निर्गमन 31
: 1फिर यहोवा
ने मूसा से कहा, 2“सुन, मैं ऊरी के पुत्र बसलेल को, जो हूर का
पोता और यहूदा के गोत्र का है, नाम लेकर
बुलाता हूँ। 3और मैं उसको
परमेश्वर के आत्मा से जो बुद्धि, प्रवीणता, ज्ञान, और सब
प्रकार के कार्यों की समझ देनेवाला आत्मा है, परिपूर्ण
करता हूँ, 4जिससे वह कारीगरी के कार्य बुद्धि से निकाल निकालकर सब
भाँति की बनावट में, अर्थात् सोने, चाँदी, और पीतल में, 5और जड़ने के लिये मणि काटने में, और लकड़ी पर
नक्काशी का काम करे। 6और सुन, मैं दान के
गोत्रवाले अहीसामाक के पुत्र ओहोलीआब को उसके संग कर देता हूँ; वरन् जितने
बुद्धिमान हैं उन सभों के हृदय में मैं बुद्धि देता हूँ, जिससे जितनी
वस्तुओं की आज्ञा मैं ने तुझे दी है उन सभों को वे बनाएँ; 7अर्थात् मिलापवाला तम्बू, और
साक्षीपत्र का सन्दूक और उस पर का प्रायश्चित्तवाला ढकना और तम्बू का सारा सामान, 8और सामान सहित मेज, और सारे
सामान समेत चोखे सोने की दीवट, और धूपवेदी, 9और सारे सामान सहित होमवेदी, और पाए समेत
हौदी, 10और काढ़े हुए वस्त्र, और हारून
याजक के याजकवाले काम के पवित्र वस्त्र, और उसके
पुत्रों के वस्त्र, 11और अभिषेक का तेल, और
पवित्रस्थान के लिये सुगन्धित धूप, इन सभों को
वे उन सब आज्ञाओं के अनुसार बनाएँ जो मैं ने तुझे दी हैं।”
जब बुधि KI CHARCHA YA BAAT
KI JATI HAI TO PURANE AHD NAME MEN EK
NAAM SAMNE ATA HAI SOLEMAN
SABSE PEHEL PURANE
AHD NAME KE MUTABIK SOLEMAN KI BHUDI SHURU OR AKHIR PAR GAUR KARNE JA RAHEN
HAIN
OR NAYE AHD NAME
MEN RUHANI BHUDI OR SAMJ KI BAAT ATI HAI TO JO SULEMAAN SE BHI BHADA
HAI WUH HAI MASIH YESU
WISDOME OF GOD
2 Tawáríḳh 1
: 7Usí rát Ḳhudá Sulaimán ko dikháí diyá, aur us se
kahá, Máṉg, maiṉ tujhe kyá dúṉ? 8Sulaimán ne Ḳhudá se kahá, Tú ne mere báp Dáúd par baṛí
mihrbání kí, aur mujhe us kí jagah bádsháh banáyá; 9ab, ai Ḳhudáwand Ḳhudá,
jo wa‘da tú ne mere báp Dáúd se kiyá, wuh barqarár rahe: kyúṉki tú ne mujhe ek
aisí qaum ká bádsháh banáyá hai jo kasrat meṉ zamín kí ḳhák ke zarroṉ kí mánind
hai. 10So mujhe hikmat o ma‘rifat ‘ináyat kar, táki maiṉ
in logoṉ ke áge andar báhar áyá jáyá karúṉ; kyúṉki terí is baṛí qaum ká insáf
kaun kar saktá hai? 11Tab Ḳhudá ne Sulaimán se kahá, Chúṉki tere dil meṉ
yih bát thí, aur tú ne na to daulat na mál na ‘izzat, na apne dushmanoṉ kí maut
máṉgí, aur na ‘umr kí darází talab kí, balki apne liye hikmat o ma‘rifat kí darḳhwást
kí, táki mere logoṉ ká, jin par maiṉ ne tujhe bádsháh banáyá hai, insáf
kare: 12so hikmat o ma‘rifat tujhe ‘atá húí, aur maiṉ
tujhe is qadr daulat aur mál aur ‘izzat baḳhshúṉgá, ki na to un bádsháhoṉ meṉ
se jo tujh se pahle húe, kisí ko nasíb húí, aur na kisí ko tere ba‘d nasíb
hogí.
