Skip to main content

spiritual warfare Spiritual Battle & the Armor of God IN URDU HINDI BI...

फज़ल और सच्चाई मसीह यीशु की मारिफ़त पौंहची

उसकी mamuri

 में से हम सब ने पाया यानि फ़ज़ल पर फ़ज़ल

ruh-l-quds  की मदद से  हिकमत और Mukáshafa  की रूह se  'aur tumháre dil kí áṉkheṉ raushan ho jáeṉ,

 

ek masih ke liye  : is baat se waqif huna bauht  jaroori hai

ki har ek masih jo yisu naam par iman la chuka

wuh armic jnug ka hissa ho chuka

wuh ek ruhani jang men

dushman hai virodi hai uska apna hi shrir jism

yani apne badan ke sath uski ladai hai

or ye ladai iman ki ruh se jeeti jati hai

ye ladai badan ki andriyon ke sath ankh jo bura dekhne ki khawahish karti hai juban jo  bure shabad bolte hain

dimag jisme buri kalpanyen

akar kaam karti hai jo ki ek ladai ka maida hai

dil jismen buri ichayen hain

or badan jispar in sabi buri khawahish ka asar hota hai

yani feeling ehsaas body syncation 

humara jo badan hai wuh ruh l quds ka maqdas hai

hum keemat se kharide gaye hain

yani yisu ke beadag beab

paak khun se

ye hua kaise yisu masih ki saleebi qurbani

waha humara

gunah aluda badan humesha humesha ke liye yisu ki saleeb maut ke sath utara ja chuka hai

ab joi koi masih men hai wuh nai shrishat hai

or ruhani ladai ke hathyar hain

 

2 Kurinthíoṉ 10

 

::  4is liye ki hamári laṛáí ke hathyár jismání nahíṉ, balki Ḳhudá ke nazdík qilʻoṉ ke ḍhá dene ke qábil haiṉ; 5chunáṉchi ham tasawwurát, aur har ek úṉchí chíz ko jo Ḳhudá kí pahchán ke barḳhiláf sir uṭháe húe hai, ḍhá dete haiṉ, aur har ek ḳhayál ko qáid karke Masíh ká farmánbardár baná dete haiṉ; 6aur ham taiyár haíṉ, ki jab tumhárí farmánbardárí púrí ho, to har tarah kí náfarmání ká badla leṉ.

Ifisíoṉ 6

 : 10G̣araz, Ḳhudáwand meṉ aur us kí qudrat ké zor meṉ mazbút bano. 11Ḳhudá ke sab hathyár báṉdh lo, táki tum Iblís ke mansúboṉ ke muqábale meṉ qáim rah sako;

1 . Pas sachcháí se apní kamar kaskar, aur

 

2. rástbází ká baktar lagákar, '

 

3.

15aur páṉwoṉ meṉ sulh kí ḳhushḳhabarí kí taiyárí ke júte pahinkar, 

7aur naját ká ḳhod aur Rúh kí talwár, jo Ḳhudá ká kalám hai, le lo; 18aur har waqt aur har tarah se Rúh meṉ duʻá aur minnat karte raho; aur isí garaz se jágte raho, ki sab muqaddasoṉ ke wáste bilánága duʻá máṉgá karo;

 

Ifisíoṉ 6:14

https://www.bible.com/bible/1553/EPH.6.14

Yaʻqúb 1

 : 15Phir ḳhwáhish hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab baṛh chuká to maut paidá kartá hai. 

Romíoṉ 6:13 (URDR55)

Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo, aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo.

 

Kulussíoṉ 3

1Pas jab tum Masíh ke sáth jiláe gaye, to ʻálam i bálá kí chízoṉ kí talásh meṉ raho, jaháṉ Masíh maujúd hai, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá hai. 2ʻÁlam i bálá kí chízoṉ ke ḳhayál meṉ raho, na zamín par kí chízoṉ ke; 3kyúṉ ki tum mar gaye, aur tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí zindagí hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye jáoge.

5Pas apne un aʻzá ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum bhí, jis waqt un bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte the. 8Lekin ab tum bhí in sab ko, yaʻní gussa, aur qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná chhoṛ do: 9ek dúsre se jhúṭh na bolo, kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí insáníyat ko pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí bantí játí hai: 11waháṉ na Yúnáni rahá, na Yahúdí, na ḳhatna, na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám, na ázád: sirf Masíh sab kuchh aur sab meṉ hai.

