to Masíh hamárí ḳhátir múá. 9Pas jab ham
us ke ḳhún ke báʻis ab rástbáz ṭhahre, to us ke wasíle se gazab i Iláhí se
zarúr hí bacheṉge. 10Kyúṉki jab báwujúd dushman
hone ke, Ḳhudá se us ke Beṭe kí maut ke wasíle se hamárá mel ho gayá, to mel
hone ke baʻd to ham us kí zindagí ke sabab se zarúr hí bacheṉge; 11aur sirf
yihí nahíṉ, balki apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke sabab, jis ke wasíle se ab
hamárá Ḳhudá ke sáth mel ho gayá, Ḳhudá par faḳhr bhí karte haiṉ.
1 Kurinthíoṉ 8:1 (URDR55)
Ab
butoṉ kí qurbáníoṉ kí bábat yih hai. Ham jánte haiṉ, ki ham sab ʻilm rakhte
haiṉ. ʻIlm gurúr paidá kartá hai, lekin mahabbat taraqqí ká báʻis hai.
Shabad ka gyaan garoor paida karta
Hai
Or shabad ka kalam ka parkashan
Hi taraqqi ka baish hai
Paidáish
14:13 (URDR55)
Tab
ek ne, jo bach gayá thá, jákar Abrám ‘Ibrání ko ḳhabar dí, jo Iskál aur ‘Áner
ke bháí Mamre Amorí ke balútoṉ meṉ rahtá thá; aur yih Abrám ke ham‘ahd the.
Wá‘iz 3
1Har chíz ká ek mauqa‘, aur har kám ká, jo
ásmán ke níche hotá hai, ek waqt hai
Kalam khuda ke sath tha yani aleph or tav dono ek sath the
Ab aleph or mukashfa kya hai
Jaise ki Hebrew nishan ki juban hai
Shabad hai aleph tav
Hebrew yani ibrani
Shabad hai alpha
omega
Yani greec yunani
Ibrani bhasha jo hai
Wuh nishan ki bhasha hai
Or unani bhsasha jo hai wuh gyaan ki bhasha hain
1 Kurinthíoṉ 1
; 30Lekin tum
us kí taraf se Masíh Yisúʻ meṉ ho, jo hamáre liye Ḳhudá kí taraf se hikmat ṭhahrá,
yaʻní rástbází, aur pákízagí, aur maḳhlasí:
Yúhanná 19
; 19Aur Pílátus
ne ek kitába likhkar salíb par lagá diyá: us meṉ yih likhá húá thá; Yisúʻ Násarí Yahúdíoṉ ká Bádsháh. 20Us kitába
ko bahut se Yahúdíoṉ ne paṛhá, is liye ki wuh maqám jaháṉ Yisúʻ salíb diyá gayá
thá, shahr ke nazdík thá: aur wuh ʻIbrání aur Latíní aur Yúnání meṉ líkhá húá
thá.
Istisná 21
; 22Aur agar
kisí ne koí aisá gunáh kiyá ho, jis se us ká qatl wájib ho, aur tum use márkar
daraḳht se ṭáṉg do;
Galatíoṉ 3
; 13Masíh jo
hamáre liye laʻnatí baná, us ne hameṉ mol lekar sharíʻat kí laʻnat se chhuṛáyá:
kyúṉki likhá hai, ki Jo koí lakṛí par laṭkáyá gayá, wuh laʻnatí hai: 14táki Masíh
Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke
wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.
Yani jo khaas
baat zahir raushan ho rahi hai
Ki musa ke upar yesu masih khuda baap ka mukshafa
Aleph or tav ke taur par hua
Yúhanná 5
; 39Tum kitáb i muqaddas meṉ ḍhúṉḍhte ho; kyúṉki
samajhte ho ki us meṉ hamesha kí zindagí tumheṉ miltí hai; aur yih wuh hai, jo
merí gawáhí deti hai; 40phir bhí tum zindagí páne ke liye mere pás áná
nahíṉ cháhte.
