1 Patras 5
: 8Tum hoshyár aur bedár raho: tumhárá muḳhálif
Iblís garajnewále sher i babar kí tarah ḍhúṉḍhtá phirtá hai, ki kis ko pháṛ
kháe:
एक आत्मिक व्यक्ति खुदा के
कलाम और आत्मा के मार्गदर्शन के माध्यम से
शांतिपूर्ण आत्मिक जीवन जीने की कोशिश कर रहा
है, लेकिन अचानक उस पर
कल्पना या सपने के माध्यम से शैतानी हमला
होता है।
·
मानवीय स्वभाव (Human Nature):
·
मानव शरीर और मन
में प्राकृतिक इच्छाएँ होती हैं, जो सामान्य हैं।
लेकिन ये इच्छाएँ अनियंत्रित विचारों या बाहरी प्रभावों से सपनों में प्रकट हो
सकती हैं।
·
उदाहरण: यदि दिन
में अनुचित छवियाँ (जैसे फिल्में, सोशल मीडिया)
देखी जाएँ, तो ये मन में रह
सकती हैं और सपनों में दिखाई दे सकती हैं (भजन 101:3)।
·
· मन की स्थिति (Mental and
Emotional State):
·
तनाव, अकेलापन, या अनसुलझी
इच्छाएँ मन को प्रभावित कर सकती हैं। ये भावनाएँ सपनों के रूप में प्रकट हो सकती
हैं।
Amsál 4
·
: 23Apne dil kí ḳhúb hifázat
kar;
·
Kyúṉki zindagí ká
sarchashma wuhí hai.
· आध्यात्मिक हमला (Spiritual
Attack):
·
शैतान
विश्वासियों को कमजोर करने के लिए प्रलोभन या भ्रम पैदा कर सकता है। jismani khawahish se mutlaq khawab
जो मन को भटकाने
की कोशिश करते हैं
·
Magar karan kyu
·
Isliye nahi ki
aap badan ke taur par apni karniye ke karan apne ache kamon ke sabab se paak
hain
·
Is liye ki apka
jo badan hai Wuh khuda ka maqds hai
·
Usne apne bête
ke paak khun se kharida hai
·
·
Humara badan
humara nahi
·
Shaitan ye
samjh kar aap par hamla nahi karta ki aap pehle adam ki tarah
·
Jo pichla
adam tha usmen se ho
·
Shaitan ab
aap ye samjhkar hamla atck karta hai ki
aap
·
Ruh l quds
ka maqdas ho
·
Kyu ki ab
purani shrisht men se nahi hai
·
Jo pichle
adam men paida ki gait thi
·
Or nahi hum
jsimani hai
·
Romíoṉ 6:6 (URDR55)
Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth
is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí
gulámí meṉ na raheṉ.
Yúhanná 2
: 19Yisúʻ ne jawáb meṉ un se
kahá, ki Is maqdis ko ḍhá do, to maiṉ use tín din meṉ khaṛá kar dúṉgá.
·
'Tum apne báp Iblís se ho, aur apne báp kí ḳhwáhishoṉ ko púrá
karná cháhte ho. Wuh shurúʻ hí se ḳhúní hai, aur sachcháí par qáim nahíṉ rahá,
kyúṉki us meṉ sachcháí hai nahíṉ. Jab wuh jhúṭh boltá hai, to apní hí si kahtá
hai; kyúṉki wuh jhúṭhá hai, balki jhúṭh ká báp hai. '
·
·
Yúhanná 8:44
·
Kulussíoṉ 2
: 8Ḳhabardár, koí shaḳhs tum
ko us failsúfí aur láhásil fareb se shikár na kar le, jo insánoṉ kí riwáyat aur
dunyawí ibtidáí bátoṉ ke muwáfiq haiṉ, na Masíh ke muwáfiq: 9kyúṉki
Ulúhíyat kí sárí maʻmúrí usí meṉ mujassam hokar sukúnat kartí hai, 10aur tum usí
meṉ maʻmúr ho gaye ho, jo sárí hukúmat aur iḳhtiyár ká sir hai: 11usí meṉ
tumhárá aisá ḳhatna húá, jo háth se nahíṉ hotá, yaʻní Masíh ká ḳhatna, jis se
jismání badan utárá játá hai; 12aur usí ke
sáth baptisma meṉ dafn húe, aur is meṉ Ḳhudá kí quwwat par ímán lákar, jis ne
use murdoṉ meṉ se jiláyá, us ke sáth jí bhí uṭhe. 13Aur us ne
tumheṉ bhí, jo apne qusúroṉ aur jism kí námakhtúní ke sabab se murda the, us ke
sáth zinda kiyá, aur hamáre sab qusúr muʻáf kiye; 14aur hukmoṉ
kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko
salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá diyá: 15us ne
hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se utárkar un ká barmalá tamásha banáyá,
aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká shádiyána bajáyá.