12Pas Ḳhudá ke barguzídoṉ kí tarah, jo pák aur ʻazíz haiṉ, dardmandí, aur mihrbání, aur firotaní, aur hilm aur tahammul ká libás pahino; 

 

जकर्याह 4: 6

 'तब उसने मुझे उत्तर देकर कहा, “जरुब्बाबेल के लिये यहोवा का यह वचन है : न तो बल से, और न शक्‍ति से, परन्तु मेरे आत्मा के द्वारा होगा, मुझ सेनाओं के यहोवा का यही वचन है। '

 

जकर्याह 4:6

https://www.bible.com/bible/1683/ZEC.4.6

1 Samúel 17

 : 47aur yih sárí jamá‘at ján le, ki Ḳhudáwand talwár aur bhále ke zarí‘e se nahíṉ bachátá; is liye ki jang to Ḳhudáwand ki hai, aur wuhí tum ko hamáre háth meṉ kar degá.

Yúhanná 16:33 (URDR55)

Maiṉ ne tum se yih báteṉ is liye kahíṉ, ki tum mujh meṉ itmínán páo. Dunyá meṉ musíbat uṭháte ho; lekin ḳhátir jamaʻ rakkho; maiṉ dunyá par gálib áyá húṉ.

Romíoṉ 8:37 (URDR55)

Magar in sab hálatoṉ meṉ, us ke wasíle se jis ne ham se mahabbat kí, ham ko fath se bhí baṛhkar galaba hásil hotá hai.

1 Yúhanná 5:4 (URDR55)

Jo koí Ḳhudá se paidá húá hai, wuh dunyá par gálib átá hai; aur wuh galaba, jis se dunyá maglúb húí hai, hamárá ímán hai.

Mukáshafa 3:21 (URDR55)

Jo gálib áe, maiṉ use apne sáth apne taḳht par biṭháúṉgá, jis tarah maiṉ gálib ákar apne Báp ke sáth us ke taḳht par baiṭh gayá.

 

2 तीमुथियुस 2

: 1इसलिये हे मेरे पुत्र, तू उस अनुग्रह से जो मसीह यीशु में है, बलवन्त हो जा2और जो बातें तू ने बहुत से गवाहों के सामने मुझ से सुनी हैं, उन्हें विश्‍वासी मनुष्यों को सौंप दे; जो दूसरों को भी सिखाने के योग्य हों। 3मसीह यीशु के अच्छे योद्धा के समान मेरे साथ दु:ख उठा। 4जब कोई योद्धा लड़ाई पर जाता है, तो इसलिये कि अपने भरती करनेवाले को प्रसन्न करे, अपने आप को संसार के कामों में नहीं फँसाता। 5फिर अखाड़े में लड़नेवाला यदि विधि के अनुसार न लड़े तो मुकुट नहीं पाता।

 

Galatíoṉ 5

: 17Kyúṉki jism Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai, aur Rúh jism ke ḳhiláf; aur yih ek dúsre ke muḳhálif haiṉ; táki jo tum cháhte ho, wuh na karo. 18Aur agar tum Rúh kí hidáyat se chalte ho, to sharíʻat ke mátaht nahíṉ rahe. 19Ab jism ke kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí, nápákí, shahwatparastí, 20butparastí, jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz, nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind: in kí bábat tumheṉ pahle se kahe detá húṉ, jaisá ki peshtar jatá chuká húṉ, ki aise kám karnewále Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris na hoṉge. 22Magar Rúh ká phal mahabbat, ḳhushí, itmínán, tahammul, mihrbá-ní, nekí, ímándárí, 23hilm, parhezgárí hai: aise kámoṉ kí koí sharíʻat muḳhálif nahíṉ. 24Aur jo Masíh Yisúʻ ke haiṉ, unhoṉ ne jism ko us kí ragbatoṉ aur ḳhwáhishoṉ samet salíb par kheṉch diyá hai.

25Agar ham Rúh ke sabab se zinda haiṉ, to Rúh ke muwáfiq chalná bhí cháhiye. 26Ham bejá faḳhr karke, na ek dúsre ko chiṛáen, na ek dúsre se jaleṉ.

लूका 10:19 - देख, मैं ने तुझे सांपों और बिच्छुओं को रौंदने का, और शत्रु की सारी सामर्थ पर अधिकार दिया है; और किसी वस्तु से तुझे कुछ हानि न होगी।

 1 Yúhanná 5

;4Jo koí Ḳhudá se paidá húá hai, wuh dunyá par gálib átá hai; aur wuh galaba, jis se dunyá maglúb húí hai, hamárá ímán hai. 5Dunyá ká maglúb karnewálá kaun hai, siwá us shaḳhs ke jis ká yih ímán hai, ki Yisúʻ Ḳhudá ká Beṭá hai?