1 Salátín 3
: 5Jiba‘ún meṉ Ḳhudáwand rát
ke waqt Sulaimán ko ḳhwáb meṉ dikháí diyá; aur Ḳhudá ne kahá, Máṉg, maiṉ tujhe
kyá dúṉ. 6Sulaimán ne kahá, Tú ne apne ḳhádim mere báp Dáúd
par baṛá ihsán kiyá, is liye ki wuh tere huzúr rástí aur sadáqat, aur tere sáth
sídhe dil se chaltá rahá; aur tú ne us ke wáste yih baṛá ihsán rakh chhoṛá thá,
ki tú ne use ek beṭá ‘ináyat kiyá jo us ke taḳht par baiṭhe, jaisá áj ke din
hai. 7Aur ab, ai Ḳhudáwand mere
Ḳhudá tú, ne apne ḳhádim ko mere báp Dáúd kí jagah bádsháh banáyá hai: aur maiṉ
chhoṭá laṛká hí húṉ, aur mujhe báhar jáne aur bhítar áne ká shu‘úr nahíṉ: 8aur terá ḳhádim terí qaum ke bích meṉ hai jise tú ne chun
liyá hai; wuh aisí qaum hai jo kasrat ke bá‘is na giní já saktí hai, na shumár
ho saktí hai. 9So tú apne ḳhádim ko apní qaum ká insáf karne ke
liye samajhnewálá dil ‘ináyat kar, táki maiṉ bure aur bhale meṉ imtiyáz kar
sakúṉ: kyúṉki terí is baṛí qaum ká insáf kaun kar saktá hai? 10Aur yih bát Ḳhudáwand ko
pasand áí, ki Sulaimán ne yih chíz máṉgí. 11Aur Ḳhudá ne us se kahá, Chúṉki tú ne yih chíz máṉgí, aur
apne liye ‘umr kí darází kí darḳhwást na kí, aur na apne liye daulat ká suwál
kiyá, aur na apne dushmanoṉ kí ján máṉgí, balki insáfpasandí ke liye tú ne apne
wáste ‘aqlmandí kí darkhwást kí hai: 12so dekh, maiṉ ne terí darḳhwást ke mutábiq kiyá: maiṉ ne
ek ‘áqil aur samajhnewálá dil tujh ko baḳhshá, aisá ki terí mánind na to koí
tujh se pahle húá, aur na koí tere ba‘d tujh sá barpá hogá: 13aur maiṉ ne tujh ko kuchh âur bhí diyá jo tú ne nahíṉ máṉgá,
ya‘ní daulat aur ‘izzat, aisá ki bádsháhoṉ meṉ terí ‘umr bhar koí terí mánind
na hogá. 14Aur agar tú merí ráhoṉ par chale, aur mere áín
aur ahkám ko máne, jaise terá báp Dáúd chaltá rahá, to maiṉ terí ‘umr daráz karúṉgá. 15Phir Sulaimán jág gayá; aur dekhá ki ḳhwáb thá.
1 Salátín 4
: 29Aur Ḳhudá ne Sulaimán ko
hikmat aur samajh bahut hí ziyáda aur dil kí was‘at bhí ‘ináyat kí, jaisí
samundar ke kanáre kí ret hotí hai. 30Aur
Sulaimán kí hikmat sab ahl i mashriq kí hikmat aur Misr kí sárí hikmat par
fauqíyat rakhtí thí; 31is liye ki wuh sab ádmíoṉ
se, balki Azráḳhí Aitán, aur Haimán, aur Kalkúl, aur Darda‘ se jo baní Mahúl
the ziyáda dánishmand thá: aur chaugird kí sab qaumoṉ meṉ us kí shuhrat
thí. 32Aur us ne tín hazár masaleṉ
kahíṉ: aur us ke ek hazár páṉch gít the. 33Aur us ne
daraḳhtoṉ ká ya‘ní Lubnán ke deodár se lekar zúfá tak ká jo díwároṉ par ugtá
hai bayán kiyá; aur chaupáyoṉ, aur parandoṉ, aur reṉgnewále jándároṉ, aur
machhliyoṉ ká bhí bayán kiyá. 34Aur sab qaumoṉ
meṉ se zamín ke sab bádsháhoṉ kí taraf se jinhoṉ ne us kí hikmat kí shuhrat
suní thí log Sulaimán kí hikmat ko sunne áte the.
