Paidáish 2
'Is wáste mard apne máṉ báp ko chhoṛegá, aur apní bíwí se
milá rahegá: aur wuh ek tan hoṉge. '
Paidáish 3
; 16Phir us ne
‘aurat se kahá, ki Maiṉ tere dard i haml ko bahut baṛháúṉgá; tú dard ke sáth
bachche janegí; aur terí rag̣bat apne shauhar kí taraf hogí, aur wuh tujh par
hukúmat karegá.
Paidáish 2:24
https://www.bible.com/bible/1553/GEN.2.24
Aurat do tarah ki tarah ki hai
Ek purani shrishat ki aurat hai
Or ek nayi shrishat ki
purani shrihsat ki aurat jo hai
zamini hai jismani hai
or duniya ki khawahisho se bhari hui hai
nayi shrishat ki aurat ruhani hai
jo masih men hai or ruh l quds ki hidayat se chalti hai
or sirf masih ki hi
or takti hai
purani shirishat ki aurat jo hai wuh
jo jismani hai or
duniya ki khawahisho se hamila hai
Ab jo jismani aurat hai wuh jismani
Baton ke khayal men rehti hai
Or ye chal rahi hai jism ki khawahisho ke mutabik
Yaʻqúb 1:14 (URDR55)
háṉ, har shaḳhs apní hí ḳhwáhishoṉ meṉ khiṉchkar aur phaṉskar
ázmáyá játá hai.
15Phir
ḳhwáhish hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab baṛh chuká to maut
paidá kartá hai
1 Yúhanná 2
: 16Kyúṉki jo
kuchh dunyá meṉ hai, yaʻní jism kí ḳhwáhish, aur áṉkhoṉ kí ḳhwáhish, aur
zindagí kí sheḳhí, wuh Báp kí taraf se nahíṉ, balki dunyá kí taraf se
hai. 17Dunyá aur us kí ḳhwáhish donoṉ miṭtí játí haiṉ,
lekin jo Ḳhudá kí marzí par chaltá hai, wuh abad tak qáim rahegá.
1 Tímuthiyus 2
: 13Kyúṉki
pahle Ádam banáyá gayá, us ke baʻd Hawwá; 14aur Ádam ne
fareb nahíṉ kháyá, balki ʻaurat fareb khákar gunáh meṉ paṛ gayí.
Zahir se baat jismaani aurat ke khayal jismani
hain niat irade jismani hai
Soche jimsani hain ichayen jismani hain
To jism jo hai gunah ke sabab se murda hai
Har ek
jismani icha khyala niyat Jodi hai
gunah ke sath
Or gunah jab bhad
chukka to maut paida karta hai
Or gunah ki tamsil hai tasveer hai chalak sanp ki
"Spirit of Manipulation"
जो दूसरों को धोखे,
नियंत्रण, या चालाकी से अपनी इच्छा के अनुसार चलाने की कोशिश करता है।
पाप हमारे जीवन में हमारी इच्छाओं और
निर्णयों के द्वारा आता है।
Or ye sab kaha chalta hai hai humari socho men
khayalon men niyat men irado men
6‘Aurat ne
jo dekhá, ( yani ankho ki abhilasha ) ki wuh daraḳht kháne ke liye achchhá, aur
áṉkhoṉ ko ḳhushnumá ma‘lúm hotá hai, aur ‘aql baḳhshne ke liye ḳhúb hai, to us
ke phal meṉ se liyá, aur kháyá; aur apne shauhar ko bhí diyá, aur us ne kháyá.
Paidáish 2
: 17lekin nek o
bad kí pahchán ke daraḳht ká kabhí na kháná: kyúṉki jis roz tú ne us meṉ se
kháyá, tú mará.
Romíoṉ 8:13 (URDR55)
Kyúṉki agar tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr
maroge.