Galatíoṉ 5
: 24Aur jo Masíh Yisúʻ ke haiṉ,
unhoṉ ne jism ko us kí ragbatoṉ aur ḳhwáhishoṉ samet salíb par kheṉch diyá hai.
: 15aur wuh is liye sab ke
wáste múá, ki jo jíte haiṉ, wuh áge ko apne liye na jíeṉ, balki us ke liye jo
un ke wáste múá, aur phir jí uṭhá. 16Pas ab se
ham kisí ko jism kí haisíyat se na pahcháneṉge; háṉ, agarchi Masíh ko bhí jism
kí haisíyat se jáná thá, magar ab se nahíṉ jáneṉge. 17Is liye
agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai: purání chízeṉ játí rahíṉ;
dekho, wuh nayí ho gayíṉ.
1 Kurinthíoṉ 3
: 16Kyá tum nahíṉ jánte, ki
tum Ḳhudá ká maqdis ho, aur Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai? 17Agar koí Ḳhudá
ke maqdis ko barbád karegá, Ḳhudá us ko barbád karegá; kyúṉki Ḳhudá ká maqdis
pák hai, aur wuh tum ho.
18Harámkári
se bhágo. Jitne gunáh ádmí kartá hai, wuh badan se báhar haiṉ; magar harámkár
apne badan ká bhí gunahgár hai.
Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká maqdis hai,
jo tum meṉ basá húá hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai?
aur tum
apne nahíṉ; 20kyúṉki qímat se ḳharíde
gaye ho: pas apne badan se Ḳhudá ká jalál záhir karo.
9Kyá tum nahín jánte, ki
badkár Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris na hoṉge? Fareb na kháo; na harámkár Ḳhudá
kí bádsháhat ke wáris hoṉge, na butparast, na zinákár, na ʻaiyásh, na lauṉdebáz, 10na chor, na
lálchí, na sharábí, na gáliyáṉ baknewále, na zálim. 11Aur baʻz
tum meṉ aise hí the bhí; magar tum Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke nám se, aur hamáre Ḳhudá
kí Rúh se dhul gaye, aur pák húe, aur rástbáz bhí ṭhahre.
13Kháne peṭ
ke liye haiṉ, aur peṭ khánoṉ ke liye: lekin Ḳhudá us ko aur in ko nest karegá.
Magar badan harámkárí ke liye nahíṉ, balki Ḳhudáwand ke liye hai, aur Ḳhudáwand
badan ke liye: 14aur Ḳhudá ne Ḳhudáwand ko
bhí jiláyá, aur ham ko bhí apní qudrat se jiláegá. 15Kyá tum
nahíṉ jánte, ki tumháre badan Masíh ke aʻzá haiṉ? pas kyá maiṉ Masíh ke aʻzá
lekár kasbí ke aʻzá banáúṉ? Hargiz nahíṉ! 16Kyá nahíṉ
jánte, ki jo koí kasbí se suhbat kartá hai, wuh us ke sáth ek tan hotá hai? kyúṉki
wuh farmátá hai, ki Wuh donoṉ ek tan hoṉge. 17Aur jo Ḳhudáwand
kí suhbat meṉ rahtá hai, wuh us ke sáth ek rúh hotá hai. 18Harámkári
se bhágo. Jitne gunáh ádmí kartá hai, wuh badan se báhar haiṉ; magar harámkár
apne badan ká bhí gunahgár hai.
