Shalom masih
yehsua men sabho ki salamati ho स्वागत है हमारे
चैनल पर! आज हम बात करेंगे भारत-पाकिस्तान के तनाव और बाइबल के अनुसार शांति के
मार्ग की। युद्ध और संघर्ष के बीच, बाइबल हमें प्रेम, क्षमा और एकता का
संदेश देती है। आइए, जानें कि कैसे हम
यीशु के kalam से प्रेरणा लेकर शांति की दिशा में कदम बढ़ा सकते हैं। वीडियो को अंत तक देखें
और अपने विचार कमेंट में जरूर साझा करें। चलिए, शुरू करते हैं!
Wá‘iz 3
1Har chíz ká ek
mauqa‘, aur har kám ká, jo ásmán ke níche hotá hai, ek waqt hai.
Wá‘iz 3
:8mahabbat ká
ek waqt hai, aur ‘adáwat ká ek waqt hai; jang ká ek waqt hai, aur sulh ká ek
waqt hai.
: 6Aur tum laiṛáiyáṉ,
aur laṛáiyoṉ kí afwáh sunoge; ḳhabardár, ghabrá na jáná; kyúṉki in bátoṉ ká
wáqiʻ honá zarúr hai, lekin us waqt ḳhátima na hogá. 7Kyúṉki qaum
par qaum, aur bádsháhat par bádsháhat chaṛhái karegí; aur jagah jagah kál paṛeṉge,
aur bhauṉchál áeṉge. 8Lekin yih sab báteṉ musíbatoṉ ká shurúʻ hí hoṉgí. 9Us waqt log
tumheṉ taklíf dene ke liye pakaṛwáeṉge, aur tumheṉ qatl kareṉge, aur mere nám
ke sabab sárí qaumeṉ tum se ʻadáwat rakkheṉgí. 10Aur us waqt
bahutere ṭhokar kháeṉge, aur ek dúsre ko pakaṛwáeṉge, aur ek dúsre se ʻadáwat
rakkheṉge. 11Aur bahut se jhúṭhe nabí uṭh khaṛe hoṉge, aur
bahuteroṉ ko gumráh kareṉge. 12Aur bedíní
ke baṛh jáne ke sabab bahuteroṉ kí mahabbat ṭhandí paṛ jáegí. 13Magar jo áḳhir
tak bardásht karegá, wuh naját páegá. 14Aur
bádsháhat kí is ḳhushḳhabarí kí manádi tamám dunyá meṉ hogí, táki sab qaumoṉ ke
liye gawáhí ho; aur us waqt ḳhátima hogá.
16to jo
Yahúdiya meṉ hoṉ, wuh paháṛoṉ par bhág jáeṉ: 17jo koṭhe
par ho, wuh apne ghar ká asbáb lene ko níche na utre; 18aur jo khet
meṉ ho, wuh apná kapṛá lene ko píchhe na lauṭe. 19Magar un
par afsos hai, jo un dinoṉ meṉ hámila hoṉ, aur jo dúdh pilátí hoṉ! 20Pas duʻá máṉgo,
ki tumheṉ jáṛoṉ meṉ yá Sabt ke din bhágná na paṛe; 21kyúṉki us
waqt aisí baṛí musíbat hogí, ki dunyá ke shurúʻ se na ab tak húí, na kabhí
hogí. 22Aur agar wuh din ghaṭáe na játe, to koí bashar na
bachtá; magar barguzídoṉ kí ḳhátir wuh din ghaṭáe jáeṉge.
Matí 10
: 28Jo badan ko qatl karte haiṉ, aur rúh ko qatl nahíṉ
kar sakte, un se na daro; balki usí se ḍaro, jo rúh aur badan donoṉ ko jahannam
meṉ halák kar saktá hai.
Zabúr 23
: 4Balki ḳhwáh maut
ke sáye kí wádí meṉ se merá guzar ho,
Maiṉ kisí balá se nahíṉ daṛúṉgá; kyúṉki tú mere sáth hai:
'tú mat ḍar, kyúṉki maiṉ tere sáth húṉ: hirásán na ho, kyúṉki
maiṉ terá Ḳhudá húṉ: maiṉ tujhe zor baḳhshúṉgá: yaqínan maiṉ terí madad karúṉgá:
aur maiṉ apní sadáqat ke dahine háth se tujhe sambhálúṉgá. '
Istisná 31
: 6Tum mazbút
ho jáo, aur hausala rakkho; ḍaro mat, aur na un se ḳhauf kháo; kyúṉki Ḳhudáwand tumhárá Ḳhudá ḳhud hí
tumháre sáth játá hai; wuh tum se dastbardár nahíṉ hogá, aur na tum ko chhoṛegá.