Galatíoṉ 5:17 (URDR55)
Kyúṉki jism Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai,
Paidáish 3
:
17Aur Ádam se us ne kahá,
Chúṉki tú ne apní bíwí kí bát mání, aur us daraḳht ká phal kháyá, jis kí bábat
maiṉ ne tujhe hukm diyá thá, ki Use na kháná: is liye zamín tere sabab se
la‘natí húí; mashaqqat ke sáth tú apní ‘umr bhar us kí paidáwár kháegá; 18aur wuh
tere liye káṉṭe aur úṉṭkaṭáre ugáegí; aur tú khet kí sabzí kháegá; 19tú apne
muṉh ke pasíne kí roṭí kháegá, jab tak ki zamín meṉ tú phir lauṭ na jáe; is
liye ki tú us se nikálá gayá hai: kyúṉki tú ḳhák hai, aur ḳhák meṉ phir lauṭ
jáegá.
:
Or ye jimini jismani
aurat hai jimini jismani kalsiya ki
purani shirhsat ki kalsiya jo pehle adammm men paida ki gai
Wuh kilsiya jo aaj bhi jismani khawahish ke mutabik apni
badan ke khawahisho ke ghulam hain
2 Tímuthiyus 3
1Lekin yih
ján
rakh, ki aḳhír zamáne meṉ bure din áeṉge. 2Kyúṉki ádmí
ḳhudgaraz, zardost, sheḳhíbáz, magrúr, badgo, máṉ báp ke náfarmán, náshukr,
nápák, 3tabaʻí mahabbat se ḳhálí, saṉgdil, tuhmat
lagánewále, bezabt, tundmi-záj, nekí ke dushman, 4dagábáz, ḍhíṭh,
ghamanḍ karnewále, Ḳhudá kí nisbat ʻaish o ʻishrat ko ziyáda dost rakhnewále hoṉge; 5wuh díndárí
kí wazaʻ to rakkheṉge, magar us ke asar ko qubúl na kareṉge; aisoṉ se bhí
kanára karná. 6In hí meṉ se wuh log haiṉ, jo gharoṉ meṉ dabe páṉw
ghus áte haiṉ, aur un chhachhorí ʻauratoṉ ko qábú meṉ kar lete haiṉ, jo gunáhoṉ
meṉ dabí húí haiṉ, aur tarah tarah kí ḳhwáhishoṉ ke bas meṉ haiṉ; 7aur hamesha
taʻlím pátí rahtí haiṉ, magar haqq kí pahchán tak kabhí nahíṉ pahuṉchtíṉ. 8Aur jis
tarah ki Yannes aur Yambres ne Músá kí muḳhálafat kí thí, isí tarah yih log bhí
haqq kí muḳhálafat karte haiṉ. Yih aise ádmí haiṉ, jin kí ʻaql bigṛí húí hai,
aur wuh ímán ke iʻtibár se námaqbúl haiṉ. 9Magar is se
ziyáda na baṛh sakeṉge, is wáste ki in kí nádání sab ádmíoṉ par záhir ho jáegí,
jaise un kí bhí ho gayí thí.
Ab jo ruhani aurat hai
Wuh iman ke bani or kamil karne wale sirf masih yisu ko
takti hai
Or ismen iman ki ruh hai
Jo masih ysiu ka kalam sunne se paida hui
Iman suune se padia hota hai sunne masih ke kalam se
Or masih ki ruh hai
Or masih ka kalam ruhani hai
Or jiski mansha
humesha ki zindghi or itminan hai
Or ruhani aurat hai wuh ruhani baton ke khayal men rehti hai
Or ruhani niyat zindghi or itminan hai
Kulussíoṉ 1
: 17aur wuh sab
chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí chízeṉ qáim rahtí haiṉ. 18Aur wuhí
badan, yaʻní kalísiyá, ká sir hai; wuhí mabdá hai, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ
meṉ pahlauṭhá, táki sab bátoṉ meṉ us ká awwal darja ho;
. 2 Tímuthiyus 4
; 3Kyúṉki aisá
waqt áegá, ki log sahíh taʻlím kí bardásht na kareṉge, balki kánoṉ kí khujlí ke
báʻis apní apní ḳhwáhishoṉ ke muwáfiq bahut se ustád kar leṉge; 4aur apne
kánoṉ ko haqq kí taraf se pherkar, kahániyoṉ par mutawajjih hoṉge. 5Magar tú
sárí bátoṉ meṉ hoshyár rah; dukh uṭhá; bashárat ká kam anjám de; apní ḳhidmat
ko púrá kar.
