Sab pehle
yakob ke naam ke ibrani matlab kya hai
Yod hai
khuda ka hath
Khuda hath yani beta
Ayin ke
mtlab khuda ki annkhen yani yani khud ki 7 ruhen
Or kof ka
matlab
Hai subh ka
chadta hua suraj
उत्पत्ति 1
: 14फिर परमेश्वर ने कहा, “दिन को रात से अलग करने के लिये आकाश के अन्तर में ज्योतियाँ हों; और वे चिह्नों, और नियत समयों और दिनों, और वर्षों के कारण हों; 15और वे ज्योतियाँ आकाश के अन्तर में पृथ्वी पर प्रकाश देनेवाली भी ठहरें,” और वैसा ही हो गया। 16तब परमेश्वर ने दो बड़ी ज्योतियाँ बनाईं; उन में से बड़ी ज्योति को दिन पर प्रभुता करने के लिये और छोटी ज्योति को रात पर प्रभुता करने के लिये बनाया;
Istisná 4
: 34Yá kabhí Ḳhudá ne ek qaum ko kisí dúsrí qaum ke
bích se nikálne ká iráda karke imtihánoṉ, aur nishánoṉ, aur mu‘jizoṉ, aur jang,
aur zoráwar háth aur baland bázú, aur haulnák májaroṉ ke wasíle se un ko apní ḳhátir
barguzída karne ke liye wuh kám kiye, jo Ḳhudáwand tumháre
Ḳhudá ne tumhárí áṉkhoṉ ke sámne Misr meṉ tumháre liye kiye
Or bet ka
matlab hai khuda ka gghar
Yani khuda
ke ghar ka raushan chirag
Jis par
khuda ka hath hai or nigah hai
Or jisk
wasile khuda apne hath ke kaam zahir karta hai
निर्गमन 4
कि इस्राएल मेरा पुत्र वरन् मेरा जेठा है,
ʻIbrá Níoṉ 12
होशे 11
ʻIbrá Níoṉ 12
: 1जब इस्राएल बालक था, तब मैं ने उस से प्रेम किया, और अपने पुत्र को मिस्र से बुलाया।
: 6Kyúṉki jis se Ḳhudáwand mahabbat rakhtá hai, use tambíh
bhí kartá hai,
Aur jis ko beṭá baná letá hai, us ke koṛe bhí
lagátá hai.
Ab Israel
ke naam ka mukashafa ibrani men
Yud yani khuda
ka buldand fatehmand hath
Yani beta
masih yisu
Ḳhurúj 3
: 20So maiṉ apná háth baṛháúṉgá aur Misr ko un sab
‘ajáib se, jo maiṉ us meṉ karúṉgá, musíbat meṉ ḍál dúṉgá. Is ke ba‘d wuh tum ko
jáne degá.
Ḳhurúj 7
: tab maiṉ Misr ko háth lagáúṉgá, aur use baṛí baṛí
sazáeṉ dekar apne logoṉ baní Isráíl ke jathoṉ ko mulk i Misr se nikál láúṉgá.
Ḳhurúj 6
: So tú
baní Isráíl se kah, ki Maiṉ Ḳhudáwand húṉ,
aur maiṉ tum ko Misríoṉ ke bojhoṉ ke níche se nikál lúṉgá, aur maiṉ tum ko un
kí g̣ulámí se ázád karúṉgá, aur maiṉ apná háth baṛhákar, aur un ko baṛí baṛí
sazáeṉ dekar tum ko riháí dúṉgá.
Dusra hai
shin shin ka tarzuma hai
Danto ke
sath chabakar khana
Yani khatam
karna
Yani misr
ko jismen Israel ghulam tha
Usko ghulami
se azad kiya
Romíoṉ 9
; 17Kyúṉki
kitáb i muqaddas meṉ Firʻaun se kahá gayá hai, ki Maiṉ ne isí liye tujhe khaṛá
kiyá hai, ki terí wajh se apní qudrat záhir karúṉ, aur merá nám tamám rú e
zamín par mashhúr ho. 18Pas wuh jis par cháhtá hai rahm kartá hai, aur
jise cháhtá hai use saḳht kar detá hai.
Ḳhurúj 14
: 30So Ḳhudáwand ne
us din Isráílíoṉ ko Misríoṉ ke háth se is tarah bacháyá, aur Isráílíoṉ ne
Misríoṉ ko samundar ke kanáre mare húe paṛe dekhá.