 

Ifisíoṉ 6

:  10 G̣araz, Ḳhudáwand meṉ aur us kí qudrat ké zor meṉ mazbút bano. 11Ḳhudá ke sab hathyár báṉdh lo, táki tum Iblís ke mansúboṉ ke muqábale meṉ qáim rah sako; 12kyúṉki hameṉ ḳhún aur gosht se kushtí nahíṉ karní hai, balki hukúmatwáloṉ aur iḳhtiyárwáloṉ, aur is dunyá kí táríkí ke hákimoṉ aur sharárat kí un rúhání faujoṉ se, jo ásmání maqámoṉ meṉ haiṉ. 13Is wáste tum Ḳhudá ke sáre hathyár báṉdh lo, táki bure din meṉ muqábalá kar sako, aur sab kámoṉ ko anjám dekar qáim rah sako. 14Pas sachcháí se apní kamar kaskar,

#sachchai

Yúhanná 1:14 (URDR55)

Aur Kalám mujassam húá, aur fazl aur sachcháí se maʻmúr hokar hamáre darmiyán rahá, aur ham ne us ká aisá jalál dekhá, jaisá Báp ke iklaute ká jalál.

Yúhanná 17:17 (URDR55)

Unheṉ sachcháí ke wasíle se muqaddas kar: terá kalám sachcháí hai.

Yúhanná 14:6 (URDR55)

Yisúʻ ne us se kahá, ki Ráh, aur Haqq, aur Zindagí maiṉ húṉ; koí mere wasíle ke bagair Báp ke pás nahíṉ átá.

 

Ifisíoṉ 4:21 (URDR55)

balki tum ne us sachcháí ke mutábiq, jo Yisúʻ meṉ hai, usí kí suní, aur us meṉ yih taʻlím páí hogí,

Ifisíoṉ 4:15 (URDR55)

balki mahabbat ke sáth sachcháí par qáim rahkar, aur us ke sáth jo sir hai, yaʻní Masíh ke sáth, paiwasta hokar har tarah se baṛhte jáeṉ;

 

Ifisíoṉ 4:24 (URDR55)

aur nayí insáníyat ko pahino, jo Ḳhudá ke mutábiq sachcháí kí rástbází aur pákízagí meṉ paidá kí gayí hai.

Yúhanná 15:26 (URDR55)

Lekin jab wuh Madadgár áegá, jis ko maiṉ tumháre pás Báp kí taraf se bhejúṉgá, yaʻní Sachcháí kí Rúh, jo Báp kí taraf se nikaltí hai, to wuh merí gawáhí degí:

 

Yúhanná 14:17 (URDR55)

yaʻní sachcháí kí Rúh, jise dunyá hásil nahíṉ kar saktí, kyúṉki na use dekhtí, aur na jántí hai: tum use jánte ho; kyúṉki wuh tumháre sáth rahtí hai, aur tumháre andar hogí.

 

Ifisíoṉ 5:9 (URDR55)

(is liye ki núr ká phal har tarah kí nekí aur rástbází aur sachcháí hai),

 

Yúhanná 16:13 (URDR55)

Lekin jab wuh, yaʻní Sachcháí kí Rúh, áegí, to tum ko tamám sachcháí kí ráh dikháegí: is liye ki wuh apní taraf se na kahegí; lekin jo kuchh sunegí, wuhí kahegí, aur tumheṉ áyanda kí ḳhabareṉ degí.

 

Yúhanná 8:32 (URDR55)

aur sachcháí se wáqif hoge, aur sachcháí tum ko ázád karegí.

Yúhanná 17:17 (URDR55)

Unheṉ sachcháí ke wasíle se muqaddas kar: terá kalám sachcháí hai.

1 Yúhanná 5:7 (URDR55)

aur jo gawáhí detá hai, wuh Rúh hai, kyúṉki Rúh sachcháí hai.

1 Tímuthiyus 2:4 (URDR55)

wuh cháhtá hai ki sáre ádmí naját páeṉ, aur sachcháí kí pahchán tak pahuṉcheṉ.

 

 

 

aur rástbází ká baktar lagákar,

Romíoṉ 5:16 (URDR55)

Aur jaisá ek shaḳhs ke gunáh karne ká anjám húá, baḳhshish ká waisá hál nahíṉ; kyúṉki ek hí ke sabab se wuh faisala húá, jis ká natíja sazá ká hukm thá: magar bahutere qusúroṉ se aisí niʻmat paidá húí, jis ká natíja yih húá ki log rástbáz ṭhahre.

