Skip to main content

बुद्धि और समझ की आत्मा | शीबा की रानी और राजा सुलैमान | व्यापार (Trading)

Jab budhi or samjh ki baat ati hai to naam sab ko yaad ata hai

नीतिवचन 1

नीतिवचन का महत्त्व

1दाऊद के पुत्र इस्राएल के राजा सुलैमान के नीतिवचन :

2इनके द्वारा पढ़नेवाला बुद्धि और शिक्षा

नीतिवचन 9

;10यहोवा का भय मानना

बुद्धि का आरम्भ है,

और परमपवित्र ईश्‍वर को जानना ही

समझ है।

 यहोवा का आत्मा, बुद्धि और समझ का आत्मा

प्राप्‍त करे,

और समझ की बातें समझे,

3और काम करने में प्रवीणता,

और धर्म, न्याय और निष्पक्षता की

शिक्षा पाए;

4कि भोलों को चतुराई,

और जवान को ज्ञान और विवेक मिले;

5कि बुद्धिमान सुनकर अपनी विद्या बढ़ाए,

और समझदार बुद्धि का उपदेश पाए,

6जिस से वे नीतिवचन और दृष्‍टान्त को,

और बुद्धिमानों के वचन और

उनके रहस्यों को समझें।

ff

 

1 Salátín 4

29परमेश्‍वर ने सुलैमान को बुद्धि दी, और उसकी समझ बहुत ही बढ़ाई, और उसके हृदय में समुद्र तट की बालू के किनकों के तुल्य अनगिनित गुण दिए। 30और सुलैमान की बुद्धि पूर्व देश के सब निवासियों और मिस्रियों की भी बुद्धि से बढ़कर बुद्धि थी। 31वह तो और सब मनुष्यों से वरन् एतान एज्रेही और हेमान, और माहोल के पुत्र कलकोल और दर्दा से भी अधिक बुद्धिमान था : और उसकी कीर्ति चारों ओर की सब जातियों में फैल गई। 32उसने तीन हज़ार नीतिवचन कहे, और उसके एक हज़ार पाँच गीत भी हैं। 33फिर उसने लबानोन के देवदारुओं से लेकर भीत में से उगते हुए जूफा तक के सब पेड़ों की चर्चा की और पशुओं, पक्षियों और रेंगनेवाले जन्तुओं और मछलियों की चर्चा की। 34और देश देश के लोग पृथ्वी के सब राजाओं की ओर से जिन्होंने सुलैमान की बुद्धि की कीर्ति सुनी थी, उसकी बुद्धि की बातें सुनने को आया करते थे।

 

Lekin koi usse bhi budhi maan hai

Paidáish 3

1Aur sáṉp kull dashtí jánwaroṉ se, jin ko Ḳhudáwand Ḳhudá ne banáyá thá, chálák thá. Aur us ne ‘aurat se kahá, Kyá wáqa‘í Ḳhudá ne kahá hai, ki Bág̣ ke kisí daraḳht ká phal tum na kháná? 2‘Aurat ne sáṉp se kahá, ki Bág̣ ke daraḳhtoṉ ká phal to ham kháte haiṉ: 3par jo daraḳht bág ke bích meṉ hai, us ke phal kí bábat Ḳhudá ne kahá hai, ki Tum na to use kháná, aur na chhúná, warna mar jáoge. 4Tab sáṉp ne ‘aurat se kahá, ki Tum hargiz na maroge: 5balki Ḳhudá jántá hai, ki jis din tum use kháoge, tumhárí áṉkheṉ khul jáeṉgí, aur tum Ḳhudá kí mánind nek o bad ke jánnewále ban jáoge. 6‘Aurat ne jo dekhá, ki wuh daraḳht kháne ke liye achchhá, aur áṉkhoṉ ko ḳhushnumá ma‘lúm hotá hai, aur ‘aql baḳhshne ke liye ḳhúb hai, to us ke phal meṉ se liyá, aur kháyá; aur apne shauhar ko bhí diyá, aur us ne kháyá.

1 Salátín 3

1Aur Sulaimán ne Misr ke bádsháh Fir‘aun se rishtadárí kí, aur Fir‘aun kí beṭí biyáh lí, aur jab tak apná mahall, aur Ḳhudáwand ká ghar, aur Yarúshalem ke chaugird díwár na baná chuká, use Dáúd ke shahr meṉ lákar rakkhá. 2Lekin log úṉchí jagahoṉ meṉ qurbání karte the, kyúṉki un dinoṉ tak koí ghar Ḳhudáwand ke nám ke liye nahíṉ baná thá. 3Aur Sulaimán Ḳhudáwand se mahabbat rakhtá, aur apne báp Dáúd ke áín par chaltá thá: itná zarúr hai ki wuh úṉchí jagahoṉ meṉ qurbání kartá aur baḳhúr jalátá thá.