Amsál 1
1Isráíl ke bádsháh
Sulaimán bin Dáúd kí amsál:
2Hikmat aur
tarbiyat hásil karne,
Aur fahm kí bátoṉ ká imtiyáz karne ke liye;
3‘Aqlmandí aur
sadáqat aur ‘adl,
Aur rástí meṉ tarbiyat hásil karne ke liye;
4Sádadiloṉ ko
hoshyárí,
Jawán ko ‘ilm aur tamíz baḳhshne ke liye:
5Táki dáná ádmí
sunkar ‘ilm meṉ taraqqí kare;
Aur fahím ádmí durust mashwarat tak pahuṉche:
6Jis se masal aur
tamsíl ko,
Dánáoṉ kí bátoṉ aur un ke mu‘ammoṉ ko samajh sake.
7 Ḳhudáwand ká ḳhauf ‘ilm ká shurú‘
hai:
Lekin ahmaq hikmat aur tarbiyat kí hiqárat karte haiṉ.
8Ai mere beṭe, apne
báp kí tarbiyat par kán lagá,
Aur apní máṉ kí ta‘lím ko tark na kar:
9Kyúṉki wuh tere
sir ke liye zínat ká sihrá,
Aur tere gale ke liye tauq hoṉgí.
1 Salátín 10
1Aur jab Sabá kí
malika ne Ḳhudáwand ke
nám kí bábat Sulaimán kí shuhrat suní, to wuh áí, táki mushkil suwáloṉ se use
ázmáe. 2Aur wuh bahut baṛí jilau
ke sáth Yarúshalem meṉ áí, aur sáth sáth úṉṭ the, jin par masálih aur bahut sá
soná aur beshbahá jawáhir lade the; aur jab wuh Sulaimán ke pás pahuṉchí, to us
ne un sab bátoṉ ke báre meṉ jo us ke dil meṉ thíṉ us se guftogú kí. 3Sulaimán ne us ke sab
suwáloṉ ká jawáb diyá: bádsháh se koí bát aisí poshída na thí jo use na
batáí. 4Aur jab Sabá kí malika ne
Sulaimán kí sárí hikmat aur us mahall ko jo us ne banáyá thá, 5aur us ke dastarḳhwán kí
ni‘matoṉ, aur us ke mulázimoṉ kí nishast, aur us ke ḳhádimoṉ kí házirbáshí, aur
un kí poshák, aur us ke sáqíoṉ, aur us síṛhí ko, jis se wuh Ḳhudáwand ke ghar ko játá thá,
dekhá, to us ke hosh uṛ gaye. 6Aur us ne bádsháh
se kahá, ki Wuh sachchí ḳhabar thí jo maiṉ ne tere kámoṉ aur terí hikmat kí bábat
apne mulk meṉ suní thí. 7Taubhí maiṉ ne wuh
báteṉ báwar na kíṉ, jab tak ḳhud ákar apní áṉkhoṉ se yih dekh na liyá; aur
mujhe to ádhá bhí nahíṉ batáyá gayá thá; kyúṉki terí hikmat aur iqbálmandí us
shuhrat se jo maiṉ ne suní bahut ziyáda hai. 8Ḳhushnasíb haiṉ tere log,
aur ḳhushnasíb haiṉ tere yih mulázim jo barábar tere huzúr khaṛe rahte aur terí
hikmat sunte haiṉ. 9Ḳhudáwand terá Ḳhudá mubárak
ho jo tujh se aisá ḳhushnúd húá ki tujhe Isráíl ke taḳht par biṭháyá hai:
chúṉki Ḳhudáwand ne
Isráíl se sadá mahabbat rakkhí hai, is liye us ne tujhe ‘adl aur insáf karne ko
bádsháh banáyá. 10Aur us ne bádsháh ko ek
sau bís qintár soná, aur masálih ká bahut baṛá ambár, aur beshbahá jawáhir
diye; aur jaise masálih Sabá kí malika ne Sulaimán bádsháh ko diye, waise phir
kabhí aisí bahutát ke sáth na áe. 11Aur Hírám ká beṛá
bhí jo Ofír se soná látá thá baṛí kasrat se chandan ke daraḳht aur beshbahá
jawáhir láyá. 12So bádsháh ne Ḳhudáwand ke ghar, aur sháhí mahall
ke liye chandan kí lakṛí ke sutún, aur barbat, aur gánewáloṉ ke liye sitár
banáe: chandan ke aise daraḳht na kabhí áe the, aur na kabhí áj ke din tak
dikháí diye. 13Aur Sulaimán bádsháh ne
Sabá kí malika ko sab kuchh jis kí wuh mushtáq húí, aur jo kuchh us ne máṉgá
diyá; ‘aláwa is ke Sulaimán ne us ko apní sháhána saḳháwat se bhí ‘ináyat kiyá.