Romíoṉ 5:17 (URDR55)

Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí; to jo log fazl aur rástbází kí baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní Yisúʻ Masíh ke wasíle se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge.

Romíoṉ 5:18 (URDR55)

G̣araz, jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká hukm thá; waisá hí rástbází ke ek kám ke wasíle se sab ádmíoṉ ko wuh niʻmat milí, jis se rástbáz ṭhahrke zindagí páeṉ.

Romíoṉ 6:13 (URDR55)

Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo, aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo.

 

Romíoṉ 3:25 (URDR55)

use Ḳhudá ne us ke ḳhún ke báʻis ek aisá kaffára ṭhahráyá, jo ímán láne se fáidamand ho; táki jo gunáh peshtar ho chuke the, aur jin se Ḳhudá ne tahammul karke tarah dí thí, un ke báre meṉ wuh apní rást-bází záhir kare;

 

Romíoṉ 3:24 (URDR55)

magar us ke fazl ke sabab, us maḳhlasí ke wasíle se jo Masíh Yisúʻ meṉ hai, muft rástbáz ṭhahráe játe haiṉ:

 

Ifisíoṉ 2:8 (URDR55)

kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai:

Ifisíoṉ 2:9 (URDR55)

aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare.

 

Galatíoṉ 2:16 (URDR55)

táham yih jánkar ki ádmí sharíʻat ke aʻmál se nahíṉ, balki sirf Yisúʻ Masíh par ímán láne se rástbáz ṭhahrtá hai, ḳhud bhí Masíh Yisúʻ par ímán láe, táki ham Masíh par ímán láne se rástbáz ṭhahreṉ, na ki sharíʻat ke aʻmál se; kyúṉki sharíʻat ke aʻmál se koí bashar rástbáz na ṭhahregá.

Galatíoṉ 3:11 (URDR55)

Aur yih bát záhir hai, kí sharíʻat ke wasíle se koí shaḳhs Ḳhudá ke nazdík rástbáz nahíṉ ṭhahrtá: kyúṉki likhá hai, kí Rástbáz ímán se jítá rahegá:

 

Filippíoṉ 3:9 (URDR55)

aur us meṉ páyá jáúṉ; na apní us rástbází ke sáth, jo sharíʻat kí taraf se hai, balki us rástbází ke sáth, jo Masíh par imán láne ke sabab hai, aur Ḳhudá kí taraf se ímán par miltí hai:

 

Titus 3:5 (URDR55)

to us ne ham ko naját dí, magar rástbází ke kámoṉ ke sabab nahíṉ, jo ham ne ḳhud kiye, balki apní rahmat ke mutábiq nayí paidáish ke gusl aur Rúhuʼl Quds ke hameṉ nayá banáne ke wasíle se,

 

1 Patras 2:24 (URDR55)

wuh áp hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár se jíeṉ;

 

Romíoṉ 5:21 (URDR55)

táki jis tarah gunáh ne maut ke sabab se bádsháhí kí, usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se bádsháhí kare.

 

Romíoṉ 4:13 (URDR55)

Kyúṉki yih waʻda ki wuh dunyá ká wáris hogá na Ibráhím se na us kí nasl se sharíʻat ke wasíle se kiyá gayá thá, balki ímán kí rástbází ke wasíle se.

 

Romíoṉ 14:17 (URDR55)

kyúṉki Ḳhudá kí bádsháhat kháne píne par nahíṉ, balki rástbází aur mel miláp aur us ḳhushí par mauqúf hai, jo Rúhuʼl Quds kí taraf se hotí hai.

Romíoṉ 4:24 (URDR55)

balki hamáre liye bhí, jin ke liye ímán rástbází giná jáegá, is wáste ki ham us par ímán láe haiṉ, jis ne hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá;

 

Ifisíoṉ 4:24 (URDR55)

aur nayí insáníyat ko pahino, jo Ḳhudá ke mutábiq sachcháí kí rástbází aur pákízagí meṉ paidá kí gayí hai.

1 Yúhanná 3:7 (URDR55)

Ai bachcho, kisí ke fareb meṉ na áná: jo rástbází ke kám kartá hai, wuhí us kí tarah rástbáz hai.