Yasa‘iyáh 41:10
13Kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand, terá Ḳhudá, terá dahiná háth
pakaṛkar kahúṉgá, Mat ḍar; maiṉ terí madad karúṉgá.
Zabúr 118
: 6 Ḳhudáwand merí taraf hai, maiṉ
nahíṉ ḍarne ká:
Insán merá kyá kar saktá hai?
Romíoṉ 8
: 31Pas ham in bátoṉ kí bábat
kyá kaheṉ? Agar Ḳhudá hamárí taraf hai, to kaun hamárá maḳhálif hai?
Yasa‘iyáh 54
: 17Koí hathyár jo tere ḳhiláf
banáyá jáe kám na áegá; aur jo zabán ‘adálat meṉ tujh par chalegí, tú use
majrúm ṭhahráegí. Ḳhudáwand farmátá
hai, Yih mere bandoṉ kí mírás hai, aur un kí rástbází mujh se hai.
Yashú‘ 1
: So mazbút
ho já aur hausala rakh: ḳhauf na khá, aur bedil na ho; kyúṉki Ḳhudáwand terá Ḳhudá, jaháṉ jaháṉ
tú jáe, tere sáth rahegá.
1 Patras 3
: 14Aur agar rástbází kí ḳhátir
dukh saho bhí, to tum mubárak ho: na un ke ḍaráne se ḍaro, aur na
ghabráo;
Romíoṉ 8
: 15Kyúṉki tum ko gulámí kí
rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis
se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ.
2 Tímuthiyus 1
:7Kyúṉki Ḳhudá
ne hameṉ dahshat kí rúh nahíṉ, balki qudrat, aur mahabbat, aur tarbiyat kí rúh
dí hai.
1 Patras 5
: 6Pas Ḳhudá
ke qawí háth ke níche firotaní se raho, táki wuh tumheṉ waqt par sarbaland
kare; 7aur apní sarí fikr usí par ḍál do, kyúṉki us ko
tumhárá ḳhayál hai. 8Tum hoshyár aur bedár raho:
Zabúr 55
/: 22Apná bojh Ḳhudáwand par
ḍál de, wuh tujhe sambhálegá:
Wuh sádiq ko kabhí jumbish na kháne degá.
Yúhanná 16
: 33Maiṉ ne tum se yih báteṉ is liye kahíṉ, ki tum mujh meṉ
itmínán páo. Dunyá meṉ musíbat uṭháte ho; lekin ḳhátir jamaʻ rakkho; maiṉ dunyá
par gálib áyá húṉ.
Yúhanná 14
: 27Maiṉ tumheṉ itmínán diye játá húṉ; apná itmínán
tumheṉ detá húṉ: jis tarah dunyá detí hai, maiṉ tumheṉ us tarah nahíṉ detá.
Tumhárá dil na ghabráe aur na ḍare.
2 Kurinthíoṉ 1
; 3Hamáre Ḳhudáwand
Yisúʻ Masíh ke Ḳhudá aur Báp kí hamd ho, jo rahmatoṉ ká Báp, aur har tarah kí
tasallí ká Ḳhudá hai; 4wuh hamárí sab musíbatoṉ meṉ ham ko tasallí detá
hai, táki ham us tasallí ke sabab jo Ḳhudá hameṉ baḳhshtá hai, un ko bhí
tasallí de sakeṉ, jo kisí tarah kí musíbat meṉ haiṉ.
Zabúr 46
: 1Ḳhudá hamárí panáh
aur quwwat hai,
Musíbat meṉ musta‘idd madadgár.
2Is liye ham ko
kuchh ḳhauf nahíṉ, ḳhwáh zamín ulaṭ jáe
Aur paháṛ samundar kí tah meṉ ḍál diye jáeṉ;
3Ḳhwáh us ká pání shor
macháe aur maujzan ho,
Aur paháṛ us kí tug̣yání se hil jáeṉ.
Zabúr 91
: 4Wuh tujhe apne
paroṉ se chhipáegá,
Aur tujhe us ke bázúoṉ ke níche panáh milegí:
Us kí sachcháí ḍhál aur sipar hai.
5Tú na rát kí
haibat se daṛegá,
Na din ko uṛnewále tír se;
6Na us wabá se jo
andhere meṉ chaltí hai,
Na us halákat se jo do pahar ko wírán kartí hai.
