Aaj hum Hebrew yani
bible ki mol bhasah usmen se sikhne ja
rahen hai
Jo humare paas
majuda apni juban men khuda ka
kalam hai uski madad se
Punjabi men pehle kitab ko utpat kehte hain
Or English men gensis
Or urdu men padiash
Magar Hebrew men jo
bible ki mol bhasha hi usmen bereshet
Kehte hain
Ibrani yani Hebrew jo hai wuh right side se left side ko
padi jati hai
Yani dahine hath se bayen hath ko
Saje hath to kabhe hath tak
Magar ismen ek or khaas baat hai
Hebrew shabad hai jo wuh humari jo ankh usmen side dikhe dite
Hain likhe men dayen se bayen hain
Magar humari ankh jo iski tasveer banti hai
Wuh uska ulta partbib bnta hai yani reflaction
Bereshit ka matlab hai shuru shuruaat
Starting
Abhi jo ibrani juban hai ye sign language hai
Yani nishan ki bhashat hai tasveero ki bhasha
Or har tasveer ka matlab hai
Or jab ek tasveer ko dusri tasveer ke sath joda jata hai to wuh gawahi deti hai
Kyu ki humari jo insaani aql hai samjh wuh tasveero ke
jariye hi hi baat ko samjhtii hai
Yaad rakh pati or yaadasht men tasveere hi hoten hain yani yaden or yaadon men khaas pal ki
tasvere hoti hain
होशे 12
: 10मैं ने भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा बातें कीं, और बार बार दर्शन देता रहा; और भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा दृष्टान्त कहता आया हूँ।
गिनती 12
: 6तब यहोवा ने कहा, “मेरी बातें सुनो : यदि तुम में कोई नबी हो, तो उस पर मैं यहोवा दर्शन के द्वारा अपने आप को प्रगट करूँगा, या स्वप्न में उससे बातें करूँगा।
Aiyúb 33
: 14Kyúṉki Ḳhudá ek bár boltá hai,
Balki do bár, ḳhwáh insán is
ká ḳhayál na kare.
15Ḳhwáb meṉ, rát kí royá meṉ,
Jab logoṉ ko gahrí níṉd átí
hai,
Aur bistar par sote waqt;
16Tab wuh logoṉ ke kán kholtá hai,
Aur un kí ta‘lím par muhr
lagátá hai.

Abhi shuruaat do tarah ki ek jismani hai or dusri ruhani
Yani ruhani niyat or jismani niyat
Pehla adam zamini tha
jismani tha
Or dusra adam ruhani hai
To agar to hum jism ke mutabik jismani niyat ke muabat
jismani khawahish ki mutabik
Zindghi guzar rahen yani humari shuraat jismani hai
To humara jo bershit hai yani starting point hai wuh phie
pehla adam hai
Jo zimini tha jismani tha
Uska ant saLEEB HAI
‘
Pehla shebed hai bet
jiski numerical value hai -2
Bet kya hai bet tasveer hai ghar ki
Bet hai house
Yúhanná 1
1Ibtidá meṉ Kalám thá, aur Kalám Ḳhudá ke
sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá. 2Yihí ibtidá meṉ Ḳhudá ke
sáth thá. 3Sárí chízeṉ us ke wasíle se paidá húíṉ; aur
jo kuchh paidá húá hai, us meṉ se koí chíz bhí us ke bagair paidá nahíṉ
húí.
Paidáish 1
1Ḳhudá ne ibtidá meṉ zamín o ásmán ko paidá
kiyá.
Paidáish 2
: 4Yih hai ásmán aur zamín kí
paidáish, jab wuh ḳhalq húe, jis din Ḳhudáwand Ḳhudá
ne zamín aur ásmán ko banáyá.
ʻIbrá Níoṉ 11
: 3Ímán hí se
ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ;
Yani ibrani men bet yani ghar bnaya
Paidáish 2
: 7Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne zamín kí miṭṭí
se insán ko banáyá, aur us ke nathnoṉ meṉ zindagí ká dam phúṉká; to insán jítí
ján húá. 8Aur Ḳhudáwand Ḳhudá
ne mashriq kí taraf ‘Adan meṉ ek bág̣ lagáyá; aur insán ko, jise us ne banáyá
thá, waháṉ rakkhá.