 

Matí 6:33 (URDR55)

balki tum pahle us kí bádsháhat aur us kí rástbází kí talásh karo, 

 

2 Tímuthiyus 3:16 (URDR55)

Har ek sahífa jo Ḳhudá ke ilhám se hai, taʻlím, aur ilzám, aur isláh, aur rástbází meṉ tarbiyat karne ke liye fáidamand bhí hai;

Romíoṉ 3:21 (URDR55)

Magar ab sharíʻat ke bagair Ḳhudá kí ek rástbází záhir húí hai, jis kí gawáhí sharíʻat aur nabíoṉ se hotí hai;

Galatíoṉ 2:21 (URDR55)

Maiṉ Ḳhudá ke fazl ko bekár nahíṉ kartá: kyúṉki rástbází agar sharíʻat ke wasíle se miltí, to Masíh ká marná ʻabas hotá.

Romíoṉ 3:22 (URDR55)

yaʻní Ḳhudá kí wuh rástbází, jo Yisúʻ Masíh par ímán láne se sab ímán lánewáloṉ ko hásil hotí hai; 

Romíoṉ 8:10 (URDR55)

Aur agar Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh rástbází ke sabab se zinda hai.

1 Kurinthíoṉ 1:30 (URDR55)

Lekin tum us kí taraf se Masíh Yisúʻ meṉ ho, jo hamáre liye Ḳhudá kí taraf se hikmat ṭhahrá, yaʻní rástbází, aur pákízagí, aur maḳhlasí:

Yaʻqúb 2:23 (URDR55)

aur yih nawishta púrá húá, ki Ibráhím Ḳhudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbázi giná gayá, aur wuh Ḳhudá ká dost kahláyá.

Romíoṉ 1:17 (URDR55)

Is wáste ki us meṉ Ḳhudá kí rástbází ímán se aur ímán ke liye záhir hotí hai, jaisá likhá hai, ki Rástbáz ímán se jítá rahegá.

Filippíoṉ 1:11 (URDR55)

aur rástbází ke phal se, jo Yisúʻ Masíh ke sabab se hai, bhare raho, táki Ḳhudá ká jalál záhir ho, aur us kí sitáish kí jáe.

Titus 2:12 (URDR55)

aur hameṉ tarbiyat detá hai, táki bedíní aur dunyawí ḳhwáhishoṉ ká inkár karke, is maujúda jahán meṉ parhezgárí, aur rástbází, aur díndárí ke sáth zindagí guzáreṉ;

 

2 Kurinthíoṉ 5:21 (URDR55)

Jo gunáh se wáqif na thá, usí ko us ne hamáre wáste gunáh ṭhahráyá, táki ham us meṉ hokar Ḳhudá kí rástbází ho jáeṉ.

 

 

Romíoṉ 10:10 (URDR55)

Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.

Romíoṉ 6:19 (URDR55)

Maiṉ tumhárí insání kam-zorí ke sabab insání taur par kahtá húṉ: jis tarah tum ne apne aʻzá badkárí karne ke liye nápákí aur badkárí kí gulámí ke hawále kiye the, usí tarah ab apne aʻzá pák hone ke liye rástbází kí gulámí ke hawále kar do.

Filippíoṉ 3:9 (URDR55)

aur us meṉ páyá jáúṉ; na apní us rástbází ke sáth, jo sharíʻat kí taraf se hai, balki us rástbází ke sáth, jo Masíh par imán láne ke sabab hai, aur Ḳhudá kí taraf se ímán par miltí hai:

 

 

 15aur páṉwoṉ meṉ sulh kí ḳhushḳhabarí kí taiyárí ke júte pahinkar,

Wá‘iz 3:8 (URDR55)

mahabbat ká ek waqt hai, aur ‘adáwat ká ek waqt hai; jang ká ek waqt hai, aur sulh ká ek waqt hai.

 

Ifisíoṉ 2

 :14Kyúṉki wuhí hamárí sulh hai, jis ne donoṉ ko ek kar liyá, aur judáí kí díwár ko jo bích meṉ thí, ḍhá diyá; 15chunáṉchi us ne apne jism ke zaríʻe se dushmaní, yaʻní wuh sharíʻat jis ke hukm zábitoṉ ke taur par the, mauqúf kar dí; táki donoṉ se apne áp meṉ ek nayá insán paidá karke sulh kará de; 16aur salíb par dushmaní ko miṭákar, aur us ke sabab se donoṉ ko ek tan banákar, Ḳhudá se miláe; 17aur us ne ákar, tumheṉ jo dúr the, aur unheṉ jo nazdík the, donoṉ ko sulh kí ḳhushḳhabarí dí: 18kyúṉki us hí ke wasíle se ham donoṉ kí ek hí Rúh meṉ Báp ke pás rasáí hotí hai. 19Pas ab tum pardesí aur musáfir nahíṉ rahe, balki muqaddasoṉ ke hamwatan aur Ḳhudá ke gharáne ke ho gaye, 20aur rasúloṉ aur nabíoṉ kí neo par, jis ke kone ke sire ká patthar ḳhud Masíh Yisúʻ hai, taʻmír kiye gaye ho; 21usí meṉ har ek ʻimárat mil milákar Ḳhudáwand meṉ ek pák maqdis bantí játí hai; 22aur tum bhí us meṉ báham taʻmír kiye játe ho, táki Rúh meṉ Ḳhudá ká maskan bano.

