IS PURE VISHE KO
SUNNE KE BAAD AAP APNE VICHAR COMMENT BOX MEN JAROOR SANJHA KAREN
OR APNA SAJAAV BHI DE SAKTEN HAIN
TO SANSARIK VISHWASH
OR ATMIC VISHWASH ANTAR HAI
WUH ANTAR YE HAI KI SANSAAR HO JANE PAR VIHSWASH KARTA HAI
OR ATMIC VISHWASH MEN
BOLA JATA TO HOTA HAI
SANSAAR MEN KABHI
MOBILE SHABAD BHI NAHI HOGA MAGAR
AJ HUMARE PAAS HAI TO
HUM KEHTE HAIN KE YE MOBILE HAI
MAGAR JISKO ISNE BNAYA USNE ISE PEHLE SE HI DEKH LIYA THA
MAGAR KAHA APNE VISHWASH MEN VISHWASH KAIESE DEKHA
APNI KALPNA MEN VISION MEN
HUMARE JO JISM MEN ANKH HAI
USKI EK LIMIT HAI HUM UTNA HI VISHWASH KARTE HAI JITNI ISKI
DEKHNE KIS SHAMTA HAI
OR ISI TARAH SUNNE KE KAN HAI
JO JISMANI UNKI BHI EL JIMANI JISMANI LIMIT HAI
MAGAR ATMIC DRIHSTI KI ATMICH KANO KI
KOI LIMIT NAHI JITNA BHASA VISION HAI KALPNA HAI
UTNA HI DOOR OR BHADA DEKH SAKTEN HAIN
उत्पत्ति 1
: 1आदि में परमेश्वर ने आकाश और पृथ्वी की सृष्टि की। 2पृथ्वी बेडौल और सुनसान पड़ी थी, और गहरे जल के ऊपर अन्धियारा था;
AB JISMANI ANKHO KE MUTABIK ANDHERA HAI
3जब परमेश्वर ने कहा, “उजियाला हो,” तो उजियाला हो गया।
'और परमेश्वर ने उजियाले
को देखा कि अच्छा है; और परमेश्वर ने उजियाले
को अन्धियारे से अलग किया। '
उत्पत्ति 1:4
उत्पत्ति 3
: 6अत: जब स्त्री ने देखा कि उस वृक्ष का फल खाने के लिए अच्छा,
YAHA PAR KYA HUA AURAT NE DEKHA OR USKI KALPNA KI
KYU USKO WUH DEKHNE MEN USKE MAN KO BHAYA
YANI LUBAYA LALSA YANI DEKHNE SE USKE MAN MEN
KHANE KI LALSHA JAGI
और देखने में मनभाऊ, और बुद्धि देने के लिये चाहनेयोग्य भी है; तब उसने उसमें से तोड़कर खाया, और अपने पति को भी दिया, और उसने भी खाया।
Zabúr 34
: 8Ázmákar dekho
ki Ḳhudáwand kaisá
mihrbán hai:
Mubárak hai wuh ádmí jo us par tawakkul kartá hai.
1 Yúhanná 4
1Ai ʻazízo, har ek
rúh ká yaqín na karo, balki rúhoṉ ko ázmáo, ki wuh Ḳhudá kí taraf se haiṉ yá
nahíṉ;
AB VISHWASH KI ATMA HAI
OR DUNIYA KI RUH HAI
2 Kurinthíoṉ 4
: 13Aur chúṉki
ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur
isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ; 1
1 Kurinthíoṉ 2
: 7balki ham Ḳhudá kí
wuh poshída hikmat bhed ke taur par bayán karte haiṉ, jo Ḳhudá ne jahán ke
shurúʻ se peshtar hamáre jalál ke wáste muqarrar kí thí: 8jise is jahán ke sardároṉ
meṉ se kisí ne na samjhá; kyúṉki agar samajhte, to jalál ke Ḳhudáwand ko salíb
na dete: 9balki jaisá likhá hai,
waisá hí húá, ki
Jo chízeṉ na áṉkhoṉ ne dekhíṉ, na kánoṉ ne suníṉ,
Na ádmí ke dil meṉ áíṉ,
Wuh sab Ḳhudá ne apne mahabbat rakhnewáloṉ ke liye taiyár
kar díṉ
10Lekin ham par Ḳhudá ne un
ko Rúh ke wasíle se záhir kiyá: kyúṉki Rúh sárí báteṉ, balki Ḳhudá kí tah kí
báteṉ bhí daryáft kar letí hai. 11Kyúṉki insánoṉ meṉ
se kaun kisí insán kí báteṉ jántá hai, siwá insán kí apní rúh ke jo us meṉ hai?