7Tere ás pás ek
hazár gir jáeṉge,
Aur tere dahine háth kí taraf das hazár,
Lekin wuh tere nazdík na áegí.
8Lekin tú apní
áṉkhoṉ se nigáh karegá,
Aur sharíroṉ ke anjám ko dekhegá.
9Par tú, ai Ḳhudáwand, merí panáh hai:
Tú ne Haqq Ta‘álá ko apná maskan baná liyá hai.
10Tujh par koí áfat
nahíṉ áegí;
Aur koí wabá tere ḳhaime ke nazdík na pahuṉchegí.
11Kyúṉki wuh terí
bábat apne firishtoṉ ko hukm degá,
Ki terí sab ráhoṉ meṉ terí hifázat kareṉ.
12Wuh tujhe apne
háthoṉ par uṭhá leṉge,
Tá aisá na ho ki tere páṉw ko patthar se ṭhes lage.
Ástar 1
1Aḳhasúerus ke dinoṉ meṉ aisá húá, (yih wuhí
Aḳhasúerus hai jo Hindostán se Kúsh tak ek sau sattáís suboṉ par saltanat kartá
thá:)
Ástar 3
1In bátoṉ ke ba‘d Aḳhasúerus bádsháh ne
Ajájí Hammadátá ke beṭe Hámán ko mumtáz aur sarfaráz kiyá, aur us kí kursí ko
sab umará se jo us ke sáth the bartar kiyá. 2Aur bádsháh ke sab mulázim
jo bádsháh ke pháṭak par the Hámán ke áge jhukkar us kí ta‘zím karte the; kyúṉki
bádsháh ne us ke báre meṉ aisá hí hukm kiyá thá. Par Mardakí na jhuktá, na us
kí ta‘zím kartá thá. 3Tab bádsháh ke mulázimoṉ ne jo bádsháh ke
pháṭak par the Mardakí se kahá, Tú kyúṉ bádsháh ke hukm ko toṛtá hai? 4Jab wuh us se roz kahte
rahe, aur us ne un kí na mání, to unhoṉ ne Hámán ko batá diyá, táki dekheṉ ki
Mardakí kí bát chalegí, yá nahíṉ: kyúṉki us ne un se kah diyá thá, ki Maiṉ
Yahúdí húṉ. 5Jab Hámán ne dekhá ki Mardakí na jhuktá, na
merí ta‘zím kartá hai, to Hámán g̣usse se bhar gayá. 6Lekin faqat Mardakí hí par
háth chaláná apní shán se níche samjhá; kyúṉki unhoṉ ne use Mardakí kí qaum
batá dí thí; is liye Hámán ne cháhá ki Mardakí kí qaum, ya‘ní sab Yahúdíoṉ ko
jo Aḳhasúerus kí púrí mamlukat meṉ rahte the halák kare.
8Aur Hámán
ne Aḳhasúerus bádsháh se ‘arz kí, ki Huzúr kí mamlukat ke sab súboṉ meṉ ek qaum
sab qaumoṉ ke darmiyán paráganda aur phailí húí hai; us ke dastúr har qaum se
nirále haiṉ, aur wuh bádsháh ke qawánín nahíṉ mánte haiṉ; so un ko rahne dená
bádsháh ke liye fáidamand nahíṉ. 9Agar
bádsháh ko manzúr ho, to un ko halák karne ká hukm likhá jáe; aur maiṉ
tahsíldároṉ ke háth meṉ sháhí ḳhazánoṉ meṉ dáḳhil karne ke liye chándí ke das
hazár toṛe dúṉgá. 10Aur bádsháh ne apne háth
se angúṭhí utárkar Yahúdíoṉ ke dushman Ajájí Hammadátá ke beṭe Hámán ko
dí. 11Aur bádsháh ne Hámán se
kahá, ki Wuh chándí tujhe baḳhshí gayí, aur wuh log bhí, táki jo tujhe achchhá
ma‘lúm ho un se kare. 12Tab bádsháh ke munshí
pahle mahíne kí terahwíṉ táríḳh ko buláe gaye, aur jo kuchh Hámán ne bádsháh ke
nawwáboṉ, aur har súbe ke hákimoṉ, aur har qaum ke sardároṉ ko hukm kiyá us ke
mutábiq likhá gayá: súbe súbe ke hurúf aur qaum qaum kí zabán meṉ sháh i Aḳhasúerus
ke nám se yih likhá gayá, aur us par bádsháh kí angúṭhí kí muhr kí gayí. 13Aur harkároṉ
ke háth bádsháh ke sab súboṉ meṉ ḳhatt bheje gaye, ki bárahweṉ mahíne ya‘ní
Adár mahíne kí terahwíṉ táríḳh ko sab Yahúdíoṉ ko, kyá jawán, kyá buḍḍhe, kyá
bachche, kyá ‘aurateṉ ek hí din meṉ halák aur qatl kareṉ, aur nábúd kar deṉ,
aur un ká mál lúṭ leṉ. 14Is tahrír kí ek ek naql
sab qaumoṉ ke liye shá‘i kí gayí, ki is farmán ká i‘lán har súbe meṉ kiyá jáe,
táki us din ke liye taiyár ho jáeṉ. 15Bádsháh ke
hukm se harkáre fauran rawána húe, aur wuh hukm qasr i Sosan meṉ diyá gayá. Aur
bádsháh aur Hámán mainoshí karne ko baiṭh gaye; par Sosan shahr pareshán thá.