Kulussíoṉ 1

 : 18Aur wuhí badan, yaʻní kalísiyá, ká sir hai; wuhí mabdá hai, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ meṉ pahlauṭhá, táki sab bátoṉ meṉ us ká awwal darja ho; 19kyúṉki Báp ko yih pasand áyá, ki sárí maʻmúrí usí meṉ sukúnat kare; 20aur us ke ḳhún ke sabab jo salíb par bahá sulh karke, sab chízoṉ ká usí ke wasíle se apne sáth mel kar le, ḳhwáh wuh zamín kí hoṉ, ḳhwáh ásmán kí. 21Aur us ne ab us ke jismání badan meṉ maut ke wasíle se tumhárá bhí mel kar liyá, 22jo pahle ḳhárij, aur bure kámoṉ ke sabab dil se dushman the, táki wuh tum ko muqaddas, beʻaib, aur beilzám banákar, apne sámne házir kare: 23basharte ki tum ímán kí bunyád par qáim aur puḳhta raho, aur us ḳhushḳhabarí kí ummed ko jise tum ne suná, na chhoṛo, jis kí manádí ásmán ke níche ke tamám maḳhlúqát meṉ kí gayí;

Yaʻqúb 3:17 (URDR55)

Magar jo hikmat úpar se átí hai, awwal to wuh pák hotí hai, phir milansár, halím, aur tarbiyatpizír, rahm aur achchhe phaloṉ se ladí húí, betarafdár, aur beriyá hotí hai.

 

Aʻmál 10

 :36Jo kalám us ne baní Isráíl ke pás bhejá, jab ki Yisúʻ Masíh kí maʻrifat (jo sab ká Ḳhudáwand hai) sulh kí ḳhushḳhabarí dí, 

Ifisíoṉ 4:3 (URDR55)

aur isí koshish meṉ raho, ki Rúh kí yagánagí sulh ke band se bandhí rahe.

Yaʻqúb 3:18 (URDR55)

Aur sulh karánewáloṉ ke liye rástbází ká phal sulh ke sáth boyá játá hai.

Matí 5:9 (URDR55)

Mubárak haiṉ wuh jo sulh karáte haiṉ, kyúṉki wuh Ḳhudá ke beṭe kahláeṉge.

Romíoṉ 5:1 (URDR55)

Pas jab ham ímán se rástbáz ṭhahre, to Ḳhudá ke sáth apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se sulh rakkheṉ;

1 Patras 3:11 (URDR55)

Badí se kanára kare, aur nekí ko ʻamal meṉ láe; Sulh ká tálib ho, aur us kí koshish meṉ rahé.

Lúqá 19:38 (URDR55)

ki Mubárak hai wuh bádsháh, jo Ḳhudáwand ke nám par átá hai; ásmán par sulh, aur ʻálam i bálá par jalál!

2 Tímuthiyus 2:22 (URDR55)

Jawání kí ḳhwáhishoṉ se bhág, aur jo pák dil ke sáth Ḳhudáwand se duʻá máṉgte haiṉ, un ke sáth rástbází, aur ímán, aur mahabbat, aur sulh ká tálib ho.

 

 

 

 16aur un sab ke sáth ímán kí sipar lagákar, qáim raho, jis se tum us sharír ke sáre jalte húe tíroṉ ko bujhá sako;

#iman ki sipar

Romíoṉ 10:17 (URDR55)

Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

Romíoṉ 10:17 (URDR55)

Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.

 

ʻIbrá Níoṉ 11:6 (URDR55)

aur bagair ímán ke us ko pasand áná námumkin hai: is liye ki Ḳhudá ke pás ánewále ko ímán láná cháhiye, ki wuh maujúd hai, aur apne táliboṉ ko badla detá hai.

Yúhanná 3:18 (URDR55)

Jo us par ímán látá hai, us par sazá ká hukm nahíṉ hotá; jo us par ímán nahíṉ látá, us par sazá ká hukm ho chuká; is liye ki wuh Ḳhudá ke iklaute Beṭe ke nám par ímán nahíṉ láyá.