Phir wuh apne mulázimoṉ samet apní mamlukat ko lauṭ gayí.
1 Salátín 11
1Aur Sulaimán
bádsháh Fir‘aun kí beṭí ke ‘aláwa bahut sí ajnabí ‘auratoṉ se, ya‘ní Moábí,
‘Ammoní, Adomí, Saidání, aur Hittí ‘auraton se mahabbat karne lagá; 2yih un qaumoṉ kí thíṉ, jin
kí bábat Ḳhudáwand ne
baní Isráíl se kahá thá, ki Tum un ke bích na jáná, aur na wuh tumháre bích
áeṉ; kyúṉki wuh zarúr tumháre diloṉ ko apne deotáoṉ kí taraf máil kar leṉgí:
Sulaimán in hí ke ‘ishq ká dam bharne lagá. 3Aur us ke pás sát
sau sháhzádíáṉ us kí bíwiyáṉ, aur tín sau harameṉ thíṉ; aur us kí bíwiyoṉ ne us
ke dil ko pher diyá. 4Kyúṉki jab
Sulaimán buḍḍhá ho gayá, to us kí bíwiyoṉ ne us ke dil ko g̣airma‘búdoṉ kí
taraf máil kar liyá; aur us ká dil Ḳhudáwand apne
Ḳhudá ke sáth kámil na rahá, jaisá us ke báp Dáúd ká dil thá. 5Kyúṉki Sulaimán Saidáníoṉ
kí dewí ‘Istárát, aur ‘Ammoníoṉ ke nafratí Milkúm kí pairawí karne lagá. 6Aur Sulaimán ne Ḳhudáwand ke áge badí kí, aur us
ne Ḳhudáwand kí púrí
pairawí na kí, jaisí us ke báp Dáúd ne kí thí. 7Phir Sulaimán ne Moábíoṉ
ke nafratí Kamos ke liye us paháṛ par jo Yarúshalem ke sámne hai, aur baní
‘Ammon ke nafratí Molak ke liye baland maqám baná diyá. 8Us ne aisá hí apní sárí
ajnabí bíwiyoṉ kí ḳhátir kiyá, jo apne deotáoṉ ke huzúr baḳhúr jalátí aur
qurbání guzrántí thíṉ.
9Aur Ḳhudáwand Sulaimán se náráz húá,
kyúṉki us ká dil Ḳhudáwand Isráíl
ke Ḳhudá se phir gayá thá jis ne use do bár dikháí dekar 10us ko is bát ká hukm diyá
thá, ki wuh g̣airma‘búdoṉ kí pairawí na kare: par us ne wuh bát na mání, jis ká
hukm Ḳhudáwand ne diyá
thá. 11Is sabab se Ḳhudáwand ne Sulaimán ko kahá,
Chúṉki tujh se yih fi‘l húá, aur tú ne mere ‘ahd, aur mere áín ko, jin ká maiṉ
ne tujhe hukm diyá nahíṉ máná, is liye maiṉ saltanat ko zarúr tujh se chhínkar
tere ḳhádim ko dúṉgá; 12taubhí tere báp
Dáúd kí ḳhátir maiṉ tere aiyám meṉ yih nahíṉ karúṉgá; balki use tere beṭe ke
háth se chhínúṉgá. 13Phir bhí maiṉ sárí
saltanat ko nahíṉ chhín lúṉgá, balki apne bande Dáúd kí ḳhátir, aur Yarúshalem
kí ḳhátir jise maiṉ ne chun liyá hai, ek qabíla tere beṭe ko dúṉgá.