4Aur bádsháh Jiba‘ún ko gayá, táki qurbání kare; kyúṉki wuh ḳháss úṉchí jagah thí; aur Sulaimán ne us mazbah par ek hazár soḳhtaní qurbáníáṉ guzráníṉ. 5Jiba‘ún meṉ Ḳhudáwand rát ke waqt Sulaimán ko ḳhwáb meṉ dikháí diyá; aur Ḳhudá ne kahá, Máṉg, maiṉ tujhe kyá dúṉ. 6Sulaimán ne kahá, Tú ne apne ḳhádim mere báp Dáúd par baṛá ihsán kiyá, is liye ki wuh tere huzúr rástí aur sadáqat, aur tere sáth sídhe dil se chaltá rahá; aur tú ne us ke wáste yih baṛá ihsán rakh chhoṛá thá, ki tú ne use ek beṭá ‘ináyat kiyá jo us ke taḳht par baiṭhe, jaisá áj ke din hai. 7Aur ab, ai Ḳhudáwand mere Ḳhudá tú, ne apne ḳhádim ko mere báp Dáúd kí jagah bádsháh banáyá hai: aur maiṉ chhoṭá laṛká hí húṉ, aur mujhe báhar jáne aur bhítar áne ká shu‘úr nahíṉ: 8aur terá ḳhádim terí qaum ke bích meṉ hai jise tú ne chun liyá hai; wuh aisí qaum hai jo kasrat ke bá‘is na giní já saktí hai, na shumár ho saktí hai. 9So tú apne ḳhádim ko apní qaum ká insáf karne ke liye samajhnewálá dil ‘ináyat kar, táki maiṉ bure aur bhale meṉ imtiyáz kar sakúṉ: kyúṉki terí is baṛí qaum ká insáf kaun kar saktá hai? 10Aur yih bát Ḳhudáwand ko pasand áí, ki Sulaimán ne yih chíz máṉgí. 11Aur Ḳhudá ne us se kahá, Chúṉki tú ne yih chíz máṉgí, aur apne liye ‘umr kí darází kí darḳhwást na kí, aur na apne liye daulat ká suwál kiyá, aur na apne dushmanoṉ kí ján máṉgí, balki insáfpasandí ke liye tú ne apne wáste ‘aqlmandí kí darkhwást kí hai: 12so dekh, maiṉ ne terí darḳhwást ke mutábiq kiyá: maiṉ ne ek ‘áqil aur samajhnewálá dil tujh ko baḳhshá, aisá ki terí mánind na to koí tujh se pahle húá, aur na koí tere ba‘d tujh sá barpá hogá: 13aur maiṉ ne tujh ko kuchh âur bhí diyá jo tú ne nahíṉ máṉgá, ya‘ní daulat aur ‘izzat, aisá ki bádsháhoṉ meṉ terí ‘umr bhar koí terí mánind na hogá. 14Aur agar tú merí ráhoṉ par chale, aur mere áín aur ahkám ko máne, jaise terá báp Dáúd chaltá rahá, to maiṉ terí ‘umr daráz karúṉgá. 15Phir Sulaimán jág gayá; aur dekhá ki ḳhwáb thá. Aur wuh Yarúshalem meṉ áyá, aur Ḳhudáwand ke ‘ahd ke sandúq ke áge khaṛá húá, aur soḳhtaní qurbáníáṉ guzráníṉ, aur salámatí kí qurbáníáṉ chaṛháíṉ, aur apne sab mulázimoṉ kí ziyáfat kí.