Yúhanná 20:31 (URDR55)

lekin yih is liye likhe gaye, ki tum ímán láo, ki Yisúʻ hí Ḳhudá ká Beṭá Masíh hai, aur ímán lákar us ke nám se zindagí páo.

 

Romíoṉ 1:17 (URDR55)

Is wáste ki us meṉ Ḳhudá kí rástbází ímán se aur ímán ke liye záhir hotí hai, jaisá likhá hai, ki Rástbáz ímán se jítá rahegá.

2 Kurinthíoṉ 4:13 (URDR55)

Aur chúṉki ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ;

Romíoṉ 3:30 (URDR55)

kyúṉki ek hí Ḳhudá hai, jo maḳhtúnoṉ ko bhí ímán se, aur námaḳhtúnoṉ ko bhí ímán hí ke wasíle se rástbáz ṭhahráegá.

 

 

 

 17aur naját ká ḳhod

1 Thissaluníkíoṉ 5:8 (URDR55)

Magar ham jo din ke haiṉ, ímán aur mahabbat ká baktar lagákar, aur naját kí ummed ká ḳhod pahinkar hoshyár raheṉ.

 

Titus 2:11 (URDR55)

Kyúṉki Ḳhudá ká wuh fazl záhir húá hai, jo sáre ádmíoṉ kí naját ká báʻis hai,

fisíoṉ 2:8 (URDR55)

kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai:

Yúhanná 10:9 (URDR55)

Darwáza maiṉ húṉ: agar koí mujh se dáḳhil ho, to naját páegá, aur andar báhar áyá jáyá karegá, aur chárá páegá.

1 Kurinthíoṉ 1:18 (URDR55)

Kyúṉki salíb ká paigám halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík Ḳhudá kí qudrat hai.

 

Romíoṉ 10:10 (URDR55)

Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.

 

Aʻmál 4:12 (URDR55)

Aur kisí dúsre ke wasíle se naját nahíṉ; kyúṉki ásmán ke tale ádmíoṉ ko koí dúsrá nám nahíṉ baḳhshá gayá, jis ke wasíle se ham naját pá sakeṉ.

2 Kurinthíoṉ 6:2 (URDR55)

kyúṉki wuh kahtá hai, ki Maiṉ ne qubúlíyat ke waqt terí sun lí, Aur naját ke din terí madad kí: dekho, ab qubúlíyat ká waqt hai; dekho, yih naját ká din hai:

Aʻmál 2:21 (URDR55)

Aur yih hogá, ki jo koí Ḳhudáwand ká nám legá naját páegá.

Matí 18:11 (URDR55)

Kyúṉki Ibn i Ádam khoe húoṉ ko ḍhúṉḍhne aur naját dene áyá hai.]

1 Tímuthiyus 2:4 (URDR55)

wuh cháhtá hai ki sáre ádmí naját páeṉ, aur sachcháí kí pahchán tak pahuṉcheṉ.

 

 

aur Rúh kí talwár, jo Ḳhudá ká kalám hai, le lo;

 

ʻIbrá Níoṉ 1

 : 2is zamáne ke áḳhir meṉ ham se Beṭe kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízoṉ ká wáris ṭhahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízoṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; 

 6Magar jo rástbází ímán se hai, wuh yúṉ kahtí hai,

 

Romíoṉ 10

:  ki Kalám tere nazdík hai, balki tere muṉh aur tere dil meṉ hai: yih wuhí ímán ká kalám hai, jis kí ham manádí karte haiṉ; 9ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá. 10Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai. 11Chunáṉchi kitáb i muqaddas yih kahtí hai, ki Jo koí us par ímán láegá, wuh sharminda na hogá. 12Kyúṉki Yahúdíoṉ aur Yúnáníoṉ meṉ kuchh farq nahíṉ; is liye ki wuhí sab ká Ḳhudáwand hai, aur apne sab duʻá máṉgnewáloṉ ke liye faiyáz hai. 13Kyúṉki Jo koí Ḳhudáwand ká nám legá, naját páegá. 1

Yúhanná 1:1 (URDR55)

Ibtidá meṉ Kalám thá, aur Kalám Ḳhudá ke sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá.

 

Yaʻqúb 1

 : 22Lekin kalám par ʻamal karnewále bano, na mahz sunnewále jo apne áp ko dhoká dete haiṉ.

Yúhanná 17:17 (URDR55)

Unheṉ sachcháí ke wasíle se muqaddas kar: terá kalám sachcháí hai.