Yasa‘iyáh 11
: 2aur Ḳhudáwand kí rúh us par ṭhahregí,
hikmat aur ḳhirad kí rúh, maslahat aur qudrat kí rúh, ma‘rifat aur Ḳhudáwand ke ḳhauf kí rúh; 3aur us kí
shádmání Ḳhudáwand ke ḳhauf
meṉ hogí, aur wuh na apní áṉkhoṉ ke dekhne ke mutábiq insáf karegá, aur na apne
kánoṉ ke sunne ke muwáfiq faisala karegá: 4balki wuh
rástí se miskínoṉ ká insáf karegá, aur ‘adl se zamín ke ḳháksároṉ ká faisala
karegá: aur wuh apní zabán ke ‘asá se zamín ko máregá, aur apne laboṉ ke dam se
sharíroṉ ko faná kar ḍálegá. 5Us kí kamar
ká paṭká rástbází hogí, aur us ke pahlú par wafádárí ká paṭká hogá.
Lúqá 4
: 14Phir Yisúʻ Rúh kí quwwat se bhará húá Galíl ko lauṭá, aur sáre girdnawáh
meṉ us kí shuhrat phail gayí. 15Aur wuh un ke
ʻibádatḳhánoṉ meṉ taʻlím detá rahá, aur sab us kí baṛáí karte rahe.
16Aur wuh Násarat
meṉ áyá, jaháṉ us ne parwarish páí thí, aur apne dastúr ke muwáfiq Sabt ke din
ʻibádatḳháne meṉ gayá, aur paṛhne ko khaṛá húá. 17Aur Yashaʻyáh nabí kí
kitáb us ko dí gayí, aur kítáb kholkar us ne wuh maqám nikálá, jaháṉ yih likhá
thá, ki
18Ḳhudáwand kí Rúh
mujh par hai,
Is liye ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke
liye masah kiyá;
Us ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,
Aur andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,
Kuchle húoṉ ko ázád karúṉ,
19Aur Ḳhudáwand ke
sál i maqbúl kí manádí karúṉ.
Matí 12
: 42Dakkhan kí malika is
zamáne ke logoṉ ke sáth ʻadálat ke din uṭhkar inheṉ mujrim ṭhahráegi, kyúṉki
wuh dunyá ke kanáre se Sulaimán kí hikmat sunne ko áí, aur dekho, yaháṉ wuh
hai, jo Sulaimán se bhí baṛá hai.
1 Kurinthíoṉ 1
: 18Kyúṉki salíb ká paigám
halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík
Ḳhudá kí qudrat hai. 19Kyúṉki likhá hai,
ki
Maiṉ hakímoṉ kí hikmat ko nest,
Aur ʻaqlmandoṉ kí ʻaql ko radd karúṉgá.
