Hum jis duniya men
bus rahen hain ji
rahen hain
Us duniya ka naam hai khawahish ki duniya
Aj humaat karne wale hain masih yesu men fazl or sachchai ki
ruh ke adhin
Andhkaar ki takto ke bare men
There are
spiritual forces of darkness arrayed against believers
अंधकार की आध्यात्मिक
शक्तियां विश्वासियों के विरुद्ध लड़ रही हैं
Or ye andhkar ki takten kaha basti hain kaha rehkar apne
kam ko anjaam deti hain
Insan kehi dil men or wuh bible ne ise shararat ki ruhani
faujone kahe hai
Chalak sanp kaha bicho kaha
Dosh lagane wali badruhen doshi man paida karne ruhen
sharminda or be izzat
Karne wali badruhen
Jo insaan ke dil men paida huti hain khawahish ke wasile
Or inke naam hain
Romíoṉ 8
; 8aur jo
jismání haiṉ, wuh Ḳhudá ko ḳhush nahíṉ kar sakte. 9Lekin tum
jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai.
Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ. 10Aur agar
Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh rástbází
ke sabab se zinda hai. 11Aur agar usí kí Rúh tum meṉ basí húí hai, jis ne
Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá, to jis ne Masíh Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá,
wuh tumháre fání badanoṉ ko bhí apní us Rúh ke wasíle se zinda karegá, jo tum
meṉ basí húí hai.
Matí 15
; 18Magar jo
báteṉ muṉh se nikaltí haiṉ, wuh dil se nikaltí haiṉ, aur wuhí ádmí ko nápák
kartí haiṉ. 19Kyúṉki bure ḳhayál, ḳhúnrezíáṉ, zinákáríáṉ,
harámkáríáṉ, choriyáṉ, jhúṭhí gawáhíáṉ, badgoíáṉ díl hí se nikaltí haiṉ. 20Yihí báteṉ
haiṉ, jo ádmí ko nápák kartí haiṉ;
; 19Ab jism ke
kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí, nápákí, shahwatparastí, 20butparastí,
jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz,
nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind:
5Kyúṉki jo
jismání haiṉ, wuh jismání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ; lekin jo rúhání haiṉ,
wuh rúhání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ. 6Aur jismání
níyat maut hai; magar rúhání níyat zindagí aur itmínán hai: 7is liye ki
jismání níyat Ḳhudá kí dushmaní hai;
Or ye takten insaan ke dil men paida kaise huti
han
Ye badruhen tarsfer ho rahi hain dekhne se sunne
Or inka beej hai seeds hai khawahish desire jis
se sansaar bhara hua
Hai
Yúhanná 13
;2Aur jab
Iblís Shamaʻún ke beṭe Yahúdáh Iskariyotí ke dil meṉ ḍál chuká thá ki use pakaṛwáe,
21Yih báteṉ
kahkar Yisúʻ apne dil meṉ ghabráyá, aur yih gawáhí dí, ki Maiṉ tum se sach sach
kahtá húṉ, ki tum meṉ se ek shaḳhs mujhe pakaṛwáegá.
26Yisúʻ ne
jawáb diyá, ki Jise maiṉ nawála duboke de dúṉgá, wuhí hai. Phir us ne nawála ḍubóyá,
aur leke Shamaʻún Iskariyotí ke beṭe Yahúdáh ko de diyá; 27aur is
nawále ke baʻd Shaitán us meṉ samá gayá. Pas Yisúʻ ne us se kahá, ki Jo kuchh
tú kartá hai, jald kar le.
10Yisúʻ ne us
se kahá; Jo nahá chuká hai, us ko páṉw ke siwá âur kuchh dhone ki hájat nahíṉ,
balki sarásar pák hai: aur tum pák ho, lekin sab ke sab nahíṉ. 11Chúṉki wuh
apne pakaṛwánewále ko jántá thá, is liye us ne kahá, ki Tum sab pák nahíṉ ho.
1 Yúhanná 2
; 16Kyúṉki jo
kuchh dunyá meṉ hai, yaʻní jism kí ḳhwáhish, aur áṉkhoṉ kí ḳhwáhish, aur
zindagí kí sheḳhí, wuh Báp kí taraf se nahíṉ, balki dunyá kí taraf se
hai. 17Dunyá aur us kí ḳhwáhish donoṉ miṭtí játí haiṉ,
lekin jo Ḳhudá kí marzí par chaltá hai, wuh abad tak qáim rahegá.