Yani bet yani ghar men rakha
Khuda ke ghar men
Paidáish 2
: 15Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam ko lekar
bág̣ i ‘Adan meṉ rakkhá, ki us kí bág̣bání aur nigahbání kare. 16Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam ko hukm
diyá aur kahá, ki Tú bág̣ ke har daraḳht ká phal be rok ṭok khá saktá
hai: 17lekin nek o bad kí pahchán ke daraḳht ká kabhí na
kháná: kyúṉki jis roz tú ne us meṉ se kháyá, tú mará.
Paidáish 3
: 6‘Aurat ne
jo dekhá, ki wuh daraḳht kháne ke liye achchhá, aur áṉkhoṉ ko ḳhushnumá ma‘lúm
hotá hai, aur ‘aql baḳhshne ke liye ḳhúb hai, to us ke phal meṉ se liyá, aur
kháyá; aur apne shauhar ko bhí diyá, aur us ne kháyá.
22Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne kahá, Dekho,
insán nek o bad kí pahchán meṉ ham meṉ se ek kí mánind ho gayá:
'is liye Ḳhudáwand Ḳhudá ne us ko bág i ‘Adan se
báhar kar diyá, táki wuh us zamín kí, jis meṉ se wuh liyá gayá thá, khetí kare.
'
Paidáish 3:23
1 Kurinthíoṉ 15
: 45Chunáṉchi
likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná47Pahlá ádmí
zamín se, yaʻní ḳhákí, thá:
'Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ;
1 Kurinthíoṉ 15:48
Yúhanná 3:6 (URDR55)
Jo jism se paidá húá hai, jism hai,
Jismani niyat maut hai
Jism ke mutabik zindghi guzaro ge to jaroor hi maroge
Jism ruh ke khilaf khwahish karta hai
Or jo jismani hain wuh khuda ko khush nahi kar skate
Purani shirshat zamin jismani adam men shuru hoto hai
Or saleeb par
jismani maut ke tar par khatam hoti
Hai
Or jo koi lakd par
latkaya wuh lanti hai
Paidáish 3
: 22Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne kahá, Dekho,
insán nek o bad kí pahchán meṉ ham meṉ se ek kí mánind ho gayá:
23is
liye Ḳhudáwand Ḳhudá ne
us ko bág i ‘Adan se báhar kar diyá, táki wuh us zamín kí, jis meṉ se wuh liyá
gayá thá, khetí kare. 24Chunáṉchi us ne Ádam ko nikál diyá; aur bág i
‘Adan ke mashriq kí taraf karúbíoṉ ko aur chaugird ghúmnewálí shu‘lazan talwár
ko rakkhá, ki wuh zindagí ke daraḳht kí ráh kí hifázat kareṉ.
Romíoṉ 5
: 19Kyúṉki jis tarah ek hí
shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre,
Romíoṉ 5
: 12Pas jis tarah ek ádmí ke
sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab
ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá —
. Romíoṉ 5
: 14Táham Ádam
se lekar Músá tak maut ne un par bhí bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí
náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá, gunáh na kiyá thá.
Or purana ghar yani purani shirshak ghar zamini jismani
niyat ka ghar
Pehle adam ka ghar
Dusra shabad hai
Resh resh ki tasveerr hai admi ka sir
Yani head leader to pehla jo head tha wuh jiminy tha jismani
tha usne sab sab zaminiyon ko gunah ke matahat kardiya
Yani khuda ke ghar ka leader
or khuda ne zamin jismani adam ko
mukhtar banaya apni manind
Ikhtyaar diya
Paidáish 1
: 27 Aur Ḳhudá ne insán ko apní súrat par paidá
kiyá, Ḳhudá ki súrat par us ko paidá kiyá; nar o nárí un ko paidá kiyá. 28Aur Ḳhudá
ne un ko barakat dí, aur kahá, ki Phalo, aur baṛho, aur zamín ko ma‘múr o
mahkúm karo: aur samundar kí machhliyoṉ, aur hawá ke parandoṉ, aur kull jánwaroṉ
par jo zamín par chalte haiṉ, iḳhtiyár rakkho.