Isí tarah Ḳhudá kí Rúh ke siwá, koí Ḳhudá kí báteṉ nahíṉ jántá. 12Magar ham ne na dunyá kí
rúh, balki wuh rúh páí, jo Ḳhudá kí taraf se hai; táki un bátoṉ ko jáneṉ, jo
Ḳhudá ne hameṉ ʻináyat kí haiṉ. 13Aur ham ín bátoṉ
ko un alfáz meṉ nahíṉ bayán karte, jo insání hikmat ne ham ko sikháe hoṉ, balki
un alfáz meṉ, jo Rúh ne sikháe haiṉ; aur rúhání bátoṉ ká rúhání bátoṉ se
muqábala karte haiṉ. 14Magar nafsání ádmí
Ḳhudá kí Rúh kí báteṉ qubúl nahíṉ kartá, kyúṉki wuh us ke nazdík bewuqúfí kí
báteṉ haiṉ; aur na wuh unheṉ samajh saktá hai, kyúṉki wuh rúhání taur par
parkhí játí haiṉ. 15Lekin rúhání shaḳhs sab
bátoṉ ko parakh letá hai, magar ḳhud kisí se parkhá nahíṉ játá. 16Ḳhudáwand kí ʻaql ko kis
ne jáná, ki us ko taʻlím de sake? magar ham meṉ Masíh kí ʻaql hai.
1 Yúhanná 4
: 5Wuh dunyá
se haiṉ, is wáste dunyá kí sí kahte haiṉ, aur dunyá un kí suntí hai. 6Ham Ḳhudá
se haiṉ: jo Ḳhudá ko jántá hai, wuh hamárí suntá hai; jo Ḳhudá se nahíṉ, wuh
hamárí nahíṉ suntá. Isí se ham haqq kí rúh aur gumráhí kí rúh ko pahchán lete
haiṉ.
IMAN KI RUH KE
BEGAIR HUM KHUDA KI YOJNA KO NAHI JAAAN SAKTE
OR IMAN KI MAISH YISU KA KALA,M SUNNE SE PAIDA
HOTI HAI
OR YE KAAM KARTI HAI VISION KE DWARA OR SAPNO KE
DWARA
YAN I KHUDA BAAT KARTEN HAIN JO KALPNA OR SAPNE
KE DWARA
SAPNO OR KALPNA MEN TASVEERE HOTI HAI OR TASVEERE EK DRISH YANI DRISHTAN HOTA HAI
OR USKO ATMA KE VASILE HI HUM SAMJH SAKTEN HAIN
ATMIC YANI RUHANI NIYAT
KI MADAD SE RUH L QUDS KI MADAD SE
Yúhanná 14
: 26Lekin
Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ
sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá.
AGAR MASIH MEN HO TO
KABHI BHI APNE VISION YANI KALPNA OR SAPNO KO IGNOR YANI NAZARANDAZ NA KARE OR HALKE MEN MAT LE YANI MAMULI BAAT MAT
SAMJHEN
Aiyúb 33
: 14Kyúṉki Ḳhudá ek bár boltá hai,
Balki do bár, ḳhwáh insán is ká ḳhayál na kare.
15Ḳhwáb meṉ, rát kí
royá meṉ,
Jab logoṉ ko gahrí níṉd átí hai,
Aur bistar par sote waqt;
16Tab wuh logoṉ ke
kán kholtá hai,
Aur un kí ta‘lím par muhr lagátá hai.
ʻIbrá Níoṉ 11
1Ab ímán ummed kí
húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai.