Yaʻqúb 1
;12Mubárak wuh
shaḳhs hai, jo ázmáish kí bardásht kartá hai: kyúṉki jab maqbúl ṭhahrá, to
zindagí ká wuh táj hásil karegá, jis ká Ḳhudáwand ne apne mahabbat karnewáloṉ
se waʻda kiyá hai. 13Jab koí ázmáyá jáe, to yih na kahe, ki merí
ázmáish Ḳhudá kí taraf se hotí hai; kyúṉki na to Ḳhudá badí se ázmáyá já saktá
hai, aur na wuh kisí ko ázmátá hai: 14háṉ, har
shaḳhs apní hí ḳhwáhishoṉ meṉ khiṉchkar aur phaṉskar ázmáyá játá hai. 15Phir ḳhwáhish
hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab baṛh chuká to maut paidá kartá
hai.
2 Kurinthíoṉ 10
; jo hameṉ yúṉ samajhte haiṉ, ki ham jism ke
mutábiq zindagí guzárte haiṉ. 3Kyúṉki ham
agarchi jism meṉ zindagí guzárte haiṉ, magar jism ke taur par laṛte nahíṉ; 4is liye ki
hamári laṛáí ke hathyár jismání nahíṉ, balki Ḳhudá ke nazdík qilʻoṉ ke ḍhá dene
ke qábil haiṉ; 5chunáṉchi ham tasawwurát, aur har ek úṉchí chíz
ko jo Ḳhudá kí pahchán ke barḳhiláf sir uṭháe húe hai, ḍhá dete haiṉ, aur har
ek ḳhayál ko qáid karke Masíh ká farmánbardár baná dete haiṉ;
ʻIbrá Níoṉ 4:12 (URDR55)
Kyúṉki
Ḳhudá ká kalám zinda aur muassir, aur har ek dodhárí talwár se ziyáda tez hai,
aur ján aur rúh, aur band band, aur gúde gúde ko judá karke guzar játá hai, aur
dil ke ḳhayáloṉ aur irádoṉ ko jáṉchtá hai.
Lúqá 10
; 19Dekho, maiṉ
ne tum ko iḳhtiyár diyá, ki sáṉpoṉ aur bichchhúoṉ ko kuchlo, aur dushman kí
sárí qudrat par gálib áo; aur tum ko hargiz kisí chíz se zarar na pahuṉchegá. 20Taubhí is
se ḳhush na ho, ki rúheṉ tumháre tábiʻ haiṉ; balki is se ḳhush ho, ki tumháre
nám ásmán par likhe húe haiṉ.
1 Patras 2
; 11Ai piyáro,
maiṉ tumhárí minnat kartá húṉ, kí tum apne áp ko pardesí aur musáfir jánkar un
jismání ḳhwáhishoṉ se parhez karo, jo rúh se laṛáí rakhtí haiṉ:
Galatíoṉ 5
‘ 16Magar maiṉ
yih kahtá húṉ, ki Rúh ke muwáfiq chalo, to jism kí ḳhwáhish ko hargiz púrá na
karoge. 17Kyúṉki jism Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai, aur
Rúh jism ke ḳhiláf; aur yih ek dúsre ke muḳhálif haiṉ; táki jo tum cháhte ho,
wuh na karo.