1 Salátín 10

1Aur jab Sabá kí malika ne Ḳhudáwand ke nám kí bábat Sulaimán kí shuhrat suní, to wuh áí, táki mushkil suwáloṉ se use ázmáe. 2Aur wuh bahut baṛí jilau ke sáth Yarúshalem meṉ áí, aur sáth sáth úṉṭ the, jin par masálih aur bahut sá soná aur beshbahá jawáhir lade the; aur jab wuh Sulaimán ke pás pahuṉchí, to us ne un sab bátoṉ ke báre meṉ jo us ke dil meṉ thíṉ us se guftogú kí. 3Sulaimán ne us ke sab suwáloṉ ká jawáb diyá: bádsháh se koí bát aisí poshída na thí jo use na batáí. 4Aur jab Sabá kí malika ne Sulaimán kí sárí hikmat aur us mahall ko jo us ne banáyá thá, 5aur us ke dastarḳhwán kí ni‘matoṉ, aur us ke mulázimoṉ kí nishast, aur us ke ḳhádimoṉ kí házirbáshí, aur un kí poshák, aur us ke sáqíoṉ, aur us síṛhí ko, jis se wuh Ḳhudáwand ke ghar ko játá thá, dekhá, to us ke hosh uṛ gaye. 6Aur us ne bádsháh se kahá, ki Wuh sachchí ḳhabar thí jo maiṉ ne tere kámoṉ aur terí hikmat kí bábat apne mulk meṉ suní thí. 7Taubhí maiṉ ne wuh báteṉ báwar na kíṉ, jab tak ḳhud ákar apní áṉkhoṉ se yih dekh na liyá; aur mujhe to ádhá bhí nahíṉ batáyá gayá thá; kyúṉki terí hikmat aur iqbálmandí us shuhrat se jo maiṉ ne suní bahut ziyáda hai. 8Ḳhushnasíb haiṉ tere log, aur ḳhushnasíb haiṉ tere yih mulázim jo barábar tere huzúr khaṛe rahte aur terí hikmat sunte haiṉ. 9Ḳhudáwand terá Ḳhudá mubárak ho jo tujh se aisá ḳhushnúd húá ki tujhe Isráíl ke taḳht par biṭháyá hai: chúṉki Ḳhudáwand ne Isráíl se sadá mahabbat rakkhí hai, is liye us ne tujhe ‘adl aur insáf karne ko bádsháh banáyá. 10Aur us ne bádsháh ko ek sau bís qintár soná, aur masálih ká bahut baṛá ambár, aur beshbahá jawáhir diye; aur jaise masálih Sabá kí malika ne Sulaimán bádsháh ko diye, waise phir kabhí aisí bahutát ke sáth na áe. 11Aur Hírám ká beṛá bhí jo Ofír se soná látá thá baṛí kasrat se chandan ke daraḳht aur beshbahá jawáhir láyá. 12So bádsháh ne Ḳhudáwand ke ghar, aur sháhí mahall ke liye chandan kí lakṛí ke sutún, aur barbat, aur gánewáloṉ ke liye sitár banáe: chandan ke aise daraḳht na kabhí áe the, aur na kabhí áj ke din tak dikháí diye. 13Aur Sulaimán bádsháh ne Sabá kí malika ko sab kuchh jis kí wuh mushtáq húí, aur jo kuchh us ne máṉgá diyá; ‘aláwa is ke Sulaimán ne us ko apní sháhána saḳháwat se bhí ‘ináyat kiyá. Phir wuh apne mulázimoṉ samet apní mamlukat ko lauṭ gayí.

14Aur jitná soná ek baras meṉ Sulaimán ke pás átá thá, us ká wazn sone ká chha sau chhiyásaṭh qintár thá, 15‘aláwa is ke byopáriyoṉ aur saudágaroṉ kí tijárat, aur milí julí qaumoṉ ke sab salátín, aur mulk ke súbadároṉ kí taraf se bhí soná átá thá. 16Aur Sulaimán bádsháh ne soná gaṛhkar do sau ḍháleṉ banáíṉ; chha sau misqál soná ek ek ḍhál meṉ lagá. 17Aur us ne gaṛhe húe sone kí tín sau sipareṉ banáíṉ; ek ek sipar meṉ ḍeṛh ser soná lagá: aur bádsháh ne un ko Lubnání ban ke ghar meṉ rakkhá. 18Másiwá in ke bádsháh ne háthídáṉt ká ek baṛá taḳht banáyá, aur us par sab se chokhá soná manḍhá. 19Us taḳht meṉ chha síṛhiyáṉ thíṉ; aur taḳht ke úpar ká hissa píchhe se gol thá: aur baiṭhne kí jagah kí donoṉ taraf ṭekeṉ thíṉ, aur ṭekoṉ ke pás do sher khaṛe the. 20Aur un chha síṛhiyoṉ ke idhar aur udhar bárah sher khaṛe the: kisí saltanat meṉ aisá kabhí nahíṉ baná. 21Aur Sulaimán bádsháh ke píne ke sab bartan sone ke the; aur Lubnání ban ke ghar ke bhí sab bartan ḳhális sone ke the: chándí ká ek bhí na thá; kyúṉki Sulaimán ke aiyám meṉ us kí kuchh qadr na thí. 22Kyúṉki bádsháh ke pás samundar meṉ Hírám ke beṛe ke sáth ek Tarsísí beṛá bhí thá; yih Tarsísí beṛá tín baras meṉ ek bár átá thá, aur soná aur chándí aur háthídáṉt, aur bandar aur mor látá thá. 23So Sulaimán bádsháh daulat aur hikmat meṉ zamín ke sab bádsháhoṉ par sabqat le gayá. 24Aur sárá jahán Sulaimán ke dídár ká tálib thá, táki us kí hikmat ko jo Ḳhudá ne us ke dil meṉ ḍálí thí sune. 25Aur un meṉ se har ek ádmí chándí ke bartan, aur sone ke bartan, aur kapṛe, aur hathyár, aur masálih, aur ghoṛe, aur ḳhachchar, hadye ke taur par apne hisse ke muwáfiq látá thá. 26Aur Sulaimán ne rath aur sawár ikaṭṭhe kar liye: us ke pás ek hazár chár sau rath, aur bárah hazár sawár the, jin ko us ne rathoṉ ke shahroṉ meṉ aur bádsháh ke sáth Yarúshalem meṉ rakkhá. 27Aur bádsháh ne Yarúshalem meṉ ifrát kí wajh se chándí ko to aisá kar diyá jaise patthar; aur deodároṉ ko aisá jaise nasheb ke mulk ke gúlar ke daraḳht hote haiṉ. 28Aur jo ghoṛe Sulaimán ke pás the wuh Misr se maṉgáe gaye the; aur bádsháh ke saudágar ek ek jhunḍ kí qímat lagákar un ke jhunḍ ke jhunḍ liyá karte the. 29Aur ek rath chándí kí chha sau misqál meṉ átá, aur Misr se rawána hotá, aur ghoṛá ḍeṛh sau misqál meṉ átá thá; aur aise hí Hittíoṉ ke sab bádsháhoṉ aur Arámí bádsháhoṉ ke liye wuh in ko un hí ke zarí‘e se maṉgáte the.