Matí 24
: 37Jaisá Núh
ke dinoṉ meṉ húá, waisá hí Ibn i Ádam ke áne ke waqt hogá. 38Kyúṉki jis
tarah túfán se pahle ke dinoṉ meṉ log kháte píte the, aur un meṉ biyáh shádí
hotí thí, us din tak, ki Núh kishtí meṉ dáḳhil húá, 39aur jab tak
túfán ákar un sab ko bahá na le gayá, un ko ḳhabar na húí,
ʻIbrá Níoṉ 11
: 7Ímán hí ke sabab se Núh ne
un chízoṉ kí bábat, jo us waqt tak nazar na átí thíṉ, hidáyat pákar, Ḳhudá ke ḳhauf
se apne gharáne ke bacháo ke liye kishtí banáí; jis se us ne dunyá ko mujrim ṭhahráyá,
aur us rástbází ká wáris húá, jo ímán se hai.
IMAN KI RUH SE NUH NE WUH SAB PEHLE SE APNE VISION MEN DEKH
CHUKA THA TO USNE
KISHTI BNAI .. OR JINKE ANDAR DUNIYAKI RUH THI WUH LOG KYA
KAR RAHE THE KHA PI RAHE THE
OR BIYAH SHADIYA HO RAHI THI ,, BILKOL HI UNKE DIL DIMAG MEN NA THA KI HUMARE SATH
KYA HUNE WALA HAI
Aʻmál 23
: 8Kyúṉki
Sadúqí to kahte haiṉ, ki na qiyámat hai, na koí firishta, na rúh; magar Farísí
donoṉ ká iqrár karte haiṉ
ABH WUH
AZIZ BHAI BEHAN BAZURAG JO SANSAAR MEN HAI OR MASIH YISU NAAM PAR
IMAN NAHI LATE..,,
ISMEN APKA KOI DOSH NAHI..,
HUM KHUD NAHI JATE
BULLAYE JATEN HAIN
JIS TARAH SHADI KE MAUQA PAR
KHAAS TAUR PAR BULAHAT HUTI HAI
Yúhanná 3
: Insán kuchh nahíṉ pá saktá, jab tak us ko
ásmán se na diyá jáe.
\1 Kurinthíoṉ 12
: 3Pas maiṉ
tumheṉ jatátá húṉ, ki jo koí Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se boltá hai, wuh nahíṉ
kahtá, ki Yisúʻ malʻún hai; aur na koí Rúhuʼl Quds ke bagair kah saktá hai, ki
Yisúʻ Ḳhudáwand hai.
Yúhanná 6
: 3 Yisúʻ ne
jawáb meṉ un se kahá, ki Ápas meṉ na buṛbuṛáo. 44Koí mere
pás nahíṉ á saktá, jab tak Báp, jis ne mujhe bhejá hai, use kheṉch na le; aur
maiṉ use áḳhirí din phir zinda karúṉgá. 45Nabíoṉ ke
sahífoṉ meṉ yih likhá hai, ki Wuh sab Ḳhudá kí taraf se taʻlím páe húe hoṉge.
Jis kisí ne Báp se suná aur sikhá hai, wuh mere pás átá hai.
Yúhanná 14
: 29Aur ab maiṉ
ne tum se us ke hone se pahle kah diyá hai, táki jab ho jáe, to tum yaqín karo
Yúhanná 13
: 19Ab maiṉ us
ke hone se pahle tum ko jatáe detá húṉ, táki jab ho jáe, to tum ímán láo ki maiṉ
wuhí húṉ.
Yúhanná 20
: 24Magar un bárah meṉ se ek shaḳhs, yaʻní Tomá, jise Tauam kahte haiṉ, Yisúʻ
ke áne ke waqt un ke sáth na thá. 25Pas báqí shágird
us se kahne lage, ki Ham ne Ḳhudáwand ko dekhá hai. Magar us ne un se kahá, ki
Jab tak maiṉ us ke háthoṉ meṉ meḳhoṉ ke súráḳh na dekh lúṉ, aur meḳhoṉ ke
súráḳhoṉ meṉ apní unglí na ḍál lúṉ, aur apná háth us kí paslí meṉ na ḍál lúṉ,
hargiz yaqín na karúṉgá.