AB JO YE HARAMKARI KI BADRUH HAI YANI BADI KI RUH
Ye khuda ki ruh ke khilaf hai
Kaise ye haramkari ki ruh humen khuda ki mahobat
se
Juda rakhti hai
Khuda ki mahobbat se andha rakhti hai
Ki khud ki mahobbat masih yesu men hum par zahir
nah o jaye
Romíoṉ 1
‘; 18Kyúṉki Ḳhudá ká gazab un ádmíoṉ kí tamám bedíní aur nárástí par ásmán se
záhir hotá hai, jo haqq ko nárástí se dabáe rakhte haiṉ; 19kyúṉki jo kuchh Ḳhudá kí
nisbat maʻlúm ho saktá hai, wuh un ke bátin meṉ záhir hai; is liye ki Ḳhudá ne
us ko un par záhir kar diyá. 20Kyúṉki us kí
andekhí sífateṉ, yaʻní us kí azalí qudrat aur ulúhíyat, dunyá kí paidáish ke
waqt se banáí núí chízoṉ ke zaríʻe se maʻlúm hokar sáf nazar átí haiṉ; yaháṉ
tak ki un ko kuchh ʻuzr báqí nahíṉ; 21is liye ki agarchi
unhoṉ ne Ḳhudá ko ján to liyá, magar us kí ḳhudáí ke láiq us kí baṛáí aur
shukrguzárí na kí; balki bátil ḳhayálát meṉ paṛ gaye, aur un ke besamajh diloṉ
par andherá chhá gayá. 22Wuh apne áp ko
dáná jatákar, bewuqúf ban gaye; 23aur gairfání Ḳhudá
ke jalál ko fání insán, aur parandoṉ aur chaupáyoṉ aur kíṛe makauṛoṉ kí súrat
meṉ badal ḍálá.
24Is wáste Ḳhudá ne
un ke diloṉ kí ḳhwáhishoṉ ke mutábiq unheṉ nápákí meṉ chhoṛ diyá, ki un ke
badan ápas meṉ behurmat kiye jáeṉ: 25is liye ki unhoṉ
ne Ḳhudá kí sachcháí ko badalkar jhúṭh baná ḍálá, aur maḳhlúqát kí ziyáda
parastish aur ʻibádat kí, banisbat us Ḳháliq ke, jo abad tak mahmúd haí. Ámín.
26Isí sabab se Ḳhudá
ne un ko gandí shahwatoṉ meṉ chhoṛ diyá: yaháṉ tak ki un kí ʻauratoṉ ne apne
tabaʻí kám ko ḳhiláftabaʻ kám se badal ḍálá: 27isí tarah mard bhí
ʻauratoṉ se tabaʻí kám chhoṛkar ápas kí shahwat se mast ho gaye; yaʻní mardoṉ
ne mardoṉ ke sáth rúsiyáhí ke kám karke, apne áp meṉ apní gumráhí ke láiq badla
páyá.
28Aur jis tarah
unhoṉ ne Ḳhudá ká pahchánná nápasand kiyá, isí tarah Ḳhudá ne bhí un ko
nápasandída ʻaql ke hawále kar diyá, ki náláiq harakateṉ kareṉ. 29Pas wuh har tarah kí
nárástí, badí, lálach, badḳhwáhí se bhar gaye; aur hasad, ḳhúnrezí, jhagṛe,
makkárí; bugz se maʻmúr ho gaye; aur gíbat karnewále, 30badgo, Ḳhudá kí nazar meṉ
nafratí, auroṉ ke beʻizzat karnewále, magrúr, sheḳhíbáz, badíoṉ ke bání, máṉ
báp ke náfarmán, 31bewuqúf, ʻahdshikan,
tabaʻí mahabbat se ḳhálí, berahm, ho gaye: 32háláṉki wuh Ḳhudá
ká yih hukm jánte haiṉ, ki aise kám karnewále maut kí sazá ke láiq haiṉ; phir
bhí na faqat áp hí aise kám karte haiṉ, balki âur karnewáloṉ se ḳhush bhí hote
haiṉ.
Romíoṉ 5
; kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai,
us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai. 6Kyúṉki jab
ham kamzor hí the, to ʻain waqt par Masíh bedínoṉ kí ḳhátir múá. 7Kisí
rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí
ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá
apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the,
to Masíh hamárí ḳhátir múá.
Guse
ki badruh hai ye humen iman men
kamil nhi hune deti
Yaʻqúb 1
;’ 19Ai mere
piyáre bháiyo, yih bát tum jánte ho. Pas har ádmí sunne meṉ tez, aur bolne meṉ
dhírá, aur gusse meṉ dhímá ho; 20kyúṉki
insán ká gussa Ḳhudá kí rástbází ká kám nahíṉ kartá. 21Is liye
sárí najásat, aur badí ke fuzle ko dúr karke, us kalám ko halímí se qubúl kar
lo, jo dil meṉ boyá gayá, aur tumhárí rúhoṉ ko naját de saktá hai. 22Lekin kalám
par ʻamal karnewále bano, na mahz sunnewále jo apne áp ko dhoká dete haiṉ.