 

                   Paidáish 3

6‘Aurat ne jo dekhá, ki wuh daraḳht kháne ke liye achchhá, aur áṉkhoṉ ko ḳhushnumá ma‘lúm hotá hai, aur ‘aql baḳhshne ke liye ḳhúb hai, to us ke phal meṉ se liyá, aur kháyá; aur apne shauhar ko bhí diyá, aur us ne kháyá.

9So tú apne ḳhádim ko apní qaum ká insáf karne ke liye samajhnewálá dil ‘ináyat kar, táki maiṉ bure aur bhale meṉ imtiyáz kar sakúṉ:

Paidáish 2

‘  16Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam ko hukm diyá aur kahá, ki Tú bág̣ ke har daraḳht ká phal be rok ṭok khá saktá hai: 17lekin nek o bad kí pahchán ke daraḳht ká kabhí na kháná: kyúṉki jis roz tú ne us meṉ se kháyá, tú mará.

14Aur jitná soná ek baras meṉ Sulaimán ke pás átá thá, us ká wazn sone ká chha sau chhiyásaṭh qintár thá, 15‘aláwa is ke byopáriyoṉ aur saudágaroṉ kí tijárat, aur milí julí qaumoṉ ke sab salátín, aur mulk ke súbadároṉ kí taraf se bhí soná átá thá. 16Aur Sulaimán bádsháh ne soná gaṛhkar do sau ḍháleṉ banáíṉ; chha sau misqál soná ek ek ḍhál meṉ lagá. 

Mukáshafa 13

; 18Hikmat ká yih mauqaʻ hai. Jo samajh rakhtá hai, wuh is haiwán ká ʻadad gin le; kyúṉki wuh ádmí ká ʻadad hai; aur us ká ʻadad chha sau chhiyásaṭh hai.

 

 

Mukáshafa 3

1Aur Sardís kí kalísiyá ke firishte ko yih likh, ki

Jis ke pás Ḳhudá kí sát rúheṉ haiṉ aur sát sitáre haiṉ,

1 Salátín 10

1Aur jab Sabá kí malika ne Ḳhudáwand ke nám kí bábat Sulaimán kí shuhrat suní, to wuh áí, táki mushkil suwáloṉ se use ázmáe. 

 

Matí 3

; 16Aur Yisúʻ baptisma lekar fiʼlfaur pání ke pás se úpar gayá; aur dekho, us ke liye ásmán khul gayá, aur us ne Ḳhudá kí Rúh ko kabútar kí mánind utarte, aur apne úpar áte dekhá. 17Aur dekho, ásmán se yih áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ.

Matí 4

1Us waqt Rúh Yisúʻ ko jangal meṉ le gayí, táki Iblís se ázmáyá jáe. 

8Phir Iblís use ek bahut úṉche paháṛ par le gayá, aur dunyá ki sárí badsháhateṉ aur un kí shán o shaukat use dikháí, 9aur us se kahá, ki Agar tú jhukkar mujhe sijḍa kare, to yih sab kuchh tujhe de dúṉgá. 10Yisúʻ ne us se kahá; Ai Shaitán, dúr ho, ḳyúṉki likhá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá ko sijda kar, aur sirf usi kí ʻibádat kar. 11Tab Iblís us ke pás se chalá gayá; aur dekho, firishte ákar us kí ḳhidmat karne lage.