26Áṭh roz ke baʻd,
jab us ke shágird phir andar the, aur Tomá un ke sáth thá, aur darwáze band
the, to Yisúʻ áyá, aur bích meṉ khaṛá hokar bolá; Tumhárí salámatí ho. 27Phir us ne Tomá se kahá,
ki Apní unglí pás lákar mere háthoṉ ko dekh, aur apná háth pás lákar merí paslí
meṉ ḍál, aur beiʻtiqád na ho, balki iʻtiqád rakh. 28Tomá ne jawáb meṉ us se
kahá; Ai mere Ḳhudáwand! Ai mere Ḳhudá! 29Yisúʻ ne us se
kahá; Tú to mujhe dekhkar ímán láyá hai; mubárak wuh haiṉ, jo bagair dekhe ímán
láe.
Lúqá 24
: 13Aur dekho,
usí din un meṉ se do ádmí us gaṉw kí taraf já rahe the, jis ká nám Immáús hai;
wuh Yarúshalem se koí sát míl ke fásile par hai. 14Aur wuh in
sab bátoṉ kí bábat, jo wáqiʻ húí thíṉ, ápas meṉ bátchít karte játe the. 15Jab wuh
bátchít aur púchhpáchh kar rahe the, to aisá húá ki Yisúʻ áp nazdík ákar un ke
sáth ho liyá. 16Lekin un kí áṉkheṉ band kí gayí thíṉ, ki us ko na
pahcháneṉ. 17Us ne un se kahá; Yih kyá báteṉ haiṉ, jo tum
chalte chalte ápas meṉ karte ho? Wuh gamgín se khaṛe ho gaye. 18Phir ek ne
jis ká nám Kliyupás thá, jawáb meṉ us se kahá; Kyá tú Yarúshalem meṉ akelá
musáfir hai jo nahíṉ jántá, ki in dinoṉ us meṉ kyá kyá húá hai? 19Usne un se
kahá; Kyá húá hai? Unhoṉ ne us se kahá; Yisúʻ Násarí ká májará, jo Ḳhudá aur
sárí ummat ke nazdík kám aur kalám meṉ qudratwálá nabí thá; 20aur sardár
káhinoṉ aur hamáre hákimoṉ ne us ko pakaṛwá diyá, táki us par qatl ká hukm diyá
jae; aur use salíb diláí; 21lekin ham
ko ummed thí, ki Isráíl ko maḳhlasí yihí degá. Aur ʻaláwa in sab bátoṉ ke, is
májare ko áj tísrá din ho gayá; 22aur ham meṉ
se chand ʻauratoṉ ne bhí ham ko hairán kar diyá hai, jo sawere hí qabr par gayí
thíṉ: 23aur jab us kí lásh na páí, to yih kahtí húí áíṉ,
ki Ham ne royá meṉ firishtoṉ ko bhí dekhá: unhoṉ ne kahá, ki wuh zinda
hai. 24Aur baʻz hamáre sáthiyoṉ meṉ se qabr par gaye,
aur jaisá ʻauratoṉ ne kahá thá, waisá hí páyá, magar us ko na dekhá. 25Us ne un se
kahá, ki Ai nádáno, aur nabíoṉ kí sárí bátoṉ ke mánne meṉ sust iʻtiqádo! 26Kyá Masíh
ko yih dukh uṭhákar apne jalál meṉ dáḳhil honá zarúr na thá? 27Phir Músá
se aur sab nabíoṉ se shurúʻ karke, sáre nawishtoṉ meṉ jitni báteṉ us ke haqq meṉ
likhí húí haiṉ, wuh un ko samjhá díṉ. 28Itne meṉ
wuh us gáṉw ke nazdík pahuṉch gaye, jaháṉ játe the: aur us ke ḍhang se aisá
maʻlúm húá, ki wuh áge baṛhná cháhtá hai. 29Unhoṉ ne
use yih kahkar majbúr kiyá, ki Hamáre sáth rah, kyúṉki shám húá cháhtí hai, aur
din ab bahut ḍhal gayá. Pas wuh andar gayá, táki un ke sáth rahe. 30Jab wuh un
ke sáth kháná kháne baiṭhá, to aisá húá ki us ne roṭí lekar barakat cháhí, aur
toṛkar un ko dene lagá. 31Is par un
kí áṉkheṉ khul gayíṉ, aur unhoṉ ne us ko pahchán liyá; aur wuh un kí nazar se
gáib ho gayá.
Comments
Post a Comment