1 Thissaluníkíoṉ 4:3 (URDR55)
Chunáṉchi Ḳhudá kí marzí yih hai, ki tum pák bano, yaʻní
harámkárí se bache raho;
जब कोई व्यक्ति परमेश्वर के वचन के अनुसार आत्मा में
चलने की कोशिश करता है, तब भी bure or jismani icha ki
jigayasa se bhare sapne ya buri kalpna
ka shikar ho jata hai
शैतान प्रलोभन के माध्यम से पाप की ओर ले जाने की
कोशिश करता है, taki jo badan gunah ke sabab se murda hai wuh jism buri icha or kalpnayon
ke sabab se zinda ho jaye
Galatíoṉ 5
: 17Kyúṉki jism Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai, aur Rúh
jism ke ḳhiláf; aur yih ek dúsre ke muḳhálif haiṉ; táki jo tum cháhte ho, wuh
na karo. 18Aur agar tum Rúh kí hidáyat se chalte ho, to
sharíʻat ke mátaht nahíṉ rahe. 19Ab jism ke kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí, nápákí,
shahwatparastí, 20butparastí, jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad,
gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz, nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind
Yaʻqúb 1:15 (URDR55)
Phir ḳhwáhish hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab
baṛh chuká to maut paidá kartá hai.
: Gunáh aisá bhí hai, jis ká natíja maut hai: i
Romíoṉ 6:23 (URDR55)
Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish
hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.
1 Yúhanná 2:16 (URDR55)
Kyúṉki jo kuchh dunyá meṉ hai, yaʻní jism kí ḳhwáhish, aur
áṉkhoṉ kí ḳhwáhish, aur zindagí kí sheḳhí, wuh Báp kí taraf se nahíṉ, balki
dunyá kí taraf se hai.
·
·
(इफिसियों 6:12)।
·
WUH CHAHTA HAI
KI HUMARE ANDAR DOSHI PAN KI BHAWANA UTPAN HO
·
OR HUM ATMIC
JEEVAN PAR SHAK KAREN JISSE HUMARA VISHWASH KAMZOOR HO JAYE OR HUM DAG MAGA
JAYEN VIHSWASH MEN
Romíoṉ 6:14 (URDR55)
Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum
sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.
·
Mukáshafa 12
: 9Aur wuh baṛá
azhdahá, yaʻní wuhí puráná sáṉp jo Iblís aur Shaitán kahlátá hai, aur sáre
jahán ko gumráh kar detá hai,
Mukáshafa 12
: kyúṉki
hamáre bháiyoṉ par ilzám lagánewálá, jo rát din hamáre Ḳhudá ke áge un par
ilzám lagáyá kartá hai, girá diyá gayá. 1
1 Patras 2:11 (URDR55)
Ai piyáro, maiṉ tumhárí minnat kartá húṉ, kí tum apne áp ko
pardesí aur musáfir jánkar un jismání ḳhwáhishoṉ se parhez karo, jo rúh se
laṛáí rakhtí haiṉ:
·
Romíoṉ 8
- : 14Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se
chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ. 15Kyúṉki tum ko gulámí
kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh
milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ. 16Rúh ḳhud hamárí rúh
ke sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ. 17Aur agar farzand haiṉ,
to wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás; basharte
ki ham us ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ.
Shaitan nahi chahta ki hum bête ke level par qayim
rahen
Isliye wuh bure spano ke dwara buri kalpnayon ke
dwara koshish karta hai
Ki humare andar wuh srirak abhilashayen dubara se
paida ho
Taki wuh humen bête ke sathan se kahrij karwaye
Wuh ye chahta hai ki hum bhi unme se ek hun
Galatíoṉ 4
: kyúṉki
lauṉḍí ká beṭá ázád ke beṭe ke sáth hargiz wáris na hogá. 31Pas, ai
bháiyo, ham lauṉḍí ke farzand nahíṉ, balki ázád ke haiṉ.
1 Kurinthíoṉ 15
: 50Ai bháiyo, merá matlab yih
hai, ki gosht aur ḳhún Ḳhudá kí bádsháhat ká wáris nahíṉ ho saktá, aur na faná
baqá kí wáris ho saktí hai
Romíoṉ 8:6 (URDR55)
Aur jismání níyat maut hai; magar rúhání níyat zindagí aur
itmínán hai:
Romíoṉ 6:23 (URDR55)
Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish
hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.
Romíoṉ 8:5 (URDR55)
Kyúṉki jo jismání haiṉ, wuh jismání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte
haiṉ; lekin jo rúhání haiṉ, wuh rúhání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ.
Romíoṉ 8:13 (URDR55)
Kyúṉki agar tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr
maroge. Aur agar rúh se badan ke kámoṉ ko nest o nábúd karoge, to jíte rahoge.