Hizqíel 28

;14Tú mamsúh karúbí thá, jo sáyaafgan thá; aur maiṉ ne tujhe Ḳhudá ke koh i muqaddas par qáim kiyá; tú waháṉ átashí pattharoṉ ke darmiyán chaltá phirtá thá. 15Tú apní paidáish hí ke roz se apní ráh o rasm meṉ kámil thá, jab tak ki tujh meṉ nárástí na páí gayí.16Terí saudágarí kí firáwání ke sabab se unhoṉ ne tujh meṉ zulm bhí bhar diyá, aur tú ne gunáh kiyá; is liye maiṉ ne tujh ko Ḳhudá ke paháṛ par se gandagí kí tarah pheṉk diyá,

 (trading)(saitebaazi) jo aj kal ke

Waqt men takriban  kitni  mashhoor

Hai

Isk zikar bible men pehle se diya hhua

Magar koi bhi isse aware nahi

Isi liye likha hai

'yaʻní un beímánoṉ ke wáste, jin kí ʻaqloṉ ko is jahán ke ḳhudá ne andhá kar diyá hai, táki Masíh jo Ḳhudá kí súrat hai, us ke jalál kí ḳhushḳhabarí kí raushní un par na paṛe. '

 

2 Kurinthíoṉ 4:4

Kulussíoṉ 3

; 5Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum bhí, jis waqt un bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte the. 8Lekin ab tum bhí in sab ko, yaʻní gussa, aur qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná chhoṛ do: 9ek dúsre se jhúṭh na bolo, kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí insáníyat ko pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí játí hai: 11waháṉ na Yúnáni rahá, na Yahúdí, na ḳhatna, na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám, na ázád: sirf Masíh sab kuchh aur sab meṉ hai.

Hizqíel 28

aur tujh sáyaafgan karúbí ko átashí pattharoṉ ke darmiyán se faná kar diyá. 17Terá dil tere husn par ghamanḍ kartá thá; tú ne apne jamál ke sabab se apní hikmat kho dí; maiṉ ne tujhe zamín par paṭak diyá, aur bádsháhoṉ ke sámne rakh diyá hai, táki wuh tujhe dekh leṉ. 18Tú ne apní badkirdárí kí kasrat aur apní saudágarí kí nárástí se apne maqdisoṉ ko nápák kiyá hai: is liye maiṉ tere andar se ág nikálúṉgá jo tujhe bhasam karegí, aur maiṉ tere sab dekhnewáloṉ kí áṉkhoṉ ke sámne tujhe zamín par rákh kar dúṉgá. 19Qaumoṉ ke darmiyán wuh sab jo tujh ko jánte haiṉ tujhe dekhkar hairán hoṉge: tú já e ‘ibrat hogá, aur báqí na rahegá.

1 Salátín 11

1Aur Sulaimán bádsháh Fir‘aun kí beṭí ke ‘aláwa bahut sí ajnabí ‘auratoṉ se, ya‘ní Moábí, ‘Ammoní, Adomí, Saidání, aur Hittí ‘auraton se mahabbat karne lagá; 2yih un qaumoṉ kí thíṉ, jin kí bábat Ḳhudáwand ne baní Isráíl se kahá thá, ki Tum un ke bích na jáná, aur na wuh tumháre bích áeṉ; kyúṉki wuh zarúr tumháre diloṉ ko apne deotáoṉ kí taraf máil kar leṉgí: Sulaimán in hí ke ‘ishq ká dam bharne lagá. 3Aur us ke pás sát sau sháhzádíáṉ us kí bíwiyáṉ, aur tín sau harameṉ thíṉ; aur us kí bíwiyoṉ ne us ke dil ko pher diyá. 4Kyúṉki jab Sulaimán buḍḍhá ho gayá, to us kí bíwiyoṉ ne us ke dil ko g̣airma‘búdoṉ kí taraf máil kar liyá; aur us ká dil Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke sáth kámil na rahá, jaisá us ke báp Dáúd ká dil thá. 5Kyúṉki Sulaimán Saidáníoṉ kí dewí ‘Istárát, aur ‘Ammoníoṉ ke nafratí Milkúm kí pairawí karne lagá.

अश्तोरेथ, जिसे अस्तार्ते के नाम से भी जाना जाता हैप्रेम, उर्वरता और युद्ध की एक प्रमुख कनानी और फोनीशियन देवी थी , जिसे अक्सर बाल के साथ जोड़ा जाता था और बाइबिल में उसे "स्वर्ग की रानी" माना जाता था।   

अश्तोरेथ एक हिब्रू नाम है, जबकि इसका ग्रीक नाम अस्तार्ते है।   

\हिब्रू में, अश्तोरेत का उल्लेख बाल के साथ किया गया है, तथा उनकी पूजा की निंदा की गई है। "बाल और अश्तोरेत" वाक्यांश का प्रयोग कनानी देवी-देवताओं के समूह को संदर्भित करने के लिए किया जाता है।   

·         वह प्रेम, उर्वरता और युद्ध की देवी थीं, जिन्हें अक्सर योद्धा देवी के रूप में दर्शाया जाता था।   

·         उन्हें सर्वोच्च कनानी देवता बाल की पत्नी माना जाता था।   

·         उसकी पूजा में बाल को समर्पित मंदिरों में अश्लील anushthan  और अनैतिक कार्य शामिल थे।   