20Kaháṉ ká hakím? kaháṉ ká
faqíh? kaháṉ ká is jahán ká bahs karnewálá? kyá Ḳhudá ne dunyá kí hikmat ko
bewuqúfí nahíṉ ṭhahráyá? 21Is liye ki jab
Ḳhudá kí hikmat ke mutábiq dunyá ne apní hikmat se Ḳhudá ko na jáná, to Ḳhudá
ko yih pasand áyá, ki is manádí kí bewuqúfí ke wasíle se ímán lánewáloṉ ko
naját de. 22Chunáṉchi Yahúdí nishán
cháhte haiṉ, aur Yúnání hikmat talásh karte haiṉ; 23magar ham us Masíh i
maslúb kí manádí karte haiṉ, jo Yahúdíoṉ ke nazdík ṭhokar, aur gairqaumoṉ ke
nazdík bewuqúfí hai; 24lekin jo buláe húe
haiṉ, Yahúdí hoṉ, yá Yúnání, un ke nazdík Masíh Ḳhudá kí qudrat, aur Ḳhudá kí
hikmat hai. 25Kyúṉki Ḳhudá kí bewuqúfí
ádmíoṉ kí hikmat se ziyáda hikmatwálí hai, aur Ḳhudá kí kamzorí ádmíon ke zor
se ziyáda zoráwar hai. 26Ai bháiyo, apne
buláe jáne par to nigáh karo, ki jism ke liház se bahut se hakím, bahut se
iḳhtiyárwále, bahut se ashráf nahíṉ buláe gaye: 27balki Ḳhudá ne dunyá ke
bewuqúfoṉ ko chun liyá, ki hakímoṉ ko sharminda kare; aur Ḳhudá ne dunyá ke
kamzoroṉ ko chun liyá, ki zoráwaroṉ ko sharminda kare; 28aur Ḳhudá ne dunyá ke
kamínoṉ aur haqíroṉ ko, balki bewujúdoṉ ko chun liyá ki maujúdoṉ ko nest
kare, 29táki koí bashar Ḳhudá ke
sámne faḳhr na kare. 30Lekin tum us kí
taraf se Masíh Yisúʻ meṉ ho, jo hamáre liye Ḳhudá kí taraf se hikmat ṭhahrá,
yaʻní rástbází, aur pákízagí, aur maḳhlasí: 31táki jaisá likhá
hai, waisá hí ho, ki Jo faḳhr kare, wuh Ḳhudáwand par faḳhr kare.
यिर्मयाह 10:12 "यहोवा ने अपनी
शक्ति से पृथ्वी बनाई; उसने अपनी बुद्धि
से जगत की स्थापना की और अपनी समझ से आकाश को फैलाया"।
Romíoṉ 1
/; 20Kyúṉki us kí andekhí
sífateṉ, yaʻní us kí azalí qudrat aur ulúhíyat, dunyá kí paidáish ke waqt se
banáí núí chízoṉ ke zaríʻe se maʻlúm hokar sáf nazar átí haiṉ; yaháṉ tak ki un
ko kuchh ʻuzr báqí nahíṉ;]
Kulussíoṉ 2
: aur Ḳhudá ke bhed, yaʻní
Masíh ko pahcháneṉ, 3jis meṉ hikmat aur
maʻrifat ke sáre ḳhazáne chhipe húe haiṉ.
Ifisíoṉ 1
: 15Is sabab se maiṉ bhí us ímán ká, jo tumháre
darmiyán Ḳhudáwand Yisúʻ par hai, aur sab muqaddasoṉ par záhir hai, hál
sunkar, 16tumhárí bábat shukr karne se báz nahíṉ átá, aur
apní duʻáoṉ meṉ tumheṉ yád kiyá kartá húṉ; 17ki hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ká Ḳhudá, jo jalál ká Báp
hai, tumheṉ apní pahchán meṉ hikmat aur mukáshafe kí rúh baḳhshe; 18aur tumháre dil kí áṉkheṉ raushan ho jáeṉ, táki tum ko
maʻlúm ho, ki us ke buláne se kaisí kuchh ummed hai, aur us kí mírás ke jalál
kí daulat muqaddasoṉ meṉ kaisí kuchh hai; 19aur ham ímán lánewáloṉ ke liye us kí baṛí qudrat kyá hí
behadd hai, us kí baṛí quwwat kí tásír ke muwáfiq, 20jo us ne Masíh meṉ kí, jab ki use murdoṉ meṉ se jilákar
apní dahiní taraf ásmání maqámoṉ par biṭháyá, 21aur har tarah kí hukúmat, aur iḳhtiyár, aur qudrat, aur
riyásat, aur har ek nám se bahut baland kiyá, jo na sirf is jahán meṉ, balki
ánewále jahán meṉ bhí liyá jáegá: 22aur sab kuchh us ke páṉwoṉ tale kar diyá, aur us ko sab
chízoṉ ká sardár banákar, kalísiyá ko de diyá; 23yih us ká badan hai, aur usí kí maʻmúrí jo har tarah se
sab ká maʻmúr karnewálá hai.
Amsál 16
: 16Hikmat ká husúl sone se bahut bihtar hai:
Aur fahm ká husúl chándí se bahut pasandída hai.
