IBRANI MEN YANI HEBREW MEN
SHIMSHON
YE DO SHABAD HAIN
shim-shon
SHIM ATA HAI
The Hebrew word for
"sun" is shemesh (שמש). It's
pronounced as "SHEM-esh
JISKA MATLAB HAI SUN YANI
SURAJ
OR SHON KA MTLAN HAI
हिब्रू में, "शोन" (שׁוֹן) का अर्थ है "उपहार"।
। शोन नाम जॉन का एक रूप भी हो है, जो एक हिब्रू नाम है
जिसका अर्थ है "ईश्वर दयालु है"।
Yúhanná 5
; 35Wuh jaltá
aur chamaktá húá chirág thá; aur tum ko kuchh ʻarse tak us kí raushní meṉ ḳhush
rahná manzúr húá.
YUHANA BAPTISHMA DENE WALA ZACHKRIYA
KAHIN OR ILISHBA JO BANJH THI USKA BETA USKE HAQ MEN YISU NE KAHA JO
SAMSUN KE NAAM KA TARJUMA HAI
Zabúr
127:3 (URDR55)
Dekho, aulád Ḳhudáwand kí taraf se mírás hai; Aur peṭ ká phal
usí kí taraf se ajr hai.
Romíoṉ 4:16 (URDR55)
Isí wáste wuh mírás ímán se miltí hai, táki fazl ke taur par
ho,
भजन संहिता 84
: 11क्योंकि यहोवा
परमेश्वर सूर्य और ढाल है;
यहोवा अनुग्रह
करेगा, और महिमा देगा;
यूहन्ना बपतिस्मा
देनेवाले और शिमशोन के जन्म में समानताएँ MILTI HAIN हैं
Quzát 13
: 2Aur Dáníoṉ
ke gharáne meṉ Sur‘ah ká ek shaḳhs thá, jis ká nám Manoha thá
हिब्रू शब्द מָנ֑וֹחַ (manoach) का अर्थ है "आराम" या "आराम का स्थान"
. Us kí bíwí báṉjh thí, so us ke koí bachcha na
húá. 3Aur Ḳhudáwand ke
firishte ne us ‘aurat ko dikháí dekar us se kahá, Dekh, tú báṉjh hai, aur tere
bachcha nahíṉ hotá: par tú hámila hogí, aur tere beṭá hogá. 4So ḳhabardár,
mai yá nashe kí chíz na píná, aur na koí nápák chíz kháná. 5Kyúṉki
dekh, tú hámila hogí, aur tere beṭá hogá; us ke sir par kabhí ustura na phire;
is liye ki wuh laṛká peṭ hí se Ḳhudá ká nazír hogá; aur wuh Isráílíoṉ ko
Filistíoṉ ke háth se riháí dená shurú‘ karegá.
Lúqá 1
: 5Yahúdiya ke
bádsháh Herodes ke zamáne meṉ Abiyyáh ke faríq meṉ se Zakaryáh nám ek káhin
thá, aur us kí bíwí Hárún kí aulád meṉ se thí, aur us ká nám Ilíshibaʻ
thá. 6Aur wuh donoṉ Ḳhudá ke
huzúr rástbáz aur Ḳhudáwand ke sáre hukmoṉ aur qánúnoṉ par beʻaib chalnewále
the. 7Aur un ke aulád na thí,
kyúṉki Ilíshibaʻ báṉjh thí, aur donoṉ ʻumr rasída the.
8Jab wuh Ḳhudá ke
huzúr apne faríq kí bárí par kahánat ká kám anjám detá thá, to aisá húá 9ki kahánat ke dastúr ke
muwáfiq us ke nám ká qurʻa niklá, ki Ḳhudáwand ke maqdis meṉ jákar ḳhushbú
jaláe: 10aur logoṉ kí sárí jamáʻat
ḳhushbú jaláte waqt báhar duʻá máṉg rahí thí, 11ki Ḳhudáwand ká fírishta
ḳhushbú ke mazbah kí dahiní taraf khaṛá húá us ko dikháí diyá. 12Aur Zakaryáh dekhkar
ghabráyá aur us par dahshat chhá gayí. 13Magar firishte ne
us se kahá: Ai Zakaryáh, ḳhauf na kar; kyúṉki terí duʻá sun lí gayí, aur terí
bíwí Ilíshibaʻ tere liye beṭá janegí; tú us ká nám Yúhanná rakhná. 14Aur tujhe ḳhushí o
ḳhurramí hogí, aur bahut se log us kí paidáish ke sabab ḳhush hoṉge. 15Kyúṉki wuh Ḳhudáwand ke
huzúr meṉ buzurg hogá, aur hargiz na mai na koí âur sharáb píegá, aur apní máṉ
ke peṭ hí se Rúhuʼl Quds se bhar jáegá, 16aur bahut se baní
Isráíl ko Ḳhudáwand kí taraf, jo un ká Ḳhudá hai, pheregá.