·         :

अश्तोरेत की पूजा रास शामरा (उगरीट) से लेकर दक्षिण की ओर फिनीशिया और फिलिस्तिया तक समुद्र तट तक फैली हुई थी।   

अश्तोरेथ का संबंध अन्य संस्कृतियों की समान देवियों से है, जैसे बेबीलोन की इश्तार और अनाथ, जिनमें अस्तार्ते के समान गुण थे।   

·         चन्द्र देवी के रूप में:

कुछ व्याख्याएं अष्टोरेथ को चंद्र देवी के रूप में पहचानती हैं, जबकि अन्य उसे शुक्र ग्रह का प्रतिनिधित्व मानते हैं।   

1 Tímuthiyus 6

; 9Lekin jo daulatmand honá cháhte haiṉ, wuh aisí ázmáish aur phande aur bahut sí behúda aur nuqsán pahuṉchánewálí ḳhwáhishoṉ meṉ phaṉste haiṉ, jo ádmíoṉ ko tabáhí aur halákat ke daryá meṉ garq kar detí haiṉ; 10kyúṉki rupaye ki mahabbat har qism kí buráí kí ek jaṛ hai; jis kí árzú meṉ baʻz ne ímán se gumráh hokar apne diloṉ ko tarah tarah ke gamoṉ se chhalní kar liyá.

11Magar, ai mard i Ḳhudá, tú in bátoṉ se bhág: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho. 12Ímán kí achchhí kushtí laṛ, us hamesha kí zindagí par qabza kar le jis ke liye tú buláyá gayá thá, aur bahut se gawáhoṉ ke sámne achchhá iqrár kiyá thá. 

 

 मत्ती 12

; 42दक्षिण की रानी न्याय के दिन इस युग के लोगों के साथ उठकर उन्हें दोषी ठहराएगी, क्योंकि वह सुलैमान का ज्ञान सुनने के लिए पृथ्वी के छोर से आईऔर देखो, यहाँ वह है जो सुलैमान से भी बड़ा है।

 

 

 

Mukáshafa 5

; Yahúdáh ke qabíle ká wuh Babar, jo Dáúd kí asl hai, us kitáb aur us kí sátoṉ muhroṉ ke kholne ke liye gálib áyá. 6Aur maiṉ ne us taḳht aur chároṉ jándároṉ aur un buzurgoṉ ke bích meṉ, goyá zabh kiyá húá ek Barra khaṛá dekhá; us ke sát síṉg aur sát áṉkheṉ thíṉ: yih Ḳhudá kí sátoṉ rúheṉ haiṉ, jo tamám rú e zamín par bhejí gayí haiṉ.

 

Yasa‘iyáh 11

1Aur Yassí ke tane se ek koṉpal niklegá, aur us kí jaṛoṉ se ek báráwar sháḳh paidá hogí: 2aur Ḳhudáwand kí rúh us par ṭhahregí, hikmat aur ḳhirad kí rúh, maslahat aur qudrat kí rúh, ma‘rifat aur Ḳhudáwand ke ḳhauf kí rúh; 

 

Lúqá 2

40Aur wuh laṛká baṛhtá aur quwwat pátá gayá, aur hikmat se maʻmúr hotá gayá, aur Ḳhudá ká fazl us par thá.

; 52Aur Yisúʻ hikmat aur qadd o qámat meṉ, aur Ḳhudá kí aur insán kí maqbúlíyat men, taraqqí kartá gayá.

 

Romíoṉ 11:34 (URDR55)

Ḳhudáwand kí ʻaql ko kis ne jáná? yá kaun us ka saláhkár húá?

1 Kurinthíoṉ 2:16 (URDR55)

Ḳhudáwand kí ʻaql ko kis ne jáná, ki us ko taʻlím de sake? magar ham meṉ Masíh kí ʻaql hai.

 

 

18Kyúṉki salíb ká paigám halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík Ḳhudá kí qudrat hai. 19Kyúṉki likhá hai, ki

Maiṉ hakímoṉ kí hikmat ko nest,

Aur ʻaqlmandoṉ kí ʻaql ko radd karúṉgá.

1 Kurinthíoṉ 1

; 20Kaháṉ ká hakím? kaháṉ ká faqíh? kaháṉ ká is jahán ká bahs karnewálá? kyá Ḳhudá ne dunyá kí hikmat ko bewuqúfí nahíṉ ṭhahráyá? 21Is liye ki jab Ḳhudá kí hikmat ke mutábiq dunyá ne apní hikmat se Ḳhudá ko na jáná, to Ḳhudá ko yih pasand áyá, ki is manádí kí bewuqúfí ke wasíle se ímán lánewáloṉ ko naját de. 22Chunáṉchi Yahúdí nishán cháhte haiṉ, aur Yúnání hikmat talásh karte haiṉ; 23magar ham us Masíh i maslúb kí manádí karte haiṉ, jo Yahúdíoṉ ke nazdík ṭhokar, aur gairqaumoṉ ke nazdík bewuqúfí hai; 24lekin jo buláe húe haiṉ, Yahúdí hoṉ, yá Yúnání, un ke nazdík Masíh Ḳhudá kí qudrat, aur Ḳhudá kí hikmat hai. 25Kyúṉki Ḳhudá kí bewuqúfí ádmíoṉ kí hikmat se ziyáda hikmatwálí hai, aur Ḳhudá kí kamzorí ádmíon ke zor se ziyáda zoráwar hai.