Or jo ruhani kalsiya hai wuh masih ka badan hai
Or is ruhani kalisiya men masih ki ruh hai
Masih ki aql hai
Hikmat aur mukashafa ki ruh jis se inki dil ankhe raushan hain
Ruh l quds hai
Yúhanná 14
: 26Lekin
Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ
sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.
Sachchai ki ruh hai
Jo gawahi deti hai
Yúhanná
10:27 (URDR55)
Merí bheṛeṉ merí áwáz suntí haiṉ, aur maiṉ unheṉ jántá húṉ, aur
wuh mere píchhe píchhe chaltí haiṉ:
: Ḳhabardár raho, ki kyá sunte
ho;
1 Yúhanná 4
1Ai ʻazízo, har ek
rúh ká yaqín na karo, balki rúhoṉ ko ázmáo, ki wuh Ḳhudá kí taraf se haiṉ yá
nahíṉ; kyúṉki bahut se jhúṭhe nabí dunyá meṉ nikal khaṛe húe haiṉ. 2Ḳhudá kí Rúh ko tum is
tarah pahchán sakte ho, ki jo koí rúh iqrár kare ki Yisúʻ Masíh mujassam hokar
áyá hai, wuh Ḳhudá kí taraf se hai: 3aur jo koí rúh
Yisúʻ ká iqrár na kare, wuh Ḳhudá kí taraf se nahíṉ: aur yihí muḳhálif i Masíh
kí rúh hai, jis kí ḳhabar tum sun chuke ho ki wuh ánewálí hai, balki ab bhí
dunyá meṉ maujúd hai. 4Ai bachcho, tum
Ḳhudá se ho, aur un par gálib á gaye ho; kyúṉki jo tum meṉ hai, wuh us se baṛá
hai jo dunyá meṉ hai. 5Wuh dunyá se haiṉ,
is wáste dunyá kí sí kahte haiṉ, aur dunyá un kí suntí hai. 6Ham Ḳhudá se haiṉ: jo
Ḳhudá ko jántá hai, wuh hamárí suntá hai; jo Ḳhudá se nahíṉ, wuh hamárí nahíṉ
suntá. Isí se ham haqq kí rúh aur gumráhí kí rúh ko pahchán lete haiṉ.
Romíoṉ 5
: 12Pas jis
tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur
yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá — 13kyúṉki
sharíʻat ke diye jáne tak dunyá meṉ gunáh to thá: magar jaháṉ sharíʻat nahíṉ,
waháṉ gunáh mahsúb nahíṉ hotá. 14Táham Ádam
se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí
náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá. 15Lekin qusúr
ká jo hál hai, wuh fazl kí niʻmat ká nahíṉ. Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr se
bahut se ádmí mar gaye, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí,
yaʻní Yisúʻ Masíh ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se
názil húí. 16Aur jaisá ek shaḳhs ke gunáh karne ká anjám húá,
baḳhshish ká waisá hál nahíṉ; kyúṉki ek hí ke sabab se wuh faisala húá, jis ká
natíja sazá ká hukm thá: magar bahutere qusúroṉ se aisí niʻmat paidá húí, jis
ká natíja yih húá ki log rástbáz ṭhahre. 17Kyúṉki jab
ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí; to jo log
fazl aur rástbází kí baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní
Yisúʻ Masíh ke wasíle se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge. 18G̣araz,
jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká
hukm thá; waisá hí rástbází ke ek kám ke wasíle se sab ádmíoṉ ko wuh niʻmat
milí, jis se rástbáz ṭhahrke zindagí páeṉ. 19Kyúṉki jis
tarah ek hí shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre, usí tarah ek
kí farmánbardárí se bahut se log rástbáz ṭhahreṉge. 20Aur bích meṉ
sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda húá,
waháṉ fazl us se bhí niháyat ziyáda húá: 21táki jis
tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand
Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se
bádsháhí kare.