Quzát 13
: 6Us ‘aurat
ne jákar apne shauhar se kahá, ki Ek mard i Ḳhudá mere pás áyá. Us kí súrat Ḳhudá
ke firishte kí súrat kí tarah niháyat muhíb thí: aur maiṉ ne us se nahíṉ
púchhá, ki Tú kaháṉ ká hai? aur na us ne mujhe apná nám batáyá. 7Par us ne
mujh se kahá, Dekh, tú hámila hogí aur tere beṭá hogá. So tú mai yá nashe kí
chíz na píná, aur na koí nápák chíz kháná; kyúṉki wuh laṛká peṭ hí se, apne
marne ke din tak, Ḳhudá ká nazír rahegá. 8Tab Manoha
ne Ḳhudáwand se darḳhwást
kí, aur kahá, Ai mere Málik, maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki wuh mard i Ḳhudá
jise tú ne bhejá thá hamáre pás phir áe, aur ham ko sikháe, ki ham us laṛke se
jo paidá hone ko hai, kyá kareṉ. 9Aur Ḳhudá
ne Manoha kí ‘arz suní; aur Ḳhudá ká firishta us ‘aurat ke pás, jab wuh khet meṉ
baiṭhí thí, phir áyá: par us ká shauhar Manoha us ke sáth nahíṉ thá. 10So us
‘aurat ne jaldí kí, aur dauṛkar apne shauhar ko ḳhabar dí, aur us se kahá, ki
Dekh, wuhí mard jo us din mere pás áyá thá ab phir mujhe dikháí diyá. 11Tab Manoha
uṭhkar apní bíwí ke píchhe píchhe chalá, aur us mard ke pás ákar us se kahá,
Kyá tú wuhí mard hai, jis ne is ‘aurat se báteṉ kí thíṉ? Us ne kahá, Maiṉ wuhí
húṉ. 12Tab Manoha ne kahá, Terí báteṉ púrí hoṉ. Par us
laṛke ká kaisá taur o taríq aur kyá kám hogá? 13Ḳhudáwand ke
firishte ne Manoha se kahá, Un sab chízoṉ se jin ká zikr maiṉ ne is ‘aurat se
kiyá yih parhez kare. 14Wuh aisí koí chíz jo ták se paidá hotí hai na
kháe, aur mai yá nashe kí chíz na piye, aur na koí nápák chíz kháe; aur jo
kuchh maiṉ ne use hukm diyá yih use máne.
Matí 14
: 3Kyúṉki
Herodes na apne bháí Filippus kí bíwí Herodiyás ke sabab Yúhanná ko pakaṛkar báṉdhá,
aur qaidḳháne meṉ ḍál diyá thá; 4is liye ki
Yúhanná ne us se kahá thá, ki Is ká rakhná tujhe rawá nahíṉ. 5Aur wuh
harchand use qatl karná cháhtá thá, magar ʻámm logoṉ se dartá thá, kyúṉki wuh
use nabí jánte the. 6Lekin jab Herodes kí sálgirih húi, to Herodiyás
kí beṭí ne mahfil meṉ náchkar, Herodes ko ḳhush kiyá. 7Is par us
ne qasam khákar us se waʻda kiyá, ki Jo kuchh tú máṉgegí, tujhe dúṉgá. 8Wuh apní máṉ
ke sikháne se bolí, ki Yúhanná baptisma denewále ká sir thál meṉ yahíṉ mujhe maṉgwá
de. 9Bádsháh gamgín húá, magar apní qasamoṉ aur
mihmánoṉ ke sabab us ne hukm diyá, ki de diyá jáe; 10aur ádmí
bhejkar, qaidḳháne meṉ Yúhanná ká sir kaṭwá diyá. 11Aur us ká
sir thál meṉ láyá gayá, aur laṛkí ko diyá gayá; aur wuh use apní máṉ ke pás le
gayí.