1 Kurinthíoṉ 11
: 3Pas maiṉ
tumheṉ ágáh karná cháhtá húṉ, ki har mard ká sir Masíh, aur ʻaurat ká sir mard,
aur Masíh ká sir Ḳhudá hai.
Magar ye zamini jismani adam ke sabab se zmin
lanti hui
Or isne sab adam zad ko khuda ke ghar se kharij
karwaya kiske sabab se
Nafarmani ke sabab se yani hukam ko pura na karne
ke sabab se
Or aurat ki baat manne ke sbaab se or aurat bhekai gai chalak sanp
yani gunah ke sabad se
To inho ne sab ko gunah ke matahat kardiya
Khuda ke ghar se khariz karwaya or yahi
Or inhi ke wasile maut ayai or yun sab admiyon men phel gai
Inki shuraat iman ke ruh se ibtidai kalam se
shuru hoya or khuda ne ikhtyar dia
or adam ke
nathno men zindghi ka dam phonka or dam
ibrani men kehte hain khun ko
magar adam se age
naframani ki wazah se gunah maut lanat men badal diya
or khuda se ghar se kharij karwaya door kiya
or saleeb tak leke aya
yani saleeb maut tak
yani pehla adam yani purani shirshat
iman men shuru hui zanidghi ka dam phonka adam ke
nathno men khudwand khuda ne jismani
adam or aurat ko lekar
inke wasile gunah aya or gunah wasile maut ayi
Romíoṉ 5:12 (URDR55)
Pas jis tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh
ke sabab maut áí, aur yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne
gunáh kiyá —
Or ye hua kyu khwahish ki
wazah se ankho ki abhilasha ki wazah se
Yaʻqúb 1:15 (URDR55)
Phir ḳhwáhish hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab
baṛh chuká to maut paidá kartá hai.
Paidáish 3
: 6‘Aurat ne
jo dekhá, ki wuh daraḳht kháne ke liye achchhá, aur áṉkhoṉ ko ḳhushnumá ma‘lúm
hotá hai, aur ‘aql baḳhshne ke liye ḳhúb hai, to us ke phal meṉ se liyá, aur
kháyá; aur apne shauhar ko bhí diyá, aur us ne kháyá. 7Tab donoṉ
kí áṉkheṉ khul gayíṉ, aur un ko ma‘lúm húá ki wuh nange haiṉ;
Maut aur lanat
ka nishan hai tav yani saleeb
Purani shrishat ke mutabik pehle adam men jo paida ki gai
Istisná 21
: 22Aur agar
kisí ne koí aisá gunáh kiyá ho, jis se us ká qatl wájib ho, aur tum use márkar
daraḳht se ṭáṉg do;
Galatíoṉ 3
: 22Magar kitáb
i muqaddas ne sab ko gunáh ká mátaht kar diyá, táki wuh waʻda jo Yisúʻ Masíh
par ímán láne par mauqúf hai, ímándároṉ ke haqq meṉ púrá kiyá jáe.
Romíoṉ 5
: 'Aur jaisá ek shaḳhs ke gunáh karne ká anjám
húá, kyúṉki ek hí ke sabab se wuh faisala húá, jis ká natíja sazá ká hukm thá:
'Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr ke sabab maut ne
us ek ke zaríʻe se bádsháhí kí;
Romíoṉ 5:17
12Pas jis
tarah ek ádmí ke sabab se gunáh dunyá meṉ áyá, aur gunáh ke sabab maut áí, aur
yúṉ maut sab ádmíoṉ meṉ phail gayí, is liye ki sab ne gunáh kiyá —
18G̣araz,
jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká
hukm thá;
Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr
se bahut se ádmí mar gaye,
Romíoṉ 5
: 20Aur bích meṉ
sharíʻat á maujúd húí, táki qusúr ziyáda ho jáe; magar jaháṉ gunáh ziyáda
húá, 14Táham Ádam se lekar Músá tak maut ne un par bhí
bádsháhí kí, jinhoṉ ne us Ádam kí náfarmání kí tarah, jo ánewále ká misl thá,
gunáh na kiyá thá.