1 Tímuthiyus 6
; 7kyúṉki na
ham dunyá meṉ kuchh láe, aur na kuchh us meṉ se le já sakte haiṉ; 8pas agar
hamáre pás kháne pahinne ko hai, to usí par qanáʻat kareṉ. 9Lekin jo
daulatmand honá cháhte haiṉ, wuh aisí ázmáish aur phande aur bahut sí behúda
aur nuqsán pahuṉchánewálí ḳhwáhishoṉ meṉ phaṉste haiṉ, jo ádmíoṉ ko tabáhí aur
halákat ke daryá meṉ garq kar detí haiṉ; 10kyúṉki
rupaye ki mahabbat har qism kí buráí kí ek jaṛ hai; jis kí árzú meṉ baʻz ne
ímán se gumráh hokar apne diloṉ ko tarah tarah ke gamoṉ se chhalní kar liyá.
11Magar, ai
mard i Ḳhudá, tú in bátoṉ se bhág: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr,
aur hilm ká tálib ho. 12Ímán kí achchhí kushtí laṛ, us hamesha kí zindagí
par qabza kar le jis ke liye tú buláyá gayá thá, aur bahut se gawáhoṉ ke sámne
achchhá iqrár kiyá thá.
Ifisíoṉ 6
; 10G̣araz, Ḳhudáwand
meṉ aur us kí qudrat ké zor meṉ mazbút bano. 11Ḳhudá ke
sab hathyár báṉdh lo, táki tum Iblís ke mansúboṉ ke muqábale meṉ qáim rah
sako; 12kyúṉki hameṉ ḳhún aur gosht se kushtí nahíṉ karní
hai, balki hukúmatwáloṉ aur iḳhtiyárwáloṉ, aur is dunyá kí táríkí ke hákimoṉ
aur sharárat kí un rúhání faujoṉ se, jo ásmání maqámoṉ meṉ haiṉ. 13Is wáste
tum Ḳhudá ke sáre hathyár báṉdh lo, táki bure din meṉ muqábalá kar sako, aur
sab kámoṉ ko anjám dekar qáim rah sako. 14Pas
sachcháí se apní kamar kaskar, aur rástbází ká baktar lagákar, 15aur páṉwoṉ
meṉ sulh kí ḳhushḳhabarí kí taiyárí ke júte pahinkar, 16aur un sab
ke sáth ímán kí sipar lagákar, qáim raho, jis se tum us sharír ke sáre jalte
húe tíroṉ ko bujhá sako; 17aur naját
ká ḳhod aur Rúh kí talwár, jo Ḳhudá ká kalám hai, le lo; 18aur har
waqt aur har tarah se Rúh meṉ duʻá aur minnat karte raho; aur isí garaz se
jágte raho, ki sab muqaddasoṉ ke wáste bilánága duʻá máṉgá karo;
Kulussíoṉ 3
; 5Pas apne un
aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur
shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke
sabab se Ḳhudá ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum
bhí, jis waqt un bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte
the. 8Lekin ab tum bhí in sab ko, yaʻní gussa, aur
qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná chhoṛ do: 9ek dúsre se
jhúṭh na bolo, kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí
insáníyat ko pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí
súrat par nayí bantí játí hai: 11waháṉ na
Yúnáni rahá, na Yahúdí, na ḳhatna, na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám,
na ázád: sirf Masíh sab kuchh aur sab meṉ hai.
Matí 24
;37Jaisá Núh
ke dinoṉ meṉ húá, waisá hí Ibn i Ádam ke áne ke waqt hogá. 38Kyúṉki jis
tarah túfán se pahle ke dinoṉ meṉ log kháte píte the, aur un meṉ biyáh shádí
hotí thí, us din tak, ki Núh kishtí meṉ dáḳhil húá, 39aur jab tak
túfán ákar un sab ko bahá na le gayá, un ko ḳhabar na húí, isí tarah Ibn i Ádam
ká áná hogá.