Ástar 4
1Jab Mardakí ko wuh sab jo kiyá gayá thá
ma‘lum húá, to Mardakí ne apne kapṛe pháṛe, aur ṭáṭ pahine aur sir par rákh ḍálkar
shahr ke bích meṉ chalá gayá, aur baland aur purdard áwáz se chilláne
lagá. 2Aur wuh bádsháh ke pháṭak ke sámne bhí áyá;
kyúṉki ṭáṭ pahine koí bádsháh ke pháṭak ke andar jáne na pátá thá. 3Aur har súbe meṉ, jaháṉ kahíṉ
bádsháh ká hukm aur farmán pahuṉchá, Yahúdíoṉ ke darmiyán baṛá mátam aur roza
aur giryazárí aur nauha shurú‘ ho gayá; aur bahutere ṭáṭ pahine rákh meṉ paṛ
gaye. 4Aur Ástar kí saheliyoṉ aur us ke ḳhwájasaráoṉ
ne ákar use ḳhabar dí. Tab malika bahut g̣amgín húí; aur us ne kapṛe bheje, ki
Mardakí ko pahináeṉ, aur ṭáṭ us par se utár leṉ; par us ne un ko na liyá. 5Tab Ástar ne bádsháh ke ḳhwájasaráoṉ
meṉ se Haták ko jise us ne Ástar ke pás házir rahne ko muqarrar kiyá thá
bulwáyá, aur use tákíd kí ki Mardakí ke pás jákar daryáft kare, ki yih kyá bát
hai, aur kis sabab se hai. 6So Haták nikalkar shahr ke
chauk meṉ jo bádsháh ke pháṭak ke sámne thá Mardakí ke pás gayá. 7Tab Mardakí ne apní púrí
sarguzasht, aur rupaye kí wuh ṭhík raqm use batáí jise Hámán ne Yahúdíoṉ ko
halák karne ke liye bádsháh ke ḳhazánoṉ meṉ dáḳhil karne ká wa‘da kiyá
thá. 8Aur us farmán kí tahrír kí ek naql bhí, jo
un ke halák karne ke liye Sosan meṉ dí gayí thí, use dí, táki use Ástar ko
dikháe, aur batáe, aur use tákíd kare, ki bádsháh ke huzúr jákar us se minnat
kare, aur us ke huzúr apní qaum ke liye darḳhwást kare. 9Chunáṉchi Haták ne ákar
Ástar ko Mardakí kí báteṉ kah sunáíṉ. 10Tab Ástar Haták se bát karne
lagí, aur use Mardakí ke liye yih paig̣ám diyá, ki 11Bádsháh ke sab mulázim aur
bádsháhí súboṉ ke sab log jánte haiṉ, ki jo koí mard ho yá ‘aurat bebuláe
bádsháh kí bárgáh i andarúní meṉ jáe, us ke liye, bas, ek hí qánún hai, ki wuh
márá jáe, siwá us ke jis ke liye bádsháh sone ká ‘asá uṭháe táki wuh jítá rahe:
lekin tís din húe ki maiṉ bádsháh ke huzúr nahíṉ buláí gayí. 12Unhoṉ ne Mardakí se Ástar kí
báteṉ kahíṉ. 13Tab Mardakí ne un se kahá, ki Ástar ke pás
yih jawáb le jáeṉ, ki Tú apne dil meṉ yih na samajh, ki sab Yahúdíoṉ meṉ se tú
bádsháh ke mahall meṉ bachí rahegí. 14Kyúṉki agar tú is waqt ḳhámoshí
iḳhtiyár kare, to ḳhalásí aur naját Yahúdíoṉ ke liye kisí âur jagah se áegí;
par tú apne báp ke ḳhándán samet halák ho jáegí: aur kyá jáne ki tú aise hí
waqt ke liye saltanat ko pahuṉchí hai? 15Tab Ástar ne un ko Mardakí
ke pás yih jawáb le jáne ká hukm diyá, 16ki Já, aur Sosan meṉ jitne
Yahúdí maujúd haiṉ, un ko ikaṭṭhá kar, aur tum mere liye roza rakkho, aur tín
roz tak, din aur rát, na kuchh kháo na piyo; maiṉ bhí aur merí saheliyáṉ isí
tarah se roza rakkheṉgí; aur aise hí maiṉ bádsháh ke huzúr jáúṉgí jo áín ke ḳhiláf
hai; aur agar maiṉ halák húí to halák húí. 17Chunáṉchi Mardakí rawána
húá, aur Ástar ke hukm ke mutábiq sab kuchh kiyá.