Romíoṉ 5:16
Ab saleeb se masih yisu ke wasile humari ghar
wapsi hoti hai
Yani khuda ke ghar men vapsi hoti hai ruhani niay
men
. 1 Kurinthíoṉ 15:45
Pichhlá
Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. '
dúsrá ádmí ásmání hai. '
1 Kurinthíoṉ 15:47
Yúhanná 6
: 63Zinda
karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí
haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ.
. Kyúṉki jab ek shaḳhs ke qusúr se bahut se ádmí
mar gaye, to Ḳhudá ká fazl aur us kí jo baḳhshish ek hí ádmí, yaʻní Yisúʻ Masíh
ke fazl se paidá húí, bahut se ádmíoṉ par zarúr hí ifrát se názil húí. '
Romíoṉ 5:15
magar bahutere qusúroṉ se aisí niʻmat paidá húí,
jis ká natíja yih húá ki log rástbáz ṭhahre. '
Romíoṉ 5:16
to jo log fazl aur rástbází kí
baḳhshish ifrát se hásil karte haiṉ, wuh ek shaḳhs, yaʻní Yisúʻ Masíh ke wasíle
se, hamesha kí zindagí meṉ zarúr hí bádsháhí kareṉge.
'G̣araz, jaisá ki ek qusúr ke sabab wuh faisala
húá, jis ká natíja sab ádmíoṉ kí sazá ká hukm thá; waisá hí rástbází ke ek kám
ke wasíle se sab ádmíoṉ ko wuh niʻmat milí, jis se rástbáz ṭhahrke zindagí páeṉ.
'
Romíoṉ 5:18
usí tarah fazl bhí, hamáre Ḳhudáwand
Yisúʻ Masíh ke wasíle sé, hamesha kí zindagí ke liye, rástbází ke zaríʻe se
bádsháhí kare.
1 Kurinthíoṉ
15:21 (URDR55)
Kyúṉki jab ádmí ke sabab se maut áí, to ádmí hí ke sabab se
murdoṉ kí qiyámat bhí áí;
1 Kurinthíoṉ
15:22 (URDR55)
aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda
kiye jáeṉge.
Filippíoṉ 2
: Waisá hí
mizáj rakkho, jaisá Masíh Yisúʻ ká bhí thá: 6us ne
agarchi Ḳhudá kí súrat par thá, Ḳhudá ke barábar hone ko qabze meṉ rakhne kí
chíz na samjhá, 7balki apne
áp ko ḳháli kar diyá, aur ḳhádim kí súrat iḳhtiyár kí, aur insánoṉ ke mushábih
ho gayá; 8aur insání
shakl meṉ záhir hokar apne áp ko past kar diyá, aur yaháṉ tak farmánbardár
rahá, ki maut, balki salíbí maut, gawárá kí.
Galatíoṉ 3
: 13Masíh jo
hamáre liye laʻnatí baná, us ne hameṉ mol lekar sharíʻat kí laʻnat se chhuṛáyá:
kyúṉki likhá hai, ki Jo koí lakṛí par laṭkáyá gayá, wuh laʻnatí hai: 14táki Masíh
Yisúʻ meṉ Ibráhím kí barakat gairqaumoṉ tak bhí pahuṉche; aur ham ímán ke
wasíle se us Rúh ko hásil kareṉ, jis ká waʻda húá hai.
Romíoṉ 8
1Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par
sazá ká hukm nahíṉ. 2Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh
Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá. 3Is liye ki jo kám shariʻat,
jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe
ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ
gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham
meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ.

2 Tímuthiyus 1
: 10magar ab hamáre Munjí
Masíh Yisúʻ ke zuhúr se záhir húá, jis ne maut ko nest, aur zindagí aur baqá ko
us ḳhushḳhabarí ke wasíle se raushan kar diyá,
1 Kurinthíoṉ 15
: 55Ai maut,
terí fath kaháṉ rahí? Ai maut, terá ḍank kaháṉ rahá? 56Maut ká ḍank
gunáh hai; aur gunáh ká zor sharíʻat hai: 57magar Ḳhudá
ká shukr hai, jo hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se ham ko fath baḳhshtá
hai.