Amsál 8:10 (URDR55)
Chándí ko nahíṉ balki merí tarbiyat ko qubúl karo, Aur kundan se
baṛhkar ‘ilm ko.
Wá‘iz 7
: 11Hikmat ḳhúbí
meṉ mírás ke barábar hai; aur un ke liye jo súraj ko dekhte haiṉ ziyáda súdmand
hai. 12Kyúṉki hikmat waisí hí
panáhgáh hai, jaise rupaya; lekin ‘ilm kí ḳháss ḳhúbí yih hai, ki hikmat sáhib
i hikmat kí ján kí muháfiz hai.
Yaʻqúb 1
: 5Lekin agar tum meṉ se kisí
meṉ hikmat kí kamí ho, to Ḳhudá se máṉge, jo bagair malámat kiye sab ko faiyází
ke sáth detá hai; us ko di jáegí. 6Magar ímán
se máṉge, aur kuchh shakk na kare; kyúṉki shakk karnewálá samundar kí lahr kí
mánind hotá hai, jo hawá se bahtí aur uchhaltí hai. 7Aisá ádmí
yih na samjhe, ki mujhe Ḳhudáwand se kuchh milegá; 8wuh shaḳhs
dodilá hai, aur apní sárí bátoṉ meṉ beqiyám.
Amsál 2
: 6Kyúṉki Ḳhudáwand hikmat baḳhshtá hai,
‘Ilm o fahm usí ke muṉh se nikalte haiṉ.
1 Kurinthíoṉ 2:9 (URDR55)
balki jaisá likhá hai, waisá hí húá, ki Jo chízeṉ na áṉkhoṉ ne
dekhíṉ, na kánoṉ ne suníṉ, Na ádmí ke dil meṉ áíṉ, Wuh sab Ḳhudá ne apne
mahabbat rakhnewáloṉ ke liye taiyár kar díṉ
Yaʻqúb 3
: 17Magar jo
hikmat úpar se átí hai, awwal to wuh pák hotí hai, phir milansár, halím, aur
tarbiyatpizír, rahm aur achchhe phaloṉ se ladí húí, betarafdár, aur beriyá hotí
hai.
Ifisíoṉ 5
: 15Pas gaur se
dekho, ki kis tarah chalte ho; nádánoṉ kí tarah nahíṉ, balki dánáoṉ kí mánind
chalo; 16aur waqt ko ganímat jáno, kyúṉki din bure haiṉ. 17Is sabab se
nádán na bano, balki Ḳhudáwand kí marzí ko samjho, ki kyá hai.
Matí 5
: 13Tum zamín ke namak ho, lekin agar namak ká maza
játá rahe, to wuh kis chíz se namkín kiyá jáegá? Phir wuh kisí kám ká nahíṉ,
siwá is ke, ki báhar pheṉká jáe, aur ádmíoṉ ke páṉwoṉ ke níche rauṉdá jáe.
Kulussíoṉ 4
: 5Waqt ko
ganímat jánkar báharwáloṉ ke sáth hoshyárí se bartáo karo. 6Tumhárá
kalám hamesha aisá purfazl aur namkín ho, ki tumheṉ har shaḳhs ko munásib jawáb
dená á jáe.
Amsál 19
: 8Jo hikmat hásil
kartá hai apní ján ko ‘azíz rakhtá hai:
Jo fahm kí muháfizat kartá hai fáida uṭháegá.
लूका 21
: 14इसलिये अपने अपने मन में ठान रखो कि हम पहले से उत्तर देने की चिन्ता न
करेंगे।* 15क्योंकि मैं तुम्हें ऐसा बोल और बुद्धि दूँगा कि तुम्हारे सब विरोधी सामना या
खण्डन न कर सकेंगे।
क्या तुम नहीं जानते?
क्या तुमने नहीं सुना?
यहोवा सनातन परमेश्वर है,
वह पृथ्वी के छोर तक का
सृष्टिकर्ता है।
वह न थकेगा, न थकेगा,
और उसकी समझ को कोई नहीं
समझ सकता।
यशायाह 40:28
“क्योंकि मेरे विचार तुम्हारे विचार नहीं हैं, न ही तुम्हारे मार्ग मेरे
मार्ग हैं,” प्रभु की वाणी है। यशायाह 55:8
1 Kurinthíoṉ 2:11 (URDR55)
Kyúṉki insánoṉ meṉ se kaun kisí insán kí báteṉ jántá hai, siwá
insán kí apní rúh ke jo us meṉ hai? Isí tarah Ḳhudá kí Rúh ke siwá, koí Ḳhudá
kí báteṉ nahíṉ jántá.