Ástar 5
: 14Tab us kí bíwí Zarish aur
us ke sab dostoṉ ne us se kahá, ki Pachás háth úṉchí súlí banáí jáe, aur kal
bádsháh se ‘arz karke Mardakí us par chaṛháyá jáe: tab ḳhushí ḳhushí bádsháh ke
sáth jashn meṉ jáná. Yih bát Hámán ko pasand áí; aur us ne ek súlí banwáí.
Ástar 7
: Hámán ke
ghar meṉ wuh pachás háth úṉchí súlí khaṛí hai jis ko Hámán ne Mardakí ke liye
taiyár kiyá jis ne bádsháh ke fáide kí bát batáí. Bádsháh ne farmáyá, ki Use us
par ṭáṉg do. 10So unhoṉ ne Hámán ko usí
súlí par, jo us ne Mardakí ke liye taiyár kí thí, ṭáṉg diyá. Tab bádsháh ká
g̣ussa ṭhanḍá húá.
Ástar 8
1Usí din Aḳhasúerus bádsháh ne Yahúdíoṉ ke
dushman Hámán ká ghar Ástar malika ko baḳhshá. Aur Mardakí bádsháh ke sámne
áyá, kyúṉki Ástar ne batá diyá thá, ki us ká us se kyá rishta thá. 2Aur bádsháh ne apní angúṭhí
jo us ne Hámán se le lí thí utárkar Mardakí ko dí. Aur Ástar ne Mardakí ko
Hámán ke ghar par muḳhtár baná diyá. 3Aur Ástar ne phir bádsháh ke
huzúr ‘arz kí, aur us ke qadamoṉ par girí aur áṉsú bahá bahákar us kí minnat
kí, ki Hámán Ajájí kí badḳhwáhí aur sázish ko jo us ne Yahúdíoṉ ke barḳhiláf kí
thí bátil kar de. 4Tab bádsháh ne Ástar kí taraf sunahlá ‘asá
baṛháyá; so Ástar bádsháh ke huzúr uṭh khaṛí húí; 5aur kahne lagí, ki Agar
bádsháh ko manzúr ho, aur maiṉ us kí nazar meṉ maqbúl húṉ, aur yih bát bádsháh
ko munásib ma‘lúm ho, aur maiṉ us kí nigáh meṉ piyárí húṉ, to un farmánoṉ ko
mansúḳh karne ko likhá jáe, jin ko Ajájí Hammadátá ke beṭe Hámán ne un sab
Yahúdíoṉ ko halák karne ke liye jo bádsháh ke sab súboṉ meṉ baste haiṉ tajwíz
kiyá thá: 6kyúṉki maiṉ us balá ko jo merí qaum par
názil hogí, kyúṉkar dekh saktí húṉ? yá kaise maiṉ apne rishtadároṉ kí halákat
dekh saktí húṉ? 7Tab Aḳhasúerus bádsháh ne Ástar malika, aur
Mardakí Yahúdí se kahá, ki Dekho, maiṉ ne Hámán ká ghar Ástar ko baḳhshá hai,
aur use unhoṉ ne súlí par ṭáṉg diyá hai, is liye ki us ne Yahúdíoṉ par háth
chaláyá. 8Tum bhí bádsháh ke nám se Yahúdíoṉ ko jaisá
cháhte ho likho, aur us par bádsháh kí angúṭhí se muhr karo: kyúṉki jo nawishta
bádsháh ke nám se likhá játá hai, aur us par bádsháh kí angúṭhí se muhr kí játí
