Skip to main content

le ladhakh or chte bache ka sapna dream

 to biti raat  main sapna dekha hai ki 

mera ek chota bacha hai sapne 

men ur uska mujhse or meri usse bauht mahobbat jaise bap bete ki ur jaise ek bacha pehli bar papa bolta hai usne papa bola yani 

bete ki ruh spirit of christ jo hai 

wuh bacha uski tamsil  hai 

Romíoṉ 8:15 (URDR55)

Kyúṉki tum ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ.

Galatíoṉ 4:6 (URDR55)

Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai.


to main or wuh bacha or mere nanu jo pure 70 ki umar ke  faut hui khuda men zinda hain 

wuh tamsil hain bzaurag khuda baap ki 

or wahan par ek ek 

high rank police officer ata jo apna prichey yani intro deta hai mujhe 

ki main le leadhak se aya hun o mere naam bhi le ladhak hai 

main usse kehta wuh wala le ladhak jo bauht khubsurat hai 

hai ji han wuhi 

to le ladhak mtlab ucha sahthan 

लद्दाख को अक्सर "धरती का स्वर्ग" कहा जाता है।

लेह लद्दाख भारत का एक केंद्र शासित प्रदेश है,

लद्दाख एक उच्च ऊंचाई वाला क्षेत्र है

to atmicta men wuh swargiye sthano se high rank officer hai 

jo humari protection ke liye hai 

yani 

ʻIbrá Níoṉ 4

:  16Pas áo, ham fazl ke taḳht ke pás dilerí se chaleṉ,

to main is iman ke sath chalta hun ki masih yisu ka fazl or khuda ki ruh mujhpar hai 

to jab main chalta hun to main is iman se chalta hun ki main masih hun 

main jab chalta hun to is iman se chalta hun ki  swarag chal raha 

kyu khuda ko swarg ki jarorat nhi khuda jahan apna rehna baithna pasand karte hain 

wuhi sathan swarag men badal jata hai 

kyu ki khuda ke bina swarag bhi pak nahi 

likha main pak is liye tum pak ho 

pakizagi wahan yaha khuda hai 

to khda wahan hai jaha iman ke sath anugreh hai 

or masih yesu ka fazl mujhe par hai khuda ki ruh mujhe par hai 

or jaha khuda hai wuh sthan yani mera badan jism ruh swarag men tabdil ho jata hai 

isi liye mere irada high rank officier hain 

ek kamra hai jo zamin yani khalara ki zamin par deh raha hai  jo zamin madas hai 

wuh deh raha hai 

19

Yúhanná 2

: Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Is maqdis ko ḍhá do, to maiṉ use tín din meṉ khaṛá kar dúṉgá.

kehne ka mtlab khuda mere badan ko apna chema bana chuka hai 

ʻIbrá Níoṉ 3

: 4Chunáṉchi har ek ghar ká koí na koí banánewálá hotá hai, magar jis ne sab chízeṉ banáíṉ, wuh Ḳhudá hai. 

6lekin Masíh beṭe kí tarah us ke ghar ká muḳhtár hai, aur us ká ghar ham haiṉ, basharte ki apní dilerí aur ummed ká faḳhr áḳhir tak mazbútí se qáim rakkheṉ.

yani ab ye badan khuda ke khema ho chuka hai 

yani bet el 

anigreh ka ghar 

jis tarah wuh masih men reh kar apne kam kiye 

ab mujhe reh kar apne kam kare ga 

'Maiṉ aur Báp ek haiṉ. '


Yúhanná 10:30

https://www.bible.com/bible/1553/JHN.10.30

Yúhanná 14

: 10Kyá tú yaqín nahíṉ kartá, ki maiṉ Báp meṉ húṉ, aur Báp mujh meṉ hai? Yih báteṉ jo maiṉ tum se kahtá húṉ, apní taraf se nahíṉ kahtá: lekin Báp mujh meṉ rahkar apne kám kartá hai. 11Merá yaqín karo, ki maiṉ Báp meṉ húṉ, aur Báp mujh meṉ; nahíṉ to mere kámoṉ hí ke sabab merá yaqín karo.

Yúhanná 17

: 22Aur wuh jalál jo tú ne mujhe diyá hai, maiṉ ne unheṉ diyá hai, táki wuh ek hoṉ, jaise ham ek haiṉ; 23maiṉ un meṉ, aur tú mujh meṉ, táki wuh kámil hokar ek ho jáeṉ, aur dunyá jáne ki tú hí ne mujhe bhejá, aur jis tarah ki tú ne mujh se mahabbat rakkhí, un se bhí mahabbat rakkhí. 24Ai Báp, maiṉ cháhtá húṉ ki jinheṉ tú ne mujhe diyá hai, jaháṉ maiṉ húṉ, wuh bhí mere sáth hoṉ; táki mere us jalál ko dekheṉ, jo tú ne mujhe diyá hai: kyúṉki tú ne biná e ʻálam ke peshtar mujh se mahabbat rakkhí. 