1 Kurinthíoṉ 15
: 3Chunáṉchi
maiṉ ne sab se pahle tum ko wuhí bát pahuṉchá dí, jo mujhe pahuṉchí thí, ki
Masíh kitáb i muqaddas ke bamújib hamáre gunáhoṉ ke liye múá; 4aur dafn
húá; aur tísre din kitáb i muqaddas ke bamújib jí uṭhá;
'Kyúṉki Masíh us háth ke banáe húe pák makán meṉ dáḳhil nahíṉ
húá, jo haqíqí pák makán ká namúna hai, balki ásmán hí meṉ dáḳhil húá; táki ab Ḳhudá
ke rúbarú hamárí ḳhátir házir ho: '
ʻIbrá Níoṉ 9:24
Ifisíoṉ 2
1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne
qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí
rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí
karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab
pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde
púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the:
— 4magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us
baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, 5jab qusúroṉ ke sabab murda
hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí
hai,) 6aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth
jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá; 7táki wuh apní us mihrbání
se, jo Masíh Yisúʻ meṉ ham par hai, ánewále zamánoṉ meṉ apne fazl kí beniháyat
daulat dikháe: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se
naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: 9aur na aʻmál ke sabab se
hai, táki koí faḳhr na kare. 10Kyúṉ-ki ham usí kí karígarí
haiṉ, aur Masíh Yisúʻ meṉ un nek ʻamál ke wáste maḳhlúq húe, jin ko Ḳhudá ne
pahle se hamáre karne ke liye taiyár kiyá thá.
11Pas yád karo, ki tum jo jism ke rú se
gairqaumwále ho — aur wuh log jo jism meṉ háth se kiye húe ḳhatne ke sabab maḳhtún
kahláte haiṉ, tum ko námaḳhtún kahte haiṉ — 12agle zamáne meṉ Masíh se
judá, aur Isráíl kí saltanat se ḳhárij, aur waʻde ke ʻahdoṉ se náwáqif, aur
náummed, aur dunyá meṉ Ḳhudá se ʻaláhida the. 13Magar tum jo pahle dúr the,
ab Masíh Yisúʻ meṉ Masíh ke ḳhún ke sabab se nazdík ho gaye ho. 14Kyúṉki wuhí hamárí sulh hai,
jis ne donoṉ ko ek kar liyá, aur judáí kí díwár ko jo bích meṉ thí, ḍhá
diyá; 15chunáṉchi us ne apne jism ke zaríʻe se
dushmaní, yaʻní wuh sharíʻat jis ke hukm zábitoṉ ke taur par the, mauqúf kar
dí; táki donoṉ se apne áp meṉ ek nayá insán paidá karke sulh kará de; 16aur salíb par dushmaní ko miṭákar,
aur us ke sabab se donoṉ ko ek tan banákar, Ḳhudá se miláe; 17aur us ne ákar, tumheṉ jo
dúr the, aur unheṉ jo nazdík the, donoṉ ko sulh kí ḳhushḳhabarí dí: 18kyúṉki us hí ke wasíle se
ham donoṉ kí ek hí Rúh meṉ Báp ke pás rasáí hotí hai. 19Pas ab tum pardesí aur
musáfir nahíṉ rahe, balki muqaddasoṉ ke hamwatan aur Ḳhudá ke gharáne ke ho
gaye, 20aur rasúloṉ aur nabíoṉ kí neo par, jis ke
kone ke sire ká patthar ḳhud Masíh Yisúʻ hai, taʻmír kiye gaye ho; 21usí meṉ har ek ʻimárat mil
milákar Ḳhudáwand meṉ ek pák maqdis bantí játí hai; 22aur tum bhí us meṉ báham
taʻmír kiye játe ho, táki Rúh meṉ Ḳhudá ká maskan bano.