hai, use koí mansúḳh nahíṉ kar saktá. 9So usí waqt tísre mahíne,
ya‘ní Saiwán mahíne kí teíswíṉ táríḳh ko bádsháh ke munshí talab kiye gaye, aur
jo kuchh Mardakí ne Hindostán se Kúsh tak ek sau sattáís súboṉ ke Yahúdíoṉ aur
nawwáboṉ, aur hákimoṉ aur súboṉ ke amíroṉ ko hukm diyá, wuh sab har súbe ko usí
ke hurúf, aur har qaum ko usí kí zabán, aur Yahúdíoṉ ko un ke hurúf aur un kí
zabán ke mutábiq likhá gayá. 10Aur us ne Aḳhasúerus bádsháh
ke nám se ḳhatt likhe, aur bádsháh kí angúṭhí se un par muhr kí, aur un ko
sawár harkároṉ ke háth rawána kiyá jo ‘umda nasl ke tezraftár sháhí ghoṛoṉ par
sawár the. 11In meṉ bádsháh ne Yahúdíoṉ ko, jo har shahr
meṉ the, ijázat dí ki ikaṭṭhe hokar apní ján bacháne ke liye muqábale par aṛ
jáeṉ, aur us qaum aur us súbe kí sárí fauj ko jo un par aur un ke chhoṭe
bachchoṉ par hamlaáwar ho halák aur qatl kareṉ, aur nest o nábúd kar deṉ, aur
un ká mál lúṭ leṉ,
5Aur Mardakí
bádsháh ke huzúr se ásmání aur safed rang ká sháhána libás aur sone ká ek baṛá
táj, aur katání aur arg̣awání ḳhil‘at pahine niklá. Aur Sosan shahr ne na‘ra
márá aur ḳhushí manáí. 16Yahúdíoṉ ko raunaq, aur ḳhushí,
aur shádmání, aur ‘izzat hásil húí. 17Aur har
súbe aur har shahr meṉ, jaháṉ kahíṉ bádsháh ká hukm aur us ká farmán pahuṉchá,
Yahúdíoṉ ko ḳhurramí aur shádmání, aur ‘íd aur ḳhushí ká din nasíb húá. Aur us
mulk ke logoṉ meṉ se bahutere Yahúdí ho gaye; kyúṉki Yahúdíoṉ ká ḳhauf un par
chhá gayá thá.
Ástar 9
: 12Aur bádsháh
ne Ástar malika se kahá, ki Yahúdíoṉ ne qasr i Sosan hí meṉ páṉch sau ádmíoṉ,
aur Hámán ke dasoṉ beṭoṉ ko qatl aur halák kiyá hai, to bádsháh ke báqí súboṉ
meṉ unhoṉ ne kyá kuchh na kiyá hogá? ab terá kyá suwál hai? wuh manzúr hogá;
aur terí âur kyá darḳhwást hai? wuh púrí kí jáegí. 13Ástar ne
kahá, Agar bádsháh ko manzúr ho, to un Yahúdíoṉ ko jo Sosan meṉ haiṉ ijázat
mile, ki áj ke farmán ke muwáfiq kal bhí kareṉ; aur Hámán ke dasoṉ beṭe súlí
par chaṛháe jáeṉ. 14So bádsháh ne hukm diyá ki
aisá hí kiyá jáe; aur Sosan meṉ us farmán ká i‘lán kiyá gayá; aur Hámán ke dasoṉ
beṭoṉ ko unhoṉ ne ṭáṉg diyá.