SAMSUN KI MAUT KA KARAN BHI EK DELILAH NAAM KI
AURAT HAI JISKE NAAM KA IBRANI MATLAB HAI RAAT DARWAZE PAR HAI
Quzát 16
: 18Jab Dalílah
ne dekhá, ki us ne dil kholkar sab kuchh batá diyá,
9Tab us ne
use apne zánúoṉ par sulá liyá, aur ek ádmí ko bulwákar sátoṉ laṭeṉ jo us ke sir
par thíṉ muṉḍwá ḍálíṉ;
21Tab
Filistíoṉ ne use pakaṛkar us kí áṉkheṉ nikál ḍálíṉ,
30Aur Samsún
kahne lagá, ki Filistíon ke sáth mujhe bhí marná hí hai. So wuh apne sáre zor
se jhuká, aur wuh ghar un sardároṉ aur sab logoṉ par jo us meṉ the gir paṛá.
Pas wuh murde jin ko us ne apne marte dam márá un se bhí ziyáda the jin ko us
ne jíte jí qatl kiyá. 31Tab us ke bháí aur us ke báp ká sárá gharáná áyá,
aur wuh use uṭhákar le gaye, aur Sur‘ah aur Istál ke darmiyán us ke báp Manoha
ke qabristán meṉ use dafn kiyá. Wuh bís baras tak Isráílíoṉ ká qází rahá.
Quzát 13
:24Aur us
‘aurat ke ek beṭá húá, aur us ne us ká nám Samsún rakkhá; aur wuh laṛká baṛhá,
aur Ḳhudáwand ne use
barakat dí. 25Aur Ḳhudáwand kí
rúh use Mahane Dán meṉ jo Sur‘ah aur Istál ke darmiyán hai tahrík dene lagí.
Quzát 14
:5Phir Samsún
aur us ke máṉ báp Timnat ko chale, aur Timnat ke tákistánoṉ meṉ pahuṉche aur
dekho, ek jawán sher Samsún ke sámne ákar garajne lagá. 6Tab Ḳhudáwand kí rúh us par názil húí,
aur us ne use bakrí ke bachche kí tarah chír ḍálá, go us ke háth meṉ kuchh na
thá: lekin jo us ne kiyá use apne báp yá máṉ ko na batáyá
Quzát 15
:”14Jab wuh
Lahí meṉ pahuṉchá, to Filistí use dekhkar lalkárne lage. Tab Ḳhudáwand kí rúh us par názil húí,
aur us ke bázúoṉ par kí rassiyáṉ ág se jale húe san kí mánind ho gayíṉ, aur us
ke bandhan us ke háthoṉ par se utar gaye. 15Aur use ek
gadhe ke jabṛe kí nayí haḍḍí mil gayí, so us ne háth baṛhákar use uṭhá liyá,
aur us se us ne ek hazár ádmíoṉ ko már ḍálá.
To Samson ki jo sat laten hain
Wuh mukashafa hai khuda ki sat rahun ka\
Mukáshafa 5
: 6Aur maiṉ ne
us taḳht aur chároṉ jándároṉ aur un buzurgoṉ ke bích meṉ, goyá zabh kiyá húá ek
Barra khaṛá dekhá; us ke sát síṉg aur sát áṉkheṉ thíṉ: yih Ḳhudá kí sátoṉ rúheṉ
haiṉ, jo tamám rú e zamín par bhejí gayí haiṉ.
Mukáshafa 4
: 5Aur us taḳht
meṉ se bijliyáṉ aur áwázeṉ aur garajeṉ paidá hotí haiṉ; aur us taḳht ke sámne
ág ke sát chirág jal rahe haiṉ; yih Ḳhudá kí sát rúheṉ haiṉ;
Yasa‘iyáh 11
:: 2aur Ḳhudáwand kí rúh us par ṭhahregí,
hikmat aur ḳhirad kí rúh, maslahat aur qudrat kí rúh, ma‘rifat aur Ḳhudáwand ke ḳhauf kí rúh
Or uski
sat laton se iman barkaar hai
Wuh sat laten Iman ka wasila hain
ʻIbrá Níoṉ 11
: 31Ímán hí se
Ráháb fáhisha náfarmánoṉ ke sáth halák na húí, kyúṉki us ne jásúsoṉ ko amn se
rakkhá thá. 32Ab âur kyá kahúṉ? Itní fursat kaháṉ ki Gidʻon,
aur Báráq, aur Shimshon, aur Yiftah, aur Dáúd, aur Samwíl, aur âur nabíoṉ ká
ahwál bayán karúṉ? 33Unhoṉ ne ímán hí ke sabab se bádsháhatoṉ ko
maglúb kiyá, rástbází ke kám kiye, waʻda kí húí chízoṉ ko hásil kiyá, sheroṉ ke
muṉh band kiye, 34ág kí tezí ko bujháyá, talwár kí dhár se bach
nikle, kamzorí meṉ zoráwar húe, laṛáí meṉ bahádur bane, gairoṉ kí faujoṉ ko
bhagá diyá.