 

 Kulussíoṉ 3

 : 16Masíh ke kalám ko apne diloṉ meṉ kasrat se basne do; aur kamál dánáí se ápas meṉ taʻlím aur nasíhat karo, aur apne diloṉ meṉ fazl ke sáth Ḳhudá ke liye mazámír aur gít aur rúhání gazaleṉ gáo;

 

 18aur har waqt aur har tarah se Rúh meṉ duʻá aur minnat karte raho; aur isí garaz se jágte raho, ki sab muqaddasoṉ ke wáste bilánága duʻá máṉgá karo; 

 

 

Titus 1:15 (URDR55)

Pák logoṉ ke liye sab chízeṉ pák haiṉ; magar gunáhálúda aur beímán logoṉ ke líye kuchh bhí pák nahíṉ balki un kí ʻaql aur dil donoṉ gunáhálúda haiṉ.

2 Kurinthíoṉ 10

3Kyúṉki ham agarchi jism meṉ zindagí guzárte haiṉ, magar jism ke taur par laṛte nahíṉ; 4is liye ki hamári laṛáí ke hathyár jismání nahíṉ, balki Ḳhudá ke nazdík qilʻoṉ ke ḍhá dene ke qábil haiṉ; 5chunáṉchi ham tasawwurát, aur har ek úṉchí chíz ko jo Ḳhudá kí pahchán ke barḳhiláf sir uṭháe húe hai, ḍhá dete haiṉ, aur har ek ḳhayál ko qáid karke Masíh ká farmánbardár baná dete haiṉ; 

 

 

Yasa‘iyáh 54

: 17Koí hathyár jo tere ḳhiláf banáyá jáe kám na áegá; aur jo zabán ‘adálat meṉ tujh par chalegí, tú use majrúm ṭhahráegí. Ḳhudáwand farmátá hai, Yih mere bandoṉ kí mírás hai, aur un kí rástbází mujh se hai.

 

योएल 2

: 11यहोवा अपने उस दल के आगे अपना शब्द सुनाता है, क्योंकि उसकी सेना बहुत ही बड़ी है; जो अपना वचन पूरा करनेवाला है, वह सामर्थी है। क्योंकि यहोवा का दिन बड़ा और अति भयानक है; उसको कौन सह सकेगा?

Zabúr 24

: 8Yih jalál ká bádsháh kaun hai?

Ḳhudáwand jo qawí aur qádir hai,

Ḳhudáwand jo jang meṉ zoráwar hai.

 

Mukáshafa 19

: 11Phir maiṉ ne ásmán ko khulá húá dekhá; aur kyá dekhtá húṉ, ki ek safed ghoṛá hai; aur us par ek sawár hai jo Sachchá aur Barhaqq kahlátá hai; aur wuh rástí ke sáth insáf aur laṛáí kartá hai. 12Aur us kí áṉkheṉ ág ke shuʻle haiṉ, aur us ke sir par bahut se táj haiṉ; aur us ká ek nám likhá húá hai, jise us ke siwá âur koí nahíṉ jántá. 13Aur wuh ḳhún kí chhíṛkí húí poshák pahine húe hai: aur us ká nám Kalám i Ḳhudá kahlátá hai. 14Aur ásmán kí faujeṉ safed ghoṛoṉ par sawár, aur safed aur sáf mihín katání kapṛe pahine húe, us ke píchhe píchhe haiṉ. 15Aur qaumoṉ ke márne ke liye us ke muṉh se ek tez talwár nikaltí hai: aur wuh lohe ke ʻasá se un par hukúmat karegá: aur Qádir i mutlaq Ḳhudá ke saḳht gazab kí mai ke hauz meṉ angúr rauṉdegá. 16Aur us kí poshák aur rán par yih nám likhá húá hai, bádsháhoṉ ká bádsháh, aur ḳhudáwandoṉ ká ḳhudáwand.

योएल 2

 :1सिय्योन में नरसिंगा फूँको; मेरे पवित्र पर्वत पर साँस बाँधकर फूँको! देश के सब रहनेवाले काँप उठें, क्योंकि यहोवा का दिन आता है, वरन् वह निकट ही है। 2वह अन्धकार और तिमिर का दिन है, वह बदली का दिन है और अन्धियारे का सा फैलता है। जैसे भोर का प्रकाश पहाड़ों पर फैलता है, वैसे ही एक बड़ी और सामर्थी जाति आएगी; प्राचीनकाल में वैसी कभी न हुई, और न उसके बाद भी फिर किसी पीढ़ी में होगी।

 


Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...