Galatíoṉ 5:16 (URDR55)
Magar maiṉ yih kahtá húṉ, ki Rúh ke muwáfiq chalo, to jism kí
ḳhwáhish ko hargiz púrá na karoge.
Romíoṉ 8:10 (URDR55)
Aur agar Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda
hai; magar rúh rástbází ke sabab se zinda hai.
Galatíoṉ 5:1 (URDR55)
Masíh ne hameṉ ázád rahne ke liye ázád kiyá hai. Pas qáim raho,
aur dobára gulámí ke júe meṉ na juto.
: Jo koí gunáh kartá hai, gunáh ká gulám hai.
Badan napak hune se pehle shaitan sabse pehle
Dili icha or kalpnaon par attack karta hai
Koi ki badan bigadbne se pehle shaitan dili
niyat or irade bigadta hai
Khayal bigadata hai
Soche bigadta hai
Wuh sabse pehle mently or heartly desires ke
taur par
Attack karta hai
Paidáish 6
: 5Aur Ḳhudáwand ne dekhá ki zamín par
insán kí badí bahut baṛh gayí, aur us ke dil ke tasawwur aur ḳhayál sadá bure
hí hote haiṉ.
Titus 1:15 (URDR55)
Pák logoṉ ke liye sab chízeṉ pák haiṉ; magar gunáhálúda aur
beímán logoṉ ke líye kuchh bhí pák nahíṉ balki un kí ʻaql aur dil donoṉ
gunáhálúda haiṉ.
Romíoṉ 7:5 (URDR55)
Kyúṉki jab ham jismání the, to gunáh kí ragbateṉ, jo sharíʻat ke
báʻis paidá hotí thíṉ, maut ká phal paidá karne ke liye hamáre aʻzá meṉ tásír
kartí thíṉ.
2 Kurinthíoṉ 10
·
: 4is liye ki hamári laṛáí ke
hathyár jismání nahíṉ, balki Ḳhudá ke nazdík qilʻoṉ ke ḍhá dene ke qábil haiṉ; 5chunáṉchi
ham tasawwurát, aur har ek úṉchí chíz ko jo Ḳhudá kí pahchán ke barḳhiláf sir uṭháe
húe hai, ḍhá dete haiṉ, aur har ek ḳhayál ko qáid karke Masíh ká farmánbardár
baná dete haiṉ;
Romíoṉ 6:12 (URDR55)
Pas gunáh tumháre fání badan meṉ bádsháhí na kare, ki tum us kí
ḳhwáhishoṉ ke tábiʻ raho.
·
Romíoṉ 6:13 (URDR55)
Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na
kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo,
aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo.
·
Kulussíoṉ 3
1Pas jab tum Masíh ke sáth jiláe gaye, to
ʻálam i bálá kí chízoṉ kí talásh meṉ raho, jaháṉ Masíh maujúd hai, aur Ḳhudá kí
dahiní taraf baiṭhá hai. 2ʻÁlam i bálá kí chízoṉ ke ḳhayál
meṉ raho, na zamín par kí chízoṉ ke; 3kyúṉ ki tum mar gaye, aur
tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí zindagí
hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye jáoge.
5Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín
par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur
lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá
ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum bhí, jis waqt un
bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte the. 8Lekin ab tum bhí in sab ko,
yaʻní gussa, aur qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná chhoṛ
do: 9ek dúsre se jhúṭh na bolo, kyúṉki tum ne
purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí insáníyat ko pahin
liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí
játí hai: 11waháṉ na Yúnáni rahá, na Yahúdí, na ḳhatna,
na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám, na ázád: sirf Masíh sab kuchh aur
sab meṉ hai.