Mukáshafa 14
1Phir maiṉ ne nigáh
kí, to kyá dekhtá húṉ, ki wuh Barra Siyyon ke paháṛ par khaṛá hai, aur us ke
sáth ek lákh chauálís hazár shaḳhs haiṉ, jin ke máthe par us ká aur us ke Báp
ká nám likhá húá hai. 2Aur mujhe ásmán
par se ek aisí áwáz sunáí dí, jo zor ke pání, aur baṛí garaj kí sí áwáz thí;
aur jo áwáz maiṉ ne suní, wuh aisí thí jaise barbatnawáz barbat bajáte
hoṉ. 3Wuh taḳht ke sámne, aur
chároṉ jándároṉ aur buzurgoṉ ke áge, goyá ek nayá gít gá rahe the: aur un ek
lákh chauálís hazár shaḳhsoṉ ke siwá, jo dunyá meṉ se ḳharíd liye gaye the, koí
us gít ko na síkh saká
Yúhanná 10
; 15isí tarah
maiṉ apní bheṛoṉ ko jántá húṉ, aur merí bheṛeṉ mujhe jántí haiṉ; aur maiṉ bheṛoṉ
ke liye apní ján detá húṉ.
Yúhanná
10:27 (URDR55)
Merí
bheṛeṉ merí áwáz suntí haiṉ, aur maiṉ unheṉ jántá húṉ, aur wuh mere píchhe
píchhe chaltí haiṉ:
Yúhanná
10:28 (URDR55)
aur
maiṉ unheṉ hamesha kí zindagí baḳhshtá húṉ; aur wuh abad tak kabhí halák na
hoṉgí, aur koí unheṉ mere háth se chhín na legá.
Mukáshafa 14
; . 4Yih wuh haiṉ, jo
ʻauratoṉ ke sáth álúda nahíṉ húe, balki kuṉwáre haiṉ. Yih wuh haiṉ, jo Barre ke
píchhe píchhe chalte haiṉ, jaháṉ kahíṉ wuh játá hai. Yih Ḳhudá aur Barre ke
liye pahle phal hone ke wáste ádmíoṉ meṉ se ḳharíd liye gaye haiṉ. 5Aur un ke muṉh se kabhí
jhúṭh na niklá thá; wuh beʻaib haiṉ.
Matí 22
; 30kyúṉki
qiyámat meṉ biyáh shádí na hogí, balki log ásmán par firishtoṉ kí mánind hoṉge.
1 Kurinthíoṉ 7
1Jo báteṉ tum ne
likhí thíṉ un kí bábat yih hai.
Mard ke liye achchhá hai, ki ʻaurat ko na chhúe.
Aiyúb 31
1Maiṉ ne apní
áṉkhoṉ se ‘ahd kiyá hai,
Phir maiṉ kisí kuṉwárí par kyúṉkar nazar karúṉ?
Matí 5
‘27Tum sun
chuke ho ki kahá gayá thá, ki Ziná na kar; 28lekin maiṉ
tum se yih kahtá húṉ, ki jis kisí ne burí ḳhwáhish se kisí ʻaurat par nigáh kí,
wuh apne dil meṉ us ke sáth ziná kar chuká.
1 Patras 5
;8Tum hoshyár
aur bedár raho: tumhárá muḳhálif Iblís garajnewále sher i babar kí tarah ḍhúṉḍhtá
phirtá hai, ki kis ko pháṛ kháe: 9tum ímán meṉ
mazbút hokar, aur yih jánkar us ká muqábala karo, ki tumháre bháí jo dunyá meṉ
haiṉ, aise hí dukh bhar rahe haiṉ.
1 Kurinthíoṉ 6:18 (URDR55)
Harámkári
se bhágo. Jitne gunáh ádmí kartá hai, wuh badan se báhar haiṉ; magar harámkár
apne badan ká bhí gunahgár hai.
19Kyá tum
nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká maqdis hai, jo tum meṉ basá húá
hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai? aur tum apne nahíṉ; 20kyúṉki
qímat se ḳharíde gaye ho: pas apne badan se Ḳhudá ká jalál záhir karo
. 2 Tímuthiyus 2
; 21Pas jo koí
in se ʻaláhida hokar apne taíṉ pák karegá, wuh ʻizzat ká bartan, aur muqaddas
banegá, aur Málik ke kám ke láiq, aur har nek kám ke liye taiyár hogá. 22Jawání kí ḳhwáhishoṉ
se bhág, aur jo pák dil ke sáth Ḳhudáwand se duʻá máṉgte haiṉ, un ke sáth rástbází,
aur ímán, aur mahabbat, aur sulh ká tálib ho.
Comments
Post a Comment