 26Ai bháiyo, apne buláe jáne par to nigáh karo, ki jism ke liház se bahut se hakím, bahut se iḳhtiyárwále, bahut se ashráf nahíṉ buláe gaye: 27balki Ḳhudá ne dunyá ke bewuqúfoṉ ko chun liyá, ki hakímoṉ ko sharminda kare; aur Ḳhudá ne dunyá ke kamzoroṉ ko chun liyá, ki zoráwaroṉ ko sharminda kare; 28aur Ḳhudá ne dunyá ke kamínoṉ aur haqíroṉ ko, balki bewujúdoṉ ko chun liyá ki maujúdoṉ ko nest kare, 29táki koí bashar Ḳhudá ke sámne faḳhr na kare. 30Lekin tum us kí taraf se Masíh Yisúʻ meṉ ho, jo hamáre liye Ḳhudá kí taraf se hikmat ṭhahrá, yaʻní rástbází, aur pákízagí, aur maḳhlasí: 31táki jaisá likhá hai, waisá hí ho, ki Jo faḳhr kare, wuh Ḳhudáwand par faḳhr kare.

 

Kulussíoṉ 2

; 2táki un ke diloṉ ko tasallí ho, aur wuh mahabbat se ápas meṉ gaṭhe raheṉ, aur púrí samajh kí tamám daulat ko hásil kareṉ, aur Ḳhudá ke bhed, yaʻní Masíh ko pahcháneṉ, 3jis meṉ hikmat aur maʻrifat ke sáre ḳhazáne chhipe húe haiṉ.

 

Yaʻqúb 3

; 13Tum meṉ dáná aur samajhdár kaun hai? jo aisá ho, wuh apne kámoṉ ko nek chál chalan ke wasíle se us hilm ke sáth záhir kare jo hikmat se paidá hotá hai. 14Lekin agar tum apne dil meṉ saḳht hasad aur tafriqe rakhte ho, to haqq ke ḳhiláf na sheḳhí máro, na jhúṭh bolo. 15Yih hikmat wuh nahíṉ, jo úpar se utartí hai, balki dunyawí, aur nafsání, aur shaitání hai. 16Is liye ki jaháṉ hasad aur tafriqa hotá hai, waháṉ fasád aur har tarah ká burá kám bhí hotá hai. 17Magar jo hikmat úpar se átí hai, awwal to wuh pák hotí hai, phir milansár, halím, aur tarbiyatpizír, rahm aur achchhe phaloṉ se ladí húí, betarafdár, aur beriyá hotí hai. 18Aur sulh karánewáloṉ ke liye rástbází ká phal sulh ke sáth boyá játá hai.

 

Yúhanná 8

; 21Us ne phir un se kahá; Maiṉ játá húṉ, aur tum mujhe ḍhúṉḍhoge, aur apne gunáh meṉ maroge; jaháṉ maiṉ játá húṉ tum nahíṉ á sakte. 22Pas Yahúdíoṉ ne kahá; Kyá wuh apne áp ko már dálegá, jo kahtá hai; Jaháṉ maiṉ játá húṉ tum nahíṉ á sakte? 23Us ne un se kahá; Tum níche ke ho; maiṉ úpar ká húṉ; tum dunyá ke ho; maiṉ dunyá ká nahíṉ húṉ.

Yúhanná 3

; 31Jo úpar se átá hai, wuh sab se úpar hai: jo zamín se hai, wuh zamín hí se hai, aur zamín hí kí kahtá hai: jo ásmán se átá hai, wuh sab se úpar hai. 32Jo kuchh us ne dekhá aur suná, usí kí gawáhí detá hai, aur koí us kí gawáhí qubúl nahín kartá. 33Jis ne us kí gawáhí qubúl kí, us ne is bát par muhr kar dí, ki Ḳhudá sachchá hai. 34Kyúṉki jise Ḳhudá ne bhejá, wuh Ḳhudá kí báteṉ kahtá hai: is liye ki wuh Rúh náp nápkar nahíṉ detá. 35Báp Beṭe se mahabbat rakhtá hai, aur us ne sab chízeṉ us ke háth meṉ de dí haiṉ. 36Jo Beṭe par ímán látá hai, hamesha kí zindagi us kí hai; lekin jo Beṭe kí nahíṉ mántá, zindagi ko na dekhegá, balki us par Ḳhudá ká gazab rahtá hai.