12Pas Ḳhudá ke barguzídoṉ kí tarah, jo pák
aur ʻazíz haiṉ, dardmandí, aur mihrbání, aur firotaní, aur hilm aur tahammul ká
libás pahino;
Ifisíoṉ 6
·
: 10G̣araz, Ḳhudáwand
meṉ aur us kí qudrat ké zor meṉ mazbút bano. 11Ḳhudá ke
sab hathyár báṉdh lo, táki tum Iblís ke mansúboṉ ke muqábale meṉ qáim rah
sako; 12kyúṉki hameṉ ḳhún aur
gosht se kushtí nahíṉ karní hai, balki hukúmatwáloṉ aur iḳhtiyárwáloṉ, aur is
dunyá kí táríkí ke hákimoṉ aur sharárat kí un rúhání faujoṉ se, jo ásmání
maqámoṉ meṉ haiṉ. 13Is wáste tum Ḳhudá ke sáre
hathyár báṉdh lo, táki bure din meṉ muqábalá kar sako, aur sab kámoṉ ko anjám
dekar qáim rah sako. 14Pas sachcháí se apní kamar
kaskar, aur rástbází ká baktar lagákar, 15aur páṉwoṉ
meṉ sulh kí ḳhushḳhabarí kí taiyárí ke júte pahinkar, 16aur un sab
ke sáth ímán kí sipar lagákar, qáim raho, jis se tum us sharír ke sáre jalte
húe tíroṉ ko bujhá sako; 17aur naját
ká ḳhod aur Rúh kí talwár, jo Ḳhudá ká kalám hai, le lo; 18aur har
waqt aur har tarah se Rúh meṉ duʻá aur minnat karte raho;
1 Patras 5
: 6Pas Ḳhudá ke qawí háth ke
níche firotaní se raho, táki wuh tumheṉ waqt par sarbaland kare; 7aur apní
sarí fikr usí par ḍál do, kyúṉki us ko tumhárá ḳhayál hai. 8Tum hoshyár
aur bedár raho: tumhárá muḳhálif Iblís garajnewále sher i babar kí tarah ḍhúṉḍhtá
phirtá hai, ki kis ko pháṛ kháe: 9tum ímán meṉ
mazbút hokar, aur yih jánkar us ká muqábala karo, ki tumháre bháí jo dunyá meṉ
haiṉ, aise hí dukh bhar rahe haiṉ. 10Ab Ḳhudá,
jo har tarah ke fazl ká chashma hai, jís ne tum ko Masíh meṉ apne abadí jalál
ke líye buláyá, tumháre thoṛí muddat tak dukh uṭháne ke baʻd, áp hí tumheṉ
kámil, aur qáim, aur mazbút karegá.
Galatíoṉ 5
- : 16Magar
maiṉ yih kahtá húṉ, ki Rúh ke muwáfiq chalo, to jism kí ḳhwáhish ko
hargiz púrá na karoge. 17Kyúṉki
jism Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai, aur Rúh jism ke ḳhiláf; aur yih ek
dúsre ke muḳhálif haiṉ; táki jo tum cháhte ho, wuh na karo.
Yaʻqúb 1
- :
13Jab koí ázmáyá jáe, to yih na kahe, ki merí
ázmáish Ḳhudá kí taraf se hotí hai; kyúṉki na to Ḳhudá badí se ázmáyá já
saktá hai, aur na wuh kisí ko ázmátá hai: 14háṉ,
har shaḳhs apní hí ḳhwáhishoṉ meṉ khiṉchkar aur phaṉskar ázmáyá játá
hai. 15Phir ḳhwáhish hámila hokar gunáh ko jantí
hai; aur gunáh jab baṛh chuká to maut paidá kartá hai.
· Romíoṉ 12
1Pas, ai bháiyo, maiṉ Ḳhudá kí rahmateṉ yád
dilákar, tum se iltimás kartá húṉ, ki apne badan aisí qurbání hone ke liye nazr
karo, jo zinda, aur pák, aur Ḳhudá ko pasandída ho; yihí tumhárí maʻqúl ʻibádat
hai. 2Aur is jahán ke hamshakl na bano, balki
ʻaql nayí ho jáne se apní súrat badalte jáo; táki Ḳhudá kí nek aur pasandída
aur kámi! marzí tajribe se maʻlúm karte raho.
·
·
Yaʻqúb 4
·
: Pas Ḳhudá
ke tábiʻ ho jáo; aur Iblís ká muqábala karo, to wuh tum se bhág jáegá. 8Ḳhudá ke
nazdík jáo, to wuh tumháre nazdík áegá.
· 2 तीमुथियुस 2:22 2Jawání kí ḳhwáhishoṉ
se bhág, aur jo pák dil ke sáth Ḳhudáwand se duʻá máṉgte haiṉ, un ke sáth
rástbází, aur ímán, aur mahabbat, aur sulh ká tálib ho. 23Lekin
bewuqúfí aur nádání kí hujjatoṉ se kanára kar, kyúṉki tú jántá hai ki un se
jhagṛe paidá hote haiṉ.
