TO BIBLE MEN EK ASHER KA GUTAR HAI jiski man liha
hai BIBLE VERSE
ASHER EK
IBRANI SHABAD HAI JISKA TARZUMA HAI KHUSHI .,
खुश, धन्य,
मुबारक.,FAZL., ., IN SAB SHABDO KA EK HI SHABAD HAI
IBRANI MEN ASHER ., IS SHABAD PAR AJ KA PARKASHAN HAI .,
FAZL OR SACHCHAI KE
ADHIN
FAZL OR SACHCHAI MASIH
YISHUA KI marifat pauhcnhi ,. Uski mamuri men
se ham sab ne paya yani fazl par par .,
Paidáish 35
: 26Aur Leáh kí lauṉḍí Zilfah ke beṭe Jadd aur Áshar
the. Yih sab Ya‘qúb ke beṭe haiṉ, jo Faddán Arám meṉ paidá húe.
Paidáish 30
: 13Tab Leáh ne kahá, Maiṉ ḳhushqismat húṉ;(ibrani men asher
) yani KHushi ‘aurateṉ mujhe ḳhushqismat
kaheṉgí: aur us ne us ká nám Áshar rakkhá.
लिआ: लाबान की बड़ी
बेटी और याकूब की पत्नी थी
और उसकी बहन राहेल
लिआह इस्राएल की चार प्रमुख माताओं में से एक है ।
वह लाबान की दो बेटियों में से एक है , जो बेथुएल का पुत्र था और नाहोर और मिल्का का पुत्र था । लिआह याकूब की दूसरी पत्नी राहेल की बहन है
क्रिया לאה ( la'a ) से, थका हुआ या दुखी होना।
अर्थ
जंगली गाय
उकता
jo shabad hai lamad wuh
charwaha shabad ka nishan hai .,
or jo aah hai wuh
tarzuma hai mahobbat .,
or phir dono shabad jode
ten hain ., lee or aah yani le ha .,
le ka ek matal hai or
wuh hai roti or aah ka mtlab hai
maohbbat .,
to mtlab ye ek shabad
men
jo maohbaat men mushqata
kar ke kamai gai roti.,
thakan ki roti mushqat
ki roti ,., thakan ki roti ,.
yani leah .,
Paidáish 29
: Chunáṉchi Ya‘qúb sát
baras tak Ráḳhil kí ḳhátir ḳhidmat kartá rahá; par wuh use Ráḳhil kí mahabbat
ke sabab se chand dinoṉ ke barábar ma‘lúm húe. 21Aur Ya‘qúb ne Lában se kahá, ki Merí muddat púrí ho gayí,
so merí bíwí mujhe de, táki maiṉ us ke pás jáúṉ. 22Tab Lában ne us jagah ke sab logoṉ ko bulákar jama‘ kiyá,
aur un kí ziyáfat kí. 23Aur jab shám húí to apní
beṭí Leáh ko us ke pás le áyá, aur Ya‘qúb us se hamág̣osh húá. 24Aur Lában ne apní lauṉḍí Zilfah apní beṭí Leáh ke sáth
kar dí, ki us kí lauṉḍí ho. 25Jab subh ko ma‘lúm húá ki Yih to Leáh hai, tab us ne
Lában se kahá, ki Tú ne mujh se yih kyá kiyá? Kyá maiṉ ne jo terí ḳhidmat kí,
wuh Ráḳhil kí ḳhátir na thí? Phir tú ne kyúṉ mujhe dhoká diyá? 26Lában ne kahá, Hamáre mulk meṉ yih dastúr nahíṉ, ki
pahlauṭhí se pahle chhoṭí ko biyáh deṉ. 27Tú is ká hafta púrá kar de, phir ham dúsrí bhí tujhe de
deṉge, jis kí ḳhátir tujhe sát baras âur merí ḳhidmat karní hogí. 28Ya‘qúb ne aisá hí kiyá, ki Leáh ká hafta púrá kiyá; tab
Lában ne apní beṭí Ráḳhil bhí use biyáh dí, 29aur apní lauṉḍí Bilháh apní beṭí Ráḳhil ke sáth kar dí,
ki us kí lauṉḍí ho.
7 sal ki mushqat men
khidmat men
leah ko paya usne .,
pr israel ke naam ka
tarzuma hai dukh sehkar jalal pane wala .,
to humara parkashan hai
., asher khushi .,
Romíoṉ 8
: 17Aur agar farzand haiṉ, to
wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás; basharte ki ham us
ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ.