1 Kurinthíoṉ 15
: 40Ásmání bhí jism haiṉ, aur zamíní bhí: magar ásmáníoṉ ká jalál âur hai,
zamíníoṉ ká âur. 41Áftáb ká jalál âur hai,
máhtáb ká jalál âur, sitároṉ ká jalál âur; kyúṉki sitáre sitáre ke jalál meṉ
farq hai. 42Murdoṉ kí qiyámat bhí aisí
hi hai. Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá
hai: 43behurmatí ki hálat meṉ
boyá játá hai; aur jalál kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá
játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: 44nafsání jism boyá játá
hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí
hai. 45Chunáṉchi likhá bhí hai,
ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí
rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá,
balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín
se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise
hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání hai, waise hi âur ásmání bhí
haiṉ. 49Aur jis tarah ham is ḳhákí
kí súrat par húe, usí tarah us ásmání kí súrat par bhí hoṉge.
50Ai bháiyo, merá
matlab yih hai, ki gosht aur ḳhún Ḳhudá kí bádsháhat ká wáris nahíṉ ho saktá,
aur na faná baqá kí wáris ho saktí hai. 51Dekho, maiṉ tum se
bhed kí bát kahtá húṉ: ham sab to nahíṉ soeṉge, magar sab badal jáeṉge;
Romíoṉ 8
1Pas ab, jo Masíh
Yisúʻ meṉ haiṉ, un par sazá ká hukm nahíṉ. 2Kyúṉki zindagí kí
Rúh kí sharíʻat ne, Masíh Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád
kar diyá. 3Is liye ki jo kám
shariʻat, jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us
ne apne Beṭe ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye
bhejkar, jism meṉ gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá
ham meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte
haiṉ. 5Kyúṉki jo jismání haiṉ,
wuh jismání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ; lekin jo rúhání haiṉ, wuh rúhání
bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ. 6Aur jismání níyat
maut hai; magar rúhání níyat zindagí aur itmínán hai: 7is liye ki jismání níyat
Ḳhudá kí dushmaní hai; kyúṉki na to Ḳhudá kí sharíʻat ke tábiʻ hai, na ho saktí
hai: 8aur jo jismání haiṉ, wuh
Ḳhudá ko ḳhush nahíṉ kar sakte. 9Lekin tum jismání
nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai. Magar
jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ. 10Aur agar Masíh tum meṉ
hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh rástbází ke sabab se
zinda hai. 11Aur agar usí kí Rúh tum
meṉ basí húí hai, jis ne Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá, to jis ne Masíh Yisúʻ
ko murdoṉ meṉ se jiláyá, wuh tumháre fání badanoṉ ko bhí apní us Rúh ke wasíle
se zinda karegá, jo tum meṉ basí húí hai.
12Pas, ai bháiyo,
ham qarzdár to haiṉ, magar jism ke nahíṉ, ki jism ke mutábiq zindagí
guzáreṉ. 13Kyúṉki agar tum jism ke
mutábiq zindagí guzároge, to zarúr maroge. Aur agar rúh se badan ke kámoṉ ko
nest o nábúd karoge, to jíte rahoge. 14Is liye ki jitne
Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ. 15Kyúṉki tum ko gulámí kí
rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis
se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ. 16Rúh ḳhud hamárí rúh ke
sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ. 17Aur agar farzand haiṉ, to
wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás; basharte ki ham us
ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ.
Comments
Post a Comment