Paidáish 18
: 20Phir Ḳhudáwand ne farmáyá, Chúṉki Sadúm
aur ‘Amúrah ká shor baṛh gayá, aur un ká jurm niháyat sangín ho gayá hai; 21is liye maiṉ
ab jákar dekhúṉgá, ki kyá unhoṉ ne sarásar waisá hí kiyá hai jaisá shor mere
kán tak pahuṉchá hai; aur agar nahíṉ kiyá to maiṉ ma‘lúm kar lúṉgá. 22So wuh mard
waháṉ se muṛe aur Sadúm kí taraf chale; par Abrahám Ḳhudáwand ke huzúr khaṛá hí
rahá. 23Tab Abrahám ne nazdík
jákar kahá, Kyá tú nek ko bad ke sáth halák karegá? 24Sháyad us
shahr meṉ pachás rástbáz hoṉ: kyá tú use halák karegá, aur un pachás rástbázoṉ
kí ḳhátir, jo us meṉ hoṉ, us maqám ko na chhoṛegá? 25Aisá karná
tujh se ba‘íd hai, ki nek ko bad ke sáth már ḍále, aur nek bad ke barábar ho
jáe; yih tujh se ba‘íd hai. Kyá tamám dunyá ká insáf karnewálá insáf na
karegá? 26Aur Ḳhudáwand ne farmáyá, ki Agar mujhe
Sadúm meṉ, shahr ke andar, pachás rástbáz mileṉ, to maiṉ un kí ḳhátir us maqám
ko chhoṛ dúṉgá. 27Tab Abrahám ne jawáb diyá
aur kahá, ki Dekhiye, maiṉ ne Ḳhudáwand se bát karne kí jur’at kí, agarchi maiṉ
ḳhák aur rákh húṉ: 28sháyad pachás rástbázoṉ meṉ
páṉch kam hoṉ; kyá un páṉch kí kamí ke sabab se tú tamám shahr ko nest karegá?
Us ne kahá, Agar mujhe wahaṉ paiṉtálís mileṉ, to maiṉ use nest nahíṉ karúṉgá. 29Phir us ne
us se kahá, ki Sháyad waháṉ chálís mileṉ. Tab us ne kahá, ki Maiṉ un chálís kí ḳhátir
bhí yih nahíṉ karúṉgá. 30Phir us ne kahá, Ḳhudáwand
náráz na ho, to maiṉ kuchh âur ‘arz karúṉ. Sháyad waháṉ tís mileṉ. Us ne kahá,
Agar mujhe waháṉ tís bhí mileṉ, taubhí aisá nahíṉ karúṉgá. 31Phir us ne
kahá, Dekhiye! maiṉ ne Ḳhudáwand se bát karne kí jur’at kí: sháyad waháṉ bís
mileṉ. Us ne kahá, Maiṉ bís kí ḳhátir bhí use nest nahíṉ karúṉgá. 32Tab us ne
kahá, Ḳhudáwand náráz na ho, to maiṉ ek bár âur kuchh ‘arz karúṉ. Sháyad waháṉ
das mileṉ. Us ne kahá, Maiṉ das kí ḳhátir bhí use nest nahíṉ karúṉgá. 33Jab Ḳhudáwand Abrahám se báteṉ kar
chuká, to chalá gayá: aur Abrahám apne makán ko lauṭá.
Romíoṉ 5
: 9Pas jab ham
us ke ḳhún ke báʻis ab rástbáz ṭhahre, to us ke wasíle se gazab i Iláhí se
zarúr hí bacheṉge.
Titus 3
: 5to us ne
ham ko naját dí, magar rástbází ke kámoṉ ke sabab nahíṉ, jo ham ne ḳhud kiye,
balki apní rahmat ke mutábiq nayí paidáish ke gusl aur Rúhuʼl Quds ke hameṉ
nayá banáne ke wasíle se, 6jise us ne
hamáre Munjí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat ham par ifrát se názil kiyá; 7táki ham us
ke fazl se rástbáz ṭhahrkar, hamesha kí zindagí kí ummed ke mutábiq wáris baneṉ.