Yúhanná 16
: 21Jab ʻaurat janne lagtí
hai, to gamgín hotí hai, is liye ki us ke dukh kí ghaṛí á pahuṉchí; lekin jab
bachcha paidá ho chuktá hai, to is ḳhushí se ki dunyá meṉ ek ádmí paidá húá, us
dard ko phir yád nahíṉ kartí. 22Pas tumheṉ bhí ab to gam hai; magar maiṉ tum se
phir milúṉgá, aur tumhárá dil ḳhush hogá, aur tumhárí ḳhushí koí tum se chhín
na legá.
Paidáish 49
: 20Áshar nafís anáj paidá kiyá karegá,
Aur bádsháhoṉ ke láiq lazíz ashyá muhaiyá
karegá.
Istisná
33:24 (URDR55)
Aur Áshar ke haqq meṉ us ne
kahá, Áshar ás aulád se málámál ho; Wuh apne bháiyoṉ ká maqbúl ho, Aur apná
páṉw tel meṉ ḍuboe.
Yasa‘iyáh 52
; 7Us ke páṉw paháṛoṉ par kyá hí ḳhushnumá haiṉ jo ḳhushḳhabarí
látá hai, aur salámatí kí manádí kartá hai, aur ḳhairíyat kí ḳhabar, aur naját
ká ishtihár detá hai
Istisná
33:24 (URDR55)
; 25Tere benḍe lohe aur pítal ke hoṉge,
Aur jaise tere din waisí
hí terí quwwat ho.
⭐ सारांश में Asher
की 7 प्रमुख बरकतें
1. धन्य / blessed होने का नाम (Genesis 30:13)
2. समृद्ध भोजन, royal foods
(Genesis 49:20)
3. सबसे ज़्यादा बरकत
(Deut. 33:24)
4. olive-oil की भरपूर भूमि
(Deut. 33:24) iska mtlb masiha ki ruh .,.
Lúqá 4
5.
: 18Ḳhudáwand kí Rúh mujh par hai,
6. Is liye
ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá
7.
8. सुरक्षित iron-bronze gates
(Deut. 33:25)
9. दिनों के साथ बढ़ती शक्ति और
स्थिरता (Deut. 33:25)
10. समुद्र-तट की उपजाऊ भूमि
(Joshua 19:24–31)
Ḳhurúj 3
14Ḳhudá ne
Músá se kahá, MAIṈ JO HÚṈ, SO MAIṈ HÚṈ.
Ibrani men hebrew
men
’AAH – YEH ASHER AH
–YEH
AAH –YEH KA MTLAB HAI MHOBBAT
ASHER KA MTLAB HAI KHUSHI
MAIN JO HUN SO HUN
YANI MAIN MAHOBBAT MEN KHUSH HUN .,
1 Yúhanná 4
: Ḳhudá
mahabbat hai.
16Jo mahabbat
Ḳhudá ko ham se hai, us ko ham ján gaye, aur hameṉ us ká yaqín hai. Ḳhudá
mahabbat hai; aur jo mahabbat meṉ qáim rahtá hai, wuh Ḳhudá meṉ qáim rahtá hai,
aur Ḳhudá us meṉ qáim rahtá hai.
Yúhanná 3
: 16Kyúṉki Ḳhudá
ne dunyá se aisí mahabbat rakkhí, ki us ne apná iklautá Beṭá baḳhsh diyá, táki
jo koí us par ímán láe halák na ho, balki hamesha kí zindagi páe.
Matí 3
: 17Aur dekho,
ásmán se yih áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ.
Matí 17
: 5Wuh bol hí
rahá thá, ki dekho, ek núrání bádal ne un par sáya kar liyá, aur dekho, us
bádal meṉ se áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ; is kí
suno.
Lúqá 2
: 36Aur Ásher
ke qabíle meṉ se Hannáh nám Fanúel kí beṭí ek nabiya thí; wuh bahut ʻumr rasída
thí, aur apne kuṉwárepan ke baʻd sát baras ek shauhar ke sáth guzáre the; 37wuh
chaurásí baras se bewa thí; aur haikal se judá na hotí thí, balki rát din rozoṉ
aur duʻáoṉ ke sáth ʻibádat kiyá kartí thí. 38Aur wuh usí
ghaṛí waháṉ ákar Ḳhudá ká shukr karne lagí, aur un sab se jo Yarúshalem ke chhuṭkáre
ke muntazir the us kí bábat báteṉ karne lagí.
Romíoṉ 8:8 (URDR55)
aur jo jismání haiṉ, wuh Ḳhudá ko ḳhush nahíṉ kar sakte.
ʻIbrá Níoṉ 11
: 6aur bagair
ímán ke us ko pasand áná námumkin hai: is liye ki Ḳhudá ke pás ánewále ko ímán
láná cháhiye, ki wuh maujúd hai, aur apne táliboṉ ko badla detá hai.