Ab ye
jitne bhi yahudi faqihi farisi saduqi
Ye sab ke
sab shariiat ke ustad to they
Magar in
par shariat ka mukashafa zahir na tha
Yani ye
likhe huye kalam ke musa ki turret nabio ke sahofon zabur ke ustad alam shara to they magar jis ke haq men ye likha hua hai
Uska
mukshafa
Nur in par
zahri na tha
Ye tariki
men they
Lúqá 24
; 44Phir us ne un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ,
jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ, jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki
jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat
likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas
ko samjheṉ,
46aur un se kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá,
aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur
gunáhoṉ kí muʻáfí kí manádí us ke nám se kí jáegí. 48Tum in bátoṉ ke gawáh ho. 49Aur dekho, jis ká mere Báp ne waʻda kiyá hai, maiṉ us ko
tum par názil karúṉgá;
Lúqá 24
; 26Kyá Masíh ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil
honá zarúr na thá? 27Phir Músá se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre
nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ
1 Kurinthíoṉ 2:8 (URDR55)
jise
is jahán ke sardároṉ meṉ se kisí ne na samjhá; kyúṉki agar samajhte, to jalál
ke Ḳhudáwand ko salíb na dete:
Yúhanná 3:19 (URDR55)
Aur
sazá ke hukm ká sabab yih hai, ki núr dunyá meṉ áyá hai, aur ádmíoṉ ne táríkí
ko núr se ziyáda pasand kiyá, is liye ki un ke kám bure the.
2 Kurinthíoṉ 4:6 (URDR55)
Is
liye ki Ḳhudá hí hai, jis ne farmáyá, ki Táríkí meṉ se núr chamke; aur wuhí
hamáre diloṉ meṉ chamká, táki Ḳhudá ke jalál kí pahchán ká núr Yisúʻ Masíh ke
chihre se jalwagar ho.
Yúhanná 1:11 (URDR55)
Wuh
apne ghar áyá, aur us ke apnoṉ ne use qubúl na kiyá.
4Us meṉ zindagí thí; aur wuh zindagí ádmíoṉ ká núr
thá. 5Aur núr táríkí meṉ chamaktá hai: aur táríkí ne
use qubúl na kiyá.
Yúhanná 5:46 URDR55
Share
Kyúṉki agar tum Músá ká yaqín karte, to
merá bhí yaqín karte, is liye ki us ne mere haqq meṉ likhá hai.
Lúqá 24
Lúqá 24
; 25Us ne un se
kahá, ki Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 26Kyá Masíh
ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá? 27Phir Músá
se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ
likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ.
44Phir us ne
un se kahá, ki Yih merí wuh báteṉ haiṉ, jo maiṉ ne tum se us waqt kahí thíṉ,
jab tumháre sáth thá, ki zarúr hai ki jitní báteṉ; Músá kí Tauret, aur nabíoṉ
ke sahífoṉ, aur Zabúr meṉ merí bábat likhí haiṉ, púrí hoṉ. 45Phir us ne
un ká zihn kholá, táki kitáb i muqaddas ko samjheṉ, 46aur un se
kahá; Yúṉ likhá hai, ki Masíh dukh uṭháegá, aur tísre din murdoṉ meṉ se jí uṭhegá; 47aur
Yarúshalem se shurúʻ karke sárí qaumoṉ meṉ tauba aur gunáhoṉ kí muʻáfí kí
manádí us ke nám se kí jáegí.
Aʻmál 2
1Jab ʻÍd i Pintekust ká din áyá, to wuh sab
ek jagah jamaʻ the; 2ki yakáyak ásmán se aisí áwáz áí, jaise zor
kí áṉdhí ká sannáṭá hotá hai, aur us se sárá ghar jaháṉ wuh baiṭhe the, gúṉj
gayá. 3Aur unheṉ ág ke shuʻle kí sí phaṭtí húí
zabáneṉ dikháí díṉ; aur un meṉ se har ek par á ṭhahríṉ. 4Aur wuh sab Rúhuʼl Quds se
bhar gaye, aur gair zabáneṉ bolne lage, jis tarah Rúh ne unheṉ bolne kí táqat
baḳhshí.
5Aur har qaum meṉ se jo ásmán ke tale hai, ḳhudátars
Yahúdí Yarúshalem meṉ rahte the. 6Jab yih áwáz áí, to bhíṛ lag
gayí, aur log dang ho gaye, kyúṉki har ek ko yihí sunáí detá thá, ki yih merí
hí bolí bol rahe haiṉ. 7Aur sab hairán aur mutaʻajjib hokar kahne
lage; Dekho, yih bolnewále kyá sab Galílí nahíṉ? 8Phir kyúṉkar ham meṉ se har
ek apne apne watan kí bolí suntá hai? 9Háláṉki ham Párthí, aur
Medí, aur ʻElámí, aur rahnewále Misuputámiya aur Yahúdiya aur Kappadukiya, aur
Puntus aur Ásiya, 10aur Frúgiya aur Pamfúliya, aur Misr aur
Libúa ke ʻiláqe ke jo Kurene kí taraf hai, aur Romí musáfir, ḳhwáh Yahúdí ḳhwáh
un ke muríd, aur Kretí aur ʻArab haiṉ; 11magar apní apní zabán meṉ un
se Ḳhudá ke baṛe baṛe kámoṉ ká bayán sunte haiṉ. 12Aur sab hairán húe, aur
ghabrákar ek dúsre se kahne lage, ki Yih kyá húá chahtá hai? 13Aur baʻz ne ṭhaṭṭhá karke
kahá, ki Yih to táza mai ke nashe meṉ haiṉ.