Comments

Popular posts from this blog

baap ke sath hain

  Aaj topic aaj jo visha hai Ki hum baap ke sath masih yesu ke wasile masih yesu se aur masih yesu men Aasman par baap ki dhini tarf bête ke wasile    baap ke sath hain Mukáshafa 2; 29 Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.   I Kurinthíoṉ 15; 22 aur jaise Ádam meṉ sab marte haiṉ, waise hí Masíh meṉ sab zinda kiye jáeṉge. I Kurinthíoṉ 15;42 Jism faná kí hálat meṉ boyá játá hai; aur baqá kí hálat meṉ jí uṭhtá hai: kamzorí kí hálat meṉ boyá játá hai; aur quwwat kí hálat meṉ jí uṭhtá hai:  44 nafsání jism boyá játá hai; aur rúhání jism jí uṭhtá hai. Jab nafsání jism hai, to rúhání jism bhí hai. 45 Chunáṉchi likhá bhí hai, ki Pahlá ádmí, yaʻní Ádam, zinda nafs baná. Pichhlá Ádam zindagí baḳhshnewálí rúh baná. 46Lekin rúhání pahle na thá, balki nafsání thá; is ke baʻd rúhání húá. 47Pahlá ádmí zamín se, yaʻní ḳhákí, thá: dúsrá ádmí ásmání hai. 48Jaisá wuh ḳhákí thá, waise hí âur ḳhákí bhí haiṉ; aur jaisá wuh ásmání ...

Sabr

  ·          Habaqqúq 3:16 (URDR55) Maiṉ ne suná, aur merá dil dahal gayá; Us shor ke sabab se mere hoṉṭh hilne lage: Merí haḍḍiyáṉ bosída ho gayíṉ: Aur maiṉ khaṛe khaṛe káṉpne lagá, Lekin maiṉ  sabr  se un ke bure din ká muntazir húṉ, Jo ikaṭṭhe hokar ham par hamla karte haiṉ. Shalom al khm Masih yesu men aapki salamti ho, aaj hum khuda ruh ki madad se aur kalam haq se sikhne walen hain, sabr   jo yesu par iman   laine walon iman men chalne walo ke liye rasti ka pehla hathyaar haiiman ka darkht sabr ke pani   se phal   lata hai, ,jiska azr sabr ke ruh se maine khud apni zindghi men paya   I Tímuthiyus 6; 11 Magar, ai mard i Ḳhudá,: aur rástbází, díndárí, ímán, mahabbat, sabr, aur hilm ká tálib ho.  12 Iʹmán kí achchhí kushtí laṛ, .   Romíoṉ 15;4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí   taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se um...

frishto ka bhi kalaam na sunee

  ʻIBRÁ NÍO Ṉ 1 1 Agle zamáne me ṉ Ḳ hudá ne bápdádá se hissa ba hissa aur tarah ba tarah nabío ṉ kí maʻrifat kalám karke, 2is zamáne ke á ḳ hir me ṉ ham se Be ṭ e kí maʻrifat kalám kiyá, jise us ne sárí chízo ṉ ká wáris ṭ hahráyá, aur jis ke wasíle se us ne ʻálam bhí paidá kiye; 3wuh us ke jalál ká partau, aur us kí zát ká naqsh hokar, sab chízo ṉ ko apní qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh gunáho ṉ ko dhokar ʻálam i bálá par Kibriyá kí dahiní taraf já bai ṭ há; 4aur firishto ṉ se isí qadr buzurg ho gayá, jis qadr us ne mírás me ṉ un se afzal nám páyá. 5Kyú ṉ ki firishto ṉ me ṉ se us ne kab kisí se kahá, ki Tú merá Be ṭ á hai, Áj tú mujh se paidá húá? Aur phir yih, ki Mai ṉ us ká Báp hú ṉ gá, Aur wuh merá Be ṭ á hogá? 6Aur jab pahlau ṭ he ko dunyá me ṉ phir látá hai, to kahtá hai, ki Ḳ hudá ke sab firishte use sijda kare ṉ . 7Aur firishto ṉ kí bábat yih kahtá hai, ki Wuh apne firishto ṉ ko hawáe ṉ , Aur apne ḳ hádimo ṉ k...