Romíoṉ
10:17 (URDR55)
Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.
kyúṉki Ḳhudáwand kí
shádmání tumhárí panáhgáh hai. '
Nahamiyáh 8:10
Zabúr 16
: 11Tú mujhe zindagí kí ráh dikháegá:
Tere huzúr meṉ kámil shádmání hai:
Tere dahine háth meṉ dáimí ḳhushí hai.
Yúhanná 15
: 11Maiṉ ne yih
báteṉ is liye tum se kahí haiṉ, ki merí ḳhushí tum meṉ ho, aur tumhárí ḳhushí
púrí ho jáe. 12Merá hukm yih hai, ki jaise maiṉ ne tum se
mahabbat rakkhí, tum bhí ek dúsre se mahabbat rakkho.
Filippíoṉ 4
“: 4Ḳhudáwand
meṉ har waqt ḳhush raho; phir kahtá húṉ, ki ḳhush raho.
Zabúr 37
: 4 Ḳhudáwand meṉ
masrúr rah,
Aur wuh tere dil kí murádeṉ púrí karegá.
Romíoṉ 15
: 13Pas Ḳhudá, jo ummed ká chashma hai, tumheṉ ímán rakhne ke
báʻis sárí khushí aur itmínán se maʻmúr kare, táki Rúhuʼl Quds kí qudrat se
tumhárí ummed ziyáda hotí jáe.
'Mahabbat
Badkari se ḳhush nahíṉ
hotí, balki rástí se ḳhush hotí hai; '
1 Kurinthíoṉ 13:6
Romíoṉ
12:12 (URDR55)
ummed meṉ ḳhush, musíbat meṉ sábir, duʻá máṉgne meṉ mashgúl
raho;
Lúqá
10:20 (URDR55)
Taubhí is se ḳhush na ho, ki rúheṉ tumháre tábiʻ haiṉ; balki is
se ḳhush ho, ki tumháre nám ásmán par likhe húe haiṉ.
Lúqá 1
:45Aur mubárak hai wuh jo ímán láí, kyúṉki jo báteṉ
Ḳhudáwand kí taraf se us se kahí gayí thíṉ, wuh púrí hoṉgí. 46Phir Maryam ne kahá, ki
Merí ján Ḳhudáwand kí baṛáí kartí hai,
47Aur merí rúh mere munjí Ḳhudá se ḳhush húí;
Matí 5
:3Mubárak haiṉ wuh jo dil ke garíb haiṉ, kyúṉki ásmán kí
bádsháhat unhíṉ kí hai.
4Mubárak haiṉ wuh jo gamgín haiṉ, kyúṉki wuh tasallí
páeṉge.
5Mubárak haiṉ wuh jo halim haiṉ, kyúṉki wuh zamín ke
wáris hoṉge.
6Mubárak haiṉ wuh jo rástbází ke bhúke aur piyáse haiṉ,
kyúṉki wuh ásúda hoṉge.
7Mubárak haiṉ wuh jo rahmdil haiṉ, kyúṉki un par rahm
kiyá jáegá.
8Mubárak haiṉ wuh jo pákdil haiṉ, kyúṉki wuh Ḳhudá ko
dekheṉge.
9Mubárak haiṉ wuh jo sulh karáte haiṉ, kyúṉki wuh Ḳhudá
ke beṭe kahláeṉge.
10Mubárak haiṉ wuh jo rástbází ke sabab satáe gaye haiṉ,
kyúṉki ásmán kí bádsháhat unhíṉ kí hai. 11Jab mere sabab log tumheṉ laʻn taʻn kareṉge, aur
satáeṉge, aur har tarah kí burí báteṉ tumhárí nisbat náhaqq kaheṉge, to tum
mubárak hoge. 12Ḳhushí karná, aur
niháyat shádmán honá, kyúṉki ásmán par tumhárá ajr baṛá hai, is liye ki logoṉ
ne un nabíoṉ ko bhí jo tum se pahle the, isí tarah satáyá thá.
Zabúr
144:15 (URDR55)
Mubárak hai wuh qaum jis ká yih hál hai: Mubárak hai wuh qaum
jis ká Ḳhudá Ḳhudáwand hai.
Romíoṉ 4:7 (URDR55)
ki Mubárak wuh haiṉ, jin kí badkáríáṉ muʻáf húíṉ, Aur jin ke
gunáh ḍháṉke gaye.
Romíoṉ 4:8 (URDR55)
Mubárak wuh shaḳhs hai, jis ke gunáh Ḳhudáwand mahsúb na karegá.
Matí 11:6 (URDR55)
aur mubárak wuh hai, jo mere sabab se ṭhokar na kháe.
Comments
Post a Comment