·
Paidáish 39
: Aur Yúsuf
ḳhúbsúrat aur hasín thá. 7In bátoṉ ke
ba‘d yúṉ húá, ki us ke áqá kí bíwí kí áṉkh Yúsuf par lagí, aur us ne us se
kahá, ki Mere sáth hambistar ho. 8Lekin us ne
inkár kiyá, aur apne áqá kí bíwí se kahá, ki Dekh, mere áqá ko ḳhabar bhí nahíṉ,
ki is ghar meṉ mere pás kyá kyá hai, aur us ne apná sab kuchh mere háth meṉ
chhoṛ diyá hai. 9Is ghar meṉ mujh se baṛá
koí nahíṉ: aur us ne, tere siwá, koí chíz mujh se báz nahíṉ rakkhí, kyúṉki tú
us kí bíwí hai; so bhalá, maiṉ kyúṉ aisí baṛí badí karúṉ, aur Ḳhudá ká gunahgár
banúṉ? 10Aur wuh harchand roz Yúsuf
ke sir hotí rahí, par us ne us kí bát na mání ki us se hambistar hone ke liye
us ke sáth leṭe. 11Aur ek din yúṉ húá, ki wuh
apná kám karne ke liye ghar meṉ gayá; aur ghar ke ádmíoṉ meṉ se koí bhí andar
na thá. 12Tab us ‘aurat ne us ká
pairáhan pakaṛkar kahá, ki Mere sáth hambistar ho. Wuh apná pairáhan us ke háth
meṉ chhoṛkar bhágá, aur báhar nikal gayá. 13Jab us ne
dekhá, ki wuh apná pairáhan us ke háth meṉ chhoṛkar bhág gayá, 14to us ne
apne ghar ke ádmíoṉ ko bulákar un se kahá, ki Dekho, wuh ek ‘Ibrí ko ham se
mazzáq karne ke liye hamáre pás le áyá hai. Yih mujh se hambistar hone ko andar
ghus áyá, aur maiṉ baland áwáz se chilláne lagí. 15Jab us ne
dekhá, ki maiṉ zor zor se chillá rahí húṉ, to apná pairáhan mere pás chhoṛkar
bhágá, aur báhar nikal gayá. 16Aur wuh us
ká pairáhan us ke áqá ke ghar lauṭne tak apne pás rakkhe rahí. 17Tab us ne
yih báteṉ us se kahíṉ, ki Yih ‘Ibrí g̣ulám, jo tú láyá hai, mere pás andar ghus
áyá, ki mujh se mazzáq kare. 18Jab maiṉ
zor zor se chilláne lagí, to wuh apná pairáhan mere hí pás chhoṛkar báhar bhág
gayá. 19Jab us ke áqá ne apní bíwí
kí wuh báteṉ, jo us ne us se kahíṉ, sun líṉ, ki Tere gulám ne mujh se aisá aisá
kiyá, to us ká g̣azab bhaṛká. 20Aur Yúsuf
ke áqá ne us ko lekar qaidḳháne meṉ, jaháṉ bádsháh ke qaidí band the, ḍál diyá;
so wuh waháṉ qaidḳhane meṉ rahá.
21Lekin Ḳhudáwand Yúsuf ke sáth thá; us ne
us par rahm kiyá, aur qaidḳháne ke dárog̣e kí nazar meṉ use maqbúl banáyá
23Aur qaidḳháne ká dárog̣a
sab kámoṉ kí taraf se, jo us ke háth meṉ the, befikr thá, is liye ki Ḳhudáwand us ke sáth thá; aur jo kuchh
wuh kartá Ḳhudáwand us
meṉ iqbálmandí baḳhshtá thá.
ʻIbrá Níoṉ 6
· : . 4Kyúṉki jin
logoṉ ke dil ek bár raushan ho gaye, aur wuh ásmání baḳhshish ká maza chakh
chuke, aur Rúhuʼl Quds meṉ sharík ho gaye, 5aur Ḳhudá
ke ʻumda kalám, aur áyanda jahán kí quwwatoṉ ká záiqa le chuke, 6agar wuh
bargashta ho jáeṉ, to unheṉ tauba ke liye phir nayá banáná námumkin hai, is
liye ki wuh Ḳhudá ke Beṭe ko apní taraf se dobára salíb dekar ʻalániya zalíl
karte haiṉ.
Comments
Post a Comment