Yúhanná 11
: 9Yisúʻ ne
jawáb diyá; Kyá din ke bárah ghanṭe nahíṉ hote? Agar koí din ko chale, to ṭhokar
nahíṉ khátá, kyúṉki wuh dunyá kí raushní dekhtá hai. 10Lekin agar
koí rát ko chale, to ṭhokar khátá hai, kyúṉki us meṉ raushní nahíṉ.
Insan dil khuda ki ruh se
raushan hai
Ye raushni ki khhuda ki ruh
ki baat hai
Or jaha khuda ki ruh nhi
waha tarki chai rehti hai
Yani adnhera
Yúhanná 9
: 4Jis ne
mujhe bhejá hai, hameṉ us ke kám din hí din meṉ karne zarúr haiṉ: wuh rát(yani
delilha ) ánewálí hai jis meṉ koí shaḳhs
kám nahíṉ kar saktá. 5Jab tak maiṉ dunyá meṉ húṉ, dunyá ká núr húṉ
2 Kurinthíoṉ 4
: 6Is liye ki Ḳhudá
hí hai, jis ne farmáyá, ki Táríkí meṉ se núr chamke; aur wuhí hamáre diloṉ meṉ
chamká, táki Ḳhudá ke jalál kí pahchán ká núr Yisúʻ Masíh ke chihre se jalwagar
ho.
Ifisíoṉ 1
: 17ki hamáre Ḳhudáwand
Yisúʻ Masíh ká Ḳhudá, jo jalál ká Báp hai, tumheṉ apní pahchán meṉ hikmat aur
mukáshafe kí rúh baḳhshe; 18aur tumháre
dil kí áṉkheṉ raushan ho jáeṉ, táki tum ko maʻlúm ho, ki us ke buláne se kaisí
kuchh ummed hai, aur us kí mírás ke jalál kí daulat muqaddasoṉ meṉ kaisí kuchh
hai;
Quzát 16:5 (URDR55)
Aur Filistíoṉ ke sardároṉ ne us ‘aurat ke pás jákar us se kahá,
ki Tú use phuslákar daryáft kar le, ki us kí shahzorí ká bhed kyá hai, aur ham
kyúṉkar us par g̣álib áeṉ, táki ham use báṉdhkar us ko azíyat pahuṉcháeṉ: aur
ham meṉ se har ek gyárah sau chándí ke sikke tujhe degá.
Quzát 16:4 (URDR55)
Is ke ba‘d Súriq kí wádí meṉ ek ‘aurat se jis ká nám Dalílah
thá, use ‘ishq ho gayá.
Suraj kon yani Samson ko Rat
se ishaq ho gaya
Quzát
16:19 (URDR55)
Tab us ne use apne zánúoṉ par sulá liyá, aur ek ádmí ko bulwákar
sátoṉ laṭeṉ jo us ke sir par thíṉ muṉḍwá ḍálíṉ; aur use azíyat dene lagí, aur
us ká zor us se játá rahá.
Filisti:
·
Khuda ke logon ke dushman the
·
Khuda ki ibadat ki jagah par kabza karte
·
Muqaddas cheezon ki tauheen karte
·
Butparasti ko badhawa dete
·
Khuda ke nabiyon aur logon ka virodh karte
·
Goliath – jo Filisti tha
Quzát 10
·
: 6Aur baní Isráíl Ḳhudáwand ke huzúr phir badí karne, aur Ba‘lím, aur
‘Istárát, aur Arám ke deotáoṉ, aur Saidá ke deotáoṉ, aur Moáb ke deotáoṉ, aur
baní ‘Ammon ke deotáoṉ, aur Filistíoṉ ke deotáoṉ kí parastish karne lage,
aur Ḳhudáwand ko chhoṛ
diyá, aur us kí parastish na kí.
·
Galatíoṉ 5
·
: 16Magar maiṉ yih kahtá húṉ, ki Rúh ke muwáfiq chalo, to
jism kí ḳhwáhish ko hargiz púrá na karoge. 17Kyúṉki jism Rúh ke ḳhiláf ḳhwáhish kartá hai, aur Rúh
jism ke ḳhiláf; aur yih ek dúsre ke muḳhálif haiṉ; táki jo tum cháhte ho, wuh
na karo.
·
·
19Ab jism ke kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí,
nápákí, shahwatparastí, 20butparastí, jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa,
tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz, nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind: in kí
bábat tumheṉ pahle se kahe detá húṉ, jaisá ki peshtar jatá chuká húṉ, ki aise
kám karnewále Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris na hoṉge.