 

Yaʻqúb 1

; 5Lekin agar tum meṉ se kisí meṉ hikmat kí kamí ho, to Ḳhudá se máṉge, jo bagair malámat kiye sab ko faiyází ke sáth detá hai; us ko di jáegí. 6Magar ímán se máṉge, aur kuchh shakk na kare; kyúṉki shakk karnewálá samundar kí lahr kí mánind hotá hai, jo hawá se bahtí aur uchhaltí hai. 7Aisá ádmí yih na samjhe, ki mujhe Ḳhudáwand se kuchh milegá; 8wuh shaḳhs dodilá hai, aur apní sárí bátoṉ meṉ beqiyám.

Ifisíoṉ 1

;  17ki hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ká Ḳhudá, jo jalál ká Báp hai, tumheṉ apní pahchán meṉ hikmat aur mukáshafe kí rúh baḳhshe; 18aur tumháre dil kí áṉkheṉ raushan ho jáeṉ, táki tum ko maʻlúm ho, ki us ke buláne se kaisí kuchh ummed hai, aur us kí mírás ke jalál kí daulat muqaddasoṉ meṉ kaisí kuchh hai; 19aur ham ímán lánewáloṉ ke liye us kí baṛí qudrat kyá hí behadd hai, us kí baṛí quwwat kí tásír ke muwáfiq,

व्यवस्थाविवरण 34:9 (HINOVBSI)

और नून का पुत्र यहोशू बुद्धिमानी की आत्मा से परिपूर्ण था

1 कुरिन्थियों 12:8 (HINOVBSI)

क्योंकि एक को आत्मा के द्वारा बुद्धि की बातें दी जाती हैं, और दूसरे को उसी आत्मा के अनुसार ज्ञान की बातें।

भजन संहिता 49:3 (HINOVBSI)

मेरे मुँह से बुद्धि की बातें निकलेंगी; और मेरे हृदय की बातें समझ की होंगी।

नीतिवचन 16:16 (HINOVBSI)

बुद्धि की प्राप्‍ति चोखे सोने से क्या ही उत्तम है! और समझ की प्राप्‍ति चाँदी से बढ़कर योग्य है।

नीतिवचन 3:14 (HINOVBSI)

क्योंकि बुद्धि की प्राप्‍ति चाँदी की प्राप्‍ति से बड़ी, और उसका लाभ चोखे सोने के लाभ से भी उत्तम है।

लूका 24

; उसने उनसे कहा, “ये मेरी वे बातें हैं, जो मैं ने तुम्हारे साथ रहते हुए तुम से कही थीं कि अवश्य है कि जितनी बातें मूसा की व्यवस्था और भविष्यद्वक्‍ताओं और भजनों की पुस्तकों में मेरे विषय में लिखी हैं, सब पूरी हों।

45तब उस ने पवित्रशास्त्र बूझने के लिये उनकी समझ खोल दी46और उनसे कहा, “यों लिखा है कि मसीह दु:ख उठाएगा, और तीसरे दिन मरे हुओं में से जी उठेगा47और यरूशलेम से लेकर सब जातियों में मन फिराव का और पापों की क्षमा का प्रचार, उसी के नाम से किया जाएगा। 48तुम इन सब बातों के गवाह हो। 49और देखो, जिसकी प्रतिज्ञा मेरे पिता ने की है, मैं उसको तुम पर उतारूँगा और जब तक स्वर्ग से सामर्थ्य न पाओ, तब तक तुम इसी नगर में ठहरे रहो।

 

Ifisíoṉ 3

; 14Is sabab se maiṉ us Báp ke áge ghuṭne ṭektá húṉ, 15jis se ásmán aur zamín ká har ek ḳhándán námzad hai; 16ki wuh apne jalál kí daulat ke muwáfiq tumheṉ yih ʻínáyat kare, ki tum us kí Rúh se apni bátiní insáníyat meṉ bahut hí zoráwar ho jáo; 17aur ímán ke wasíle se Masíh tumháre diloṉ meṉ sukúnat kare; táki tum mahabbat meṉ jaṛ pakaṛke, aur bunyád qáim karke, 18sab muqaddasoṉ samet baḳhúbí maʻlúm kar sako, ki us kí chauṛáí, aur lambáí, aur úṉcháí, aur gahráí kitní hai, 19aur Masíh ki us mahabbat ko ján sako, jo jánne se báhar hai, táki tum Ḳhudá kí sárí maʻmúrí tak maʻmúr ho jáo. 20Ab jo aisá qádir hai, ki us qudrat ke muwáfiq jo ham meṉ tásír kartí hai, hamárí darḳhwást aur ḳhayál se bahut ziyáda kám kar sakta hai; 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...