Jo chízeṉ na áṉkhoṉ ne dekhíṉ, na kánoṉ ne suníṉ,
Na ádmí ke dil meṉ áíṉ,
Wuh sab Ḳhudá ne apne mahabbat rakhnewáloṉ ke liye taiyár
kar díṉ
10Lekin ham par Ḳhudá ne un
ko Rúh ke wasíle se záhir kiyá: kyúṉki Rúh sárí báteṉ, balki Ḳhudá kí tah kí
báteṉ bhí daryáft kar letí hai.
12Magar ham
ne na dunyá kí rúh, balki wuh rúh páí, jo Ḳhudá kí taraf se hai; táki un bátoṉ
ko jáneṉ, jo Ḳhudá ne hameṉ ʻináyat kí haiṉ. 13Aur ham ín
bátoṉ ko un alfáz meṉ nahíṉ bayán karte, jo insání hikmat ne ham ko sikháe hoṉ,
balki un alfáz meṉ, jo Rúh ne sikháe haiṉ; aur rúhání bátoṉ ká rúhání bátoṉ se
muqábala karte haiṉ. 14Magar nafsání ádmí Ḳhudá kí Rúh kí báteṉ qubúl
nahíṉ kartá, kyúṉki wuh us ke nazdík bewuqúfí kí báteṉ haiṉ; aur na wuh unheṉ
samajh saktá hai, kyúṉki wuh rúhání taur par parkhí játí haiṉ. 15Lekin
rúhání shaḳhs sab bátoṉ ko parakh letá hai, magar ḳhud kisí se parkhá nahíṉ
játá.
1 Kurinthíoṉ 2:16 (URDR55)
Ḳhudáwand kí ʻaql ko kis ne jáná, ki us ko taʻlím de sake? magar
ham meṉ Masíh kí ʻaql hai.
Romíoṉ 12:2 (URDR55)
Aur is jahán ke hamshakl na bano, balki ʻaql nayí ho jáne se
apní súrat badalte jáo; táki Ḳhudá kí nek aur pasandída aur kámi! marzí tajribe
se maʻlúm karte raho.
Ifisíoṉ 4:23 (URDR55)
aur apní ʻaql kí rúhání hálat meṉ naye bante jáo,
Ifisíoṉ 4:24 (URDR55)
aur nayí insáníyat ko pahino, jo Ḳhudá ke mutábiq sachcháí kí
rástbází aur pákízagí meṉ paidá kí gayí hai.
Kulussíoṉ 2
: 8Ḳhabardár,
koí shaḳhs tum ko us failsúfí aur láhásil fareb se shikár na kar le, jo insánoṉ
kí riwáyat aur dunyawí ibtidáí bátoṉ ke muwáfiq haiṉ, na Masíh ke
muwáfiq: 9kyúṉki Ulúhíyat kí sárí maʻmúrí usí meṉ mujassam
hokar sukúnat kartí hai, 10aur tum usí
meṉ maʻmúr ho gaye ho, jo sárí hukúmat aur iḳhtiyár ká sir hai: 11usí meṉ tumhárá
aisá ḳhatna húá, jo háth se nahíṉ hotá, yaʻní Masíh ká ḳhatna, jis se jismání
badan utárá játá hai; 12aur usí ke sáth baptisma meṉ dafn húe, aur is meṉ
Ḳhudá kí quwwat par ímán lákar, jis ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, us ke sáth jí
bhí uṭhe. 13Aur us ne tumheṉ bhí, jo apne qusúroṉ aur jism kí
námakhtúní ke sabab se murda the, us ke sáth zinda kiyá, aur hamáre sab qusúr
muʻáf kiye; 14aur hukmoṉ kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre
nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá
diyá: 15us ne hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se
utárkar un ká barmalá tamásha banáyá, aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká
shádiyána bajáyá.
Comments
Post a Comment