1 Kurinthíoṉ 6
: . Magar
badan harámkárí ke liye nahíṉ, balki Ḳhudáwand ke liye hai, aur Ḳhudáwand badan
ke liye: 14aur Ḳhudá ne Ḳhudáwand ko bhí jiláyá, aur ham ko
bhí apní qudrat se jiláegá. 15Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumháre badan Masíh ke aʻzá haiṉ?
pas kyá maiṉ Masíh ke aʻzá lekár kasbí ke aʻzá banáúṉ? Hargiz nahíṉ! 16Kyá nahíṉ jánte, ki jo koí kasbí se suhbat kartá hai, wuh
us ke sáth ek tan hotá hai? kyúṉki wuh farmátá hai, ki Wuh donoṉ ek tan hoṉge. 17Aur jo Ḳhudáwand kí suhbat meṉ rahtá hai, wuh us ke sáth
ek rúh hotá hai. 18Harámkári se bhágo. Jitne gunáh ádmí kartá hai,
wuh badan se báhar haiṉ; magar harámkár apne badan ká bhí gunahgár hai. 19Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká
maqdis hai, jo tum meṉ basá húá hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai? aur
tum apne nahíṉ; 20kyúṉki qímat se ḳharíde gaye ho: pas apne badan
se Ḳhudá ká jalál záhir karo.
1 Yúhanná 2:16 (URDR55)
Kyúṉki jo kuchh dunyá meṉ hai, yaʻní jism kí ḳhwáhish, aur
áṉkhoṉ kí ḳhwáhish, aur zindagí kí sheḳhí, wuh Báp kí taraf se nahíṉ, balki
dunyá kí taraf se hai.
Matí 5:28 (URDR55)
lekin maiṉ tum se yih kahtá húṉ, ki jis kisí ne burí ḳhwáhish se
kisí ʻaurat par nigáh kí, wuh apne dil meṉ us ke sáth ziná kar chuká.
Yarmiyáh
17:10 (URDR55)
Maiṉ Ḳhudáwand dil o dimág̣ ko jáṉchtá aur ázmátá húṉ, táki har
ek ádmí ko us kí chál ke muwáfiq aur us ke kámoṉ ke phal ke mutábiq badla dúṉ.
To humara jo jism hai ye falistion ki tarah khuda ki ruh ki mukhalfit karta
Or jb koi khawahisih yani dalila ke wasile ismen phasta hai
To to Samson ki tarah ruhani taur se
anndha hota hai
Romíoṉ 6:12 (URDR55)
Pas gunáh tumháre fání badan meṉ bádsháhí na kare, ki tum us kí
ḳhwáhishoṉ ke tábiʻ raho.
Romíoṉ 6:23 (URDR55)
Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish
hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.
Romíoṉ 6:13 (URDR55)
Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na
kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo,
aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo.
Kulussíoṉ 3
: 3kyúṉ ki tum mar gaye, aur
tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí
zindagí hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye
jáoge.
5Pas apne un aʻzá
ko murda karo, jo zamín par haiṉ, yaʻní harámkárí, aur nápákí, aur shahwat, aur
burí ḳhwáhish, aur lálach ko jo butparastí ke barábar hai; 6ki unhíṉ ke sabab se Ḳhudá
ká gazab náfarmání ke farzandoṉ par názil hotá hai; 7aur tum bhí, jis waqt un
bátoṉ meṉ zindagí guzárte the, us waqt unhíṉ par chalte the. 8Lekin ab tum bhí in sab
ko, yaʻní gussa, aur qahr, aur badḳhwáhí, aur badgoí, aur muṉh se gálí bakná
chhoṛ do: 9ek dúsre se jhúṭh na bolo,
kyúṉki tum ne purání insáníyat ko us ke kámoṉ samet utár ḍálá, 10aur nayí insáníyat ko
pahin liyá hai, jo maʻrifat hásil karne ke liye apne Ḳháliq kí súrat par nayí
bantí játí hai: 11waháṉ na Yúnáni rahá, na
Yahúdí, na ḳhatna, na námaḳhtúní, na wahshí, na Skútí, na gulám, na ázád: sirf
Masíh sab kuchh aur sab meṉ hai.
Romíoṉ 8
: 12Pas, ai
bháiyo, ham qarzdár to haiṉ, magar jism ke nahíṉ, ki jism ke mutábiq zindagí guzáreṉ. 13Kyúṉki agar
tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr maroge. Aur agar rúh se badan ke
kámoṉ ko nest o nábúd karoge, to jíte rahoge. 14Is liye ki
jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ. 15Kyúṉki tum
ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí
rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ. 16Rúh ḳhud
hamárí rúh ke sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ. 17Aur agar
farzand haiṉ, to wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás;
basharte ki ham us ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ.