Matí 17
1Chha din ke baʻd Yisúʻ ne Patras aur Yaʻqúb
aur us ke bháí Yúhanná ko hamráh liyá, aur unheṉ ek úṉche pahár par alag le
gayá; 2aur un ke sámne us kí súrat badal gayí; aur
us ká chihra súraj kí mánind chamká, aur us kí poshák núr kí mánind safed ho
gayí. 3Aur dekho, Músá aur Eliyyáh us ke sáth báteṉ
karte húe unheṉ dikhái diye. 4Patras ne Yisúʻ se kahá; Aí Ḳhudáwand,
hamárá yaháṉ rahná achchhá hai; marzí ho, to maiṉ yaháṉ tín ḍere banáúṉ, ek
tere liye, ek Músá ke liye, ek Eliyyáh ke liye. 5Wuh bol hí rahá thá, ki
dekho, ek núrání bádal ne un par sáya kar liyá, aur dekho, us bádal meṉ se áwáz
áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ; is kí suno. 6Shágird yih sunkar muṉh ke
bal gire, aur bahut hí dare. 7Yisúʻ ne pás ákar unheṉ
chhúá, aur kahá, ki Uṭho, aur ḍaro nahíṉ. 8Jab unhoṉ ne apní áṉkheṉ uṭháíṉ,
to ek Yisúʻ ke siwá âur kisí ko na dekhá.
Zabúr 127
: 1Agar Ḳhudáwand hí
ghar na banáe,
To banánewáloṉ kí mihnat
‘abas hai:
Aʻmál 7
: 47Magar Sulaímán ne us ke liye ghar banáyá. 48Lekin Bárí Taʻála háth ke banáe húe gharoṉ meṉ nahíṉ rahtá;
chunáṉchi nabí kahtá hai, ki
49Ḳhudáwand farmátá hai;
Ásmán merá taḳht,
Aur zamín mere páṉw tale kí
chaukí hai:
Tum mere liye kaisá ghar
banáoge,
Yá merí árámgáh kaun sí hai?
50Kyá yih sab chízeṉ mere háth se nahíṉ baníṉ?
Aʻmál 17
: 24Jis Ḳhudá
ne dunyá aur us kí sárí chízoṉ ko paidá kiyá, wuh ásmán aur zamín ká Málik
hokar, háth ke banáe húe mandiroṉ meṉ nahíṉ rahtá; 25na kisí
chíz ká muhtáj hokar, ádmíoṉ ke háthoṉ se ḳhidmat letá hai, kyúṉki wuh to ḳhud
sab ko zindagí aur sáṉs aur sab kuchh detá hai;
ʻIbrá Níoṉ 3
1Pas, ai pák bháiyo, tum jo ásmání buláwe meṉ
sharík ho, us Rasúl aur Sardár Káhin Yisúʻ par gaur karo, jis ká ham iqrár
karte haiṉ; 2jo apne muqarrar karnewále ke haqq meṉ
diyánatdár thá, jis tarah ki Músá us ke sáre ghar meṉ thá. 3Kyúṉki wuh Músá se is qadr
ziyáda ʻizzat ke láiq samjhá gayá, jis qadr ghar ká banánewálá ghar se ziyáda
ʻizzatdár hotá hai. 4Chunáṉchi har ek ghar ká koí na koí
banánewálá hotá hai, magar jis ne sab chízeṉ banáíṉ, wuh Ḳhudá hai. 5Músá to us ke sáre ghar meṉ ḳhádim
kí tarah diyánatdár rahá, táki áyanda bayán honewálí bátoṉ kí gawáhí de; 6lekin Masíh beṭe kí tarah us
ke ghar ká muḳhtár hai, aur us ká ghar ham haiṉ,
1 Kurinthíoṉ 3
: 16Kyá tum
nahíṉ jánte, ki tum Ḳhudá ká maqdis ho, aur Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí
hai?
1 Kurinthíoṉ 6
: 19Kyá tum
nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká maqdis hai, jo tum meṉ basá húá
hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai? aur tum apne nahíṉ; 20kyúṉki
qímat se ḳharíde gaye ho: pas apne badan se Ḳhudá ká jalál záhir karo.
, 1 Patras 2
: 5tum bhí
zinda pattharoṉ kí tarah rúhání ghar bante játe ho, táki káhinoṉ ká muqaddas
firqa bankar, aisí rúhání qurbáníáṉ chaṛháo, jo Yisúʻ Masíh ke wasíle se Ḳhudá
ke nazdík maqbúl hotí haiṉ.
Comments
Post a Comment