'Is liye ki
maiṉ us rát mulk i Misr meṉ se hokar guzrúṉgá, aur insán aur haiwán ke sab
pahlauṭhoṉ ko jo mulk i Misr meṉ haiṉ, márúṉgá; aur Misr ke sáre deotáoṉ ko bhí
sazá dúṉgá. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. '
Ḳhurúj
12:12
Resh hai
admi ka sir
इज़त प्रमुख मालिक sarbaland
karna
Istisná 28
; 3Aur Ḳhudáwand tum
ko sir ṭhahráegá,
Or yaqub
yani isael ek admi hai
Admi ka sir
masih or masih ka sir khuda
Aleph ka
matlab khuda ek hai
Lamed ka
mtlab khuda charwaha hai
Israel ka
naam ka ibrani tarzuma hai
Ki khuda
apne bauland hath se misryon ko khatam kar ke ghulami se azad kar waye ga or unki ache charwayeh ki tarah gallabani kare
ga
Ye Israel
ka ibrani tarzuma hai
Zabúr 23
: 1 Ḳhudáwand merá
chaupán hai;
Yius ne kha
'Achchhá charwáhá maiṉ húṉ:
Yúhanná
10:11
Yasa‘iyáh 49
: tujh meṉ,
ai Isráíl, maiṉ apná jalál záhir karúṉgá.
उत्पत्ति 32
Paidáish 32
: 24Aur Ya‘qúb
akelá rah gayá; aur pau phaṭne ke waqt tak ek shaḳhs waháṉ us se kushtí laṛtá
rahá. 25Jab us ne dekhá, ki wuh us par g̣álib nahíṉ hotá,
to us kí rán ko andar kí taraf se chhúá; aur Ya‘qúb kí rán kí nas us ke sáth
kushtí karne meṉ chaṛh gayí. 26Aur us ne
kahá, Mujhe jáne de, kyúṉki pau phaṭ chalí. Ya‘qúb ne kahá, ki Jab tak tú mujhe
barakat na de, maiṉ tujhe jáne nahíṉ dúṉgá. 27Tab us ne
us se púchhá, ki Terá kyá nám hai? Us ne jawáb diyá, Ya‘qúb. 28Us ne kahá,
ki Terá nám áge ko Ya‘qúb nahíṉ, balki Isráíl hogá; kyúṉki tú ne Ḳhudá aur
ádmíoṉ ke sáth zorázmáí kí, aur g̣álib húá. 29Tab Ya‘qúb
ne us se kahá, ki Maiṉ terí minnat kartá húṉ, tú mujhe apná nám batá de. Us ne
kahá, ki Tú merá nám kyúṉ púchhtá hai? Aur us ne use waháṉ barakat dí. 30Aur Ya‘qúb
ne us jagah ká nám Faníel rakkhá; aur kahá, ki Maiṉ ne Ḳhudá ko rúbarú dekhá,
taubhí merí ján bachí rahí.
Húsí‘a 12
: 3Us ne rihm
meṉ apne bháí kí eṛí pakṛí, aur wuh apní tawánáí ke aiyám meṉ Ḳhudá se kushtí
laṛá; 4háṉ, wuh firishte se kushtí laṛá aur g̣álib áyá;
us ne rokar munáját kí; us ne use Baitel meṉ páyá, aur waháṉ wuh us se hamkalám
húá; 5ya‘ní Ḳhudáwand
Rabb u’l afwáj; Yahowáh us kí yádgár hai. 6Pas tú apne
Ḳhudá kí taraf rujú‘ lá; nekí aur rástí par qáim, aur hamesha apne Ḳhudá ká
ummedwár rah.
Ḳhurúj 2
: 23Aur ek
muddat ke ba‘d yúṉ húá, ki Misr ká bádsháh mar gayá: aur baní Isráíl apní
g̣ulámí ke sabab se áh bharne lage, aur roe; aur un ká roná, jo un kí g̣ulámí
ke bá‘is thá, Ḳhudá tak pahuṉchá. 24Aur Ḳhudá
ne un ká karáhná suná; aur Ḳhudá ne apne ‘ahd ko, jo Abrahám, aur Izháq, aur
Ya‘qúb ke sáth thá, yád kiyá. 25Aur Ḳhudá
ne baní Isráíl par nazar kí, aur un ke hál ko ma‘lúm kiyá.
Romíoṉ 8
: 26Isí tarah
Rúh bhí hamárí kamzorí meṉ madad kartí hai, kyúṉki jis taur se ham ko duʻá máṉgní
cháhiye wuh nahíṉ átí; magar Rúh ḳhud aisí áheṉ bhar bharke hamárí shafáʻat
kartí hai, jin ká bayán nahíṉ ho saktá. 27Aur diloṉ
ká parakhnewálá jántá hai, ki Rúh kí kyá níyat hai: kyúṉki wuh Ḳhudá kí marzí
ke muwáfiq muqaddasoṉ kí shafáʻat kartá hai. 28Aur ham ko
maʻlúm hai, ki sab chízeṉ milkar Ḳhudá se mahabbat rakhnewáloṉ ke liye bhaláí
paidá kartí haiṉ; yaʻní un ke liye, jo Ḳhudá ke iráde ke muwáfiq buláe
gaye.