Romíoṉ 13
: 12Rát bahut
guzar gayí, aur din nikalnewálá hai: pas ham táríkí ke kámoṉ ko tark karke,
raushní ke hathyár báṉdh leṉ. 13Jaisá din
ko dastúr hai, sháistagí se chaleṉ; na ki náchrang aur nashebází se, na
zinákárí aur shahwatparastí se, aur na jhagṛe aur hasad se; 14balki Ḳhudáwand
Yisúʻ Masíh ko pahin lo, aur jism kí ḳhwáhishoṉ ke liye tadbíreṉ na karo.
Balki wuh padiash se hi
Khuda ki nazir rahe ga
Ye jo nzair shabad hai
Apne apko khuda ke supurad karke chalne wala
Apne aap ko khuda ke hath saunp kar chalne wala
Apne aap ko khuda ke liye kahlo karne wala ye
khud se to nahi ho sakta khuda chahe to hi mumkin hai
Khuda jise nazir rakhna chahe ye khud se nahi ho
sakt hai magar iman se sab kuch ho sakt
hai
Gintí 6
: ya‘ní apne áp ko Ḳhudáwand ke liye alag rakhne kí ḳháss mannat
máne, 3to wuh mai aur sharáb se
parhez kare, aur mai ká yá sharáb ká sirka na píe, aur na angúr ká ras píe, aur
na táza yá ḳhushk angúr kháe. 4Aur apní nazárat
ke tamám aiyám meṉ, bíj se lekar chhilke tak, jo kuchh angúr ke daraḳht meṉ
paidá ho use na kháe. 5Aur us kí nazárat
kí mannat ke dinoṉ meṉ us ke sir par ustura na pherá jáe: jab tak wuh muddat,
jis ke liye wuh Ḳhudáwand ká
nazír baná hai púrí na ho, tab tak wuh muqaddas rahe aur apne sir ke báloṉ kí
laṭoṉ ko baṛhne de. 6Un tamám aiyám meṉ jab
wuh Ḳhudáwand ká nazír
ho wuh kisí lásh ke nazdík na jáe. 7Wuh apne báp, yá
maṉ, yá bháí, yá bahin kí ḳhátir bhí jab wuh mareṉ, apne áp ko najis na kare;
kyúṉki us kí nazárat, jo Ḳhudá ke liye hai, us ke sir par hai. 8Wuh apní nazárat kí púrí
muddat tak Ḳhudáwand ke
liye muqaddas hai. 9Aur agar koí ádmí nágahán
us ke pás hí mar jáe, aur us kí nazárat ke sir ko nápák kar de; to wuh apne pák
hone ke din apná sir munḍwáe, ya‘ní sátweṉ din sir munḍwáe. 10Aur áṭhweṉ roz do qumríáṉ,
yá kabútar ke do bachche, ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par káhin ke pás
láe. 11Aur káhin ek ko ḳhatá kí
qurbání ke liye, aur dúsre ko soḳhtaní qurbání ke liye guzráne aur us ke liye
kaffára de, kyúṉki wuh murde ke sabab se gunahgár ṭhahrá hai; aur us ke sir ko
usí din muqaddas kare. 12Phir wuh apní
nazárat kí muddat ko Ḳhudáwand ke
liye muqaddas kare, aur ek yaksála nar barra jurm kí qurbání ke liye láe; lekin
jo din guzar gaye haiṉ, wuh gine nahíṉ jáeṉge, kyúṉki us kí nazárat nápák ho
gayí thí.