Paidáish 19
1Aur wuh donoṉ
firishte shám ko Sadúm meṉ áe; aur Lút Sadúm ke pháṭak par baiṭhá thá: aur Lút
un ko dekhkar un ke istiqbál ke liye uṭhá; aur zamín tak jhuká;
2Tab un mardoṉ ne
Lút se kahá, Kyá yaháṉ terá âur koí hai? dámád, aur apne beṭoṉ aur beṭiyoṉ aur
jo koí terá is shahr meṉ ho, sab ko is maqám se báhar nikál le já: 13kyúṉki ham is maqám ko
nest kareṉge, is liye ki un ká shor Ḳhudáwand ke
huzúr bahut baland húá hai, aur Ḳhudáwand ne
use nest karne ko hameṉ bhejá hai. 14Tab Lút ne báhar
jákar apne dámádoṉ se, jinhoṉ ne us kí beṭiyáṉ biyáhí thíṉ, báteṉ kíṉ aur kahá,
ki Uṭho, aur is maqám se niklo; kyúṉki Ḳhudáwand is
shahr ko nest karegá. Lekin wuh apne dámádoṉ kí nazar meṉ muzhik sá ma‘lúm
húá. 15Jab subh húí to firishtoṉ
ne Lút se jaldí karáí aur kahá, ki Uṭh, apní bíwí, aur apní donoṉ beṭiyoṉ ko jo
yaháṉ haiṉ le já, aisá na ho ki tú bhí is shahr kí badí meṉ giriftár hokar
halák ho jáe. 16Magar us ne derí lagáí, to
un mardoṉ ne us ká, aur us kí bíwí, aur us kí donoṉ beṭiyoṉ ká háth pakṛá;
kyúṉki Ḳhudáwand kí
mihrbání us par húí: aur use nikálkar shahr se báhar kar diyá. 17Aur yúṉ húá ki jab wuh un
ko báhar nikál láe, to us ne kahá, Apní ján bacháne ko bhág; na to píchhe
muṛkar dekhná; na kahíṉ maidán meṉ ṭhahrná. Us paháṛ ko chalá já, tá na ho ki
tú halák ho jáe. 18Aur Lút ne un se kahá, ki
Ai mere Ḳhudáwand, aisá na kar. 19Dekh, tú ne apne
ḳhádim par karam kí nazar kí hai, aur aisá baṛá fazl kiyá, ki merí ján bacháí;
maiṉ paháṛ tak já nahíṉ saktá, kahíṉ aisá na ho ki mujh par musíbat á paṛe aur
maiṉ mar jáúṉ. 20Dekh, yih shahr aisá
nazdík hai, ki waháṉ bhág saktá húṉ, aur yih chhoṭá bhí hai. Ijázat ho to maiṉ
waháṉ chalá jáúṉ. Wuh chhoṭá sá bhí hai, aur merí ján bach jáegí. 21Us ne us se kahá, ki Dekh,
maiṉ is bát meṉ bhí terá liház kartá húṉ ki is shahr ko, jis ká tú ne zikr
kiyá, g̣árat nahíṉ karúṉgá. 22Jaldí kar, aur
waháṉ chalá já, kyúṉki maiṉ kuchh nahíṉ kar saktá jab tak ki tú waháṉ pahuṉch
na jáe. Isí liye us shahr ká nám Zug̣r kahláyá. 23Aur zamín par dhúp nikal
chukí thí jab Lút Zug̣r meṉ dáḳhil húá. 24Tab Ḳhudáwand ne apní taraf se Sadúm
aur ‘Amúrah par gandhak aur ág ásmán se barsáí. 25Aur us ne un shahroṉ ko,
aur us sárí taráí ko, aur un shahroṉ ke sab rahnewáloṉ ko, aur sab kuchh jo
zamín se ugá thá, g̣árat kiyá. 26Magar us kí bíwí
ne us ke píchhe se muṛkar dekhá, aur wuh namak ká sutún ban gayí. 27Aur Abrahám subh sawere
uṭhkar us jagah gayá, jaháṉ wuh Ḳhudáwand ke
huzúr khaṛá húá thá: 28aur us ne Sadúm
aur ‘Amúrah, aur us taráí kí sárí zamín kí taraf nazar kí, aur kyá dekhtá hai,
ki zamín par se dhuwáṉ aisá uṭh rahá hai, jaise bhaṭṭí ká dhuwáṉ.
29Aur yúṉ húá ki jab
Ḳhudá ne us taráí ke shahroṉ ko nest kiyá, to Ḳhudá ne Abrahám ko yád kiyá, aur
un shahroṉ ko, jaháṉ Lút rahtá thá, g̣árat kart
'Kyúṉki maiṉ qurbání nahíṉ balki rahm pasand kartá húṉ,
aur Ḳhudáshinásí ko soḳhtaní qurbáníoṉ se ziyáda cháhtá húṉ. '
Húsí‘a 6:6
Filippíoṉ 4
: 4Ḳhudáwand
meṉ har waqt ḳhush raho; phir kahtá húṉ, ki ḳhush raho. 5Tumhárí
narmmizájí sab ádmíoṉ par záhir ho. Ḳhudáwand qaríb hai. 6Kisí bát kí
fikr na karo: balki har ek bát meṉ tumhárí darḳhwásteṉ, duʻá aur minnat ke
wasíle se, shukrguzárí ke sáth Ḳhudá ke sámne pesh kí jáeṉ; 7to Ḳhudá ká
itmínán, jo samajh se biʼlkull báhar hai, tumháre diloṉ aur ḳhayáloṉ ko Masíh
Yisúʻ meṉ mah-fúz rakkhegá.
Comments
Post a Comment