Romíoṉ 8
1Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par
sazá ká hukm nahíṉ. 2Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh
Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá. 3Is liye ki jo kám shariʻat,
jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe
ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ
gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham
meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ.
1 Patras 2
; 24wuh áp
hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ
ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár se jíeṉ; aur usí ke már kháne se tum
ne shifá páí.
Romíoṉ 5
; 6Kyúṉki jab
ham kamzor hí the, to ʻain waqt par Masíh bedínoṉ kí ḳhátir múá. 7Kisí
rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí
ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá
apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the,
to Masíh hamárí ḳhátir múá. 9Pas jab ham
us ke ḳhún ke báʻis ab rástbáz ṭhahre, to us ke wasíle se gazab i Iláhí se
zarúr hí bacheṉge. 10Kyúṉki jab báwujúd dushman hone ke, Ḳhudá se us
ke Beṭe kí maut ke wasíle se hamárá mel ho gayá, to mel hone ke baʻd to ham us
kí zindagí ke sabab se zarúr hí bacheṉge;
2 Kurinthíoṉ 5
; 21Jo gunáh se
wáqif na thá, usí ko us ne hamáre wáste gunáh ṭhahráyá, táki ham us meṉ hokar Ḳhudá
kí rástbází ho jáeṉ.
18Aur sab
chízeṉ Ḳhudá kí taraf se haiṉ, jis ne Masíh ke wasíle se apne sáth hamárá mel
miláp kar liyá, aur mel miláp kí ḳhidmat hamáre supurd kí; 19matlab yih
hai, ki Ḳhudá ne Masíh meṉ hokar apne sáth dunyá ká mel miláp kar liyá, aur un
kí taqsíroṉ ko un ke zimme na lagáyá, aur us ne mel miláp ká paigám hameṉ sauṉp
diyá hai.
Greec men hai
Mukáshafa 1
; 8Ḳhudáwand Ḳhudá,
jo hai, aur jo thá, aur jo ánewálá hai, yaʻní Qádir i Mutlaq, farmátá hai, kí
Maiṉ Alfa aur Omiga húṉ.
Mukáshafa 21
; 6Phir us ne
mujh se kahá, ki Yih báteṉ púrí ho gayíṉ. Maiṉ Alfa, aur Omiga, yaʻní ibtidá
aur intihá húṉ. Maiṉ piyáse ko áb i hayát ke chashme se muft piláúṉgá.
Mukáshafa 22
; 13Maiṉ Alfa
aur Omiga, awwal o áḳhir, ibtidá o intihá húṉ.
Yasa‘iyáh 44
; 6 Ḳhudáwand, Isráíl ká bádsháh, aur us ká
fidya denewálá Rabb u’l
afwáj yúṉ farmátá hai, ki Maiṉ hí awwal, aur maiṉ hí áḳhir húṉ; aur mere siwá koí
Ḳhudá nahíṉ.
1 Kurinthíoṉ 8
6lekin
hamáre nazdík to ek hí Ḳhudá hai, yaʻní Báp, jis kí taraf se sárí chízeṉ haiṉ,
aur ham usí ke liye haiṉ; aur ek hí Ḳhudáwand hai, yaʻní Yisúʻ Masíh, jis ke
wasíle se sárí chízeṉ maujúd húíṉ, aur ham bhí usí ke wasíle se haiṉ.
Ifisíoṉ 4:6 (URDR55)
aur
sab ká Ḳhudá aur Báp ek hí hai, jo sab ke úpar, aur sab ke darmiyán, aur sab ke
andar haí.
1 Tímuthiyus 2:5 (URDR55)
Kyúṉki
Ḳhudá ek hai, aur Ḳhudá aur insánoṉ ke bích meṉ darmiyání bhí ek, yaʻní Masíh
Yisúʻ jo insán hai;
Ifisíoṉ 4
; 4Ek hí badan
hai, aur ek hí Rúh; chunáṉchi tumheṉ jo buláe gaye the, apne buláe jáne se
ummed bhí ek hí hai; 5ek hí Ḳhudáwand hai, ek hí ímán, ek hí
baptisma; 6aur sab ká Ḳhudá aur Báp ek hí hai, jo sab ke
úpar, aur sab ke darmiyán, aur sab ke andar haí. 7Aur ham meṉ
se har ek par Masíh kí baḳhshish ke andáze ke muwáfiq fazl húá hai.
Comments
Post a Comment