13Aur nazír ke liye
shara‘ yih hai, ki jab us kí nazárat ke din púre ho jáeṉ, to wuh ḳhaima e
ijtimá‘ ke darwáze par házir kiyá jáe. 14Aur wuh Ḳhudáwand ke huzúr apná chaṛháwá
chaṛháe, ya‘ní soḳhtaní qurbání ke liye ek be‘aib yaksála nar barra, aur ḳhatá
kí qurbání ke liye ek be‘aib yaksála máda barra, aur salámatí kí qurbání ke
liye ek be‘aib meṉḍhá; 15aur beḳhamírí
roṭiyoṉ kí ek ṭokrí, aur tel mile húe maide ke kulche, aur tel chupṛí húí
beḳhamírí roṭiyáṉ, aur un kí nazr kí qurbání aur un ke tapáwan láe. 16Aur káhin un ko Ḳhudáwand ke huzúr lákar us kí
taraf se ḳhatá kí qurbání aur soḳhtaní qurbání guzráne. 17Aur us meṉḍhe ko,
beḳhamírí roṭiyoṉ kí ṭokrí ke sáth, Ḳhudáwand ke
huzúr salámatí kí qurbání ke taur par guzráne, aur káhin us kí nazr kí qurbání
aur us ká tapáwan bhí chaṛháe. 18Phir wuh nazír
ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par apní nazárat ke bál munḍwáe, aur nazárat ke
báloṉ ko, us ág meṉ ḍál de, jo salámatí kí qurbání ke níche hogí. 19Aur jab nazír apní nazárat
ke bál munḍwá chuke, to káhin us meṉḍhe ká ubálá húá shána, aur ek beḳhamírí roṭí
ṭokrí meṉ se aur ek beḳhamírí kulcha lekar us nazír ke háthoṉ par un ko
dhare. 20Phir káhin un ko hiláne kí
qurbání ke taur par Ḳhudáwand ke
huzúr hiláe. Hiláne kí qurbání ke síne aur uṭháne kí qurbání ke sháne ke sáth
yih bhí káhin ke liye muqaddas haiṉ. Is ke ba‘d nazír mai pí sakegá. 21Nazír jo mannat máne, aur
jo chaṛháwá apní nazárat ke liye Ḳhudáwand ke
huzúr láe, ‘aláwa us ke jis ká use maqdúr ho, un sabhoṉ ke báre meṉ shara‘ yih
hai. Jaisí mannat us ne mání ho, waisá hí us ko nazárat kí shara‘ ke mutábiq
‘amal karná paṛegá.
1 Tímuthiyus 2
:14aur Ádam ne
fareb nahíṉ kháyá, balki ʻaurat fareb khákar gunáh meṉ paṛ gayí.
AURAT KISKE DIWARA BHEKAI GAI
GUNAH KE YANI IBLISH CHALAK SANP
Ibraniyon 12:1: Gunah jo asani se fasa leta hai,
Yaʻqúb 1
:l 14háṉ, har
shaḳhs apní hí ḳhwáhishoṉ meṉ khiṉchkar aur phaṉskar ázmáyá játá hai. 15Phir ḳhwáhish
hámila hokar gunáh ko jantí hai; aur gunáh jab baṛh chuká to maut paidá kartá
hai.
Filippíoṉ 3
: : 3kyúṉki maḳhtún
to ham haiṉ, jo Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se ʻibádat karte haiṉ, aur Masíh Yisúʻ
par faḳhr karte haiṉ, aur jism ká bharosá nahíṉ karte:
Efesiyon 5:28-29 :TO AURAT JO HAI WUH MARD KA JISM
HAI
1 Korinthiyon 11:8 – Roman Urdu mein:
"Kyunke mard aurat mein se paida nahin hua, balki aurat mard
mein se."
Paidáish 2
;21Aur Ḳhudáwand Ḳhudá ne Ádam par gahrí
nínd bhejí, aur wuh so gayá: aur us ne us kí pasliyoṉ meṉ se ek ko nikál liyá,
aur us kí jagah gosht bhar diyá; 22aur Ḳhudáwand Ḳhudá us paslí se, jo us
ne Ádam men se nikálí thí, ek ‘aurat banákar use Ádam ke pás láyá. 23Aur Ádam ne
kahá, ki Yih to ab merí haḍḍiyoṉ meṉ se haḍḍí, aur mere gosht meṉ se gosht hai:
is liye wuh Nárí kahláegí, kyúṉki wuh Nar se nikálí gayí.
Paidáish 3
13Tab Ḳhudáwand Ḳhudá ne ‘aurat se kahá,
ki Tú ne yih kyá kiyá? ‘Aurat ne kahá, ki Sáṉp ne mujh ko bahkáyá, to maiṉ ne
kháyá.
Paidáish 3
:17Aur Ádam se
us ne kahá, Chúṉki tú ne apní bíwí kí bát mání, aur us daraḳht ká phal kháyá,
jis kí bábat maiṉ ne tujhe hukm diyá thá, ki Use na kháná: is liye zamín tere
sabab se la‘natí húí; mashaqqat ke sáth tú apní ‘umr bhar us kí paidáwár
kháegá; 18aur wuh tere liye káṉṭe aur úṉṭkaṭáre ugáegí; aur
tú khet kí sabzí kháegá; 19tú apne muṉh
ke pasíne kí roṭí kháegá, jab tak ki zamín meṉ tú phir lauṭ na jáe; is liye ki
tú us se nikálá gayá hai: kyúṉki tú ḳhák hai, aur ḳhák meṉ phir lauṭ
jáegá.