Romíoṉ 8:34 (URDR55)
kaun hai jo mujrim ṭhahráegá? Masíh Yisúʻ wuh hai jo mar gayá,
balki murdoṉ meṉ se jí bhí uṭhá, aur Ḳhudá kí dahiní taraf hai, aur hamárí
shafáʻat bhí kartá hai.
Aiyúb 3
: 24Kyúṉki mere kháne kí
jagah merí áheṉ haiṉ,
Aur merá karáhná pání kí tarah járí hai.
Zabúr 38
: 8Maiṉ nahíf aur niháyat
kuchlá húá húṉ;
Aur dil kí bechainí ke sabab se karáhtá rahá.
9Ai Ḳhudáwand,
merí sárí tamanná tere sámne hai,
Aur merá karáhná tujh se chhipá nahíṉ.
Zabúr 5
: 1Ai Ḳhudáwand, merí bátoṉ par kán lagá;
Merí áhoṉ par tawajjuh kar.
Zabúr 6
: 6Maiṉ karáhte karáhte
thak gayá;
Maiṉ apná palang áṉsúoṉ se bhigotá húṉ;
Har rát merá bistar tairtá hai.
ʻIbrá Níoṉ 5
: 7Us ne apní
basharíyat ke dinoṉ meṉ, zor zor se pukárkar aur áṉsú bahá bahákar, usí se
duʻáeṉ aur iltijáeṉ kíṉ, jo us ko maut se bachá saktá thá, aur ḳhudátarsí ke
sabab us kí suní gayí; 8aur báwujúd Beṭá hone ke us ne dukh uṭhá uṭhákar
farmánbardárí síkhí; 9aur kámil bankar apne sab farmánbardároṉ ke liye
abadí naját ká báʻis húá; 10aur use Ḳhudá
kí taraf se Malik i Sidq ke taríqe ke sardár káhin ká ḳhitáb milá.
ʻIbrá Níoṉ 7
: 25Isí liye jo
us ke wasíle se Ḳhudá ke pás áte haiṉ, wuh unheṉ púrí púrí naját de saktá hai,
kyúṉki wuh un kí shafáʻat ke liye hamesha zinda hai.
: 'उसने कहा, “तेरा नाम अब याक़ूब नहीं, परन्तु इस्राएल होगा, क्योंकि तू परमेश्वर से और मनुष्यों से भी युद्ध करके प्रबल हुआ है।” '
उत्पत्ति 32:28
'Ímán kí
achchhí kushtí laṛ, us hamesha kí zindagí par qabza kar le jis ke liye tú buláyá
gayá thá,
1 Tímuthiyus
6:12
1 Yúhanná 5
: 4Jo koí Ḳhudá se paidá húá hai, wuh dunyá par
gálib átá hai; aur wuh galaba, jis se dunyá maglúb húí hai, hamárá ímán hai.
ʻIbrá Níoṉ 2
; 13Aur phir
yih, ki Maiṉ us par bharosá rakkhúṉgá. Aur phir yih, ki Dekh, maiṉ un laṛkoṉ
samet jinheṉ Ḳhudá ne mujhe diyá. 14Pas jis
súrat meṉ ki laṛke ḳhún aur gosht meṉ sharík haiṉ, to wuh ḳhud bhí un kí tarah
un meṉ sharík húá; táki maut ke wasíle se us ko jise maut par qudrat hásil thí,
yaʻní Iblís ko, tabáh kar de; 15aur jo ʻumr
bhar maut ke ḍar se gulámí meṉ giriftár rahe, unheṉ chhuṛá le.
1 Kurinthíoṉ 15
: 53Kyúṉki
zarúr hai ki yih fání jism baqá ká jáma pahine, aur yih marnewálá jism hayát i
abadí ká jáma pahine. 54Aur jab yih fání jism baqá ká jáma pahin chukegá,
aur yih marnewálá jism hayát i abadí ká jáma pahin chukegá, to wuh qaul púrá
hogá jo likhá hai, ki Maut fath ká luqma ho gayí. 55Ai maut,
terí fath kaháṉ rahí? Ai maut, terá ḍank kaháṉ rahá? 56Maut ká ḍank
gunáh hai; aur gunáh ká zor sharíʻat hai: 57magar Ḳhudá
ká shukr hai, jo hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se ham ko fath baḳhshtá
hai.
Mukáshafa 2
: 17Jis ke kán
hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai. Jo gálib áe, maiṉ use
poshída mann meṉ se dúṉgá, aur ek safed patthar dúṉgá; us patthar par ek nayá
nám likhá húá hogá, jise us ke pánewále ke siwá koí na jánegá.
Mukáshafa 3
: 21Jo gálib
áe, maiṉ use apne sáth apne taḳht par biṭháúṉgá, jis tarah maiṉ gálib ákar apne
Báp ke sáth us ke taḳht par baiṭh gayá. 22Jis ke kán
hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.
Comments
Post a Comment