2 Samúel 11
:2Aur shám ke
waqt Dáúd apne palang par se uṭhkar bádsháhí mahall kí chhat par ṭahalne lagá:
aur chhat par se us ne ek ‘aurat ko dekhá jo nahá rahí thí; aur wuh ‘aurat
niháyat ḳhúbsúrat thí. 3Tab Dáúd ne log bhejkar us ‘aurat ká hál daryáft
kiyá: aur kisí ne kahá, Kyá wuh Ili‘ám kí beṭí Batsaba‘ nahíṉ jo Hittí Úriyáh
kí bíwí hai? 4Aur Dáúd ne log bhejkar use bulá liyá; wuh us ke
pás áí, aur us ne us se suhbat kí, kyúṉki wuh apní nápákí se pák ho chukí thí:
phir wuh apne ghar ko chalí gayí. 5Aur wuh
‘aurat hámila ho gayí;
1 Salátín 11
1Aur Sulaimán
bádsháh Fir‘aun kí beṭí ke ‘aláwa bahut sí ajnabí ‘auratoṉ se, ya‘ní Moábí,
‘Ammoní, Adomí, Saidání, aur Hittí ‘auraton se mahabbat karne lagá; 2yih un qaumoṉ kí thíṉ, jin
kí bábat Ḳhudáwand ne
baní Isráíl se kahá thá, ki Tum un ke bích na jáná, aur na wuh tumháre bích
áeṉ; kyúṉki wuh zarúr tumháre diloṉ ko apne deotáoṉ kí taraf máil kar leṉgí:
Sulaimán in hí ke ‘ishq ká dam bharne lagá. 3Aur us ke pás sát
sau sháhzádíáṉ us kí bíwiyáṉ, aur tín sau harameṉ thíṉ; aur us kí bíwiyoṉ ne us
ke dil ko pher diyá. 4Kyúṉki jab
Sulaimán buḍḍhá ho gayá, to us kí bíwiyoṉ ne us ke dil ko g̣airma‘búdoṉ kí
taraf máil kar liyá; aur us ká dil Ḳhudáwand apne
Ḳhudá ke sáth kámil na rahá, jaisá us ke báp Dáúd ká dil thá. 5Kyúṉki Sulaimán Saidáníoṉ
kí dewí ‘Istárát, aur ‘Ammoníoṉ ke nafratí Milkúm kí pairawí karne lagá. 6Aur Sulaimán ne Ḳhudáwand ke áge badí kí, aur us
ne Ḳhudáwand kí púrí
pairawí na kí, jaisí us ke báp Dáúd ne kí thí. 7Phir Sulaimán ne Moábíoṉ
ke nafratí Kamos ke liye us paháṛ par jo Yarúshalem ke sámne hai, aur baní
‘Ammon ke nafratí Molak ke liye baland maqám baná diyá. 8Us ne aisá hí apní sárí
ajnabí bíwiyoṉ kí ḳhátir kiyá, jo apne deotáoṉ ke huzúr baḳhúr jalátí aur
qurbání guzrántí thíṉ.
9Aur Ḳhudáwand Sulaimán se náráz húá,
kyúṉki us ká dil Ḳhudáwand Isráíl
ke Ḳhudá se phir gayá thá jis ne use do bár dikháí dekar 10us ko is bát ká hukm diyá
thá, ki wuh g̣airma‘búdoṉ kí pairawí na kare: par us ne wuh bát na mání, jis ká
hukm Ḳhudáwand ne diyá
thá. 11Is sabab se Ḳhudáwand ne Sulaimán ko kahá,
Chúṉki tujh se yih fi‘l húá, aur tú ne mere ‘ahd, aur mere áín ko, jin ká maiṉ
ne tujhe hukm diyá nahíṉ máná, is liye maiṉ saltanat ko zarúr tujh se chhínkar
tere ḳhádim ko dúṉgá; 12taubhí tere báp
Dáúd kí ḳhátir maiṉ tere aiyám meṉ yih nahíṉ karúṉgá; balki use tere beṭe ke
háth se chhínúṉgá. 13Phir bhí maiṉ sárí
saltanat ko nahíṉ chhín lúṉgá, balki apne bande Dáúd kí ḳhátir, aur Yarúshalem
kí ḳhátir jise maiṉ ne chun liyá hai, ek qabíla tere beṭe ko dúṉgá.
Comments
Post a Comment